||FF- Pyar Ka Asar||Ch-1 to Ch-34||CLOSED!!! - Page 44

Created

Last reply

Replies

1k

Views

123.9k

Users

33

Likes

1.2k

Frequent Posters

Ephemera thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 13 years ago

Originally posted by: kiran_28


Chapter-1

Note:- 1) Maan Family lives in "Maan Villa" and Juneja Family lives in "Juneja Mansion"

2) Both families are really close

3) And Kulraj and Kiran lives in Juneja Mansion

-> In Maan Villa

(Balraj Maan is sitting in drawing room in his business suit reading news paper.)

Balraj: Teji'..Teji mera breakfast kahan hai. Muje office ke liya late ho raha hai.

Teji: Arre han baba la rahi hun sabar rakho thorda sa

(She said coming running from kitchen holding the breakfast tray in her hand)

Teji: yeh lijiye apka nashta.

Balraj: han lao lao bohot bhook lagi hai.

(Balraj started eating his breakfast, then suddenly he wondered why there is so much peace in the house and ask his wife)

Balraj: Arre Teji aj ghar mein itni shanty kyun hai Heer or Meher kahan hai, abhi tak uthe nhi hai kya. College nahi jana kya un dono ko?

Just then'''

"Good Morning Maa", "Good Morning papa" Meher greeted her parents happily.

Teji: Ye lo shaitan ka naam liya or shaitan hazir.

(Teji laughed and Meher pouted. Seeing her daughter's face expression Balraj also laughed and greeted her daughter back)

Balraj: Good Morning mera bacha

(He said while kissing her on her forehead. Meher gave teasing smile to her mother and teji showed her fake angered face and again laughed)

(Then Balraj ask Meher)

Balraj: Meher tumhari Di kahan hai? Uthi nahi abhi tak?

(Before Meher can answer to his question, Balraj turned his face towards his wife and ask her)

Balraj (worriedly): Teji Heer ki tabyait to thik haina. Kal raat wo der tak pardai kar rahi thi. Usse bukhar to nahi hua na. Mae jaake dekhta hun.

Teji: Ap pehle shant ho jaiye. Ap chinta mat ki jiye apki ladli bilkul thik hai, use koi bukhar nahi hua hai. Apko to pata haina ki Heer ke final semesters chal rahe hain aur aj uska last exam hai, isiliye wo kal der raat tak pard rahi thi. Aur aj subha mae uske room mein gait hi to wo so rahi thi. Isiliye a bap shanty se nashta kijiye.

Balraj (again worriedly): Han Teji wo to thik hai par abhi 9.30 baj rahe hai or Heer ka exam 10.30 baje tak shuru ho jata hai, aur''..

(But Meher interrupt in middle)

Meher: offo papa ap bhi na, phir bhul gaye aj di ka computer practicle exam hai, jo ki second shift mein hoga yaniki dopeher ke 1.30 baje. Kal hi to Di ne bataya tha bhul gaye.

Balraj (embarresly): Arre han Heer ne bataya to tha. Mae to bhul hi gaya tha.

Teji: Dekha'.isiliye mae kehti hun ki raat ke khanna khane ke baad so jaiya kariye kyunki subha apko office jaldi jana hota hai. Lekin nahi ap meri sunte hi kahan hai, der raat tak bas cricket match dekhte rahete hai. Aur need poori na hone ki waje se ap din bar din bhulakar hote ja rahe hai.

Balraj (impatiently): Arre ab tum mere cricket match ko beech mein kyun la rahi ho.

Teji: Aur nahi to kya. Is cricket match ki waje se na to apko ghar ka hosh hai or na hi apni sehat ka, yahan tak ki apni dawaiyan bhi lena bhul jate hai.

Balraj: Dekho Teji tum'..

(Before they can continue their fight, Meher interrupted)

Meher: Ok ok ma-papa please a bap dono subha subha shuru mat ho jaiye. Ap logo ki awaz sun kar Di uth jayengi.

Teji: Dekha ap kitna jhagarh karte hai mujhse. Agar apki awaz sunkar Heer uth jati to.

Balraj (shocked): Kya! Meri awz se. Maine jhagara shuru kiya!

Meher: Acha acha ab bus! Papa mae college ke late ho rahi hun, ap please muje mere college drop kar dijiye please,please.please.

Balraj: Han chalo. Aur waise bhi agar mae yahan tumhari ma ke sath behas karne laga na to poora din yahin beet jayega

(He murmured into Meher's ear and Meher giggled)

Teji: Kuch kaha apne?

Balraj: Umm.. Nahi to. Chalo Meher mae tumhe drop kar deta hun.

Teji: Acha suniye aj yad se lalit bhaisab ko phone kar dijiyega. Yad haina aj unki family ko dinner pe invite karna hai, ya yeh bhi bhul gae.

Balraj: Han han yad hai muje.

Meher: Oh no! iska matlab wo idiot Preet bhi aayega, Shit yar!

Teji: Dekh Meher agar aj tune koi shaitani kin a to mujhse bura koi nahi hoga

(She warned Meher)

Meher: Ma mae kuch nahi karti. Wo Preet hi muje pareshan karta rehta hai.

Teji: Meher tali kabhi bhi ek haath se nahi bajti hai. Bus maine keh diya na, teri taraf se koi problem nahi honi chahiye.

Meher: Ok ma. Pata nahi uss preet ne app e kya jadu kiya hua hai. Hmmm!

Balraj: Chale Meher. Ok bye Teji. Heer ko yad se utha dena time pe.

Meher: Bye ma

(Meher said while kissing on her mom's cheeks)

Teji: Bye beta.

(Balraj and Meher both leave)

Teji (to herself): Pehle ghar ka kaam khatam kar leti hun, phir jake Heer ko uthaoungi.

(Then she goes in the kitchen)

[Ok that was the first chapter. Please do read and leave comment] 😛

nice start! ...good..add me to you pm list hon
Ephemera thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 13 years ago

Originally posted by: kiran_28

CHAPTER-2

In Juneja Mansion

(Kulraj with a glass of milk in her hand running here and there in the house and she is yelling)

Kulraj: Aryan dekho ab jaldi se dood pelo warna mama bohot gussa karegi.

(Kulraj said to his little monster Aryan who is running around the house because he don't want to drink that horrible milk)

Kulraj: Beta ab ap muma ko aur kitni exercise karwaoge. Please beta ab muma thak gai hai, dood pelo (she said exhaustly)

(Just then Gayatri entered and grabbed Aryan in her hand.)

Gayatri (smilingly): hmm bohot shararti ho gaya hai hai mera bacha.

(Gayatri kissed Aryan on his cheek and Aryan laughed)

Gayatri: Mama ko pareshan karna acha lagta hai apko?hmm?

(Aryan cutely nodded his head and Gayatri laughed)

Kulraj: Dekho na ma apka ladla dood nahi pee raha hai ulta meri pared lagwa raha hai.

Gayatri: Aryan beta galat baat. Muma ko aise pareshan nahi karte. Ap nani muma ke good boy ho na?

Aryan: Yes nani muma!

Gayatri: To phir jaldi se dood peelo.

(Aryan took the glass from Kulraj's hand and drank his milk)

Gayatri: Good boy!

(Aryan smiled and ranned inside)

Kulraj: Thank you so much ma warna Aryan ke peeche bhagte bhagte mera sara wait aj hi kum ho jata.

(Kulraj and Gayatri both laughed. Just then Preet comes down from the stairs. He greeted his mother and sister)

Preet: Good Morning mom, Good Morning Kuldi.

Gayatri: Good Morning beta aj itni jaldi kaise uthe gaya tu.

Kulraj: Arre ma apko nahi pata ajkal humara Preet jaldi uthne laga hai aur jaldi uth ke pardai bhi karta hai. Pata hai ma aj subha jab mae iske room mein gai thi na to yeh pardai kar raha tha. I was really shocked ma.

Gayatri: Hayee kitna samajdar ho gaya hai mera beta.

(She said while kissing on his forehead)

Kulraj: Preet bata na achanak yeh badlaw kaise (asking him teasingly)

Preet: Kuldi zyada shocked hone ki zarurat nahi hai. Yeh sab to isiliye ho raha hai kyunki us Meher ki bachi se maine shart lagai hai ki is bar mae apne semesters mein usse zyada marks leke aounga. And you know that I can't lose my bet.

(Just then Lalit entered)

Lalit: Chalo shukar hai Meher ki waje se hi sahi kum se kum ye nalayak ne pardna to shuru kiya.

(Lalit said while hitting on Preet's head)

Preet: Yeh lo eid ka chand nikal aya subha subha.

(Preet said while combing his hair with his fingers. And Lalit started chasing him)

Lalit: Kya kaha tune! Gayatri mae keh raha hun yeh mera lardka ho hi nahi sakta, yeh hospital mae badal gaya hai.

Gayatri: Ap shant ho jaiye. Jnae dijiye bacha hai.

Lalit: Bacha hai! Nahi Gayatri bacha nahi baap hai yeh mera. Ek yeh nalayak hai or ek mera Prem hai (said proudly). Kitna zimedar hai wo.

Preet: Aur honge kyun nahi dad afterall PB kiske hai (said while raising his collar)

Lalit: Tu chup kar. Kitni bar kaha hai kuch sikh apne bhai se, par nahi tu to nalayak ka nalayak hi rahega.

Preet: Dad ab unfortunetly apka beta hun to apki kuch khubiyan to aayegina mere andar.

(Lalit again started chasing him)

Lalit: Mae aj tujhe chorunda nahi.

Kulraj: Bauji'Bauji choriye na jane dijiye. Ap aaiye nashta kar lijiye, apko phir office bhi to jana hai, chaliye.

(She said while dragging Lalit to the breakfast table)

Preet: Ok mom, muje bhi college ke liye late ho raha hai. Mae bhi chalta hun bye.

Gayatri: Arre lekin nashta to karte ja.

Preet: No mom mae bahar hi kuch kha lunga aur waise bhi eid ka chand ki waje se mae pehle ho bohot late ho gaya hun, bye mom.

(Lalit glared him angerily and preet left for college)



Precap- premeer's enty😉

[Ok guys that was the second update''. Please do leave your comments]😛




you write like a pro!!👏
y dont you try mumbai on a serious note?👍🏼keep it up!! love ya😊
Ephemera thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 13 years ago

Originally posted by: kiran_28

I know guys dat your all are eagerly waiting 4 premeer's entry😛
So here it is😉


Chapter-3

In maan villa

The clock stuck 11.00 A.M. The rays of the sun are coming from the window and shedding light in the room. In the room there is a big round bed. There is a study table and the books are scattered on the bed. Family pictures are there on the walls.

(Just then Teji entered the room and she smiled looking at her daughter who is sleeping peacefully)

Teji: Heer puttar'.Heer uhja beta dekh 11.00 baj rahe hain. 1.30 baje tera exam shuru ho jayega, tujhe 1.00 baje se pehle college pohochna hai. Chal uthja, uth ke fresh hoke nashta karle. Uthja''

(Then Heer slowly sat up. Streching and yawning. Her long black hair fell to her waist. She had almond shaped eyes, luscious lips and she has fair skin)

Heer (yawningly): Good morning ma!

Teji: Good morning nahi, Good afternoon hone wali hai. Chal jaldi se fresh hoke niche aja tab tak mae tere liye nashta lagati hun. Thik hai!

(Heer nodded her head. Teji smiled and she kissed her on her forehead and then she left)

Ring! Ring!

(Heer's phone rang)

Heer: Hello!

Balraj: Hello Heer. Uth gaya mera bacha!

Heer (smilingly): Han papa.

Balraj: Maine tumhe Best of luck kehne ke liye call kiya hai kyunki abhi meri ek bohot important meeting hai aur phir mae busy ho jaounga, to phir muje time nahi milega.

So best Of Luck!

Heer: Thank you papa, love you.

Balraj (smilingly): Love you too beta. Ok ab muje meeting ke liye jana hai. Apna exam che se karna ok beta.

Heer: Han papa. Ab ap apni meeting mein jao warna ap late ho jaoge, bye papa.

Balraj: Bye beta.

(Heer disconnected the cal and then she checked whether there a missed call or message or not, but there was no missed call or message)

Heer (sadly): Itna time ho gaya. Prem ne abhi tak phone kyun nahi kiya muje wish karne ke liye.

(Then she goes to bathroom)

'''''''''''''

In Juneja Office

(Lalit was sitting in his cabin checking some files suddenly his phone rang and he picked the phone)

Lalit: Hello!

(On the other side)

Balraj: Hello lalit mae balraj bol raha hun.

Lalit: Arre han ballu bol kaisa ha tu aur ghar mein sab kaise hai?

Balraj: Mae thik hun aur ghar pe bhi sab thik hai. Tu bata tu kaisa or ghar pe sab kaise hain?

Lalit: Sab bilkul thik hai. Aj kaise yad kiya tune?

Balraj: Kyun mae tuje yad nahi kar sakta kya. Darasal baat yeh hai ki maine tuje or tere poore parivar ko aj humare ghar pe dinner le liye invite karne ke liye phone kiya hai.

Lalit: Arre wah! Kya baat hai, tu dinner pe invite kar raha hai, koi specail occasion hai kya?

Balraj: arre nahi yaar, bas aise hi kafi din ho gaye hain mile hue aur ajse to Heer ke final semesters bhi khatam ho rahe hain. Agar tum log aoge to Prem or Preet or baki sab logo se mil kar wo thorda relax bhi ho jayegi. Pichle ek mahine se uspe studies ka kafi pressure raha hai.

Lalit: Tu thik keh raha hai ballu. Isi bahane Heer ko bhi break mil jayega. Hum sab log zaror ayenge.

Balraj: Thik hai to phir aj sham ko milte hain.

Lalit: Han bilkul.

(Then they disconnect the phone)

Lalit (to himself): Gayarti ko phone karke keh deta hun ki aj sham hum sab log maam villa ja rahe hain dinner pe

(Then Lalit imformed Gayatri about Balraj's invitation)

Just then

Knock! Knock!

Lalit: Come in!

(manager entered)

Manager: Good morning sir. Sir yeh kuch documents hai. Isme apke sign chahiye the.

(He give file to Lalit. And Lalit starts reading the file. While reading)

Lalit: Mr.Sharma aj Prem ki Sehgal Group of industries ke MD ke sath meeting thi na?

Manager: Yes sir. Infact Prem Sir abhi bhi ussi meeting mein hai. Lagta hai ki yeh contract bhi hume hi milega.

Lalit (smilingly): Sahi kaha Mr.Sharma apne. Prem ne is contract ke liye bohot mehnat ki hain. To definetely yeh contract hume hi milega. Mera Prem Ram hai mere ghar ka aur agar Ram kissi cheez ko hasil karna chahate hai to wo apni mehnat, lagan aur imandari se uss cheez ko hasil karke hi rehte hai. Kyun Mr.Sharma sahi kaha na maine?

Manager (smilingly): yes sir!

On the same in the Conference Room.

One guy was sitting on MD's chair, his back was facing others.

Guy: Let me tell you Mr.Sehgal, hamari company humari factory mein advance technology use karti hai instead of man power jiski waje se humari company 8 nahi balki 5 mahine mein apka project khatam karke apko handover karegi.

(Then that guy turned his chair, and now is facing others)

"Yeh Prem Juneja ka wada hai apse" he said.

(That guy is non other than our Prem. He was in his business black suit. He has chocolate brown eyes, strong muscules. Silky hair with shaggy cut. His shirt's two upper buttons are undone. Looking extremly handsome.)

Prem (smirked): Choice is yours Mr.Sehgal!

Mr.Sehgal: I am quite impresse Mr.Juneja. Hum Junejas ke sath hi yeh contract sign karenge.

(Then both Prem and Mr.Sehgal signed the contract and then they shake their hands)

(Lalit entered the confrence room)

Mr.Sehgal:The deal is final Mr. Lalit Juneja.

(He also shook his hand with Lalit and after dicussing some important things Mr.Sehgal left. Now only Lalit and Prem are there in the confrence room)

Lalit: I am proud of you my son.

Prem: Thank you bauji. Yeh sab apke aur ma ke ashirwad na natija hai.

(Lalit smiled)

Lalit: arre han ek aur baat, aj hum sab sham ko Maan villa ja rahe hai dinner pe, Balraj ka phone aya tha. To tu jaldi se apna kam khatam kar lena sham tak. Kyunki agar tu sham ko late pohocha to tu janta hai na Heer ka gussa. Tuje ghar ke andar nahi ane degi wo.

(Lalit laughed and Prem realised)

Prem: Oh no bauji aj to Heer ka last exam haina 1.30 baje. Aur abhi 12.45 baj rahe hain. Mae meri Jhansi Ki Rani ko Best Of Luck wish karna hi bhul gaya, he said worriedly.

Lalit (smilingly):Arre tu chinta kyun kar raha hai abhi bhi der nahi hui hai. 1.30 bajne mein abhi kafi time hai. Tu abhi usse call karke wish karde warna uska moh gubare ki tarah phul jayega. Thik Hai.

Prem: Ji bauji, mae abhi usse call kar deta hun.

(Lalit left and Prem starts dailing Heer's number.)

[That was the 3rd chapter guys. I hope that you all like it. Please do read and give me your suggestions] 😛


i liked the flow of it hon!! but sometimes pace ia also important when you tell a story hon😊...otherwise nice intro of premji😍...keep it up
Ephemera thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 13 years ago

Originally posted by: kiran_28

Precap:😉
Prem: Hello Heer!
Heer: Silent...
Prem: o meri jhansi ki rani are you der?
Heer: still silent...
(Then Prem realised dat Heer is angry on dat is why she is not speaking to him)

i sense a storm bhuchaal and cyclone coming😆
Ephemera thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 13 years ago

Originally posted by: kiran_28

Vrushika this is really not fair. Waise to mera koi irada nahi tha update karne ka jab tak tum apna ff update nahi karti. but mae kya karun today is my Harshad's birthday, ab Harshad k liye to update karna parega na😛. but i next time i won't let u escape so easliy😈.

So guys here is the update. Pls dnt mind, the update is very short, next time there will be a long update i promise😊

Chapter-4

In Heer' college

Misha: C'mon Heer cheer-up. Aise kab tak moh suja kar bethi rahogi.

Ashlesha: Han yar Mish bilkul thik keh rahi hai. Please yar apna mood thik kar aj humara last exam hai, iske baad hum free!!!!!!! She said excitedly.

Misha: tu aise moh banake exam degi to exam acha kaise hoga. Thorda sa to hasdo madamji. Yar ho sakta hai ki Prem ko koi zarori kaam ho isiliye shayad usne call nahi kiya.

Heer: Watever! Mae sirf 15 mins or wait karungi or agar in 15 mins mein Prem ka call nahi aya na, then I will not talk to him ever, she said angrily looking at her phone.

(They start waiting for Prem's call. After 10mins'..)

Ash: Heer mujhe nahi lagta ki Prem ab call karega.

Misha: Han mujhe bhi nahi lagta. Chal yar chalte han 1.00 baje ke baad hume examination hall mein enter nahi karne diya jayega. Chal na Heer.

(But Heer still staring at her phone screen)

After 2 mins

Ring! Ring!

Heer's phone started ringing.

Ash and Misha (excitedly): Phone baja!!!!

Misha: Kiska phona hai? Prem ka?

Heer: Han ussi ka hi call hai.

Ash: Tu dekh kya rahi hai, utha na phone.

(Heer answered the call)

On the other side'..

Prem: Hello Heer!

Heer: Silent'..

Prem: O meri jhansi ki rani are you there!

Heer: Still silent'.

(Then Prem realised that she is angry on him that is why she is not speaking to him)

Prem: Naraz ho mujhse?

(Heer nodded her head)

Prem: I am so sorry yar. Actually meri ek bohot important meeting thi. To isiliye''I am sorry!

Heer (sadly): Tumhari meeting kya mujse zyada important hai Prem?

(Prem realised its not that easy. "Lekin beta Prem kuch to karna pardega" he think himself)

Prem: Heeer yeh kya bol rahi ho tum. Tum se zyada important mere liye kuch nahi hai sweetheart. Tum to janti ho na ki ma-bauji ne mujhe lekar kitne sari sapne dekhe hain ki mae bohot barda businessman banu, apne pairo pe kharda hon. Agar mae aj yeh meeting attend nahi karta to yeh contract humare haath se nikal jata or phir ma-bauji ka sapna bhi adhura reh jata. Kya tumhe acha lagta agar mae meeting miss karke ma- bauji ka sapna tord deta. Hmmm bolo Heer'..

(Prem smirked)

Heer: Preeemmm I really Hate you for this. Tum hamesha muje emotional blackmail karke mana lete ho. I Hate you!

Prem (smilingly): I Love you too! Acha ab yeh sab chordo. Tumhare exam ka time ho raha hai. Tum jaldi se jao or ache se exam dena "Best of Luck"

Heer (now smilingly): Thank you Prem! Acha ab mae ja rahi hun ok.

Prem: Han jao or Ash or Mish ko bhi meri taraf se wish kar dena Ok.

Heer: Han han kar dungi, bye idiot :p

Prem: Bye stupid :p

(They disconnected the call. Heer, Ash and Misha went to examination hall. And Prem smilingly thinking about Heer "pagal hai bilkul")


it was cute😊!! but a bit short to make anything out of it!! 😊 JHANSI KI RAANI so easily gave up on her anger? 😆 kuch jach nahi raha😆 but phir bhi prem ke wahjese yeh bhi fine hey😊😆
Hcsee17 thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 13 years ago
pls kiran today u will update
u ve promised with uss
pls update yaar
Ephemera thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 13 years ago

Originally posted by: kiran_28

Chapter-5

Heer happily entered Maan Villa. She saw Teji who is busy in giving instructions to servant.

Teji: Dekho Murli, aj jab tum kheer banaoge na to usme chini dalne se pehle Lalit bhaisab ke liye alag se nikal lena or phir kheer mein chini dalna or Lalit bhaisab ki kheer mein sugar free dalna, unhe daibaties haina.

Servant: Ji mam

Teji: Acha suno tum paneer or gobi le aaye the na bazar se?

Servant: Han mam, mae le aya tha.

Teji: Thik hai ap ek kaam kijiye, jo bhi dishes maine apko banane ke liye kahi hai wo sab bana lijiye. Bus gobi ke paranthon ko chord dena, wo mae khudi hi banaogi. Kynki Prem ko mere hath ke bane gobi ke paranthe hi pasand hai. Or han paneer ki sabzi mae mirchi thordi tez hi rakhna warna preet ko sabzi tasty nahi lagegi. Thik hai , ab ap jaiye or apna kaam kijiye.

(Servant left for the kitchen and Heer came and hugged Teji from her back)

Heer: Kya baat hai ma. Aj bardi taiyariyan chal rahi hai.

Teji: Arre agai tu. Kaisa hua tera exam?

Heer: Exam to bohot hi acha hua ma. Ab ap batao Prem or Preet ki pasand ka khana kyn ban raha hai.

Teji: Kynki aj humare ghar Juneja family arahi hai dinner par.

Heer: Wow! That great.

Teji: Ab tu jaldi ja kar fresh ho ja. Thik hai.

Heer: Ok mom.

(Then she left for her room)

''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''

In Prem's Cabin

Kunal: Prem tu samaj nahi raha hai yar, is bar muje sach mae pyar ho gaya hai.

Prem: Arre Thik hai mere bhai sun liya maine ki tuje 105 vi bar sacha pyar ho gaya hai.

Kunal: To sunne se kya hota hai tu meri madad kar.

Prem: Kunal dekh bhai mae teri madad baad mein karunga abhi tu muje mera kaam khatam karne de, phir muje Heer ke ghar bhi jana hai.

Kunal (confusingly): Heer ke ghar par kyn?

Prem: Dinner pe.

Kunal: Oh acha!

''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''

In Juneja Mansion

Gayatri: Ye lijiye apke kapre nikal ke rakh diye hain bed pe.

Lalit: Han thik hai.

Gayatri: Acha suniye yaad se apne sath apni dawiyan bhi rakh lena.

Lalit: Han or tum bhi apni dawiyan rakh lena.

(Gayatri smiled and she starts thinking something)

Gayatri: Apse ek baat kahun?

Lalit: Han bolo, kya baat hai.

Gayatri: Muje lagta hai ki ab hume Prem ki shadi ke bare mein sochna chahiye. Dekhiye na Prem ki pardai bhi poori hogai or ab to usne business bhi join kar liya hai. Ab waqt agaya hai ki hum apne ghar ki bardi bahu le aaye.

Lalit: Khayal to bohot acha hai Gayatri lekin kya tumne is bare mein Prem se koi baat ki. Lardki dhondne se pehle hume ek bar Prem se poch lena chahiye ki kya use koi lardki pasand hai ya nahi.

Gayatri: Ap uski chinta mat kijiye, maine pehle hi Prem se poch liya tha is bare mein. Use koi lardki pasand nahi hai, usne kaha hai ki wo ussi lardki se shadi karega jise hum chunege.

Lalit: Sach mein Ram ka swaroop hai mera Prem. Ab Prem se green signal mil hi gaya hai to tumhari nazar mein koi lardki hai kya.

Gayatri: Han ek lardki hai jo humare ghar ki bahu or Prem ki patni banne ke liye bilkul layak hai.

Lalit (excitedly): Acha kon hai wo, jaldi batao.

Gayarti (smilingly): Ap jante hai usse, wo lardi Prem ke bohot kareeb hai.

Lalit: Gayatri tum paheliyan mat bujhao. Batao na kon hai wo.

Gayarti: "HEER"

Lalit: Heer? Apni Heer?

Gayatri: Han han or kisi Heer ko jante hain kya ap or Prem?

Lalit: Gayatri muje to yakeen hi nahi ho raha hai. Humari Heer Prem ke liye ek dum sahi jeevan sathi sabit hogi. Lekin kya Prem manega is rishte ke liye.

Gayatri: Arre kaisi baatein kar rahe hain ap. Prem kyn nahi manega. Heer mein Prem ki jaan basti hai. Apne nahi dekha kya, agar Heer ko koi bhi takleef hoti hai to Prem kaise poori duniya ko sar pe utha leta hai. Agar ek bhi din Heer ka call na aye ya wo Prem se naraz ho to Prem kaise bechain ho jata hai.

Lalit: Han Gayatri wo to thik hai lekin'.

Gayatri: Lekin kya? Ap mane ya na mane lekin muje poora vishwas hai ki Prem or Heer, ye dono ek doosre se bohot pyar karte hai. Yeh baat wo shayad khud bhi nahi samaj paye hain abhi, lekin bohot jaldi hi samj jayenge. Ap please aj ek bar Balraj bhaisab se is bare mein baat kijiye na.

Lalit: Thik hai Gayatri, agar tumhe yeh thik lagta hai to mae aj hi Ballu se is bare mein baat karta hun. Ab Khush!

Gayatri (excitedly): Han bohot Khush!

[That was the 5th chapter, I hope that you will all like it. Thank you!]

this was a nice breezy one hon...😃 but still dont you think the marriage idea is a bit too sudden..i mean the story has just started..allready marriage talks? i mean there can be some foreplay...some romance shomance!!!😆☺️
Ephemera thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 13 years ago

Originally posted by: kiran_28

Chapter-6

In Maan Villa

(Juneja family entered and Maan family welcomed them.Balraj and Lalit and Gayatri and Teji hugged each other.)

Balraj: Kaisa hai tu?

Lalit: Main to ek dum bardiya. Namaste Bhabiji.

Teji: Namaste bhaisab!

(They came inside. Just then Heer came downstairs.)

Heer: Namaste uncle, namaste aunty!

Lalit: Namaste beta, kaisa hua tera exam?

Heer: Uncle exam to bohot hi acha hua.

Gayatri: Aur hoga kyun nahi, bohot hoshiyar hai hamari Heer.

Gayatri said while kissing on Heer's forehead.

Meher: Aunty Prem bhai nahi aaye?

Preet: Yeh lo jo aaye hain unki kadar nahi hai or PB ke liye pooch rahi hai.

(Meher glared at Preet and she was about to answered him but Teji showed her angry face to Meher)

Lalit: Meher Prem office se nikal chuka hai, bus ata hi hoga.

Teji: Ap log baithiye tab tak mae chai- nashta lekar ati hun.

Kulraj: Han aunty chaliye, mae bhi apki madad kar deti hun.

Teji: Arre Kulraj tum baitho, mae kar lungi.

Kulraj: Arre nahi aunty, mae bhi chalti huna apke sath.

(Teji smiled)

Teji: Acha thik hai chalo.

(Then Teji, Gayatri and Kulraj left for kitchen)

''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''

Aryan: Heer didi mae apko plane banake dikhaoun. Meri mam ne aj hi muje sikhaya hai.

(Heer smiled)

Heer: Acha! Mere shona ko plane banana ata hai, chalo hum upar chalte hai or plane banate hai. Ok chalo.

'''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''

Meher: Preet ke bache bardi zuban chal rahi thi na teri, ab chal chess mein muje hara ke dekha.

Preet (to himself): Arre yaar yeh kahan phas gaya mae. Muje to chess ka 'C' bhi nahi ata. Lekin ab Meher ne challenge kiya hai to khelna to pardega hi. Ek kaam karta hun jiju ko saath leke chalta hun shayad wo meri thordi madad karde.

Preet (to Meher): Han han chalo, mae koi darta hun kya. Jiju ap bhi chaliye mere sath. Ap mere lucky charm ho. Chalo!

(Preet said while dragging Kiran with himself. And they left from there)

''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''

Back in Living room

(Teji, Gayatri and Kulraj came with snacks and tea)

Teji: Arre yeh bache kahan chale gaye?

Balraj: Heer to Aryan ke sath upar apne kamre mein hai or Preet, Kiran or Meher chess khel rahe hain angan mae.

Kulraj: Mae Heer or baki sabko snacks or chai deke ati hun.

(Now only Gayatri, Teji, Balraj and Lalit are there in living room. Gayatri gave signal to Lalit to talk to Balraj and Lalit nodded)

Lalit: Ballu, yar tujhse ek baat karni thi.

Balraj: Han bol, kya baat hai.

Lalit: Ummm'hmmm Heer ke final semester khatam ho gaye hain to age ka kya socha hai.

Balraj: Abhi to kuch pata nahi hai yaar. Heer hi decide karegi ki age usse kya karna hai.

Lalit: Nahi mera matlab hai ki tune Heer ki shadi ke baare mein kuch socha hai ya nahi. Matlab usse kya koi lardka pasand hai ya nahi.

Balraj: Pata nahi yaar. Humne is bare mein kabhi usse baat hi nahi ki. Lekin tu kyun pooch raha hai.

Gayatri: Darasal wo kya haina bhaisab, humne socha hai ki ab hum Prem ke liye lardki dhondna shuru kar de.

Teji: Arre wah!, yeh to bohot hi achi baat hai. To kabse lardki dhondna shuru kar rahe hain ap log.

Lalit (nervously): Actually bhabi, wo ek lardki hai humari nazar mein.

Balraj: Acha kon hai wo?

Lalit: Umm wo lardki''.wo'..umm Gayatri tum batao.

Gayatri (nervously): han wo lardki''.ummm wo lardki Heer hai.

(Both Balraj and teji are shocked)

''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''

In Heer's room

Heer: Arre wah! Mere shona ko to barda acha plan banana ata hai.

Aryan: Heer didi muje na boat banani bhi ati hai.

Heer: Acha to phir banake dikhao.

(Aryan starts scribbling in paper and Heer starts wondering''.)

Heer: Yeh Prem abhi tak kyun nahi aya.

(She starts dialing Prem's number)

Heer: Hello Prem!

Prem: Han Heer!

Heer: Kahan ho tum? Abhi Tak aye kyun nahi? Abhi bhi office mein hi ho kya? Aur kitna kaam bacha hai? Kitni der lagegi? Aur'.

Prem: Arre bus! Bus! Meri ma! Itne sare sawal. Mae tumhare ghar ke niche hi hun, bas car park kar raha hun.

Heer: To tum pehele nahi bata sakte the.

Prem: Arre tum muje bolne dogi, to mae bolunga na.

Heer: Acha thik hai thik hai jaldi aao.

Prem: Ok mam.

(They disconnected the call)

Heer: Wow! Aryan ne to bohot hi achi boat banai hai. Chalo hum niche chalke sabko dekhate hai. Thik hai chalo.

(Aryan smilingly nodded his head and went with Heer.)

''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''

(In living room, there was a long discussion about Premeer's marriage. After the long discussion, Balraj and Teji agreed to this marriage.)

Teji: Wo sab to thik hai lekin kya Prem or Heer manege is rishte ke liye.

Gayatri: Arre Teji, wo log zaroor manege.

Lalit: Aur agar nahi manege to unko manane ke liye mere pas ke plan hai.

Balraj: Kaisa plan?

(Then Lalit told them about his plan and they all agreed. Just then doorbell rang)

Gayatri: Lagta hai Prem agaya.

Teji: Han mae jake darwaza kholti hun.

Balraj: Ek minute Teji, humare is plan ke bare mein Prem or Heer ko bhanak tak bhi nahi pardni chahiye.

Lalit: Han han unko bilkul pata nahi chalna chahiye.

(Both Gayatri and Teji agreed and Teji went to open the door. Just then Heer came downstairs with Aryan.

Heer (eagerly): Prem agaya kya?

Gayatri: Han agaya.

(Teji opened the ddo and greeted Prem)

Teji: Prem! Kaisa hai tu.

(Prem touched Teji's feet)

Prem: Mae bilkul thik hun aunty.

Teji: aja andar aa.

(Prem entered and Heer jumped on him)

Heer (exclaimed): Prem!

(She hugged him tightly and Prem also smilingly hugged her back and both Premeer's parents gave knowing smiles to each other while looking at them)

[Ok guys that was the 6th chapter. Please do comments. Thank you😊]

nice work with small small details!!😊 ...wait a min..y i am getting a feelin that meher and preet is gonna be a pair too...as well as kunal will be a haddi in PREM-HEER relation😭
Ephemera thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 13 years ago

Originally posted by: kiran_28

Chapter-7

Aryan: Prem mamu! Dekho maine boat or aeroplane banaya.

(Prem grabbed Aryan in his hand)

Prem: Kya baat hai, mere bete ko itni achi drawing banani ati hai.

(Aryan nodded his head cutely)

Prem: To iskeliye to ek gift banta hai. Hmmm'..kya gift sien Aryan ko. Ha ek chocolate!

(Prem gave Aryan a big chocolate bar)

Aryan: Thank you mamu!

(All are admiring them in the living room)

Kulraj: Aryan chalo idhar ake baitho. Prem mamu abhi abhi office se aye haina.

(Aryan came to kulraj and sit beside her and starts eating his chocolate)

Balraj: Aur beta kam kaisa chal raha hai. Lalit ne bataya ki kaise tumne Sehgal group of industries wala project hasil kiya. I am proud of you beta.

Prem (smilingly): Thank you uncle!

Heer: Papa, Prem mujhse hi to business tips leke jata hai.

(Prem glared at Heer)

Teji: Han han ek tu hi to hai is poori duniya mein jise business chalana ata hai.

(They all laughed at Teji's joke. Just then'.)

Cheater! Cheater! Cheater! Yelled Meher.

(Preet, Meher and Kiran came in living room)

Meher: Prem bhaiya ap agaye, kaise ho ap.

(Meher asked Prem while hugging him)

Prem: Main to thik hun lekin tu bata, tu kyun chilla rahi hai.

Meher: Pata hai bhaiya, yeh jo Preet haina ek number ka cheater hai. Khud to khelna ata nahi hai chess or Kiran jiju ko age kiye ja raha hai. Chal jiju chalte hain or bazi yeh Preet le jata hai. Bar bar jiju ko bole ja raha tha ki jiju ap khelo ap mere lucky charm ho.

Preet: Arre ab jiju mere lucky charm hai to mae kya karun.

Meher: Acha to saf saf kehdo na ki tumko khelna nahi ata or sirf jiju ko hi khelne do. Tum kyun sara credit liye ja rahe ho. Cheater kahin ka huh!

Preet: Dekho Meher'''.

Kiran: Acha ab bus karo tum dono. Kitna jhagra karte ho yar.

Teji: Han Kiran bilkul thik keh raha hai. Chalo sab khana lag gaya hai, aao!

(They went to dining room)

Heer: Ma, ap baitho mae serve karti hun.

Teji: Heer tu rehne de mae karlungi.

Heer: Nahi ma ap baithiye, mae serve karungi.

(They all sat on the their chairs and Heer starts serving them. All are got busy in eating, then suddenly'..)

Ouch! Ah ma! Heer yelled in pain.

Teji (worriedly): Kya hua Heer?

(Before Teji, Prem got up and stood next to Heer taking her hand in his.)

Prem (angrily): Yeh kya kiya tumne Heer, garam- garam dal apne hath pe girali. Dekho tumhara hath kitna jal gaya hai. Kisne kaha tha tumhe serve karne ko. Chup-chap aram se baith nahi sakti thi.

Heer: Prem wo mae''

Prem (angrily): Chup! Bilkul chup! Ek shabd bhi nahi. Chup karke yahan pe baith jao, mae first aid box leke ata hun.

(All elder are admiring Prem's caring towards Heer. Prem came with first aid box and starts applying burnol on Heer's hand)

Heer: Ah'ummm''

Prem (worriedly): Dard ho raha hai, I am sorry mae' mae dhire se lagata hun.

Gayatri: Prem tu itna hyper kyun ho raha hai. Heer thik hai.

Teji: Beta tu khana khale, mae Heer ke dawai laga deti hun.

Prem: Nahi aunty, mae hi Heer ke dawai lagaounga.

Heer: Prem relax! Mamuli si hi to chot hai.

Prem (angrily): Mamuli si chot! Yeh tumhe mamuli si chot lagti hai. Heer muje haina or gussa mat dilao.

Heer: Ok ok. Acha baba, mae kuch nahi bolti. Tum lagao dawai.

Gayatri (whispering to Teji): Dekha tumne Teji. Prem ko Heer ki kitni chinta hai. Uske gusse mae bhi pyar jhalak raha hai.

Teji (whispering back to Gayatri): Han Gayatri, dono ki Jodi sach mein bohot achi hai.

(After applying burnol on heer's hand, Prem starts feeding Heer and both Premeer's parents admiring them)

''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''

(After eating dinner, they all sat in living room. Teji brings Kheer for everyone)

Preet: Sach mein Teji aunty, aj to khane mein agaya. Kyun PB?

Prem: Han especially gobi ke paranthe. Thank you so much aunty.

Teji: Prem ab tu mere hath se maar khayega. Arre mae bhi to teri ma jaisi hun or ma ko koi thank you bolta hai kya.

Prem (catching his ears): Sorry J

Lalit: Acha bhabi ap kheer leke aai ho na. Lao lao jaldi lao.

Gayatri: Kya lao-lao? Apko koi kheer nahi milegi. Apko diabetes haina.

Lalit: Arre yeh to galat baat hai.

Teji: Arre Gayatri kyun nahi milegi bhaisab ko kheer. Unhe zaror milegi. Yeh lijiye bhaisab.

Gayatri: Lekin Teji''.

Teji: Gayatri muje pata hai ki bhaisab ko diabetes hai. Isiliye unke liye maine alag se kheer banwai hai.

Lalit: Dekha Gayatri, sikho kuch bhabi se.

Gayatri: Ap haina chup-chap apni kheer kha lijiye, warna yeh bhi nahi milegi.

(Everybody laughed)

(After sometimes Juneja family got ready to leave)

Lalit: Acha ballu, ab hum chalet hain bohot der ho gai hai.

Balraj: Yaar thori der or ruk jate.

Teji: Han thordi der or ruk jao na.

Gayatri: Nahi Teji bohot der ho gai hai. Kal sabko office bhi jana hai.

Heer: Kuldi Aryan so gaya.

Kulraj: Han, aj yeh bohot thak gaya hai, isiliye so gaya.

(Then Heer kissed on sleeping Aryan's cheeks)

Prem: Heer tum apne haath ka khayal rakhna. Kal subha hi iski dressing change kar lena. Ok.

Heer: Yes boss, or koi hokum!

Prem: Nahi bus itna karlo kafi hai.

Preet: Ok bye Heer di, bye Meher.

Heer and Meher: Bye, good night!

(Then the Juneja family left from there)

''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''

In Juneja Mansion

Prem's room

(Prem came out of washroom wiping his face. After that stand near his window smilingly staring at moon)

Prem (to himself): I hope Heer ke hath mein ab dard nahi ho raha ho. Msg karta hun use.

(Prem took his phone and starts msging Heer)

In Heer's room

(Heer was about get in the bed. Just then'')

Bip! Bip!

Heer took her phone and saw Prem's msg.

"TUMHARA HATH KAISA HAI AB"

Heer smiled and replyed

Bip! Bip!

Prem saw Heer's reply

"HATH TO THIK HAI, BUT MAE THIK NAHI HUN"

Prem got worried

Bip! Bip!

Prem's reply: " KYUN KYA HUA, TUMHARI TABYAIT TO THIK HAINA"

Bip! Bip!

Prem read Heer's reply

"HAN MERI TABYAIT THIK HAI BUT I AM ANGRY WITH YOU"

Bip! Bip!

Prem's reply: "KYUN????"

Bip! Bip!

Heer's reply: "TUMNE MUJE SABKE SAMNE DAANTA L"

Prem smiled and Replyed

Bip! Bip!

Prem's reply: "OH TOH MADAM ISILIYE GUSSA HAI. I AM SORRY HEER. ACTUALLY TUMHARI CHOT DEKH KE, MAE BOHOT GHABRA GAYA THA. TUM JANTI HO NA MAE TUMHE TAKLEEF MAIN NAHI DEKH SAKTA"

Heer also smiled and replyed

Bip! Bip!

Heer's reply: " HAN BABA MAE JANTI HUN. MAE TOH MAZAK KAR RAHI THI. MAE TUMSE NARAZ HO SAKTI HUN KYA"

Bip! Bip!

Prem's reply: " I KNOW"

Bip! Bip!

Heer's reply: "When an angel came to me he asked: 'what is your wish for tonight?' I said: 'Please take care of the person who's reading this msg'. Good night!"

(After reading Heer's msg Prem smiled and replyed to Heer)

Bip! Bip!

Prem's reply: "My day may be hectic. My schedule may be tight. But I would never let the day end without saying Good night. Sweet dreams!"

(Then both Premeer went to sleep with cute smile on their lips)

[Guys this was the 7th chapter. Please do comment. Thank you😊]

the ending was awesome the good night messages idea!!..it could be seen in our daily lives!!👏 that touch of reality increased the cuteness of ff and gives credibilty hon. 😃...and oh so cute the reaction of prem when heer was minorly hurt!😍 isi ada pe tho hum marthein prem juneja ji😍❤️
P.S both those SMSes at the very end of that chapter i have got!! and have forwarded many times!!😆 so i can connect to it dear😊
Ephemera thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 13 years ago

Originally posted by: kiran_28

Chapter-8

In Juneja Mansion

(Prem came downstairs and he saw his parents are looking some photographs)

Prem: Good morning maa, Good morning bauji!

(He touch their feet)

Lalit and Gayatri: Good morning beta!

Prem: Maa yeh kiski photographs dekh rahe hain ap log?

Gayatri: Arre beta yeh photographs kuch lardkon ki hai. Panditji deke gaye hain.

Prem (confusingly): Kyun?????

Lalit: Rishtey ke liye!

Prem: Rishtey ke liye? Lekin bauji humare ghar pe to koi lardki kuwari nahi hai. To phir????

Gayatri: Arre humare ghar mein nahi hai lekin Maan family mein to haina 'Heer'.

Prem (shocked): Kya Heer! Ap log Heer ke liye rishta dhond rahe hain?

Lalit (smirked): Han Teji bhabi ne hum pe yeh zimedari saunpi hai ki hum Heer ke liye lardka dhonden. Lekin tu itna heran kyun ho raha hai.

Prem: umm'mmm nahi bauji, mae to bus aise hi''.

Gayatri: Oh acha. Acha yeh dekh, muje or tere bauji ko to yeh lardka pasand hai Heer ke liye. Tub hi dekh ke bata ki kaisa hai.

(Prem took that pic in his hand)

Prem: Maa yeh lardka???

Gayatri: Han acha haina?

Prem: Maa, iski naak thordi si tedi nahi hai?

Gayatri: Kya! Dekhon to!

(Gayatri took that pic back from him)

Gayatri: Nahi Prem! Iski naak to bilkul thik hai.

Prem: Nahi maa, is lardke ki Jodi Heer ke saath nahi jachegi.

Lalit: Thik hai, phir tu hi in lardko mein se Heer ke liye ek lardka pasand kar. Afterall teri or Heer ki pasand bhi to same hi hai.

(Prem unknowingly becomes uncomfortable and he took all the pictures and starts comparing each guy with himself)

Prem (frustrately): Nahi! In mein se koi bhi lardka acha nahi hai.

Gayatri: Lekin beta''

Prem: Maa muje office ke liye der ho rahi hai, mae office ja raha hun.

Gayatri: Arre lekin beta nashta?

Prem: Nahi maa ab muje bhook nahi hai.

(Then Prem left from there and both Lalit and Gayatri starts laughing)

Lalit: Gayatri kahin se jalne ki bo arahi hai!

Gayatri: Ab aag lagi hai to jalne ki bo to ayegi hi na!

(Then again both started laughing)

(Here our jealous Prem is in big confusion, driving to office)

Prem (to himself): Yeh muje kya ho raha hai. Heer ki shadi ki baat sun ke mujhe itni takleef kyun ho rahi hai. Balki muje to khush hona chahiye ki meri best friend ki shadi ho rahi hai. Phir muje itna bura kyun lag raha hai.

(Prem reached office. Everyone was greating him Good morning. After having a warm welcome by hi staff, he quitely went to his cabin and sat on his chair. He took his phone in his hand and starts stairing at Heer's pic and starts talking with her pic)

Prem (to Heer's pic): Heer tum chinta mat karo. Tumhare liye lardka mae dhondunga. Ek aisa lardka jo tumhe apni palkon pe bitha ke rakhe, jo duniya ki sari khushiyan tumhare kadmo mein lake rakh de, jo tumhari ankhon mein kabhi ansoon na ane de, jo tumhe bohot pyar kare.

"TUJHSE ZYADA PYAR HEER KO AUR KOI NAHI KAR SAKTA PREM"

(Prem turned and saw Kunal at the door)

Prem: Kunal, tu kab aya?

Kunal: Tab jab tu Heer ki pic se baatien kar raha tha. Yeh tu kya kar raha hai Prem?

Prem: Maine kya kiya?

Kunal: Tu khud hi apni Heer kisi or ko saunp dega.

Prem: Kunal tu kya keh raha hai muje kuch samaj nahi araha.

Kunal: Tujhe kuch samaj nahi araha ya tu kuch samajhna hi nahi chahta ki tu Heer se pyar karta hai.

(Prem become shocked)

Prem: Kunal, yeh tu kya bakwas kar raha hai?

Kunal: Bakwas nahi kar raha hun, sach bol raha hun. Ek aisa sach jo sab jante hain siwaye tere or Heer ke.

Prem: Kunal tu pagal ho gaya hai kya. Mae Heer se pyar nahi karta.

Kunal: Acha tu Heer se pyar nahi karta? To phir tujhe kyun itni takleef hoti hai agar Heer ko chot lagti hai? Heer ki ankhon mein ansoon kyun nahi bardash hota tujhse? Kyun????

Prem (angrily): Kunal! Muje Heer ki chinta hai kyun Heer meri bachpan ki dost hai. Bachpan se janta hun use. Damit! I care for her.

Kunal: Yeh sirf dil ko tasalli dene wali baat hai Prem. Sach to yehi hai ki tum dono ek dosre se bohot pyar karte ho. You guys are meant for each other. Aur yeh baat tu jitni jaldi samaj jayena utna hi acha hai, kahin aisa na ho ki bohot der ho jaye. Anyways mae tujhe yahan apni birthday party mein invite karne aya tha.

Prem: I am sorry Kunal, mae tujh pe chilana nahi chahta tha. But jaisa tu soch raha haina, waisa kuch bhi nahi hai bhai.

Kunal: Its ok Prem. Mae chahe tujhe jitna bhi samjha lun, par tu nahi samjhega. Sahi waqt ane pe samjhega. Khair chord, kal time pe party pe pohonch jayiyo Heer ko leke. Samjha Late mat kariyo.

Prem (smilingly): Han han hum time pe pohoch jayege.

Kunal: Chal thik hai, ab mae chalta hun baki logo ko bhi invitation dena hai. Mae Heer ke ghar gaya tha but wo ghar pe nahi thi lekin maine Teji aunty ko bol diya tha. Ok ab mae chalta hun Bye!

Prem: Bye!

(Kunal left from there and Prem starts thinking about what Kunal said while stairing at Heer's pic confusingly)

[Guys this was the 8th chapter. Please do comment how was it. Thank you😊]

i loved it dear!! i can clearly see how prem would have shouted on kunal..how he would have negated kunal's truth talk!!..i can see his confusion!
P.S i forgot its prem ...and imagined Anuraag while he talked to himself "y am i feeling jealous when she is my BFF"😆

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".