Originally posted by: Vistaa
My dear Shweta...what a beautiful thread...you raised the Ajeeb Nation standard another notch👍🏼
Loved the choice of pictures and words🤗
Here's my dedication:
Hum the gum, hosh aur hawaas the-y ghayab
Ek naye show ne kiya tha ye ghazab
Lucknow ki ladki thi, ladka bhi tha humare watan ka
Aur promo number chaar ka jo sitam tha
Phir hua yuun ki forum pe ek mulaqat hui
Zainab BB se kuch jawab-o-sawalat hue
Aur phir ek Laal aandhi ne kiya kuch aisa asar
Ke hum khichte chale gaye is Ajeebiyat ke andar
Dhaage aise jahan creativity bemisaal mili-n
Dostiyun ne janam liya aur sakhiyan humkhyaal mili-n
Shweta ne khilaya guzre hue geeton ka magic
Ella ne kiya lajawab with her ODB-centric logic
'Ermione ke "en'd'(gin)eering zingers karte hain ghayal
Jinke meethe dard ke hain hum pagal
Priya aur Renu ki angrezi shayari hai brilliantly spontaneous
Shamika ke compositions ne kiya hai redefine effortless
Nitzy aur Somz ki graphic creativity ke hain hum qaayal
Lucky aur Vasi ke posts humein pukarte hain pal pal
Divya ne diya hai darzigiri ko nayi respect aur naam
Woh dost jo humare saath hai Dilli ki subah aur Lucknow ki shaam
Mellow ke odes hai legendary, woh khud hain eid ka chaand
Baagh baagh hota hai dil, jab huzoor hote hain meherbaan.
Ab aur kya karen guftagoo, kya aur hum kahen?
Sawaal toh bas itna hai,
Is pyaar ko hum kya naam dein?
Vistaaji, aap meherbaan hui
aapko dekhe hue din kaii
aap ka ode dil choo gaya
hamari tareef? uff bohot ho gya!
jo aap samhji hume iske kaabil
yeh jaanke naach utha hai dil
Thanks for the lovely ode and the praise. Hope to see you more often in all forms of Ajeebness.
Shamika
208