4 march 04
rishi slaps aman for bringing K and her dad there. but aman tells him
that K threatened him to send to jail with Rishi , and he had no
other option but to take her there. rishi is angry with K.
prof and K r leaving when they face sujal and he is surprised to see
them there. K blames him for the way rishi is destroying her family
and sujal is shocked to know that rishi had taken mauli there. K
swears that she won't say a word if he plays with her life but if he
tries to destroy her family then she will destroy him badly.
K and her dad leave, but sujal is out of his mind and fires rishi for
his behavior. rishi tells him that he and mauli love eachother but
sinha family won't let them marry. sujal is angry with K for trying
to rule his brother's life and goes to sinha house.
at sinha house K and her dad fire mauli and try to convince her that
rishi is a bad guy. but she is adamant and says that she will
continue loving rishi and one day will go to him and goes to her
room. sujal is watching all this and asks :
S : aap mouli ko kab tak rok payenge?
everybody looks at him and he continues :
S : aapne jo karna tha kar liya, jo kehna tha keh liya, par natija?
agar mouli aur rishi ek doosare se pyar karte hai, to ek na ek
din milkar hi rahenge. sab log aise nahi hote, ki apne pyar ko daav
par laga de.
K : (points her finger at him) tum apne hadd se zyada badh rahe ho,
sujal. Rishi aur mouli ko khudse aur mujhse compare mat karo. us baat
ko wapas mat leke aao jo baat... (sujal is staring at her finger and)
S : ungli niche karo, kashish. (K is shocked and taken aback by his
cold and murderous voice) tumne pehle bhi mujhpar ungli uthayee thi
tab main chup tha, kyunki, tab mein sachchayee nahi jaanta tha. Lekin
ab mein sab kuchh jaan chuka hoon. isliye, ungli niche karo.( his
unspoken threat brings her hand down) main tumhara naukar nahi hoon
jo tumhari har badtamizi ko bardasht karoonga. Aur na hi wo sujal jo
tumhari galati ko apni galati mankar mafi manga karta tha. jise
tumhare gusse par bhi pyar ata tha. Wo sujal mar chuka hai. agar
tumhe is sujal se izzat leni hai to use izzat dena sikho.
sujal goes to the prof.
S : aur sabki behtari isi me hai sir, ki aap rishi aur mouli ki
shadi ke liye haan kar dijiye. Kyunki, agar mouli rishi se pyar karti
hai to har hal me uske pass pahonch jayegi. Aur use na aap rok sakte
hai, na hi apki beti
Prof is abt to say something but BB stops him.
K : ek minute, papa, inke sawaal ka jawaab to sirf mein doongi.
(faces to sujal and ) Mr. Sujal Garewal, is ghar me rahnewale log
sirf apne bare me nahi sochte. is ghar ki deewaron ki tarah sab ek
doosre se jude hai. lekin tum yeh baat kabhi nahi samaz paoge. kyunki
tum doosaron ke liye jeena nahi balki doosron ki zindagi ko haram
karna jante ho. (hum besabri se intazaar kar rahe hai us din ka jab
sujal is BB ko khoon ke aasoon rulaega. she is crossing all her
limits.) Lekin yahan aisa nahi hai. agar is ghar ki beti koi galat
faisla leti hai, to uska asar sab logon pe hota hai. aur hum aisa
nahi hone denge. Aap apne raay apne pass rakhiye aur jaiye yahan se.
(points at the door)
S : jaanta hoon, tumhare ghar me khada hoon. lekin baat meri abhitak
khatam nahi hui hai, kashish. agar rishi aur mouli ek doosare se
pyar karte hai to unhe koi nahi rok sakta. Aur agar unse koi galati
hoti hai to uske liye pachhtana to hoga hi. Rishi ke liye mujhe aur
mouli ke liye tumhe. Lekin ek baat dhyan me rakhna, kashish, kahin
aisa na ho, ki ek din zyada pachtava oon dono ko ho.
K : haan, sujal, pachtava to hoga. galat insaan se pyar karne
ka aur uske saath rishta rakhna sirf pachtava deta hai, sujal. Sirf
pachtava.
S : pachtana to tumhe padega, kashish, isliye nahi ki tumne galat
insaan se pyar kiya, balki isliye ki tumne galat insaan se rishta
rakha hai (sujal walks out when K is completely pissed off)