i don't have anything interesting to say here, just wanted to make my 700th post!! 😆 😆 😆
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 07 Sep 2025 EDT
NASEEB vs BADNASEEB 7. 6
Generation 5:A new chapter in Yrkkh
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 8, 2025 Episode Discussion Thread
「 ✦ Font-tastic Voyage Graphic Contest ✦ 」
BHAGODI MAIRA 8.9
Anupamaa 08 Sept 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
The ba****ds of bollywood trailer
Originally posted by: Cordelia
thanks for the keen interest guys! 😃
i don't have anything interesting to say here, just wanted to make my 700th post!! 😆 😆 😆
Arey aap sirf 700th post ki baat kar rahi hai!!mainey toh aapka 1000th post parhney ka plan banaa rakha hai!!!😆 😆...waisey aapki chele dikhaayi nahi de rahe hai...kahaa hai owh??..kahi naraaz toh nahi hui na??😊
Arey aap sirf 700th post ki baat kar rahi hai!!mainey toh aapka 1000th post parhney ka plan banaa rakha hai!!!😆 😆...waisey aapki chele dikhaayi nahi de rahe hai...kahaa hai owh??..kahi naraaz toh nahi hui na??😊
kisne mujhe yaad kiya .............. lo main aa gayi
tum log phir shuru ho gaye mere guruji ko satane ............. bahut ho gaya, ab bus bhi karo ...................... guruji ko update karne mein lage rehne do ................ hum tum kisi aur bakra/bakri ko dhoondte hain ......
Originally posted by: Cordelia
love all you guys too, will be posting the next, much longer, part shortly!! 😉
will be waiting for ur update pata hai i was so busy KS ki mein apna office mail check karna bhol gayi and i have a mail from my lead asking for some thing to get that done now i have to face him just now he came i am gone
np i will check again for ur update as soon as i get sweets from him ok love u bye
i know what you mean blackcurrent, KS is a dangerous distraction!!! 😆 😆 😆
Originally posted by: lil_desi_goddes
di.. i know i am becoming impatient but di when can we expect the next part
from u???
😳
i will be posting it as soon as i get back from work my dear, it's saved on my laptop at home! 😉
now i have to drag myself away from my favourite place and back to work.... 😭 😆
kisne mujhe yaad kiya .............. lo main aa gayi
tum log phir shuru ho gaye mere guruji ko satane ............. bahut ho gaya, ab bus bhi karo ...................... guruji ko update karne mein lage rehne do ................ hum tum kisi aur bakra/bakri ko dhoondte hain ......
yay she's back!! 😃 😆
guruji kaam se lautne ke baad update karegi... tum dono please behave while i'm gone!!! 😛 😆
inteha ho gayi intezar ki
aai na koi update aapse..
waiting desparately
😆 that's even better than the original!! 😉
I know it's out of sync with what i usually do but i thought it would be appropriate to write this part from the sole perspective of the mandir's latest visitor...
PART 51
So. Here I am…. no points for guessing why…
…Meri maa tum par bahut yakeen karti thi…
Hamesha kehti mujhse… Jai beta, Maata unhi ko dukh deti hai jisme dukh sehne ke shakti hoti hai… agar Maata tumhe dukh de to tumhe is dukh ko jhelne ki shakti bhi degi…
Jab Maa hame chhod ke chaligayi thi toh maine hamesha unki yeh baat yaad rakhi thi. When my first business failed… when I was looking at bankruptcy and homelessness… I remembered it all, and it gave me strength.
Haan maine kabhi Ranveer ki tarha tumhaari pooja nahin ki, mandir nahi aaya, vrat nahi rakhe, lekin kahi na kahi mere man me yeh thodasa vishwaas to tha ke tum aur meri Maa mujhpe nazar rakh rahe the, shayad mere baare me soch rahe the…
Thoda thoda kar ke maine yeh… yeh Walia Industries khadi ki thi… Walia mansion… bahut paise kamaaliye, bahut bada aadmi ban gaya, lekin kahi koi kami hamesha lagti thi…
Is kami ko bahut nazar-andaaz kiya… bahut se paise, bahut status banaali apne liye, lekin voh kami kabhi puri nahin hui…
Jab bhi kissi ne dhokha diya, jab kabhi koi dukh aaya, toh yeh soch kar chalta raha ke shayad maa ki baat me koi sachaayi hai… agar mujhme dukh jhelne ki shakti nahin hoti toh me kabhi is makaam pe khada hi nahin hota…
Waqt badla, rishtey badle, rishton ke mayne badle…
Aur aaj koi mujhe aake kehta hai ke mujhe apne biwi aur bachche me se ek ko chun na hai…
…
… nahin hai mujhme itni shakti… nahin hai…
Jab Bani ko maine pehli baar dekha… there were no fireworks, na koi dil me ghanti…
…haan… unki aankhon me kuch to tha, a determination… even pride…
Pia aayi… Pia chaligayi… aur mera rishta Bani se joodgaya…
Bahut dukh diye maine Bani ko… kya aaj issi ki sazaa mil rahi hai mujhe? Aaj… jab me uske bina jee nahin sakta… jab mera parivaar pura hone jaa raha hai toh…
Jo sapne maine dekhe the… jo is bachche ke aane se pehele maine aur Bani ne plans banaaye the… voh sab bahut door jaate hue nazar aa raha hai… unhe apne se jodkar rakhne ki himmat nahin bachchi…
Agar me is bachche ko khodoon, aapko apne saamne ek aisa shaks nazar aayega jo andar se toot chuka ho… aur jo khud hi toota hua ho voh kissi aur ko kya jodke rakhega…
Aur agar Bani ko kuch hojaaye toh aapko apne saamne ek aisa shaks nazar aayega jo zinda zaroor hai, lekin jee nahin raha… jo hosh me nazar aayega, lekin hosh me hoga nahin…
Pehli baar mere zindagi me koi aaya jo mujhe samajh saka… mere dard ko apna dard maana… meri khushi main apni khushi paayi…
Uski hassi… uski muskuraahat, uska pyaar… uski chhoti chhoti baaton pe rooth jaana, phir jhat se maanjaana…
Uski… kabhi bachcho jaisi zidd… aur kabhi maa ki tarha mera khayal rakhna… jab meri tabeeyat theek nahin thi to koi tha jo mujhe zabardasti, daant ke davay khilaati thi…
Apne maa ke vajhe se maine hamesha kahin na kahin aap pe vishwaas kiya hai. Aakhir vishwaas hi to hai jo pathar ko bhagwaan ki murti banaata hai.
Aur tumhaari murti me hi maine apni maa ko dekha… apne akelepan me kissiko apne saath paaya…
… Vishwaas ek aisi cheez hoti hai jo ek baar toot jaaye to phir usse jodna bahut hi mushkil ho jaata hai…
…Aaj mujhe voh vishwaas toot tha hua nazar aa raha hai…
Kabhi maine apne liye kuch nahin maanga… Jigyaasa, unke bachche, mera business… ussi main me apni khushi dhoondhta raha…
Aaj kuch maangta hoon tumse, us vishwaas ke saath ke maine apne hisse ke dukh jhel liye…
Agar ye vishwaas toot jaayega toh hamesha dar lagega… ke bhagwaan ko dekhoonga bhi toh voh mere vishwaas ki tarha toota hua nazar aayega…
Mujhe meri Bani aur bachcha dono chaahiye… me dono ko apne baahon me, hasste hue, muskuraate hue dekhna chahta hoon…
Ek baar… bas ek baar me Bani ko muskuraate hue dekhna chahta hoon… hamare pyaar ki nishaani ko uski godh me dekhna chahta hoon… phir jitne bhi dukh jhelne ho jheloonga… uff tak nahin karoonga…
Chaahe kuch hi pal ke liye sahi… lekin yeh khushi mujhe dedo… phir agar badle me meri jaan se keemat chukaani hogi to chukaaloonga… I'm a businessman after all – that… that seems like a good deal to me… a fair trade right?
The tears that have been threatening to break his faade of resiliance fall freely as his eyes and heart plead for one thing only.
His mobile phone rings loudly and seeing Pushkar's number he jolts to his feet running out of the door. The sudden gust of wind extinguishes the lone diya burning at Amba Maata's feet as Jai runs through the heavy rain back into the hospital…
Sorry if it didn't quite work... awaiting your comments guys! 🤗