🏏T20 Asia Cup 2025: India vs Oman, 12th Match, Group A at Abu Dhabi🏏
Mannat Har Khushi Paane Ki: Episode Discussion Thread - 28
Bigg Boss 19 - Daily Discussion Topic - 20th Sep 2025 - WKV
Deepika starts shooting for King
Armaan has always been the victim
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 20, 2025 Episode Discussion Thread
Appreciation Post for Ruheen
🏏 Asia Cup 2025: Sri Lanka vs Bangladesh, Super Four, Match 1 Dubai🏏
Anupamaa 20 -24 Sept 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Veer Hanuman - Chat Club #4
Singer Zubeen Garg Passes Away
Aneet replaces Kiara in Shakti Salini
Book Talk Reading Challenge & Book Bingo ~ Oct 2025 Sign up open!
Fav contestant this year?
Downfall is Real! No one even cares for SPA pics this year
Homebound - OSCARS 2026 Official Indian Entry
These were Deepika's demands for Kalki
Star Parivaar Ki Favourite Saas
“Why aren’t Bollywood actresses supporting Deepika? - Upala KBR
Akshay Kumar Is Back To Giving Hits
Roshni ka naam sunkar Shruti ke chehre ka rang ud jaata hai. Riya ka shak confirm ho jaata hai, Roshni aur Shruti ek hi hai...
Shruti sigh karti hai: Sameer aur Arjun ek terrorist cell ke peeche the. uske boss ka case main handle kar rahi thi. Sameer ki ek puraani dost thi Roshni. Lekin jab woh dono 13 saal ke the tab Roshni ke dad use lekar US chale gaye pane business ki wajah se. uske baad dono ka contact tut gaya. Isliye main Roshni bankar Sameer ke paas waapis aayi. Asli Roshni by chance bhi Sameer se na takraye iski humne puri taiyaari karke rakhi thi...Sameer ke through hi main Arjun se mili.
Riya: lekin tumne unhe emotionally kyun use kiya?
Shruti: mera aisa koi iraada nahi tha...lekin Arjun ko mujhse pyaar ho gaya. Usne mujhe propose kiya. Agar main mana kar deti toh shayad mujhe use door hona padta shayad Sameer se bhi jo main afford nahi kar sakti thi...
Riya: aur tum dono ki shaadi ho gayi
Shruti: ha...tab tak case khatam ho gaya toh obviously mujhe waapis jaana tha. Mere dil mein Arjun ke liye koi romantic feeling nahi thi toh koi jugaad karne ka bhi sawaal nahi paida hota tha. Lekin main jaanti thi Arjun itni aasaani se mujhe nahi chodega, frankly speaking main use koi aisa waisa dhoka nahi dena chahti thi, woh sach mein dil ka bahut acha hai...aur isliye maine woh murder ka naatak kiya. Aur Sikandar ka naam use kiya that's it! (frustrated) Maine Socha Ki Woh Use Nahi Dhundh Paayega Aur Agar By Chance Dhundh Bhi Lega Aur Use Pakad Dega Ya Maar Dega Toh Duniya Se Ek Paap Kam Hoga
Riya sigh karti hai: Arjun sir ne tumhe kuch din pehle headquarters par dekh liya tha
Shruti tensed ho jaati hai: Riya please use kuch mat batana...maine jo bhi kiya mere kaam ke liye kiya...tum bhi toh agent ho, tum samaj sakti ho ki hume apni line of duty mein kya- kya karna padta hai, apne moral conscious ko dafna kar bhi...please Riya
Usi waqt Boss enter karte hai, woh Riya ko dekhkar thoda surprise hota hai par fir
Boss: toh...tum yaha tak pahunch hi gayi
Riya: aapko sab kuch pata tha...fir bhi aapne hum dono mein se kisi ko warn karne ki nahi sochi?
Boss: are warn kiya tha maine tumhe
Riya: really?
Boss: yes...tumhe samaj nahi aaya toh main kya karu? Aur tumhe office nahi jaana late ho raha hai
Riya(irritatedly): jaa rahi hun aapse toh main baad mein baat karungi!!
Flashback Ends
Arjun bas Sofa par collapse ho jaata hai aur apne sar ko haathon mein rest karta hai. uski aakhein nam ho jaati hai. usne kabhi sapne mein bhi nahi socha tha ki uski zindgi mein itna bada raaz ho sakta hai. jise usne pyaar kiya, woh kabhi uska tha hi nahi. Jis pyaar ke liye isne itna sab kuch kiya woh sab ek dhoka tha...
Shruti uski mental state samajti hai: Arjun, main jaanti hun ki maine tumhara dil toda hai, tumhe cheat kiya hai aur uske liye main tumse maafi nahi maangugi kyunki maine jo kiya woh galat tha...is baat ko main bhi jaanti hun. Lekin Arjun meri galti ki saza Riya ko mat dena...woh nahi chahti thi ki tum apne pyaar ko ek dhoke ke roop mein dekho. Usne mujhse zyaada tumhare dil ko thes na pahunche isliye tumse jhoot bola...aage...tumhari marzi.
Itna Kehkar woh nikalti hai, darwaaze par ruk kar
Shruti: aur ha...tum akele rehna chahte the isliye tum ghar aa gaye aur Riya ko office bhej diya. Kuch ulta seedha mat bolna.
Aur chali jaati hai. Arjun abhi bhi wahi ka wahi baitha hai. use kuch samajh mein nahi aa raha hai. ek ek karke use sab kuch yaad aata hai...Roshni se mulaqat, use pyaar, ikraar, undono ki life jo shuru hone se pehle hi Sikandar ki wajah se khatam ho gayi. Uska apne pyaar ka farz nibhaane ke liye, badla lene ke liye Sikandar ko dhundhna, usi dauran Riya se mulaqat, uske liye soft corner paida hona, dono ki dosti, unka kareeb aana, fir commissioner ka apni baat se mukarna, Riya ka use help karna, uska support banna, Sikandar ka encounter aur ab...itni badi sachai saamne aana...
ETF office
Sab report karne ki taak mein hai, Rathore toh bas baithe baithe har aadhe ghante baad jaldi karne ka order de raha hai. Riya kaam toh kar rahi hai par tensed hai.
Riya mv "kya ho raha hoga waha par...Arjun sir kaise react karenge? Oh God!! Shruti ko call karu kya?...lekin mere paas toh uska koi contact nahi hai...uff!! kaha fas gayi...ye Arjun sir toh pakka mujhe maar hi daalenge...bacha lo mujhe bhagwaan, meri nahi toh mere baap ki sun lena jo aapke saath hai
Tabhi Arjun conference room mein enter karta hai aur seedha apni chair par baithta hai. sab use dekhkar surprise hote hai, unhe laga ki shayad aaj woh nahi aayega. Riya toh darte hue uski taraf dekhti hai lekin uska chehra blank hai.
Rathore: mujhe laga tum nahi aaoge
Arjun: mujhe bhi aisa laga
Rathore: toh?
Arjun: kya toh?
Rathore: toh kyun aaye?
Arjun: aise hi, man hua
Rathore use confused look deta hai
Arjun: dimag kharch mat kar, kam hai...tum nahi samjhoge, jab insaan depressed hota hai toh use mood swings hote hai, psychology 101...12th std samjhe ya samjhao?
Rathore use glare karta hai, sab apne kaam mein firse ghus jaate hai. Riya Arjun ko glance karti hai par Arjun uski taraf nahi dekhta hai, dejectedly woh bhi report complete karne mein lag jaati hai.
Finally shaam ko report khatam hoti hai. Rathore sabko ghar jaane ko kehta hai. woh aur Arjun akele hai
Arjun: Sameer tu commissioner sir ke paas akele chala jaayega? Mujhe kuch kaam hai
Sameer: ab kaunsa kaam hai?
Arjun: Sameer please main thak gaya hun tu apna questionnaire apne paas rakh mujhe aaram ki zaroorat hai
Sameer : toh ghar par hi baithta na...maine bola tha aane ke liye?
Arjun: Sameer please
Sameer disbelief mein sar hilata hai: theek hai...ja
Arjun: meherbaani
Sameer: yaad rakhna baad mein chukaani padegi
Arjun smile karta hai, Sameer bhi. Dono team ke peeche compound mein chale jaate hai.
Shree: are Riya tu baahar kaha jaa rahi hai?
Riya: are woh mujhe paas mein thoda kaam hai...main nipta kar ghar jaungi.
Shree: ok
Darasal Riya Arjun se bhagna chahti hai. Arjun ye sab dekhta bhi hai aur samajta bhi hai. lekin koi reaction nahi deta. Riya main road par chal rahi hai, taxi dhundh rahi hai...tabhi ek gaadi aakar uske aage rukti hai. Riya ruk jaati hai. Arjun utarkar bina kuch kahe Riya ka haath pakadkar use andar bitaatha hai. Riya toh shock aur dar ki wajah se na protest kar paati hai nahi kuch bol paati hai. Arjun bhi aise hi drive kiya jaa raha hai. woh Riya ke ghar ki turning miss karta hai.
Riya(chouk kar): sir! Mera ghar us taraf hai.
Arjun badle mein sirf use glare deta hai. Riya chup hokar apni nazre fer leti hai.
Riya mv "what has my life reduced to? Ek R&AW tha jaha par mere seniors mujhse darte the, Boss bhi mere khilaaf nahi jaate the aur ab...ab mujhe apni boss ki nazar se hi dar lagta hai. research specialist kya ban gayi mera dil toh pankhudi ki tarah komal ho gaya hai
Arjun drive karte hue shehar ke baahar chala jaata hai. jungle ka ilaaka aa jata hai. ab road par unke ilawa aur koi nahi. Riya ko kuch samajh nahi aa raha hai. Arjun ek kachi sadak par mudta hai aur ek jagah par aakar ruk jaata hai. woh utarkar Riya ka haath pakadkar use gaadi se baahar laata hai.
Arjun: tumhara phone kaha hai?
Riya: kya?
Arjun(sternly): phone!!
Riya use apna phone deti hai. Arjun uska aur khud ka phone wahi gaadi mein chod deta hai aur chup chap Riya ka haath pakad kar jungle ke andar chalne lagta hai. Riya aur confuse ho jaati hai.
Riya mv "ye Arjun sir mujhe yaha kyun laaye hai, yaha toh koi bhi nahi...upar se jungle? Kya karne waale hai mere saath ye?...kahi mera murder karke mujhe yahi dafnane ka iraada toh nahi inka?...nahi nahi woh aise nahi kar sakte...woh kanoon nahi todenge...main bhi kuch bhi sochti hun
Woh apne hi khayalon mein hai, use pata hi nahi chalta ki woh apni manzil tak pahunch gaye. Riya ki nazar aas paas padti hai. woh pura area scenic hai. waha par chaaro taraf greenery hai. willow trees, creepers, aur centre of attraction...ek pond, jo lotus aur water lilies se bhara hai. on top of that, poonam ki raat, chand halke se apni chandni faila raha hai.
Riya us sab ko dekhkar mesmerize ho jaati hai. woh sab kuch bhul jaati hai aur waha ki scenery mein kho jaati hai. Arjun ek pal ke liye side par chala jaata hai.
Riya(dreamingly): wow!! Ye...kitni sundar jagah hai
Arjun(smiling): abhi toh ise aur sundar hona hai
Riya questioning look deti hai. Arjun ek step peeche lekar waha ke bushes aur shrubs ko hilakar disturb karta hai and the next second...the night sky lights up
Riya(astonished): Fireflies!!!!
She twirls around unable to believe her eyes. The fireflies softly glowing all around adding cherries on top of the cake. Arjun just admires her, the smile on her face...it always brought happiness to his heart.
Arjun: yaha paas mein mere nana ji ka gaav hai.(Riya uski taraf turn hoti hai) chuttiyon mein aata tha. Woh mujhe kabhi kabhi yaha laate the. jab 11 saal ka tha tab woh guzar gaye...uske baad yaha kabhi nahi aaya par aaj...aaj laga ki is jagah ki khubsurti ko kisi aur ke saath share karna zaroori hai.
Arjun Riya ke haath pakadta hai.
Arjun: Shruti ne mujhe sab kuch bata diya...
Riya: sir main...
Arjun: nahi Riya...mujhe bol lene do...Riya main jaanta hun pichle kuch dino mein maine jaane anjaane mein tumhe hurt kiya...aur aaj bhi...lekin trust me, it's the last thing I want to do. Forget last! Main kabhi bhi tumhe hurt nahi karna chahta hun. Pehle hi bahot waqt zaaya kar chuka hun (piche chalte hue) ab aur nahi karunga...isliye...
Aur pond ki taraf ishara karta hai. Riya uske haath ko follow karke dekhti hai aur shock ho jaati hai.
Waha paani mein lotus aur lilies se I U. Riya ki nazar bas wahi tiki hui hai. Arjun smile karta hai, woh uske peeche shift hota hai aur uske gale mein ek silver chain pehanta hai. Riya aur shock hoti hai, uska haath automatically pendant ko pakadta hai. ek sapphire stone. Us par ek tilted outline - diamond studded heart...
Arjun uske kaan mein whisper karta hai: aaj toh jawab lekar hi rahunga
Riya aur control nahi kar paati aur immediately turn hokar Arjun ko tightly hug karti hai.
Riya: main aapse bahot pyaar karti hun
Arjun: main bhi tumse bahot pyaar karta hun Riya...I love you...so much!!!
Riya apni nazre jhukati hai: I'm sorry...main aapse jhoot nahi bolna chahti thi
Arjun uska chin upar karta hai: jo hona tha so ho gaya Riya, jo bhi hua usmein shayad kisi ki bhi galti nahi thi...ab khamakha us sab ke baare mein soch kar apna dil mat jalao
Riya smile karke nod karti hai. Arjun bhi smile karke use forehead par kiss karke use kiss karta hai...
R&AW office
The Boss is tensely waiting for news. Finally his patience bears fruit and his phone rings. He immediately answers it.
Boss: kya hua?
Admi: red...
Boss(tensed): code red? Kya hua?(little angrily) Arjun Ne Sabke Saamne Kuch Bol Diya? Ya fir undono ka...
Admi: nahi sir! Main toh keh raha tha ki ...red rose
Boss relieve hota hai: oh!...dono ke beech sab theek ho gaya?
Admi: ha sir
Boss: good...lekin, tum itna khush kyun ho rahe ho?
Admi: woh isliye sir kyunki (glancing towards the couple) mujhe aisa lag raha hai ki main Disney ke kisi fairytale ke set par aa gaya hun
Boss smiles: leave them alone for some time, get out of there!!
Admi: sorry sir! Par aapne hi mujhe 24/7 Riya ka khayal rakhne ko kaha hai, aur frankly speaking main bhi mard hun aur mujhe mardon par bharosa nahi hai, I won't leave her alone
Boss rolls his eyes: fine!! Just stay out of sight!
Admi : of course sir!
Call disconnect
Boss mv "lagta hai tumhari choice bilcul sahi hai Riya, God bless you both!!
Hanging up the man again glances towards the love birds who were lost in each other's arms. Spending so many years staying behind Riya he had grown emotionally attached to her even though he had never met her in person. He takes a last glance towards them before shifting to the side. Smiling he shakes his head mv " Love sick Birds!!...
The End
Intro: Rudra fakes a relationship with his best friend Soumya to impress glamorous Bhavya-but ends up falling for the one girl who truly knew...
[NOCOPY] P Y A A R. K A. N A G H M A. "Friends?" a little boy extended his hand towards a girl which she responded. They smiled and embraced...
Hello everyone! I will be posting my 5 one-shots over here which I sent in for the Pyaar Ka Trope-fest contest. They are all standalones and...
44