Dono chouk kar mudte hai, waha...Arjun!!!!!!!!...
Dono ke gale sukh jaate hai
Arjun shock aur gusse dono mein hai: tum...Tum Mujhse Itna Bada Jhoot Kaise Bol Sakti Ho?
Riya: sir...main...
Arjun: Maine Tum Par Vishwas Kiya Tha Riya...
Shruti: Arjun isme Riya ki...
Arjun: MAIN TUMSE BAAT NAHI KAR RAHA!!! (Shruti chup ho jaati hai) Tumne Toh Dhoka De Hi Diya Mujhe...( Riya Ki Taraf Dekhkar) Lekin Mujhe Tumse Yeh Umeed Nahi Thi...HOW COULD YOU???
Riya ki aakhein nam hoti hai woh aankh utha kar dekhti toh...mv "nahi...
Uska haath instinctively pocket mein jaata hai aur woh Arjun ko forcefully ek bottle se sunghati hai. Arjun kuch samajh nahi pata. Shruti shock hoti par uski madad karti hai, aur Arjun struggle na kare isliye uske haath pakad leti hai...Arjun behosh ho jaata hai.
Shruti: ye kaise solution hai Riya tumhara?
Riya: are pehle hatao inhe.
Dono mushkil se uski bhaari body ko Shruti ki car ke peeche le jaate hai.
Riya piche point karti hai: woh dekho
Shruti dekhti hai: SHIT!!!
Aur immediately neeche jhukti hai, Riya bhi
Shruti(in disbelief): Sameer bhi yaha hai?
Waha Sameer aur baakhi sab lift se utarte hai, sab baton mein busy hai isliye kisine inki direction ki taraf dekha nahi
Riya: ha
Shruti groan karti hai: main yaha aati kyun hun?
Riya: isliye tumhe kaha tha ki jaldi jaao, lekin tumhe formality sujhi
Shruti :sorry...ab kya kare?
Riya: inke jaane ka wait karte hai aur kya
Dusri taraf
Shree: are ye Ri kaha gayi?
Sameer: shayad Arjun ke saath chali gayi hogi...aa jaayenge chodo
Sakshi: lekin Arjun bina bataye kyun chala gaya?
Liza: Sakshi, woh Arjun sir hai...yaad haina?
Sakshi sad face banati hai, Sab dusri gaadi mein baithkar chale jaate hai
Riya aur Shruti dono relieve hoti hai
Riya: inhe yaha nahi rakh sakte hai kahi aur jaana hoga
Shruti : tum sahi keh rahi ho, ek kaam karte hai, ise uthakar gaadi mein rakh dete hai aur yaha se nikalte hai fir sochte hai kya karna hai
Riya nod karti hai. dono use uthakar gaadi ke backseat par letate hai. Shruti drivers seat par baithti hai aur Riya passenger par.
Shruti: My God! kitna bhaari hai yeh. Aur gaadi start karke drive karti hai...
R&AW office
Boss apne cabin mein baithe hai. tabhi uska ek phone bajta hai.
Boss: ha bolo
Admi: sir! Riya aur Arjun ka jhagda ho gaya hai. apparently use Shruti aur Roshni ke baare mein kuch kuch pata chal gaya hai...kya karu? Should I shoot him?
Boss koi reaction de paaye usse pehle dusra phone bajta hai
Boss: ek minute...hold karo (woh us phone ko side par rakhkar dusra answer karte hai) hello?
Dusra Admi(Shruti's Handler): sir, Shruti's cover is blown, use aur us dusri ladki aur ladke ko maar du?
Boss sigh karta hai, use issi baat ka dar tha
Dusra Admi: sir?
Boss: main tumhe thodi mein call karta hun, nazar rakho un par
Dusra Admi: sir!
Call disconnect
Boss picks up the first phone : I'll call you back
Admi: theek hai sir
Boss falls into thought. He really didn't want internal bloodshed, he always tried to avoid such situations. He couldn't bear to kill Riya...after all she was his responsibility
Flashback
A few years earlier, he had been resting at his home, he had had a long day when his cell phone rang.
Boss: kya baat hai Virat? Do mahine baad yaad kiya? I was beginning to think you forgot me
Virat laughs: nahi yaar! Ek mission ki taiyaari mein fasa hun aur waise bhi tujhe kaise bhul sakta hun Siddhart? Abhi tak us shart ke 500 rupay lene baakhi hai tujhse
The two friends talked for a while before Virat came to main point
Virat: acha Siddhart, I need you to do me a favor
Siddhart: are ek kyun 100 bol
Virat: are nahi nahi sirf ek hi kaafi hai
Siddhart: kya baat hai? kuch tensed lag raha hai
Virat: hmm...tune Sultan ka naam suna hai?
Siddhart: of course suna hai, ye wahi haina jisne LOC par aatank macha ke rakha hua?...dekh mere paas bhi utni hi information hai jitni tum logon ke paas hai
Virat: mujhe information nahi chahiye Siddhart, main waha jaa raha hun
Siddhart: great! Farewell party par invite kar raha hai? don't worry aa jaunga teri party mein bhi aur tere funeral par bhi
Virat: woh toh tu jhak maar kar aayega mujhe uski chinta nahi hai, mujhe chinta Riya ki hai
Siddhart: Riya? Teri beti? jisko tune puri duniya se chupa kar rakha hua hai? aakhri photo kab dekhi thi uski who bhi nahi yaad mujhe
Virat hasta hai: ha wahi...aur chupa kar rakha hai ka kya matlab hai? bol toh aise raha hai jaise kaid karke rakha hua hai maine use...anyways Siddhart main nahi jaanta ki main waapis aaunga ya nahi. Uska mere ilawa aur koi nahi hai, I want you to keep an eye on her, protect her
Siddhart: woh toh theek hai, par tujhe pata haina? Meri shaadi nahi hui aur na hi bache hai main babysitting nahi kar sakta, mere paas ek paise ka bhi experience nahi hai
Virat: nahi, nahi utna sab karne ki zaroorat nahi hai, she can manage on her own, woh 19 saal ki hai...
Siddhart (shocked): Kyaaa??? Woh itni badi ho gayi?
Virat: ha...aur woh apni raksha bhi kud kar sakti hai just...just see she dosen't fall into trouble
Siddhart : tu fikar mat kar Virat, main uska pura khayal rakhunga
Virat: thanks
Siddhart: are? Dost ko thanks bolega? Waha aakar maaru kya?
Virat: nahi, mujhe bahot kaam karna hai aur sun... use pata nahi chalna chahiye ki maine tujhe...
Siddhart: nahi chalega!
Virat: hmm...
Flashback Ends
When 3 months later he got news that his friend had been killed in action despite the success of his mission, he had promised himself, he would take care of Riya as his own. He had seen her at his funeral. She looked devastated but the pride was visible on her face. She had not seen him amongst the many officers and hence didn't recognize him. The very next day Siddhart had hired one of his most trusted and best men to keep an eye on Riya, to save her from things she couldn't handle, and who reported directly and only to him. It was him and not Riya's handler who had given the order to kill Firoz when he had attempted to kill ETF. Riya's handler had long gone when she left R&AW. When Riya had chosen the police force he felt like banging his head on the wall. How was he supposed to protect her if she joined the league of stunt men? To top it all the military self defence and martial arts her father had taught her made her an exceptional to the field. To his shock a recruiter had noticed her on the training field and brought her to R&AW. He had almost fired her protector when that happened as he didn't inform him she was being brought there. But it was actually his fault as he had not picked up the call in an important meeting. He devised the toughest strategies so she couldn't get recruited but she passed them all. She was a fighter...just like her father and he didn't know if to be proud of her or be exasperated. He had no option but to give in. After all she didn't know him more than her boss who liked to pick on her at times and still gave into her demands.
And now she has fallen into trouble...again. Despite him giving her warning, he would never have harmed her. He would have killed the whole team if he had to but not her. After all he had grown to care for her too. And now he didn't know what to do? Killing Arjun would be a heart break for her. He couldn't blame him either, he had been played as a pawn but he couldn't trust him. What if he blurted out the truth in his anger? Killing Shruti would only result in the agency's loss. It was mandatory that they leave behind no witnesses but Riya was their own. She wouldn't speak a word in front of anyone. She would die inside but still cook up a story. Now he had only one option left...
Siddhart calls up Shruti's handler : Shruti par nazar rakho lekin jab tak main na kahu tab tak kuch mat karna.
Handler: sir!
Then he calls up Riya's guy : dekho, agar unka patch up ho gaya toh Arjun ko mat maarna, agar nahi hua...toh do the needful
Admi: yes sir!
Boss mv " I sure hope your guy loves you as well Riya else he going to give up his life and you, your heart
Dusri taraf car mein
Riya ko pehle se sach chupaane ke liye guilty feel ho raha tha aur ab...ab shayad woh use nafrat karega. Use guilt khaye jaa raha hai. Shruti headquarters se baahar nikal kar dur jaati hai aur ek relatively kam traffic waale road par gaadi side par leti hai.
Shruti: ab kya?
Riya: adha sach toh pata chal hi gaya hai, pura batana padega aur kya
Shruti tensed hoti hai: batayenge toh tab na jab woh sunega...iska gussa aaj bhi waisa hi hai, aur agar Boss ko bhanak bhi lag gayi toh...main toh gayi.(complaining) Mujhe Manan se shaadi karni hai!!
Riya: aur koi chaara bhi toh nahi hai
Shruti: hmm...waise tumne ise kya sunghaya...
Riya: chloroform
Shruti: abhi bhi agency ke protocol lekar ghumti ho?
Riya smile karti hai: old habits die hard
Shruti: true...waise main knockout gas zyaada prefer karti hun, reusable nahi hai par...does the job, radius bhi zyaada milta hai...lekin ye kitne time tak behosh rahega?
Riya: dose strong hai, hosh mein laana padega
Shruti: hmm...toh abhi woh problem toh nahi hai...par jaayenge kaha?
Riya: inke ghar hi chalte hai
Shruti: theek hai. aur car start karti hai
Riya(amusedly): tumhe yaad hai kaha jaana hai
Shruti: ha...(sochte hue) nahi. Mujhe ghar toh yaad hai lekin address nahi
Riya smile karti hai: main batati hun...
Tabhi Arjun ka phone bajne lagta hai, Riya piche lean hokar uske pocket se phone nikalti hai. woh caller ID dekhkar tensed ho jaati hai
Riya: Rathore sir!
Shruti: kaun?
Riya: are Sameer!
Shruti: oh...uthana mat
Riya: obviously not!!...par ab inhe kya jawab du main? Mujhe office bhi jaana hai
Dono solution sochne ki koshish karti hai, tab tak Arjun ka phone bajna band ho jaata hai...fir Riya ka phone bajne lagta hai
Riya tensed hokar phone utathi hai, apni voice ko normal karne ki koshish karti hai: hello sir
Rathore: Riya kaha ho tum? Aur Arjun tumhare saath hai?
Riya: ha...matlab nahi...matlab...
Rathore: Riya kya bol rahi ho?
Riya gehri saans leti hai: sir main unke saath hi thi , hum office hi aa rahe the par fir unka mood thoda off tha, woh kuch der akele rehna chahte the isliye unhone mujhse kaha ko woh ghar jaa rahe hai aur main office aakar aapko inform kar du
Rathore mv "isliye phone nahi utha raha : acha theek hai, tum jaldi aao tumhare bagair kaam khatam nahi honewaala hai
Riya: ji sir main raaste mein hi hun, aa rahi hun
Rathore: ok...bye
Riya: bye
Call disconnect
Riya: mujhe office jaana hoga
Shruti: it's ok, tum jao...Arjun ko main sambhal lungi
Riya piche glance karti hai: are you sure?
Shruti: ha Riya tum chinta mat karo, aur...woh abhi gusse mein hai, shant hoga toh apne aap theek ho jaayega
Riya(abhi bhi Arjun ko dekh rahi hai): I hope so...(woh sigh karti hai, Shruti ki taraf mudkar)main chalti hun
Shruti nod karti hai. Riya gaadi se utarti hai, ek aakhri baar Arjun ki taraf glance karke chali jaati hai. Achanak...
Shruti: are Riya!!!
Riya mudti hai
Shruti : address?
Riya: oh ha...ek minute
Riya tissue box se tissue nikalkar us par address likh kar Shruti ko deti hai. Shruti lekar nod karti hai. dono bye bolkar apne apne raaste chale jaate hai. Riya waha se seedhe ETF jaati hai aur normal behave karti hai. on the other hand Shruti Arjun ko lekar ghar jaati hai.
Shruti : oh God!! Ab mujhe ise akele hi uthana hoga...woh sigh karti hai. Arjun ki jeb se ghar ki chaabi nikal kar use unlock karti hai. apni puri taakat aur mehnat lagakar woh Arjun ko andar hall mein le jaati hai. sofa par use letate hue toh uski hawa nikal jaati hai.
Woh dining table se paani ke jug se glaas mein paani bhar kar peeti hai. uski nazar idhar udhar ghumti hai. waha wall par abhi bhi unke ek do photos hai, jo usine khud sajaye the. Pura ghar abhi bhi waise ka waise hai. Shruti ek baar Arjun ko glance karti hai, use guilty feel hota hai. par woh chah kar bhi kuch nahi kar sakti hai. yeh uski manzil nahi hai.
Use parking mein Arjun ki baatein yaad aati hai. Riya ka tensed chehra yaad aata hai. tabhi use realization hota hai mv "They love each other!
Shruti Arjun ki galat fehmi dur karne ke liye aur determined ho jaati hai. woh nahi chahti thi ki uski wajah se do dilon mein duriya aaye. Woh paani ka jug utathi hai aur Arjun par paani chidakti hai. Disturbance ki wajah se Arjun ki aankhein contract hoti hai.
Shruti(use uthane ki koshish karti hai): Arjun aakhein kholo!
Arjun dheerese uthta hai aur apni surroundings register karne ki koshish karta hai. Shruti ko dekhkar uska gussa fir aa jaata hai. woh jhatke se seedhe khade hota hai
Arjun: Tum Yaha Kya Kar Rahi Ho?
Shruti: Arjun...
Arjun: Riya Kaha Hai?
Shruti : woh yaha nahi hai
Arjun ko aur gussa ata hai: Toh Tum Yaha Kyun Ho???
Shruti: Arjun please meri baat suno
Arjun: MUJHE TUMSE KOI BAAT NAHI KARNI...AUR NAHI TUMHARI SHAKAL DEKHNE MEIN KOI INTEREST HAI!!!MUJHE RIYA SE EXPLANATION CHAHIYE AUR WOH MAIN LEKAR RAHUNGA!!!!
Shruti ab tak control kar rahi thi par ab nahi: MUJHE BHI TUMHARI SHAKAL NAHI DEKHNI HAI ...Lekin sach yahi hai ki explanation ki zaroorat Riya ko nahi mujhe tumhe dene ki zaroorat hai...CHAHE TUM CHAHO YA NA CHAHO!!!!!
Arjun gusse se use glare kar raha hai
Shruti thoda control karti hai: Riya ne meri wajahse tumse jhoot bola hai...
Arjun: That's Great! Pehle Tum Mujhe Sapne Dikhati Ho Fir Mujhe Chod Ke Jaati Ho Aur Jab Mujhe Finally Thoda Sukoon Milta Hai Toh Tumne Riya Ko Bhi Apne Saath Mila Liya?
Shruti: Mera Tumhe Sapne Dikhane Ka Koi Intention Nahi Tha!! Maine Jo Bhi Kiya Uske Piche Ek Wajah Thi!!!...Riya aayi thi mere paas...taaki hum dono saath reh sake lekin main kabhi tumhare saath thi hi nahi
Flashback
Riya apna man bana kar R&AW office jaati hai. woh Shruti ke cabin mein jaati hai. waha Shruti apni chair par baithi hai.
Uske pichese ek ladka aata hai: Shruti!!!
Shruti choukti hai par bahot khush ho jaati hai: Manan!!!
Woh use tightly hug karti hai: tum waapis aa gaye??
Manan: of course sweet heart! Tabhi toh tumhare saamne hun
Shruti: I missed you so much
Manan: I missed you too!!! Isliye toh bhag bhagkar waapis aaya hun
Tabhi Riya waha aati hai, dono ko saath dekh kar thoda surprise hoti hai. woh apna throat clear karti hai. dono alag hokar use dekhte hai.
Riya smile karti hai: hi Shruti! Mujhe tumse kuch baat karni hai if you are free...
Shruti thoda embarrass hoti hai: ya sure,...Riya right?
Riya nod karti hai.
Manan: umm...I'll leave you two then...bye see you tonight?
Shruti: sure!
Manan apne peeche cabin ka darwaaza band kar deta hai.
Shruti: kaho...kya baat karna chahti thi tum?
Riya: waise baat toh main Roshni se karna chahti thi
Roshni ka naam sunkar Shruti ke chehre ka rang ud jaata hai. Riya ka shak confirm ho jaata hai, Roshni aur Shruti ek hi hai...
44