Episode 196:
Scene 1: Maan and Maansi and the moment of truth:
Maansi with controlled tears as she is left speechless as her dream was shattered and Maan facing his back towards Maansi...
Maan: Mein aur Geet shadi ke bandhan mein bandh ban gaye..
( High pitch Maahi tune runs as Maansi listens to Maan with broken heart but also feeling sad for Maan)
Maan: Do bacche hai humaarein "Reashu" aur "Maaneet"
Maansi looks up with eyes wide open and in shock..
Maan:Sab kuch accha chal raha tha ki achanak ek din...
Scene from first episode of Geet season 2 where Maan is in shock and looking at Geet's dead body..
Maansi expressing her pain and also the pain she was feeling of Maan...
Scene 2: Maahi in the background as Maan looks with controlled tears towards Maansi and Maansi looking at Maan with controlled tears as Maan moves towards Maansi...( Maahi in the background with alaap as well)
Maan: Mein zinda lash ke siwa kuch nahi tha aur phir dadi maa ne jab Mumbai aane ka faisla liya toh jaane se pehle dargah mein tum mujhe mil gayi aur aisa laga meri Geet laut aayi hai
( Maahi with fast music in background to raise pulses)
Maansi is confused as she wasnt able to understand what Maan meant to say...
Maan holds Maansi's face in his hand..
Maan: Hubhu Geet,wohi aankh,wohi chehra, wohi jazbaat...
( Maansi is left stunned for a moment and then after a while smiles and then laughs)
Scene 3: Maan who told his story so seriously is left shattered to see Maansi laughing...
Maansi: I am sorry Maan,I am really sorry,lekin khubb bewkuff banaya aapne
Maan is not able to understand what Maansi is saying and why she was feeling like that..
Maansi: Kya imagination hai aapki...
Maan feels insulted as Maansi makes fun of his feelings and he glares at Maansi..
Maansi: I am sorry,I am sorry aap gussa mat hoyiye...
Maansi: Maan bachpaan mein na hum ek game khela karte the aur logo ko khub bevkuff banaya karte the.
Maansi: Hum logo ko Sholay movie ki poori kahani sunaatein a to z aur woh bechara poori tarah usmein involve hojata,kahani janne ke bavjood woh baithkar sunta,aur aakhir mein mein usse sawaal poochti.
Maansi: Jab radha Jay ki laash ke saamne ro rahi hoti hai toh aapko kya lagta hai Thakur kaunse haath se usse dilasa dega 'right" ya "left"?
Maansi: Woh poori tarah confuse hojata "right ya left ki farak painda hai...
Maansi: Confusion ke chakkar mein woh yeh bhool jata ki Thakur ke haath nahi the..
Maansi continues laughing as she does not beleive Maan...
Sceen 4: Maan is glaring at Maansi and is damn upset as he fails to realise Maansi was not ready to beleive the fact that she looked like Geet..
Maan: Tumhein yeh sab zhooth lagta hai...
Maansi feels she did not behave well and aplogises to Maan and becomes serious and with all emotions says something to Maan which makes him think how he shud make Maansi beleive he was true..
Maansi:maan mein yeh jaanti hu ki aap Geet se bahut pyar kartein hai,Maan mein aapki iss baat par vishwas kar sakti hu ki Geet aapke zindagi mein thi,lekin yeh kaise maanlu ki aapki shaadi hui thi Geet se aur do bacche hai aapke aur mein hubhu Geet jaisi hu..
Maan is left clueless as to why Maansi did not beleive in what he said..
Maansi: Maan mein jabse aapse mili hu,aajtak kabhi aapne apni shaadi aur bachho ka jikar nahi kiya,na meine aapki koi tasveer dekhi hai,na geet ke saath,na aapke baccho ke saath,aur phir mein kitni baar aapke ghar aayi hu,na meine aapke baccho ke baarein mein suna aur nahi unko dekha..poore ghar mein ek bhi tasveer nahi,nahi unke baarein mein koi baat, kuch bhi nahi
Maansi: Aur Maan naahi dadimaa ne kuch kaha aur na hi adi sir aur pinky ne...aur aap mujhe yeh batayiye,yeh sab toh aapko kitne saalo se jaante hai,bhala woh iss baat se kaise anjaan rehte ki aapki shadi hogayi hai aur aapke bacchein hai..
Maansi: aap mujhe yeh batayiye ki mera dost venu woh bhi toh jaanta hoga aur phir woh kyu mujhse yeh baat chupayega..aur agar mein maan bhi lu ki venu ko patah nahi tha toh dadi maa aur adi aur pinky yeh baat kyu chupayenge mujhse..
Maansi: Maan mein kaise Maan lu ki mein Geet jaisi hu,aaj tak dadi maa ne mujhe kabhi yeh mehsus nahi hone diya aur na hi adi aur pinky ne..
woh toh dost hai mere woh kyu mujhe andherein mein rakhenge...?
Maansi: aur phir agar mein geet jaisi hoti toh kamse kam ek baar toh kisina kisike jazbaat saamne aate..mein aapki baat samajh sakti hu ki aapke jazbaat saamne aaye,aur shayad meri harkatein geet jaisi ho jo aapko yeh mehsus karata hai..lekin Maan yeh hota hai,kyuki jo rishta aapka tha Geet se woh koi nahi samajh sakta aur phir har kisiko saathi ki talaash hoti hai aur ek dost ki aur shayad woh dost aap mujh mein dhundh rahein the..
Maan realises how much trust Maansi has in him and dadi and others as he feels they all had cheated and also played with her emotions and now when she comes to know about their truth she will for sure never ever see anyone's face again...it was inddeed going to happen and Maansi will be left betrayed,despite he and others never wanted her to feel like that but her trust and feeling of being cheated will surely not make her realise why all of them including him never wanted her to know about Geet and why they kept it a secret and never made Maansi feel or realise it..
Scene 5:Maansi holds Maan's face in her palm...and like a good and true friend..
( Maahi in the background)
Maansi: Mein kal bhi aapki dost thi,aaj bhi aapki dost hu aur hamesha rahungi,aapko Geet ki kami mehsus nahi hone dungi..( Maahi in the background)
Maansi: Mein aapke jazbaat samajhti hu aur yeh bhi samajhti hu ki aapne yeh sab mujhse kyu kaha?
Maan is left speechless as he has no other option but to listen to Maansi carefully and then answer her questions...and or clear her perceptions..
Maansi: Maan aapne yeh sab kuch isiliye kaha na kyuki meine aapse zindagi mein aage badhne ke liye kaha..
Maansi moves aside and walks facing her back towards Maansi..
Maansi: Aap yeh acchi tarah jaante hai ki koi bhi ladki aise insaan se shadi karne mein dus baar sochegi jo do baccho ka baap hai...aur agar mein hoti toh mein kabhi nahi karti,
( Maahi in the background and sad one as Maan realises what was coming ahead and what he was going to miss in future as Maansi clarifies her feelings and her stand..making Maan calm down as he gets his possible answer...)
Break:
Maansi: kyuki kisi bhi ladki ke liye yeh samajhna mushkil hai ki woh itni badhi zimmedari uthane ke layak hai aur kya woh tayar hai bhi ya nahi?
Maan giving a cute smile ( The smile which Maan was giving was not for Maansi was right but becoz he was now releived and he knew his fear of loosing Maansi for ever was not there becoz he had already lost her and if not then after knowing his truth and why dadi and adi alongwith pinky lied to her and kept Geet's identity a secret he will certainly loose her)
Maansi turns back and sees Maan smiling with controlled tears...Maan looking at Maansi and trying to save,arhcive every emotion of her as if he had few moments left to archive Maansi as well Geet's memories with expressions and time when she was close to him and was good to him.
Break:
Maansi: Mein jaanti thi aap zooth keh rahein the aur phir yeh koi fimly kahani thodi hai jo meri shakal hubhu Geet jaisi ho...Maan kaho naa pyaa hai aapki fav movie thi kya?
Maan smiles as he feels there was nothing more left to say untill Maansi sees the pictures and memories in the locked room..
Maansi: Maan mein jaanti hu aap Geet se bahut pyaar karte the aur apni poori zindagi uske saath bitana chahte the..aur isilye aap yeh kahaniya banarahein hai taaki mein ,dadimaa aur koi aur aapki shadi ke liye aapko force na kar paaye...
Maansi hugs Maan and Maahi runs in the background...
Maansi: Maan mein aapka dard samajhti hu aur yeh wada hai mere aapse ki mein aapko kabhi akele nahi chodungi,kabhi bhi nahi...
Maahi runs at a higher pitch...
Episode ends with Maan and Maansi hugging each other and in each other's arms with Maan feeling for Maansi and living last few moments and Maansi feeling the pain which Maan was going thru and with a determination that she wud never ever leave Maan alone...
One screen and two pictures;
Maan and Maansi with respective expressions.
29