i liked the charechter develpoment👍🏼Originally posted by: kiran_28
Chapter-9
In the caf
(Heer was sitting on the table, waiting for Sanjana. Soon Sanjana arrived)
Sanjana: Sorry! Sorry! Mae late ho gai actually traffic itna tha ki mae late ho gai. Sorry!
Heer: Its ok Sanju. Ab bata, aisi kya baat ho gai thi ki tune muje urgently bulaya yahan pe. Kya baat karni thi tujhe?
Sanjana: Arre ruk na saans to lene de. Tune kuch order kiya kya?
Heer: Stop it Sanju! Ab bata kya baat hai.
Sanjana (nervously): umm'Heer actually'.umm'wo mae na'umm
Heer: Han bol na kya baat hai.
Sanjana: Heer ummm'.wo actually I like someone'no no no I love someone.
Heer (excitedly): Kya? Kab? Kaise? Kon hai wo?
Sanjana: Umm tu usse janti hai. Wo humare hi friend circle main se hain.
Heer (thinkingly): humare friend circle se? Hmm kon ho sakta hai.
Sanjana: Soch na tu.
Heer: Noway Kunal!!!!!!!
(Sanjana hit on Heer's arm)
Sanjana: Arre nahi!!! Pagal hai. Wo Kunal nahi hai.
Heer (confusingly): To phir aur kon hai.
Sanjana: Arre tu guess to kar na!
Heer: Sanju please yar bata na kon hai wo.
Sanjana (blushingly): Wo lardka jisse mae pyar karti hun,wo Prem hai.
(Heer become shocked)
Heer (shockingly): Kya Prem!!!!!
Sanjana: Heer mae Prem se bohot pyar karti hun. Tu please meri help karna yar.
Heer (nervously): Kya''help? Mae kya kar sakti hun?
Sanjana: Tu to Prem ki best friend haina. Tujhe kya lagta hai kya Prem bhi mere liye waisa hi feel karta hoga jaisa mae uske liye karti hun. Ha bata na kya mae usse apne dil ki baat bata dun?
Heer! Heer!
(Heer came out of her thought)
Sanjana: Heer kahan kho gai thi tu? Bata na kya mae Prem ko bata dun ki mae usse pyar karti hun.
Heer (uncomfortably): Ummm han'''han Sanju, tujhe apni dil ki baat Prem ko bata deni chahiye.
Sanjana (excitedly): Sachi! To phir thik hai, kal Kunal ki birthday party hai or kal party main hi mae Prem ko apni dil ki baat bata dungi.
Wow! I am so excited! Ok Heer ab muje jana hai or kal ke liye taiyari bhi karni hai. Bye Thank you so much Heer, love you.
(Sanjana excitedly left and Heer was silently sitting there with sad face)
In Maan Villa
(Door bell rang. Teji opened the door and Prem entered)
Teji: Arre Prem kaisa hai tu?
(Prem touch Teji's feet)
Prem: Mae thik hun aunty. Ap kaise ho?
Teji: Mae to thik hun lekin pehle ty bata tu kyun Heer se lardta rehta hai huh!
(Teji asked Prem while catching his ears)
Prem: Ah'aunty maine kuch nhi kiya. Meri Heer se aj koi lardai nahi hui.
Teji: Acha! Tu phir Heer itni udas kyun hai?
Prem: Heer udas hai?
Teji: Han. Abhi thordi der pehle bahar gai thi. Jab se aai hai tab se bilkul chup-chap hai. Muje laga ki shayad tujhse lardai hui hai isiliye udas hai wo.
Prem: Nahi aunty, meri aj Heer se koi lardai nahi hai. Balki meri to aj subha hi usse baat hui thi. Usi ne mujhe yahan bulaya hai. Actually kal Kunal ka birthday haina to usi ke liye gift kharedne jane wale the hum dono. Or mae usse yahan lene hi aya hun.
Teji: Acha! To phir kya baat ho sakti hai?
Prem: Aunty mae jaake usse baat karta hun.
Teji: Han ja. Bus tu hi to ek hai jisse wo apni sari problem share karti hai. Tu ja uske paas.
Prem: Ji aunty!
(Then Prem goes to Heer's room)
In Heer's Room
(Heer was standing near window thinking about the conversation that she had with Sanjana just few hours ago.)
Just then
BHOOO!!!!!!
(Heer got scared and Prem starts laughing)
Heer (irritately): Prem pagal ho gaye ho kya tum. Tumne meri jaan nikaldi thi stupid!
Prem (laughingly): Hahahahaah tumhara chehra dekhne layak tha hahahaha!
(Heer starts crying and hitting Prem)
Prem (laughingly): Ah'.. sorry sorry!
(Prem notice that Heer is crying and become worried)
Prem (worriedly): Heer kya hua? Tum ro kyun rahi ho?
(Prem asked cupping her face)
Heer (wiping her tears): Kuch nahi, mae thik hun.
Prem: Nahi kuch to hua hai. Maine aise tumhe bohot bar daraya hai, pehle to tumne aise kabhi react nahi kiya. Kya baat hai? Apne Prem ko nahi bataogi? Hmmm?
Heer: Nahi Prem aisi koi baat nahi hai, bus sar mein thorda dard ho raha hai.
Prem: Acha to chalo hum bahar chalte hai. Tumhara mood bhi thik ho jayega. Or phir Kunal ke liye gift bhi to kharidna hai. Chale?
(Heer nodded her head and Prem wipe her tears. Then they left for mall)
At Shopping Mall
Prem: Heer tum batao na hum Kunal ke liye kya gift khareden?
(Heer was lost in her thoughts)
Prem: Heer! Heer!
(Prem snap his fingures in front of Heer's face)
Heer: Han''kya Prem!
Prem: Wohi to mae janna chahta hun Heer, ki tum kya soch rahi ho. Please Heer, muje batao ki kya baat hai. Heer agar tum pareshan hoti hona, to phir mujhe bhi chain nahi milta. Kya hua? Batao.
Heer: Wo Prem aj mae caf mein'''
(But she was interrupted by Prem's phone)
Heer: Tum pehle phone pe baat karlo.
(Prem nodded and answer his call. It was Sanjana)
Prem: Han Sanju!
(After hearing Sanjana's name Heer become alert and again saddness took over in her heart)
Sanjana: Prem kaise ho? Maine tumhe disturb to nahi kiya na?
Prem: arre nahi actually mae Heer ke sath mall aya tha, Kunal ke liye birthday gift kharedne ke liye.
Sanjana: Oh acha! Maine to bus aise hi call kiya tha. Kafi din hogaye the na tumse baat nahi hui thi.
Prem (teasingly): acha muje miss kar rahi thi.
(Hearing this Heer become more sad and uncomfortable)
Sanjana (blushingly): Han aisa hi samajlo. Ok phir kal milte hain. Tum aaogena?
Prem: Han ofcourse! Kunal ki party mein na aake uske haathon marna thordina hai.
(Both Prem and Sanjana starts laughing and Heer become more curious)
Sanjana: Thik hai to phir kal milte hain. Bye!
Prem: Ok bye!
(They disconnect their call and Prem turn towards Heer. Heer was lost in her thoughts)
Prem: o meri chater-pater, phir se kahan kho gai?
Heer: kahin nahi!
Prem: Ab batao kya baat hai.
Heer: Nahi Prem koi baat nahi hai. Sach mein!
Prem: Thik hain Heer agar tum nahi batana chahati to thik hai. Lekin agar tumhe mujhse kuch share karna ho then I am always there for you!
(Heer nodded her head)
Heer (smilingly): I know!
Prem: Ab chale?
Heer:Han chalo!
Prem: First ofall smile! C'mon smile! Smile!
(Heer smiled)
Prem: That's like my girl! Ab chalo!
(Then they bought gift for Kunal and Prem droped Heer home)
[Guys this was the 9th chapter. Please do give your long comments. Thank you😊]