Ok you guys wouldnt believe but i have tried updating this twice this week but forces of nature..in the form of my evil sister..interrupted. So here you go:
Episode 11- Prema Finds Out About Prem
Bajaj House, the same night. Prerna's room. Prerna is sitting on her bed, going through some files.Sneha walks in. Prerna looks up at her.
Prerna: Sneha beta, tu to bachiyo ko solanay gaye thi na?
Sneha: Mamma, mujhe aap se ek sawal poochna hai?
Prerna: To phir pooch
Sneha walks towards her mother.
Sneha: Mamma, Prema kaun hai?
Prerna (nervously): Kya matlab keh woh kaun hai?
Sneha: Mamma, maine poocha keh woh bachi jo pichley do hafto sey hamaray ghar main reh rahi hai, woh kaun hai? Kyun aap usse apne saath laye?
Prerna: Sneha, beta, woh Tanvi ki dost hai isi liye-
Sneha: Agar woh sirf Tanvi ki dost hai to kyun woh mujhe Mukti ki yaad dilati hai. Kyun woh Prem sey itna milti hai. Kyun uski aankhein bilkul aap ki jaisi hai? Kyun Mamma?
Prerna(wearily): Agar tu jawab jaanti hai to phir mujh se kya poochney aaye?
Sneha: Mamma, main yeh to jaanti hoon keh Prema kaun hai. Par main yeh nahin jaanti keh aap ney hum saab kyun chupaya? Kyun aap ney mujhe nahin bataya? Prem ko nahin bataya?
Prerna: Prem sey door rehna, mera nahin Mukti ka faisla tha
Sneha(angrily): Aur apne usse yeh faisla leyne diya?
Prerna(now getting angry): Main usse Satara main mili thi. Jab mujhe pata chala keh woh zinda hai aur us ki beti hai. Kya karti main usse ghar ley aati?
Sneha: Haan, Mamma. Woh meri best friend thi, aap ki beti, is ghar ki beti, Prem ki Mukti
Prerna(angrier): Aur tu kya bhool gaye hai keh Prem apni Mukti kay liye saari hadd par chuka hai. Tu kya jaanti nahin hai keh woh pyar main kitna paagal ho giya tha..aur main nahin chahti keh Prem Mukti kay pyar ki wajaa sey Prem aur Palchin ki shaadi tootey.
Sneha(bitterly): To kya aap ko pyar sey itni nafrat hai keh aap apne hi betay ki khushiyaan..
Prerna: (now very angry): Khushiyaan? Pyar ney kisse khushiyaan di hai? Pyar sirf dard deta hai, is parivaar main koi bhi pyar kar kay khush nahin raha hai. apne aap ko dekho. Tu ney Sharad sey pyar kiya, us ne tujhe dokha diya. Tu ney Omi sey pyar aur kismat ney usse dokha diya. Kya khushi mili tujhe?
She takes Sneha by her hand and pulls her towards a framed photograph of Kasak hanging on the wall.
Prerna(now with tears in her eyes): Dekh apni behen ko. Is ney bhi to pyar kiya, kya mila isse? Jaan chali gaye meri bachi ki. Tujhe pata hai jab bhi is ki yeh picture dekhti hoon, main kosti hoon us paal ko jis paal usse pehli baar pyar hua tha. Agar usse pyar na hua hota to is ghar ki sab se choti bachi zinda to hoti. Meri Kasak zinda hoti.
She now picks up a framed picture of Mr. Bajaj.
Prerna: aur kya tu bhool gaye hai pyar ki waaja sey hi teray ek pita ney teray dooseray pita ka khoon kiya tha. (she steels herself) Nahin maine us din hi apne aap sey waada kiya that, main pyar ko kabhi bhi apne bacho ki zindagi key saath khelne nahin doon gi. Main Mukti ko Prem ki zindagi main kabhi aane nahin doon gi.
Scene 2- Next morning, Prema and Tanvi are in the garden playing one on one football with her red ball. Tanvi kicks the ball really hard and it flies over the hedge and disappears.
Tanvi: does that count as a goal?
PD: No, it doesnt. Pata nahin ball kahaan gaye.
Tanvi: Main le kar aati hoon.
PD: Nahin main chali jaati hoon.
She walks towards the hedge and jumps over it. She sees the ball, its lying on the doorsteps of the outhouse where her mother lived. She picks up the ball and look curiously at the place. A wind suddenly blows, and the half picture of Prem flies from inside the outhouse and lands on her feet. She picks it up.
PD (thinking): Aare yeh to Prem Uncle ki picture hai. (she turns it over) aur yeh to Mamma ki handwriting hai. Par Mamma Prem Uncle sey kab mili.. woh Mumbai aaye bhi nahin. (she places her finger on the jagged ends of the picture) Yeh picture to phatti hui lagti hai. I wonder is ka aadha hissa kahaan hai?
Tanvi(from a distance): PD ball mili?
PD(yelling): Haan, main la rahi hoon.
PD(thinking): Us din Satara main Big P meri ball waapas karne aaye thi, par woh Mamma sey kyun baat karne lagi? Unho nai kahaan tha keh woh Mamma ko jaanti hai aur kal raat Sneha Mausi nai bhi Mamma ko pehchaan liya tha liken koi Mamma ko is ghar main mention kyun nahin karta? Aur Big P pretend karti hai keh main sirf is liye is ghar main aaye kyunki main Tanvi ki dost hoon..
She suddenly remembers that Prem said he used to call someone Basanti
PD: Kya Prem Uncle Mamma ki baat kar rahe thay? Mujhe un sey poochna hoga.
She puts the picture in her pocket, picks up the ball and leaves.
Scene 3. Prem is sitting on his bed, staring listlessly at his files. Prema enters.
PD: Hi Prem Uncle!
Prem(sighing): Tum phir aa gaye?
PD: Haan, Mujhe aap sey ek sawal poochna tha.
Prem: What, now?
PD: Aap Basanti kisse kehte thay?
Prem: Basanti.. main Basanti ek larki ko kehta tha.
PD: Obviously, kissi larkay ko to yeh naam pasand nahin aaye ga.
Prem (smiling at the memory of Mukti): Us larki ko bhi yeh naam pasand nahin tha. She used to yell at me every time I called her that. Actually, she used to yell at me all the time.
PD: Sach?
Prem: Haan, infact, us ney apne pyar ka izhaar bhi ghusse main aa kar hi kiya tha.
PD: Woh aap se pyar karti thi?
Prem(as if talking aloud to himself): More than I could ever understand. Till I fell in love with her. Maine us ka bahut dil dhukaya tha, us ko bahut takleef di, liken har baar us ney mujhe maaf kiya. Aur aaj jab woh mujhe chor kar chali gaye to mujhe pata chala keh maine us ko kitna dard diya. Kitna ajeeb itifak hai na, jab woh meri zindagi main thi, maine us ki kabhi kadar nahin ki, aur jis din woh apni zindagi chur kar chali gaye, mujhe pata chala keh woh hi meri zindage hai.
PD(as if she just realized something): You loved her.
Prem (shaken out of his reverie): Haan?(suddenly realizes he has aid too much) Yeah. Listen PD, mujhe ab bahut kaam karna hai.
He hastily picks up a file and a pen and scrawls his signature on a contract. He signs his name as Prem S. Basu. PD. looks at it.
PD: Aap ney beech may S kyun lagaya?
Prem: It stands for Sharma. Ab go already!
PD walks off, still in shock. She stumbles into a chair. Prem's jacket is draped over that chair and it falls. A pictures falls out from the pocket. Its the half- picture of Mukti. PD stares at it and then bends over it.She looks at Prem, who is staring in space, he has not noticed anything. She takes the half-picture of Prem and puts the two parts together. She turns the picture over and sees the writing. She places her hand on the word: "Forever" and then puts Mukti's half back in his jacket's pocket and puts the jacket on the chair. Suddenly she runs towards Prem and kisses him on the cheek.
Satara- Wind suddenly starts blowing, knocking a picture of Prem from Mukti's hand and making it fall on a framed picture of Mukti and Prema.
Mumbai- Prem looks curiously at PD.
PD: Good choice, Basanti
Prem is confused but before he can say anything. She rushes outside the room. He walks over to the chair, picks up his jacket and pulls out Mukti's picture.
Prem: She reminds me of you.
Scene 4- PD is in her room. She has both the picture of her mother and her, and the half-picture of her father. Kasauti's title music starts playing.
Chahat kay safar main....
Flash of Prem proposing to Mukti in the park.
Dillo kay hosle dekho...
Flash of Mukti falling on Prem's hospital bed and hugging him, when he is hurt and she feels as if its her fault.
Yeh aksaar tooth jaate hai..
Flash of Prem staring at Mukti's picture, unable to believe she is gone.
Kabhi aansoo bahate hain...
Flash of Mukti crying as she stares at Prem's picture, knowing she can never see him again.
Kabhi chalte hain sehraa pey...
Flash of PD, she is sticking Prem's picture to hers and Mukti's picture.
Phir bhi muskaratay hain..
She smiles and looks at the finished picture, of her and both her parents.
Intiha har ghari ki...
Mukti crying and kissing Prem's picture.
Kasauti zindagi ki..
Prem crying and kissing Mukti's picture
Kasauti Zindagi Ki
PD crying and kissing their family picture.
PD(touching Prem's picture): I am sorry, Papa. Main hamesha sochti thi keh aap ko mujh sey aur meri Mamma sey bilkul pyar nahin tha. Liken aaj mujhe pata chala keh aap to meri Mamma sey bahut pyar karte hain, itna pyar jitna maine bhi un sey nahin kiya hoga.
She touches Mukti's picture.
PD: Mamma, aap itnay saal Papa sey door rahi. Aap ko kitna dard hua hoga, na. Sneha Mausi ney kahaan tha kay un ki choti behen thi. Woh choti behen aap hi thi. Jabhi main Sneha Mausi ko un ki behen ki yaad dilati thi.
PD: I promise you, Mamma, main aap ko aapke ghar laa kar choru gi. I promise you, Papa, keh main aap ko aapki Basanti waapas laa kar doongi. Prema aap dono ki aadhoori prem kahaani puri karegi. I promise you.
End of Episode
Hope you liked it.
Please comment.
Next Episode: Prema against Prerna.