Originally posted by: hansa
Arre wakil sahib, hum taporan ko bahut pyar karte hein, tabhi to usse azad kar rahe hein taki woh apne doosre do husbands ke saath hippily reh sake!!!
aap to mahan ho taporiji!!! aap jante ho ki taporan aap ko kitna love karti hai aur aap ne use aajad kar diya... court notice niklva kar, sare aam us ko badnaam kar ke, logon ke samne uska mazaak banwa kar. aap ki mahanta ko kai baar salaamđ aap ke pyaar ke to log national geet banayenge.
parantoo taporan ne bhi is se ek seekh nikaal li hai. bekaar husbands ki gulami se achha apne pairon par khada hona. woh to astitva film se prabhavit hain. use pata chal gaya hai ki yeh mard sab kafi hypocrits hote hain. aur woh is janjaal main ab parne wali nahin. na aap ke saath na un armaan ke saath.
Aur mardangi ki baat karte ho - bhool gaye kiya - apun ne balentin day pe taporan ko jo later likha tha - usme saaf kaha tha ki hum ko Armaan Suri ke maafik koi ego-shego prablame nahin hai. Par jab apun ki koi galti naahi hai, to maafi kiss baat ki?????????
us se poochho jisse aap pyaar karne ka dawa karte ho. aap ne us ka dil dukhaya aur aap poochhte ho mafi kaisi?? pyaar bhi karte ho aur dil bhi dukhate ho, sare aam un ka mazaak banwate ho , aur kahate ho maine koi galti nahin ki??? ego hai bhi aur nahin bhi.
Aur alimony ki baat to apni secruti ke liye uthani padi - aap sab to jaante ho ki hum kilaass 8 mein fail hoi gaye the - ab jab hamein Gulmohur jaisi company mein naukri nahin milli to kahin aur kya khaak milegi!!! đ Ab taporan ke jaane ke baad apne khanne-udne ka bandobast to karna hoga na!!!đ
acchhaa to aap ka pyaar isliye hai ki us se aap chakki pisva sako.
khiar, taporiji, main sochti hoon ki aap ko koi takleef nahin hogi. kisi aur ko taporan bana lena. class 8 main chahe aap fail hue hoon paranto is kaam main aap avval ayenge.
pahale us se bada dowry lena, phir usse baingan ka bharta banwana aur gulami ke liye use gulmohur jaisi company main kaam bhi karva lena.aur jab woh bhi tang aa jaye to us se 50 % enth lena kyonki bhai dana pani ka sawaal hai. aur aankhain bhi to larani hain.
par haan aap meena ji ko nahin bhool paoge. kisi ki keemat us ke jane ke baad hi pata chalti hai