TRAUMA KAHA 🤧24. 9
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 25, 2025 EDT
🏏T20 Asia Cup 2025: IND vs BD, Match 16, A1 vs B2 - Super 4 @Dubai🏏
All the activism/feminism is reserved for kachara FL?
Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread - 25th Sep 2025
ROOM SERVICE 25.9
Farhana constantly goes on family
Happy 200 MANNAT❤ ....MHKPK🥳
Suggest Name For Vicky Katrina Baby
Hawt Geetmaan Moments 🔥🔥💋💋
🏏T20 Asia Cup 2025: PAK vs BD, Match 17, A2 vs B2 - Super 4 @Dubai🏏
Deepika to reunite with Vin Diesel for XXX 4?
Movies of Sonam Kapoor's which I enjoyed
Important Questions
Sameer Wankhede takes Aryan Khan’s series TBOB to Court
Quiz for BB19 Members.
Riya: sir! Sketch ready hai...
Sabka attention us taraf jata hai, Riya apni seat lete hue sabko sketch dikhati hai.
Vijay use dekhkar thoda shock hota hai: Are You Sure?
Riya: meri memory tumse toh achi hi hai Mr. (realize karke)...Vijay
Arjun dono ki argument ignore karta hai: Vijay! Kya baat hai? kaun hai yeh?
Vijay: iska naam Firoz hai...yeh ek contract killer hai
Riya(sarcastically): wow! Mujhe toh pata hi nahi tha...strange
Vijay use glare karta hai
Arjun(sternly): tum dono thodi der ke liye apna jhagda band kar sakte ho!!!
Riya use look deti hai " you are supposed to be on my side
Sameer: Silence!! Vijay tell us what we don't know
Vijay: sir...ye Firoz bahot famous hai...
Ayesha: lekin humne toh aaj tak uska naam nahi suna
Riya mv " kaha se suna hoga, confidential files mein jo aata hai
Vijay: us baare mein nahi pata...lekin ye bahot khatarnaak hai, is baat ki full guarantee hai. ye internationally wanted hai. yaha tak ki ye Interpol ki top 20 mein aata hai
Sakshi: Interpol! Lekin itna khatarnaak mujrim itne chote kaam kyun karega?
Arjun: humare liye shayad ye choti baat ho lekin Sikandar ke liye nahi hai, woh koi galti nahi karna chahta isi liye isne Firoz ko apna kaam karne ke liye bheja hai and...jo hua uske baad main sure hun ki uska target sirf Armaan ka pariwar nahi tha. Warna woh apna ab tak nikal chuka hota. Woh Armaan ke pariwar ko maar kar sirf use tadpaana chahta hai. woh Armaan ko nahi balki Chotu aur Riya par attack karna chahta tha.
Bolte- bolte uske andar ek aggressiveness aur disgust aa jaati hai. usme un sab ko Roshni ka Arjun dikhai diya, jo aaj bhi apni biwi ko insaaf dilaane ke liye jhatpata raha hai. pure room mein pin drop silence cha jaati hai. kuch der baad
Sameer: tumhara matlab hai ki woh hum sab ke peeche hai? woh hum sabko maarna chahta hai?
Arjun(firmly): ha
Koi kuch nahi bol paata...
Shehar ke kisi aur kone mein...Firoz ek rented ghar mein rest kar raha hai. his wound still hurting badly. He had made a terrible mistake to underestimate the young lady. There was more to her than what met the eye. Maybe if he would have killed the 6 ft guy faster, the situation would have been more in his favor. Whatever the case he wasn't going to repeat his mistake again.
Firoz mv" agli baar use bhi sniper se marunga...good old sniper...never misses!
Tabhi uska phone bajta hai, woh groan karke table tak haath lamba karta hai.
phone uthakar mv "ye Sikandar abhi kyun phone kar raha hai?
Firoz: hello?
Sikandar: progress kya hai?
Firoz sigh karta hai: Armaan ki biwi aur bacha dono gaye
Sikandar: aur woh officers? Unhe maara ya nahi? Mujhe abhi tak news mein kuch dikh kun nahi raha?
Firoz: main unme se do ko maarne ki koshish ki lekin...woh Ladki...Riya, jitna socha tha usse zyaada tez nikli...
Sikandar(angrily): What Do You Mean By Zyaada Tez Nikli?? Woh Ek Ladki Hai!! Ek Mamuli Si...Police Officer Aur Tum Use Maar Nahi Paaye!!!
Firoz: maar dunga!! Apna kaam kaise karna hai mujhe ache se pata hai!! samjhe tum
Sikandar apne aapko control karta hai. he didn't like this kind of behavior from him, such people ended up in the graveyard the first thing next morning but he needed him, now more than ever!
Sikandar: fine!! Apne hissab se jo karna hai karo, mujhe sirf unki laashein chahiye
Firoz: aur ek baat, Elina aur woh bachi mar gayi hai, mujhe uska paisa chahiye
Sikandar soch mein chala jaata, woh har kill ke baad uske bank account mein paise jama karwaata tha, that's how he worked but abhi uska khud ka haath tang hai. bache kuche paison se woh apna ghar aur security hi bacha raha hai
Firoz: Hellooo?!?!
Sikandar apne khayalon se baahar aata hai: ha main sun raha hun...dekho Firoz...main koshish karta hun par...
Firoz: Mujhe Koi Par War Nahi Chahiye!! Mujhe Mere Paise Chahiye!!!
Sikandar: Firoz... tum jaante ho sab kuch pakda gaya hai...
Firoz: I Don't care...
Cottage ke baahar se koi unka jhagda sun raha hai. khidki par curtains lage hai. ek admi silently uske window sill ke paas khade Firoz ke chillane ki awaaz sun raha hai.
Silently woh apne communication device mein bolta hai: we have him!
Other side: get him!
The man nods, taking a quick glance around he executed his orders.
Admi: all done!
Other side: good job! Get back to the base!
Admi: sir!...
ETF, conference room
Riya is the first to speak: hume use jald se jald trace karna hoga, isse pehle ki woh kuch gadbad kar de
Ayesha: ha ho sakta hai ki Sikandar tak pahunchne ka clue hume usise mil jaaye
Sameer: you're right! Apne khabriyon ko activate karo, har police station aur police chowki par iska sketch bhejo...we need this man!
Arjun: aur hospitals aur clinics mein bhi
Isse sab confuse hote hai
Shree: kyun?
Arjun: Riya ne use injure kiya hai, woh apni medical aid ke liye kahi na kahi zaroor jaayega
Sameer nod karta hai: hmm...Vijay tum Sikandar ke phone par bhi nazar rakho, agar woh kahi aur jaaye toh sabse pehle hume pata chalna chahiye
Vijay: ji sir!!
Sameer watch dekhta hai...11:30
Woh sigh karta hai: it's late! Let's continue tomorrow
Sab apna kaam wrap karke ghar ke liye nikalte hai, Arjun Riya ko ghar drop karta hai.
Riya Arjun ka haath pakadti hai: aap chinta mat kijiye jaldi sab kuch khatam ho jaayega...kisi ko kuch nahi hoga
Arjun: main bhi yahi sochna chahta hun Riya par...main nahi chahta ki itihaas apne aap ko dohraaye
Riya mv "itihaas chah kar bhi apne aapko nahi dohra sakta woh Arjun ko hug karti hai : aisa kuch nahi hoga, (woh cheer up karne ki koshish karti hai) aap itna tension mat lo, aapko suit nahi hota
Arjun lightly hasta hai: acha? Toh kya suit hota hai mujhe?
Riya: umm...aapka woh bhayanak wala gussa, jiska aap sabko live demo dete firte hai
Arjun apni eyebrow raise karta hai: acha? Tumhe kab maine demo diya?
Riya kuch bolne waali hai
Arjun: sivaay tab ke jab tumne Roshni ki file kholi thi
Riya chup hokar sochne ki koshish karti hai, par use waise kuch yaad nahi aata,
Arjun smile karke uski waist pakadkar kareeb laata hai: kuch yaad aaya?...Miss Mukherjee?
Riya uski action se conscious ho jaati hai: umm...mujhe neend aa rahi hai...bye!!
Aur bhagne ki koshish karti hai lekin Arjun use firse apne par kheenchta hai
Arjun: mujhe abhi tak mere sawaal ka jawab nahi mila, na iska aur nahi subah ka
Riya(nervously): umm...woh...main...
Arjun(use aur kareeb laate hue): ha bolo
Riya gehri saans lekar apna BP control karke seedha jawab dene ki koshish karti hai: main...
Tabhi Arjun ka phone bajne lagta hai, Riya hasne lagti hai, Arjun apni annoyance control karne ki koshish karta hai
Arjun: hi SAM!!
Sameer: kya hua aise kyun bol raha hai? teri awaaz ko kya hua?
Arjun: woh kya haina, main tumhare murder karne ke plan mein hun
Sameer realize kar leta hai ki woh irritated hai : Riya ke saath hai?
Arjun: Sameer...tumhe nahi pata?
Sameer: kya
Arjun: nahi...mujhe toh laga ki humesha galat time par phone karne ki tere andar superpower hai.
Sameer: sorry
Arjun(ab zor se): SAALEE!! Sorry Ke Bache !!! Humesha Galat Time Par Phone Karta Hai, Bina Bataye Kahi Bhi Ghus Jaata Hai, Bacha Tha Toh Mere Cabin Ko Bhi Nahi Choda Tune?!?!? Privacy Naam Ki Koi Cheez Hoti Hai Ya Nahi????
Sameer samaj jaata hai ki Arjun uski band baja kar rahega, woh fatafat bina jawab diye phone cut kar deta hai
Arjun: SAMEER!!!...SAMM!!!...(phone dekhkar) kaat diya...huh!
Riya opportunity ka faayda uthakar Arjun ki grip se chut jaati hai: sweet dreams!!!
Arjun(realize karke): Riyaaa!!!
Riya darwaaze se mudti hai, wink karke flying kiss deti hai aur andar ghus jaati hai. Arjun smile karke apna sar disbelief mein hilata hai. fir woh bhi apne ghar chala jaata hai.
Agle din
ETF mein sab Firoz ke baare mein pata lagane ki koshish kar rahe hai.
Vijay ke phone mein message aata hai
Message humare database mein Firoz ki kya kya information hai?
Sender Riya
Vijay reply karta hai tum khud kyun pata nahi lagati Miss Research Specialist sorry...Ma'am
Riya : exactly Swami... Ma'am! It's an order!
Vijay glares at her from across the room. Riya uski taraf dekhti bhi nahi balki apne kaam mein hi lagi hui hai.
Koi dekh nahi raha ye dekhkar Vijay fatafat R&AW ke database se Firoz ki information nikaalta hai.
use message karta hai he's expensive, works only for money allegedly lives in Indonesia, has been hired by Sikandar in the past, official hits 250, unofficial - heaven alone knows! Kills his target and everybody standing in the way. Hits diversified into politicians, mafia lords, typical thorns in the side...the usual.
Riya uska message padhti hai, information toh thi but vague. Use dhundhne ke liya kaafi nahi thi. The silence of the room is broken by Sameer's ringtone.
Sameer: ACP Sameer Dhamsingh Rathore!
Other side: jai hind sir! Inspector Rakesh Kamat, main Goregaon highway ke paas station-in-charge hun...aapne ek sketch fax kiya tha
Sameer: ha bolo...kuch pata chala?
Rakesh: ha sir, highway ke paas ke ek rent out cottage mein...
Indonesia,
Same place, same house
Sikandar jerked away a glass vase from the table: WHAT DO YOU MEAN BY FIROZ KA MURDER HO GAYA HAI??
The guard in front of him flinched slightly: sir jab aapka use connection cut hua toh humne waha ke resources se pata kiya, Firoz is dead!!
Sikandar was shocked beyond belief mv "aisa kaise ho sakta hai? Firoz Ko Kisi Ne Maar Diya? Firoz Ko?? This is impossible...Aaj Tak Us Par Ek Kharoch Nahi Aayi Aur Ab Someone Has Straight Up Murdered Him?!?!?!
Sikandar: get me a flight!! Now!!
Guard: yes sir!...
Intro: Rudra fakes a relationship with his best friend Soumya to impress glamorous Bhavya-but ends up falling for the one girl who truly knew...
[NOCOPY] P Y A A R. K A. N A G H M A. "Friends?" a little boy extended his hand towards a girl which she responded. They smiled and embraced...
Hello everyone! I will be posting my 5 one-shots over here which I sent in for the Pyaar Ka Trope-fest contest. They are all standalones and...
44