*** sk- pure love ****
part - 9
angad;- sujalll... saaamneee... ( ssamne se ek truck bahut tej speed se aa raha tha aur sujal gadi me control
nahi kar paya aur gadi seedha khayi me giri...)
FLASH BACK Ends...
hum sabko bahut chot aayi thi... sujal ne seat belt nahi pehni thi isliye wo gadi se gir gaya... aur main aur angad
bhi par aarohi front seat pe thi aur uski seat belt tight thi... isliye she died... humne use apni aakhon k saamne
marte hue dekha... ( all are crying ) humara jab accident hua humne aap sabko inform nahi kiya... kyuki sujal ki
haalat bahut jyada kharab thi... use jab hose aaya 2 din tak wo kuchh nahi bola... jaise zinda laash ho... par dheere
dheere hum dono ne use normal kiya... aap sab ka wasta dekar use wapas jeene par mazboor kiya... aur phir bad
me aap sabko us accident ke bare me bataya... sujal bahar se normal dikhta hai... par wo aaj bhi khush nahi hai...
wo sabke liye muskurata hai... par ander se wo aaj bhi usi mukaam pe khada hai jahan 3 saal pehle tha...
sabhi sujal ke liye udaas hai aur unki aankhon se anshun gir rahe hai... kashish ko to yakeen hi nahi ho raha ki
sujal ne itana sab kuchh saha... sabhi unhi thodi der tak baithe rehte hai ki sujal aata hai... uski aankhon se saaf
pata chal raha hai ki wo kitana roya hai...
sujal;- mumma... papa.. wo...
anurag:- sujal apne kamre me jaao... aur aaram karo... (sujal looks at him)
angad:- sujal humne sabko aarohi k baare me bata diya hai... ( sujal closes his eyes aur apne room me chala jata
hai..)
dadi ( tears ):- mere sujal ne kitana kuchh saha hai... anurag main use aise nahi dekh sakti... mere khayal se hume
jald se jald uski sadi kara deni chahiye taki wo apni zindagi me aage badh sake... ( kashish apne kamre me chali
jati hai aur uske peeche kripa bhi )
tulsi:- mere khyaal se maa ji bilkul theek keh rahi hai...
anjali;- i think abhi use thoda waqt dijiye... uske jakham phir se taja ho gaye hai... angad aur kripa ki sadi ke baad
hum sujal se is bare me baat kareinge...
kavya:- anjali bilkul sahi keh rahi hai... achha papa ab hum chalte hai... priya tum bhi humare sath chalo... ( kavya
left with priya and anjali)
kashish room...
kashish bahut ro rahi hai aur kripa use sambhal rahi hai...
kashish:- kyun dii... kyun... kyun hua aisa... wo mujhe nahi kisi aur ko chahte hai... aur bahut chahte hai...
kripa:- kashish khud ko sambhal... sujal ko samajhne ki kosis kar... uska dard samajh... kashish sujal ne apna pyar
khoya hai... soch agar tu sujal ki jagah hoti aur sujal ko kuchh...
kashish:-DIII...
kripa;- i m sorry kashish but... ab tujhey sujal ko sambhalna hai... aur ha ab is aash me mat jee ki wo khud aa kar
tujhsey apne pyar ka izhaar karega... kyuki aisa nahi hoga... ab main khud mom aur papa se teri aur sujal ki sadi ki
baat karungi... phir tujhey sujal ka sahara banna hai... usey itana pyar dena hai ki wo khud tujhsey pyar karne pe
mazboor ho jaye... aur wo apna ateet bhul jaye... aur tune hi to kaha tha kashish ki tu bachapan se sujal ko chahti
hai... bina kisi shart ke bina kisi aash ke,,, to kahsish tera pyar itana bhi kamzor nahi ki itani asaani se toot kar
bikhar jaye... tu 12 salo se sujal ka intezaar kar rahi hai... par ab tujhey apne vishwaas aur sabra se apne pyar ko
apna banana hoga...
kashish( wiping her tears ):- ha di aap sahi keh rahi hai... aur main aapse wada karti hun... ki main sujal ki zindagi
se sare dukh aur gamo ko mita kar hi rahungi... aur unhe itana pyar dungi ki wo apne sare gam bhul jayege... mera
pyar itna kamzor nahi ki ek sach uski neev ko hila de... ( they both hugs and crying... par in dono ko hi nahi
pata tha ki koi inaki sari baatein sunn raha hai... prerna ne inaki sari baat sul li thi... uski ankhon me anshun aur
labon pe muskaan thi... )
thodi der baad kripa so jati hai par kashish ki ankhon se neend mano udd gayi hai... wo apni dairy uthati hai... yeh
wahi dairy hai jo wo bachpan se likhti aa rahi hai... jisme usne sirf apne pyar ke bare me sujal k bare me likha
hai...
in dairy...
kyun... kyun hua mere sath aisa maine aapka kya bigada tha bhagwaan ji... sujal mujhse pyar nahi karte wo
aarohi ko chahte hai... main jeena nahi chahti ... main ab kya karu ... kaise jiungi main... par sujal wo
kaise jee rahe honge... main jis insan se pyar karti hu... kam se kam unhe dekh sakti hu...unse bate kar sakti
hu... par sujal... wo jisse pyar karte hai... wo to ab is duniyaan me hi nahi hai... tum bahut kismat wali ho
aarohi... ki sujal tumhe chahte hai... kash tumhari jagah main hoti... mujhe apni maut ka zara bhi gumm
na hota... bas khushi hoti ki main sujal ki muhabbat hu... par nahi main aise tut nahi sakti main sujal ko aise
dard me nahi dekh sakti... main unhe unki khusiyaan lautaungi... main unhe jeena shikhaungi... aur main
prerna aunty aur unke beech ki sari tension bhi dur karungi... sahi kaha hai kripa di ne... ki mera pyar itana
kamzor nahi hai... ki 1 sach mere pyar ki buniyaad hila de...to kya hua sujal mujhse pyar nahi karte... main
to karti hun... aur apni akhiri saans tak karti rahungi... agar sab ko pyar me milan milega to judaii bhi to
kisi ko milane chahiye sayad wo main hi hu...jise uska pyar nahi milega... par main aapko pyar karna
nahi chhod sakti sujal... kyuki yeh mere bas me nahi... bachpan se sirf aapko chaha hai... aur aapko hi
chahungi... i love u SUJAL
Aise hi din beetne lage... sujal tarrace pe baitha hai tabhi kashish aati hai... kashish apna hanth sujal ke kandhe
pe rakhti hai aur sujal turn hoker dekhta hai...
sujal:- are tum kab aayi... baitho na...
kashish:- bas abhi kal angad aur di ki sagai ho jayegi... soch kar kitana achha lagta hai...
sujal:- hmmm...
kashish:- sujal i m sorry for aarohi...
sujal:- nahin kashish aisa mat kaho... maine jab usse pyar kiya tha... to yeh shart nahi rakhi thi ki wo mujhse jyada
jeeyegi... bas pyar kiya... pata hai kashish aarohi humesha mujhse kehti thi ki sujal agar zindagi me mujhe kabhi
kuchh ho jaye... to tum apni zindagi ko rukne mat dena... apni zindagi me aage badhna... ab samajh me aata hai
ki wo aisa kyun kehti thi... ( tears flowing down on his cheeks )
kashish:- sach kaha aapne... pyar to bina kisi shart k kiya jata hai,,,,,, bina kisi umeed k aap bas pyar karte rehte
ho... apne aap ko chah ke bhi rok hi nahi pate... bas bina soche samjhe... yeh jane bina ki saamne wala bhi
humien kabhi pyar kar payega ya nahiin... par hum pyar karna band nahi karte... bahut kismat wale hote hai we
log... ki unka pyar bhi unse utna hi pyar kare... aarohi bahut lucky hai... ( sujal smiles sadly) aur aarohi bilkul
sahi kehti thi... kisi k chale jane se humari zindagi ruk nahi jaati... apni zindagi me aage badhiye... apne liye...
apno ke liye... mujhey pura yakeen hai... ki aapke liye bhagwaan ne is duniyaan ke kisi kone me koi jarur banaya
hoga... jo aapse bahut pyar karta hoga...
sujal:- kya...
kashish:- ah,,, nahi kuchh nahi... waise aarohi was very beautiful...
sujal (smiles):- ha... waise tum bhi kuchh kam nahi ho... even... u are more beautiful than her...
kashish:- really... aap mera mazak uda rahe hai... maine use dekha hai...
sujal:- khair chhodo... chale kal bahut kam hai... ( both retires towards their rooms)
agle din... angad aur kripa ki sagai hui aur phir shabhi shopping aur shadi me busy ho gaye... kal kripa ka
sangeet hai aur prerna... apne kamre me soch me gumm hai tabhi anuraag aata hai...
anurag:- kya baat hat hai prerna...??
prerna:- anurag... wo mujhey aapse sujal ke bare me kuchh bat karni hai...
anurag:- ha bolo na sab theek to hai... ?
prerna;- aapko kashish kaisi lagti hai humare sujal ke liye...
anurag:- kya sujal kashish... kisi ne kuchh kaha kya tumsey...?
prerna:- nahin... lekin ab mujhey lagta hai ki humien ab sujal ki saadi ke baare me bhi sochna chahiye... ab
dekhiye na angad bhi to sujal ki umra ka hai... uski saadi ho rahi hai to sujal ki bhi... aur waise bhi uske sath jo
kuchh beet chuka hai... wo tab tak us dard se bahar nahi aa payega jab tak use uska shahara nahi mil jata... anjali
badi thi uski saadi ho gayi to ab sujal ki bhi kar deni chahiye... yeh umra sahi hai kisi ka ban jane ke liye aur unke
ghar bhi ab kripa ke baad we kashish ki shaadi k baare me to socheinge hi... to kyun na hum sujal aur kashish ki
shadi kara de.. dono bachapan se ek dusre k dost hai... ek dusre ko achhi tarah jante hai... aur phir kashish aur
uske pariwaar ko sujal ka ateet bhi pata hai... to sujal ko koi problem bhi nahi hogi... aur phir yeh bhi sochiye ki
kashsih kitani pyari aur achhi ladki hai... jis ghar me bahu ban kar jayegi... us ghar ko apne pyar aur khushiyon se
raushan kar degi... aur sabse badi baat wo sujal ko aur uske baar me bahut achhey se jaanti hai...
anurag:- ha keh to tum bilkul sahi rahi ho...par humien pehle mihir tulsi aur kashish se baat karni hogi... hum
sujal k liye kashish ki zindagi daav pe nahi laga sakte...
prerna( smile ):- ji aap bilkul sahi keh rahe hai... aap maa se baat karke unki rai le lijiye main... tulsi se baat
karungi...
dadi ( kamre me enter hote hue ):- oye mujhey koi aitraaz nahi... ulta mujhe to kashish bahut pasand hai... aur
mujhey pura yakeen hai ki unn sab ko bhi mera sujal pasand aayega... unhe yeh rishta manzoor hoga... par kripa
aur angad ki saadi k baad hum unse baat kareinge... ( to prerna) aur ha ek baat aur... sujal par koi davaab
nahi dalega... agar wo nahi chahta to yeh shaadi bilkul bhi nahi hogi... isliye pehle sujal se puchho... phir mihir
aur tulsi se baat karna...
anurag:- ji maa aap bilkul sahi keh rahi hai... ab aap chaliye araam kar lijiye...
kashish in her room... on the phone with abhinav...
kashish:- kya baat hai abhi...? ab to main janna hi chahti hu... achha time pe aa jana ha...
abhi:- wo mujhey tumse kuchh baat karni thi... mainey tumhe bataya tha na ki ek ladki ko bahut pasand karta
hu... to to wo kashish... wo
kashish:- ab bol bhi do kaun hai wo... the lucky girl...
abhi( sweating ):- wo actually kashish... main kal aake bataunga...
kashish:- are abhi suno to... chalo koi nahi... as ur wish... byeee ( abhi hangs down ) pagal... ( kashish is
smiling )
kripa's sangeet...
kripa aur angad stage par baithe hai...
akki:- ji ha...
charu:- ji nahi...
kashish- kya hua kyun lad rahe ho tum dono...
rishi:- kashish di ab dekhiye... humari di ki shadi me hum sabhi bhaiyon ne... unke sangeet me dance kiya tha...
aur gana bhi gaya tha... to kripa di ki shadi me aapka aur charu ka farz banta hai ki sangeet ko jamaya jaye...
akki;- ha kashish plzz
charu:- no di mujhse nahi hoga... aap janti ho...
kashish:- koi baat nahi charu... akki... meri di ka sangeet aur main na nachu aisa kabhi ho hi nahi sakta... charu
na shahi main hun naa... main bas abhi aayi...
kashish is starts singing and dancing with some girls...
other girls:-
maine maana ki pyar ki hadd hoti hai...
maine mana ki intezaar ki hadd ho...ti hai...
maine mana ki dil dhadakata hai sirf tere liye...
maine maana ki ikraar ki hadd ho...ti hai...
kashish:-
sajan sajan... sajan sajan...
sajan sajan... sajan sajan...
oh more sajan sajan... sajan sajan...
oh more sajan sajan... sajan sajan...
( kashish is singing... and dancing... but her eyes glued on sujal only)
ishq me... jab jii gabhraya...
duriyaan... dil seh nahi paya...
ishq me... jab jii gabhraya...
duriyaan... dil seh nahi paya...
itani diwani ho gayi main kuchhh samajh na aaya...
ishq me... jab jii gabhraya...
duriyaan... dil seh nahi paya...
( kashish is dancing around kripa angad and sujal and thinking about just herself and sujal )
sajan sajan... sajan sajan...
sajan sajan... sajan sajan...
oh more sajan sajan... sajan sajan...
oh more sajan sajan... sajan sajan...
(all girls are chhedofying kashish... and she is blushing...)
ahhhaaahhhahhahhh
sajan sajan... sajan sajan...
oh more sajan sajan... sajan sajan...
ishq me jeena hai... ishq me marna hai...
ishq bina ab to... kuchh nahi karna hai...
duniyaan walo se... ab nahi darna hai...
meri dil ki har dhadkan me ishq samaya...aa
( kashish ko bas itana yakeen hai ki wo sujal ko hashil karke hi rahegi... and she is determined )
ishq me... jab jii gabhraya...
duriyaan... dil seh nahi paya...
sajan sajan... sajan sajan...
oh more sajan sajan... sajan sajan...
dhomm tanatantaaa nnaaa dhoom tana dhoom tana tana
( kahsish is dancing around sujal only )
sujal:-
ishq nahi aashaan... ishq bada mushkil...
ishq ke rahi ko... milati nahi manzil...
ishq me kuchh bhi to... hota nahi hashil
ishq hai kya... is ishq ko koi samajh na paya...
( sujal is singing thinking about aarohi... and kashish can see the pain in his eyes )
kashish:-
ishq me... jab jii gabhraya...
duriyaan... dil seh nahi paya...
itani diwani ho gayi main kuchhh samajh na aaya...
ishq me... jab jii gabhraya...
duriyaan... dil seh nahi paya...
itani diwani ho gayi main kuchhh samajh na aaya...
( kashish goes towards sujal and assures him with her eyes that every thing will b ok)
sajan sajan... sajan sajan...
oh more sajan sajan... sajan sajan...
sajan sajan... sajan sajan...
oh more sajan sajan... sajan sajan...
oh more sajan sajan... sajan sajan...
oh more sajan sajan... sajan sajan...
( now kashish is dancing like crazy with some girls... and kripa can easily understand the meaning of her words and
smiling )
movie:- dil ka rishta...
abhi.:-hey kashish woww yar u were rocked
kashish:- thanks abhi...
abhi:-kashish mujhey tumse kuchh baat karni hai...
kashish:- ha bolo na...
abhi:- wo yahan nahi... plzzz bahar chalo...
kashish:- ohk chalo... ( sujal is looking at both of them )
sujal thinks:- yeh kashish abhinav k sath kaha ja rahi hai... ?
angad:- sujal sunn...
sujal :- ha aaya...
at garden...
kashish:- ab bolo bhi abhi... kya baat hai...
abhi:- wo kashish... main ek ladki se bahut pyar karta hu... jabse pyar ka matalab samjha hai... usi se pyar kiya
hai...
kashish:- wooo... ab batao bhi ki wo kaun hai... main khud usse tumhari baat karungi... ab jaldi batao...
abhi- tum...
kashish- ha main hi baat karungi... ab batao hi ki kaun hai wo...
abhi:- kashish... TUM...
kashish:- ha abhi main... ( she paused ) kya kaha tumne...
abhi;- ha kashish i love u ( kashish is shocked )...
kashish:- abhi yeh tum...
abhi:- kashish main tumse bahut pyar karta hu... will u marry me kashish... i promise u... i will always love
u... kashish plzz kuchh to bolo... ( kashish turns her face and tears flowing her cheeks )
kashish:- aisa nahi ho sakta... ( dhamake on abhi's face ) i dont love u... mian aisa tumhare bare soch bhi nahi
sakti... u r just a friend for me... i m sorry abhi... try to understand...
abhi ( now infront of kashish with tears ):- kyun kashish... mujhme kya kami hai... kya main tumhe pasand nahi...
plzz kashish... ya phir tum kisi aur ( kashish lower her eyes ) TUM KISI AUR?? kaun hai wo
kashish:- ha abhi main kisi se bahut pyar karti hun... par dekho na wo mujhse pyar nahi karte... aur meri sadi
agar hogi to sirf unse warna kisi se nahi... bachapan se sirf unhi ko chaha hai...
abhi:- kaun hai wo lucky insaan...
kashish:- i m sorry abhi main abhi tmhe nahi bata sakti... kyuki is waqt haalat mere khilaf hai... jab waqt aayega to
tumhe khud hi pata chal jayega...
abhi:- theek hai... chalo koi baat nahi ab mera itana bhi haq nahi hai...
kashish:- nahi abhi aisi koi baat nahi... par samajhne ki kosis karo...
abhi:- kashish ek promise karo ki humari dosti kabhi nahi badlegi... mere is cofession k baad...
kashish( smile )- kabhi nahi... hum best frnds the, hai aur raheinge... always ( both smiles and hugs) ab
chale...
abhi:- kashish main dua karta hun... ki tumhe tumhara pyar jarur milega kashish...
kashish:- ab chale... ( both left to main hall...)
aaj kripa ki mehandi and haldi.ki rasam badi dhoom dhaam se manayi gayi aakhir kar anjali apni devraani ko la
rahi thi jo uske liye uski behen se badhkar hai... sabhi ki khusiyon ka ki thikana nahi tha... sabhi ne badi hi
dhoom dhaam se angand ki barat nikali gayi aur shadi bhi achhey se sampann ho gayi... aur bidayi bhi ki gayi...
anjali aur prerna ne kripa ka swagat bahut hi achhey se kiya...
next day sujal room me baitha ek file padh raha tha... tabhi anurag aur prerna uske room me aate hai...
sujal:- are papa. mumma aap koi kaam tha to mujhe bula liya hota...
prerna:- sujal humein tujhse kuchh baat karni hai...
sujal:- ha mumma kahiye na...
prerna:- dekh sujal... ab tu bhi bada ho gaya hai... teri bhi ab shadi ki umra ho gayi hai... is umra me tere papa ki
bhi shadi ho gayi thi...
anurag:-ha beta yeh umra hi aisi hoti hai...jab kisi ko apna banana aur kisi ka ban jana bahut ashaan hota hai..
isliye hum chahte hai ki ab tu bhi shadi kar le... ( sujal bas sir jhuka kar anurag aur prerna ki baat sun raha hai)
prerna:- kya tu meri aur tere papa ki pasand ki ladki se shadi karega... bol...
sujal:- ji mumma... aap jisse kahogi... jab kahogi... main shadi kar lunga...
anurag:- beta koi jabardasti nahi hai... tu soch samajh kar...
sujal:- nahi papa aisi koi baat nahi hai... akhirkar 1 din to mujhey kisi na kisi se shadi karni hi hai... to jab aap
sahi samjhe...
prerna:- tujhey kashish pasand hai...
sujal( shocked ):- kashish... aap log mere liye kashish...
end of part 9
plzzz do comment...
with love chandni
*******************************************************
*******************************************************
324