Last Part
Aaj Sujal aur Kashish ko chale gaye pure che Mahine ho chuke hai........aaj Kashish ki Book ko Book of the Year award mil raha hai.........Maya. Mehek. Abhay, Angad, Anurag, Prerna, Preet aur Ritu sabhi log aaye huye hai...........
Person: Good Morning Ladies and Gentalman.........aaj hum sab log yaha pe ek bahot hi special award dene aaye hai........aaj woh shaksh hamare beech maujud nahi lekin phir bhi hum log unki kitab ko sanmanit karna chahte hai.......Yeh award hum Kashish Sinha ko dene ja rahe hai........
Prerna stage pe award lene aati hai.......
Prerna: Namaste.........yeh award lene ke liye main taiyaar hoon lekin uska naam Kashish Sinha nahi .........Kashish Garewal tha meri bahu thi woh..........
Person: lekin unki shaadi to nahi huyi thi........
Prerna: kya shaadi ka matlab saath phere aur saath rehna hota hai.......nahi....shaadi ke liye do aatma ka milna zaroori hota hai......aur woh to ek dusre ke
ARWAAH the......ARWAAH ka matlab hota hai SOUL_MATE....marne ke bad Kashish ki mang suni nahi thi.....Sujal ke khoon ka rang tha Kashish ki mang me........Prerna Stage pe rone lagti hai jab Anurag aake unhe sambhalta hai.........
Anurag: jo insaan pyaar ke naam ka matlab nahi samajta tha woh aaj pyaar pe yakeen karne laga hai.......Pyaar se badhkar kuch nahi hai is duniya me......paisa aata hai chala jata hai lekin pyaar aakhri waqt me bhi saath nahi chodta.......muje aaj apne bete aur bahu ko khone ka koi afsoos nahi.........kyunki kabhi kabhi hum kuch insaan se itni mohabbat karte hai ki uske chale jane ke baad aaj bhi uska ehsaas hota hai..........aaj bhi Sujal aur Kashish woh naam hai jo mit jane ke bad bhi zinda hai.....ek ki saans ki dor dusre ke saans se judi huyi thi............Sujal ka aakhri shabd Kashish tha to Kashish ka bhi aakhri shabd Sujal tha......marte waqt bhi dono ki aankhoin me tha to sirf ek dusre ke liye beimtihaan mohabbat........us raat maut me juda hone ke bad bhi dono juda na ho sake.....maut aayi to sahi lekin use juda karne ke liye nahi balke ek naye jahan me lajane..........jise hum jannat kehte hai.........woh dono zameen pe to ek na ho sake lekin jannat hi woh jagah thi jaha pe dono ek ho sake.........kismat ne bahot khel khele unse........lekin kismat bhi har gayi undono ke pyaar ke samne.........woh jite ji to kabhi ek dusre ke na ho sake lekin marne ke bad ek ho gaye........aaj unke jane ke bad woh dono hum sab ke liye ek amar PremKahani chod ke chale gaye.......aaj tak humne Sohni mahiwal.....heer ranja...laila majnu......romeo juliet ki prem kahani sirf padhi thi......lekin Sujal Kashish ki prem kahani to hum sabne dekhi hai........pyaar ka ek naya roop........ek naya naam..........
SUJAL-KASHISH************************************************************ ***********************
hum dekhte hai ki ek ladka zeel ke kinare kisi ko dhundh raha hota hai..........
Sujal: Kashish.........kaha gayi.....
Kashish: main to tumhare samne hi to hoon.......
Sujal: lekin muje dikhai nahi deti....ab yeh aankh micholi kis se khel rahi ho...
Kashish: aankhein bandh karo......
Sujal: main tumhe dekhe bina bhi mehsoos kar sakta hoon........mere pass........mere dil me.......meri itni pass ki hum ab kabhi juda nahi honge.........
Kashish aake piche se Sujal ke gale lagti hai.............
Kashish: Sujal...zindagi ne hume kabhi milne nahi diya.........lekin muat ne hume hamesha ke liye mila diya.......aaj main bahot khush hoon.........
Sujal: tum mere saath ho to khush to main bhi hoon......lekin ab hume chalna hoga........
Kashish: kaha jana hai....
Sujal: chalo aaj main tumhe dusro ki prem kahani puri hote dikhata hoon.........
Kashish: dusro ki ...........thik hai chalo..........
************************************************************ ***********************
Sujal Kashish ko ek park me lejata hai waha sabhi log kashish ki book padh rahe hote hai...............Sujal aur Kashish sab ki prem kahaniyaan dekh rahe the aur bahot hi khush hote hai.........jaha pe Ritu aur Angad bhi hote hai.....
Angad: Ritu........yakeen nahi hota jo insaan ek dusre se ek bar mile ho woh ek dusre se itni mohabbat kar sakte hai.......
Ritu; main kitni bewfook thi.........pyaar ka matlab bhi nahi sikh saki lekin jate jate sujal muje pyaar ka asli matlab sikha gaya.....aaj pata chala hai ki pyaar kise kehte hai.............
Angad: pyaar ka dusra naam Sujal aur Kashish hai.........pyaar ki misal chod gaye hamare liye...........
Sujal aur Kashish Angad aur Ritu ki baatein sun rahe hote hai..........
Sujal: Kashish yakeen nahi hota......ki ritu jaisa insaan pyaar pe yakeen kar sakta hai......
Kashish: pyaar se to kisi ka bhi dil badla ja sakta hai........woh dekho dono me pyaar ho raha hai........
Sujal; kash ab in dono ko pyaar ka matlab samaj me aaye...........hum jate jate bhi agar in dono ke pyaar ko pura kar de to hamara pyaar ka matlab sab ko samaj me aajeyange.......
Kashish: ab hume dair ho rahi hai....hamare jane ka waqt ho gaya hai.......
Sujal: haa Kashish.........chalna to hai hume......aaj in kahani ko dekh ke muje apni kahani yaad aa gayi.....
Kashish: jinme sirf ek woh aakhri panna tha......hamare pyaar ke liye..........lekin dekho na waqt ke saath saath hamari kahani bhi khatam ho gayi.......do bichadnewale log marke hi mil gaye.........
Sujal: woh kahani puri hoke bhi ab shuru huyi hai.......ab pata nahi yaha pe kaun si nayi kahani shuru honewali hai.....shayad Ritu aur Angad ki........
Kashish:haa ab to her jagah se ek nayi prem kahani janam legi........lekin yeh tumhare haath me kya hai........
Sujal: wahi jisne hume milaya tha...........in sab ne tumhari book to padh li ........lekin un logo ne abhi mera pyaar kaha dekha hai.........yeh note hi ab in sab ko ek dusre ke saath wapas judenge........kyunki premkahani kabhi khatam nahi hoti.......kyunki woh to amar ho jati hai.......pyaar kabhi marta nahi.........pyaar karnewale mar jate hai lekin apne piche pyar chod jate hai.......
Kashish: lekin Sujal Pyaar ka dusra naam judaai bhi hai.....
Sujal: Judaai aati hai chali jati hai.....aur yeh judaai hi to pyaar ko gehra banati hai......yeh judaai na hoti to shayad koi aaj tak pyaar ka matlab nahi samaj sakta.....us kismat ne hume juda kiya.......Sujal aur Kashish ke dil ko juda kiya........lekin aakhir me aaj bhi log Sujal-Kashish ka naam ek saath hi to lete hai.......lekin jo jodiyaan banne ke liye hoti hai unka milna to tai hota hai........
Kashish: jaise.......badal aur barsaat.........chand aur chandni.......jaise Sujal aur Kashish,,,,,
Sujal: ab chale......
Kashish: Sujal in sab ko chod ke jane ka mann nahi hota........
Sujal: Kashish.......main tumhari is khwaish ko pura kar sakta hoon.......hum phir se is zameen pe aayenge lekin bichadne ke liye nahi milne ke liye......hum phir se janam lenge...........
Kashish: sach sujal.......
Sujal: mera vaada hai......tumhare
ARWAAH ka.Kashish: oh....I love you Sujal....
Sujal: I love You too........
Sujal aur Kashish ek dusre ke gale lagte hai aur phir ek dusre ka haath thamke jannat ki raah pe chalne lagte hai...................
324