Very well written, continue soon.
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 27th July 2025 EDT
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 26 July 2025 EDT
CID Episode 63 - 26th July
MAA BETI MILAN 26.7
WELCOME 🏠 MAIRA27.7
Anshuman 😭😭😭😭😭 Mannnnnn
Aneet Padda and why I think she's the next big thing
Anupamaa 26 July 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
What are your thoughts on this?
Vanga : My films are losing revenue due to Adult certification
Mohabbatein: one of the best scenes
Predict the first day business of War 2
Has Kajol forgotten how to act?
Unspoken ~ KaYu SS ~ Chapter 6 on pg 1
24 years of Yaadein
Who is Best for gen 5
Part-14
Us din Kashish apne naye safar pe to nikal gayi lekin piche apne sare sapne sari khushiyaan chod chali thi............Jab Kashish Sinha house pahunchti hai to sab log bahot khush hote hai.........Kashish sirf khush hone ka dikhava kar rahi thi kyunki Kashish ke dil ne itni chaut khai thi ki use dard kya hota hai aaj jana.............Kashish Andar hi andar apne aap ko kosh rahi thi........
Kashish: main bahot thak gayi hoon........main apne kamre me jake aaram karti hoon.....
Nandini: pehle khana to khale........maine teri manpasand Kheer banai hai......
Kashish: Mama,,.,.......mera bilkul mann nahi kar raha ......main bad me kha lungi...........
Kashish apne kamre me chali jati hai.........
Nandini: ise kya hua...........Kheer to ise behat pasand thi to......
Dadi: Yeh woh Kashish nahi hai jise humne Mumbai beja tha.........woh to hamesha muskurana janti thi........muje lagta hai humne Kashish ko Mumbai bhej ke koi galti to nahi ki........
Krishnakant: Main kashish se baat karunga.........muje apne beti pe pura yakeen hai ki kuch galat woh nahi kar sakti.............
************************************************************ *************
Dusre din Kashish Jeel ke pass bethi apne atith ke bare me soch rahi thi jab waha pe Krishnakant aata hai.......
Krishnakant: Kashish......Mumbai me sab kuch thik to tha na..........
Kashish: main bilkul thik hoon..........bahot khush hoon........aaj main ek doctor ban gayi hoon.........lekin Papa.......main apni intenship ke liye wapas Mumbai nahi jana chahti......
Krishnakant: Per kyun beta.......
Kashish: kuch yaadein jud gayi hai........jiska samna me nahi kar paungi......
Krishnakant: Kashish kahi tum.......
Kashish: nahi Papa............ab waqt aa gaya hai ki hum log us vaade ko pura kare...........haa papa,........main shaadi ke liye taiyaar hoon..........aap jisse kahenge uske saath......
Krishnakant: sach keh rahi hai tu.....
Kashish: haa......
Krishnakant: main aaj hi apne dost se baat karta hoon...........
Krishnakant apne ghar chala jata hai aur Kashish us din jeel ke kinare bahot royi lekin aaj use sambhalne wala koi nahi tha..........nahi Mehek thi aur nahi Sujal..........
************************************************************ *************
Krishnakant ghar aake sabse pehle apne dost Anurag ko phone karta hai.......
Krishnakant; Hello........Anurag......kaise ho.....
Anurag: Krishnakant tum.........main bilkul thik hoon.........aaj is tarah achanak phone kiya.........koi khas waje......
Krishnakant: haa.........woh maine tumhe meri choti beti ke bare me to bataya tha na...........
Anurag: kaun Kashish........
Krishnakant: haa woh Shaadi ke liye taiyaar hai...........Main chahta hoon ki Tushar ke liye tum meri choti beti Kashish ka haath swikar karo.....
Anurag: yeh to bahot subhagya ki baat hai ki tumhari beti hamare ghar ki bahu banegi.......hum log kal subaah hi aate hai Shagun leke........
Krishnakant: thik hai to phir kal subah hi milte hai...........achacha ab main phone rakhta hoon.....
Krishnakant Nandini aur apni Maa ko bulata hai.........
Krishnakant: Nandini.........Suno kal Anurag apne bete ke saath Kashish ka Shagun leke aa rahe hai.......
Nandini: kya kaha aapne.......
Dadi: Kashish ko pata hai......
Krishnakant: usne muje khud kaha.........aap logo ko main bata nahi sakta ki main kitna khush hoon.........Nandini kal sari taiyariyaan thik se hone chahiye.......kal koi kasar nahi rehni chahiye........
Nandini: aap befikar rahiye.........sari taiyariyaan me khud karungi.........
************************************************************ *************
Subaah hote hi Sinha house me zoro shor se taiyariyaan hone lagti hai........Kashish subah se apne kamre ki khidaki ke pass bethi hoti hai jab Nandini aur Dadi Kashish ke kamre me aate hai...........
Nandini: Kashish..........yeh lo aaj tum yeh saree pehnogi...........ab jaldi se taiyaar ho woh log aate hi honge.....
Kashish: jee........main abhi aayi.......
Dadi: Kashish kya baat hai kuch pareshan lag rahi ho.......
Kashish: pata nahi kya mera yeh faisla sahi hai ki nahi..........
Nandini: Jab bhi koi muskil ghadi ho to apne aankh bandh karke apne Krishnajee ka naam le lena.........her faisla karna aasan ho jayega.............
Kashish: samaj gayi me........Aap log chaliye main taiyaar hoke aati hoon.........
************************************************************ *************
Thodi dair bad mehman aate hai........Krishnakant aur Dadi milke unka swagat karte hai............Thodi dair me Nandini Kashish ko leke aati hai..........Tushar bas Kashish ko dekhta hi reh gaya......Kashish ne ek bar bhi apni palke uthake Tushar ko nahi dekha.......
Krishnakant: Tushar.........aaj kal kya kar rahe ho.....
Tushar: Thode din pehle hi main london se wapas aaya hoon apni business me master karke..........ab yaha aake Papa ko business me madad karta hoon.........
Nandini: shadi ke bad kaha rehne ka tai kiya hai.....
Tushar: Mumbai me apne parivar ke saath kyunki main apne parivar se dur nahi reh sakta.........
Kashish
(apne aap se); maine Mumbai apni nayi zindagi shuru karke ke liye choda tha lekin muje kya pata tha ki meri nayi zindagi bhi muje wapas usi seher me le jayegi.........Anurag: hume yeh rishta manzoor hai.........
Dadi: ek bar tushar se bhi puch lo.......
Tushar: muje yeh rishta manzoor hai lekin Kashish........
Krishnakant: Hume bhi yeh rishta manzoor hai........
Prerna; Lekin bhaisaab ek bar Kashish se bhi puch lete hai..........Kashish tumhe mera beta pasand to hai na.......
kashish bina dekhe sirf apna sir hilake is ristey ko swikarti hai.........
Tushar aur Kashish dono ek dusre ko anguthi pehnate hai...........Panditjee dono ki shaadi ka muhurat dus din baad ka batate hai...........sab log bahot hi khush hote hai.................Kashish apne kamre me chali jati hai.......
************************************************************ *************
Tushar: dadi.......maine jane se pehle ek bar Kashish se milna chahta hoon.......
Dadi: Ab kashish se milne ke liye hume tumhari izazat leni hogi............tum kashish se mil sakte ho..........tum logo ki shaadi ho rahi hai.......
Tushar Kashish ke kamre me jata hai jab woh dekhta hai ki Kashish khidki ke pass khadi thi.........hawa ke zoke se Kashish ke bal ud rahe hai.........
Tushar: Ahmmmmmmmm........ahmmmmmmmm
Kashish: are aap.......
Tushar: tum se kuch baat karni thi.......
Kashish: kahiye......
Tushar: tum is ristey se khush to hona........
Kashish: haa yeh shaadi hum apni marzi se kar rahe hai............
Tushar: ab thik hai..........agli bar tumhe Shaadi ke mandap pe hi milunga......waise hamare yaha riwaj hai ki shaadi ka joda dulhe ke ghar se aata hai.........main khud tumhare liye Shaadi ka joda pasand karne jaunga lekin aapse khubsurat to main nahi dhundh paunga......lekin main apni puri koshish karunga............chalta hoon.........ab ki bar aaunga to apne saath saath doli leke aaunga..........chalta hoon........
Tushar yeh kehke chala jata hai aur Kashish sirf woh anguthi ko dekhti rehti hai...........
Part- 15
Shaadi ki zoro se taiyaariyaan ho rahi thi...........Anjali aur Kavya bhi aa gaye hai shaadi ke kaam me haath batabe ke liye......aaj Kashish aur Anjali dono shopping ke liye market gayi hai..............Kashish aur Anjali mehndi aur Sangeet ki rasam ke liye saare dekh rahe hote hai.............
Anjali; Kashish tumhe inme se kaun si wali pasand hai.....
Kashish kuch dekhti hi nahi........
Kashish: Dii aap ko jo pasand hai muje bhi woh pasand aayegi..........
Anjali: Kya naam hai uska.......
Kashish: Sujal.......
Achanka Kashish ko ehsaah hota hai ki woh kya bol rahi hai.........
Kashish: aisa kuch nahi hai.........jaise aap samaj rahe ho......
Anjali: main saaf saaf dekh rahi hoon Sujal ke liye tumhari aankhoin me pyaar...........aur tum keh rahi ho aisa kuch nahi.............kyun Sujal aur Tushar dono ke saath dhoka kar rahi ho.........sab se bada to tum khud se kar rahi ho..............Main papa se baat karungi..........bahot der ho jaye usse pehle............
Kashish: ab to dair ho hi gayi hai........shaadi ke cards ghar se bahar nikal chuke hai.........Tushar achcha ladka hai ......muje to khush hona chahiye ki kuch pal ke liye hi sahi lekin muje mera pyaar mila......duniya me kayi log aise hote hai jo apni puri zindagi to jee lete hai magar pyaar ka ehsaas bhi nahi hota........haa yeh sach hai ki main sujal se pyaar karti hoon aur shayad apni puri zindagi karti rahungi.....Sujal ki jagah mere dil se koi nahi chin sakta..........lekin ek sach yeh bhi hai ki muje Tushar se hi shaadi karni hogi kisi bhi haal me.......
Anjali: tumne aisa kyun kiya kashish...........aisi kaun si majburi hai tumhari...................muje yeh baat samaj me nahi aati ki tum to pyaar me itna yakeen karti thi to aaj aisa kya ho gaya.......... tumhe meri kasam sach sach batana.........
Kashish: Maine aap ki shaadi ke badle me Papa se vaada kiya tha ki main papa ke pasang kiye huye ladke se shaadi karungi.............Dee vaada karo ki aap yeh baat kisi se nahi kahengi.........Jiju se bhi nahi.....
Anjali: dekh rahi hoon ki meri choti behen kitni badi ho gayi.......aaj tumne mera farz nibhaya hai......main badi hoke bhi kuch nahi kar payi.........muje maaf kar dena Kashish.........yeh sab meri waje se hua........
Kashish: Nahi Dee aap aisa mat sochiye........aap muje khush dekhna chahte hai na to aap kabhi bhi apne aap ko iska jimedar mat samjiyega...........ab yeh aanshu pocho aur baki ki shopping karte hai.........
Anjali: Kashish.........
Kashish: Dee......maine halat ke aage zukna sikh liya hai.........hum woh sab kuch nahi pa sakte jiski hum khawaish rakhte hai..........sach yahi hai ki jo taqdeer me likha hota hai wahi hota hai........jise na aap badal sakte hai na main..........use sirf aur sirf upperwala badal sakta hai aur usne meri taqdeer Tushar ke saath likh di hai...........
Anjali: Pata nahi kya kahoon.........sirf itna keh rahi hoon ki jaha bhi raho khush raho........
Kashish Anjali ke gale lagke rone lagti hai.........
************************************************************ ******************************
Waha Mumbai me Sujal apni Almari me se kuch dhundh raha tha ki achanak uske haath lagne se Kashish ki paayal neeche gir jati hai aur woh tut jati hai.........Sujal woh Paayal apne haatoin me uthata hai aur Kashish ke khayaloin me kahi kho jata hai.............Jab Veena kamre me aati hai.......
Veena: Sujal........yeh paayal kiski hai..........meri bahu ki hai na ........mujse nahi milvaonge.........
Sujal: Nahi Mama........yeh paayal beshak mere pyaar ki hai.........lekin ab aap kya main bhi kabhi use nahi mil sakta.......woh hamesha ke liye muje chodakar chali gayi hai.........uski koi majboori thi..........lekin mere liye uski yeh paayal aur yaadein kafi hai zindagi gujarne ke liye.........Pyaar ka matlab yeh to nahi ki hum jaisa chahe waisa hi ho.......aaj yeh jaanne ke baad ki woh kabhi meri nahi ho sakti phir bhi main aaj use utna hi pyaar karta hoon.............aur shayad karta rahunga........Shayad hum log is janam me to na mil sake lekin agale janam me woh sirf aur sirf meri hogi...........
Veena: Itna pyaar karta hai..........kya main jan sakti hoon ki us ladki ka naam kya tha..........kaisi thi woh...........
Sujal: Kashish.......bilkul apsara ke jaisi...........khubsurat bahot hi khunsurat........aur janti hai Mama jab woh hasti hai to aisa lagta tha ki sari Jannat ki khubiyaan usme hai.............aur jab woh roti hai to apne haath se apna chehra chupa leti thi kyunki use aisa lagta tha ki woh roti huyi bahot hi stupid dikh rahi hai..........aur sabse achchi baad to yeh thi ki woh bilkul saaf dil ki thi........o dil me hota wahi zubaan pe.......aisi thi meri Kashish..................
Veena: kitni naseebdar hogi Kashish jise tuj jaisa pyaar karnewala mila..........
Sujal: nahi Mama..........naseebdar to main hoon ki muje kuch pal ke liye hi sahi lekin Kashish ka saath mila.........achcha Mama me chalta hoon.....muje kuch kaam hai............bye........
Veena; Bye beta..........
************************************************************ ******************************
Aaj Tushar aur Charu bhi Kashish ke liye Shaadi ka joda lene ke liye mall me gaye hai...........kafi jode ko dekhne ke baad bhi dono Bhai-Behen yeh tai nahi kar sakte ki kaun sa wala lena...........dono hi do shaadi ke jode ke beech confuss the..........ek joda jo ki hare dupatte wala tha aur dusra jo sunhare dupatte wala...........
Tushar: Excuse me..........kya aap hamari madad kar sakte hai...........woh main apni dulhan ke liye shaadi ka joda tai nahi kar parahe............ple kuch help kijiyena...
Person: Agar main aapki jagah hota to yeh hare dupaate wala pasand karta kyunki sunhara rang uski khubsurati ko fika kar deta......hare rang me uski khubsurati aur nikhregi.......
Tushar: Thank you so much aapne to hamrai musibt yun hal kardi.......waisi main Tushar Raheja aur yeh mri behen Charu........aur aap.........
Person: hi.....i am Sujal Garewal........congretulation for your wedding..........
Tushar: tumhara yeh ehsaan main kabhi nahi bhulunga.........shayad kisi kaam aa shaku......
Sujal: phir mile to hakk se apna hissa manguga............
Sujal jewelary department me Kashish ki paayal repair me dene ke liye chala gaya aur Tushar aur Charu woh hare dupatte wala shaadi ka joda leke ghar chale jate hai..........
Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...
Siggi by Sandhya (@sevenstreaks) (P.S this was my pitching picture to the production houses - which Sandy had done for me a couple of years...
COVER BY AISHWARYA (Mystic_Muse) SUMMARY Suzanne Miller , an Indian Origin Canadian Citizen adopted by the Miller family, who goes on a quest to...
Meri Aashiqui Ho Tum( You are my love)Part 1 Thank you my dearest friend Sydell for the beautiful cover page. I dedicate this SS to mili_ai who...
Hey there, readers , Just a quick note: I wanted to let you know that since the old module is now locked, I've created a new one for you. You...
324