PHIR MILEINGE - Saath Saat Janmo ka.... Sujal Kashish ** Completed**.. - Page 15

Created

Last reply

Replies

253

Views

46.7k

Users

17

Likes

359

Frequent Posters

rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
thanku everyone for liking and commenting on part 14... here is the part 15... do read and comment...
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago

*** PHIR MILEINGE - sath saat janmo ka***

Part 15

proff sinha:- ji jarur...(all left...)

Dil pe kaante chubho kar... usne badli hai raahe...
bewafaa ho gayi woh... dil se uthti hai aahe...
bikhrey bikhrey hai armaan...saarey sapne hai ruthe...
kiya jispe bharosha... wahi dhaage hai tute...
dard kaise yeh sahu...ohhh...
chup bhi kaise rahu...
yeh nahi baat jara si...
thoda sa pyaar hua thaa...kuchh nahi baakii...
thoda sa pyaar hua thaa...kuchh nahi baakii...

sujal beech road par chal raha hai...uski aakhon se lagataar aanshun beh rahe hai...use kashish ke sath bitaaye har pal yaad aa rahe hai...wo wahi chalte - chalte mandir ke pass pahunch jata hai...rat ho chuki thi...wo wahi beech road par toot jata hai...

sujal;- kashishhh... nahi galat woh nahi hai...galat tu hai sujal...are char din me kisi ko tujhse pyar ho jayega...yeh tune soch bhi kaise lia...tu pagal hai sujal..sapno ki duniyaan me jeeta hai...tune soch bhi kaise lia ki koi tere liye bhi...nahhh...aaj se..ab se tum mere liye ajanabi kashish... aaj se ab se...tum mere liye sirf piyush ki hone wali patni ho...bas...aur 14 din baad... meri bhabhi...jiska main sirf sammaan kar sakta pyar nahi... i m sorry piyush main tujhe nahi bata paunga...par dua hai ki kashish tum khush raho... ummeed hai ki piyush tumhe humesha khush rakhega...

shinha house...

kashish apne bed par leti hai...aur roye ja rahi hai... ab use sirf sujal ka chehra aur uski woh laal aankhien nazar aa rahi thi... use pata hai ki aaj sujal k dard ki wajah sirf woh hai...sirf woh...

kashish:- nahi main yeh shaadi nahi karungi...main abhi papa se baat karti hun...main unhe sach bata dungi... main kabhi nahi.. main sujal se pyar karti hu...main kabhi bhi piyush se shaadi nahi karungi...kabhi nahi...

kashish ne apne aanshun pochhe aur daud kar gayi apne papa ke room me... proff sinha kashish ki ma ke photo ke saamne khade the...

proff sinha:- jaanti ho kaushalya aaj main bahut khush hu...meri kashish ko itna atna achha pariwaar mila hai...aur sabse badi baat piyush jaisa jeevan saathi... piyush bilkul waisa hai...jaisa humne humari kashish ke liye socha tha... sansakaari hai...padha likha hai...vasu ji veena ji...sab kitane achhe hai...wahan meri kashish bahut khush rahegi...ab to yeh shaadi mera sapna ban gayi hai...bas ab jald se jald piyush is ghar ki chaukhat me baraat lekar aa jaye...aur kuchh nahi chahiye mujhe... mujhe laga tha ki kashish ki kam padhaai uski shaadi me rukaawat banegi...par yahan toh... aur sabse badi baat humari kashish me hai... mujhe pata tha jahan main kahunga...chup chaap ha kar degi...humesha se woh aisi hi hai,...mehek ki baat hoti na toh main kabhi uski marzi puchhe bina wachan nahi deta...par yahan kashish ki baat thi...mujhe yakeen tha ki meri kashish mere diye hue wachan ko kabhi tootne nahi degi...aur usne bilkul wahi kiya...(tabhi proff sinha ki nazar kashish ke reflection par padi jo ki tasveer par aa rahi thi... unhone turn kiya...) are kashish wahan kyun khadi hai...yahaan aa...( kashish daud kar gayi aur usne apne papa ko hug kar lia...)...kya hua beta...tum theek to ho...?

kashish:- papa aap bahut khush hai na...

proff sinha:- ha beta...

kashish:- papa main aapse kuchh kehna chahti hu...

proff sinha:- ha bolo na...( kashish ne turn kiya...aur ab kashish ka back unko face kar raha hai...)...

kashish:- papa mujhe pata hai ki aap bahut khush hai...par i m sorry papa... main yeh shaadi nahi kar sakti...( dhamaake on proff's face...) papa plzz mujhe maanf kar dijiye... par main yeh saadi...papa main... main...( kashish turns and find her father holding his heart...) papaaa... papaa... mehek...( mehek daud kar aai...)...

mehek;- papa...di papa ko kya hua...

kashish;- mehek hume jaldi se papa ko hospital leke jana hoga...

mehek:- ha di main abhi ambulance bulaati hun...

R&G house...

vasu;- pata nahi kyun...par aaj mujhe sujal khush nahi lag raha tha...

piyush;- right... mujhe bhi aisa laga...

vasu:- par kyun...?

piyush:- ha keh raha tha ki jis kaam se gaya tha woh nahi hua...

vasu:- oh achha hai... waise bhi uski khushi...humien bardast kaha hoti hai...( both smiles...)..

sujal apne hi jajbaato se thak haar kar apne room me aata hai...aur bed me late jata hai... ki veena aati hai... aur sujal ki aisi haalat dekh kar ghabra jati hai...turant room lock karti hai...aur sujal ke pass jati hai...

veena:- sujal...sujal kya hua tujhe beta...

sujal uth kar baith jata hai...aur apni maa ke god me sir rakh kar bachho ki tarah ro raha hai...

veena:- sujal...beta...nahi...are...bata toh...kaha tha tu...aur tune apni yeh haalat...

sujal:- she does'nt love me mumma... she does'nt...

veena:- kya...? tune usse puchha kyun...

sujal:- kaise puchhta mumma...wo toh wahan aai hi nahi...kyuki uske ghar me uska roka ho raha tha...piyush ke saath...( dhamaake on veena's face...)...

veena:- kya... iska matalab...yeh kashish hi...?

sujal:- ha mumma...

veena:- woh aisa kaise...woh mere bete ke sath...main abhi...

sujal;- nahi mumma... usne kabhi nahi kaha ki wo mujhse pyar karti hai...( hasta hai...)..u know na mumma...aap hi kehti ho ki main paagal hun... sapno ki duniyaan me jeeta hu..dekhiye na... ek sapna dekh liya ki...

veena:- mujhe maanf karde sujal...agar mujhe pata hota ki yeh teri kashish hai toh main yeh sab kabhi nahi hone deti...

sujal:- nahi mumma...aap ki kya glati hai isme...even aapki kya...kisi ki bhi galti nahi hai... galti sirf meri hai ki maine kuchh jyada hi sapne dekh liye...par main khush hun mumma...piyush ke liye...is ghar ke liye...kashish ke liye...kyuki woh khush hai...aur sabse badi baat mumma.. ki kashish is ghar ke liye aur piyush ke liye perfect hai...

veena:- yeh tu kya keh raha hai hum abhi...

sujal:- nahi mumma...aap bhool jaao... time lagega but main bhi kashish ko bhool jaunga...bas ab aap na mann laga kar apne sabse bade bete piyush ki shaadi ki taiyaariyaan karo...

veena:- tu...( both hugs...and crying... ki tabhi vasu ki awaaj aai...aur dono ne apne aanshun poche aur veena ne jakar darwaaja khola...)..kya hua vasu...

vasu:- wo proff shaab...mehek ka phone aaya tha...unhe heart attack aaya hai...hume hospital jana hoga...

sujal:- kya par...chaliye mumma...

sujal, piyush aur baki sabhi hospital pahunche... proff saab ka treatment chal raha hai...aur kashish aur mehek baahar khadi hai ki sabhi pahunchte hai...

lalit:- kashish beta mehek...kaise hai proff shaab...

kashish ki nazar sujal par gayi... kashish ne sujal ki aankhon me dekha aur samajh gayi...

mehek:- uncle...woh papa di se baat kar rahe the ki unhe achaanak...(tabhi dr bahar aaye...)...

kashish:- dr papa...woh...

dr:- dekhiye...sayad unhe koi sadma laga hai...aur exitment bhi isi wajah se...minor attack aaya hai...par ab wo theek hai...

kashish:- unhe kuchh...

dr:- nahi...par plzz unka khyaal rakhiye...aur ha koi bhi buri baat ya...sadme waali baat unse na kijiye...(dr left...)..

mehek:- di,...sadma...aap unse aisi kya baat kar rahi thi jiske kaaran unhe...

kashish:- mehek main to su...( kashish stops and closed her eyes...)... bas aise hi par...papa...

cg:- beta dont worry ab aap rona band karo...ab to woh theek hai... dekhna do chaar din me bilkul theek hokar ghar bhi aa jayeinge...

aise hi thoda waqt guzar gaya...

vasu:- kashish ab hum chalte hai...piyush sujal...tum dono aaj rat yahi rukoge...theek hai...(all left...)...

ab sirf piyush, sujal, kashish aur mehek hai...

kashish:- mehek tu ghar ja...tu raat me jagegi to teri bhi tabiyat kharab ho jayegi..tu ja...main hu papa ke pass... subah aa jana...

mehek:- nahi di main...

piyush:- mehek kashish sahi keh rahi hai...rat bahut hai...chalo main tumhe chhod kar aata hu...

mehek:- theek hai di main subah aati hu...( piyush mehek ko lekar chala jata hai...ab sirf kashish aur sujal hi hai hospital me... kashish jakar bench me baith jati hai... aur rona suru kar deti hai...sujal se dekha nahi gaya wo turant gaya uske pass...aur uske kandhe me hanth rakha...)...

sujal:- kashish plzz rona band karo...plzz...dekho ab to tumhare papa theek hai na...(kashish hugs him...sujal was taken a back...)..

kashish:- sab meri wajah se hua...sab meri wajah se na main papa ko kuchh kehti na...( sujal ne kashish ko apne se alag kiya aur uske aanshun poche...)...

sujal:- kashish dekho galti har insaan se ho jati hai...aur plzz tum agar aise toot jaogi to tumhari behen ka kya hoga...meri baat mano...bhool jaao jo hua...

kashish:- par papa...

sujal:- wahi main keh raha hu... rone se kuchh nahi hoga... dr ne kya kaha ki jo wo kahe waisa karo...bas...( kashish ko uske papa ki har baat yaad aayi...aur usne jhatke se sujal ko chhod diya...sujal bhi kashish se door ho gaya...) i m sorry... (thodi der baad piyush aaya...aise hi puri raat beet gayi...)...

piyush:- sujal main ghar hokar aata hu...phir tu ghar chale jana...aur apni bhabhi ka khayaal rakhna... byee kashish...

piyush ke jaate hi proff shaab ko hose aata hai...ab unhe ab ward me shift kar diya gaya hai...kashish ander jati hai... sujal baahar khada hai,...

kashish:- papa mujhe manf kar dijiye papa...aap jaisa kahienge main wahi karungi...plzz...papa...

proff sinha:- piyush se shaadi karogi...?

kashish:- ha papa...aap jahan kahoge jisse kahoge main shadi karungi...( tear flows down to her cheek...)...

kuchh der bad mehek aur baki sab aa gaye...to sujal chala gaya...kashish sujal se baat karna chah rahi thi par kar na paayi... aise hi 4 din beet gaye...ab proff shaab bilkul theek the...sujal bahut kam kashish ke saamne aata hai...na ke barabar...ab wo office me hi busy rehta hai...proff shaab ko ghar laya gaya hai... sabhi sofe par baithe hai...

lalit:- dekhiye proff shaab...shadi usi din hogi...par aap ab bilkul chinta na kare...saari zimmedari humari...ha jitna socha tha ab wo dhoom to nahi macha payeinge par shaadgi ke sath saari rasme puri honi chahiye...

vasu:- par lalit...

cg:- vasu... lalit sahi keh raha hai...ab aap kashish ki chinta mat kijiye...wo humari hui...ab bas ap apni sehat ka khyaal kariye...

proff sinha;- aap sab ka bahut bahut sukriyaa...

R&G house...

vasu:- what is this...pata nahi kis ghadi me tumhe yeh khayaal aaya piyush ki tumhe us kashish se saadi karni hai... bloody middle class...ab unki taraf se bhi hum hi...waise bhi koi bhi dahej to pehele se nahi milna tha...

piyush:- its ok mom...ab khair jo bhi ho... i like her... she is beautiful...aur fir...

vasu:- sirf sundar hone se kuchh nahi hota...jis din roka tha...usi din uske baap ko heart attack aa gaya...mujhe toh lagta hai ki sab naatak hai...

piyush:- chill mom...mujhe fikra office ki hai...

vasu:- kya par kyun...?

piyush :- jiska dar tha...wahi hua... 4 din me sujal ne office me jaadu kar diya hai... jo dekho wahi...

vasu:- oh common baby u have to handle him...

piyush:- ek din main sujal ko...

aise hi kuchh aur din beet gaye ab sirf 2 din baad kashish aur piyush ki engegement thi...

Sinha house...

mehek:- di chaliye na hume shopping pe jana hai...

kashish;- mehek tum chali jaao...tumhe jo pasand aaye le lena...main papa ke sath hun...

mehek:- di...aapki enggement hai meri nahi... main abhi papa ko bula kar laati hu...

kashish:- are mehek sun toh...

dil ka gum... dil hi jaane..kya kahu main kisi se...
maine aanshun chhupaaye... in labon ki hasi se...

(kashish wahi baithe- baithe rona suru kar deti hai)

dil ne toh kuchh chaha tha...aur kuchh ho gaya hai...
meri palko ka sapna... ab kahin kho gaya hai...
(kashish ko ek pal sujal ki yaad aati hai...ki kaise usne sujal ke sapne dekhe the par...ab piyush ke sath uska safar likha hai..)

meri aankhon me nami...hooo...
isme hogi na kami...
(kashish ke aanshun bahe ja rahe hai...)

chhayi chehre pe udaashi...
jisse ikraar hua tha...chhoota wo saathi...
(kashish ko sujal ke sath bitaaye hue paalam pur..fir train sabhi pal yaad aa rahe hai...)

thoda sa pyaar hua thaa...kuchh nahi baakii...
thoda sa pyaar hua thaa...kuchh nahi baakii...
(kashish is crying hard,...ki mehek aur proff shaab aate hai...)

proff sinha;- kashish...kya hua...bol beta...(kashsih hugs him and crying...) are bol na...(kashish ne khud ko sambhaala aur apne aanshun pochhe...)...

kashish:- papa wo nas 4 din baad main chali jaungi na...toh...

mehek:- kya di aapne to dara hi diya tha... yeh toh hona hi hai...

proff sinha:- ha beta yeh to dastoor hai... achha ab jaao mehek ke sath...

kashish:- papa mera man...

proff sinha:- shadi zindagi me ek baar hoti hai...ab chalo jaao...

mehek kashish ko shopping par le jati hai...aur aise hi ek aur din guzar gaya...

engagement day...

aaj kashish aur piyush ki engagement thi...jo ki R&G house me hi honi hai...shaam ke waqt kashish mehek aur proff shaab apne kuchh ristedaaro ke sath aate hai...kashish ne coffee coloure ka sharara pehna tha...looking very beautiful aur piyush ne blue aur cream colour ki sherwaani...veena kashish ke pass jati hai...aur use laakar piyush ke bagal me bitha deti hai...tabhi aarchi aati hai...

aarchi:- hi piyush...

piyush:- hey... hi aarchi...

aarchi:- so... beautiful ha...bahut sunder hai tumhari fiance...hi kashish m aarchi...( tabhi sujal stairs se neeche aata hai...uska man to nahi tha par apne pariwaar ke liye woh yahan aaya...)...hey sujal...( kashish ne sujal ko dekha... sujal ne black aur red colour ka suit pehna tha...aur sujal ne bhi kashish ko ek pal ke liye dekha aur apni nazare neechi kar li...)...

sujal:- hi aarchi...

piyush:- sujal wo pratham aur anu nahi aaye...( kashish ko shock laga...)...

sujal:- nahi wo dono apne honeymoon pe gaye hai...bhool ja woh nahi aane waale...

rishi:- big b...yahan aao...

sujal;- kya hai...( sujal chala gaya...)...

piyush:- kashish pratham mere aur sujal ka bachapan ka dost hai...humne college sath me kiya tha...( kashish just smiles)...

sujal;- kya paagal ho gaya hai kya...kabhi nahi... (na chahte hue bhi kashish ki nazar bar- bar sujal pe ja rahi thi...veena ne dekha bhi...par wo chup thi...)...are par...

rishi:- plzz na... big b... aap ,meri baat nahi manoge...main aapse gussa ho jaunga...

sujal:- ja ho ja...(tabhi piyush aaya...)...

piyush:- kya hua..kyun dant raha hai bhai ko...

rishi:- main big b ko dance karne ko keh raha hu...aur yeh hai ki...

piyush;- ha ofcrz sujal yar meri saadi hai...tu aur rishi nahi nacheinge to kaun nachega...( sujal ne ek nazar kashish par daali wo nazare jhukaaye baithi thi...)...

sujal;- dekh meri tabiyat aaj sach me sahi nahi hai...par tere sangeet me main pakka nachunga...plzz...

piyush:- chal koi nahi...par us din tu bach ke nahi ja sakta...

sujal;- ha mere baap i promise u...chal ja tujhe bula rahe hai...

aise hi piyush aur kashish ki sagaai ho jati hai...aur sabhi sinha's ghar aa jate hai...kashish apne room me jati hai...wo seedha dressing table ke saamne khadi ho jati hai...aur apne aap ko dekh rahi hai...aur sab kuchh utarne lagti hai... usne apni nazar apni ring pe daali jo abhi piyush ne pehnaai thi...aur na jaane kyun wo ring utaar kar dressing teble par fek di...aur ja kar bed par giri aur ro rahi hai...fir wo apne aap ko sambhalti hai aur khadi hoti hai...aur apne aanshun pochhti hai...

kashish:- nahi...kyun ho raha hai...nahi nahi kashish sujal ke baare me sochna band kar dekha nahi aaj tune...wo kitne khush lag rahe the... par unki aankhien... mujhe pata hai wo dikhawa kar rahe hai par...

aur kashish wahin jameen me baith jati hai aur rone lagti hai...aise hi ab next day mehendi ka din bhi aa gaya...subah kashish ko haldi lagai gayi aur shaam ke waqt vasu aur veena kashish ke liye mehendi lekar aai hai...mehendi ki rasam chal rahi hai... kuchh ladkiyaan nach rahi hai...mehendi wali lady kashish ko mehendi laga rahi hai...veena aur vasu wahi baithe hai...aur mehek sabhi ko drinks aur snacks serve kar rahi hai...veena bas kashish ka chehra padhne ki kosis kar rahi hai...

veena:- kashish...

kashish:- ji aunty...

veena:- kya baat hai beta...main suru se dekh rahi hu...itane functions ho gaye... par tere chehre pe dulhan waali toh koi baat hi nahi hai... kya tu khush nahi hai...?( kashish ki aankh bhar aai...veena ne bade hi pyar se kashish ke sir par hanth rakha...)..dekh beta tu bhi meri beti ki tarah hai...ek maa ban kar puchh rahi hu... yaad hai kashish tu mujhe humare mandir me mili thi pehli baar...(kashish nods in yes...) tab tum mujhe bahut pasand aai thi...humesha se hi maine apne sujal ke liye tere jaisi bahu sochi thi... aur us din bhi mujhe aisa laga jaise meri talaash khatam ho gayi...tum mujhe sujal ke liye pasand aa gayi thi...( kashish shocked thi..) par vasu mujhse aage nikali aur usne tumhe pehle chun lia... ek ajeeb sa apnapan mehsoos kiya tha maine us in koi nahi...ek beta na sahi dusre bete ki hi bahu ban kar aakhir aa to mere hi ghar rahi ho... isilye puchh rahi hu... tum khush to ho na... kahin tum kisi aur se...

kashish:- nahi aunty...aisa nahi hai...

veena:- oh...koi baat nahi mujhe laga...par tumhari shaadi hai kashish...aur tumhara chehra itna bujha hua...

kashish:- woh aunty sirf papa ki tabiyat...

veena:- oh uski chinta mat karo hum sab hai na...

vasu:- veena...ab yeh rasam yaha hoti rahegi...hum chale ghar kal sangeet ki bhi taiyaari karni hai...

veena:- ha ha...achha beta hum chalte hai...suniye aap achhe se mehendi lagaiyega humari bahu ko...( veena aur vasu chale gaye...)...

kashish:- kitani bad kismat hu na main...sahi kaha aapne aaunty main bhi aapki hi...par...

mehendi wali lady:- kiska naam likhna hai...

kashish:- kya...?

mehendi wali lady:- ji wo naam... aapke pati ka...

kashish:- koi nahi...

mehendi wali lady:- lekin yeh toh rasam hai...hone waale pati ke naam ka pehle aksar hath me likha jata hai...

kashish in her mind:- jahan pyar hi nahi wahan rasam kaisi...?

kashish:- nahi koi naam nahi likhna...

mehendi wali lady:- ji theek hai...

ki achanak se kisi ka dhakka lag gaya aur kon tedhi ho gayi...

mehendi wali lady:- oh i m sorry...

kashish:- kya hua...?

mehendi wali lady:- ji wo aapne kaha tha ki aapko koi naam nahi chahiye aapke hanth me...par galti se aapke hanth me ''S '' ban gaya hai...( kashish is shocked...)

kashish:- kya par...main abhi ise...

mehendi wali lady:- nahi nahi aap aisa nahi kar sakti... kisi ka naam likhne ke baad mitane se uski umra ghat jati hai...

kashish:- kya... nahi main aisa nahi kar sakti...( in her mind) aur waise bhi main to sirf aapki lambi umra hi chahti hu sujal...mere liye to is S ka matalab sirf sujal hi hai...( kashish ke aankh se ek aanshu sidhe uske hanth pe likhe S par gira...

R&G house...

sujal lights band karke apne room me baitha tha...ki veena aati hai...

veena;- sujal...tu theek to hai na...is tarah...

sujal:- ha mumma i m fine...aane waale dino ke liye himmat juta raha tha...

veena:- bahut takleef ho rahi hai na...tu kahin chala ja...mat reh is shaadi me jahan...

sujal;- nahi mumma...maine apne liye...piyush aur baki sabhi gharwaalo ka dil nahi dukha sakta hu... aap tension mat lo main theek hu... aap jao jakar so jaao...( veena chali gayi...aur sujal bhi so gaya...)...

its sangeet day...a day before wedding...

sangeet bhi R&G house me rakha gaya...shaam ka waqt tha...sabhi sinha's aa chuke hai... piyush ne cream sherwaani peheni hai...wahi kashish ne off white aur sky blue coloure ka dress pehena hai... rishi ne black cloure ka sherwaani pehena hai mehek ne pink lehenga...to sujal ne mehroon coloure ka sherwaani...all are looking awssmm...piyush aur kashish ko ek stage pe bithaya gaya tha...kashish ki nazare neeche thi...jaise woh kuchh dekhna hi nahi chah rahi hai...ki ek awaaj ne use dekhne pe mazboor kiya...ha ek wahi awaaj jo use sabse jyada pasand hai...

(imagine sujal & rishi dancing like shahrukh & saif)
sujal:-
mahi ve...mahi ve... thats ve...
tere mathe jhumar damke...
tere kaano baali chameke... hiee re...
maahi ve...
(sujal stairs se aata hai aur piyush ko ishara karke dance karne lagta hai...veena bhi hairaan thi...par kashish ko chhod kar baaki sab khush...)

tere hanthon kangna khanke...
tere pairo paayal chhanke haiee re...
maahi vee...
(sujal mehek aur aarchi dono ko hi pakad kar laata hai...and dancing with them)...

rishi:-
naino se bole rabba - rabba...man me dole rabba- rabba...
amrit ghole rabba - rabba... tu soniyeee...
jind maahi ve... soni.. soni... aaja maahi ve...
every body ve...soni - soni aaja maahi ve...
jind maahi ve... soni.. soni... aaja maahi ve...
every body ve...soni - soni aaja maahi ve...
thats the way... maahi vee...
(rishi also came frwrd and start dancing with sujal...sujal was actually happy for his love and frnd...)

sujal:-
oh...teri aankhine kaali - kaali...
tera gora - gora mukhda hai re...
maahi ve...
teri rangat jaise sona...
tu chand ka jaisa tukda hai re...
maahi vee...
(sujal ruk gaya...aur ab kashish ko dekh kar ga raha tha...kashish jo ab tak sujal ko dekh rahi thi...woh apni nazare jhuka leti hai...)

rishi:-
tere gaal gulaabi... rabba- rabba...
chaal shraabi... rabba- rabba...
dil ki kharaabi rabba - rabba...
tu soniyee...
jind maahi ve... soni.. soni... aaja maahi ve...
every body ve...soni - soni aaja maahi ve...
jind maahi ve... soni.. soni... aaja maahi ve...
every body ve...soni - soni aaja maahi ve...
(mehek aur rishi aage aate hai...sujal ko halka sa push karte hai...aur uske sath dance karne lagte hai...)

mehek:-
barse rangini...kaliaa hai meheki...bheeni - bheeni...
baji man me halki - halki sehnaai...
jitne bhi taare...aanchal me aa gaye saare...

(mehek jakar kashish ko side hug karti hai...aur ga rahi hai...)

sujal & rishi:-
heyyy... tu jo aai saj ke...mehendi rach ke...
chal bachke oh soniyeee...
dil kitno ka khaaye dhachake...
oh soniyee...
jind maahi ve... soni.. soni... aaja maahi ve...
every body ve...soni - soni aaja maahi ve...
jind maahi ve... soni.. soni... aaja maahi ve...
every body ve...soni - soni aaja maahi ve...
(rishi mehek kashish aur piyush teeno ko beech me kheech ke lata hai...kashish bas chup chap khadi hai...kashish ko dekh sujal bhi bas khada reh jata hai...)

veena:-
chanda mere chanda...tujhe kaise main yeh samjhaaun...
mujhe lagti hai tu kitani pyari re...
khusiyaan jitani bhi sab dhoondh - dhoondh kar laaun...
teri doli ke sang kardu saari re...
(tabhi mehek veena ka hanth pakad kar laati hai...aur veena kashish ke maathe ko chumti hai...kashish veena ko hug kar leti hai...)

sujal;-
heyyy... tu jo aai saj ke...mehendi rach ke...
chal bachke oh soniyeee...
dil kitno ka khaaye dhachake...
oh soniyee...
jind maahi ve... soni.. soni... aaja maahi ve...
every body ve...soni - soni aaja maahi ve...
jind maahi ve... soni.. soni... aaja maahi ve...
every body ve...soni - soni aaja maahi ve...
(sujal piyush ka hath pakad kar use dance karata hai...aur rishi bhi unhe join karta hai...)

rishi:-
tere mathe jhumar damke...
tere kaano baali chameke... hiee re...
maahi ve...
(rishi is dancing around mehek)

sujal:-
tere hanthon kangna khanke...
tere pairo paayal chhanke haiee re...
maahi vee...
(sujal is dancing with archi...but looking at kashish)..

sujal, rishi, piyush, mehek, aarchi:-
naino se bole rabba - rabba...man me dole rabba- rabba...
amrit ghole rabba - rabba... tu soniyeee...
jind maahi ve...jind maahi ve...jind maahi ve...
soni.. soni... aaja maahi ve...
every body ve...soni - soni aaja maahi ve...
jind maahi ve... soni.. soni... aaja maahi ve...
every body ve...soni - soni aaja maahi ve...
jind maahi ve... soni.. soni... aaja maahi ve...
every body ve...soni - soni aaja maahi ve...
(all are dancing... sujal dance karte karte ruk jata hai...aur uski aankh me aanshun aa jate hai veena aur kashish dono hi sujal ko dekhte hai...sujal apne aanshun chhipate hue...bahar ki ore chala jata hai... kashsih yahan apni aankhien band karti hai...aur uski aankhon se aanshun nikal aate hai...)

movie:- Kal ho na ho...

yuhi sangeet ka function chalta rehta hai...kashish baithi hai...ki piyush aakar uske hath me hanth rakh deta hai jisse kashish dar si jati hai aur apna hath chhuda leti hai...aur hadbadahat me drink kashish ke dress me gir jati hai...

piyush:- oh no...kashish...

vasu;- kya hua...

piyush:- wo mom..kashish ke dress me juice gir gaya...

vasu:- oh are koi baat nahi kashish bete aap upar jakar apni dress saaf karlo...

kashish:- ji...

piyush:- kashish..upar se right me hi mera kamra hai...( kashish nods aur chali jati hai...sujal apne aap ko sambhal kar wapas aata hai...)...

veena:- sujal tu theek toh hai na...?( sujal veena ko side se hug karta hai...)

sujal:-yes mumma... m fine...

veena:-ja bahut dikhawa kar lia.. ja apne room me...( sujal bhi apne room ki rahaf jata hai...)

aur yahan galti se kashish sujal ke room me chali jati hai...jaise hi wo room me enter kati hai...har jagah sirf sujal ka ehsaas use sata raha tha...aur fir uski nazar sujal ke bed ke upar gayi...jahan sujal ki ek bahut hi pyari aur cute si wall size pic thi... sujal ne black jeans, white t- shirt aur dark blue upper shirt pehni hai...uske hanth me uska guitaar hai...aur honthon me bahut pyari si smile...kashish ke aankhon se aanshun beh rahe hai...

kashish:- kyun na chahte hue bhi aapse...( kashish jane ke liye mudti hai ki achanak se light off ho jati hai...aur usi waqt sujal aata hai...)

sujal:- kaun hai... maine pucha kaun hai...?( kashish hadbada jati hai... aur sujal se takra jati hai...sujal kashish ko uski waist se pakad leta hai... ) kashish tum yahan.. aur yeh lights...

kashish:- woh main...pata nahi kaise...

sujal:- ok koi baat nahi tum shant ho jaao...( sujal ne kashish ko pakda hua hai ki lights wapas aa jati hai...aur door pe vasu khadi thi...)...

vasu;- yeh sab kya ho raha hai...( dono vasu ko dekhte hai...sujal kashish ko chhod deta hai...)...sujal kashish tum dono andhere me...

sujal:- wo aunty...

kashish:- wo main galti se yahan gayi thi aur fir lights bhi chali gayi...

vasu:- hmm... par tum yaha kya kar rahe ho sujal...tumhe to is waqt neeche hona chahiye tha... kahin kadam behek to nahi rahe tumhare...

sujal;- aunty...yeh aap...

vasu:- awaaj neeche sujal...aur kashish hum high society ke loge hai...apna na sahi humari izzat ka khayaal rakho...ab chalo...( vasu kashish ka hanth pakad kar le jati hai...kashish mud kar sujal ko ek baar dekhti hai...uski aankhon me aanshun hote hai...)...

vasu kashish ko lakar wahi stage pe bitha deti hai...aur yahan dusri taraf sujal waisa hi khada tha...aur yahan out side rishi kheech kar mehek ko le aata hai...

rishi:- yeh sab kya tha mehek...tum mere itane kareeb...plzz sab kya socheinge...

mehek:- rishi wo main tumhe pasand karti hu...aur waise bhi agar meri di ki shaadi tumhare bhaiya se ho sakti hai to main aur tum...

rishi:- kya yeh tum...ha wo to theek hai par...abhi humein time hai...

mahek:- ha woh to hai...par main apni di ke liye bahut khush hu...jaante ho papa ko humesha is baat ka dar rehta tha ki di ki kam padhaai ki wajah unhe achha ladka aur ghar nahi milega par dekho na itna bada ghar aur parivaar mil raha hai...

rishi:- hmm... ek minute... kam padhai matalab...

mehek:- wo meri di sirf 12th tak padhi hai na...woh college nahi ja paai... oh no...rishi...wo papa yahi aa rahe hai...main chalti hun bye...( mehek bhag gayi...)...

rishi:- sirf 12th aur vasu aunty maan gayi strange...koi nahi kal sayad kuchh entertainment ho jaye...

thodi der baad kashish apne papa aur mehek ke sath chali gayi...

now its wedding day...

kashish sinha shaab aur mehek ke sath hotel me hai...yahi aani hai baraat... mehek kashish ko taiyaar kar rahi hoti hai...kashish mehroon coloure ka lehenga pehna hai...aur mehek ne light green cloure ka...ki sinha saab aate hai...

proff sinha:- are mehek... jaldi karo baraat aa gayi hai...

mehek:- ha papa...di bhi ready hai...

proff sinha:- bahut pyari lag rahi ho...bhagwaan kare tumhe duniyaan bhar ki khusiyaan mile...

mehek aur proff sinha baraat ka swagat kar rahe hai... piyush mandap me aake baithta hai... piyush ne mehroon colour ki sherwaani pehni hai... rishi ne black aur blue coloure ki toh sujal ne cream coloure ki sherwaani pehni hai...all are looking very handsome...kashish apne room me hai aur uske hanth me sujal ka letter...

kashish:- aaj kuchh ghanto baad main kisi aur ki patni ban jaungi sujal main aapse bahut pyar karti hu...mujhe manf kar dena...ab se aap sirf mere devar hai aur kuchh nahi...main kabhi bhi devar aur bhabhi ke rishtey ko apmaanit hone nahi dungi...( kashish wo letter deti hai...aur dustbin me daal deti hai...)

thodi der baad pandit ji kashish ko bulaate hai...sujal kashish ko dekhta reh jata hai par phir turant hi apni nazare hata leta hai...aur dusri ore jakar khada ho jata hai... jab kashish neeche aai to uski nazare sirf jameen par thi...mehek ne use mandap me bitha diya...

another room...

vasu:- kya...sirf 12 th pass...itana bada dhokha...

rishi:- kya dhokha...matalab aapko nahi pata tha ki aapki hone waali bahu...tch tch tch...kya aunty aap itani badi galti...ab aap hi sochiye kya muh dikhayeingi aap apne frnds ko...un sab high society party me aap kya kahengi ki ki aapne apne liye ek kam padhi likhi bahu dhundhi... kya aapka beta itna naa kabil hai ki use ek padhi likhi patni nahi mil paayi...

vasu:- nahi aisa nahi ho sakta...

rishi:- ha sunder to woh hai par...ab aap hi sochiye kya karna hai... waise abhi shaadi hui nahi hai...par thodi der baad ho jayegi...

vasu:- nahi yeh shaadi ab nahi hogi...

vasu gusse me wahan se chali gayi...aur rishi ke face me ek wicked si smile thi...bahar pandit ji mantra padh rahe the ki vasu aati hai...

vasu:- ruk jaiye...yeh shaadi nahi ho sakti...( dhamaake on all's face...)...

proff sinha:- yeh aap kya keh rahi hai...

lalit:- vasu tum yeh...

vasu:- ek minute lalit... piyush utho wahan se...

piyush:- mom yeh aap...

vasu:- maine kaha utho...is do kaudi ki kam padhi likhi sirf 12th pass ladki se main tumhari shaadi nahi hone dungi...( again dhamaake)...

piyush:- kya sirf... (piyush khada ho gaya...par kashish wahin baithi rahi...sujal ki nazare sirf kashish par thi...)
mom...yeh aap...

vasu:- sach keh rahi hu...wah proff saab wah...kitna ganda khel khela aapne... ameer ladka dekha toh itna bada sach chhipya apne...

veena:- vasu kya fark padta hai...plzz tum...

vasu:- tum chup raho veena...sawaal tumhari nahi meri bahu ka hai... logo ko main kya kahungi ki maine apne piyush ki shadi ek zaahil aur gawaar...

proff sinha:- bas khabar daar jo meri kashish ke khilaaf ek shabd bhi kaha to...maine kuchh nahi chhipaya aapse... aapne hi kaha tha ki aapne kashish ke baare me sab pata kiya hai phir yahan aai hai. to mujhe laga ki...

vasu:- wo jo bhi ho... aur ha proff shaab mujhe nahi lagta ki koi bhi ladka specially achhe pariwaar ka aapki beti kashish se shaadi karega... koi nahi karega...isliye apni kashish ke liye ameer aur achhe ladke ka sapna dekhna band kar dijiye... kisi isi ke layak ladke se shaadi kara dijiye...jo isi ki tarah...

lalit:- vasu...tum...

vasu:- nahi lalit...yeh piyush ki life ka sawaal hai...kabhi nahi...

piyush in his mind:- nahi main yeh saadi nahi karunga...main sujal se nahi har sakta uski shadi ek bahut padhi likhi ladki se ho aur meri kashish jaisi no ways...

cg:- vasu ab yeh sab...ek baar piyush se puchh lo...

piyush:- main yeh shaadi nahi karunga...(dhamaake on sujal's face...)...main ek aisi ladki se shaadi nahi kar sakta jiska introduction tak main sabke saamne dene me mujhe sharam aaye... chaliye mom...dad...(piyush jaane laga...)..

proff shinha:- piyush beta aisa mat karo humne kuchh nahi chhipaya...plzz piyush... (piyush ne proff shaab ko halka sa dhakka diya aur aage badh gaya...sujal waqt pe aaya aur usne proff shaab ko sambhala...)...

piyush:- uncle aunty rishi khade kya hai chaliye...( shabhi jaane lage... kashish sirf piyush ko nafarat bhari nazaro se dekh rahi thi...)..

sujal:- ek minute... mumma, papa, rishi...aaj aapke bete ki shaadi hai...aur aap chale jayeinge...

vasu:- yeh tum kya keh rahe ho sujal.. piyush ki shaadi is ladki se...

sujal:- maine aapko nahi kaha aunty...maine apne ma baap ko kaha hai...piyush tujhe is ladki se shaadi karne me sharam aa rahi hai... aur vasu aunty aapko lagta hai ki kashish se koi bhi padha likha ladka shadi nahi karega... to yeh aapki galat fehmi hai... aapke ghar ke jaisa koi ladka kashish ko nahi milega na...toh aap galat ho...ab kashish to R&G house ki hi bahu banegi...wo bhi pure samman ke sath... main karunga kashish se shaadi...( dhamaake...)

sujal to proff shaab:- uncle... main nahi janta ki aap mere baare me kya sochte hai...par main itna jarur janta hu ki kashish se achhi patni mujhe nahi milegi... aur na meri mumma ko usse achhi bahu... agar aapko manzoor ho to main aapki beti se shaadi karna chahta hu...( proff sinha ne apna sir jhuka liya aur sujal ka hanth pakad kar rone lage... kashish bas un dono ko dekhe ja rahi hai... mehek aur kashish ki aankhon me aanshun beh rahe the...)

rishi:- big b aap yeh...

sujal:- keh diya na...bas keh diya... mumma.. papa yeh mera aakhiri faysla hai...jise koi nahi badal sakta...

veena:- sujal... main jaa rahi hu... mujhe bahut saari taiyaari karni hai... apne bete sujal aur apni bahu kashish ke grah pravesh ki jaldi aana...(sujal smiles...sujal gaya aur mandap me baith gaya...)...

sujal:- pandit ji shaadi suru kijiye...

pandit ji mantra padhna suru karte hai...vasu aur piyush wahan se chale gaye...phir veena bhi...par lalit cg aur rishi wahin the...

for kashish:-
Mere honthon pe aksar tere nagme sajte hai...
aaj jana ki sapne kis tarah sach hote hai...
(sujal kashish ke bagal me baitha vidhiyaan puri kar raha hai..kashish use dekh rahi hai...)

for sujal:-
tujhme aisi kashish hai , jo mujhe kheech laayi...
banke kismat humhari, zindagi me tu aayi...
(sujal looks at kashish then to hawan kund...)

for kashish:-
meri taqdeer ho tum...ohhh...

for sujal:-
ha meri heer ho tum...ab na hogi judaai...

for kashish:-
tumko dildaar kaha hai...mere humraahi...
thoda sa pyaar hua hai ,thoda hai baankii...
thoda sa pyaar hua hai ,thoda hai baankii...
thoda sa pyaar hua hai ,thoda hai baankii...
thoda sa pyaarehua hai ,thoda hai baankiii...

pandit ji:- aap kanya ko sindoor daan dijiye...

sujal kashish ki maangh bhar deta hai...

pandit ji:- ab yeh mangalsutra kanya ko pehna de...

sujal kashish ko magal sutra bhi pehna deta hai...kashish bas sujal ko dekh rahi hai...

pandit ji:- beti aaj se yeh mangal sutra aur yeh sindoor hi tumhare gehne hai...aur tuhare pati ke jeevit hone ki nishaani bhi...iska samman karna tumhara param dharam hai...kanya ki behen aakar inka ghathbandhan karde...

mehek aati hai...aur sujal ko pink colour ka shawl utha deti hai aur usi se kashish ki chunari ko badh deti hai...

pandit ji:- ab kanya ke pita kanya daan karne ke liye aa jaye...

proff shaab kashish ka hath sujal ko dete hai...aur uska kanya daan kar dete hai...

pandit ji:- ab aap dono phero ke liye khade ho jaaye...

sujal kashish ka hath pakadta hai...aur phere lene suru karta hai...kashish jahan sirf sujal ko dekh kar chal rahi hai...wahin sujal ke chehre me koi expression nahi tha...aakhiri phere me kashish sujal se aage aati hai...

pandit ji:- ab is aakhiri fere me aap apne pati ke aage isliye hai kyuki aap yeh wachan le rahi hai ki koi bhi dukh takleef yah mrityu ho...sabhi me aap pehle raheingi...baad me koi buri cheej aapke pati ko chhu paayegi...
kashish aankh band karke man hi man yeh wachan leti hai...aur fere pure ho jate hai...

pandit ji:- aaj se aap dono pati patni hue...jaiye aur bado ka ashirwaad le lijiye...

sujal kashish pehle pandit ji ka fir proff shaab ka fir cg aur lalit ka ashirwaad lete hai...

sujal:- uncle...woh...

lalit:- nahi sujal...tumne bilkul sahi kiya hai...cg yahi fark hai piyush aur sujal me...

cg:- i m proud of u my son...( cg hugs sujal...) rishi aao apni bhabhi ka ahsirwaad lo...

rishi muh bana kar aata hai aur sujal aur kashish ke pair chhuta hai...

rishi:- sorry big b and bhabhi... m very happy for both of u...aur ab aap to meri sach much ki bhabhi ho gayi...ab main aapko aur tang karunga... (kashish and mehek smiles...)...

cg:- proff shaab vidai ki taiyaari karein...

proff shaab vidaai ki taiyaari me lag jate hai...wahi sujal ko mehek 10000 rs dene pade apne juto ke badle me...

dulhan aanshun bahaaye...
behna ro ro rulaaye...
jana hai chhod babul ka desh re...
(kashish proff shaab ke gale lage ro rahi thi... fir mehek ke gale lag jati hai...)

chhute rishtey...shakiyaan shaheli...
ab to jana hai mujhko akeli...
(kashish mehek ke sir ko chumti hai...aur ek chabhi nikal kar mehek ke hath me dedti hai...)

dil mein halchal jo hai...dil hi jaane...
dard yeh dil ka baabul pehchaane...
(kashish aage badhti hai sujal uske sath khada hai par wapas aakar proff shaab ke gale lag kar rone lagti hai...)

dulhan aanshun bahaaye...
behna ro ro rulaaye...
jana hai chhod babul ka desh re...
(kashish wapas chalne lagti hai... aur ro rahi hai...)

maine aankhon ka...sapna buna hai...
shaathi maine.. apna chuna hai...
(kashish sujal ki ore dekhti hai...aur fir apne aanshun pochh leti hai...)

ghar se jaane ka gam kya main bataun...
nanni khaliyo ko ab main kitna rulaaun...
jaane do ab na roko...
has ke ek baar dekho...
jana hai chhod babul ka desh re...
(kashish aur sujal car ke pass khade hai...mehek kashish ko ek side se hug kiye hue hai...aur kashish bas door khade apne papa ko dekh rahi hai...)

dulhan aanshun bahaaye...
behna ro ro rulaaye...
jana hai chhod babul ka desh re...
(proff shaab kashish ko gadi me bithate hai...sujal unke pair chhuta hai...aur fir kashish apne pati ke sath chali jati hai...aur peeche peeche baaki sab bhi...sirf mehek sinha saab aur kuchh ristedaar bache hai...)

mehek:- papa di ki kismat me sujal bhaiya hi likhe the...to yeh toh hona hi tha na... lekin main khush hu ki...piyush jaise insaan se di ki shaadi nahi hui...woh kitane galat hai...aur sujal bhaiya toh...

proff sinha:- sahi kaha tune mehek...main bahut khush hu ki kashish ki shadi piyush se nahi hui...aur use sujal jaisa pati mila...jisne sirf humari izzat ke liye...wo bahut achha hai...aur mujhe yakeen hai kashish sujal ke saath hi khush rahegi...

R&G HOuse...


end of part 15
press like if u really liked it
do comment
love chandni

**********************************************************
**********************************************************

Edited by rkchandni - 9 years ago
PriyaKABHI thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Networker 3 Thumbnail
Posted: 9 years ago
Thanks for PM,Dear.😊
It was Awesome Part.😊
The story was getting so interesting.😊
Please Update Next Part soon.😊
__________________________________
(MISSING KSG and KABHI So Much)
PriyaCherry.
.FlyingClouds. thumbnail
9th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
Wonderful update
Finally sk mil gaye
Cont soon
golu_1677 thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 9 years ago
Yipee sujal n kashish hv got married... superb part...
RNforever thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
superb update
so finally ab sk ke shadi
great yr hope ab sab kuch acha or sahi ho inki life me
Edited by RNforever - 9 years ago
0913155 thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 9 years ago
Awesome superb update😛😃😆tooo good plz continue soon thanks for pm😆😛
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago

Originally posted by: 0913155

Awesome superb update😛😃😆tooo good plz continue soon thanks for pm😆😛


Thanku dear
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago

Originally posted by: PriyaCherry

Thanks for PM,Dear.😊

It was Awesome Part.😊
The story was getting so interesting.😊
Please Update Next Part soon.😊
__________________________________
(MISSING KSG and KABHI So Much)
PriyaCherry.


Thanks alot
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago

Originally posted by: Acad10

Wonderful update

Finally sk mil gaye
Cont soon


Thanku so much

Related Topics

Fan Fictions thumbnail

Posted by: goodkashish · 6 years ago

Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: Aleyamma47 · 1 months ago

Chapter 1 (Late-Night Confessions) Munni sat cross-legged on her small bed in the staff quarters, staring at the cracked screen of her...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: Aleyamma47 · 1 months ago

A shy young artist pours her soul into hidden sketches, never suspecting they reach an unexpected admirer. Trapped in webs of deception that...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: Aleyamma47 · 2 months ago

Yug and Kairi silently struggle with their growing love for each other - until something unusual happens that changes everything

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: Aleyamma47 · 1 months ago

In Every Birth, Find Me The night air in Mathura was thick with monsoon rains. In her small room lit only by a flickering diya, Radhika drifted...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".