Hey Guys..am back with an update..hopefully u all will like it.
Heer reaches her room,all sad for obvious reasons.She closes the door behind her and tears roll down her cheeks.She closes her eyes for few seconds and when she opens them her eyes fall on the photo frame with a flower maala on it,she is not able to take it,she runs to the pic and drags the whole flower thing and just throws it away.Now she is angry,angry on who she doesn't know.May be her fate,may be on time and may be just may be on Prem.PREM! because he left her without notice when they had dreamt of a beautiful life together,the one which would be full of happiness and laughter.But now all she has been reduced to, is tears and sadness.
Heer just stares at the picture,and starts talking to herself,
Heer:Aisa kyun kiya tumne?maine sirf ek sapna hi toh dekha tha, ki hum ek saath zindagi bitaayenge..ek saath humare zindagi ko savaarenge..aur tumne kya kiya??mujhe woh sapna dikha kar yun beech mein hi chodkar chale gaye..gaye bhi toh aise ki phir kabhi laut kar nahi aaoge??kyun Prem aakhir kyun??agar aise jaana hi tha toh mujhe mile kyun?kyun duniya walon ke saamne mujhe apnaya?kyun mujhse woh waade kiye?kyun ek umeed dikha kar usse bhi thod di?pehle maa-bauji ka sahara mujhse cheen li gayi..aur..(sobbing)..aur ab tum..mein akele kaise sambhaalungi yeh sab?mujhse yeh sab bardaash nahi hota..mein itni mahaan nahi hoon jo sabko sambhal saku..(now crying out loud)..laut kar aajao Prem..pls..yeh sab ek boora sapna samajhkar mein inn sab baaton ko bhool jaungi..tum ek baar laut kar aajao(saying so she just collapses on the ground..crossing her hands on her chest..crying inconsolably).
It's a new day at the Junejas..everyone gathers one by one at the dining table for breakfast,Harmann as usual ready for office,Preet is also ready,Meher is placing food on the table,soon Heer,Lalit,Kulraj and her husband join them at the table.Harmann is talking something about the office work,but none are bothered by it.
Harmann:Bauji,mein soch raha tha ki mein woh incomplete project ko takeover karlu jo Prem bhaai sambhalte the
As soon as everyone heard Prem's name,they stared at Harmann.
Lalit:(sighs)teek hai beta jo tum teek samjho.
Preet:Bauji mein aaj se job join kar raha hoon,jo PB ne mere liye recommend ki hai
Lalit doesn't pay any attention to Preet's conversation.Instead continues to talk with Kularaj and her husband
Lalit:Damaad ji,mein chahtha tha ki aap aur Kulraj,zara shaadi ke tayyari mein humari madat karen,Harmann agar office pe dhyaan de toh achcha rahega..waise bhi aajkal company boori phase se guzar rahi hai..aur mein nahi chahta ki humari kuch aur luksaan ho,haan..agar Prem hota toh woh alag baat thi,lekin ab sab hume hi dekhna hoga(he has glint of tear in his eyes when he took Prem's name)
Kulraj:Bauji!! yeh bhi koi kehne ki baat hai?hum sab sambhal lenge,aap chinta mat kijiye,aap sirf maa ka aur apna dhyaan rakhiye
Kulraj's Husband:Haan Bauji,Kulraj bilkul teek keh rahi,aap chinta bilkul mat kijiye,hum hain yahan sab sambhal lenge
Lalit:Thanks beta
Preet:Bauji..mein job ke saath saath,humari office mein bhi kuch part time help kardunga..aap phikar mat kijiye
Lalit again ignores his son,it seems as though Preet is invisible to him.Heer notices the tension between father and son duo so she steps forward near Lalit,places her hand on Lalit,
Heer:Bauji,Preet bilkul teek keh raha hai,usse bhi office mein experience mil jaayega,aap phikar mat kijiye
Lalit couldn't ignore Heer
Lalit:Nahi Heer,tum kuch mat kaho,mujhe kiski help leni chahiye mujhe pata hai,mein nahi chahta ki kisi ki manoosiyat(unluckiness),kuch aur bigaade.Ab jo kuch bhi hume dekhne ko mil raha hai usse hum bardassh nahi kar paa rahen hain,mein aur dukh nahi jhel sakta.
Heer:Bauji,agar aap hi aisa kehdenge,toh Preet ki himmat aur bhi toot jayegi.Aapka aashirwad agar uske saath raha toh woh bhi kuch kar dikhayega na.Sochiye,agar Prem ko yeh pata chalta ki uski gair haazari mein Preet ko aapne apnaya nahi,toh usse kitna boora lagta,pls Bauji Prem ke khatir..
Preet gets up and comes to his father to take his blessings with folded hands and kneels down near his father's feet
Lalit:Heer..tum bilkul Prem ki tarah baat kar rahi ho..tumne uska naam liya isiliye mein isko aashirwad de raha hoon.(Saying that he just places his hand on Preet's shoulders for a sec and takes it back)
Preet:Thank u Bauji..thank u bhaabhi(getting up,he has tears in his eyes but yet a faint smile towards his bhaabhi)thank u.
Heer:Preet!thanks kehne ki koi zaroorat nahi hai.Thode din jaane do,Bauji khud tumse baat karne lagenge(smiles)
Everyone starts having breakfast,when a chirpy Veera runs to the table in a hurry.
Veera:Bauji..aaj kuch dress aur jewelry designers aa rahe hain..toh mein soch rahi thi ki agar aap mujhe kuch cash de dete toh achcha hota
Everyone is a litlle taken aback,at the sudden mention of dresses-jewelry and ofcourse designers.But without noticing that Veera continues
Veera:meine unn logon ko phone kar diya hai,woh log shaam tak aajayenge aur hum sabki dresses bhi select kardenge,teek haina
Lalit:beta..designers ki kya zaroorat hai..kisi local shop mein jaake shopping karlo.Kulraj bhi tumhare saath aajeyegi.
Veera:(surprised and amused)Dad,aap yeh kya keh rahen hain,Rishabh ne toh shaadi ki saari tayyari karli hai,aur waise bhi mein kisi local shop mein jaake shopping kyun karne lagi,shaadi toh grand scale mein karne ki decision li gayi thi na?
Lalit:haan beta,mein maanta hoon ki shaadi grand scale mein karne ki sochi gayi thi..lekin woh tab ka that jab Prem tha..aur ab..aur ab toh kuch company mein bhi problems chal rahi hai..toh meine socha ki kuch karch kam karlen
Veera:Par dad..it's so unfair..so unfair dad..Prem bhaiyya ne mujhse promise kiya tha ki woh meri shaadi bilkul Kulraj di ki shaadi ki tarah karvaayenge,lekin ab aap yeh keh rahen hai ki mein karch kam karlun?kaise?Rishab sab ke liye itne expensive gifts de raha hai,aur aap chahte hain ki mein Veera Juneja,karch kam karlun??
Lalit:Meine kaha na,shaadi dhoom dhaam se nahi hogi..aur yeh mera aakhri faisla hai,mein Rishabh se baat karloonga
Veera:Oh come on dad..ab aap usse request karenge??woh hamare baare mein kya sochega?
Everyone have been only silent viewers,just staring at Lalit-Veera simultaneously.But finally Heer speaks up
Heer:Veera,tum phikar mat karo..tumhari shaadi mein koi kami nahi rahegi,jo tum apni shaadi mein karna chaaho woh kar sakti ho,bilkul jaise tumhare Prem bhaiyya ne kaha tha
Everyone now stare at Heer shocked
Lalit:Heer!yeh tum kya keh rahi ho?yeh sab nahi ho sakta..hum ab yeh sab afford nahi kar sakte..yeh baat jitni jaldi Veera samajh jaaye utna hi achcha hoga
Heer:Jab yeh sab ho sakta hai,tab samjhne ki baat hi nahi aati na bauji..aap phikar mat kijiye..mein yeh sab dekhloongi
Lalit:magar?(he is stopped in between by Heer)
Heer:bas meine kaha na..mein yeh sab dekhloongi,sirf aap mujhse yeh sab poochiye mat.Veera?ab toh khush ho na tum?
Veera:yeah(saying so she just leaves the table as soon as possible without even saying a thank u to Heer)
Heer just smiles faintly towards eveyone and tells everyone to start having their food.She goes to get Gayathri to bring her to the table to have breakfast.In Gayathri's room
Heer:maa,chaliye..neeche sab breakfast kar rahe hain..aap bhi aajayiye,saath mein khaate hain
Gayathri:Beta mera mann nahi kar raha,tum jao..mein baad mein aajaungi
Heer:nahi aap abhi chal rahin hain
Seeing that Heer is not going to budge,Gayathri steps down from her bed..
Heer:Maa,neeche jaane se pehle,mein aapse kuch baat karna chahthi thi.
Gayathri:(all weak)haan bolo,kya baat hai?
Heer:Maa agar mein koi aisa phaisla loon,jo ki baad mein aapko ya buaji ko pasand na aaye..toh kya aap mujhe maaf karenge?
Gayathri:(surprised by the question)yeh sab kya keh rahi ho Heer?bhala tum kabhi galat ho sakti ho?
Heer:mein aapse pooch rahin hoon maa
Gayathri:yeh sab baatein chodo,tum jo kuch bhi phaisla logi.usme hum tumhare saath rahenge
Heer:thanks maa,chaliye
After their lil conversation they leave the room for breakfast.
Later that day,the designers arrive and Veera has selected all exquisite dresses and jewelry but the rest of the ladies prefer very simple ones,the bill is payed by Heer while everyone is staring at her with loads of question in their eyes,as to from where Heer got so much money to pay all the bills.But since she had requested everyone not to ask her questions everyone kept quite.Couple of days go by,at office ofcourse Harmann is trying his best to finish the project and figure out where something is going wrong?Preet is juggling with his new job and his own company,but even Harmann seems to have ignored him all the while,which makes Preet sad,but lucky him he has Ash and Heer for tremendous support all the way.Veera as usual has been stubborn at stuff,Meher is keeping herself far from everything,specially from Harmann,whenever he tries to communicate with her,she draws herself back.
Finally the wedding day arrives,the baarat comes ofcourse the wedding happens without any hazzle,Prem is being missed by everyone,the most by Heer-Gayathri-Lalit-Preet..but they just keep a simple smile on their face only for the baraatis(groom's side).The bidaai is taken place,Rishabh as usual has that weird smile on his face as though something fishy is running through his mind,but no one notices it as usual.Everyone bid bye to Veera.
The reason why I finished Veera's marriage without much description is becasue first n foremost I don't want to keep showing her evil side,and secondly I want to move the FF a lil faster..hope u guys got what I wanted to tell
Ok guys,this is it for the week I guess..will update sometime next week..and hopefully I'll move a lil faster with this FF.
Next update is going to be a lil about Veera and how it is after she is married.Sorry for those who are expecting Prem to come soon in the FF.
Do leave ur comments,becasue it matters the most!