Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread - 24th Oct 2025
APAHARAANN 24.10
🏏India tour of Australia, 2025: Australia vs India, 3rd ODI, Sydney🏏
PLAN CHANGED 25.10
Leap & Separation!
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Oct 25, 2025 Episode Discussion Thread
AT - Abhishek Bajaj 🐐 Humara Bajaj ❤️
🏠Caption Writing Contest -Bring Pictures to Life!🏠 RESULTS
Akash & Isha Ambani s birthday celebration in Jamnagar.
Sunny Deol accuses few actors of corporate bookings
Abhinav Kashyap about Aamir & Saif
I'm disgusted
Spirit - The Sound Story Of The Film
Satish Shah passed away...😞
Hi dis story was awesome..luved it.i m a new member n aft joining 1st thing i did was reading ur story.u write so gud,dis wonderfull story took me into a new world of happiness 4 premeer.so sweet u chose the name aditti ,its perfect 4 premeer's daughter.waitig 4 other prts n pm me wen u do so if possible.
PART11
Additi's mansion
It is a Sunday morning and Additi is busy playing with dolls and running in the house while Heer is making breakfast for Additi. Like I said before that on Sunday Additi ka special breakfast hota hai. Additi loves gobi ke parathe just like Prem n on sunday Heer makes them for her.
Heer: additi table par ja kar betho, main parathe lekar aarahi hoon.
Additi: Mama mitali masi aane wali thi, kyun nahin aai?
Heer: pata nahin beta, aaj raat ko phone par un se pooch lena
Additi: ok
Then doorbell rings, additi: masi aagai! and runs towards door to open it
Heer: sambhaal ke!
Mitali comes in with her bags, she takes Additi in her arms n hugs her.
Heer: aao madam betho, aapke liye breakfast bhi tayaar hai
Additi: haan masi dekho aapke liye maine bhi abhi tak nahin khaya
Mitali: oh so sweet! she looks at her breakfast and says
" ek baat mujhe batao yeh har baar main jab aati hoon to yeh parathe kyun hote hain?"
Heer: good question! additi jawab do
Additi: woh is liye masi ke aap har baar sunday ko aati ho aur har sunday ko mama mere liye mere favourite gobi ke parathe banaati hain.
Heer: acha ab chup chap nashta karo.
Additi makes a face n continues eating.
Mitali: arre haan heer mujhe tumse zaroori baat karni hai, kal lunch ke waqt mr oberoi ke ghar ek party hai jis mein saare hotel owners aayenge. Har jaga se successful business owners with family aayenge, ek doosre se milenge.
Heer: breakfast ke baad hum is par discuss karenge.
Additi becomes sad, Mitali: kya huwa additi tum udaas kyun hogai?
Additi: mujhe laga ke aap mujhse milne aai ho par aap to apne hi kaamon mein busy ho
Heer goes to Additi n says: additi hamari kal ek important business party hai par woh sirf do ghante ki hai uske baad hum dono free aur phir hum bohot maze karenge. Aapke saath mall jayenge, wahan par icecream! chocolate! burger! aur aapki favourite rides!
Additi's face lightens up by hearing this n says; promise mama!
Heer: promise beta!
Mitali: hmmm ab khush, aap to jaanti hona k mama aapse kiya huwa promise kabhi nahin torti.
Additi: ab aap log apni baatein karo, mujhe apni dolls ke saath khelna hai n she runs towards her room.
Mitali: bohot samajhdaar hai tumhari beti
Heer: haan aur meri laadli bhi, yeh thori udaas hoti hai mujhe kuch acha nahin lagta, she then goes into kitchen.
Mitali thinks: main jaanti hoon heer tum additi se kitna pyar karti ho aur isi ke liye tum zinda ho.
Mitali in kitchen n says to Heer: heer main study mein tumhara wait kar rahi hoon.
Heer n Mitali in study room
Heer is looking at a file and Mitali says: yeh tumhare dream project ki file hai na? wahi jo tum additi ke liye kar rahi ho?
Heer: haan yeh project additi ke future ke liye hai
Mitali: kal ki party mein mr oberoi humein duniya bhar ke hotel owners se milaaenge, aur yeh mr oberoi decide karenge ke woh kaun hai jiske saath milkar hum yeh project karenge kyunki yeh bohot bara hai aur ek company ise nahin kar sakti.
Heer: Pata nahin woh kaun hai jo is project mein mere jitna interest lega?
Juneja house
Since it is a Sunday morning so kids are doing masti n the morning at Juneja house seems colorful unlike other mornings. Lalit is reading newspaper, Gaya3 and Meher preparing breakfast for kids n Kulraj taking care of kids n running after them. Harman comes in n says: bauji aaj dopahar tak humein panchgani ke liye nikalna hai, wahan ek business party hai mr oberoi ke ghar par aur woh hamein with family attend karni hai. Preet comes in, sits opposite bauji n says with family? to is ka matlab k yeh shetaan bache bhi panchgani chalenge?
Meher: dekha bauji aap ne yeh duniya ka pehla baap hai jo apne bachon ko shetaan kehta hai har waqt daantta hai mere bachon ko
Lalit: preet yeh bohot galat baat hai arre in bacho se to ghar mein ronak hai
Preet: ok fine, tum bhi pyari aur tumhare bache bhi! shetaan to main hoon
Lalit jokes: haan is mein to koi shak nahin!
Harman: kya preet har waqt bachon ke peeche pare rehte ho
Preet: bhaiya jab aapke honge tab main poochoonga.
Harman looks at maya, she gives irritating look n goes away.
Lalit: yeh prem kahan hai?
Preet: waheen apne kamre mein, duniya ke saare hungame, khushiyon se door akele bethe honge, main unhein bata kar aata hoon.
When Preet said this, Gaya3 looked worried n gave a tensed look.
Prem's room
Prem like always was standing near window n engrossed in Heer's thoughts.
Preet: prem bhaiya aaj dopahar ko hum panchgani ja rahe hain, wahan ek business party hai.
Prem didnt said anything n stayed quiet.
Then Preet turned and thought: prem bhaiya pata nahin aapki zindagi se yeh dard kab jaayega.
In Juneja house everyone does packing as they dont know how long will they be in panchgani. Prem does packing and while taking out his clothes from cupboard he sees Heer's dupatta n remembers past scenes n keeps dupatta in his bag.
Oberoi House
All successful business oriented people are in party, Heer and Mitali are there meeting with them. Then Mr Oberoi comes n says that from this party i'll show your dream project to five hotel owners n who ever shows interest in it would be working with you, he then leaves.
Finally Juneja's arrive: Lalit, Prem, Preet, Meher, Harman n Maya whereas Gaya3 n Kulraj took care of kids n didnt came to party.
Heer feels Prem's existence, she is standing with some people but lost in her own world of thoughts. Her dupatta is on her shoulder but its end touches Prem's face who is right behind her, Heer adjusts her dupatta n turns. There she sees Prem n they both are lost in a never ending eye session.At that time in background it is Premeer's music.
Heer then looks to the other side n sees Lalit, Preet n Meher while Harman n Maya were busy talking with some people. Lalit, Preet n Meher were shocked to see Heer, Lalit seemed happy. Lalit imagines Heer coming near him n touching his feet but then realizes that it was just a thought.
Heer then turns n moves at a distance from Juneja's, then infront of her she sees a brother n sister who are talking with each other n loving each other. Heer remembers Nihaal, the scene in which Heer terribly cried when she saw Nihaal's khaak(ashes) then tears come running down her face. It was a silent cry but a very painful one. Then Heer runs away from that party.
Mitali saw all this n thinks: itne saalon mein heer ne apne aansoon kisi ko nahin dikhaaye aur aaj itne logon ke saamne bhi heer apna dard nahin chupa paai, is ka matlab ke heer ke zakhm taza hain. She then looks at Prem n continues: par in zakhmon ke bharne ka waqt aagaya hai, ab mujhe woh kaam kardena chahiye, juneja family panchgani mein hai aur mujhe woh video cassette un tak pohchaani hogi".
Then Mr Oberoi comes n asks abt Heer, Mitali says that due to some work she left. He then goes to Prem.
Oberoi: Prem aaj main tumhein ek aise shaks se milana chahta tha jo panchgani mein sab se successful business woman hai, is lady ne ek aisi hotel se shuruwaat ki jo bilkul kharab daur se guzar rahi thi, hum us hotel ke band hone ka intezar karte the aur ek din woh lady as general manager appoint huwi aur us ne chand mahinon mein hotel khareed li aur use kamyabi ki unchaai tak pohncha diya. Aur ab woh us hotel ke ilawa 7 hotels ki maalik hai jo duniya ke alag hisson mein hain. Sach mein 5 saalon mein Heer hotel business par chaa gai hai.
At this Prem gets shocked, n Oberoi continues "main tumhein us se milana chahta tha par woh kisi kaam se chali gai aaj tak to aisa nahin huwa ke heer kisi party se chali jaae.''
Additi's mansion
Mitali comes homes n says: heer mr oberoi tumhare baare mein pooch rahe the ke tum achanak se party se chali kyun gai.
Heer leaves n Miltali tells her: kal subha 8 baje mr oberoi ke office mein tumhari meeting hai, aur woh insaan bhi hoga jo tumhare saath tumhare project par kaam karega.
Juneja house
Meet in their room putting their kids to sleep, they talk with each other.
Meher: yakeen nahin ho raha preet ke aaj maine heer dee ko itne saalon ke baad dekha.
Preet: mujhe bhi meher, main to heer bhabi ko dekh kar heraan reh gaya.
Meher: heer dee ne hum sab ko dekha par kisi se baat tak nahin ki, bauji se bhi nahin mili.
Preet: woh bohot bari business woman ban gai hai, chalo humein itna to pata hai ke heer bhabi paanch saal panchgani mein thi aur professionally settled hain.
Meher: lekin preet unki personal life ka kya? kya woh apni personal life mein bhi settle hogai hongi.
Preet: jis tarhaan woh bhaiya ko dekh rahi thi mujhe nahin lagta ke unki zindagi mein koi aur aagaya hai.
Prem's room
Prem gets flashbacks of Heer in party, he thinks of how Heer was looking at him n later how she cried n went away.
Prem: kabhi socha nahin tha k itne saalon ke baad aaj tumhein dekhoonga, aaj bhi tumhari aankhon mein wahi dard hai jo bohot saal pehle tha jab maine tumhein pehli baar dekha tha, he remembers 1st shiv mandir scene.
Kyun hai tumhari aankhon mein itna dard? kya beeti hai tum par in paanch saalon mein? Kismat mujhe kya batana chahti hai?
Main apne sawaalon ke jawaab lekar rahoonga. Jis tarhaan tum ne mujhe dekha aur phir wahan se chali gai mujhe yakeen hai tum bhi mere bina utni adhoori ho jitna main tumhare bina.
Additi's mansion
Heer putting Additi to sleep but Additi in mood of talking abt her family
Additi: mama papa kahan hain
Heer: aapke bohot kareeb, aapke dreams mein aate hain na woh?
Additi: woh mujhse pyar karte the?
Heer: bohot! mujhse bhi zyada
Additi: main unhein bohot pyar karti hoon, pata nahin woh mujhse kab milenge? mama kya papa aur baaki sab mujhe yaad karte honge?
Heer: unhein to pata hi nahin aapke baare mein, par jab pata chalega to aapko zaroor yaad karenge
Additi: kab milenge woh mujhse?
Heer: chalo ab so jaao bohot raat ho gai hai.
They kiss n say goodnite, Additi off to sleep
Heer at window, thinking abt Prem
Heer at window n thinks abt Prem. Kabhi socha nahin tha ke itne saalon baad tumhein dekhoongi tum sab yahan panchgani mein?
Woh insaan kaun hai jo mere saath dream project par kaam karega? Prem agar woh tum huwe to is ka matlab ke tum mere khwaabon ko samajhte ho, mujhe yakeen ho jaayega ke tum mere bina adhoore ho jaise main tumhare bina.
Precap: Meher n Kulraj with kids, Heer, Mitali with Additi in the same shopping mall. Will they see each other? Keep waiting for next update!
hey that was great can't wait for next chapter
PART12
Before moving on with this part let me tell you that Mr Oberoi is a reputed, well known businessman of Panchgani, he was the first person with whom Heer started doing business n he's been a great help n support to Heer.
Prem and Mr Oberoi were in Oberoi's office,
Oberoi: prem maine tumhein kal heer ke dream project ki file send kar di thi, magar tum itni jaldi is project ke liye tayaar hogae?
Prem: ji mr oberoi, main is project ko bohot achi tarhaan samajhta hoon, mujhe lagta hai ke heer ke saath agar koi is project par kaam kar sakta hai to woh main hi hoon.
Oberoi: is baat ka yakeen tumhein mujhe nahin, heer ko dilana hoga, heer ko convince karna bohot mushqil hai. maine heer ke saath bohot projects kiye hain par is project par main uske saath kaam nahin kar sakta, main bas yeh kar sakta hoon ke use ek sahi insaan dhoond kardoon jo uska saath de.
Heer enters in Oberoi's office
Heer sees Oberoi n Prem together n understands that Prem is the one with whom she will be working on her dream project, Heer dil hi dil mein khush hoti hai that even now Prem understands her dreams but she doesnt show any expression.
Oberoi: aao heer, betho, hum tumhare project ke baare mein hi baat kar rahe the. Let me introduce yeh hain Mr Prem Juneja, Juneja Hotels ke maalik aur Prem yeh hai Heer, P & H Hotels ki owner.
At this Prem and Heer give each other a thoughtful look!
Jis tarhaan tumhari har ek hotel ka apna ek naam hai par woh jointly juneja hotels kehlaati hain usi tarhaan heer ki duniya bhar mein bohot saari hotels hain, har ek ka apna naam hai par woh sab pehchaani jaati hain P & H Hotels ke naam se.
Oberoi continues: ab tum log is project par discuss karo
Heer: mr oberoi, aaj mujhe ghar par kuch kaam hai is liye aaj main mr juneja ko apne project ke baare mein details doongi, aage ka kaam agli meeting mein.
Oberoi: theek hai go ahead
Heer: mera yeh dream project ek bara project hai jise do companies kar sakti hain, iski buniyaad hai ek maa aur uske aulad ka rishta, according to this, un dono companies ki saari hotels mein un maaon ko facilities milengi jo apne ghar aur apne bache se door aati hain.
Ek businesswoman ke liye sab se mushqil hota hai jab woh kisi kaam se apne hometown se kahin aur jaati hai, hamari companies ki saari hotels mein ek bache ko facilities di jaayengi taake ek maa apne bache ko apne saath ghar ke bahar kaam par le ja sake.
While all this Prem was looking at Heer with many questions in his mind.
Oberoi: Prem tumhein kuch poochna hai?
Prem: ji nahin main bas yeh chahta hoon ke hum dono ek saath mil kar jald se jald is project par kaam shuru karen.
Heer: har cheez waqt par hoti hai mr juneja, na waqt se pehle aur na waqt ke baad, kher main chalti hoon.
Oberoi shakes hand with both Prem n Heer n says: to main tum dono ki agli meeting fix kar deta hoon aur congrats to both of you.
Heer leaves n Prem is lost in thoughts with his unanswered questions
Juneja House
Kids are quietly sitting on sofa, Lalit enters dressed n says to kids : yeh aaj tum sab ko kya hogaya, itne chup kyun ho?
Kulraj: bauji aaj yeh aise hi chup rahenge
Lalit: lekin kyun? ayush, avi dono chup rahoge?
They move their head signaling "yes"
'Kuch nahin kahoge?' they signal "no"
Preet dressed enters saying: very good!
He continues: dekha bauji aap ne main kehta tha na ke mere bache jab chup hote hain to bohot ache lagte hain! lekin yeh chamatkaar huwa kaise?
Meher enters, sets table n says: aaj in sab ne promise kiya hai ke agar yeh shaam tak aise hi chup rahe to main aur kulraj dee inhein baahar lejaayenge.
Lalit: haan to abhi lejaao inhein
Kulraj: lekin bauji abhi to shaam hone mein do ghante hain
Lalit: yeh mera hukum hai, in bacho ne aaj koi masti nahin ki to yeh abhi bahar jaayenge
At this kids smile n give their moms a pleading look!
Kulraj: theek hai bauji jaise aapka hukum
Kids get excited, they start running in house n accidently Ayush ran into Maya n as usual she was holding a glass of water that tripped over her saree. Maya got angry she said: shetaan bache har baar meri saree spoil kar dete hain n she goes inside.
Meher: ayush yeh tumne doosri baar maya chachi ki saree kharab ki hai, bohot masti hogai!
Avi hold hands n says: maa plz bhaiya ko mat daanto, maya chachi baar baar hamare saamne aajati hain to hum kya karen?
Preet smiles n keeps his hand on Avi's head, feels happy that his both sons have same bonding of love like Prem n his.
Then he tells the mothers to go wid their children for shopping,
Preet goes near Meher n says: suno mere liye kya laaogi
Meher: jo tum kaho
Preet: kuch bhi bas shirts nahin, woh mere paas already bohot hain.
Meher smiles n preet says: in bacho ka khayal rakhna.
Ayush: papa aap bhi chalo hamare saath
Lalit: nahin bete aapke papa mere saath ek business meeting par ja rahen hain, aur hum already late hain. aap log enjoy karo!
Lalit asks: preet harman aur prem kahan hain?
Preet: bauji woh dono office mein hi hain.
Lalit n Preet outside Juneja House
Lalit: preet, acha kiya jo tumne ghar par kisi se nahin kaha ke hamari meeting heer ke saath hai, pehle yeh project aage barhe phir hum ghar par kuch kahenge.
Preet: ji bauji dekhte hain prem bhaiya aur heer bhabi aage kya karte hain.
Then finally they leave for office.
Additi's mansion
Additi was anxiously waiting for Heer so that they can go out for shopping, she was walking n was a bit angry.
Finally Heer entered, n says: sorry i'm late, Additi gives her an angry look.
Heer bends down n says: additi bohot gussa hai apni mama se?
Additi angrily looked at Heer with folded arms.
Heer holds her ears n says sweetly: sorry!
Additi smiles n hugs Heer.
Mitali: dono maa beti ajeeb ho, jitni jaldi rooth jati ho utni jaldi maan bhi jaati ho, ab agar yeh milap ho gaya ho to chalen mall?
Additi gets excited n holds Heer's hand.
They all leave for mall
Shopping mall
Kulraj, Meher were there earlier than Heer so they took kids to rides, then they had lunch, now were having icecream n Kulraj n Meher were doing shopping for their husbands.
Meher holding a perfume n said: kulraj dee yeh kaisa hai preet ke liye? shirts uske paas bohot hain to socha ke is baar yeh le loon.
Kulraj smells n says haan yeh bohot acha hai
Meher: aap nahin loge kiran jiju ke liye?
Kulraj: kiran to khud kaam se bahar gaya hai to shopping to use karni chahiye mere liye.
Kids were getting bored, Avi roamed around in shop n saw a sweet girl of his age standing with two women.
It was Additi with Heer n Mitali, they were also done with rides n lunch n now were doing shopping, Kids didnt met each other while having rides n lunch but in shop Avi n Additi saw each other.
Additi smiled at Avi, went upto him then with a tissue she removed icecream from Avi's face (area near his mouth)
Then Additi went away, Ayush came running n said to Avi: kahan the tum? main tumhein dhoond raha tha.
Avi: bhaiya main us larki ko dekh raha tha
Ayush: kaun? kahan?
Avi: woh dekho jo pink dress mein hai.
Additi was going away n Ayush saw her from back.
Ayush: woh to chali gai aur ab tum bhi chalo.
Brothers went away
Additi was having icecream, holding Heer's hand n was walking with Heer n Mitali.
Suddenly elders stopped.
Meher, Kulraj with kids were standing infront of them.
All elders were shocked to see each other as this meeting for them was very much unexpected.
Kulraj, Meher looked at sweet little Additi with love, Heer was shocked to see Meher n Kulraj she tried to behave as if nothing happened n showed no reaction to kids. Mitali looked at Heer n tried to understand her inner feelings. Additi smiled at Avi, Avi whispered in Ayush's ear: "yeh wahi larki hai" ayush: "ssshhhhh"
Then Heer holding Additi's hand moved her in opposite direction n left mall.
Precap: Heer's interview is telecasted on a news channel n it is watched by Juneja family. What will be Gaya3's reaction? Will Meher tell Preet abt meeting Heer at mall? Keep waiting for next update.