Originally posted by: charmingal
Wow Praj, already a goldie! Man is it only me who's going slow on the replies?
Anyways- will be sure to participate!
no.........I'm there wid u too!!!!
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai August 5, 2025 Episode Discussion Thread
BALH Naya Season EDT Week # 8: Aug 4 - Aug 8
UPMA&ICECREAM 4.8
SATYAMEV JAYATE 5.8
Abhira’s infertility issue
Dhanush And Mrunal Thakur Reportedly Dating
The Ultimate PotterHead Challenge
Anupamaa 05 Aug 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Sonam Kapoor receiving the national award
25 years of Har Dil Jo Pyar Karega
AI reimagines Titanic with Bollywood stars
What if (Fun Post)
Rate episode 66: "Ekk Insaan Do Maut"
Originally posted by: charmingal
Wow Praj, already a goldie! Man is it only me who's going slow on the replies?
Anyways- will be sure to participate!
no.........I'm there wid u too!!!!
heyyyyy pple.......i hope u all ll participate.......as of nw not a single pm..... 😔 😒
but u can send me on or b4 2nd
Originally posted by: preet_ic
Adi is in Jallandar and straight away approaches Chand's family with his and Chand's marraige proposal.
Adi at Chand's place:
Chandni aaj subah se hi bahut khush hai, pata nahi aisa kya hogaya hai, par woh aaj wohi sari feelings ka ahsaas kar rahi hai jo Adi ke saath hone par hota hai. Chand khud hairaan thi ke woh itni khush kaise hai. Adi se itni door hai, din-raat uska khayal hai, par roz ki tarah woh aaj udas nahi hai. 😊
Chand aaj bahut dino baad apne aap hi "Meri Bukal De Vich Chor Ni........"gunguna rahi thi😊. Maa samajh rahi thi ke Chand ab Dillawar ko apna rahi hai. Maa aur Bauji ko accha laga yeh dekh kar ke unki ladli kai dino baad aaj itni khush hai. Dillawar unke ghar aata hai aur Maa use kehti hai ke aaj Chandni bahu khush hai. Yeh sun kar Dillawar bhi khush ho jata hai.
Dillawar ko kisi kaam se railway station jaana padta hai. Adi train se utarta hai aur Dillawar se Chand ke ghar ka pata puchta hai. Adi says"Arey bhai sahab, kya aap mujhe bata sakte hain ke main is pate par kaise pahunch sakta hoon." Dillawar llke a good man is willing to help Adi. Address dekh kar Dillawar pareshan hokar puchta hai "Aapko kisse milna, is pate par?" Adi innocently says "Kya aap inko jante hai?" Dillu says "Haan, yeh to mera honewala sasural hai, par aapko kisse milna hai?" Adi is in a dilemma but determined he says "Chandni se!!!Main Aditya usko apne saath le jaane aaya hoon?"👏 Dillawar angrily holds Adi by his collar and starts beating him!!! Adi collects himself from the ground and stands tall in front of Dillu and says "Marna mujhe bhi aata hai, par main yahan apne pyaar ke liye aaya hoon, ladai karne ke liye nahi!!!!!!!!!!.😉
Dillawar is furious and threatens Adi "Agar tu Chandni ke aas -paas bhi dikkhayi diya to main tujhe jaan se maar doonga!! Adi replies with a serious look on his face "Agar Chandni ke aas-paas nahi raha to main khud-b-khud mar jaunga." 😳😳Adi leaves the station. Dillawar reaches Chand's place and tells everybody what happened at the station.
Chand is all khush-khush and dukhi too. Khush is liye ke Adi is in Jallandhar and dukhi because Dillu has beaten him. Chand is restless. She wants to see Adi at the earliest but she doesnt know where he is in Jallandhar.
At the dinning table Chand is serving food to Maa and Bauji , but they are very upset and at the same time worried about their Khandaan ki izzat. There is a knock at the door and Chand's face lights up. She is expecting it to be Adi. Bauji opens the door with a very angry expression on his face. Bauji too is expecting it to be Adi. It is Dillawar. Dillu says, he will stay at Chand's place and if Adi comes there they can beat him again!!!!!!!
Chand is upset. Everybody is having dinner. Maa says "Chandni putar tu bhi roti kha le" Chand replies "Nahi Maa mujhe bhook nahi". Everybody has read between the lines. They understood the open secret.😊
Chand is sleepless all the night. It is early morning and she hears a knock at the door. Chand jumps out of her bed, rushes towards the door and opens it up to find a smiling Adi. Adi says "mujhe pata tha ke itni pyaari aahat tumhari hi ho sakti hai. Tum chal rahi thi par dhadhan meri badh rahi thi". Chand thoda sa sharmayi phir thoda sa ghabrayi. Use daar tha ke ghar wale jaag jayenge aur Adi ki subah-subah hi pitayi ho jayegi.😆
Adi aandar aa kar sofa par baith gaya. Chand ne kaha "Adi kal jo station par hua uske liye main maafi maangti hoon. Adi , Chand ko apne paas baitha kar , uske hothon par ungli rakhta hua kehta hai "Tum ko paane ke liye main kuch bhi kar sakta hoon, sahen kar sakta hoo, bas tum sari zindagi isi tarah mere paas raho". Chand is lost in his eyes. They are looking at each other with love. Adi says, "bas-bas, main kal se tumhara pata dhoondh-dhoondh kar thak gaya hoon, chalo ab mujhe ek cup garam-a-garam kadak chai pila do, mujhe bhook bhi lagi hai" Chand is surprised , woh kehti hai, "Adi tum yahan se jaao, Bauji aur Dillawar tum ko peetne ke liye tayar hain. Raat bhar jaag rahe the , abhi soye hain" Adi is in no mood to listen, he says " chalo sasur ji ki neend to haram kar di maine ....." 😆and he laughs. Chand thodi si naraz hokar kehti hai"mere Bauji ke liye tumne aisa kyon kaha" Adi says "kya kaha, apni patni ke pita ko sasur hi kehte hain na !tumhare JALLANDAR main". They bothe laugh. Chand says "Adi tum jaoo main tumse milne aaoongi." Adi kehta hai "Main yahan tumse shaadi ki baat karne aaya hoon, aur tumko apne saath lekar hi jaunga, aur mujhe aisa karne se koi bhi nahi rok sakta hai, par agar tum naa kardogi to main ek pal mein yahan se chala jaunga." Adi ab Chand ki taraf kuch aisa sun na chah raha tha jisse uski himmat badh jaye. Chand with a damn serious look on her face says "nahi Adi tum Bauji se baat nahi karoge" Adi is shattered and he pleads Chand "kyon, kya tum mujhe se shaadi karna nahi chahti , ya tumne mujhe se kabhi pyaar hi nahi kiya.?"😳😳 Chand continues with the look and says "Adi pehle mujh to propose karo?" she laughs out loud looking at Adi's pale face. Adi ki jaan main jaan aayi. Adi kehta hai, "haan yeh galti to hogayi mujh se par, der nahi hui, main abhi tumhe propose karta hoon"
Adi apne knees par baith kar Chand ko propose karta hua kehta hai "Chandni, tum mere soone aasmaan main ujjala layi ho, meri bejaan zindagi mein jaan layi ho, woh tum ho jise main har pal dhoondhta raha, jo mere khwabon ko saja kar meri duniya mein rang layi hai. Main apni zindagi ka har pal tumhare rang main rangna chahata hoon, tumko pyaar karte karte umar guzaarna chahata hoon. Vishwas yeh dilato hoon tumko har intehan poora karonga, tumko jo na paya to jee na sakoonga.Mar bhi naa paunga is umeed main ke kahin mera chand mera khayal karta hoga, diwana ho raha hoon aur main is pagal pan ko saari umar bhar ke liye mangta hoon. Kya tum mere is pagalpan ko umar bhar ke liye nibhaogi. Kya tum mujhse shaadi karogi."😊😊Chand smiles, bahut pyaar se Adi ko dekhne lagi.
Done ek doosre ko dekh rahe hote hain tabhi awaaz aati hai "Tu...........yahan kya raha hai?" Bauji, Maa aur Dillu wahan par khade the. Dillu pouncing on Adi says "Tujhe to main abhi batata hoon!" Tabhi Chand unke beech mein aati hai aur kehti hai "Kisi ne bhi Adi ko chune ki koshish bhi ki to main apni jaan de doungi" Maa is horified "Chandni putar tu is ladke ke liye humse aise baat kar rahi hai, apni jaan dene ki dhamki de rahi hai" Chand says "Kyon Maa, kyon Adi ko galat samjh rahe hain aap log, aisa kya kiya hai usne jo aap log use se aisa bartav kar rahe ho. Us din Bauji ne jo dekha usko galat samjha Maa. Main behoosh ho gayi thi aur Adi mujhe ghar le aaya. Yeh to usne theek kiya tha na bauji, phir kyon aap usko lafanga kehte hain.? Kyon nahi usko ek mauka dete ? Mere bhi man ki to sochiye bauji. Everybody is speechless.
Adi with folded hands approaches bauji and pleads "bauji main Chandni se bahut pyaar karta hoon, main isse shaadi karna chahata hoon. Main iske bina jee nahi paunga, main iske liye kucch bhi kar sakta hoon. Hum aapke aashirwaad se apni duniya basana chahte hain?"😛 Dillu interrupts " Tu kar kya sakta hain Chandni ke liye, kheton mein hal chala sakta hai, tractor chala sakta hai, truck , tempo chala sakta hai, gai-bhains-bail inki dekh-rekh kar sakta hai. Maine kiya hai yeh sab. Ek truck se shuru kiya tha , aaj Transport company ka maalik hoon, tu kya hai?" Chand is furious, "Dillawar tumko Adi se aise baat karne ka koin hak nahi hai" Bauji says "Kya galat keh raha hai Dillawar, Kal ko agar iski company band ho gayi to yeh tujhe kya khilayega?"
Adi is all confused but taking the chance he accepts the challenge , he says"bauji aap jo bolenge main woh karne ke liye tayar hoon"
Finally it is decided that Adi has to yield a crop. Take care of Dillu's transport company and look after the farm animals.
Adi ke iraade naakaam karne ke liye Dillu aur Bauji ke aadmi Adi ke aas paas hi rehte hain. They are troubling Adi like hell. Adi is all determined but lacks any knowledege about fields, crops, urea, animals etc. A good old man guides Adi. After a long tiring day Adi realises that this was the toughest day of his life. Food is served to Adi. To trouble Adi further , the served food is all spiced up. Adi never tasted such a spicy food in his life. After his first spoonful of food Adi is in tears and shouts "aaaahhhhhhhhhhhaaaaaaaaaaaa mirchi........paani............paani......."par wahan paani nahi tha. Adi gai-bhains ke liye jo paani tha wahi peene laga.😕
Chand yeh sab dekh rahi thi. Uski bhi aankhon mein tears the. Chand ko dekh kar Adi pretends that he is enjoying the food. After finishin the food, Adi goes to cows stable and screams out loud "paaaaaaaniiiiiiii........aaaaaahhhhhhhhh..........mirchi... ..........."😕
Chand dheere se uske peeche aati hai. Adi chup ho jata hai. Chand , Adi ke aansoon ko apne gaalon se ponchti hai. Adi ki aankhein itni intimacy se band ho jaati hai. Chand phir poore confidence ke saath Adi ko kiss karti hai.😳😳(LipLock). Tabhi tez hawa chalne lagti hai aur jhamajham barsaat hone lagti hai.😉 Chand aur Adi apne aap ko sambhalte hain, ek doosre ko dekh kar muskurte hain. Chand sharmati hai aur Adi bhi aisi feeling ko first time mehsoos kar ke khush ho rahahai. Chand sharma kar apne ghar jane ke liye palati hain tabhi Adi uska haath pakad leta hai aur kehta hai "Agar tum issi tarah se mirchi ko thandi karti rahogi ,to main umar bhar mirchi khane ke liye tayar hoon."👏 Chand with a smile says "Mata Rani ne tumhari mirchi ka intezaam kar diya hai, ab gai-bhains ka paani mat peena"😃 kehti hui woh hasne lagi. Barsaat mein poori tarah bheege hue the dono. Adi dheere, dheere Chand ke paas gaya, itne paas ke Chand ki saansen usko mehsoos hone lagi. Adi ne kaha "aye Ms. Parandi, mai kal phir itna hi spicy khana khane wala hoon.....' kehta hua woh phir se Chand ko kiss karne ke liye jhuka. Chand sharmati hui apne aapko chudaya aur ghar chali gayi.😳😊
Originally posted by: Super Kool
My story is set against the backdrop of a collage in Mumbai.
Adi Chand r classmates n gud frnds(CHILD HOOD FRNDS)endy.Their frnd circle includes kabir,Ami,Smitha n few more(side charactersJ)
Story Starts
C:- Hi Adi! Aaj tum itne jaldi collage aa gaye.
A:- haan vo main aaise hi.par tum to aaj nahin aane wali thi na phir??????////
C:- usne mujhe bulaya hai……(Blushing.)
A:- usne kisne??????
C:- arey maine tumhe bataya to tha..
A:- Ohhhhh vo tumhara secret admirer I mean luver(Making a bad face.)
C;- Adi plz uske bare kuch mat bolo.
A:- Tumhe bada bura lag raha hai
C;- Dekho main tumse subah subah ladna nahi chahti chalo canten chalien.
IN CANTEEN.
A boy (Used to work their only.)gives Chand a letter.
C:- yeh kya hai??////
Boy:- yeh koi rakh kar gaya tha vahan counter par.main samajh gaya aap hi ka hoga.
A;- haan aise letter inhi madam ko to aate hain poore collage mein.
C;- Shut up adi.
A:- sharam nahi aati ladke ko kehti ho shirt up!!!!!!!!!!1
C:- Uuuuuuf forget it.
She reads the letter n smiles.
A:- kya baat hai kya likha hai.
C:- tumse matlab ???
A:- batao na plzzzzzz
C;-Likha hai aane ki liye thanx.
C:- adi tum meri madad karo na is insaan ka pata lagane mein.
A:- main tumhe James Bond ki aulaad lagta hoon kya?//main to businessman ka beta hoon yaad hai na tumhe……
C;- kabhi to serious ho jaaya karo.
C;- Pichle 4 maheene se pata lagane ki koshish kar rai hoon bt no success.
A:- Acha theek hai I ll try.
C:- thanx
A:- Ab chalein vahan par ab sab aa gaye honge lecture bhi shuru hone wala hoga.
They leave for the class.
Another month passed n Chandini was unable to find who was HE?
Their collage organised a trip to Simla n students were veryyyy xcited abt it.
C;-(Bit upset.) Pata nahi vo vahn par hoga ki nahi???/
A:- ohhh memsaab kya pagalon jaise uske bare mein soch rahi ho.Mujhe to lagta hai sumbudy is playing pranks wid u.
Chand looks him wid anger n leaves.
Kabir : - (who is witnessing all this cums to Adi.) Tu kyun use pareshaan karta rehta hai?//Use bata kyun nahi deta ki vo tu hi hai.
A:- Ohh dheere bol kahin koi sun na le.
Tu hamesha puchta reta hai na ki main use kyun nahi bata ta.VO sliye ki mujhe dar hai vo kahin naraz na hojaye.
K;- par von hi to tujhse pyaar karti hai.
A;- galat vo mujhse nahi us letter bhejne wale ladke se pyaar karti hai.
K;- ek hi baat hai meri maan trip par use sab bata dena.AAkhir aaisa kab tak chalega???
A:- shayad tu theek keh raha hai.
The grp has reached Simla.
A:- chandini kujhe tum se kuch kehna hai.
C;- haan bolo.
Ami arrives there.
Ami Chandini chalo humsab ghoomne jaa rahe hain.Chalo Adi.
A:- (To himself.) Is Ami ko to main.
Ami:- Kuch kaha tumne.
A:- nahi chalo.
Adi cudn't find an appt time to tell his dil ki baat to Chand.
Night.(Adi n grp r sitting around bonfire.Everyone is dancing n singing.)
A:-Chandini tum mere saath dance karogi.
C;- Main
A:- nahin Kabir.Of course tum idiot.
C:- Ok.
Kabir is playing guitar n singing Do dil mil rahe gain magar chupke chupke.
Both r lost in each others eyes. They get 2 close.
C;- stoping herself.mujhe jaana hai.
She leaves
Chandini is walking along a passage sumonepulls her.
Its Adi he puts his hand on her mouth so dat she can't shout.
A;- Chup bahut bolti ho.Aaj main bolunga aur tum sunogi.
A:-tumhe samajh nahi aata hai ki main tumhe kitna chahta hoon.
He moves bit closer too her
Ki aaj tak bas maine tumse hi pyaar kiya hai.
Chand's eyes r getting bigger n bigger.
Ki maine tum hi meri vo chandini ho jo meri zindagi ko roshan karegi.
Chodo tum to us letter wale se pyaar karti ho na.
Adi is abt to go.
C (hold his hand.) Aur vo tum ho hain na,
Adi is shocked
C:- Adi tum nahi samjhe ki main bhi tumse utna hi pyaar karti hoon
Ki main tumhari aahat tak pehchaanti hoon aur tu he laga ki maintumhari untidy handwriting nahi pehchaan paongi.
Thank god tumne apne dil ki baat to kahi.
A;- God Chandini tumhe sab pata tha.
C;- haan buddhu raam.
They hug each other.
A;- ab hamesha saath rahenge.
C:- haan hamesha.
They hold each others' hand n walk toward the place where their all frnds were njoying.
Ami:- Aain gaye to alag the aura aye saath main.
A:- haan ab hum ek hain hamesha ke liye.
K:- hurray to lets party tonite.
ACdance 2gther bina is duniya kj parawah kiye hue.
They left Mumbai as Adi and Chandini bt r bak as ADI CHANDINI.
THEY WERE TOGTHER FOR EVER………….
STORY ENDS.