Saahir....Sujal&Kashish.....Last Part...11/29 - Page 22

Created

Last reply

Replies

320

Views

95.5k

Users

29

Likes

157

Frequent Posters

goodkashish thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 16 years ago

Part-25

Rishton ki asli parakh tab hoti hai jab rishton ko dard ki rah se gujarna pade..........aaj wahi moka upperwale ne Kashish aur Sujal ke rishtey ko diya hai.........kehte hai ki agar aap ka rishta is kasauti ko parr kar jaye to iska matlab hota hai ki aapka woh rishta upperwale ne apne haatoin se banaya hai.............khushi ke mahol me to sach ek dusre ka haath tham ke saath dete hai lekin bahot hi aise rishtey hote hai jisme log ek dusre ke haath se ek dusre ke aanshu pochte hai.............aaj wahi dor pe khade hai Sujal aur Kashish apne rishtey ke saath...........aaj dadi ko kiye huye vaade ki asli kasuti shuru huyi hai.........dekhte hai ki Sujal aur Kashish is kasauti ko par karte hai ki nahi.............

************************************************************************

Ab Subaah ho chuki hai..........sare gharwale Dadi ki atim vidhi ke liye intzaar kar rahe hote hai..............Sujal aur Kavya aise hi Dadi ke pass bethe huye hote hai........Anjali Prerna ko sambhal rahi hoti hai aur Kripa Kashish ko..........Sujal kal ke bad aaj ek bar bhi nahi roya tha pata nahi use kis baat ka itna sadma hua ki woh apne aansu hi nahi baha raha aur yeh baat Kashish ko mehsus ho rahi hoti hai...........Jab Angad aur Malika aate hai..........Angad jake Kavya aur SUjal ke pass bethta hai aur Malika jake Prerna ke pass..............

Malika: Prerna...........hume maa ke jane ka bahot afsos hai lekin upperwale ke yaha kis ki chalti hai........woh kal shaam ko Kripa ka phone aaya aur hume to yakeen hi nahi hua............bhagwan Maa ki aatma ko shanti de..........

Prerna: ha Malika...............dekho na Maa ka hi to muje sahara tha ab woh bhi chali gayi...........pata nahi Maa ke bad is ghar ka kya hoga..................

Malika: ab to tumhe aur tumhare bacho ko saath me milke ise sambhalna hai.............hosla rakho sab thik ho jayega.........

Panditjee: ghar ke sabhi aake ek bar ise aakhri shrdhanjali de dijiye.........

Sabse pehle Prerna, Anjali aur Kashish jate hai aur Dadi ko aakhri bar milke aate hai...........Phir Kavya jata hai...........aur Sujal jate hi Dadi ke pass puri tarah se tut jata hai..........

Sujal: Dadi........aap muje aise chod ke nahi ja sakti .........ple dadi uthye na..........dadi aap meri baat nahi manenge......thik hai main bhi aapse baat nahi karunga.............dadi aap muje akela chod ke kyun ja rahi hai.........ple dadi........

Sujal yeh kehke Dadi ke pass puri tarah se tut jata hai...........Sujal ko aise dekh ke Kashish ko bahot bura lagta hai.........Kashish khadi hoke Sujal ke pass use sambhalne ke liye ja rahi hoti hai jab woh apne aas pass bahot se log ko dekhti hai........Kashish wapas apni jagah pe bethti hai.........Kashish Kavya ki aur ishara karke use kehti hai Sujal ko sambhalne ke liye.............Kavya Sujal ke pass jake use sambhalta hai.........

Sujal: dekhiya na Bhaiyaa Dadi kuch bolti nahi........

Kavya: Sujal...........hosh me aao...........Dadi ab is duniya me nahi rahi.........woh tuje muje hum sabko chod ke chali gayi..........suna tune Dadi hum sab ko hamesha ke liye chod ke chali gayi...............apne aap ko sambhal...........

Sujal Kavya ke khandhe pe sir rakh ke bahot rota hai.............

Panditjee: inki aakhri kriya ka waqt ho raha hai..................is liye ghar ke log aage aake............

Sab log milke Dadi ko le jate hai...............

************************************************************************

Ab aise hi pura din bit jata hai............Sujal apne kamre me hota hai...........Kashish neeche Anjali ko kitchen me madad kar rahi hoti hai.........

AnjalI; achcha Kashish..........ab tum bhi jao...........baki ka kaam hum subaah kar lenge..........

Kashish: jee bhabhi..............kitne baje puja hai...........

Anjali: aath baje lekin koi baat nahi main subaah ki taiyaariyaan kar lungi..........

Kashish: nahi Bhabhi............aap muje bata dijiye main aapki madad karungi........

Anjali: thik hai to subaah ke che baje aa jana.............

Kashish: jee bhabhi..........

Anjali: ab tum bhi jake thoda so lo...........

Kashish: bhabhi........yaha neend kaha hai ki .........

Anjali: janti hoon waise neend to kisi ko nahi aayegi lekin aise hi thoda aaram kar lete hai............

Kashish: haa........aap bhi jake Ved ko dekhiye..............bechara waise hi bahot darr gaya hai..........

Anjali; use Kavya sulane to le gaye hai..........

Kashish: aap jake Ved ke pass jaiye main bhi chalti hoon...........

Kashish apne kamre ki aur jane lagti hai..........

Anajli: Kashish..........

Kashish: kuch kaam hai...........

Anjali: Sujal kaisa hai.............

Kashish: pata nahi..............

Anjali; Kashish is waqt Sujal ko tumhari sabse jyada zaroorat hai............tum meri baat ko samaj rahi hona............

Kashish: haa main aapki baat ko samaj rahi hoon.........aap pareshan mat hoiye dadi se vaada kiya hai maine ki Sujal ka khayal rakhne ka to main us vaade ko puri zindagi nibhaungi..............

Anjali: aur muje tum pe pura yakeen hai.........ab tum jao tumhe is waqt Sujal ke pass hona chahiye........

Kashish: thik hai...............

************************************************************************

Kashish jab kamre me aati hai to Sujal bed pe betha apne haath me sir leke betha hua hota hai............Kashish jake uske pass beth ke Sujal ke kadhe pe apna haath rakhti hai......

Kashish: Sujal.........

Sujal: tumhe bhi yahi lag raha hoga na ki main dikhava kar raha hoon.........

Kashish: nahi main to............

Sujal; Kashish..........main pehle se aisa nahi tha.....agar tum muje pehle dekhti to khud pe tumhe yakeen nahi hota........main zindagi ko jita tha ....lekin zindagi ne itne dard diye ki muje aisa paththar dil banne pe majbur kar diya............pata hai jisse main pyaar karta hoon woh muje chod ke chala jata hai..........pehle Dada..........phir papa..........ab dadi bhi............aur kal ko tum bhi muje chod ke chali jaogi.........

Kashish: nahi Sujal..........

Sujal: nahi kashish tum sach janti ho..........sach yahi hai ki hum is duniya me khali haath aate hai aur khali haath jate hai..................jo chale jate hai woh ek bar bhi piche mud ke nahi dekhte ki unke bina dusro ki kya halat huyi hogi.............main bhi tanha tha tanha hoon aur aise hi main jee lunga..........lekin muje pyaar karne se bahot darr lagta hai...............darr lagta hai ki agar maine kisi se pyaar kiya aur woh bhi muje chod ke chali gayi to..............kyunki aaj ke bad mujse koi mera apna jo muje pyaar karta ho woh muje chod ke chala jayega to main pagal ho jaunga............main jee nahi paunga.............meri zindagi usi din khatam ho jayegi..................jaise is waqt mera sir sirdard se fat raha hai...............aisa lag raha hai ki abhi mera sir fat jayega..........Kashish muje bahot dard ho raha hai.......mujse yeh dard sahan nahi ho raha.......

Yeh kehte hi Sujal apna sir Kashish ki god me rakh deta hai..........Kashish ko kuch samaj nahi aata ki woh kya kare lekin pata nahi woh apne dil ko aur apne haath ko rok hi nahi payi.............Kashish Sujal ke sir ko sehlane lagti hai..............

Sujal: kashish...........tumse ek baat puchu............tum to muje chod ke kabhi nahi jaogi na..........

Kashish: nahi Sujal..........main tumhe chod ke kahi nahi jaungi....aur tum akele nahi ho..........tum akele kaise ho sakte ho main hoon na tumhare saath..........main her waqt tumhare saath rahungi.....aur ab kahi na kahi pata nahi lekin tumhari mere dil me jo jagah ban gayi hai uske bad main tumhe kaise akela chod ke ja sakti hoon..........aur tumne sahi kaha tha hum jaise bhi hai hai to pati patni.............aur ek patni apne pati ke bina kaha ja sakti hai...........aur agar main chali gayi to tumhe kaun sambhalega..........ek din tumne mujse ek moka manga tha aaj main tumse ek moka mangti hoon apne rishtey ko tumhe samajne ka..........kya tum nahi donge muje woh moka.............main janti hoon tum muje zaroor donge......hai na Sujal............

Sujal koi jawaab nahi deta.............

Kashish: Sujal...........

Kashish dekhti hai to Sujal aise hi so gaya hota hai.............Kashish Sujal ko bed pe thik se sulane ki koshish karti hai lekin aisa woh kar nahi sakti...........ab na chutke woh bhi aise hi bethi rehti hai..............Sujal to chain se Kashish ki god me apna sir rakh ke soya hua hota hai............kashish aise hi sujal ko dekhte hi dekhte khud bhi bethe bethe so jati hai...........................

************************************************************************

Ab aise hi subaah hoti hai............jab Kashish ki aankh khulti hai..........aur woh khadi me dekhti hai to subaah ke panch baje huye hote hai....................

Kashish (to herself): Panch baj gaye..............che baje to Bhabhi mera neeche puja ke liye intzaar kar rahi hogi..............

Kashish bed se uthne ja rahi hoti hai jab woh Sujal ko dekhti hai jo Kashish ka haath pakad ke abhi bhi aise hi soya hua hota hai..........aaj pata nahi lekin pehli bar Kashish Sujal me apne pati ko dekhti hai jise woh hamesha dekhna chahti thi...........Kashish dheere se apna haath chudane ki koshish karti hai jab Sujal ki aankh khulti hai...........

Sujal: Kashish.........

Kashish: shhhhhhhhhhh..........tum so jao........abhi sirf panch baje hai............

Sujal:aur tum.........

Kashish: muje neeche puja ki taiyariyaan karne jana hai..........tum so jao........main thodi dair bad tum jaga dungi................

Yeh kehte hai Kashish Sujal ko pass me rakha pillow deti hai aur Sujal wapas so jata hai............Kashish khadi hoke thik se Sujal ko blanket dal ke taiyaar hoke neeche chali jati hai..............ab Kashish aur Anjali aise hi puja ki taiyariyaan me ulaj jate hai...........lekin Kashish kuch uljan me hoti hai...........

Anjali: Kashish.........kya bat hai tum pareshan lag rahi ho...........

Kashish: nahi.............woh nahi.......haa.........nahi.............

Anjali: iska matlab tum zaroor ho........batao kya hua.........Sujal ne kuch kaha..............

Kashish: nahi Bhabhi usne kuch nahi kaha..............lekin usiki waje se main thodi pareshan hoon................................

Anjali: main kuch samji nahi............

Kashish: woh maine kal pehli bar Sujal ko aise tutte dekha..........koi nahi keh sakta ki itne sakhat aadmi ke piche ek aisa insaan hai jiske pass ek dil hai jo sabhi se bahot pyar karta hai...............pata nahi bhabhi kal sujal ka yeh chehra dekh ke.............kuch samaj me nahi aa raha ki kis pe yakeen karoon......kal raat bhi puri tarah woh bas aise hi tut ke rota raha aur bas ek hi baat baar bar keh raha tha ki sab use chod ke chale jayenge..........jo maine aaj tak dekha us par ki kal jo maine mehsus kiya uspe............

Anjali: Kashish kal raat tumhare saath jo insaan tha woh tumhara asli pati sujal hai...........kal jo chehra tumne dekha woh asli chehra hai Sujal ka..................kal pehli bar tumhara samna apne pati se hua..............maine kaha tha na ki jis din tum Sujal ka asli roop pehchan logi tab apne aap ko khusnaseeb manogi........

Kashish: aapne sahi kaha.................Sujal agar is parivar ki dhal ban sakta hai to yeh parivar Sujal ki kamzori hai.......................

Anjali: kal jis sujal se tum mili ab tumhe us Sujal ko zinda rakhna hai..........tumhe ab uski madad karni hogi wapas us sujal ko zinda rakhne me...........tumhe use phir se pyaar pe yakeen karna shikhana hoga........

Kashish: bhabhi..........ab to main bhi yahi chahti hoon ki kal jo mere saath Sujal tha wahi sari zindagi mere saath ho.......................achcha bhabhi ab puja ka waqt ho raha hai main jake Sujal ko jagati hoon........

************************************************************************

Kashish jab kamre me aati hai to Sujal khidaki ke pass khada hota hai...........Kashish Sujal ke pass jake khadi hoti hai................

Kashish: Sujal tum...........

Sujal: haa..........

Kashish: mera matlab tum kab uthe...........

Sujal: bas thodi dair pehle hi aankh khuli............lekin kamre me dekha to koi nahi tha ............

Kashish: ha woh muje neeche bahot sara kaam tha isi liye............lekin ab tum taiyaar ho jao...........main tumhare kapde nikal deti hoon..........

Kashish waha se jane lagti hai lekin Sujal uska haath pakata hai............

Sujal: thanks Kashish...............

Kashish: kis liye...........

Sujal: woh kal raat main tumhare samne.......

Kashish: kal raat aisa kuch nahi hua jise tumhe sharminda mehsus hona pade............tumne jo kiya woh apna hakk samajke kiya..........aur tum apni patni ko thanks na bolo to hi achcha hai..............

Sujal: iska matlab............tumne.........

Kashish: haa Sujal...........maine is shaadi ko apna liya hai aur dadi ki bhi yahi khwaish thi to main kaise use puri nahi karti............

Sujal: to tum sirf dadi ke liye...........

Kashish: nahi shayad ab main bhi yahi chahti hoon............ab tum yeh sab chodo abhi tumhe dair ho rahi hai.......hum iske bare me bad me baat karenge..............

Sujal: thik hai...............

thodi bar Sujal aur Kashish taiyaar hoke Puja ke liye aate hai..............panditjee ghar me se kisi pati patni ke jode ko puja me bethne ke liye kehte hai...............

Kavya: Sujal............tum hamesha se dadi ke kareeb rahe ho.,..........aaj main chahta hoon ki dadi ki yeh puja tere haath se ho............

Sujal: jee.............

Panditjee: aapki patni..............

Kashish: yahi hai...........

Sujal Kashish ki aur dekhta hai............Kashish aake Suajl ke pass puja me bethti hai.............aur aise hi dono ke haath se puja hoti hai.............

cute_samrah thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 16 years ago
awsome part.......................................while reading i was crying....................very emotional part...........................i m very happy kashish ne eik moka dia sujal aur i tink ab dono ache husband wife sabit hogay ....................................con't soon eagerly waiting
ajnabi_sahil thumbnail
Explorer Thumbnail
Posted: 16 years ago
Hi Kashish
Superb..wonderful 👏👏
A very emotional and inspirational part....its makes me cry .......bahut acha likha hai aapne..I love this part.......dadi ki death ki wajah se ghar mein gham ka mahaul hai..hope sab log jaldi sambhal lenge khud ko aur jindgi phir se normal hojayegi.......same time I am very happy for SK dono sath hain aur Kashish sujal ke asli roop ko pehchan gaye hai..hope ab sab kuch bahut acha hoga...kuch romance kuch fun aur kuch masti...
Rishton ki asli parakh tab hoti hai jab rishton ko dard ki rah se gujarna pade..........very nice yaar bahut acha likha hai aapne..I loved it..
thanks for nice part..
Please keep up the good work and continue soon
take care
Devotion. thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail
Posted: 16 years ago
nice part kashish..👏.....m relli glad sujal kashish finally accepted their relationship...!! hope things go alrite soon...
gr8 part...
👏👏👏👏👏......plz continue soon......
heena_mehta thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 3
Posted: 16 years ago
hey kashish ye part bahut emotional tha😭.bt u av written it very beautifully👏............ each n every emotion is defined in a very naturual manner..............i was feeling bad for sujal...........y each n evry person whom he loves, use chor jata hai😭.bt jaise kashish ne use support kiya that really very nice n lovely ...............ab kahin na kahin ek dusre ko samjne lagre hain.........thats really gr8.aur in sab mein kashish ko ek sujal wo bhi nazar aaya whi is very soft natured person.who cares for his family alot😳.................aur ab to kashish is not going anywhere.....i hopr ab jaldi se dono ye xcept karne laye that both love each other...............n d scene jisme sujal; kashish ke lap me sir rakhar sota hai thats was d most beautiful n well written secne n last pooja scene was also very nice👏...thanx for this part.plz continue asap
Edited by angel 16 - 16 years ago
jyothi_cool thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 16 years ago
wow lovely part hope she succeeds in bringing the real sujal alive
Iqbal Neha1 thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 16 years ago
amazing part
it was really emotional but finally kashish saw the real sujal.
i liked the way sujal opened up to kashish and shared his feelings with her i hope kashish makes sujal understand that if he loves someone they may not always leave u.
finally kashish wants to give a chance to her relationship hope during the sad time sujal and kashish become even closer to each other than they are now.
👏
Edited by Iqbal Neha1 - 16 years ago
swetha10 thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 16 years ago
Amazing brilliant part Kashish................Very emotional......i'm very touched by the update... Nice to c the actual caring n loving Sujal.. Finally Kashish also accepted her marriage............... PLzz continue soon............I'm really enjoying it.................😊
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 16 years ago
kashish i'am here with my comments on this fanfic of your's.... sorry woh main thoda late hogayi.... woh kya hai na mere college mein they gave they gave us five assignments to complete tho wohii karne mein lagi thi aur ussi liye tumhara comment type karne mein dhairi hogayi.. i hope you understand....😊 now coming to the part which you have written.. kashish according to me this is one of the best parts of the whole fanfic... the emotions were all so perfectly well described.. you know yeh part padne ke baad meri aankhon se aasoo behne lage hai... i was really touched after reading the whole part.. i really did not understand kii main kya karoon.. it left me with such a great impact.. i cannot even express in words the kind of impact the part has left on my mind.... you know kashish dear whenever i'am free i always think about your fanfic, kii agge kya hoga, kaise hoga.. it is always running on my mind... it is just so well written.. everything in the part was very damn well scripted... i'am so sad kii dadi sabko chod kar chali gayi... for each one in that family dadi was a support, a friend, a grandmother, the eldest in the family.. but now that pillar of strength has left them and gone,leaving them alone and taking away a important aspect from each & every persons life in that house... i can understand kii it is not only sujal who has faced the loss but each and every member has lost something with dadi going away... unke aasoo, their pain showed what dadi meant to each of them... but i'am happy with the fact kii at this point of time all are standing by together and supporting each other, and helping each other to fight the crisis and come out strong...jaise sujal ne dadi ke pass jaakar dadi se baat ki, bechara toot gaya gaya hai.. he is still unable to believe kii dadi un sabko chod kar chali gayi....i really felt very bad for him... then woh scene jahaan sujal kashish ke lap mein apna sarr rakhtha hai, and the way kashish runs her hand over his head comforting him.. sujal kii har ek baat ne mere dil ko cheer kar rakh diya.. sujal ek aisa insaan hai joh bahar se sakht hai aur andar se naram.. just like a coconut.... it is just that he has lost so many people who mean so much to him, kii aaj woh pyaar karne se darrtha hai, kissi ko apna banane se darrtha hai....aur issi wajah se sujal acts like this mr.rude, and shows so much of attitude... kyunke sujal does not want to show his vulnerable side to anyone....i felt like crying when sujal talked about his feelings,his darr to kashish.. my heart went out to him... i'am happy kii kashish was there by him to listen to him and comfort him with her soothing words.. and at last sujal expressed his biggest fear,that is his fear of losing kashish.... i loved the way kashish assures him kii she will never leave him... she says she has promised dadi and also now she knows kii may be there relationship is meant to be.... this is just excellent.. kashish apne aur sujal ke rishthe ko ek naye sire se shuru karna chahthi hai and this is awesome, amazing...kashish is behaving like a supportive wife and kashish woh zimedaari khoob nibha rahii hai... the morning scene between anjali & kashish was nice.. where kashish promises kii woh sujal ka saath degi, sujal ko sambhalegi.. way to go kashish.. keep it up.. and then the talk between sujal,kashish in the room where kashish tells him things stating that she is his wife, and he has hakh on her and he has the right to express his feelings in front of her... and he din't do anything wrong... gooddddd.... the last bit of the scene where the pandit calls for sujal's wife & kashish comes from behind saying yahiin hai.. all this show kii ab kashish bhii dil se yeh maan hii chuki hai kii uski shaddi sujal se ho chuki hai & she is his wife.... this is ek dum zabardast... i just want to tell kii may dadi soul rest in peace.. aur in my opinion i can see sujal,kashish's bond getting stronger and they both are getting attached to each other pehle se bhi zyada..... this is just amazing..dadi ne jaathe-jaathe sujal-kashish ko mila diya aur un dono ke rishthe ko aur bhi mazboot dor se baa diya.. aur yeh dor tho mere hisaab se sujal-kashish kii shaddi kii rasmein aur vachan se bhii bada hai.. yeh hai rishton kii dor... yeh hai woh dor joh dadi se juda hai.. woh dor which defines their respect they have for dadi... woh dor joh dadi ne jaathe-jaathe un dono ke beech jodh diya aur joh kabhi nahii tootega..... keep up the good work going yaar.. really rocking.....👍🏼 ab kashish dear coming to my guess on the forth coming parts.. well i think sujal,kashish ek dusare ke aur kareeb aathe jaayenge... they will get attached to each other pehle se bhii zyada.. both sujal & kashish ko yeh ehsaas tho ho hii jaayega kii they love each other... lekin dono mein se ek bhi apne feelings ka izhaar nahii karega, yeh soch kar kii shayad they will face rejection... shayad sujal yeh sochega kii kashish is there with him only because of the promise she gave dadi.. and he may also think kii kashish does not love him & sees him only as a friend.. doosri taraf shayad kashish ko yeh lage ,\kii sujal uske saath hai just because they are binded together due to their shaddi and he is not with her wilifully, dil se and even kashish may think kii agar woh sujal se apne dil kii baat kahegi tho sujal will say no to her, reject her.. and i also think kii kashish's personal diary will play a vital role , in sujal-kashish expressing their feelings to each other... so dear this is my guess..tho kya mera yeh guess sahii hai ya ghalat.. mujhe zaroor batana...i want to know...😉 kashish dear next part jaldi se post karna..i'am waiting for it very damn eagerly, palkein bichakar..😊
Edited by sun_423 - 16 years ago
mystified thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 16 years ago
awesome!!!

very emotional part😭😭😭....and sujal ka yun tutna was soooooooo sad😭😭😭.....

i am glad that is mushkil dor mein they have each other😊😊😊.....it is good to have someone understanding our pain😊.....

beautifully expressed👏.......

now that they have begun to start their new journey together i just hope there are no more problems of any sort😳....

wonderful update👏👏👏...do continue soon.........

take care😃

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: goodkashish

6 years ago

Kassir ...Sujal&Kashish...Part 28 - Pg 33

Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: dellzcreationz

3 months ago

Aradhana & Reyaansh SS : Na Jaane Kyun (last chp + epilogue pg 3)

COVER BY AISHWARYA (Mystic_Muse) SUMMARY Suzanne Miller , an Indian Origin Canadian Citizen adopted by the Miller family, who goes on a quest to...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Rizz-ington

1 years ago

⭐Back⭐ Arhi FF | Iss Darr Ko Kya Naam Doon: Chapter 3 - Part 3/3

A N A R H I F F ---- Iss Darr Ko Kya Naam Doon Summary: Khushi is an internet famous 27 year old fashion designer from Lucknow. She has a chirpy...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: dellzcreationz

8 months ago

In Your Memories Book 1 (Last Chap Pg 12+ Imp Note Bk 2) In Your Memories Book 1 (Last Chap Pg 12+ Imp Note Bk 2)

Siggi by Sandhya (@sevenstreaks) (P.S this was my pitching picture to the production houses - which Sandy had done for me a couple of years...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".