hey dear here r some dialogs from sujal diary i like them.
kashish is naam kay manay tu nahi pihchanta magar tum main waqi asi kashish hay ki najanay kyun main tumhari taraf khincha chala jata hon.
main nay kashish say mil kar jana ki pyar kia hota hay, kashish kay roop main mujay zindagi mil gye, jeenay ki waja mil gye.
aaj meri zindagi pyush ki doli main beeth kar chali gye, kashish ko panay ki khuwahish adhuri rih gye.kaash ab yeh dua pori hu ki wo jahan rahay khush rahay.
ghusa hon baghwaan say pori zindagi main aik doosat dia ore aaj usay be cheen liya. pyush chala gya meri borayan saath lay gya ore apni achayyan chor gya. kyun hua asa kyun.
jis kay agay her rang pheeka par jata hay jis ki paru ki payal khushun ko saath lye chalti hay us kashish say koi us ka singaar kasay cheen sakta hay. main us ka yeh sona pan nahi dekh sakta, jin ankhon main sapnay thay un main ansoo nahi dekh sakta. janta hon sab mujay ghalat samjay gain magar is main boraye kia hay.
kihtay hain marnay kay baad dobara janam milta hay, main tu isi janam main phir say jee utha. kashish meri ho gye ab zindagi main ore kuch nahi chahaye siwaye is kay ki kashish ko khush rakh sakun.
kashish OT main hay lakin meri sansoo ka chalna is baat ka saboot hay ki kashish ko kuch nahi hoga.kashish hay tu main hon wo nahi tu main nahi.
seher😳
Edited by seher - 16 years ago