Will update asap..
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 28 July 2025 EDT
Mannat Har Khushi Paane Ki: Episode Discussion Thread - 23
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai July 29, 2025 Episode Discussion Thread
MAIRA IS SAD 😞28.7
BALH Naya Season EDT Week #7: July 28-Aug 1
CRYING FAMILY 29.7
Gen 5 Storyline
In the ruins....I found you ❤️-A Prashiv ss
Anupamaa 29 July 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
If you had the power of vanishing one nepo kid?
Will Dhadak 2 surpass Saiyaara? 😎
Kajol screams like Anjali (in K3G) for Nysa’s graduation
Will WAR 2 Surpass Saiyaara
19 years of Omkara
Tanushree Dutta Requests People To Cooperate With PM Modi
Official Trailer - Andaaz 2
Anupama back to Shah house , at Baa's feet !
Part-6
Recap-
Raj, Yash aur Shveta Sidharth ki sangeet ceremony mein jaate hai jaha Raj ko pata chalta hai
ki Sahiba ke husband ki death ho chuki hai jisse wo sahiba ke liye thoda upset hota hai.... Yash
Raj ko naye ghar wali baat Shveta ko jald batane ko kehte hai.....
Ab aage.....
Next morning........
Roz ki tarha Raj aur Yash office ke liye nikal rahe the. Raj bahar car ke paas Yash ka intezar kar raha tha.... After about 10 minutes Yash comes & just stares at Raj
Raj: kya hua?
Yash: ab yeh kya kiya? hum office kaise jaayenge?
Raj: kya matlab?
{tabhi shveta waha aati hai, aur in dono ko u bahar khada dekh rukti hai}
Shveta: kya hua? Tum iss tarha yaha kya kar rahe ho?
Yash: yeh hamra naya shouk hai…
Svheta: uff ho, seedhe jawaab nahi de sakte kya?
Yash: yeh dekho Raj ne tyre puncture kar diya
Raj: {looks at the tyre} oh god! ab yeh kab hua?
Shveta: acha chalo aaj mere saath chalo...
{they both sit in the car}
Shveta: hey please kam se kam aaj jaldi aa jana
Raj: kaha?
Shveta: are aaj Sidharth ki shaadi hai, bhool gaye?
Yash: oh ha...., per aaj shaam to possible nahi hoga
{raj was lost in his thoughts}
Yash: designs final honewale hai aur wo clients bhi aa rahe hai so i dont think it is possible today
Shveta: tumhare kaam to roz hote rahenge, ab koi bahana mat karna please... Raj, tum kuch kehte kyun nahi
Raj: ah..., kuch kaha tumne?
Yash: lo, yeh janaab to apne hi khyaalo mien khoye hue hai
Raj: nahi bas, acha hum aa jayenge.., wo meeting kal kar lenge
Yash: per Raj wo clients....
Raj: wo waise bhi kal hi aa rahe hai, aur phir Papa bhi to nahi rahenge....
Shveta: ok to phir hum saath hi chalenge....
Yash: ok ok...., {looks at Raj& mummers} we've left with no option buddy
Raj: office pohoch chuke hai, ab chale?
Yash: ha...
{Pata nahi aaj Raj kahi khoya khoya sa hi rehta hai... uska kam mein mann hi nahi lag raha tha... Kuch der baad Yash bhi yeh notice karta hai}
Yash: Raj..., kya baat hai? kaha khoye hue ho?
Raj: nahi kuch nahi
Yash; kuch to hai, main dekh raha hu, kal raat se tum kuch khoye khoye se lag rahe ho, aakhir baat kya hai?
Raj: are kuch bhi to nahi, main to bas u hi kuch soch raha tha
Yash: kya?
Raj: wo main..... jaane do chodo.., yeh kaam pura kar lete hai
Yash: nahi Raj, kuch to hai, ab kya mujhse bhi chupaoge?
Raj: are kaha na, main to bas u hi soch raha tha
Yash: kya?
Raj: yeh bata kya kabhi tune kisi se pyar kiya hai?
Yash: what? Rajjj..... please! Mujhe iss pyar naam ke....ke..... whatever... se dur hi rakho ha
Raj: acha yeh bata ki tu pyar ke bare mein kya sochta hai?
Yash: kuch bhi nahi,per aaj achanak tum yeh pyar ko lekar kyun baith gaye?
Raj: bas u hi soch raha tha, farz karo ki tumhari shaadi ke baad tumhe kisi aur se pyar ho jaye to kya tum use galati kahoge?
Yash: oye hello! yeh kya baatein lekar baith gaye ho? Waise bhi mera manna to yeh hai ki ek zindagi, ek pyar aur ek hi shaadi... jaante ho Raj iss duniya mein aise bahot hi kam log hote hai jinhe apna pyar milta hai..., ab tumhe aur Shveta ko hi dekhlo, tum dono saalo se ek dusre ke saath ho, itne ache dost ho, dosti pyar mein badal gayi aur ab tumhari shaadi bhi ho jayegi. You should consider yourself among those few lucky people Raj
Raj: {laughs} shayad hamari kismat mein yehi tha
Yash: shayad? Ek baat to batao Raj, kya tum wakaye mein Shveta se pyar karte ho?
Raj: aaj yeh sawaal kyun ha?
Yash: yeh mere sawaal ka jawab nahi hai
Raj: well...., pata nahi, shayad ha ya
Yash: ya...??? hmmm..... jaanta hu, samajhta hu, per Raj har insaan ko zindagi mein ek baar to pyar hota hi hai... Per meri baat yaad rakhna… ek zindagi, ek hi pyar aur ek shaadi
Raj: {smiles} yes yes...., anyways ab thoda kaam karle?
Yash: ha....
{ After sometime, they finish off with their work, & was about to leave, just than Shveta calls up Raj}
Raj: ha shveta, hum bas nikal hi rahe hai.
Shveta: Raj, tum aate waqt jeweller se meri jewellery lete hue aaoge?
Raj: emm..., thik hai
Shveta: thank you so much.
Raj: ok bye....
Yash: kya hua?
Raj: jeweller ke paas jana hoga....
Yash: {laughs} acha hai....
Raj: kya?
Yash: chale? der ho rahi hai.....
{They reach the shop.... As they enter in, Raj see Sahiba standing there}
Raj: yeh to Sahibaji hai... per yeh yaha?
Yash: ha, anyways, tum jaldi se jo lena hai le lo
Raj: bas do minute
{he goes to sahiba first}
Raj: hi Sahibaji
Sahiba: hi
Raj: Arav kaisa hai
Sahiba: thik hai, aur aap?
Raj: ji main bhi thik hi ho
Sahiba: {smiles} hamara matlab tha ki aap yaha?
Raj: oh wo to bas Shveta ka kuch kaam tha isiliye..
Sahiba: acha, hum chalte hai....
{and she goes with a smile, while Raj still watch her going, Yash standing there looks at Raj,
after about 5 minutes Raj comes to him}
Raj: chale?
Yash: hmm.....
{they drive off to shveta's house, but Yash doesnt utter a word.... He just walk into the house...
After a while Raj comes in & sees Yash was sitting there with the same expression}
Raj: any problem?
Yash: ab tak to nahi, per shayad aage ho sakti hai
Raj: kya matlab?
Yash: mujhe galat mat samajhna Raj, per main bas yehi chahta hu ki tum...., tum Mrs.Singhania se naa milo to hi thik hai
Raj: main kuch samjha nahi
Yash: isiliye to samjha raha hu...
Raj: tum kehna kya chahte ho?
Yash: kuch nahi,bas yaad dilana chahta hu ki tumhari sagaai Shveta se ho chuki hai
Raj: Yash jo kehna hai saaf saaf kaho
Yash: jabse tum Mrs.Singhania se mile ho badal gaye ho..... ho sakta hai main galat hu, per mian bas wahi keh raha hu jo maine mehsoos kiya
Raj: Yash yeh tum kya keh rahe ho? Aisa... aisa kuch bhi nahi hai, are main to bas unse dosti karna chahta tha... to kya yeh galat hai?
Mujhe apni maryada yaad hai, are wo to mujhse nazrein mila kar baat tak nahi karti, aur tum...... {he bangs his fist on the wall}
Ab ismien unki kya galati hai agar unka pati unhe chodkar chala gaya? Ho kya gaya tumhari soch ko Yash?
Yash: chodkar chala gaya???
Raj: ha, her husband's no more
Yash: what?? i..... i'm sorry Raj, pata nahi...... main kya sochne laga..... i'm really sorry.......
Raj: lekin phir bhi aaj mujhe samajh nahi paya na..... {saying this he goes to his room & locks himself}
Yash: {to himself} mujhe Raj se aise baat nahi karni chahiye thi...... per phir...... hmmmm
[ yaha Raj bhi bechain hota hai]
Raj: {to himself} kya ho gaya tha mujhe? Wo Raj jisne aaj tak kabhi kisi ko koi explanation nahi diya, aaj wo............
[iss argument ke baad dono bhi kaafi disturbed the.... Yash yeh soch raha tha ki usne Raj se wo sab kehkar galati ki, jab ki Raj Yash ki baato ko kahi na kahi sach manne laga tha, jisse use bahot takleef ho rahi thi.....
Kuch der baad Shveta waha aati hai]
Shveta: kya baat hai, tum ab tak ready nahi hue?
Yash: nahi, shveta main nahi aa paunga meri tabiyat kuch thik nahi hai....
{tabhi Raj apne kamre se aata hai, aur kisi se bina kuch kahe seedhe bahar chale jata hai... Shveta use rokti hai, per wo bina kuch kahe chala jata hai}
Shveta: Yash, tum dono mein jhagda hua hai kya?
Yash: nahi Shveta, acha chalo main tumhare saath chalta hu..., main bas abhi aata hu... {and he goes to his room}
Shveta: {to herself} kuch baat to zaroor hui hai in mein....
{kuch der baad Yash aur Shveta Sidharth ki wedding ke liye jaate hai... Uper se to wo has rahe the per ander se dono bhi Raj ke liye bechain the...
Ab yash iss baat se naraz tha ki Raj bina bataye kyun gaya aur Raj iss baat se naraz tha ki Yash ne ek baar bhi usse kuch pucha nahi. Raj office jakar baithta hai...}
Raj: {to himself} itni badi baat keh di per ek baar bhi mujhe roka nahi....
Yash: {to himself} ab ek baar galati ho gayi to iska yeh matlab nahi ki wo bina kuch kahe ghar se nikal jaye....
{dono bhi ek dusre ke bina reh nahi paate the.... Akhirkaar Yash Raj ko phone karta hai...}
Yash: i'm sorry
{raj doesnt speak a word}
Yash: mujhe wo sab nahi kehna chahiye tha.., i'm sorry…… {pauses for a minute}. Ab kuch kahega bhi
Raj: ha thik hai...., aur kuch kehna hai?
Yash: ha
Raj: kya?
Yash: please kam se kam apne cabin ke lites on karke baithna warna peon lock karke chala jayega....
{and he disconnects the call & both of them laugh..... Now Raj was feeling much better..., he decided to go for the wedding but than after reaching home he changed his mind, and decided to be at home only. He knew, neither he was wrong nor his intensions… but still he somewhere felt that whatever Yash said was right.
Yash too was back to normal now, Shveta noticed this}
Shveta: hmm, so ab to batao ki aakhir tum dono ke beech hua kya tha?
Yash: kuch nahi, bas kaam ki wajah se thoda tension tha...., ab sab thik hai, shayad wo aata hi hoga
Shveta: ab? Ab to kaafi der ho chuki hai, lagta nahi wo aayega... Hum kuch der mein nikalte hai
Yash: ha, ab wo nahi aa raha to tumhe chain kaha?
{tabhi Sahiba waha aati hai}
Sahiba: acha Shveta ab hum bhi chalte hai.., per ha you did a fantastic job!
Shveta: thank you so much, per aap iss waqt akele kaha jaa rahe ho?
Sahiba: ghar, Arav ki davayi ka waqt ho raha hai....
Shveta: oh,to saath chale? hum bhi abhi nikal rahe hai
Sahiba: aap takleef na kijiye, hum chale jayenge
Shveta: please....
Sahiba: emmm..., ok hum Arav ko lekar aate hai
Shveta: ok...
{shveta aur sahiba ko u dekhkar yash ko lagta hai ki wo kitna galat soch raha tha....
sahiba arav ko lekar aati hai, aur wo nikalte hai}
Shveta: waise Sahiba aapse ek baat puche?
Sahiba: ji
Shveta: aap phirse apna kaam kyun nahi karte? Mujhe Sidharth ne bataya tha ki aap ek behetareen designer hai.... maine aapke designs dekhe, its just brilliant.
Sahiba: thanks, per ab yeh mumkeen nahi ho pata
Shveta: are kyun nahi, u should give it a thought. Mujhe bahot khushi hogi agar aap phirse apna kaam shuru kare, infact i'll be the first person to
come to u as your client
Yash: are seedhe seedhe bata do na. Sahibaji, baat yeh hai ki Shveta ne abhi abhi naya ghar liya hai, aur iss sheher mein aisi koi bhi designer bacha nahi hai jiski designs ise pasand aaye ho...
Shveta; {laughs} sivaye aapke Sahiba
Sahiba: {smiles} per ab hum phirse sab......
Yash: acha, client ke naate naa sahi to ek dost ke naate hi ha keh dijiye....
Sahiba: emmm....
Shveta: please Sahiba
Sahiba: thik hai...., per pehle hume ghar mein sabse is bare mien baat karni hogi, uske baad hi hum aapko kuch bhi bata payenge
Yash: thik hai.... lijiye pohoch gaye....
Sahiba: ander chaliye na
Shveta: abhi nahi, but ha agar aapka jawab ha hua to bahot jald milne aayenge..
Sahiba: {smiles} goodnite
Shveta: goodnite
{sahiba chali jaati hai aur yash aur shveta ghar lautt aate hai}
~~~~End Of Part-6~~~~
Comments Awaited!!!
Lotsa luv,
farheen
awsum update faru dii.. 👏 👏 👏 loved raj & yash's convo..so sweet.😳
pls update soon..
Part-7
Recap-
Yash aur Raj ke beech Sahiba ko lekar kuch behes hoti hai, jis ke baad Raj Sidharth ki shaadi mein nahi jaata. Shveta aur Yash Sahiba ko apna kaam phirse karne ke liye kehte hai....
Ab aage....
Two weeks later.....
It was morning time.... Sidharth was leaving for office just than he hears Arav's voice so he comes to his room. He was crying so Sidharth went closer to him, just than Payal too came there.
Payal: kya baat hai, Arav aaj itna kyun ro rahe hai.... Zaroor tumhi ne kuch kiya hoga
Sidharth: are wo to tumhare aane se aur rone laga
Payal: acha... hato bhi, Arav apni chachi ke paas aayenge..., kyun Arav
Sidharth: bhabhi kaha hai?
Payal: kitchen mein hai, bas aa hi rahe hai....
{Sahiba's cell starts ringing, Sidharth sees it was Shveta, so he attented the call}
Shveta: hi Sahiba
Sidharth: emmm.., its me Sidharth
Shveta: oh hi, mujhe laga Sahiba hai
Sidharth: ha,wo kamre se bahar hai, aate hi honge....
Shveta: ok,
Sidharth: waise kuch khaas kaam?
Shveta: nahi khass to nahi..., bas Sahiba mujhe kuch designers ke baare mien batane wale the
Sidharth: designers?
Shveta: ha, apne naye ghar ke interiors ke liye.
Sidharth: are to bhabhi ke rehte hue tum kisi aur ke baare mein puch rahi ho
Shveta: ab wo to shayad naa kar paye, per unhone kaha tha ki wo mujhe unki kisi friend se milvayenge
Sidharth: dont worry tumhare ghar ka interiors ab bhabhi hi karenge...
Shveta: per maine unse baat ki, unhone kaha tha ki wo ghar mien baat karenge.., but its ok, i understand
Sidharth: welll..., main tumhe kuch der baad phone karta hu
Shveta: thik hai..., Sahiba se kehna ki mera phone tha
Sidharth: ya sure, byeee
Shveta: byeee
Payal: per Sid, bhabhi kabhi nahi maanenge
Sidharth: per mujhe unhe manana aata hai. Waise bhi Ma bhi yehi chahti hai ki bhabhi phirse apna kaam shuru kare... ye mauka sahi hai…, har waqt bas wo un purani baato ko yaad karke apne aap ko takleef dete hai.
Payal: jaanti hu Sid...., kyun na pehle papa se iss bare mien baat kare?
Sidharth: tum thik keh rahi ho. Main abhi unse baat karta hu... Ab waqt aa gaya hai ki bhabhi apne liye bhi jeena seekhe
Payal: ha, aur iski shuruwat hume karni hogi....
Sidharth: main bas abhi aaya....
{saying this he goes to Balraj's room. Vikram too was present there... Sidharth entered in hesitatingly}
Balraj: kya baat hai Sidharth?
Sidharth: mujhe aap dono se kuch request karna hai
Vikram: hamare beta ko request karne ki kya zaroorat hai bhala
Sidharth: baat mere nahi bhabhi ke baare mein hai..... Papa, main chahta hu ki bhabhi phirse apna kaam shuru kare
Vikram: what? Nahi.... Singhania parivar ki badi bahu aur kaam kare? wo bhi aise....??
Sidharth: kaise chachu? Kya jo kuch bhi hua usmein bhabhi ki galati thi? Are unhone to aaj nazrein uthakar aap se baat
tak nahi ki.... Bhaiya ke jaane ke baad unhone ek pal bhi apni marzi ya apni khushi se nahi jiya hai...per phir bhi unhone kabhi kisi se kuch nahi kaha... Kya iss ghar ke liye har farz wahi adaa kare? Kya hamara unke liye koi farz nahi banta?
Balraj: banta hai Sidharth.
Vikram: per bhaisahaab aap yeh....
Balraj: nahi Vikram, Sidharth sahi keh rahe hai. Humne apne bete ko to kho diye hai, per ab apni bahu aur Arav ko khona nahi chahte...
Agar Sahiba ki khushi isi mien hai to hume koi aitraaz nahi hai. Per ha unke kaam ki wajah se Arav ko koi problem nahi honi chahiye....
Sidharth: chachu please..., please maan jayiye..... pleeeaaseeeee.....
Vikram: thik hai thik hai..., waise bhi aaj tak tumhari koi baat manaa ki hai jo aaj kar payenge. Bas ghar ki izzat ka khyaal rahe....
Sidharth: {hugs him} thank you so much chachu..... thanks papa.... acha main chalta hu....... byeeee
{he rushes to sahiba's room. Payal too was there}
Sidharth: heyiii....get ready sweetheart!!! We're leaving
{payal looks at sidharth in amazement}
Sidharth: main tumse nahi apni iss sweetheart bhabhi se keh raha hu
Sahiba: hume kaha jana hai?
Payal: Sid, kya papa maan gaye?
Sidharth: ha, papa bhi aur chachu bhi
Sahiba: yeh kis baare mein baat ho rahi hai?
Sidharth: pehle wada kijiye ki jo hum kahenge aap manenge
Sahiba: per Sidharth baat kya hai?
Sidharth: pehle wadaa
Sahiba: acha baba wadaa...ab to batao
Sidharth: bhabhi, aap apna kaam phir se shuru kijiye please....
Sahiba: per Sidharth, yeh ab mumkeen nahi hai...
Payal: kyun bhabhi? U're still the best. Kuch na sahi to yeh hamari shaadi ki tohfa hi samajh lijiye...please
Sidharth: ab to aap manaa kar hi nahi sakte.... Main abhi Shveta ko phone kar raha hu.
Sahiba: per....
Sidharth: no per, ab aap ready ho jayiye, i'll drop u there
Payal: aur Arav ki fikr bilkul mat kijiye, main use sambhaal lungi...
{and payal takes Arav to her room, while Sidharth takes Sahiba to Shveta's office}
Sahiba: are yeh tum hume kaha le aaye ho?
Sidharth: bhabhi aapko bhale hi apne kaam per ab yakeen nahi raha per kuch log aise hai jo aaj bhi aapke kaam se aapko yaad karte hai....
Sahiba: Sidharth..., tum yeh kya keh rahe ho?
{they enter the office}
Sidharth: ok ok, yeh Shveta ka office hai.....
Sahiba: oh, to ab samjhe....
Sidharth: to ab chale?
{sidharth was just about to knock ki peeche se Yash aata hai aur seedhe cabin mein chala jata hai.. wo darvaze per hi khada rehta hai
aur peeche Sidharth aur Sahiba hote hai}
Yash: hey, yeh rahi tumhari file.... tum bhi na...
Shveta: are Aap yaha?
Yash: yes, to? tumhi na to bulaya tha na?
Shveta: tumse nahi, main Sidharth aur Sahiba se keh rahi hu... ander aayiye na....
Yash: oh, i'm so sorry..... Please come in
Shveta: baithiye... Aaj hamari yaad kaise?
Sidharth:: kya hai na main kisi ko manaa nahi kar sakta.... Aapne pehli bar humse kuch mangaa to.....
Shveta: oh u mean.... Aww thank u so much...
Sidharth: iske haqdaar yeh hai..., waise thanks to mujhe kehna chahiye..... Jo kaam mein kaafi pehle karna chahta tha wo aaj aap ki wajah se mumkeen ho paya hai..... {looks at sahiba} Ab shayad koi apni zindagi apni tarike se jee sakega....
Yash: kya hua? Something serious?
Sidharth: no... anyways ab aap apna kaam kijiye, main chalta hu.... Aur ha bhabhi, u need anything just give me call...ok? and please yeh mat sochna ki main busy ho ya aisa kuch aur.... Apse jyada important mere liye kuch nahi hai...
Sahiba: jaante hai...., tum office jao ab, already late ho.... Aur ha jaate waqt Payal ke dresses collect karte jana...
Sidharth: oopppss!! Wo to main bhool hi gaya tha… Aap nahi hote to mera kya hota.... ok yaad rakhuga, byeee.....
{and he leaves, just than sumthing strikes yash and he follows him....}
Yash: Mr.Singhania...... one moment please..
Sidharth: yes, are Yash, kahiye
Yash: darhesal aapse kuch kaam tha, agar aap free ho to.....
Sidharth: emmm....., free to nahi hu per just give me moment... {he calls up to his secreatary and asks about his schedule}
well.., abhi kuch der hu... kahiye
Yash: that's good! Actually uss din aap bata rahe the ki Singhanias ab automobiles business mein aa rahe hai
Sidharth: ha
Yash: so uske liye i have a very good offer....., agar iske liye aap hamare branch se tie-up kare to?
Sidharth: hmmm...... i'll have to look into the details of everything kyunki aaj tak Singahnias ne apni kisi company ka launch kisi aur company ke saath nahi kiya hai....so...
Yash: i'm aware of that...., but yeh merger dono companies ke liye bahot profitable hogi..... Aapko designers ki zaroorat hai, aur hume financers ki.....
Sidharth: well....., aapke kaam se to hum wakeef hai hi, so.... emmm...... ok than lets go for it!! Kal aap office aayiye, sare details dekh lenge
Yash: thanks a lot
Sidharth: personally i too wanted to work with you, but as u know...... kabhi kabhi kuch cheeze apne haath mein nahi hoti...,per phir bhi i guess its the right time now....
Yash: ok than kal milte hai
Sidharth: ok..... {he drives off, while Yash goes back to shveta's cabin.... where shveta and sahiba were discussing about their work}
Shveta: Sahiba, i'm so thankful to you for this.....
Sahiba: thanks to hume aapse kehna chahiye, ek arse ke baad hum phirse apne kaam ki shuruwaat kar rahe hai.... hume to laga ki ab yeh shayad hi ho payega..., per kehte hai na jab jo hona hai hokar hi reht hai
Shveta: main aapke zindagi ke baare mein jyada kuch to nahi jaanti per bas yeh jaanti hu ki jo beet gaya so beet gaya..., kyunki beeta hua waqt haath se philasti reth ki tarah hota hai, use jitna pakadne ki koshish karenge wo uthna hi chutta chala jata hai.... to samajhdaari isi
mein hai ki use jaane dena chahiye
Sahiba: aap thik keh rahe ho....yehi sochkar to humne kaam karne ka faisla liya hai..
{just than yash enters}
Yash: sorry to disturb u again, per main apni gaadi ki chabiya yehi kahi bhool gaya.....
{he looks out for the keys}
Shveta: yeh rahi, saamne padi cheez to kabhi dikhti hi nahi na
Yash: ok ok, acha ab main chalta hu, waise know what? Maine abhi abhi Sidharth se baat ki aur agar sab kuch thik hua to bahot jald we'll be working together....
Shveta: oh really, that's great news! So finally tumhe mauka mil hi gaya ha
Yash: ha, waise bhi he's a nice guy... and i think hamari khoob jamegi.... Anyways, mujhe chalna chahiye, Raj intezar kar raha hoga...bye {smiles at Sahiba} byeee
{and yash just goes out running}
Shveta: yeh Yash bhi na, hamesha jaldi mein hi hota hai..... {laughs} anyways aap kuch lenge?
Sahiba: thanks, per abhi kuch nahi..... Waise aapne hamare kaunse designs dekhe the?
Shveta: Sidharth ka cabin, aur unhone kuch aur designs bhi dikhaye the...., kisi Rakshit ka cabin bhi aaphi ne design kiye hai na..., mujhe wo designs kaafi pasand hai...., those bright colors, what perfect look, u've given
{rakshit naam sunte hi sahiba kahi kho jaati hai... uske chehre ki muskurahat chali jaati hai}
Shveta: kya hua kaha kho gaye?
Sahiba: emmm....., nahi kuch nahi. hum keh rahe the ki hum aapke liye waise to nahi per kuch alag karenge
Shveta: i've left everything to u...., main to bas keh rahi thi ki mujhe wo designs behad pasand aayee... Anyways
agar aap chaho to abhi chale? Aapko ghar dikha deti hu
Sahiba: yeah sure...
{just than sahiba's cell rings}
Sahiba: ha Payal, Arav tang to nahi kar rahe na?
Payal: nahi bhabhi, aap Arav ki fikr mat kijiye, phone to yeh janne ke liye kiya tha ki kya Sid aapke saath hai?
Main kabse unka cell try kar rahi per lag nahi raha
Sahiba: nahi wo to bas kuch hi der pehle office ke liye chale gaye hai, shayad kuch kaam mein busy hoga
Payal: koi baat nahi main baad mien try karungi....
Sahiba: thik hai, acha mama se kehna ki hum abhi Shveta ke ghar jaa rahe hai to 1-2 ghante mein aa jayenge....
Payal: ji thik hai
Sahiba: aur agar Arav ne....
Payal: uski aap fikr mat kijiye....
Sahiba: {smiles} ok baba..., byee
Payal: byee
Shveta: chale?
Sahiba: ji......
{shveta sahiba ko apne naye ghar le jaati hai, jo ki uske office se kuch hi duri per tha. It was a nice bunglow.... Shveta sahiba ko pura ghar dikhati hai}
Shveta: kaisa laga?
Sahiba: bahot acha hai.... hum kal hi sara kaam shuru kar denge
Shveta: ha that will do.... Waise uss ghar ko chodne ka mann to nahi hai, per yeh ghar bhi mere liye bahot khass hai....
Sahiba: anything special?
Shveta: waise kuch nahi hai, per yeh mera khudka hai aur wo papa ka.... waise to dono hi khass hai..
Sahiba: hmm...., i can understand that. Hamare saath bhi aisa hi hua tha, per jab hume bas apna ghar lene ki khwaish zaahir hi ki thi ki agle hi hafte Rakshit ne hamare liye ghar le liye.... Wo to hume kuch karne dete hi nahi the...infact..... {and she suddenly stops}
Shveta: kya hua?
Sahiba: nahi....., kuch nahi. Ghar chale?
Shveta: hmmm......
{and than they go back.... Shveta drops Sahiba to her house and she drives off to Raj's office.... She seemed a bit tired, Raj notices this}
Raj: kya baat hai? Is something bothering you?
Shveta: nahi..., bas...... aise hi
Raj: aise hi?
Shveta: ha..., waise aaj Sahiba ko ghar dikhaya...., kal se wo kaam shuru kar rahe hai
Raj: Sahiba ko?
Shveta: ha, kaha tha na... iss sheher ki best designer se baat ki hai.....
Raj: oh..., that's good
Shveta: Raj
Raj: hmmm..... {was busy with his file}
Shveta: pata hai aaj kuch hua..., matlab wo ....... matlab
Raj: kya hua?
Shveta: wo Sahiba mujhe apne baare mein kuch bata rahi thi aur phir pata nahi unhe achanak kya ho gaya..... u know waise to wo ek bahot hi achi dost hai, ek aisi insaan hai jo aaine ki tarha saaf hai, per phir kuch to aise hai..., ek adhurapan, wo hamesha apne aapko ek ek..... bandisht mein rakhte hai, pata nahi kyun per......
Raj: hmmmm...... {keeps down the file, pulls the chair and sits in front of her} har insaan ki apni kuch aisi baate hoti hai jo wo kisi aur ke saath baat nahi sakta...., aur waise bhi tum kisi aur ke liye kyun pareshan ho rahi ho?
Shveta: nahi Raj, wo to bas aaj wo...... khair, i think you are right. Actually she's such a warm person ki ek apnapan sa lagne laga tha...., aise laga ki you can just open your heart to her....
Raj: {smiles naughtily} kabhi mere liye aisa nahi laga?
Shveta: oh ho...., flirt kar rahe ho?
Raj: are baba apni hone wali wife ke saath flirt bhi nahi kar sakta?
Shveta: {laughs} tum bhi na..., acha, mujhe parso kuch dino ke liye delhi jana hai....
Raj: kab lautogi?
Shveta: kaam ke silsile mein jaa rahi hu, aur phir waha maasi se bhi mil aaungi so may be around a week
Raj: a week? thik hai...
Shveta: kyun kya hua?
Raj: nahi bas soch raha tha, tum yaha nahi rahogi to hum satayenge kise?
Shveta: stop it Raj...., aur meri baat suno.., waise to tumhe kuch karne ki zaroorat nahi hai per phir bhi, tum dekhna ki Sahiba ko kisi cheez ki zaroorat pade to...,
mama bhi mere saath jaa rahe hai aur papa ko to tum jaante hi ho... So u better take care of my house ok?
Raj: are jab gharwali hi nahi hai to ghar ka kya kare?
Shveta: that wasnt funny at all Raj......
{yash enters, who now was very much irritated by something}
Yash: khel samajh ke rakha hai..., huh!
Raj: {mummers} funny na? yeh dekho..., aaj phir...
Shveta: akele?
Raj: ha...
Shveta: tum bhi na.....
Raj: kya hua Yash?
Yash: kya hua? teesri baar, aaj teesri baar mama ne aisa kiya hai..... Tum dono ne sagaai kya karli mere liye to afat hi khadi ho gayi.... tum dono zara sabr nahi kar sakte the kya?
Shveta: so sorry, aage se dhyaan rakhenge.....
{yash looks at her irritatingly}
Shveta: acha Raj, main chalti hu.... isi mein meri bhalayi hai.....
{and she quickly rushes out, trying hard to control her laughter, while Raj was standing there smiling}
Yash: has hi lo tum bhi....
Raj: are nahi main kaha has raha hu..... acha chal kahi bahar chalte hai
Yash: nahi nahi, tum has lo pehle, Waise bhi yaha meri fikr hi kisko hai.....
Raj: ab chalo bhi.....
{and Raj takes him away...}
........End of part-7..........
Do Comment!!!
Lotsa luv,
farheen
thanks for the comments frnds.. will try to update soon.. 😳
Love and emotions Season8 Part 1 After a long gap,now I am presenting the season8 of Love and emotions with a fresh story.I dedicate this FS to...
Welcome to the new thread of Ranveer's unsaid feelings. Keep enjoying the world of Ishveer. Their unconditional Love, their friendship, their...
From the author's desk : Welcome to thread 6! I started to write this story years ago when the show was live and now when I look back on what...
[NOCOPY] Hello readers! I am Aditi, I have been writing stories here but this is my first short story on RiKara. Alike, you all have been...
A N A R H I F F ---- Iss Darr Ko Kya Naam Doon Summary: Khushi is an internet famous 27 year old fashion designer from Lucknow. She has a chirpy...
32