Chapter 24Indira Rishi ko lekar room me aati hain.
Indira : Yeh kya drama kar rahe the tum neeche?
Rishi : Drama? Me kya drama kar raha tha? Apne biwi ko hi toh manane ki koshish kar raha tha na. Aur subah se nakhre toh tum dikha rahi ho. Uska kya?
Indira : Are toh aaramse kamreme aakar bolte na. Aise thand me bahar sone ki jid kyun kar rahe the? Agar tumhe kuch ho jata toh...
Rishi : (Indira ke pass aakar) Toh...tumhe bura lagta kya?
Indira : Mu...Mujhe bura kyun lagega?
Rishi : Sach batao na Indira. Agar sach me mujhe kuch ho jata toh tumhe sach me kuch nahi lagta kya?
Indira : Yeh..yeh kya bate kar rahe ho Rishi? Me toh sirf yahi bat keh rahi thi agar tumhe kuch bhi ho jata toh tumhare kal ke meeting ka kya hota?
Rishi : Achha..mujhe laga tumhe bura lagta..
Indira : Kya tum bhi Rishi kaisi behki behki batein kar rahe ho? Ab chalo sone kal tumhe meeting pe bhi jana hain na. Chalo ab.
Rishi turant change karke aata hain aur dekhta hain ki Indira pehlesehi so chuki thi. Wo bhi so jata hain.
Agle Din
Rishi bed se uthta hain aur dekhta hain ki Indira ready ho rahi thi. Wo apne mang me sindoor laga rahi thi.
Rishi : Are are ye sab kya hain Indira?
Indira : Taiyar ho rahi hu aur kya?
Rishi : Are wo sab thik hain lekin ye sindoor aur mangalsutra pehneki kya jarurat hain?
Indira : Matlab?
Rishi : Are mera matlab hain ki ab hum toh yaha Masuri me hain na. Aur yaha humare familymese koi nahi hain. Toh ab tum chaho toh yaha ye sab karne ki koi jarurat nahi hain.
Indira (suddenly) : Ek chutki sindoor ki kimat tum kya jano Rishi babu? Ishwar ka diya hua aashirwaad hota hain ek chutki sindoor. Suhagan ke sar ka taj hota hain ek chutki sindoor.
Rishi Indira ke taraf dumb jaise dekhne lagta hain.
Rishi : Indira , Indira ye kya hogaya hain tumhe achanak se? Yeh kya bol rahi ho tum?
Indira : Are Rishi babu me aapko samjha rahi hu iss ek chutki sindoor ki kimmat.
Rishi : Dekho Indira agar tumhe lagana hain toh lagao par aise dialoguebaji mat karo.
Indira : (hasne lagti hain) Chalo achha hain. Samaj toh gaye. Jao ab jaldi ready ho kar aao. Fir hum breakfast karenge. Aur tumhe jana bhi toh hain na. Jao jaldi.
Rishi turant washroom me jata hain. Thori der bad Rishi ready ho kar aata hain. Dono breakfast karte hain aur Rishi meeting ke liye jata hain.
Meeting ke bad Rishi wapas hotel me aata hain. Indira bhi tab tak apne assignment complete karti hain. Rishi ke aane ke bad wo dono lunch karte hain.
Rishi : Chalo Indira jaldi se ready ho jao. Hum ghumne chalte hain.
Indira : Ghumne? Abhi?
Rishi : Haa. Are Masuri bahot mast hill station hain. Chalo na yaha ki bahar ki thandi hawa enjoy karte hain.
Indira : Thik hain. Chalo. Me bhi yaha boar ho rahi thi.
Aur wo jaldi ready ho jati hain aur wo dono bahar ghumne jate hain. Dono din bhar ghumte hain. Aur Sunset dekhne sunset point pe jate hain aur waha bahot sari photo nikalte hain. Sham ko unko ek mehendiwali dikhti hain.
Rishi : Indira tumhe mehendi lagana pasand hain na.
Indira : Haan.
Rishi : Toh chalo betho mehendi lagwalo.
Indira : Are yaha kitni thand hain aur tum mujhe mehendi lagane ko bol rahe ho. Nahi mujhe nahi lagani.
Rishi : Are lagwalona. Itnese kuch nahi hoga tumhe.
Wo forcely Indira ko mehendi lagwane ke liye kehta hain.
Mehendiwali : Aapka nam kya hain sarji?
Rishi : Rishi..Kyun?
Mehendiwali : Are wo madamji ke hatohnpe aapka nam likhna hain na isiliye. Wo kya hain na Pati ka nam mehendi se patni ke hathon me likhana achha hota hain. Unke pyar ka rang bhi mehendi ke rang jaisa aur gehra hota hain.
Rishi Indira ek dusre ke taraf dekhte hain. Dono embrass hote hain. Mehendi complete hone ke bad Rishi paise deta hain aur wo dono hotelme dinner karne aate hain. Rishi Dinner ki order deta hain.
Indira : Uff ho..ab kya karu me bolo toh jara..
Rishi : Kyun kya hua?
Indira : Maine kaha tha na ki me sirh ekhi hath pe mehendi lagwaungi lekin tumne dono hathpe laganeko bola. Aur meri bat suni nahi. Ab me kaise khaungi batao jara.
Rishi : Itnisi bat toh hain na. Toh me kisliye hu? Me khilata hu na tumhe.
Indira : Tum??
Rishi : Fir kya me khila nahi sakta kya? Lo khana bhi aa gaya. Chalo ab apna muh kholo.
Aur wo usko khilata hain. Dinner ke bad dono wapas room me aate hain.
Rishi : Indira maine Gautami maasi se bat kar li hain. Hum kal dopehar tak unke yaha pahuch jayenge. Aur fir wahase hi hum seedha Delhi jayenge.
Indira : Thik hain. Toh ab hume samaan pack kar lena chahiye. Me abhi hath dho kar aati hu.
Rishi : Are are kya kar rahi ho? Me karta hu na packing. Tum ruko.
Indira : Wah kya baat hain Rishi!!! Lagta hain tum bahot sudhar gaye ho.
Rishi : Me bigdahi kab tha batao toh jara..
Indira : Chalo ab jyada khudki tarif mat karo aur packing shuru karo.
Aur wo change karne jati hain. Rishi packing karne lagta hain.