EPISODE 17:
Rajeev goes over to his van and reads the note again.
Thanks for everything you have done and a small gift for my saviour so that he doesn't get a back pain
Wishes
Priyanka
Rajeev looks at the small packet that she had sent, it has a MOOV in it!
Rajeev remembered all the teasing and laughed out loudly. He also writes a note, packs something in a small packet and gives it to the spot boy: yeh Priyankaji ko de dena
Spotboy: (smiling) ji kuchh kehna hai?
Rajeev: nehi bas yeh de dena
Spotboy: (still smiling) aur flowers bhi bhejne hai?
Rajeev: Kumaaaar
Spotboy: sorry sir, ok mein chalta hoon
Aliya: Rajeev tum kya kar rahe ho?
Rajeev: bas aya
Aliya: Kuchh zaroori message tha? Is everything fine?
Rajjev: haan bas mera manager ka message tha, kuchh dates ke baare mein…!!!!!!!!!!!
Aliya looks at him suspiciously, and then says: ok chalo
Aliya and Rajeev reach Galaxy jwellers once again.
Rajeev: order number mujhe yaad hai, ab tum jaake naam pata karo, address nehi hogi
Rajeev waited outside while Aliya walked in the shop with the slip. Rajeev aaj thoda make up lagakar aya hai, a little bit of false beard gave him a completely different look. He looked all around him, people were all busy in their own work, nobody noticed him at all…but somehow he felt somebody was watching him from somewhere…
Priyanka room mein rest kar rahi thi, lekin uska poori dhyan Rajeev ke note par thi, it was so funny! She laughed aloud for some time…
Arjun: tu has kyon rahi hai akele?!!
Priyanka chauk jati hai: arrey tu kab aya?
Arjun: 5 minute se khada hoon idhar, par tujhe dikhe tab na! kya pad rahi hai? love letter?
Priyanka: haan love letter hi soch lo, ya fir insult letter
Arjun: woh kya hai? dikha mujhe
Priyanka: arrey nehi, bas kuchh nehi (she hides the note under her pillow) tu bata kaise ana hua
Arjun: bas tujhe dekhne aya thi, btw tujhe accident ke reason ke baare mein pata hai na?
Priyanka: reason? Nehi toh!
Arjun tells her all that has happened.
Priyanka: oh my God, par tujhe sach mein lagta hai ki Ghazal aisa kar sakti hai?
Arjun: pata nehi yaar, lekin kuchh toh gadbad hai
Priyanka: Arjun chal coffee peene chale, kab se room mein baithi hoon
Arjun: par tera bed rest?
Priyanka: tu chal na
They both come out and start walking towards the caf, tabhi they spot a commotion near the gates. Two cadets were standing there, along with Rachna, Prachi's babysitter.
Arjun: yahan kya ho raha hai?
Priyanka walks upto the group, she recognised one of them, cadet Nayanika.
Priyanka: Hi Nayanika, what's happening here?
The other one was cadet Iqbal
Ct. Iqbal: yeh bachhi aaplogon ki hai na? apoon janta hai isko
Priyanka: haan kyon?
Ct.Iqbal: yeh madam isse gate se bahar lekar ja reili thi, apoon ne isse roka
Ct Nayanika: haan aur isne iss ladki ke saath bahut badtamizi ki, mafi maango isse
Iqbal: kabhi nehi, pehle isse pooch bachhi ko lekar kahan bhag rehi thi
Nayanika: but that doesn't mean tu ek ladki ke saath aisa behave karega
Priyanka: hold on, hold on, ek min (To Rachna) kya hua Rachna, tum Prachi ko kahan lekar ja rahe the?
Rachna: mein toh isse sair karane le ja rahi thi, par isne roka…
Priyanka: Rajeev se poochha?
Rachna: haan unhone ne hi kahan ki Prachi ko thoda ghuma layoon, woh room mein rehna nehi chahti
Iqbal: yeh jhooth bol rahi hai, shakl se hi lagta hai
Nayanika: stop it Iqbal
Iqbal: you stop, feminism ka matlab yeh nehi ki tu har ladki ko sadhu samjhe
Priyanka: oh my God, Rachna tum Prachi ko lekar room mein jao, sahi mein gate se bahar jana thik nehi hoga
Rachna: ok ma'am
Rachna chali jaati hai.
Arjun: tere proposal se yeh ladki kuchh khush nehi hai, lekin woh Prachi ko campus se bahar kyon leke ja rahi thi?
Priyanka: wohi toh pata nehi Arjun, mujhe kuchh thik nehi lag raha hai, ispe thoda nazar rakhna padega (To the cadets) ab tum log jhagarna bandh karo, (to Iqbal) thanks for your concern for prachi
Cd. Iqbal: ek baat bolun? Bachhi ko zara sambhalkar rakhna, kuchh toh garbar hai
He leaves.
Arjun: ek baat bata, tu Prachi ko lekar itna concerned kyon hai?
Priyanka: arrey, chhoti si bachhi hai, bechari ki ma nehi hai, hum sab ko uska khayal rakhna chahiye
Arjun: tu kuchh zyada hi soch rahi hai usko lekar, koi aur baat toh nehi hai Pri?
Priyanka: kya baat
Arjun: tu achhi tarah se janti hai mein kya mean kar raha hoon
Pri: oh ho Arjun, tu bhi
Aliya comes out of the shop.
Rajeev: kuchh mila?
Aliya: very strange! Pehle toh mujhe kuchh batana hi nehi chahta, fir naam poocha toh naam ka bhi record nehi tha!
Rajeev: !!!!!!!!!! strange, iska matlab hamare paas kuchh aur suraag nehi hai! this is disgusting
Aliya: don't worry Rajeev, chalo wapas chalte hai, kuchh baithkar sochenge, achha tumhare paas aur kuchh hai jisse ki Prachi ka kuchh pata chale?
Rajeev: nehi Aliya………chalo
They reach the academy, Kumar, the spot boy comes to him: Priyanka ji ne aapko bulaya hai Sir
Rajeev: okay
Rajeev goes over to Priyanka's room. "Shayad Priyanka mujhse gussa hai, usse itna tease nehi karna chahiye tha,"he thinks. He remembered the note he sent her
"Thanks that you remembered my poor back, here's a small gift for you so that when you faint next time I won't sprain my back again!" He had sent her a packet of slim fast tablets!!……… "kuchh zyada hi ho gaya shayad, ladkiyon ko unke weight ke baare mein tease nehi karna chahiye" he kept thinking…he needed to compensate the damage…he picked up a bunch of flowers from the garden before going to her room………..
Rajeev: may I come in ma'am?
Priyanka looks at him with mock anger
Rajeev: This is for the lovely lady (gives the flowers to Priyanka)
Priyanka: who's fat too!
Rajeev: arrey nehi nehi, woh toh bas main mazak kar raha tha…
Priyanka: hmmm…toh aap boliye ki main moti nehi hoon
Rajeev: woh actually Priyanka, aaj mera brat hai toh aaj main jhoot nehi bolunga!!!!! hahahaha
Priyanka: achha? yeh kaunsa brat hai??
Rajeev: hai ek brat! Satyabad brat! isiliye aaj mujhse itna bada jhooth mat bulwao !!! hahahaha
Priyanka: oho toh aj aap sirf sach bolenge?!
Rajeev: bilkul!
Priyanka: achha?!! Toh fir thik hai, main aaj aapse jo kuchh bhi poochungi, apko sach bolna padega!
Rajeev: sure! Poochho na jo puchhna hai
Priyanka: Ekta ji ke baare mein aap kya sochte hai?
Rajeev: very smart haan? Thik hai aaj dil kholke sach bolunga! Ekta bahut hi ziddi, ghamandi, adiyal, aur idiotic hain
Priyanka: baapre aapne toh dil kholke gali de di!
Both laugh loudly!
Priyanka: achha yeh bataiye DJs ke baare mein aapka kya raay hain
Rajeev: woh toh aur bhi gaye guzre hai, satyanash kar diya hamare story ka!
Both laugh louder! Priyanka was rolling on the floor
Priyanka: aur Aamir kaisa film hai?
Rajeev: sach batau? story mein bahut gadbad hai! mujhe toh abi tak samajh mein nehi aya ki mere character ke saath hi itna sab kuchh kyon hua?
Priyanka: hahahaha, seriously Rajeev you are too funny, kash yeh sab koi reporter sun pata
Rajeev: haan Rajeev ka pol khul jata!
Priyanka: Hmm next question: Aamna Shariff se aap sach mein pyar karte ho? Dekho yeh baat sach sach batana, no diplomacy, haan?!
Rajeev: okay sach batata hoon, haan kisi zamane mein main sach mein unse pyar karta tha, par ab nehi, ab hum dost hai, sach mein bahut achhe dost…
Priyanka: achha toh ab aap ke dil ka seat khali hai?
Rajeev looks at her…keeps looking
Priyanka: kya hua bolo?
Rajeev: pata nehi … koi hai jo mujhe bahut achhi lagne lagi hai…lekin woh pyar hai ki kya hai pata nehi…
He keeps looking at her
Suddenly Priyanka feels a little alarmed…Rajeev's looks were a little disturbing, she regretted asking this question……she couldn't look into his eyes, she had also started feeling strangely about Rajeev off late…woh apne nazren jhuka leti hai
Rajeev: aur ek sach baat bolun Priyanka….(still looking at her intently)…
Priyanka: (cuts him off in the middle) okay okay, bas aap ka question answer session khatam hua!
Rajeev: thik hai, ab tumhari baari
Priyanka: matlab?
Rajeev: matlab ab iss game mein tumhari bari, ab sawal main poochhonga
Priyanka: aur main jhooth bhi bol sakti hoon, mera toh koi brat wat nehi hai!!!he he
Rajeev: isiliye tumhare liye rules thoda different hai, tum mere sawalon ka alternately sach aur jhooth jawab dena
Priyanka: matlab answer 1 mein sach bolun, toh answer 2 mein intentionally jhooth bolna padega? Wow this is fun!
Rajeev: haan ab tum decide kar lo ki tum sach se shuru karoge ya fir jhooth se
Priyanka: okay I'll start with truth
Rajeev: alright, here we go! Tumhara favorite co-star kaun hai?
Priyanka: sach: Vikas!! Hee hee
Rajeev: hmm ab batao tumhe Naina ka role zyada pasand hain ya fir Ekta ke kisi bahu ka?
Priyanka: okay, Naina ka role!
Rajeev: kyaaa? tumhe saas bahu ke roles zyada achha lagta hain? Ikkkkks
Priyanka: kya ikks ? wahan pe kitne ache ache jwellery aur make up hota hai! Naina bankar main lipstick bhi nehi laga payi!
Rajeev: kyon fresher's ball ke din? Tum sach mein bahut khubsurat lag rahi thi
Priyanka: oho thank you thank you, par aisa mouka roz roz kahan ata tha? Aapko toh kitne achhe achhe dresses diya jata tha, par humare liye wohi uniform L okay next question
Rajeev: Do you like me?
Now it was Priyanka's turn to say the truth but she had completely forgotten about it…!!!!!!
Priyanka: (thinking) oh my God yeh kya question hai? par iss baar toh mujhe jhooth bolna hai na? ok (LOUDLY) bas sirf like? mujhe toh aapse pyar hone laga hai!
Rajeev: (looking serious, but smiling inside) Priyanka tum game ke rules toh nehi bhul rahi ho?…tumhe ek baar sach bolna hai aur ek bar jhooth, alternately
Priyanka: (thinking) aha ab yeh mujhe confuse karna chahte hain (loudly) haan mujhe yaad hai, aur yehi mera answer hai
Rajeev: dekho iss game mein cheating nehi ki jati…
Priyanka feels a little uncomfortable, she tried to cover it up: main cheating nehi kar rahi hoon, promise
Rajeev: (looking straight into her eyes, with his signature expression in Raj-Naina scenes) yeh baat tumne mujhe pehle kyon nehi batayi
Now Priyanka feels evidently embarrassed, she sensed something in Rajeev's eyes and realized something must have gone totally wrong!
Tabhi they heard a knock on her door, they both come out of their trance
Rachna had come to hand over Prachi, she was leaving, she couldn't find Rajeev in his room, so she came straight to Priyanka!
The moment Rachna came, Priyanka remembered she had called Rajeev to talk about Prachi
Priyanka: arrey dekho baton baton mein bhul hi gayi tumhe kis liye bulayi thi…
She tells him everything that happened concerning Rachna.
Rajeev: oh my god, maine usse Prachi ko guest house se bahar le jane ke liye mana kiya tha aur woh gate ke paas chali gayi? Koi usse dekh leta toh?
Priyanka: haan Rachna ka behavior thoda ajeeb toh tha par aap itna tensed kyon ho? Aap Pachi ko chhupaa kyon chahte hai?
Rajeev: it's a long story Priyanka…
Priyanka: aap batao na, seems things are pretty serious…
Rajeev tells her everything.
Priyanka: oh my God, iska matlab us din jo apa pe humla hua tha woh bhi Prachi se related kuchh hai?
Rajeev: kuchh pata nehi Priyanka, koi suraag, koi saboot nehi hai mere paas, bas mera intuition keh raha hai ki main Prachi ko thoda sambhalkar rakhoon, shayad uske saath bahut saare raz jure hue hai…
Priyanka: aur aaj Galaxy jwellers mein bhi koi clue nehi mila?
Rajeev: no
Priyanka: achha ek baat batao, tumne kaha ki payment baki thi uss ring ka?
Rajeev: haan toh?
Priyanka: payment poore kiye bina hi ring ka delivery ho gaya?
Rajeev: arrey haan, this is quite strange!
Priyanka: kab ho sakta hai aisa? Socho toh
Priyanka's words struck a chord in Rajeev's head!! Sach mein, he had never thought of this! Priyanka you are a genius!
317