KTH from the begining - Page 73

Created

Last reply

Replies

764

Views

70.3k

Users

56

Frequent Posters

aromi thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 19 years ago
chimpu complains of headche and BB gives him some medicine. and
starts pressing his head. he suddenly gets romantic and pulls her on
him. just when he is abt to kiss her , she backs out.
it's late night and sujal is standing in the window watching R&G
bldg. wind is blowing heavily and it's a sign of storm. (sujal's face
was equally stormy with so many ex-pressions and memories) aarchi
comes forword to close the window and he stops her.

S : khidki khuli rehne do, aarchi, mujhe tez hawaen bahut pasand hai
A : lekin sujal , bahut tez toofan aanewala hai, aur hawa bhi bahut
tez chal rahi hai
S : mujhe tez hawaon se darr nahi lagta, aarchi,kam se kam toofan ke
aane ka ishara to deti hai, hume sambhalne ka waqt mil jaata hai,
mujhe sannate me behne waali sehmi hawaon se darr lagta hai kyunki
toofan ka pata uske gujar jaane ke baad pehli tabahi ko dekhkar hi
chalta hai
A : tumhe toofan se darr nahi lagta, sujal? (idiot! toofan se pooch
rahi hai, toofan se darr kyun nahi lagta.)
S :(still gazing out of the window) ab nahi lagta. maine zindagi se
sikha hai, toofan se darne se behtar hai uska saamna karna. dard kam
hota hai. (looks at her.) (bravo, Sujal!)

aromi thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 19 years ago
aarchi keeps on looking at him.

next day P goes to jindals to sell his office who tells him that
there r two buyers for the property. just then a man, mr. Kaliya
comes. he says that he can give only 10 crores for the property. P
refuses saying it's too low. they wait for another buyer and Grand
Entry. SUJAL. P is shocked to know that sujal is another buyer and
keeps staring at him all wordless.

aromi thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 19 years ago
26 th feb 04....
bunder is waiting for second buyer and sujal takes a very graceful
entry. p is angry and speechless to see him. after some time he
controls himself and says that he wants to sell the property to mr.
Kaliya. sujal smiles at his decision and

S : piyush, main tumse business karna chaahta hoon. pure business.
Agar tumne ye property mr.Kaliya ko bechi to tumhe ghaate ka saamna
karna padega. Aur ghaate ko pura karne ke liye ho sakta hai tumhe apne
building ka ek floor bhi bechna pade. Aur aisa karne se humare kad me
jo faasla hai wo kum ho jayega. (shows a little distence by his
fingers to show the difference.) isliye soch lo main usse dugni
keemat dene ko tayyar hoon. 20 karod.
P : 20 karod kyun? Tum isse ek karod zyada yaane 11 karod me bhi
kharid sakte ho.
S : 11 karod, property ke liye aur 9 karod us khushi ke liye jo mujhe
is property ko haasil karke milegi. Aaj tak tumne to sirf mujhse
cheena hi cheena hai, lekin ab mujhe cheenne ka luft uthane do. Tumne
to mujhse chhal karke cheena tha, main keemat phenkkar tumse le rahan
hoon.
P : tab to main ye property mr.Kaliya ko hi bechoonga.
S : piyush, bahut dukh ho raha hai na, is property ko bechate hue.
lekin zara socho. socho agar tumhe apne office ka ek floor bechana
pade..
P : tumne R&G group ko samaz kya rakha hai?(sujal ke bina bache sarre
pagal aur idiot logon ka group). aise 100 ghaate bhi ho jaye na tab
bhi hume koi fark nahi padega.(dekhate hai. wo din bahut zaldi
aayega). Ek baar nuksaan hua to kya? Dusari baar munafa bhi ho sakta
hai. (lagta hai acting aur ramance ke saath ab is bander ko counting
bhi sikhani padegi. this was 3rd time he lost to sujal 1st was josh,
2nd was V day and now this property. and why he thinks , sujal will
take so much time to beat him? agar sirf teesri baar hi ek floor
bechne ki naubat aayee hai , to 9 floors bechane me kitna waqt
lagega?)
S : bahut naadan ho tum ,piyush. business karna nahi jaante. (kaise
jaanega? teen saal to tumne akele ne sambhala hai na? aur ye chimpu
jabse waapas ayaa hai tabse, BB ke pichhe bhagne ke siva isne kiya
kya hai? aur shadi ke baad to BB ke saare faisle hi to maanta aaya
hai.iski akal dikhi hi kab? sorry, i forgot. jab akal hai hi nahi to
dikhaega kahan se?) Aaj agar tumhe ghaata hua, to tumhe funds ki
problem hogi, aur agar funds ki problem hui to wo din door nahi jab
tumhe ek aur ghaate ka saamna karna padega aur...? meri raay mano yeh
property tum mujhe bech do. (tum apne baare me socho na. chimpu ko
business sikhane ki kya zaroorat hai? apna waqt kyun barbaad karte ho
uske pichhe?) (P is pissed off.)
P : mr. Kalia aap ka price jo bhi hai, wo property main aap ko
bechna chahta hoon.
Piyush is abt to sign the contract.
S : ek baar phirse soch lo, piyush.(P looks at him) main tumhe
chetavani de rahan hoon, piyush. tumhe bahut bade nuksaan ka saamna
karna pad sakta hai.
P signs the papers and gives back to mr. Kaliya and looks at sujal
with a challange and sujal smiles sarcastically.
mr. Kaliya is leaving the office and Sujal stops him.
S : mr.Kaliya, aap mujhe 11 karod me ye property abhi bech rahe hai
na?
P looking at him unbelievablly and sujal returns a steady look.
(chimpu, ise kehte hai business karna.)
mr.kaliya : aap mazak kyun kar rahe hai, sir? ye aapki hi to property
hai. ye rahe kagzad. (gives the papers to sujal)
S : (takes the papers in his hand and)aap ja sakte hain. (kaliya
leaves and sujal faces P) dekha piyush,(sujal clips his fingers.
chutki bajani aati hai aapko, mr sujal garewal? good. lekin ye chutki
uske chehre ke thik saamne bajani thi na. door kyun?) kis tarah ek hi
pal me puri zindagi aur duniya yoon badal jaati hai. tumhe is
property ke mil rahe the 20 karod aur maine ise 11 karod me kharid
liya. yaani tumhara 9 karod ka nuksaan aur mera 9 karod ka fayda. Aur
saath me khushi bhi meri. kabhi kabhi apne dushman ki raay bhi maan
leni chahiye, Mr. Piyush Raheja. kaun jaane kabhi kaise fayda ho
jaaye.(smiles turns to go , again turns to P) and by the way,
piyush , aaj ke baad tum haarne ki adat dalo. Kyunki meri zindagi me
ab sirf do maksad hai :1. tumhe business me barbaad karna aur 2.
tumhari zindagi ko tabah karna.

aromi thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 19 years ago
gives cimpu a hard and challenging loog and a winning , sly smile and
leaves. P is dumbfound.

K is serving dinner to elders. CG appreciates her cooking. P comes
there and tells that once again he lost to sujal. as sujal spoilt the
deal coming over there. vasu creates hangama over sujal's behavior
and veena leaves unhappily. (cimpu zooth achcha bolta hai? after all
vasu ka ek gun to hoga hi na bete me. agar himmat thi to bata deta
na , ki khudko ullu kaise banaya? lekin phir sujal pe blame kaise
jaata. sab log to ispar hi haste aur samaz bhi jaate ki , business ke
mamle me unka laadla piyush beta abhi tak bachcha hi hai.)

chimpu couple goes to veena. and she says soory to him.(what for?
gadhe ko business karna nahi aata aur ilzaam sujal pe daal raha hai.
lagta hai ye sorry chimpu ke future ke liye thi.) P consoles her when
she says that she is worried for sujal as while destroying others ,
he is destroying himself too. K ia watching it silently with tearful
eyes.

P is sitting in the drawing room with 'latka hua face.' (aaj kal ye
acting achchi aati hai chimpu ko. chehre pe hamesha baara baje rehte
hai. keep it up. kyunki, isne achchi acting ki koshish bhi ki, to
ekta ko KTH band karna padega.) BB comes there and tries to console
him by saying that some or other day they will beat sujal. ( this
time i feared that BB will again start over bharosa, saath, vishwaas.
lekin nahi, BB ko to taras aa gaya hum pe. lekin wo kami chimpu ne
puri kar di.) P says that he fears of letting down the family who
trusts him.(K chose different topic for today's lecture by giving
examples from history that how good wins over bad. real daughter of
professor. subjects ki koi kami nahi.)

aromi thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 19 years ago
sujal is again staring at R&G office bldg from his office. aarchi is
happy and gives sujal a glass of champagne. he takes it without even
one look to her and takes a sip. then calls somebody and asks to
build one more floor over his office. aarchi tries to say something
but he stops her. aarchi keeps her hand on his shoulder and he moves
away. just then his cell rings. aarchi takes it and is pissed off.
it's K. sujal asks her who it is and she says : kashish...
he turns swiftly. for one sec, sujal is unable to believe his ears. a
complete shock on his face for an unexpected thing. he takes the cell
from aarchi and original sujal is back.

S : (looks suspecious and excited at the same time) tumne galati se
mera number dial kiya hai, aainda aisi galati mat karna. (he is abt
to disconnect. just then..)
K : don't worry ,sujal. doobara aisi galati nahi hogi. Main tumse
milna chaahti hoon.
S : mujhse? (ab kya hai? koi naya tamasha?)
K : haan, tumhise. kal dopahar, 1.30 baje, club me
S : tumne wakai mujhe chonka diya hai, kashish. lekin agar milne ki
wajah tumhari hai, to milne ki jagah meri hogi. mere aur piyush ke
office ke beech me jo lane hai, jahan se hum dono ke offices amne
samne nazar aate hai, main tumse wahin miloonga.
K : theek hai. main tumse kal wahin miloongi.

Sujal disconnects the phone. aarchi , by the time , is out of her
mind. sujal is lost in thoughts. when..
Aarchi : tum kashish se milne nahi jaoge, sujal. (kyun pareshaan
karti hai use. )
sujal gives her irritating look.

S : aarchi, meri zindagi ke faisle karne ka haq maine kabhi apne baap
tak ko nahi diya. Yeh haq sirf mera hai.
Aarchi: is ka matlab , tum phir kashish se..
S : daro mat, aarchi. main tumse shaadi karne ka apna vaada kabhi
nahi todoonga.(she gives happy smile) Aur raha sawal kashish se milne
ka, to main us insaan se zaroor milna chahunga jo kabhi mera pyar hua
karta tha. (kyun ab nahi hai kya? phir kyun us chimpu ke pichhe pade
ho?) dekhana chahoonga ki sab kuchh khatam hone ke baad bhi aisi
kaunsi baat bachi hai jo mujhse kerna chaahti hai.

Sujal leaves the office without looking at her. aarchi is looking at
her when she gets the call and she asks the person on other end to
meet her at 'aqua hall' next day at party.


meanwhile , at sinha house kanan tells mauli to call Ms. B for lunch
as prof has told to do. mauli is happy and agrees. Mehak decides to
prepare lunch and mauli is upset that mehak will prepare food for
rishi.

aromi thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 19 years ago

I'm again reminding THESE UPDATE R FROM YAHOO GRPS..

MARCH 1 04

Ms B comes Sinha house for lunch. while they r having lunch, K spots
the locket in B's chain with alphabet "R" and is surprised and asks
abt it and ms B replies that it's the memory of somebody whom she
loved but that person cheated her and she has kept it to remember how
he cheated her. K is not convinced but leaves saying she has to meet
someone. (one more comedy may come up. Prof seems to be involved in
Ms B. he was acting like a shy girl who has fallen in love for the
first time. it was looking so funny.) Ms B takes the permission from
sinha to take mauli out the next day.(for rishi's b'day party.)

and now for the scene, we waited throughout the weekend. S-K meeting.sujal stops his car and starts walking towards K who is waiting at
the another end of the lane. he becomes nostalgic and remembers the
way he first told her how much he loves her and another time that is
their raindance on the road. but when he faces her , his face too
cool, eyes directly staring at her. and fireworks starts.

aromi thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 19 years ago
K : yahan kyun bulaya mujhe?
S : (with surprise on his face) ye sawaal mujhe tumse karna chaahiye,
kyunki bulaya to tumne hai mujhe.
K : main ye nahi poochh rahi hoon, ki kyun.."yahan" kyun bulaya
mujhe?
S : wo jaane do. tum batao ki tumne kyun bulaya mujhe?
K : piyush ko pareshaan karke kya mil raha hai tumhe.
S : wohi jo ek bhatke hue rahi ko manzil milne par milta hai, pyaase
ko paani milne par milta hai, SUKOON...,CHAIEN..., piyush ke mathe
par padi shikanj mere mathe par lage har kalank ke dard ko kam karti
hai, uske rone se mera man halka hota hai (his face was as if he is
really happy by it)
K : rona to mujhe tumhari is ghatiya soch par aata hai, sujal. kya
tum ye bhi bhool gaye ho, ki proffessional ethics naam ki bhi koi
cheez hoti hai?
S : (gives her a sarcastic smile as see who is talking abt ethics) jo
log khud human ethics ko bhoola chuke ho , aaj proffessional ethics
ki baatein kar rahe hai , aur waise bhi oon ethics ne mujhe aaj tak
dard ke siwa kuch nahi diya, aur dard sambhalne ke liye mere paas ab
jagah nahi bachi. ab main sirf dard baant sakta hoon, so baant raha
hoon.
K : sujal achchha insaan nahi raha, ye to main pehle hi dekh chuki
hoon, lekin aaj dekh rahi hoon ki, sujal ab insaan hi nahi raha. (ye
khudko samajhti kya hai yaar. Insaniyat ki Devi. jiski zindagi isine
barbaad ki, usse insaniyat ki ummeed rakhati hai. isse bura joke aaj
tak nahi suna tha maine.)
S : (lekin jawab dene me sujal bhi kuch kam nahi hai.) kya karoon?
insaanon ki duniya mujhe raas hi nahi aayee, wahan mujhe sab kuchh
mila, siwa ek insaniyat ke.(his face all hurt, and an accute pain in
his eyes)
aromi thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 19 years ago
K : (confused a bit by pain in his eyes) tumhara gussa mujhse hai na,
sujal. to phir tum...(he stops her)
S : nahi kashish, mujhe tum par bilkul bhi gussa nahi aata , gussa to
mujhe tumpar tab aata tha, jab main tumse pyar karta tha. (a sly
smile) AB JAB PYAR HI NAHI RAHA ..TO GUSSA KIS BAAT KA? (my dear ,
tum kashish se kuchh bhi kaho, tumhari aakhen to kuchh aur hi kehati
hai. tum na kabhi use bhula sakte ho , na khudko rok sakte ho usse
pyar karne se aur na hi hume convince kar sakte ho ki tum ab usse
pyar nahi karte.) ab to sirf ye dekhna hai ki tum khud hi chal kar
mere paas kab aati ho, kyunki main jaanta hoon ki tumhe ek na ek din
mere paas aana hi hai, kashish. (she is bit shocked)
K : tumhara dimag kharaab ho gaya hai, sujal. aakhir tum chaahte kya
ho mujhse? (aa gayee na sahi jagah par. and this was the time, i
liked him the most.)
S :(he points his finger towards her with a clip and directly looking
in her eyes with a complete hatred on his face)'YEH' ...Yeh jo dard
main tumhari aankhon me piyush ke liye dekh raha hoon, usse sau guna
zyaada dard dekhna chaahta hoon. afsos dekhna chaahta hoon tumhari
aankhon me ki tumne zindagi me galat insaan ko chuna.
K : tum kabhi kamyaab nahi hooge sujal.(let's see.) kyunki maine
duniya ke sabse achchhe aadmi ko chuna hai.( pata nahi tha ise bunder
itne pasand hai. warna sujal se pehle bander ko hi bhej dete the iske
paas. sujal to hamesha kush reh pata. yaar, what a two timer she is!)
naaz hai mujhe apni pasand par, garv hai mujhe apne pati par. aur
tumhe kya lagta hai, ki tum piyush ko harakar mujhe paa loge? pyar
karne lagoongi main tumse? (who the hell she thiks she is? and who
wants her to love sujal?)(sujal cuts her in btw)
S : nahi kashish. main jaanta hoon ki tum mujhse kabhi pyar nahi
karogi. AUR MAIN CHAAHTA BHI NAHI KI TUM, MUJHSE KABHI PYAR KARO.
(GOOD. JEETE RAHO , MY DEAR.) lekin main ye bhi jaanta hoon ke duniya
jeetne walon ka saath deti hai, aur phir tumne bhi to wohi kiya. kya
kami thi mere pyar me , kya kami thi mujhme? lekin tumne mere pyar ko
beizzat kiya, gaali di, zaleel kiya use, kyun? sirf apni aur apne
parivaar ki khushi aur shaan ke liye tumne piyush ka haath thaam
liya? sirf is liye kyunki piyush mujhse zyaada kaamyaab hai? sirf
isi liye na? yeh tumhari hi di hui sikh hai kashish, ke na chaahte
hue bhi ye duniya jeetne walon se pyaar kar hi baithti hai
aromi thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 19 years ago
K : bade afsos ki baat hai, sujal, ke tum is baat ko kabhi nahi
samajh paaye, ke pyar taaqat se nahi balki kamzori se hota hai. (ye
pyar ka naya formula hai kya? ) hamesha saamnewale ki kamzoriyon pe
pyar aata hai. taaqat se to sirf dara jaata hai, pyar nahi kiya
jaata. sundar aankhen kabhi kissi ko apna nahi bana sakti. lekin unhi
aankhon se gira ek aansoon, kissi ko aapki oar kheench sakta hai.
pyar us insaan se nahi hota, jo duniya se jeetne ka dum rakhta ho .
pyar us insaan se hota hai jo jeetna nahi jaanta, lekin har din har
pal duniya se ladhta hai, pyar uski har haar par aata hai.( to karti
raho pyar us bandar se. lekin wo to duniya se ladhna bhi nahi
jaanta , sirf apni bewkoofi ko sujal ki chaal kehata hai.) sujal,
insaan hamesha insaan ki kamzori se pyar karta hai, khud ki bhi aur
doosron ki bhi. (ise to lecture ke liye aur ek naya topic mil gaya.)
S : chalo ek pal ke liye tumhari in khokhli baaton ko sahi maan bhi
lete hai. lekin tum bhi to kabhi meri kamzori thi kashish, aur shayad
isiliye mujhe tumse pyar ho gaya tha. MERI ZINDAGI KA SAB SE BOORA
DIN! jiski wajah se meri zindagi veeraan ho gayi, lekin aaj...., aaj
na to wo pyar raha aur nahi wo kamzori. jo sujal hamesha se tootata
aaya hai , ab wo todega.., har us rishte ko, har us insaan ko, jisne
use zakhm diye hai. ab unhe main todoonga.
K : tum sab kuch tod sakte ho sujal,lekin mere us rishte ko nahi, jo
maine agni ko saakshi maan kar piyush ke saath joda hai. koi bhi
insaan piyush aur mujhe alag nahi kar sakta hai, sujal. (ye to
auntiji se bhi badhkar hai. wo kam se kam acting to achchhi karti
hai, ise to woh bhi nahi aata.)
S :nahi kashish. main tumhe alag karne ki koshish bhi nahi karoonga,
main to bas wo haalat paida kar doonga ke tum apne saath pheron ko
bhulakar us insaan ke paas chali aaogi, jisne kabhi saat janmon ke
liye tumhe bhagwan se maanga tha.
K : saat janam to bahut door ki baat hai, sujal, main to tumhare
paas saat pal ke liye bhi nahi aaoongi. tum jitna piyush ko giraoge,
usse kahin zyaada tum meri nazron mein giroge.
S : MANZOOR HAI. AB CHAHE TUMHARI NAZRE MERE LIYE DUA KARNE KE LIYE
UTHE YA PHIR NAFRAT SE ZOOKE...., TUMHARI NAZREN HAMESHA RAHEGI TO
MUJHPAR HI NA KASHISH! (K is wordless) magar piyush ? uska kya hoga?
uska to main wo haal karoonga ki wo khud apni nazron me gir jayega.
is kaabil bhi nahi chodoonga ki tumhara sahara ban sake, tumhare liye
duniya se lad sake, phir tum to kya, uska saaya bhi uska saath chhod
dega, kashish.
aromi thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 19 years ago
K : piyush ka saaya bhale hi unka saath chhod de, lekin kashish unka
saath kabhi nahi chodegi. main marte dum tak unka saath doongi,
sujal. (ye aaj kal bunder couple marne ki baat kuch zyaada hi karne
laga hai. baat kya hai. lagta hai marne ka kafi shauk chadha hai.)
S : yahi to dekhna hai kashish. tum us insaan ka saath dogi, jiske
pairo tale zameen tak nahi chodoonga main, ya phir us insaan ka
saath dogi jo ki kabhi tumhare liye zameen aasman ek kar sakta tha.
K : jab tak aasmaan me bhagwan base hai, sujal, koi bhi insaan,
kissi ke pairo ki zameen nahi chheen sakta hai. wahi bhagwan piyush
ko taaqat denge, tumhare gande iraadon se ladne ki. aur mujhe shakti
denge piyush ka saath marte dum tak dene ki(agar marne ka itna hi
shauk hai to zaldi maro na, sujal bhi chut jaega aur hum bhi).
S : to phir mai bhi usi bhagwan se prarthna karoonga, ke wo tumhari
dua kabool kare aur saath me meri bhi.
K : dekhte hai sujal.(she accepts his challenge and turns to go but
he stops her)
S : tumne mujhe yahan kyun bulaya tha , yeh to maine jaan liya. lekin
maine tumhe yahan kyun bulaya tha ye nahi janongi? ( she faces him)
YEHI JAGAH GAWAAH THI ,PYAR KE EK KHOOBSOORAT AGAAZ KI..., AUR AB
TUM DEKHOGI KASHISH, KI YEHI JAGAH GAWAAH HOGI USKE DARDNAAK ANJAAM
KI....(both staring at eachother with complete hatred)

then K leaves in her car. when she passes by him , his eyes fill with
tears for the relationship that is completely destroyed now. he is
walking towards his car and sees the same boy whom he has given his
coat when sujal and K were walking in rain. he again gives his coat
to the boy but the boy refuses saying there is no rain now .
and sujal replies with tearful eyes, "kisne kaha baarish nahi ho
rahi...,meri aankhon se poocho" (a tear rolls down from his eyes.)

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".