jalal-jodha 😊😊😊
Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread - 2nd September 2025
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 2, 2025 Episode Discussion Thread
ABHEERA IN JAIL 2.9
What’s the upcoming track??
Bacha chor is such an incompetent lawyer🤦♀️
Mrunal Thakur Called Mean Girl
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 03 Sep 2025 EDT
I wanted Abheera’s fate for Akshara
Janhvi Kapoor In Talks For Chaalbaaz Remake
In this gen Cliff wali legacy maut will not happen
Anupamaa 02 Sept 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Real Woman Power Farhana
Finally a beauty queen who is star material!!
Jee Le Zaraa Is Happening
(jalal and jodha gets out of the cottage and tries to find a way out from the jungle...)
Jodha:- shenshah...hum dono to kafi bhitar tak aa gaye hai lagta hai...ab bahar niklne ka marg kaise khojege...
Jalal:- fikr na kare jodha begum...koi na koi rasta nikal hi aayega...aap pareshan mat hoyiye...hum hai na apke sath...
Jodha:- ji...!!(to herself)...isi baat ki to tasalli hai hume ke aap humare sath hai...(she looks at jalal and thinks) is ek din me kitna kuch badal gaya hai...jin shenshah ke sath rehna hume dand ke bhanti lagta tha..aaj unhi ke sath hum surkshit mehsus ker rahe hai...ji kar raha hai ke ye samay kabhi na guzre...bus ese hi tham jaye...per kya sachmuch jo shenshah ne kaha wo use nibhayege...kahin shenshah ka ye roop phir se koi dikhava to nahi...phir se koi shdyantra to nahi chal raha inke dimag me...kahin ye koi khel to nahi...kintu inki aankho me jo sachhai thi use dekhker to esa nahi laga hume...aur humari bhavnaye bhi to shenshah ke liye badlne lagi hai...kya hum unse...nahi nahi...bus ab hum unse ghrina nahi karte...unka sath acha lagne laga hai hume...bus itna hi hai...aur kisi bhi nishkarsh per pahuchana uchit nahi hai abhi...samay ke sath swayam hi hume gyat ho jayega ke humare man me kya hai...(and she nods her head in support)hmmm...(audible)
(jalal was seeing jodha lost in thoughts...he himself was lost in the same thoughts too)
Jalal:- (to himself) (looking at jodha) itna to tay hai ke hume jodha begum ki parvaah hai...aur mogul saltanat ki izzat se jyada hume unki jaan ki fikr thi jab hum yaha aaye...is baat ko ab hum nazarandaaz nahi kar sakte ke jodha begum ki humari zindagi me ek khaas jagah ban gayi hai...aur hum unhe taklif me nahi dekh sakte...lekin kya ise mohabbat ka naam...nahi nahi ye kuch zyada hi ho raha hai...bus hum unse nafrat nahi karte ab...baki waqt ke sath khud hi malum ho jayega...(and he nods his head in support)hmmm...(audible)
(both jalal and jodha makes the last sound simultaneously...)
Jalal and Jodha(at the same time):- aapne kuch kaha...??
Again together:- nahi to...(they laugh at the coincidence...and understands that other was lost in thoughts too)
(they move further in the jungle...but couldn't find the way out...)
Jodha:- kaisi sena hai aapki...ek bhi sainik nahi dikh raha jo hume dhundne aaya ho...kis ko humari koi chinta hi nahi hai...
Jalal:- kyu aapne unhe bataya tha kya ke aap jungle jaane wali hai...aur khabardaar jo apni galti humare sainiko per dali...
Jodha:- humari galti...?? kaun si galti???
Jalal:- wah...keh to ese rahi hai jaise inhe kuch pata hi nahi hai...aap hi to behosh hoker gir padi thi...aur isi wajah se hume yaha aana pada...aur mehel se kauna bhaga tha haan??
Jodha:- thik hai...thik hai...humari hi galti hai na...to hum swayam hi marg khoj lege...aapki koi aavshyakta nahi hai hume...(and she moves away from jalal...jalal holds her hand and she tries to get rid of his tight clutch...jalal were enjoying her struggle smiling but suddenly his expression changes as he sees a person aiming his arrow at jodha...he push jodha behind and comes in front...the arrow hits jalal at his shoulder...it was like a shock to jodha...she holds jalal tightly by shoulder as he was losing his balance... )
Jodha:- shenshah...(worried)😭
(suddenly the arrows started coming from every direction...jalal holds jodha's hand and runs towards a rock nearby to hide...they reach there and hide behind the rock...jodha caresses jalal's forehead as he was sweating...the blood was coming out from his shoulder...jodha removes the arrow with much difficulty very carefully...and ties a piece of cloth from her dupatta at his wound to stop the blood loss...she looks at him worried... )
Jodha:- (pats his cheek)...shenshah...shenshah...aap thik to hai na...ye sab...
Jalal:- lagta hai dushmano ne hum per hamla ker diya hai...aap fauran yaha se chali jayiye jodha begum...aapki jaan ko khatra ho sakta hai...jaiye...hum samhal lege in sabko...jaldi jayiye yaha se(pushes her by shoulder and signals to go away...)
Jodha:- ...aapne esa soch bhi kaise liya shenshah ke hum aap ko esi halat me akela chorker chale jayege...hum kahin nahi jayege...yehi rahege aapke sath...
Jalal:- pagal mat baniye jodha begum...hum aapki jaan khatre me nahi daal sakte...ye humara hukm hai...aap abhi isi waqt wapas jayegi yaha se...ye koi mazak nahi hai jodha begum...
Jodha:- to aapko kya lagta hai...ke hum mazak ker rahe hai...hum kisi bhi surat me aapko akela chorker nahi jayege...bahle hi iske liye aap hume dan hi kyu na de de...per hum kahin nahi jayege shenshah...hum patni hai aapki...yadi humare sthan per aap hote to kya hume akela mrne ke liye chor ker chale jate...jivan bhar sath rehne ki saugandh khayi thi aapne vivah ke samay ...bhul gaye...
Jalal:-hume yaad hai apni kasam jodha...aur ye bhi ke hum apni begum per koi anch nahi ane dege...aap samajhti kyu nahi...hum....(jodha stops him by placing her hand on jalal's mouth...)
Jodha:- bus...ab ek aur shabd nahi...kayro ki tarah bhagne se to acha hai ke hum apne pati ki raksha karte hue apne pran tyag de...(jalal quickly stops her by placing his hand on jodha's mouth)
Jalal:- esa kabhi mat kahiyega jodha begum...kabhi nahi...thik hai...hum jaane ke liye nahi kahege aapko...hume milker inka samna karna hoga...kya aap humare sath hai(and he puts his hand forward to jodha...)
Jodha:-(holding his hand) apni antim swaas tak apka sath dege hum shenshah...hum wachan dete hai aapko...humare jite ji koi aapka baal bhi banka nahi kar payega...
Jalal:-(smiles at her and cups her face in his hands) sach much bahut ziddi hai aap
(jalal peeps out from the side of the rock...and shocked to see adham there...he comes out slowly)
Jalal:- acha hua adham jo tum waqt per yaha aa gaye...bandi bana lo in sabko...inhone hume or jodha begum ko marne ki koshish ki hai...
(adham dint respond...)
Jalal:- tumne suna nahi adham...humne kya kaha...ye humara hukm hai...aur hum apne hukm ki tameel hote hue dekhna chahte...aur baki ki fauj kaha hai...
Adham:- fauj wohi hai jahan use hona chahiye...aur ye jungle hai...tumhare aagra ka mehel nahi..jahaan tumhare hukm ki tameel hogi...samjhe jallaluddin mohammad...
(jodha comes out...she looks confused)
Jalal:- Adhaam...khaannn(shouts loudly)...tum hosh me to ho...tumhari itni himmat ke tum humse naam lekar baat karo...tumhe itni bhi tameez nahi hai ke shenshah e hind se kis lahze me baat ki jaaye...agar tum badi ammi ki aulad na hote to hum abhi tumhara sar apni shamshir se kalam kar dete...
Adham:- ha ha ha ha...bahut ache...hum soch hi rahe the ke tumhe kaise khatm kare aur dekho ...tumne apni maut ka tareeka khud hi bayaan kar diya...hum tumhari ye aakhiri khwahish zaroor puri karege jalal...yaha humare aur humare aadmiyo ke alava aur koi nahi hai...fauj ko to humne kabka gumrah kar diya hai...itni jaldi ab wo yaha tak nahi pahuch payegi...per tum fikr mat karo...maut to tumhe hum waisi hi dege jaisi tum chahoge...itne bhi sangdil nahi hai hum...ha ha ha ha...
(jodha bursts in anger...)
Jodha:- tumhari himmat kaise hui adham khan shenshah se is tarah baat karne ki...kya yehi hai tumhari wafadaari...
Adham:- fikr mat kariye begum sahiba...wafadaari to aaj dikhane ka mauka mila hai hume...aur hum wo dikhayege bhi...haan apke paas bachne ka ek mauka hai...aap bhi humare sath ho jayiye...bhul gayi kaise is jalal ne aapko or aapke parivaar ko bhare darbaar me beizzat kiya tha...aapki behen ka rishta tudva diya...uske hone wale shauhar ko bhi mar diya...yahi mauka hai badla lene ka...ise marne me humari madad kijiye...hum wada karte hai aap per koi shak nahi aane dege...kahiye kya kehti hai...
(jodha looks at adham with utmost disgust...)
Adham:- kya soch rahi hai begum sahiba...boliye...degi humara sath...
Jodha:- hum to ye soch rahe hai ke koi bhi manushya itna niche kaise gir sakta hai...aapki maa ko shenshah badi ammi kehte hai...aur aap...chiii...aur aap humse vichar karne ko keh rahe hai...to suniye ...humara vichar ye hai...ke aapki koi aukat hi nahi hai shenshah ke samne...hume aapke jaisi tuch soch rakne wale manushyo per daya aati hai...jo jis thali me khate hai usi me ched karte hai...aur ek baat dhyaan se sun lijiye adham khan jab tak hum jivit hai...apne pati ko kuch nahi hone dege...samjhe aap...
(jalal was shocked to see...that his foster brother adham wants to kill him...he is angry as well as hurt...)
Adham:- soch lijiye begum sahiba...kya ye aapka aakhiri faisla hai???
Jodha:- (she moves towards jalal and holds his hand firmly with pride in her eyes) kya ab bhi batane ki aavashykta hai aapko...(jalal looks at jodha with tears in his eyes...and holds her hand back...)
Jalal:- hume yakin nahi ho raha ke humara khud ka dudh ke rishte ka bhai hume marna chahta hai...tumhe sab kuch diya humne...auda...izzat...rutba ..bharosa kiya tum per...aur tum...humne kya bigada hai tumhara adham...humesha apno se hi dhoka kyu milta hai hume...kyu marna chahte ho tum hume...
Adham:- haan jalal...tumne bahut kuch diya hai hume...aur hume isi ka malal hai...hume bheek me mili shan katai manzoor nahi...hum zindagi bhar tumhare gulam banker nahi rehna chahte...hum itni mehnat karte hai...malva ki jang jiti humne... aur wo bhi apne balbute per...lekin naam kiska hua...shenshah ka...mathura ki bagavat ko humne dabaya...humne...magar wahwahi kisne batori shenshah ne...hum chahe jitna bhi bada kaam kar de kisi ko koi fark nahi padta...lekin tum ek choti si jang bhi jit jao to khabar ban jaati hai...hum tumse tang aa gaye hai jalal...ab ek pal ke liye bhi tumhe jhelna dushwar hai humare liye...hum shenshah banna chahte hai,,...hum chahte hai ke log humare naam ki jay jaykaar kare...hume tumse kahin jyada ahmiyat mile...kisi ki itni zurrat na ho ke humse unchi avaz me baat kar sake...aur aaj ye sab hum hasil karke hi rahege...aaj tumhari zindagi ka akhiri din hai jalal...aur kal se humari zindagi ka ek naya daur shuru hoga... Kal hogi humari tazposhi ...aur hum banege shenshah e hind...
shenshah e hind adham khan... zindabaad...(shouts loudly than ever...stretching his arms looking at the sky...)😡
(all of his supporters repeat the same..."Zindabad")
(jalal's eyes are now burning with anger it was enough for him...he roars like a loin this time...)
Jalal:- tumhara ye khwaab kabhi pura nahi hoga aadham khan...kyuki abhi jalaluddin mohammad zinda hai...aagra ke paak takht per hum tumhare napaak kadam kabhi nahi padne dege...aaj tumhari aukat aur apni haisiyat ke bich ka fark samjhana hi padega tumhe...taki phir koi esi himakat karne ki gustakhi na kare... log hume yu hi shenshah e hind nahi kehte adham...(a soldier aims his arrow at jalal standing behind him at some distance...jalal throws his khanjar towards him w/o even looking back and he is dead in a flick of second... )😉
Adham:- khatam kar do in dono ko...
To be continued:-😆
Thanks friends...😃
Don't forget to like and comment😊
Hemakeerti OSes - Compiled PBD INDEX Prologue Chapter 1 Chapter 2 Chapter 3 Chapter 4 Chapter 5 Chapter 6 Chapter 7 Chapter 8 Chapter 9 Chapter...
Jodha Akbar FF : --- Who loves Him Most (M) --- Link to my other threads Thread 1 Thread 2 - Thread 3 :::::Thread 4::::...
... Shahzada Of Her Dreams ... ::::::::::::::::::::::::::::::::Index::::::::::::::::::::::::::::::: Chapter-1.....The beginning Chapter-2:...
Prologue: How it happens when both the hearts fall for each other madly without knowing each other? He is the emperor of the great Mughal...
Hey y'all! I've created this thread so that you'll can easily access all the Akdha Vms in one place. Please feel free to add to the list. 1....
621