||FF- Pyar Ka Asar||Ch-1 to Ch-34||CLOSED!!! - Page 46

Created

Last reply

Replies

1k

Views

124k

Users

33

Likes

1.2k

Frequent Posters

classyandsassy thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 13 years ago

Originally posted by: kiran_28

i m really sorry guys
i know as per my promise i should have update nxt part now
but wat can i do now yaar i m really busy with my assignments and internal exams 😭
pls forgive me!!!!


Abhi precap se hi kam chalalo

Precap:-
Prem: Heer tum "I love You" bol rahi ho ya nahi
Heer: NAHI!!!!!!!!!!!
Prem: Acha thik hai mat bolo mae bhi dekhta hun tum kab tak nahi bolti. Agar tumse "I Love You" na bolwaya na to mera naam bhi Prem Juneja nahi.



It's ok ... Take ur time ... Tab tak Precap se hi kam chalate hain 😊

Hcsee17 thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 13 years ago
Waiting will u update today???
kiran_28 thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 13 years ago

Originally posted by: seema.sharma86

Waiting will u update today???

dear just calm down. not today but i'll update soon. pls wait patiently 😊
Ephemera thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 13 years ago

Originally posted by: kiran_28

Chapter-14

Maan Villa:-

Next morning Heer came downstairs and greeted her parents and sister.

Heer: Good morning maa, papa, meher!

Teji,Balraj,Meher: Good morning!!!

Teji: Ab teri tabiyat kaisi hai puttar?

Heer: Ab mae thik hun maa.

Meher: Di apko pata hai, kal party mein apke jaane ke baad kisika bhi mann nahi laga, especially Prem bhaiya ka. Isiliye to wo kal raat ghar jane se pehle apse milne aye the.

Heer (confused): Kya Prem kal raat yahan aya tha?

Meher: Di ap to aise pooch rahe ho jaise apko kuch pata hi nahi.

Heer: Nahi Meher muje sach mein nahi pata ki kal raat Prem aya tha.

Balraj: Jab Prem kal aya hoga, shayad us time tak tu so gai hogi.

Teji: Haan aisa hi hoga. Chal koi baat nahi Heer, tu Prem se phone pe baat karliyo baad mein, abhi aa or nashta karle.

Heer nodded and joined her family on breakfast table.

'''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''

In juneja mansion

Meher entered in the house when the entire juneja family was having breakfast except Prem, who has already left for the office.

Gayatri: Arre Meher, tu yahan, ana baith nashta kar. Tere favourite aloo ke paranthe bane hai, aja!!!

Meher: Nahi aunty mae nashta karke aai hun, actually wo muje Preet se kuch kam tha.

Lalit: Meher is nalayak se tujhe kya kam.

Preet glared at his dad and all laughed at Lalit's joke.

Preet: hahahahaha very funny dad, or ap sab log hasna band karo. Or Meher kya hua?

Meher: Preet wo muje na tumhari project file dekhni hai, actually muje mere project mae kuch doubt hai.

Preet came to Meher.

Preet (confused): Project file? Konsi project file? Hume konsa project mila hai?

Meher: ummm arre Preet tum bhul gaye, wohi project jiske bare mein Kunal bhaiya ne hume bataya tha.

Meher glared at Preet.

Preet: oh han han yad aya wo Project? Han chalo wo file mere room mae hai. Thik hai chalo. Hum ate hain mom.

Preet and Meher both went upstairs.

Lalit: Yeh Preet nalayak ka nalayak hi rahega. Pardai ki baatien to yad hi nahi rehti isse. Pata nahi kya hoga iska?

Gayatri: Ap bhi na humesha mere Preet ke piche parde rehte hain.

Lalit: Arre lekin mae to bus'

Gayatri: ap chup-chap nashta ki jiye bus.

All started laughing seeing lalit's expression.

'''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''

In Preet's Room

Meher: Preet ke bache tune to aj marwa hi diya tha.

Preet: Acha sorry na Meher. Acha bolo kya khabar hai.

Meher: Kya bataon Preet bohot hi buri kharbar hai.

Preet (confused): Kyun kya hua??

Meher: Pata hai aj humare ghar ke phone pe Prem bhaiya ka ka Phone aya, Heer di se baat karne ke liye.

Preet: Han phir?

Meher: to phone ramu kaka ne uthaya, or Heer di bhi wahi thi. Jab ramu kaka ne Heer di se kaha ki Prem baba apse baat karna chahate hai, to Heer di ne ramu kaka se Prem bhaiya ko bolne ke liye kaha ki wo ghar pe nahi hai. Or aisa ek baar nahi balki bohot baar hua aj.

Preet: hmm to iska matlab Heer di PB se naraz hai. Now that's sound interesting. Meher hume yeh kharbar jaldi se Kunal bhai ko batani chahiye taki hum age apne plan par kam kar sake.

Meher: Han chalo abhi chalet hai

Preet: han chalo, shubh kam mein deri kaisi'.

'''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''

In Juneja Office

Prem was sitting in his cabin, checking some files but his mind was lost in the thoughts of yesterday's event. He is getting the flashback of that scene when Sanjana confess her love for him. He remembered how he got restless for Heer when he heard that Heer is not feeling well. He remembered how he got worried when heer brunt her hand. He remembered how he got jealous when his parents was talking about Heer's marriage with SOMEONE ELSE!!! He remembered Kunal's word " Tujhse zyada pyar Heer ko or koi nahi kar sakta Prem"

Prem (to himself): Kya jo kuch bhi us din Kunal ne kaha, kya wo sach hai. Kya mae sach mein Heer se pya'.. nahi nahi, yeh mae kya soch raha hun. Aisa nahi ho sakta. Heer meri best friend hai, mae uske bare mein aisa kaisa soch sakta hun.

Soon he was interrupted by his office phone. Prem picked the phone.

Prem: Yes Miss Anita

(Anita is Prem's PS)

Anita: Sir Miss Sanjana Rampal is here to see you.

Prem: What Sanjana Rampal'..ummm ok send her in.

He disconnects the call.

Prem (thinks): sanju yahan. Kahin wo kal wali baat'

Knock! Knock!

Prem: Come in!!!

Sanjana entered and pass a weak smile to him.

Sanjana: Hi Prem.

Prem (nervously): Hi Sanju, pls take a seat.

Sanjana took her seat and looked at Prem.

Sanjana: Prem mae yahan tumse baat karne aai hun. Kal raat jo kuch bhi hua wo'.

Prem: sanju pls mae tumse pehle bhi keh chukka hun, ki mae tumse pyar nahi karta.

Sanjana: I know, mae yeh baat achi tarha se samaj chuki hun, or mae aj yehi kehne aai hun ki kal maine jo kuch bhi kaha, pls tum wo sab bhul jao. Galti meri hai, ki maine humari dosti ko pyar samaj liya. I am really sorry Prem. Pls muje maaf kardo. Tum mujhse dosti to nahi tordo ge na? huh?

Prem: nahi sanju. Yeh tum kya keh rahi ho. Tum meri dost ho or Prem Juneja apne doston ka picha itni asani se nahi chordta. Infact to tumhe thanks kehna chahata hun. Tumne aj yeh sab kehke mere liye situation or bhi comfortable kardi. Thank you so much sanju.

Sanjana: Pls Prem, tum mujhe thanks keh ke muje sharminda mat karo. Anyways ab muje chalna chahiye. Bye!

Prem: Ok Bye, take care!!!

Sanjana left and Prem took a deep breath.

Prem (to himself): Thank God, yeh problem to solve hui. Ab Heer bachi hai, use kaise manao. Kal se to wo mera phone hi kate ja rahi hai or mere message ka reply bhi nahi kar rahi.

Heeerrr! Tum aisa kyun kar rahi ho mere sath.

'''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''

[So here is the 14th chapter. Pls do give me your suggestions about this chapter. Thank you for waiting patiently]

i liked the bossy gayatri😆 good the storyline is taut!...par premheer ke pyaar mein khoob saara emotions daalna please
Ephemera thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 13 years ago

Originally posted by: kiran_28

Chapter-15

Heer (irritately): Preet, Meher, tum dono ko kuch lena hai ya mae jaoun yahan se.

Meher: Di ab hume kuch pasand hi nahi araha to kya karen.

Preet: Ya Heer di yahan to koi cheez dhanki nahi hai.

Heer: To hum ek kam karte hain, hum doosre mall chalte hain. Hum yahan time kyun waste kar rahe hain phir.

Meher and Preet (shouted in shock): NAHI!!!!!!!!!!!!

Heer looked at them suspiciously.

Meher: umm nahi di humara matlab hai ki is shop mein kuch nahi mila to doosri shop mein dekhte hain. Shayad wahan kuch mil jaye. Han chalo!

Preet: Han han chalo!!!

They both dragged Heer to the next shop.

''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''

Preet (whispering): Hello PB! Kahan ho ap?

Prem: Preet mae mall ke bahar hun, car park kar raha hun.

Preet: Ok PB ap jaldi aao. Heer di ko yahan pe roke rakhana bohot mushkil ho raha hai. Jaldi aao.

Prem: Han Preet mae wahan bus 5 minutes mein pohoch raha hun. Preet! Thanks bhai!

Preet: Oho PB, yeh thanks na ap baad mein bolna. Abhi ap jaldi se aao or apni Jhansi ki rani ko manao.

Prem: Han Preet mae araha hun.

They disconnected the call.

''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''

Meher: Di please na ap yeh dress try karo na, ap pe bohot achi lagegi. Please na di, mere liye!

Heer: Meher hum yahan shopping tere or Preet ke liye karne aye haina. To phir mae kyun try karun yeh dress. Mujhe nahi karni.

Meher (thinks): Hey bhagwan! Aj mujhe pata chala hai ki meri behan kitni ziddi hai. Pata nahi Prem bhai kaise handle kar lete hain di ko itni asani se. ab mae kya karun.

Heer: Meher! Meher! Kya soch rahi hai tu. Muje yeh dress nahi chahiye. Tujhe kuch lena hai to le warna chal ghar. Or yeh Preet kahan reh gaya. Itni der se kisse phone pe baat kar raha hai. Tum dono na mujhe pagal kar doge.

Meher: Di relax! Apko yeh dress try nahi karni, to mae kar leti hun. Mae try karke ati hun. Ap yahin rukhiye.

Meher went inside the changing room. And Heer randomly starts looking for kurtis.

''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''

Preet came and starts knocking the door of changing room. Meher opened the door and piped her head out.

Preet: Bahar aja Meher. PB yahan aa chuke hain. Its time for us to leave them alone.

Meher came out of the changing room.

Meher: Or Heer di kahan hai.

Preet: Wo wahan doosre section mein kurtis dekh rahi hai. Now lets go!

Meher: lekin hum di ko yahan akele kaise chord sakte hain Preet.

Preet: Arre di akeli kahan hain PB haina unke sath. Ab chalen!

They both leave from there.

In maan office

Balraj: Yeh to bohot achibaat hai Lalit. Iska matlab Prem ke dil mein Heer ke liye pyar hai.

Lalit: Han Ballu mae bus yehi dekhna chahata tha. Ab waqt agaya hai hum apna doosra plan banaye. Hume kuch aisa karna ho ga ki Prem or Heer dono ek-doosre ke sath zyada waqt bita sake. Un dono ki nazdikiyan bhi bardengi.

Balraj: Lalit mere pas ek idea hai.

Lalit: Kya idea!

Balraj: kyun na hum dono, mera matlab hai teri company or meri company ek combine project Karen. As a 50% of partnership. Jisme meri company ki tarf se Heer or teri company ki taraf se Prem honge. Is project ki waje se dono ek-doosre ke sath zyada time spend kar sakte hain. Kya khayal hai!

Lalit: Khayal to bohot hi acha hai Ballu. Bhae man gaye, mere sath reh reh ke tu or bhi intelligent ho gaya hai.

Balraj glared at Lalit and then both starts laughing.

''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''

In shopping mall

Heer (frustrated): yeh Meher kahan reh gai, or Preet bhi nazr nahi araha hai. Kahan gaye yeh log.

Heer: Meher! Meher!

Heer starts looking each and every changing room. Just then someone from adjacent room pulled her inside the changing room. She opened her mouth to let out a scream but that person had put his hand over her mouth. And then she realized that who is that person.

Heer (whispered): Prem!!!

''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''

[Now that was the 15th chapter. Please do comment.]

prem is expert in pulling heer in a close space😆
Ephemera thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 13 years ago

Originally posted by: kiran_28

Chapter-16

In changing room

Heer (whispered): Prem! Yeh kya kar rahe ho tum.

Prem (angrily): Ek baat bataogi muje.

Heer: Kya!!!

Prem: Tum muje kal se avoid kyun kar rahi ho. Kal se tumne mujhse baat tak nahi ki hai. Na to tum mera phone utha rahi ho or na hi mere msg ka reply de rahi ho. Whats wrong with you.

Heer (avoiding his eyes): Aisi koi baat nahi hai prem.

Prem softened and cupped her face.

Prem (with tears): Kya hua Heer, tumhe pata haina jab tum muje aise avoid karti ho, mujhse baat nahi karti ho, to muje kitni takleef hoti hai. Pichle 18 ghanto se maine tumhari awaz tak nahi suni thi. Kya galti ho gai hai mujhse? Hmm?

Heer: Nahi Prem tumse koi galti nahi hui hai.

Prem: To phir tum mujhse baat kyun nahi kar rahi ho.

Heer: Prem Meher mera intazar kar rahi kar rahi hogi. Please muje jane do.

Prem: Meher yahan nahi hai wo preet ke sath ja chuki.

Heer: Kya wo dono muje yahan chord ke chale gaye.

Prem: Han wo dono mere hi kehne par yahan se gaye hain,

Heer: Kya!!! Kyun???

Prem: Kyun ki tum to mera phone nahi utha rahi thi or na hi mere msgs ka reply de rahi thi. To yeh hi ek tarika tha mere pass tumse baat karne ka.

Heer: oh to ab aai hai tumhe meri yad. Pehle to tumhe Sanjana se fursat hi nahi mili thi. Pehle to uske sath dance kar rahe the or phir baad mein uske sath bahar chale gaye. Or uske baad tumhara kuch pata hi nahi. Kum se kum bata kar to ja sakte the na kit um dono kahan ja rahe ho. Kitna wait kiya maine tumhara tumhe pata hai.

Prem: Acha tumhe meri baat to yaad ki maine Sanjana ke sath dance kiya, mae uske sath bahar gaya. Lekin tumhe apni baat yad nahi. Tum bhi to Kunal ke sath dance kar rahi thi na. Tab tumhe meri yad nahi aai.

(Prem said fuming in anger. Jealously again took over him. He just can't forget that scene when Kunal and Heer were dancing closely. When Kunal's was on Heer's waist)

Heer (angrily): Prem Kunal ne muje request kiya tha isiliye mae uske sath dance kar rahi thi.

Prem: Or Sanjana ne muje request kiya tha isiliye muje bhi uske sath dance karna parda. Or rahi baat Sanjana ke sath bahar jane ki to use mujhse baat karni thi or party mae bohot shor ho raha tha isiliye hum dono bahar gaye the baat karne ke liye.

(Heer looked at Prem)

Prem: Han Heer or bahar Sanjana ne muje jo kuch bhi kaha wo mae tumhe kabse batana chahata hun or tum ho ki mujse baat hi nahi kar rahi ho.

Heer: Sanjana ne tumhe jo kuch bhi kaha muje us bare mae koi baat nahi karni.

Heer start leaving from there but Prem again grabbed her hand and pulled her towards him forcefully.

Prem: Yahan mae mare ja raha hun tumse kuch share karne ke liye, tumse apni dil ki baat kehne ke liye or tum ho ki mujhse baat nahi kar rahi ho.

Heer (angrily): Kya kehna chahate ho tum huh! Kya kehna chahate ho. Yehi ki "Sanjana tumse pyar karti hai"!!!!!!!!!!

Prem became shocked

Prem (shocked): Tum yeh sab pehle se pata hai!!!

Heer: Han Sanjana ne muje pehle hi yeh baat bata di thi ki wo tumse bohot pyar karti hai. Yeh ussi din ki baat hai jab hum Kunal ke liye uska b'dy gift kharedne gaye the mall mae.

(Heer in tears)

Heer: mae tum dono ke liye bohot khush hun Prem ki tum dono ab sath ho.

(Prem saw something in heer's eyes. Just then he realized it was the same feeling and he become happy)

Prem (smiled with tear): Agar tum mere or Sanju ke liye khush ho to tumhare ankhon mein yeh anson kyun?

(He asked purposefully to know about her feelings for him)

Heer (nervously): aisi koi baat nahi hai Prem mae khush hun.

Prem (angrily): Lekin tumhari ankhen to kuch or hi keh rahi hai

Heer (angrily): To tumhe kya farak pardta hai Prem ki mae khush hun ya nahi. Does it matter anything to you.

Prem (angrily): Ofcourse its matter to me. Muje farak pardta hai Heer.

Heer (Angrily): Kyun farak pardta hai tumhe huh! Kyun farak pardta hai? Bolo Prem bolo!

Prem (angrily): Because I LOVE YOU DAMIT!!!!!!!!!

(Heer became shocked)

[ fewww!!! Ok guys now I hope dat you all are happy because I've updated and that to confession part😉. So now I am telling agar muje lambe wale comments nahi mile then I won't update next part. Its my warning😡]

i dunno how to give lambe waale comments..maaf karna dear by far the best part of FF👏👏,,,,,i just loved it!! i can clearly see prem in tears!! that anger that jealousy!!😍 "I LOVE YOU DAMMIT" is most awesome sentence in this FF👏
Ephemera thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 13 years ago

Originally posted by: kiran_28

Chapter-17

Prem (angrily): Because I LOVE YOU DAMIT!!!!!!!!!

(Heer became shocked)

Prem (whispered with teary eyes): I love you Heer. I love you a lot. Bohot pyar karta hun mae tumse, bohot.

Heer (shocked): Prem yeh tum''

(But Prem interrupted in middle)

Prem: shhh'. Aj muje bolne do Heer. Please let me speak. Tum yehi soch rahi hogi na ki yeh achanak muje kya ho gaya. Achanak muje tumse pyar kaise ho gaya. Pyar to pehle se hi tha Heer lekin us pyar ka ehsaas muje ab hua hai. Bachpan se leke ajtak humare beech jab bhi koi jhagdra hua to aisa kabhi nahi hua ki tumne mujhse itne ghante baat na ki ho. Is bar pehli bar aisa hua hai ki itne ghante maine tumhari awaz nahi suni. Or tab jake muje is baat ka ehsaas hua kit um mere liye meri life mein kitni important ho. Tumhare bina mae apni zindagi ke bare mein soch bhi nahi sakta Heer. You're my life.

(Tears flow from Heer's eyes as she realized the depth of Prem's love. Seeing tears in her eyes Prem become worried and cupped her face)

Prem (worried): Heer tum'tum ro rahi ho. Heer please rona band karo. Agar tum mujhse pyar nahi karti to koi zabardasti nahi hai Heer. Its ok, but please tum ro mat. Mae tumhari ankhon mein ansoon nahi dekh sakta Heer. Meri jaan chali jati hai agar mae tumhari ankhon mein ansoon dekh loon to. Heer please stop crying please Heer please.

(Prem kept on blabbering. Heer smiled in tears)

Heer: I love you too Prem

Prem: Han mae janta hun kit um mujhse pya''

(Then he realized what actually Heer said. Does she just says that she loves him)

Prem (shocked): kya'..kya kaha tumne?

(seeing Prem's shocking expression Heer laughed)

Heer: I love you too you idiot.

(Prem smiled and pulled closer to him)

Prem: Ek baar phir se bolna

Heer (blushed): I love you Prem

(Prem come more closer to her)

Prem (whispered): Ek or baar.

Heer (whispered): I love you Prem!!!

(Now their lips are just few inches away from each other. They were just about to kiss, just then Prem's phone starts ringing. Prem groaned in irritation and Heer smiled shyly)

Prem (irritatedly): Yeh phone hamesha galat time pe hi bajta hai.

(Then he saw that Kunal's name was flashing on the screen and seeing this Prem became angrier. He picked his phone)

Prem (angrily): Kya hai Kunal???

Kunal (startled): arre tuje kya hua!!! Tu to aise gussa ho raha hai jaise tu abhi kissi lardki ke sath romance kar raha hai or maine beech mein phone karke tuje disturb kar diya ho.

Prem (thinks): to aur tune kya kiya hai saale!!!!

Kunal: Hello Prem are you there hellooo

Prem: Arre yahin hun mae or kahan jana hai maine

Kunal: acha maine yeh poochne ke liye phone kiya tha kit ere or Heer ki beech ki problem solve ho gai?

Prem (smilingly looking at Heer): Han ho gai

Kunal: Acha very good. To abhi kahan ho tum dono?

Prem: hum abhi chang'. (Heer gestured him saying no). umm hmm hum abhi mall main hai.

Kunal: acha to tum log ek kam karo, mall ke pass hi ek coffee shop hai tum dono wahan ajao. Mae, Preet or Meher abhi yahin hai. Sath mein baith kar gappe marenge. Thik hai.

Prem: acha thik hai hum log abhi ate hai.

Kunal: ok we'll be waiting for you guys. Come soon, bye.

Prem: Bye!!!

(They disconnected the call)

Heer: Kya hua, kya keh raha tha kunal?

Prem (helplessly looking at Heer and starts singing): chalo bulawa aya hai, kunal baba ne bulaya hai. Jai Kunal baba ki!!!!

Heer (laughing): hahahahaha acha chalo Kunal baba ji ke pas.

(Heer starting moving but Prem stopped her)

Prem: Ek minute Heer. Mae chahata hun ki humare bare mae abhi kissi ko kuch pata na chale. Khas kar ki Kunal, Preet or Meher ko.

Heer (confused): lekin kyun???

Prem: kyunki agar un teeno ko pata chal gaya na to wo poori duniya mein dhindora peet denge. Or ghar walon ko pata chal jayega.

Heer: Prem tumhe aisa lagta hai ki agar humare bare mein humare gharwalon ko pata chal jayega to wo naraz ho jayenge.

Prem: Nahi Heer, muje pata hai humare gharwale humse itna pyar karte hain ki humare liye wo log khushi khushi humare rishte ko apna lenge. Or jald se jald humari shadi karwa denge. Jo ki mae nahi chahata.

Heer (shocked): KYA!!!! Tum'tum mujhse shadi nahi karna chahate!!!

Prem: Aree nahi nahi Heer, tum muje galat samjh rahi ho. Ofcourse mae tumse shadi karna chahata hun lekin abhi nahi. Mera kehne ka yeh matlab hai ki abhi hume apni life ko poori tarha se enjoy karna chahiye lovers ki tarha. Bachpan se leke ajtak hum dost ki tarha rahe lekin ab mae chahata hun ki hum dono apni zindagi lovers ki tarha jiyen or wo bhi sabse chup ke. Chup-chup ke pyar karne ka to maza hi alag hota hai. He said excitedly.

Heer (excitedly): Han Prem you're right. Kitna maza ayegana yeh sab karne mein.

Prem: Han or ab chalo warna Kunal phir se phone karke dimang kharab karega. Or han un logo ke samne normally behave karna, ok.

Heer (excitedly): ok ok now let's go!

(Seeing Heer's cute smile Prem pinched her cheeks. Both left from there to coffee shop)

'''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''

In Coffee shop

Kunal, Preet, Meher, Prem and Heer all are sitting on the round table and chatting.

Meher: hahahaha sorry di. Muje or Preet ko wahan apko akele chord ke ana parda. But humare pas or koi choice nahi thi di. It was part of our plan. Sorry di.

Preet: Han di sorry for irritating you so much.

Heer (smilingly): Nahi Preet, Meher, please tum dono sorry mat bolo. Aj pehli bar tumhare plan se muje bohot khushi mili hai. Thank you so much guys!!!

Prem: ya even I also wanted to thank you. Tum dono ki waje se muje meri Heer mil gai.

Kunal, Preet, Meher: KYA!!!!

Prem: umm mera matlab hai ki Heer mujhse ab naraz nahi hai and she is talking to me now.

Meher: oh acha acha. Humne to kuch or hi soch liya tha. Anyways your welcome!

Preet (raising his collar): Han PB koi baat nahi ap kya yaad karoge.

(Just then Kunal hit on Preet's head)

Kunal: oye collar to aise upar kar raha hai jaise ki plan tera ho. Prem or Heer ko yeh to bata ki master plan hai kiska.

Heer (confused): Matlab yeh plan Preet or Meher ka nahi tha.

Meher: Nahi di yeh humara plan nahi tha.

Prem (looking at Preet): to phir kiska plan tha.

Preet: umm wo PB umm'..

Kunal: yeh master plan mera tha. Haina Preeettt''.

Preet: Han han maine kab mana kiya. Yeh plan Kunal bhai ka hi tha, lekin agar mae nahi hota na to yeh plan kabhi successful nahi hota. He said again raising his collar.

(Everyone on the table become silent and looking at Preet with hilarious reaction and then suddenly starts laughing like anything)

[So here is the 17th chapter. Please do leave your comments (long one) Thank you]

so sweert!!😃 umm can i ask you something? 😕can i save this chapter and previous chapter to my comp?😳 its just that i actually ADORE the prem you portrayed in these two chapters!😆! you know tears,jealousy,pain,love,natkat,romantic wala prem!!.😍...if only you give me permission i will save it!!😳 and i promise that i wont mis use it!! 😳i will just reread it whenever i feel like feeling the love and tears of prem/harshad😍...whenever i feel like lost/let down...whenever i feel like am alone!! or whenever i feel angry on my inability to love anyone😡 due to the immense pain i have gone through my life!!😳
Ephemera thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 13 years ago
😃all the best for the exams and assignments hon👍🏼!! and precap was cute!!😉...am so sorry if ever my comments have hurt you!!...just PM me..if ever i crossed my limits dear ok??😊...i will not mount pressure on u by saying am waiting!!*kind knowing smile*...all i want is YOU to be happy😊..and most importantly stress free *nodding head seriously and understanding your situation*,,,now of all the times!!😊
kiran_28 thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 13 years ago

Originally posted by: lakshmi_3004

so sweert!!😃 umm can i ask you something? 😕can i save this chapter and previous chapter to my comp?😳 its just that i actually ADORE the prem you portrayed in these two chapters!😆! you know tears,jealousy,pain,love,natkat,romantic wala prem!!.😍...if only you give me permission i will save it!!😳 and i promise that i wont mis use it!! 😳i will just reread it whenever i feel like feeling the love and tears of prem/harshad😍...whenever i feel like lost/let down...whenever i feel like am alone!! or whenever i feel angry on my inability to love anyone😡 due to the immense pain i have gone through my life!!😳

ok
Ephemera thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 13 years ago
thanx dea😊r...am sorry if i pakaoed you

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".