should be done.that he dont like people giving excuses. &his eyes spot
his mother standing at the door,he cuts the conversation&gets up to receive
his mom
sujal:kaisi ho mamma ?
mamma:kya tum khush ho is rishte se?
sujal:kis rishte ne mujhe aaj tak khushi di hai mamma ,kis rishte ne,aur
waise bhi shadi karke kitno ko khushi naseeb hoti hai,zyaada tar log tois
rishte ko samjhote ki tarah nabah dete hai.kam se kam mai ne to yahi dekha
hai.jeevan saathi chahe kaisa bhi ho use chodna adharm kehlata hai ,ab chahe
woh jeevansathi aapko kuch na samjhe,waqt bewaqt aapka haath jhatak de lekin
uska daman pakadkar puri zindagi chalni padti hai. maaf karna.katni
padti hai."
mamma:tumhari zindagi to tumhare hi haath mein hai na.to tum kyon shadi kar
rahe ho,apne dil ke khilaf jaakar
sujal:jab tak dil ki sunta raha ,saari duniya ne mujhe sunaya,kuch bhi
sunaya.,itna sunaya ke is dil ne doosron ke liye dhadakna chod diya,ab yeh
dhadakta hai to sirf jeene keliy...haan mamma, ab maine dil se nahi dimag se
sochna shuru kardiya hai""
mamma :apne baare mein na sahi kam se kam archie ke bare mein to socho
sujal:jaanti ho mamma,jis takleef se mai guzar raha hoon mai woh takleef
kissi aur ko de hi nahi sakta .kyon ki mai jaanta hoon dard kise
kehte hai,.Archie jaanti haike mai use pyaar nahi karta aur shayad kabhi
karunga bhi naiphir bhi wo mujhse shadi karna chati hai(her mamma is
shocked)
mamma:magar sujal?
sujal:mamma,saare haq to mujhse cheene ja chuke hai kya mujhe shadi karne ka bhi haq nahi.
mamma:to kya mujhe haq nahi tumhari maa hone ka,mujhe haq nahi tumhe khush dekhne ka, tumhari parva karne ka. bahot badhe ho gaye ho
sujal,....apni maa se apne haq ki baat kar rahe ho,lekin mai yeh baat bhuli
nahi hoon ki mai tumhari maa hoon,agar us din ghar se jaate hue, mai ne
tumhe nahi roka nahi is ka matlab yeh nahi hua ke mai ne tumhe apni zindagi
se nikaldiya
sujal:agar yeh haq baaqi tha to us roz kyon nahi roka mamma ,kyon apne bete
ko nahi roka
mamma:agar mai us roz tumhe rokti to bhi tumrukne wale nahi the,tum itne
aage ikal chuke hoke tumhe rokna bahut mushkil ho gaya hai.lekin mai tumhe
rokungi,tumhari maa hone ke naate tumhe rokungi,jab tak mai zinda hoon tab
tak mai apnafarz nibhaongi.....sun rahe ho tum (she shakes him )mai apna
farz zaroor nabhaongi"
sujal:looks at his mamma ,who is almost crying)mai kitna bhi door nikal jaon
,kahin bhi rahoon ,kissi bhi haal mein ,magar ek baat hamesha yaad rakhna ke
aap ke aansoon mujhe hamesha rulaenge(he wipes his mamma's tears with his
fingers&hugs her)
mamma :jis aag mein tum jal rahe ho sujal us aag mein,dushmani hai sab usme
jal jayenge ,apne aap ko sambhalo beta"
sujal:sambhal hi to rah ahoon mamma,kya galat kar raha hoon mai. kuch
bhi to nahi..woh...us ghar ko choda hai bas.kya galat kiya hai isme?
mama:koi aur jaane na jaane ,hum dono jaante hai ketum kya kar rahe ho.ghar
wapas aajao sujal. haan..mai sab se baat karungi.mai sab ko
samjhaongi.lekin tum jaldi se wapas aajao"
sujal :haan mamma,mai wapas aaonga,mai ghar wapas zaroor laut ke aaonga,aur
is baar mujhe aane ke liye kissi ki ijazat nahi mangni padengi.