Hope she likes it and is up to her expressions.
******************
Ch1.
''Main har gaya.. Sach much mein har gaya.. Shivaay Singh Oberoi,jo duniya ke saamne kabhi nahi jhukta thha,aaj woh kismat ke saamne jhuk gaya... Jis ummeed se main aur Omkara aur Rudra itne saalo se humare toota aur bikhra huya parivaar ko sametne ki koshish kar rahe hai,aaj woh ummeed ekdum se dhundli si nazar arahi hai... Kuch samaj nahi araha hai ki kaise main apne parivaar ko bikharne se bachau.. Aaj toh hum teeno bhaiyo ne milke Daadi se wada kiya ki iss parivaar ko tutne nahi denge par undono ka kya jo khud toote huye hai? Omkara.. Uski kya galti thhi? Kuch din pehle woh apni jaan dene jaraha tha,agar main aur Rudra sahi waqt pe aake usse na bachaya hota toh.. Sochke bhi meri rooh kaaph uthti.. Ek wohi hai jo mujhe aur mere dard ko samajh sakta hai acche se.. Itni mushkil se usse main uss andheri bhari duniya se wapas laya hu,ab main nahi chahta ki woh iss duniya mein phirse chala jaaye.. Rudra ki kya batau.. Mere bete jaisa hai woh.. Yeh sab parties mein jaana aur larkiyo ke saath ghumna..kahi na kahi usse yeh baat bohut khalti hai ki humara parivaar dusre parivaar jaisa kyun nahi hai jo ek dusre ki khushi mein khush ho,ek dusre ke saath ho,har gham ek dusre ke saath baatte ho aur ek chhad ke niche ek saath rehte ho.. apne dukh ko chhupane keliye yeh sab karta hai aur apne aapko har waqt khush mejaz dikhata hai... ''
Shivaay thought as he drove aimlessly until he reached a beautiful house which he bought only for his Daadi,Omkara-Rudra,Priyanka and for himself only to keep themselves away from the arguments and tension inside Oberoi Mansion.. This mansion was named as Kalyani Mansion..
He went inside the lawn and sat on the chair until raindrops slightly patted his creamy white cheeks,drenching him inthe shower. The cool shower relaxed his nerves and somewhat cooled his pain but he lost himself again in those thoughts..
''Aaj bhi dil ki andar ek ummeed hai ki sab thik hojayega.. Aaj bhi woh din yaad hai ki jab main apne badle ki bhavna mein itna jalta raha ki maine kisi aurko ussi aag ki taapish mein jhulas diya.. Annika.. jis larki ko be izzat karne keliye koi kasar nahi chhora,usse sirf uss mms clip bechne keliye zabardasti usse shaadi karli taaki main usse torkar rakhdu,usse bikhar du.. uski bhai ki custody bhi ussi chheen li taaki usse pata chale ki parivaar khone ka dard kya hota hai.. Par,yeh nahi pata tha ki woh khud andar se tooti huyi hai.. Jo insaan pehle se itna zyada toota huya ho,woh aur kya tootega.. Uss bechari ko uss gunaah ki saza deta raha jabki usne kuch nahi kiya.. usska dil hi torh diya maine.. karor tukre kardiye uss dil ka jo har waqt bolti rahi par maine vishwas nahi kiya uski ek baat pe.. usse dard deta raha tabtak jabtak mujhe shanti na mili.. Usse apne zindagi se nikalne ki bohut koshish ki par nikal nahi paya kyunki yeh dil uske saamne har baitha.. Yeh patthar dil Shivaay Singh Oberoi pyaar kar baitha apni Annika se... Usse najane kitna dard diya,kitni koshishe ki usse torhne ki par woh tooti nahi..palat kar ulta jawab deti thi par ek aansu bhi nahi behti thi uski aakhon se unn dard keliye jo maine usse diye hai...
I failed.. As a brother and also as a husband...
Main Bhagwan se yahi prarthna karta hu ki mujhe woh shakti de taaki main apne parivaar ko tootne se bacha saku aur usse bikharne na desaku.. aur usse humesha jorke rakh saku..'' Shivaay prayed to Lord Shiv to give him strength.. He sat there till the monsoon shower finished.