Shreya: Sab yahan pe paunch gaye? Kisi ko jaga dhoondne main mushkil toh nahi huyi naa?
Gautam: Arre yaar unhe chor aur mujhe dekh.
Shreya: Shauk se.
Abhigyan (clearing his throat): Hum bhi khade hain rahaon main.
Shreya: Oh god!!! Bachao mujhe. Herogiri nahi chali toh ab janab shayar ban gaye. Jaa kar Ammaji ko pata mujhe nahi.
Gautam: Sahi kaha Shreya. Abhigyan tum haar baar haath dhokar Shreya ke peeche kyun paar jaate ho?
Abhigyan: Aaj toh main haath nahi dhohe hain.
Shreya: Kya??? Yani main tere se haath milaya aur tune haath hi nahi dhoohaya huya tha??? Ugh. (wiping her hands on her clothes)
Gautam: Kya hum aage bhar sakte hain?
Abhigyan: Haan. Jo kam karne aaye hain woh kar sakte hain. Phir jaa kar criminals ko bhi pakdana hai.
Shreya: Tum log continue karo. Mujhe haath dhoone hain ab.
Abhigyan: Arre yaar main mazak kar raha tha. Mere haath dhulhe huye hain.
Shreya: Thank god. Haan toh aaj hum aaye hain ek naya game kholne.
Gautam: Obviously. Aaj kaal hum sirf isli aate hain. Game kholne aur awards dene.
Shreya: Gautam tum mujh par ghussa kyun ho rahe ho?
Gautam: Yaar main ghussa nahi ho raha hoon. Mujhe bas aage bharna hai.
Abhigyan (interrupting): Iss hafte ka game hai Guess the Movie.
Shreya (pushing Abhigyan aside): Kyun ki tum sab itne baare lazyies ho isli asaan sa game laaye hain.
Gautam: Mujhe yakeen nahi hota ke yeh wohi log hain jo Shapath dekhte hain. Arre agar Shapath dekhte ho toh thoda bahut energetic hona chahiye inhe. Ab Shreya ko dekho. Kitni energetic hain.
Shreya (blushing): So sweet Gautam.
Abhigyan clears his throat again. Shreya clears her throat and continues: Toh iss baar ke rules kya kya hain, suno.
Gautam: Rule 1 hain ke no cheating. Agar tum main se kisi ne cheating ki toh main aur Abhigyan usse arrest kar lenge.
Abhigyan: Rule 2 hain ke har roz tumhe sirf 24 hours milenge answers post karne ke liye. Naye movie caps har roz Indian time 9:30 PM post honge aur tumhare paas sirf agle din ke 9:30 PM tak time hain.
Shreya: Rule 3 hain ke iss game main kyo teams nahi hain. Yeh kafi obvious hona chahiye, lekin just to have it in writing, no teams. Yani har player ko aapne aap solve karne hain puzzles.
Gautam: Rule 4 yeh hai ke har sahi answer ke liye 2 points milenge aur har galat answer ke liye 1 point deduct hoga.
Abhigyan: Rule 5 yeh hai ke har player ko har roz post karna hai. Agar kisi din post nahi kiya toh 10 points subtract ho jayenge.
Shreya: Aur final rule hain ke yeh game maaze ke liye hain isli HAVE FUN!!!
Gautam: Aur agar kisi ko sawal hai toh meet this. (points at his gun) Yeh tumhare haar sawal ka jawab hai.
Shreya (punches Gautam lightly): Yaar we don't want to scare away the players. Agar tumhare kyo sawal hai toh mujhe PM kar do. Aur jo neeche wala post hai usme question ke saath answer bhi post kar doongi.
Abhigyan (impatiently): Aur kuch? Nahi. Good. Main jaa raha hoon. (he leaves)
Gautam (turns to Shreya): Yaar yeh Abhigyan aaj kaal kuch zada hi hurry main rehta hain.
Shreya: Isli toh sab se maar aur goli khata hai.
Gautam: Sahi kaha. Lekin main bechare Mayank aur Aastha ke liye parshaan hoon.
Shreya: Kyun?
Abhigyan (returning): Kyun ki dono ki natak ki wajah se duniya ko lagne laga hai ke unke beech main sach main kuch hai.
Shreya: Abey tu toh chala gaya tha.
Abhigyan: Wapas aa gaya.
Gautam: Yaar yeh conversation hum backstage bhi continue kar sakte hain. Game shuru karte hain.
Shreya (handing over a pair of scissors to Gautam): Yeh lo ribbon kaato.
Gautam cuts the ribbon: Yeh lo kaat diya.
Shreya: And let the game begin!!! Chal Gautam, hum aapna conversation peeche continue karte hain.
Abhigyan (running after them): Arre mujhe bhool gaye!!!