Wah I was wondering why Milind was angry about the new Kurta... (btw you sooo want him to have new Kurtas, don't you?😆). Now I know... But how could he think like that about Prachi... But I see Milind was in that state of mind where he hasn't trusted Prachi's sincerity towards him and his family at all.. I can't wait to catch up to part 11!😊😊
Now part 7 and especially part 8 seems so intense... I'm curious😕
"Aap ney Ayesha ko dekha maa?"
" Abhi to yahin thi Milind key saath…dekho beta yahin kahin hogi"
"Kyun bulaya tuney mereyko yahaan Ayesha?"
" Tuu phir sey us Prachi key liye pagal ho gaya na Milind" …. " fiker honey lagi hai na tereyko uski, lekin tuu samajhta kyun nahin keh who sab uska natak hai".
" Dekh Ayesha who natak karey ya mereyko bewaquf banaye lekin sach to yehi hai keh Baba uski wajah sey theek ho gaye hain or main nahin chahta keh teri wajah sey unko koi takleef puhunchey"
" Tereyko lagta hai main Baba ko takleef puhunchaungi Milind?"
" Main kabhi tereyko takleef nahin puhuncha sakti Milind ..main to terey se pyaar kerti huun , phir main kaisey chahungi tera bura"
" Ayesha baat ab sirf teri nahin mujhey ab baba ko sanbhalna hai…or agar who mujhey Prachi key saath khush dekhna chahtey hain to yehi sahi…aakhir who meri patni hai or uski taraf bhi meri koi zimmedari hai".
"Tereyko sirf apni zimmedari yaad hai or main …" "Kya tuu us Prachi key liye mujhey bhuul gaya hai Milind? Kya tuu who raat bhi bhuul gaya jo hum ney saath guzaari thi…who nazeeki who apnapan …sab kuch bhul gaya hai kya tuu?"
"Us raat jo kuch hua who sirf eik ghalati thi Ayesha or kuch nahin…..or us baat key liye main apney aap ko kabhi maaf nahin ker sakta…..lekin is ka yeh matlab nahin keh mujhey ab bhi teri chah hai Ayesha……haan teri parwah zarur hai lekin pyaar nahin"
"Tum itney gir jaogey yeh mainey kabhi socha bhi nahin tha Milind .."
"Tumhain kiya laga Milind keh tumhari is ghatia harkat ka kisi ko pata nahin chaleyga….lekin ab main chup nahin rahunga, main Prachi ko tum dono ki sachai zarur bataunga…."
"usey bhi to pata chaley keh uska pati us ki kitni parwah kerta hai. Arey mainey to socha tha keh tum Prachi sey pyaar kertey ho, usey mujh sey zyaada khush rakhogey lekin tum….arey tum to kisi ko khush dekh hi nahin saktey to phir kaisey khayaal aata tumhain Prachi ka….socha nahin tum ney eik baar bhi keh uskey dil per kya guzreygi yeh sab jaan ker….jawab do mujhey.."
"Roz sochta huun …….."
" Milind ko dhund rahi haina tuu…woh nahin hai yahaan"
"Woh chala gaya hai or ab main usey teri zindagi main wapas kabhi nahin aaney duungi…yeh yaad rakhna tuu"
"Eik aur"
" Sir aap pehley hii buhut pii chukey hain"
"Terey paison kii pii hai kiya saaley"
"Kitney paisey chahiye tereyko…yeh ley "
"Jaisey aapki marzi sir,"
"Matlabi saala"
"Sau dard hain , sau raahatein
Sab milaaaa dil nasheeeeen ik tuuuuu hi nahiin
Sau dard hain , sau raahatein
Sab milaaaa dil nasheeeeen ik tuuuuu hi nahiin.
Rukhi rukhi sii yeh hawa or sukhey pattey ki tarah
sheher ki sarkon pey main laawaris urta hua .
Sau raastey per teri raah nahin.
Sau dard hain , sau raahatein
Sab milaaaa dil nasheeeeen ik tuuuuu hi nahiin"
Ab to dard ka ehsaas bhi khatam ho gaya hai , log kehtey hain pyaar main dil jalta hai , per apni to saali yahaan duniya hi jal gayi
" Tum yahaan? Milind ko dhund rahi thi ..na jaaney kahaan chaley gaye hain…kuch bataya bhi nahin."
" Tum pareshaan mat ho yahin kahin hoga, main dekhta huun"
"Sanbhalo apney pati ko"
"Yeh sab kaisey hua? Aap kahaan gaye they? Malum hai main kitna pareshaan …."
"Main terey qaabil nahin huun Prachi"
" Main terey sey buhut pyaar kerta huun ….Prachi…..tuu meri zindagi hai…us Ayesha sey to sirf badla lena tha mujhey……terey bina main jee nahin paaunga……Prachi".
"Main bhi aap sey buhut pyaar kerti huun…."
❤️❤️❤️❤️❤️