A journey of love and its destiny-true st

goodkashish thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 18 years ago
#1

Hi! friends. i wrote a beautiful love story. it is a true story of two person who is related to my life so much. i just made few changes and try to write down my true experience. i hope you will like it. thanks

love

kashish

ple comments on it.

Edited by goodkashish - 18 years ago

Created

Last reply

Replies

20

Views

5.7k

Users

1

Frequent Posters

goodkashish thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 18 years ago
#2

A Journey of Love and its Destiny

Characters:

Kaveri devi Mehta- Anushka's dadi

Dr. Krishnakant Mehta- Anushka's dad

Nandini Mehta- Anushka's mom

Anushka - the story of her

Ananya - Anushka's sister

Sameer Shah- Ananya's husband

Karuna- Anushka's best friend

Dr. Ravindra Shamarth- Sahil's father

Divya Shamarth- Sahil's mother

Sahil Shamarth- Anushka's love

Akhilash Joshi- Nikhil's father

Shobhana Joshi- Nikhil's mother

Nikhil Joshi- Anushka's husband

Priti Joshi- Nikhil's younger sister

Raji-maid at Anushka's in-laws house

Mehul Shahni-Priti's love

Shekhar Nandani- Vinit's father

Ramona Nandani- Vinit's mother

Vinit Nandani- Priti's husband

Edited by goodkashish - 18 years ago
goodkashish thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 18 years ago
#3

PART- 1

Yeh kahani hai ek aisi ladki ki hai jise sapne sach lagte hai is liye woh sapno me hi jina chahti hai. Woh ek mumbai ke paas ek chote se saher ki rehnewali thi jo baki ki ladkiiyon se kahi alag. Uska naam Anushka hai. Naam Anushka aisa hi lagta hai ki uske liye hi bana he. Anushka ka matlab hota hai roshni ek khubsurat chehre ki. Woh itni sundar thi ki agar aap ek bar uski aankhon me dekho to aapko doosara kuch dekhne ko mann nahin karta. Jaisi woh sundar thi aisi hi woh padhai me aage sabse aage. Chaliye uski kahani suru hone se pehle hum aapko uske bare main kuch aur batate hai. Anushka pure ghar ki mushkan thi aur jab woh udas hoti to pura ghar udas ho jata aur papa ki sabse ladli beti bhi. Woh bhagwan pe apne se jyada vishvas karti hai. Woh her din apne dadi ke saath mandir main jati hai aur hamesha apni dadi se ladti rehti hai kyonki Anushka ko bhagwan Krishna pe jyada bharosa tha. Anushka ko Krishnaji is liye pasand the kyonki Krishnaji pyar main vishvas karte the bilkul uski tarha. Woh sirf Chudidaar dress pehnti hai kyonki use lagta hai duniya ke baki sare kapde ek taraf aur hindustani ek taraf kyonki yeh kapde aapki khubhsurti ko badhati hai. Jab woh bazaar se nikalti thi tab uski payal ki chan chan aur choodi ki khanak se sara mahol gunj uadhata tha. Woh hamesha naak me nathni pehnti hai Radhaji ki tarah. Use apni dost Karuna ke saath jeel ke kinare jana pasand tha jahan woh apne dil ki sari baatain Karuna se keh sakti. Karuna uski ek hi dost thi bachpan ki. Use kavita padhana, barish me bhigna aur uske favorite red roses achche lagte. Woh bahot hi kubsurat painting bhi banana janti hai aur gana bhi kafi achcha gati . Aakhir main main sirf itna hi keh sakti hoon ki woh aisi thi jo her ladka use apne jeevan main apna humsafar banana chahega.

Anushka ke pitaji ek bahot kabil doctor the aur is liye woh doctor ki beti se pure saher me jani jati thi. Woh apne papa, mamma,dadi, aur badi behan Ananya ke saath rehti thi. Woh apne hi saher me school tak ki padhai ki aur school ke bad uske papa chahte the ki woh high school ke liye paas wale saher me jaye. Aur yeh pehli bar woh apne aap akeli koi bada kadam udhane ja rahi thi bina upne parivaar ke. Woh apne papa se apni dil ki baat bhi nahin ke saki ki use art school jana hai. Usne dekha ki uske papa bahot khush the kyonki yeh pehla kadam tha Anushka ko doctor banane ka. Woh apne aap se bahot naraz thi kyonki usne apne papa se jooth bola ki woh apni zindagi main bahot khush hai. Woh apne bare me kabhi shochti hi nahin. woh to sirf doosaro ko khush dekhna chahati hai. Anushka khush thi ki Karuna uske saath school ja rahi hai. Thode samay ke baad use laga ki sayad papa sahi the muje doctor banane me. Woh apni zindagi main jo hota hai woh swikar leti hai bhagwan ki marji samjke. Baki ki sari ladkiyon ki tarhan who bhi apne rajkumar ka intzaar karti thi ke ek din woh aayega aur woh use duniya ki sari khusiyaan dega.

Anushka apni high school khatam karke vapas ghar aa rahi thi vacation ke liye college suru karne se pehle. Jab woh ghar aai to use pata chala ki Ananya Sameer se pyar karti hai aur Sameer se shaadi karna chati hai. Anushka hamesha pyar ke rishton ko sabse pavitra aur sacha manti thi is liye apne parivaar ke khilaf jakar usne Ananya ka saath diya. Anushka ne apne papa se Ananya ki khushi mangi per uske badle me papa ne ek vachan manga ki Anushka ko us ladke se shaadi karni hogi jise unke mata-pita chunenge jaise her maa-baap ka kwab hota hai. Anushka ne apne papa se vaada kiya ki woh jaisa chahte hai waisa hoga. Aaj usne Ananya ki khushi ke liye apna kwab apna sapna tod dala. Shaadi ki taiyariyaan shuru ho gai. Shaadi ke din sab log bahot khush the per Anushka bahot hi dhukhi thi per woh kamzor nahin thi. Uske aankh me aanshu ruke huye aur chehre pe muskaan. Anushka" Jiju vaada karo ki aap didi ko bahot sara pyar donge aur kabhi bhi didi ko akela mat chhodna." Sameer" Vaada raha aap se aap ki behen ko hum palko pe bithake rakhenge." Woh bahot hi khush thi apni behen ke liye.

Anushka ka vacation kafi achchi tarah se pasar ho raha tha. Ek din use khat aaya ki use Mumbai ki medical college me admission mil gaya hai. Anushka apne papa ke paas unki izazt lene gayi. Uske papa bahot khush the yeh khabar sun ke. Uski dadi bahot hi pareshan thi ki ek jawan ladki ko Mumbai jaise bade saher me akele jane ke liye per kya karti papa ne izazt jo dedi. Anushka ne karuna se phone pe baat ki ke woh use jaldi hi milna chahti hai market ke paas. Anushka market pahonchi to usne bahot badi bhid dekhi. Usne kisi bhi hal me andar jakar dekha to woh Karuna thi. Karuna ka kisi car se accident ho gaya tha. Woh use apne papa ki hospital le gayi. Anushka " Papa, kuch bhi ho jaye aapko Karuna ko bachana hi hoga." Krishnakant " Bahot hi kam umeed hai aur muje lagta hai ki tumhe uske maa-baap ko phone kar dena chahiye." Anushka ne Karuna ke maa-baap ko khabar ki. Krishnakant ne Anushka ke sir pe haath rakh ke kaha "Woh Karuna ko bacha nahi shake." Anushka ko bahot hi gehra sadma laga kyouki Karuna hi ek aisi insaan thi jise woh apne dil ki sari baatain batati thi.

Edited by goodkashish - 18 years ago
goodkashish thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 18 years ago
#4

PART-2

Anushka ne apna saman pack kiya aur jane ke liye taiyaar ho gayi kyonki woh us saher me nahin rehna chahti hai jo use Karuna ki yaad dilaye. Nandini " Naye logo se milna aur use dost banana achchi baat hai. bas sirf tumhe insaan ko pehchaan na aana chahiye. Jab bhi koi musibat aaye, aankh bandh karke bhagwan ka naam lena aur woh tumhe rasta dikhayega."Anushka bahot hi dari hui thi kyonki is bar Karuna uske saath nahin hai. Anushka thik se hostel pahonch gayi. Anushka ne kuch naye dost banaye per woh kisi ko apna best friend nahin bana payi.

College ka pehla din tha aur zoro se baris ho rahi thi. Woh taxi me college tak to pahonch gayi. Taxi se bahar nikl te hi woh apne chhate ko sambhalne ki koshish kar rahi thi kyonki bahot tej hawa beh rahi thi baris ke saath. Achanak uska dupatta kisi chij me bharaya hua tha. Woh apni puri koshish kar rahi nikhal ne me ki tabhi kisi ne kaha" Kya main aapki koi madad kar sakta hoon?" Anushka ne mud ke dekha to use dekti hi reh gai kyonki Uski aawaz main koi jaadu tha aur uski muskaan bahot hi pyari thi aur uski aankhon me koi alag sa hi khichav tha jo tumhe majboor karde uski aur jane me. Woh bhi Anushka ko dekhata hi reh gaya kyonki Anushka safed choodidaar main bahot hi khubasurat lag rahi thi apsara ki tarah. Usne dupatta nikal ke Anushka ke haath me de diya. Anushka kuch bole usse pehle woh chala gaya. Achanck use yaad aaya ki aaj college ka pehla din hai aur woh dair se nahin jana chahti. Yeh thi unki pehli bhigti hui mulakat baris me.

Jab woh class me dakhil hui tab professor ne use nikal diya der se aane per aur woh bhi pehle hi din. Anushka class ke bahar lobby me chal rahi jab usne suna ki " Sir, usme unki koi galti nahin darsar baris ki vaze se der ho gai." Professor " Tum kehte ho to main ushe izazt deta hoon. Lekkin phir kabhi nahin. " Phir se Anushka kuch bole usse pehle hi woh chala gaya. Woh class me lecture main to bethi per use sirf us ladke ki baate aur chehra dikhai deta tha. Lecture khatam hone ke baad usne apni dost se us ladke bare me bataya. Uski dost ne kaha ki Anushka ko uska sukriya karna chahiye. Anushka " Per woh muje kahan milenga." Uski dost ne kaha ki dhundhne per bhagwan bhi milta hai to woh to hamare college me hi hai.

Anushka use pure college me yahan wahan dhundh rahi thi tabhi usne woh aawaz suni " Kya aap muje dhundh rehe ho?" Jab Anushka ne mud ke dekha to wahi tha. Uski Aankhain sarm se zuk gai. Anushka " Main aapko sukhriya kehne hi wali thi per aap chale gaye. Aap bar bar meri madad karte ho aur muje sukriya karne ka moka hi nahin dete." Usne kaha ki agar aap mera sukriya karna chahti hai to aap ko mere saath ek cup coffee pini hogi agar aap ko manzoor ho. Anushka ne uski baat man li aur dono canteen me gaye.

Dono canteen me jakar bethe. Phir usne apne aap ki pehchaan di " Main Sahil, Sahil Shamarth aur aap." Woh boli "Mera naam Anushka Mehta." Sahil " Aap ka naam aap hi ki tarah bahot hi sundar hai." Waiter ne aakar ordar puchha. Sahil ne ek coffee ek chamach shakar or doosari do chamach shakar ke saath mangvayi. Anushka " Aap ko kaise pata ki main do chamach sakar leti hoon." Sahil " Sweet girl like you likes sweet coffee." Coffee ke saath saath un dono ne apni pasand napasand ki bare me kafi baatain ki aur aisa laga ki woh dono ek doosare ko kafi achchi tarah se jante ho. Dono main kafi chiz common thi. Anushka ko kavitayain padhana achcha lagta tha to Sahil ko Aankhein padhni. Anushka ko red roses pasand the to Sahil ko apni Red car. Anushka ko painting banana achcha lagta tha to Sahil ko baate banana. Anushka ko gane gana to Sahil ko apni guitar bajana. Ek baath un dono me thi woh thi ki dono kuch kahe bina hi ek doosre ki pareshaniyaan samaj jate. Aur yahaan se suru hota hai uske pyar ka safar.

Sahil madical ke third year me tha aur woh ek Psychiatrist banana chahta tha. Anushka apni first year me thi aur woh ek Pediatric banana chahti thi kyounki use bachche bahot hi pashand the. Din gujar te gaye aur woh ek dooshre ke kareeb aate gaye. Anushka ko Sahil se milna pasand tha kyonki Sahil se milne ke baad usne zindagi jina sikha, pyar kya hota hai jaana aur jab bhi uske saath hoti hai to apni sari pareshaniyaan bhul jati aur sirf mushkurati rehti. Sahil apne pyar ka izahar karne se darta tha ki kahin woh apne pyar ke saath saath apne sabse achache dost ko kahin khona de. Sari college ko ye baat pata thi ki Sahil Anushka se pyaar karta hai aur yeh baat khud Anushka bhi janti thi. Anushka apna pyar apne dil me chhupa ke rakhati thi kyonki apne papa ke diye huye vaade ke liye. Din gujarte gaye Anushka apne aakhri saal me thi aur Sahil apni intenship kar raha tha.

Edited by goodkashish - 18 years ago
goodkashish thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 18 years ago
#5

PART-3

Anushka aur Sahil apne baki ke dosto ke saath Kashmir madical camp ke liye gaye the. Madical camp teen din ka tha aur kaam karte karte woh kab ek doosre se pyar ho gaya pata hi nahin chala. Sabhi log sight seeing ke liye taiyaar ho rahe the tab Sahil Anushka ko dhundhte huye pahadi per jaa pahuncha. Anushka ne ek khubsurat painting banai thi. Jis me ek ladki zeel ke kinare ped ke neche zoole pe zool rahi hai jiske aankh main aanshu aur chehre pe muskurahat. Sahil " Muje kuch samaj me nahin aayi yeh painting. Yeh kaise muskura sakti hai jab ki uski aankhon se aanshu beh rahe hai." Anushka " Are! ye to pyar ki khushi hai jo aankho se beh rahi hai. tum nahin samjoge. yeh ek ladki hi samaj shakati hai aur tum yahaan kya kar rahe ho sight seeing ke liye der nahin ho rahi. Chale!" Sahil " kyou nahin waisi hi main tumhe hi bulane ke liye aaya tha."

Sabhi guide ke saath sight seeing ko enjoy kar rahe the. Guide aakhir me sabhi ko ek mandir le gaya aur usne kaha ki jo bhi yahaan dhaga bandhkar apne liye jo bhi mangta hai woh pura hota hai. Anushka ne dhaga bandhte manga ki jo bhi Sahil mange use mil jaye aur woh chali gayi. Sahil ne apna dhaga Anushka ke dhage ke saath bhandh kar manga ki bhagwan use hamesha Anushka ke pass rakhe. Sight seeing ke baad raat ko who log apni trip ka celebration ek camp fire ke saath kar rahe the. Sab log Sahil ki guitar aur Anushka ke gane ko enjoy kar rahe the. Thodi der ke bad sab log sone ke liye apne kamre me chale gaye kyouki subah Mumbai ke liye nikalna tha.

Anushka abhi bhi wahi bethi aakash me tare dekh rahi thi. Anushka apne dupatte se apne aap ko thand se bacha rahi thi tab Sahil ne shawl anushka ke jism se lapeti aur woh Anushka ke pass aakar betha. Sahil ne haste huye pucha " Kya tare gin rahin ho?" Anushka ne gusse se Sahil ki taraf dekha. Sahil " ok, I am sorry. Kya tumhe us guide ki baat pe vishvas hai?" Anushka " Woh to muje nahi pata ki hamne jo manga woh hume milenga per itna janti hoon ki jo taqdeer me hota hai wahi milta hai. In sab baathoin me hum log apni khoosiyaan dhundhte hai per agar aap apne dil se kuch mangoge to woh aapko zaroor milta hai." Sahil " Muje nahi pata tha ki tum itni samjdariwali baatein karna janti ho. Kya main tumse kuch poochha sakta hoon?" Anushka " Tumhe mujse koi izazt lene ki zaroorat nahin?" Sahil " Tum hamesha ise kyou apne naak me pehnti ho? Maine kisi ko aaj se pehle nahin dekha." Anushka " Kya jawab dena zaroori hai?" Sahil " Haa, ek dost doosre dost se itna bhi nahin poochha shakta." Anushka " vaada karo ki hasonge nahin." Sahil " vaada raha" Anushka " ise nikalne ka hakk sirf maine apne pyar ko diya hai." Sahil bahot zor se hasne laga. Anushka Sahil ke pichhe daud rahi thi use marne ke liye aur woh Anushka ko chidate hi ja raha tha. Achanak Sahil ne Anushka ke dono haath ko pakad ke apni aur khincha aur dono ek doosre ki aankhon me kho gaye. Achanak baris hone lagi aur Anushka sarm se daudti hui andar chali gayi.

Edited by goodkashish - 18 years ago
goodkashish thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 18 years ago
#6

PART-4

Anushka bahot hi khush thi kyonki aaj uski college ka aakhari din tha aur doosri taraf Sahil bahot hi dhukhi kyonki aaj Anushka apne ghar ja rahi thi hamesha ke liye. Woh din pure Mumbai ke liye bahot hi manhoos tha. Anushka apne class me apni aakhri test dene ke liye gai aur Sahil apne dosto ke saath canteen me betha tha Anushka ka intazaar karte huye. Achanak ek zordar aawaz hui. Woh aawaz Mumbai me huye bomb blast ki thi aur woh uske college ke bilkul pass me hi hua tha. Class me sab log bhag rahe the aur Anushka bahot hi darri hui thi. Sahil aur uske dost apni car ki taraf bhag rahe the tab achanak use yaad aaya ki Anushka class me gai hai. Uske dost Sahil ko car me bethne ke liye keh rahe the. Sahil " Main Anushka ke bina nahin ja shakta." Woh Anushka ki class ki aur bhaga.

Anushka bahot hi dari huyi ek khone me khadi thi tab usne bhid me Sahil ko apni aur aate huye dekha. Sahil Anushka per bahot gussa tha ki who kyou khone me kadhi thi kyou who bahar nahin aayi. Sahil " Pata hai agar tumhe kuch ho jata to main apne aap ko kabhi maff nahin karta?" Anushka " janti thi ki tum muje zaroor bachane aaonge." Jab usne apni baat khatam ki Sahil ne dekha ek bada paththar Anushka ke sir pe girne hi wala tha ki Sahil ne Anushka ko apni aur khincha. Jab Anushka ne apni aankhain kholi to woh Sahil ki bahon main thi aur Sahil ne use kas ke pakda hua tha jaisi woh use kuch nahin hone dega. Sahil ne Anushka ka haath pakda aur use apni car ki aur le gaya.

Woh dono car me apne ghar jane ki koshish kar rahe the. Dono ne dekha ki kitne saare log mar gaye aur rashte pe kai laashe padi thi. Anushka ye sab dekhkar bahot hi darr gayi. Sahil " Daro mat, main tumhe kuch nahin hone dunga." Achanak kisine uski car ke kaanch per pathther phenka aur uski car bekabu ho gayi aur traffic signal se jakar takrai. Tabhi Sahil ne kuch logo ko hathiyar ke saath unki aur aate huye dekha. Sahil ne Anushka ka hath pakda aur woh log chupne ke liye koi jagah dhundh rahe thi ki usne samne ek zopda dekha aur usne us zopdewale se vinti ki une andar aane de. Woh log andar jakar bethe aur us insaan ka sukriya kar rahe the ki kisi ne zopde ko aag laga di. Woh log waha se bhag nikle aur woh chupne ke liye koi jahan dhundh rahe the ki kisi ne kaanch ki bottle Anushka pe phenki aur woh bottle Anushka ke khabhe pe lagi. Woh dono bahot hi ghabraye huye the tab achanak Sahil ne samne ek church dekha. Woh Anushka ko charch me le gaya aur andar jakar dekha to wahan koi nahin tha. Sahil ne charch ka darwaza bhandh kiya aur kaha ki aaj ki raat hum yahaan gujarenge aur kal subaah hum apne ghar chale jayenge.

Sahil ne dekha ki Anushka ke khabhe se bahot khoon nikal raha hai. Sahil " Kya main tumhare zakhm ko dekh sakta hoon?" Anushka "Koi bada zakam nahi hai. Bhagwan ka sukriya hai ki kaanch ke tukde andar nahin gaye. Sirf pati baandhne ki zaroorat hai khoon ko rokne ke liye." Sahil " Kya main pati laga doo, vaada karta hoon ki apni aankhein bandh rakhunga." Sahil pati baandhne ke liye kapda dhundh raha tha ki Anushka ne apna dupatta bhaandhne ko diya. Sahil uski taraf aa raha tha aur Anushka kuch alag sa hi mehsoos kar rahi thi. Sahil " mujpe barosha hai." Anushka " Khud se jyada." Jab Sahil ne use chua to uski aankh sarm se zuk gayi. Anushka " Sahil, tum apni aankhein khuli rakh sakte ho." Sahil ne pati laga di aur Anushka ko aaram karne ke liye kaha aur woh bahar kuch khane ko lene ja raha tha ki Anushka ne uska hath pakda aur kaha " Main khane ki bina reh sakti hoon per agar tumhe kuch ho gaya to nahin reh paungi. yahaan mere pass betho." Woh dono ek dusre se baate kar rahe aur kab Anushka ki aankh lag gayi pata hi nahin chala. Anushka Sahil ke kandhe pe sar rakhke so gayi. Aur us raat un dono ki zindagiyaan puri tarah se badal gayi.

Edited by goodkashish - 18 years ago
goodkashish thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 18 years ago
#7

PART-5

Subaah hote hi Anushka ne apni aankhein kholi to apne aap ko Sahil ki pass uski bahon me paaya. Woh akdam se hi ghabrah gayi aur use apne papa ko diya hua vaada yaad aa gaya. Anushka apne aapse " ye mene kya kiya. main itni kamzor kaise ho gayi. main janti hoon ki meri zindagi main pyaar ki koi aimyat nahin. muje maf kar dena Sahil per sayad main tumhare pyar ki hakkdar nahin hoon." Sahil ne apni aankhein kholi to dekha Anushka Jesus ke samne haath jodakar prathna kar rahi ki Sahil ko sari khoosiyaan mile. Sahil bas use dekhte hi ja raha tha ki Anushka ne kaha " Lagta hai ki sab kuch thik hai. Aur hamare gharwale hamari chinta kar rahe honge. Kya tum muje bus stand tak chod donge?" Woh log Anushka ke hostel se saman lekar bus stand pahunche. Sahil ne Anushka ki ticket kharidi aur woh log bus ke bahar khade the kyonki bus ko chalne me kuch waqt tha.

Sahil Anushka se kuch kehna chahta tha. Sahil "Jo kal raat hua uska matlab yeh nahin ke main ek dost ka farz pura kar raha tha. Jis din se maine tumhe baris me dekha tha tabhi muje tumse pyar ho gaya. Main tumse bahot bahot pyar karta hoon aur main ye janna chahta hoon ki kya tum bhi woh mehsoos karti ho jo main karta hoon." Anushka " Main tumse pyar nahin kar shakti kyunki maine kisi se vaada kiya hai jo muje nibhana hai. Aur aisa nahin hai ki main tumse pyar nahin karti. Main tumse bahot pyar karti hoon. " Sahil " To problem kya hai? Main tumse pyar karta hoon aur tum mujse pyar karti hoon." Anushka " Maine apne papa se vaada kiya hai ki main us ladke se shaadi karongi jis ko mare papa pasand karenge. Main apne 25 saal ke ristey ko nahin tod shakti apne pyar ke liye. Main itni kudgarz nahin hoon. Kya tum mera saath nahin donge is faisle main. Aur yaad rakhna ki meri shaadi kisi se bhi ho tum mera pehla aur aakhri pyar ho. Vaada karo ki tum kisi achchi ladki mere se bhi achchi se shaadi karonge. " Anushka mud ke apni bus ki aur ja rahi thi aur bhagti hui Sahil ke pass aai aur kaha "Kya aakhri baar muje gale nahin lagaonge?" Dono ek doosre se gale mile aur Anushka bahot roi usse bichate huye. Sahil " Vaada karo ki tum kabhi bhi in aankhon main aanshu nahin aane dongi? Mere liye tum itna to kar sakti ho." Anushka " Bhagwan pe aur apne pyar pe barosa karte ho. Agar hamara pyar sacha hai to woh apne aap apni manzil dhundh lega." Jate jate Anushka ne apni Paayal dete kaha " Jab bhi tum ise dekhonge tumhe is ki chan-chan aawaz main muje paonge." Woh apni bus me beth kar khidki se baher Sahil ko dekh rahi thi aur bus chal padi. Sahil " Muje jine ke liye tum nahin to tumhari yaadein hi khafi hai."

Edited by goodkashish - 18 years ago
goodkashish thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 18 years ago
#8

PART-6

Us din Anushka apne naye safar pe nikli lekin mud ke dekha to apne atith me apni sari khooshiyaan piche chod ja rahi thi. Woh nahi janti thi ki uski zindagi me aage kya aanewala hai? Jab woh apne ghar pahunchi to uske gharwale bahot hi khush the. Woh sirf khush hone ka dikhava kar rahi thi jab ki andar hi andar ghunt rahi thi. Uski dadi ne dekha aur Krishnakant se kaha "yeh woh Anushka nahi hai jise hum ne Mumbai beja tha. Woh to hamesha muskurana janti thi. Muje lagta hai ki humne use Mumbai bhejke koi galti to nahi ki." Krishnakant " Main use baat karoonga." Krishnakant Anushka ko jeel ke pass le jake poocha " Kya Mumbai me sab kuch dhik tha?" Anushka " Main bilkul thik hoon aur bahot khush bhi hoon ghar aakar. Papa, aap mera ek kaam karenge. Main vapas Mumbai apni intenship ke liye nahin jana chahti. Papa, waqt aa gaya hai apne vaade pure karne. Main shaadi karne ke liye taiyaar hoon."

Krishnkant ne apne sabse achche dost Akhilash se apni beti Anushka ke liye Nikhil ka hath manga. Akhilash " Hum log kal subaah shaadi ki bat pakki karne ke liye aa rahe hai." Krishnakant " Nandini, saari taiyariyaan achchi tarah se honi chahiye. Kal Akhilash ka beta Nikhil Apni Anushka ko dekne ke liye aa raha hai." Subaah hote hi ghar me joro sor se taiyariyaan hone lagi. Anushka subaah se apne kamre ki khidki pe bethi Sahil ke bare me soch rahi thi. Nandini aur dadi Anushka ke kamre me use milne ke liye aye. Nandini ne use hare rang ki saree pehnane ko di. Dadi " Beta, jab bhi koi mushkil faishala karna ho aur kuch na suje to apni aankhein bandh karke apne krishnaji ka naam le lena aur phir mushkil sawalon ka jawab mil jayega."

Mehmaan andar aa ye aur woh log Krishnakant aur dadi ke saath bete the. Nandini Anushka ko lekar aai aur Nikhil use dekhte hi reh gaya. Anushka ne ek baar bhi apni nazarain uathakar Nikhil ko nahin dekha. Krishnakant " Beta, aaj kal tum kya kar rahe ho?" Nikhil " Main pichle saal Australia se MBA kar ke aaya aur ab papa ko Buisness me madad karta hoon? Nandini " Nikhil kya tum shaadi ke bad Mumbai me hi sattle hona chahte ho apne parivaar ke saath? Nikhil " Main apne parivaar se dur nahin reh sakta kyonki mera parivaar hi mere liye sab kuch hai." Anushka apne aap se " Maine Mumbai apni nayi zindagi suru karne ke liye choda tha aur yahi meri nayi zindagi muje vapas us mod pe leja rahi hai." Krishnakant " Hume khushi hogi Nikhil ko apna damad banane me agar aapko koi aitraaz na ho to." Shobhna " Nikhil. kya tumhe Anushka pasand hai?" Nikhil ne apna faisala sunaya ki use Anushka pasand hai. Nikhil aur Anushka ki sagai huyi aur dono ne ek dusre ko angoothi pehnai.Shaadi ka muhurat dus din ke bad ka nikala.

Jab Nikhil vapas Mumbai ja raha tha tab usne Dadi se Anushka se milne ki izazt mangi. Dadi haste huye" Ab tumhe humse Anushka se milne ki izazt lene ki koi zarurat nahin kyonki woh ab to tumhari hai." Nikhil jab uske kamre me gaya to Anushka khidaki ke pass bethi thi aur hawa ke zonke se uske bal hawa me lehrate the. Nikhil " Kya aap is rishtey se khush to hai na? Anushka ne sirf apna sir hilaya. Nikhil " Ab agli bar aapko shaadi ke jode main hi dekhunga. Waise shaadi ka joda dulhe ke ghar se aata hai. Main khud tumhara joda pasand karne jaunga. Janta hoon ki aap se jyada sundar nahin dhundh paunga per main apni puri koshish karunga. Ab agli bar hum shaadi ke mandap me milenge."

Edited by goodkashish - 18 years ago
goodkashish thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 18 years ago
#9
PART-7

Shaadi ki zoro se taiyariyaan ho rahi thi. Ananya aur Sameer bhi jaldi aa gaye the shaadi ke kaam me haath batane ke liye. Ananya aur Anushka dono shopping ke liye market gayi. Woh log Mehndi aur sangeet ki rasam ke liye saree dekh rahe the. Ananya " Tumhe inmese khun si wali pasand hai?" Anushka deke bina hi " Didi, aap koi bhi pasand kar lo." Ananya " Kya naam hai uska?" Anushka " Sahil." Achanak Anushka ko ehsas hua aur boli " Aisa kuch bhi nahin hai jaisa aap samaj rahi ho." Ananya " Main saaf saaf Sahil ke liye tumhari aankhon me pyar dekh rahi hoon aur tum keh rahi ho aisa kuch nahin hai. Kyon Nikhil aur Sahil dono ke saath dhokha kar rahi ho aur sab se bada apne aap se. Main papa se baat karungi. Bahot der ho jaye usse pehle." Anushka " Ab to der ho hi gayi hai. Shaadi ke cards ghar se nikal gaye hai. Nikhil achcha ladka hai. Muje to khush hona chahiye ki kuch pal ke liye hi sahi lekin muje mera pyar mila. Duniya me kayi log aise hote hai jo bina pyar paye hi is duniya se chale jate hai. Sach hai ki main Sahil se bahot bahot pyar karti hoon aur sayad karti rahungi. Lekin ek sach yeh bhi hai ki muje kisi bhi haal me Nikhil se shaadi karni hi hogi." Ananya " Tum ne aisa kyun kiya? Tumhe meri kasam sach sach batana. Jab tum to pyar me bahot hi vishvas rakhti thi to ab kya hua." Anushka " Maine aap ki shaadi ke badle me papa se vaada kiya ki main papa ke pasand kiye huye ladke se shaadi karungi. Didi, vaada karo ki aap kisi ko iske bare me nahin bataongi jiju ko bhi nahin." Ananya "Dekh rahi hu ki meri choti behen ne ek badi behen ka farz nibhaya hai aur main badi hokar bhi kuch nahin kar sakti. Muje maaf kar dena." Anushka " Didi, aap muje khush dekhna chahte ho to kabhi bhi apne aap ko karoorvad mat samjna." Bono ek dusare ke gale lagi.

Sahil apni almari me se kuch dhundh raha tha ki achanak uske haath se Anushka ki paayal gir gayi aur woh tut gayi. Sahil Anushka ke khayalon me khoya hua tha tab Divya ne poocha "Yeh paayal kis ki hai. Kisi ladki ko pasand karte ho. Mujse nahin milvaonge." Sahil "Mom, yeh paayal mere pyar ki hai, aap kya ab to main bhi use kabhi bhi nahin dekh paunga. Woh hamesha ke liye muje chodakar chali gayi. uski koi majboori thi. mere liye yeh uski paayal aur yaadein kafi hai zindagi gujarne ke liye. pyar ka matlab yeh to nahin hota ki woh hame mil jaye. Aaj ye jaanne ke baad bhi main use utna hi pyar karta hoon aur karta rahunga. Shayad is janam me hum milna sake per agle janam me woh sirf meri hogi." Divya " kya naam tha uska? kaisi thi?" Sahil " Anushka, woh bilkul apsara ki tarah thi. sundar bahot sundar. Jab woh hasti to aisa lagta tha ki sari jannat ki kubiyaan usme hai aur jab woh roti to apne haath se apna chehra chupane ki koshish karti ise lagta ki rote waqt woh stupid lagti hai. Jab bhi main serious hota to muje Idiot si sakal banana chodne ko kehti. Aisi thi meri Anushka. Aur Mom sab se achchi baat thi ki woh bahot hi saaf dil ki thi."

Nikhil aur Priti shaadi ka joda lene ke liye gaye. Dono bhai-bahen taiy nahin kar pate the ki konsa wala lena un dono mese. Ek joda hare dupatte wala tha aur dusara sunhare dupatte wala tha. Achanak Nikhil ne kisi se poocha "Kya aap meri madad karenge shaadi ka joda pasand karne me.? Usne kaha " Agar main aapki jagaah hota to ye hare dupatte wala pasand karta kyunki sunhare dupatte uski khubsurati ko kam karta aur hara is liye ki isme uski khubsurati apne aap nikhrengi." Nikhil " Thank you so much. aapne to hamari mushibat yoon hal kardi. mera naam Nikhil Joshi aur yeh meri behen Priti." usne kaha " Mera naam Sahil Shamarth. Mubarak ho tumhari shaadi ke liye." Nikhil " Tumhara yeh ehsan main kabhi nahin bhula paunga. sayad main kisi kaam aa shaku." sahil " Phir mile to hakk se apna ehsan manguga." Sahil chala gaya jewelary department me paayal ko repair me jo dena tha.

Edited by goodkashish - 18 years ago
goodkashish thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 18 years ago
#10
PART-8

Sangeet aur mehndi ki rasam suru hone hi wali thi ki Shobhna aur Priti shaadi ka joda aur Shagun ki mehndi lekar aaye. Anushka peele rang ke saree me bahar aayi. Woh bahot hi sundar lag rahi thi. Dadi ne Anushka ki nazar utari " Bhagvan tumhe duniya ki sari khushi de." Shobhna ne shugun ki mehndi Anushka ke haath pe lagai. Mehndiwali anushka ke haath pe mehndi laga rahi aur naach gana suru hua Priti ke saath. Anushka " suno, mehndi zara yahaan upper tak lagana." Mehndiwali haste huye" Kya dulhe ne bola hai? Anushka apne aap se Sahil ko mehndi wale haath bahot hi pasand the khas karke upper tak apni kalai ke pas. Shobhna" kal aa rahi hoon apne bete ke saath tumhe le jane ke liye." Anushka ne unka aashirwad liya aur woh log nikal gaye.

Aaj ka din Anushka aur Nikhil ki zindagi main bahot hi mayne rakhta tha. Unki Shaadi jo thi. Ananya Anushka ko saja rahi thi. Usne Anushka ke sir pe dupatta rakha aur kaha ki ek bar aaine me apne aap ko dekhe. Anushka apne aap se " Sahil, main hamesha chahti thi ki tum muje sab se pehle dekho." Jab usne aankhein kholi to samne use Sahil dikhai diya. Sahil " Aaj to tum kisi rajkumari se kam nahin lag rahi ho. Tum bahot hi khubasurat lag rahi ho sirf ek chij ki kami hai. Tumhari muskurahat." Anushka kuch bolne hi wali thi ki uski maa mandap me lejane ke liye aai. Nandini aur Ananya use mandap ki aur lekar ja rahe the aur Anushka ko abhi sahil dikhai deta tha uske pass betha hua. Shaadi khatam hui aur bidaai ka samay nikla ja raha tha. Sab Gharwale bahot hi ro rahe the khas karke Ananya per Anushka ne ek bhi aanshu apni aankh se nahin girne diya. Sahil se vaada jo kiya tha. Shaadiwale naye jode Nikhil ke ghar aaye. Shobhana ne dono ki aarti ki aur Anushka ko ghar ke andar apna pehla pair rakhne ko kaha. Anushka ne apne pair se Chavalwale kalash ko giraya aur apne pair kanku wale thal main rakhkar kankuwale pagle se woh mandir main gayi. Dono ne bhagwan aur apne mata-pita ke aashirwaad liye.

Anushka apna ghoonght dalkar bistar pe bethi thi. Anushka bahot hi ghabara rahi thi jab Nikhil uske kareeb aaya. Nikhil ne ghongat ko uthaya aur kaha " Muje to yakin hi nahin hota ki duniya ki sabse khubsurat ladki ab meri patni hai. Main bahot hi khush naseeb hoon jo tum muje mili." Nikhil ne dekha ki Anushka kuch ghabarai hui hai. Nikhil " Main samaj sakta hoon ki tumhe is waqt kaisa mehsoos hota hai. Main tumhare dil ka hal samaj sakta hoon. Bahot hi mushkil hai kisi anjaan aadmi ka haath thamke use apna jeevansathi banana jise tum ek baar hi mili ho. Ghabarao mat jab tak tumhe muj per vishvas nahin hota main apni maryada banaye rakhonga. Hum log dost to ban sakte hai na kyonki dosti ka rishta kisi bhi rishte ke shuru hone ki sidi hai. Aur sawaal raat bitane ka hai waise to main doosre kamre me bhi jakar so shakta per ishe gharwale kya sochenge. Is liye hume yahin per sona padega. Kya tumhe muj pe barosha hai?" Anushka ne sirf apna sir hilaya aur apne aap se kaha" Muje vishvas nahin hota ki aaj bhi aap jaise insaan is duniya me hai jo aurat ke jasbaton ka kadar karna jante hai. Main vaada karti hoon ki main patni hone ke sare farz nibhaungi aur tumhe dil se apna pati swikarneki koshish karungi."

Edited by goodkashish - 18 years ago

Related Topics

Fan Fictions thumbnail

Posted by: MidnightLibrary · 5 months ago

Hey there, readers , Just a quick note: I wanted to let you know that since the old module is now locked, I've created a new one for you. You...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: abavi · 4 years ago

From the author's desk : Welcome to thread 6! I started to write this story years ago when the show was live and now when I look back on what...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: sarveshjoshi42 · 8 years ago

Ritik Mehra : Business Tycoon and Elder brother of Raghav Shivanya Kapoor : Doctor and Elder Sister of Naina and love interest of Ritik

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: sarveshjoshi42 · 8 years ago

Here are Characters of the Story Ritik : elder brother of Shivaay , Ranveer , Sanskar and love interest of Shivanya Shivanya : elder sister of

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: sarveshjoshi42 · 8 years ago

Let's me introduced the Characters Ritik Raheja (Arjun Bijlani) : A very rich business tycoon and elder brother of Ranveer and Ragini Ranveer

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".