Chalo aj mood hua so I will write a one shot on Adya.. (fictional) .. imagine karke khush hojana sab 😁
Adhi got to know the evil plans of Giriraj and Omi as he overheard his father talking to Pandeyji about Adhi's name to be permanently cleared from police record as he will now become pandey's son in law,
Giriraj : Pandey ji ap nishchint hojaiye, ab wo kachuva Bansal nahi ayegi hamare bete ki zindagi me wapas, itna dara diya hai humne usko ke wo apne pyaar ki jaan bachane ke liye apne pyaar se hi door ho chuki hai
Pandey : ye baat par hum tab tak vishwas nahi karsakte jab tak Adhi hamari beti Radhika se shaadi nahi karleta
Giriraj : krlega, itna dard me hai hamara beta ke ab kavya ko jalane ke lie kisi se bhi shadi karlega, aur jo khel hamari Radhika bitya ne khela hai malini ko bachane ka uske baad to Adhi usko kabhi nahi chodega
Pandey : hume us ladki par bharosa nahi hai, bahut shatir hai, dekha nahi hamare illegal sharaab ke dhande ko kaise band karwadiya, agar usey kahin se saboot miljaye to?
Giriraj : kuch nahi hoga.. Adhi ke naam ki sirf dhamki se hi darjaegi wohh, jaise pichli baar sauda karne per majboor krdiya tha humne ke Adhi se door hojaegi to usey chudwa denge bas waise hi koi Adhi ke naam pe dhamki dekar roklenge.. wo kya hai na, bahut pyaar karti hai Adhiraj se aur yehi uski sab se badi kamzori bngayi hai uske liye
(Giriraj gave an evil laugh with satisfaction, while Adhi who was listening to it by standing at the door was full of tears, he felt something piercing his heart, a pain he never felt before)
Adhi: (crying to himself)Kavya ne hume bachane ke lie?
(Adhi Unable to believe what he just heard)
Adhi : humne tumko kya kuch nahi bola Bansu, aur tum?
(Adhi without revealing his presence left from there silently. he came back to his room and saw the wedding invitation with his and Radhika's name on it..)
Adhi : ye humne kya kardiya Bansu? Ye humse kaise hogaya, hum tumko galat kaise samjh bethe?"
(Cried Adhi holding the card..)
Malini hurriedly entered Adhi's room with a letter in orange envelop..
Malini : Adhi ye dekho, pata nahi ye hamare pass kaise aya, kavya ka letter Adhi..
(Malini said in a worried tone.. Adhi snatched the letter and opened it.. and started reading it)
"Sorry malini anty hum apki aur bezzati nahi karsakte lekin hum Adhi ke pass wapas bhi nahi aa sakte, uski bhi ek badi wajah hai, please aap humari baat samjhiye, hum apki bahut izzat krte hai and Adhi se bahut zyada pyaar bhi lekin hum dono ke beech rishta Adhi ke liye khatra bansakta hai, please Adhi ke liye, uski madad kijie hume bhoolne me"
Adhi was drenched in tears on realising what Kavya did was only for him and he couldnt read his kavya, his Bansu's eyes, instead he told her extreme mean words trying to hurt her more, he cried inconsolably while malini held him for support,
Malini: Adhi kya hua hai batao hume, kya matlab hai in sab ka?
Adhi: ( in between his sobs) Maa Bansu ne sirf hume bachane ke liye hum se doori bnayi, apne apko bura bnaya, sirf humare liye maa
Malini : hume kuch samjh nahi aaraha, kya bolna chahte ho?
Adhi narrated the whole overheard conversation to Malini..
Malini : ab kya krna hai Adhi, tumne usse saarey naate tod diye.. aj tumhari aur Radhika ki shadi hai
Adhi : Maa Radhika bhi is jhoot ka hissa hai, in sab ne milke humko humari bansu se door kiya hai
Malini : Tum Kavya se baat krke dekho beta, hum dekh kar atey hai ke kya karna hai
Adhi : Nahi maa, hum kavya ke gunahgaar hai, usse maafi mangne ki bhi ab humari aukaat nahi rahi, hum uske pyaar ke etebaar ke layak nahi rahe maa
Malini : To kya karoge, Radhika se shaadi karloge?
Adhi : Nahi maa, Radhika Netaji aur pandey uncle ko ab apne gunaho ki sazaa bhukatni padegi, Omi bhaiya ko humara trust todne ke liye sazaa to hum alag se denge
(Adhi looked at the sherwani kept at the table and picked it up)
Adhi: (in a determined tone) maa, jaiye shaadi ki tayyariya kijie.. hum tamashe ki tayyari karke aatey hai
(Everyone gathered for the wedding and Giriraj and pandey stood at a corner celebrating their win, while panditji recited his mantars)
(Kavya entered the hall as she was called by Giriraj to attend the wedding, so that Adhi should believe that she is not effected at all by him marrying to other girl)
Giriraj : (welcoming kavya) arey aiye IAS saheba aap hi ka intezaar tha
(Kavya forced a smile at them and took a deep breath as her heart felt so heavy to carry)
Pandey : Aj kuch Gadbad nahi honi chahiye Miss Bansal.. warna Adhi yahin se jail jaega
(Warned pandey with a evil smile....
Kavya kept quite and looked at the mandap as Adhi came in his shervani and sehra..)
Kavya ( in her thoughts) : "kitni khwaish thi hume tumhe shaadi ki sherwani me dekhne ki, lekin humare sath, kaash tumhari dulhan hum hotey Adhi, lekin koi baat nahi, bas tum khush rehna, hum yehi sochke khush rehlenge ke tum aur tumhara future surakshit hai"
(Radhika came and sat beside Adhi in her bridal lehenga excitedly)
Giriraj : Aiye dulha dulhan se apko milwate hai
(Giriraj signalled kavya to meet Adhi and congratulate him as a final hit on the nail, for which kavya nodded and kept a expressionless face, following Giriraj)
Kavya : congratulations Adhiraj aur Radhika, wish you a very happy married life
(Kavya wished them trying to hold back her tears)
Kavya : Giriraj ji ap jo chahte the humne sab krdia, ab hum chalte hai kuch zaruri kaam hai
Giriraj : (folding his hands🙏)Haan haan aap yahan ayi dhanyavaad
(Kavya forced a smile and turned to leave)
Adhi : Ruko kavya itni jaldi kya hai tumhe jaane ki.. abhi to function baki hai
Kavya : kaash hum ruk paatey lekin humare papa bahar wait kar rahe hoge, once again congratulations
(Kavya smiled at Adhi and again turned to leave but stopped seeing chaddha sir and team over there with police )
Kavya : Chaddha sir aap yahan? kya hua hai?
Chadha sir : kavya hume saboot mil chuke hai... Sharaab ki saari bhattiyaan Giriraj Pradhan aur comissioner pandey ki hai, islie hum yahan inko giraftaar krne aye hai
(Kavya was shocked to hear it, they got the proof which she couldnt find and at last gave in to giriraj's evil demands)
Kavya: chaddha sir aur wo wale saboot?
Chadha sir : haan kavya Adhi ke begunahi bhi isse sabit hojaegi, ab Adhiraj ko koi jail nahi hogi
(Chadha sir gave an assuring look to kavya with a smile, kavya was so happy to know about it, that Adhi is safe and alcohol mafia gang is also exposed)
(In no time Giriraj and Pandey were arrested and taken forcefully to the police van while media covered everything)
Kavya: (to chadha sir) lekin saboot mile kahan se?
(Chadha sir smiled and pointed towards Adhi while he stood from his place and pushed Radhika away)
Adhi : Radhika tum bhi dhokebaaz ho, bahut jhoot bole hai tumne, hume aur kavya ko door karne ke lie tumne jo kiya hai uske liye tumko hum mandap me chodte hai
(Radhika looked at Adhi helplessly)
Adhi : inspector sahab humne humari maa pe attempt to murder ki FIR darj krwayi hai giraftaar krlijie ise (said Adhi pushing Radhika towards the lady inspecter)
(He came forward towards kavya and folded his hands 🙏)
Adhi : (to kavya with his lowered gaze) kuch galtiyo ki koi maafi nahi hoti, aur hum bahut sharminda hai, iske baad shayad hum tumse kabhi nazar bhi naa mila paenge
( he then moved outside as kavya looked at him confused and followed him only to find him approaching papa Bansal)
Adhi: (to Rajeev) Aap sahi the hum apki beti ke layak nahi hai, hum usko deserve nahi karte, kavya ne hume bachane ke lie hume choda tha, aaj hum apne aapko sazaa dene ke lie usse door jaa rahe hai.. humari galtiyo ko nadani samjh ke maaf krdijje, lekin hum kavya ke gunahgaar hai aur aisa gunah kiya hai jiski koi maafi nahi hai
(Kavya and chadha sir looked at each other with confused expression)
Rajeev : (to Adhi) Haan bahut jaldi samjh gaye tum is baat ko, sazaa to tum deserve krte ho, bahut rulaya hai humari beti ko tum aur tumhare baap ne milke, lekin tum agar meri beti se door jaker prashchit krna chahte ho to hum tumko nahi rokenge
(Adhi looked at kavya with his guilty eyes.. )
Adhi : Tum sahi thi hum bahut gair zimmedaar hai bansu, abhi hum jaa rahe hai tumse door aur jab tak tumhe apni shakal nahi dikhaenge jab tak hum kuch ban nahi jatey..
Kavya : Adhi jo kuch hua usme tumhari galti nahi hai
Adhi : humari galti ye hai Bansu ke hum tumhare sath nahi khade rahe, galti ye hai ke hum tumhari ankho ko nahi pad paye, aur gunah ye hai ke humne tumko bahut kuch bola, bure lafz bole bad dua di, tumko hurt krne ke lie kya kuch nahi bola, aur hum iski maafi mange bhi to kaafi nahi hogi, islie sazaa to hum apne aap ko denge, jab tk tumko shakal nahi dikhaenge jab tk kuch acha na krle, kuch bankar na dikhaenge.. uske baad faisla hum tumpe chodenge ke tum hamare sath rehna chahti ho ya nahi, aur tumhare har faisle ki izzat bhi krenge chahe wo hume chodna hi kyu na ho.. ho sake to maaf krdena 🙏
(And Adhi left from there while kavya stood numb staring his way unable to decide what she wants to do)