Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread- 29th Sept 2025.
PAAV PHISLAA 29.9
Bigg Boss 19-Daily Discussion Thread- 30th September, 2025
India Won Asia Cup 2025- Trophy Missing! Glory Without the Trophy?
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 30, 2025 Episode Discussion Thread
101 ways to patau your pati
Trump's 100% tariff on Bollywood films
Bhagwan Ke Charnon Mein Swarg
Aishwarya Rai at the Paris fashion week
✦ Font-astic Voyage Contest Voting Round 1 | Invites ONLY ✦
What's next? (Multiple votes allowed)
The Pilot Pirates | Book Talk Reading Challenge 2025
Which faces u r fed up of watching
My Box Office Prediction for Sunny Ki....jo bhi hai.
👻 The Manuscript Marauders 👻 BookTalk Reading Challenge October 2025
Swara Bhaskar..someone who dared to say it out loud #respect
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Oct 1, 2025 Episode Discussion Thread
Budget Single Digit : 7 cameo openings.
Do mahine baad
Raat ka time hai, Riya Arjun ko phone karti hai
Arjun: hello darling! Kya haal hai?
Riya uski addressing se sharmaati hai: kuch nahi bas aise hi...kya kar rahe hai aap?
Arjun: bas thoda zaroori kaam khatam kar raha tha
Riya(disbelief): I don't believe this! Kal humari sagayi hai aur aap abhi bhi kaam kar rahe hai?
Arjun: are shona...main jo bhi kar raha hun hum dono ke liye hi kar raha hun
Riya confuse hoti hai: matlab?
Arjun: matlab ye...ki kal ke baad tumhare pyaare Rathore sir aur mera pyaara Sam dobara kabhi bhi hum dono ke beech nahi tapkega
Riya ko us par doubt hota hai: Arjun aap kya karne waale hai?
Arjun: kal pata chal jaayega
Riya: lekin Arju...
Arjun: woh sab chodo aur meri baat suno...kal na humari sagayi ke baad Sam Ayesha ko officially propose karne waala hai
Riya(excitedly): SACH!?!?!?!?
Arjun: ha...
Riya: WOW!!!! Maza Aayega, Humne Toh Kabhi Rathore Sir Ko Us Roop Mein Dekha Hi Nahi...Ek Minute, Ek Minute...aapne kaha officially matlab...UNDONO KA CHAL RAHA THA???
Arjun: hmmm...
Riya: OMG!!! Aur hum mein se kisi ko pata bhi nahi chala
Arjun: ha lekin tum abhi kisi ko ye mat batana, agar kisi ke pet mein baat nahi tiki toh Ayesha ka surprise khul jaayega
Riya: nahi bataungi pakka...
Dono der tak baatein karte hai, finally Riya baat karte - karte hi neend mein chali jaati hai. Arjun smile karta hai.
Arjun mv "sweet dreams shona! aur phone ko kiss karta hai.
Next day
Arjun sagayi se pehle phone par baat kar raha hai: sab ready haina?
Other side: ya baba, tum chinta mat karo
Arjun: ok bye
Other side: bye! And congrats!
Arjun smile karta hai: thanks!
Call disconnect
Arjun mv "bahot tang kiya hai tune mujhe Sam, badla toh lekar rahunga. Woh toh acha hua ki us din maine phone car mein chod diye the warna...
Flashback
Arjun aur Riya waapis car ki taraf aate hai. dono ek dusre se baatein karne mein hi gum hai. Riya thak gayi hai. pichle raat se soyi nahi hai. uska sar Arjun par rest kar raha hai aur Riya usse complain kar rahi hai ki ab unhe wapis shehar tak jaana padega aur uska ghar zyaada dur hai
Arjun: tum kyun itni chinta kar rahi ho? Ek kaam karte hai tum mere saath hi so jaao
Riya ki neend ek hi jhatke mein ud jaati hai: KYAAA???
Arjun(teasing): ha, mere ghar par ruk jaao, extra bedroom hai...tumhe kya laga? Main kya keh raha hun?
Riya sab samajti hai: you!!! aur use playfully maarne ki koshish karti hai par Arjun uske haath pakad kar use twirl karke peeche se hug karke cheek par kiss karta hai.
Arjun: are? Main toh seedhe seedhe sone ki baat kar raha tha...tum ulti seedhi cheezein samjhogi toh usme mein main kya karu?. Aur dusre cheek par kiss karta hai
Riya khud ko chudwaati hai: rehne dijiye! Main achi tarah se jaanti hu ki aapka kya matlab tha...itna bhola banne ki koshish mat kijiye. Aur car mein baith jaati hai
Arjun bhi smile karke driver ki seat par baithta hai: main toh bhola hi hun, tum hi nahi samajti
Riya: ha...ha ...aap toh bholepan ke devta hai
Arjun: ha toh...main toh acha hi hun...aur(apna phone lete hue) ye mahashay haddiyon ke devta hai
Riya confuse hoti hai: kya?
Arjun use apna phone dikhata hai: dekho! Chaar missed calls hai tumhare Rathore sir ke...acha hua na phone yahi chodkar gaye?
Riya: kya aap bhi? Kuch kaam hoga
Arjun: ek hi kaam uske paas, mere private time mein bin bulaye tapakna
Riya hasti hai...
Flashback Ends
Arjun mv " baad mein bhi sudhre nahi...
Flashback
ETF ne finally ek tough aur high profile murder case solve kar liya hai, raat ka samay hai. sab wahi formalities puri kar rahe hai. tabhi Arjun Riya ko bulaata hai
Arjun: Riya chalo
Riya: kaha?
Arjun uska haath pakadta hai: are chalo toh sahi
Riya: lekin koi...
Arjun: sab kaam mein busy hai, do minute aao na
Aur use kheench kar side bungalow ke dusri side le jaata hai. woh side samundar ko face kar raha hai. thandi hawa chal rahi hai. dono uske edge par khade use enjoy kar rahe hai
Riya: kitni shanti haina yaha?
Arjun: hmm...
Riya(ek direction mein point karke): woh dekhiye...humara beach
Arjun: humara? Tumhe kaise pata woh humara hai...kitna dur hai
Riya: nahi woh humara hi hai, dekhiye na koi nahi hai aur toh aur yaha se waha jaane ke liye zyaada time bhi nahi lagta
Arjun: lekin Riya...
Riya: aapko mujhpar bharosa nahi na? ek kaam karte hai, aap yaha ruko main waha jaati hun aur fir wahase aapko hi karti hu.
Kehkar jaane ke liye turn karti hai par Arjun use piche se pakadkar hug karta hai
Arjun: uski koi zaroorat nahi, maan liya maine...khush? aur tum use chodo na, subah se theek se baat hi nahi hui tumse...ruko mere paas
Riya smile karti hai...kuch pal baad
Riya: Arjun?
Arjun: hmm...
Riya turn hoti hai, Arjun use waist se pakadta hai: aap mujhe firse us jungle mein le jaayenge? Mera bahot man hai use firse dekhne ka
Arjun smile karta hai: jab bhi tum kaho
Riya khush hoti hai: Sach??
Arjun: sach
Riya use hug karke cheek par kiss karti hai: thank you!!! aap bahot ache ho
Arjun uske forehead par kiss karta hai: tum bhi bahot achi ho!
Dono aise hi khade hi hai, us pal ko cherish karte hue
Pichese: Arjun!!!
Dono awaaz ko pehchan kar alag hote hai, on the other hand us admi ko dono ko saath dekh kar apni galti ka ehsaas hota hai
Arjun: Sameer!!! Mere bhai!!! ...kabse yaad kar raha tha tujhe
Sameer: sorry
Arjun: are nahi tum kyun sorry keh rahe ho? Sorry toh mujhe tumse kehna chahiye...nahi in fact mujhe Riya se kehna chahiye
Riya aur Sameer dono confuse hote hai
Arjun: sorry Riya, maine Sameer se jhagda sort out kar liya, agar main aisa nahi karta toh aaj yeh naubat nahi aati
Riya ko kya kehna kuch pata nahi chalta, Sameer bas use glare karta hai
Flashback Ends
Shree use bulaane aata hai: sir? Muhurat ka time ho gaya hai, aap ready ho?
Arjun: main toh kabse ready hun, tumhara muhurat aur meri dulhan hi ready nahi ho rahe
Shree apni hasi control karta hai. Arjun use follow karta hai. Arjun aur Riya dono ki families nahi hai. ETF aur kuch close friends ke ilawa aur koi guests nahi hai. Sameer ke force karne par dono ki sagayi uske farmhouse par ho rahi thi.
Arjun aur Shree hall mein pahunch jaate hai. Sameer aakar uske kandhe par haath rakhta hai.
Sameer: aa gaya tu?
Arjun: nahi mera bhoot!
Sameer: very funny!
Arjun : I thought so too
Sameer disbelief mein sar hilata hai.
Arjun: Riya kaha hai?
Sameer: aati hogi...(fir peeche dekhkar) lo aa gayi.
Arjun bhi use direction mein dekhta hai. Ayesha Riya ko seedhiyon se laa rahi hai. Riya ne royal blue aur baby pink lehenga pehna hai. maathe par maang tika, kaano mein jhumke, gale mein haar, haathon mein chudiyaan aur pairon mein payal. Riya koi is tarah se saja hua dekhkar Arjun ke hosh ud jaate hai. woh bas usi ko dekh raha hai. Riya ye notice karke blush karti hai.
Dono aamne saamne aate hai. Liza Riya ko aur Shree Arjun ko rings dete hai. Arjun Riya ka haath pakadkar use anghuti pehnata hai. fir Riya bhi.
Background mein congratulations! ka song play hone lagta hai. Sameer, Shree aur Chotu whistle karte hai. sab clap karte hai. Arjun, Riya ek dusre ko dekh kar hi smile kar rahe hai...
Tabhi do florists ke delivery boys farmhouse ke baahar aate hai. dono ko ek dusre ko dekhkar thoda ajeeb mehsoos hota hai par apna kaam karte hai. darwaaza khula hai, dono knock karte hai.
Sameer: ye kya? Kisne bheja hai?
Boy 1: pata nahi sir, mera kaam toh sirf delivery dena hai
Boy 2: mera bhi
Chotu: acha theek hai yaha andar rakh do
Dono ladke table par bade bade guldaste rakhte hai. aur fir chale jaate hai. Arjun aur Riya dekhte hai, Riya unke cards kholti hai. dono padhte hai
Pehla - For My Favourite! My Best Wishes...For Your Poor Husband!!!
Riya disbelief mein sar hilati hai, Arjun use confusing look deta hai.
Riya halke se mouth karti hai: Boss
Arjun smile karta hai aur dusra kholna ka ishara karta hai, Riya use bhi kholti hai
Dusra mein toh almost ek letter tha -
Dear Arjun and Riya,
I'm so glad you two got together again. Sach mein, main bahot khush hun. I wish you guys all the happiness in the world. Chahti toh thi ki personally aakar milun lekin kya karu? Waha koi hai jo mujhe nahi dekh sakta (she means Sameer) isliye ye phool bhej rahi hun. Dua karungi ki yeh phool tum dono ke rishte mein bhi sughand aur mithaas bhar de. Agar fir kabhi kismat ne mauka diya toh zaroor milenge, hopefully bina misunderstandings ke...tab tak ke liye, alvida
Yours,
S or R...whatever you wish!
Arjun aur Riya dono smile karte hai. dusra letter Roshni ne bheja tha
Shree: kiska hai?
Riya(smilingly): purane dost hai , out of station hai isliye aa nahi paaye
Shree: oh
Later -
Riya: Arjun aap kya karne waale hai?
Arjun: badlapur ki ticket li hai toh train par bhi chadna padega na?
Riya: Arjun please unhe pareshaan mat karna
Arjun: are mera dost hai tumhe kyun itni takleef ho rahi hai? use chodo, tum apna concentration na mujhe par aur shaadi par rakho baakhi sab mujh par chod do
Riya disbelief mein apna sar hilati hai: aapka kuch nahi ho sakta
Arjun hasta hai, Sameer Riya ki last line sunta hai
Sameer: Riya...don't worry abhi bhi der nahi hui, shaadi baakhi hai, bhaagne ka intezaam karwau?
Arjun use glare karta hai mv "ruk mere bhai abhi teri girlfriend ko bhagaya nahi toh mera naam bhi Arjun Rawte nahi
Riya (embarrassed): nahi sir...it's ok
Arjun Sameer ko look deta hai "dekha...she loves me! : waise tujhe bhi ab muhurat chahiye?
Sameer: nahi bas thoda dar lag raha hai
Riya: sir, aap fikar mat karo woh maan jaayegi
Sameer: thank you Riya...par tumhe kaise pata chala?
Arjun: maine bataya
Sameer : oh...jau kya?
Arjun: nahi mat jaa
Sameer use glare karta hai: ja raha hun.
Sameer side par jaakar apne aap ko mentally prepare karta hai. fir ring box ko lekar centre mein jaata hai.
Sameer: Ayesha!!
Sabka attention uski taraf jaata hai.
Sameer Ayesha ki taraf kadam badata hai fir uska haath pakadkar ghutne par jaata hai. sab shock hokar use dekh rahe hai
Sameer: Ayesha...having you by my side is what completes me and I don't want to be incomplete ever again...so...will you marry me?
Riya(Arjun par lean hote hue) : that's so cute!
Arjun sirf use side hug karta hai mv "ya cute...par bhagwaan hi jaane kitno ko isne ek hi line boli hai
Sakshi: are Ayesha jaldi ha bol yaar!!
Shree: are itni aasani se kaise? ETF Chief ko ghutno par laane ka mauka roz nahi milta.
Woh aur Chotu haskar hi-fi lete hai. Sameer expectantly Ayesha ko dekh raha hai
Ayesha blush kar rahi hai: ye...
Tabhi pichese: NAHIII !!!!
Sab chouk kar us direction mein dekhte hai. waha ek ladki ek simple Rajasthani lehenge mein hai. uske chehre par ghunghat hai.
Woh daud kar andar aati hai: Nahi!!! Aisa anarth na kijiye...humari maang se sindoor mat mitayiye...main aapke saamne haath jodti hun, paav padti hun.
aur Sameer ke pair pakadti hai, Sameer uth confuse hokar seedhe khade hokar usse door jaane ki koshish karta ha. Woh ladki phut phut kar rone lagti hai
Sameer(annoyed): Are Kaun Ho Tum??
Ladki(shocked): main kaun hun? Main aapki patni hun
Sabke pairon tale zameen khisak jaati hai.
Sameer: What Nonsense?? Main Toh Tumhe Jaanta Tak Nahi!!! Toh Tum Meri Patni Kaise Ban Gayi???
Ladki(rote hue): aisa mat kahiye...main bichari kaha jaungi aapke bina? Aapne hi toh kaha tha ki shehar jaa raha hun, naukri ke liye...jab ghar ban jaayega toh aap hume lene aayenge
Sameer(confused): Main Aisa Kyun Kahunga?? Main Tumhe Nahi Jaanta Aur Na Hi Tum Meri Patni Ho!! Kya Saboot Hai Tumhare Paas?
Ladki: saboot? Saboot hai...(ek photo nikalte hue) ye dekhiye..aapki aur humari shaadi ki tasveer
Us tasveer mein ek ladki ghunghat mein aur Sameer ki bahot saal pehle ki photo. Aas paas Sameer ke gharwaale aur kuch aur log jo supposedly ladki ke gharwaale hai. baal vivah waali.
Ayesha(confused): Sameer ye sab kya ho raha hai?
Sameer: mujhe...mujhe nahi pata...sach mein
Arjun: ek minute ye tasveer toh bahot puraani aur bigdi hui hai, pata bhi nahi ki Sam hai ya koi aur...Sam tere paas teri bachpan ka koi album hai? agar ye ladki sach keh rahi hai toh ismein se koi na koi kisi photo mein toh hoga
Sameer: ha...ha mere paas hai...andar...
Arjun: main laata hun ruk
Riya ko Arjun par shak hota hai mv "just because koi common rishtedaar hai iska matlab ye toh nahi ki Rathore sir ki iske saath shaadi ho gayi hai...kuch toh gadbad hai
Arjun ek album lekar aata hai aur table par rakhta hai. sab use dekhne ke liye table ke aas paas aa jaate hai. Sameer tensed hokar Album kholta hai aur ek karke pages aage kar raha hai. usi beech ek nayi photo saamne aati hai. use dekh kar...
Shree aur Chotu ek dusre ko dekhte hai, aur Shree Chotu par collapse ho jaata hai. Sakshi toh aankhein faad kar dekh rahi hai aur statue ban gayi hai.
Liza: OMG!!! JESUS!!!!
Ab Ayesha ko gussa aata hai: What the hell Sameer?!?!?
Sameer mv "DAMNIT!!!! Ye photo is album mein kaha se aa gayi???
Woh photo Sameer ke college ki hai. woh race car ke aage pose maar ke khada hai. uske dono side do do ladkiyaan. Aur toh aur uske adjacent khadi ladkiyaan uske cheek par kiss kar rahi hai. Sameer ka haath ladkiyon ke kamar par hai.
Sameer: woh...woh ...Ayesha...main
Ayesha: Aapko Koi Explanation Dene Ki Zaroorat Nahi. I Don't Believe This!! Ek Patni, Chaar Girlfriend? Aur Kitne Affairs Hai Aapke?!?!?
Sameer: Ayesha...
Riya: ek minute! Ayesha please bas do minute ke liye shaant ho jaao...(ladki se) tumhari aur Rathore sir ki shaadi bachpan mein hui thi na?
Arjun ek second dusri taraf muh fer leta hai mv " pakde gaye! Ab ye sab kuch khol degi woh ladki ko ishara karne ki koshish karta hai par woh nahi dekh paati
Ladki: ha
Riya: tabse ab tak kaha reh rahi thi?
Ladki: apne maayke mein
Riya: kyun?
Ladki: ye humara riwaaz hai, bidaai tab hoti hai jab ladka aur ladki dono shaadi ki zimmedaariyaan nibha sake, lekin yeh sheher aa gaye isliye hum unka wahi par intezaar kar rahe the.
Riya: toh tum kabhi shehar nahi aayi?
Ladki: nahi
Riya: toh phir tumhe yaha ka pata kaise mila?
Ladki nervous ho jaati hai: woh...woh...main...
Riya(sternly): jaldi bolo warna fraud ke case mein 7 saal jail mein jaogi
Ladki shock hokar apna ghunghat hatathi hai: ye kya hai Arjun tumhari mangetar mujhe jail bhejne ki dhamki de rahi hai
Sameer(shocked): Samaira?!?!!?
Samaira Sameer ko dekhti hai: hi!
Sameer(angry): hi??? Hi Ki Bachi!!! Shaadi Se Pehle Mera Divorce Karana Chahti Hai??. Aur uske peeche bhagne ki koshish karta hai.
Samaira do step peeche lekar use warn karti hai(finger point karke): oye!!!! Ladki par haath nahi utathe, uske liye bhi jail hoti hai samjha ACP aur waise bhi agar tere baap ko pata chal gayi ki tu bina unse puche apna rishta tay kar raha hai toh...
Sameer immediately dar kar uske paas jaata hai: Samaira...(uske haath pakad kar) main toh mazak kar raha tha. Main tujhe kaise maar sakta hun...(uske shoulder pakad kar) tu toh meri pyaari behna haina? Tu har saal mujhe rakhi baandhti hai,(use hug karta hai par Samaira disinterested hai) main har saal apni pure mahine ki salary kharch karke tujhe gift deta hun (Samaira use glare karti hai)...aur dena hi chahiye na...main kamata kis liye hun? Tumhare liye...haina...tum toh good girl hona, sabki laadli ho, babasa ko manane mein meri madad bhi karogi haina?
Samaira (attitude ke saath) theek hai! theek hai!! zyaada drama mat kar!
Sameer relieve hota hai. Sab aankhein faadkar unhe dekh rahe hai of course...Arjun ke ilawa
Ayesha: ye...ye aapki behan hai?
Sameer (side hug karke ): ha meri cousin
Samaira: ha biwi toh nahi hai lekin girlfriend ka mujhe nahi pata bhabhi...at your risk!!
Sameer use glare karta hai: Samaira shut up! (woh firse use glare karti hai, Sameer dar jaata hai...fir sweetly) I mean...pata nahi ka kya matlab hai, meri sirf ek hi girlfriend hai...Ayesha
Woh Ayesha ko innocent look deta hai. Ayesha disbelief mein apna sar hilati hai.
Ayesha: mujhe...manzoor hai
Sameer: Yes!!! Aur immediately use hug karta hai.
Ayesha blush karti hai. Samaira ke khaasne se dono alag hote hai.
Sameer: waise Samaira tu yaha kaise?
Samaira: are woh actually maine do teen din pehle tujhe phone kiya tha ye bataane ke liye ki main kuch din Mumbai aa rahi hun lekin pata nahi tu kaha tha toh Arjun ne tera phone uthaya aur usne mujhe apni sagayi aur tere proposal ke baare mein bataya. Fir humne ye plan banaya ki mujhe aana hi hai toh entry dhamakedaar honi chahiye na?
Sameer: bahot acha, meri behan mera best friend dono milkar meri hi band baja rahe hai...huh!! Riya thank you so much!!
Riya smile karti hai: you're most welcome sir!
Samaira : waise bhabhi sorry...aapko dara diya maine, lekin kya haina mujhe Sam ko pareshaan karne mein bahot maza aata hai.
Ayesha smile karti hai: it's ok...aur woh dono baton mein lag jaati hai. baakhi ki team bhi shaamil ho jaati hai.
Arjun Sameer ke paas jaakar mutter karta hai: ab samajh aaya ki girlfriend se baat karte hue koi beech mein tapakta hai toh kaisa lagta hai?
Sameer: maaf kar mere bhai, agli baar dono ki phone location check karunga, bagal mein hui toh phone kya message bhi nahi karunga! Meherbaani kar
Arjun: chal jaa! Us din tune mujhpar ki aaj main kar deta hun
Sameer use dekhta hai aur agle hi pal dono hasne lagte hai.
Samaira sabka attention apni taraf leti hai: are bhai ye kya ho raha hai? itna khushi ka mahol aur itni shanti?? sagayi ka din hai, dulha dulhan ki taraf se ek dance toh banta hai!!
Riya: kya?
Samaira: ha!! Chalo.
Riya protest karne ki koshish karti hai par woh nahi sunti. Samaira Riya ko drag karke Arjun ke haathon mein de deti hai. Arjun smile karta hai
Samaira: DJ!!!
On cue, DJ music start karta hai
Teri Baahon Mein Mili
Aisi Rahat Si Mujhe
Ho Gayi Jaan-E-Jahaan
Teri Aadat Si Mujhe
Dekhun Main Jab Tujhko Toh
Tab Mera Din Ye Dhale
Arjun Riya ke saath dance karne lagta hai. dono bas us pal mein kho jaate hai. apni surroundings bhul kar bas ek dusre ko dekh rahe hai.
Deewana Kar Raha Hai
Tera Roop Sunehra
Musalsal Khal Raha
Mujhko Ab Ye Sehra
Bata Ab Jaayein Toh Jaayein Kahaan
Deewana Kar Raha Hai
Tera Roop Sunehra
Musalsal Khal Raha
Mujhko Ab Ye Sehra
Bata Ab Jaayein Toh Jaayein Kahaan
Dard Ka Aalam Hai Hardum
Tere Bin O Mere Humdum
Aankhon Mein Dikhti Hai Maayusiyan
Jahaan Bhi Jaaun Tere Bin
Badi Mushqil Se Guzre Din
Chubti Hai Dil Ko Teri Khamoshiyan
Raaz Gehra Jo Hai Tera
Darr Hai Kaisa Tu Hai Mera
Deewana Kar Raha Hai
Tera Roop Sunehra
Musalsal Khal Raha
Mujhko Ab Ye Sehra
Bata Ab Jaayein To Jaayein Kahaan
Deewana Kar Raha Hai
Tera Roop Sunehra
Musalsal Khal Raha
Mujhko Ab Ye Sehra
Bata Ab Jaayein To Jaayein Kahaan
Dhul Gaye Dil Ke Saare Gham
Khushi Se Aankhein Hai Ye Nam
Zindagi Mein Tu Meri Jab Se Aa Gaya
Dil Ka Armaan Bana Hai Tu
Meri Pehchaan Bana Hai Tu
Saanson Mein Ruh Ban Ke Tu Samaa Gaya
Jaan Bhi Teri, Dil Bhi Tera
Tujh Se Hai Mera Savera O
Deewana Kar Raha Hai
Tera Roop Sunehra
Musalsal Khal Raha
Mujhko Ab Ye Sehra
Bata Ab Jaayein Toh Jaayein Kahaan
Deewana Kar Raha Hai
Tera Roop Sunehra
Musalsal Khal Raha
Mujhko Ab Ye Sehra
Bata Ab Jaayein Toh Jaayein Kahaan
Riya uske kandhe par sar rest karti hai. Arjun use hug karke uske forehead par kiss karta hai. sab unhe dekhkar clap karte hai...
Officially The End
Intro: Rudra fakes a relationship with his best friend Soumya to impress glamorous Bhavya-but ends up falling for the one girl who truly knew...
[NOCOPY] P Y A A R. K A. N A G H M A. "Friends?" a little boy extended his hand towards a girl which she responded. They smiled and embraced...
Hello everyone! I will be posting my 5 one-shots over here which I sent in for the Pyaar Ka Trope-fest contest. They are all standalones and...
44