Part-11
Dusre din sab log wapas Mumbai ke liye nikal jate hai..........Lekin is ek raat me Kashish kahi kho gayi.........Shayad kahi na kahi Sujal ne kashish ke dil ke jasbaatoin me jaan dal di thi..........Kashish apni aur se puri koshish kar rahi hai Sujal se dur rehne me..........Lekin her bar Sujal ko dekhte hi woh harr jati hai..........Haa aaj Kashish manti hai ki use Sujal pasand hai..........pyaar karne lagi hai shayad lekin yeh pyaar Kashish ki zindagi ka sabse bada dushman tha.............Aise hi din bitte gaye Sujal ko bhi Kashish ka is tarah chup rehna pasand nahi tha lekin woh bhi kya kar sakta tha.........Aaj Kashish ka medical college me aakhri din tha.........Kashish ne apni padhai puri kar li thi aur Sujal ne apni intenship..........aaj sab logo ke liye college me farewell party hai..........Sab log party hall me pahunch jate hai........
Kanan: Kashish.........aaj koi aisa gaana ho jaye jo sab ke dil ko chu jaye.........Jo hamari dosti ke liye ho.........
Kashish: Kanan........mera dil nahi hai......
Mauli: come on Kashish..........after all it is our farewell party........
Sujal: ple Kashish suna do na kuch..........
Kashish; jaisa tum kaho.............
************************************************************ *****************************************************
Hum rahe ya na rahe kal (kashish Sujal ki aur dekhti hai)
Kal yaad aayenge yeh pal (Kashish Sujal ke saath bitaye huye apne her lamho ko yaad karti hai)
Pal, yeh hain pyaar ke pal (Sujal Kashish ki aur muskurata hai)
Chal, aa mere sang chal (Sujal Kashish ki aur apna haath badhata hai)
Chal, soche kya
Chhoti si hai zindagi (Kashish apna haath Sujal ke haath me rakhti hai)
Kal mil jaaye to hogi khushnaseebi (Sujal kashish ke kareeb aata hai)
Hum rahe ya na rahe, yaad aayenge yeh pal (lekin kashish apna haath chudake chali jati hai)
Shaam ka aanchal odhke aayi (Kashish Kanan ke pass jati hai aur uske piche khadi hoti hai)
Dekho yeh raat suhaani (mauli Kashish ka haath pakad ke aage lati hai)
Aa likh de hum donon milke (Sujal kashish ke dono haath ko apne haath me leta hai)
Apni yeh prem kahaani (Sujal Kashish ki aur muskurake use haa bolne ko kehta hai)
Hum rahe ya na rahe, yaad aayenge yeh pal (kashish apna sir naa me hilake apne haath chuda leti hai)
Aane waali subha jaane (Kashish Sujal se durr jake apne aanshu pochne lagti hai)
Rang kya laaye deewaani (Kanan aake uske kandhe pe haath rakhti hai)
Meri chaahat ko rakh lena (sujal Kashish ko apni aur karta hai)
Jaise koi nishaani (Sujal kashish ke forehead pe kiss karta hai)
Hum rahe ya na rahe, yaad aayenge yeh pal (Kashish apne forehead ko chuti hai aur apne aankhoin ke aanshu ko nahi rok pati.)
Hum rahe ya na rahe kal (Mauli come and takes both Sujal and Kashish to the stage)
Kal yaad aayenge yeh pal (Aman also joins them)
Pal, yeh hain pyaar ke pal (Kanan aake Sujal aur Kashish ke haath ko mila deti hai)
Chal, aa mere sang chal (Sujal kiss kashish's hand)
Chal, soche kya (Kashish pyaar se Sujal ke chehre ko chuti hai)
Chhoti si hai zindagi (Sujal kashish ke gale lagta hai)
Kal mil jaaye to hogi khushnaseebi (Kashish apna sir Sujal ke kandhe pe rakhti hai jab use ehsaas hota hai ki woh kya kar rahi hai)
Hum rahe ya na rahe, yaad aayenge yeh pal (kashish roti huyi Party se bahar taxi pakad ke Hostel chali jati hai)
************************************************************ *****************************************************
Kanan aur Mauli bhi uske piche chale jate hai..........jab woh kamre me aate hai to Kashish ro rahi hoti hai..........
Mauli: kya hua........tum ro kyun rahi ho.........
Kashish: main to sirf aap sab ko chod ke jane ka dil nahi kar raha......
Kanan: hum sab ka ya phir Sujal ko chod ke..........
Kashish: maine aisa to nahi kaha........
Mauli: Kashish kahi tum Sujal se pyaar.........
Kashish: nahi......hum dono sirf dost hai.......
Kanan: ek ladka aur ek ladki kabhi dost nahi ho sakte.........kyunki is jawaani me kabhi to pyaar ho hi jata hai...........Kashish isme tumhara koi kasoor nahi........
Kashish: aisa kuch bhi nahi hai..........hamare beech sirf dosti hai........aur waise bhi kal to main hamesha ke liye apne ghar hi to ja rahi hoon........
Mauli: to tum is tarah party chod ke kyun chali aayi.........
Kashish: Maine kaha na ki muje aap logo se durr jane ka gum hai........
Kanan: kashish tu kuch bhi keh.......lekin teri yeh aankhein bata rahi hai ki tu Sujal se kitna pyaar karti hai..........yeh aanshu joothe nahi hai.........bahot pyaar karti ho tum Sujal se..........aur janti ho ek sach kya hai......Sujal tumhe pichle char saal se deewano ki tarah tumhe chahta hai...........
Kashish: kya.........lekin usne muje......
Kanan: kyunki.........woh apne pyaar ka izhaar karke tumhari dosti ko khona nahi chahta tha..........use darr tha ki kahi tum use galat na samjo.......
Kashish: Sujal ne mujse itni badi baat chipayi.........
Kanan: jane se pehle ek baar apne faisle pe soch ke jana..........kyunki gujra hua waqt kabhi wapas nahi aata..........
Kashish ek uljan me fas gayi thi..........Kanan aur Mauli bhi kapde badal ke so jate hai............Aur kashish abhi bhi aise hi bethi bethi ro rahi hai............
************************************************************ *****************************************************
Aman Sujal ko chodne ghar aata hai............Jaha pe Veena aur lalit uska intzar kar rahe hote hai.........
Lalit: Aa gaye tum..........congratulation ........aaj tum ek doctor ban gaye ho............to ab kya socha hai tumne........
Sujal: Main aapke saath kaam karna chahta hoon..............Sanjeevani me..........
Lalit: yeh to bahot hi achchi baat hai........main kal hi baat karunga..........tum kal aa jana......
Sujal: papa.........muje kuch waqt chahiye.........abhi kitni sari jimedariyaan hai jo muje puri karni hai..........
Veena: jimedariyaan.......
Sujal: haa abhi kisi se muje apne sawalo ka jawab mangna hai...........
Sujal yeh kehke apne kamre me chala jata hai........
Lalit: ise kya hua.........
Veena: pyaar.........
Lalit: Kya...........pyaar aur ise.......pyaar ka matlab nahi pata use.......
Veena: lekin shayad koi ladki hai jisne hamare Sujal ko pyaar ka matlab shikha diya hai.........aaj main bahot khush hoon kyunki main janti hoon ki Sujal kisi ko pasand karta hai.........kisi se pyar karta hai........
Lalit: main usse baat karta hoon........main bhi us ladki se milna chahta hoon.........
Veena: kuch waqt ke liye ther jaiye........main khud use bat karungi lekin is waqt use apni zindagi ko sametne dijiye........
Lalit: jaisa tum kaho........
Veena: raat kafi ho gayi hai............chaliye chal ke so jate hai........
Lalit: chalo.........
324