*** sk- Pure love***
part 8
kashish is awww to sujal and every one... bcz sujal were outstanding...
angad:-wah mere yar tune to rang jama diya... aur yad rakhiyo... meri bhi sadi hai 15 din baad... tujhey usme
dance karna hi hoga...
priya:- sach yar sujal itane saal ho gaye... par teri awaaz aur andaaz wahi hai jo college me the... ( sujal just
smiles )
abhi:- u r awsmmm man...
priya hugs sujal... kashish didnt liked it atoll which is noticed by angad, kripa and abhi too...
agle hi din mehandi aur haldi ki rashm hoti hai... kashish anjali ko mehandi laga rahi hai aur baki sab bhi
mehandi lagwa rahe hai...
a lady:- are waah beta tumney to bahut hi pyari mehandi lagayi hai...
kashish:- thanks aunty... lo anjali di aapki mehandi complete ho gayi hai... main bas abhi ayi... ( anjali nods in
yes ki tabhi galti se anjali k hanth ki mehandi kashish ke hanth par lag jati hai... ) oh nooo... main ise abhi saaf
kark aati hun...
lady:- are nahi beta aisa bilkul mat karna... yeh to bahut sagun ki baat hai ki tumhare haanth me dulhan k hanth
ki mehandi lag gayi... ( to tulsi) behen ji ab kashish ki sadi ki bhi taiyaariyan karna suru kar dijiye bahut kismat
wali hai ki iske hanth me dulhan ki mehandi lag gayi... ab jald hi isaki sadi bhi hone wali hai...
tulsi ( with smile);- ji jarur...
dadi:- kashish tu bhi mehandi lagwa le...
kashish :- ji dadi...
mehandi wali lady kashish ko bhi mehandi laga deti hai aur mehandi ki cone wahi chhod kar chali jati hai...
kashish chupke se wo cone uthati hai aur... apni mehandi k beech me " 'S " likh deti hai... ( kripa dekh leti hai aur
samajh jati hai ki kashish ne kya kiya... aur wo muskura rahi hai...) ab aise hi dhoom dhaam se saadi bhi ho jati
hai pure rasmo aur riwazo ke sath... ab vidayi ka waqt aata hai... sabhi bahut udas hai aur ro rahe hai... anjali bhi
sabke gale lag kar ro rahi hai...
rishi:- di i love u
anjali:- i love u 2 kiddo... sabka khayal rakhna aur kisi ko bhi tang mat karna... ( to akki) akki sujal ka
khayal rakhna ( akki nods in yes wih tears ) ( to kashish ) kashish ab tum bhi humare is pariwaar ka hissa ban
chuki ho... meri gair mauzudagi me... mumma, papa, dadi, sujal sabhi ka khayal rakhna... ( kashish nods in yes
with tears )
ab anjali anurag k pass jati hai...
anjali( hanth jodker ):- achha papa ab main chalti hu... mujhse koi galti ho gayi ho to maanf kar dena...
anurag( hugs her ):- aisa mat bol beta... tu to is duniyaan ki sabse achhi beti hai... tujhse to koi galti ho hi nahi
sakti...
prerna ( with tears ):- beta apna aur pane pariwaar ka khayaal rakhna...
anjali:- sujal kahan hai...??
dadi:- kahan hoga... tujhey jate hue nahi dekh sakta...isliye... abhi bhi mandap me hai... ja jakar mil le...
andar daud kar ander jati hai... aur kashish aur kripa bhi uske peeche jate hai...sujal apna sir jhukaye hue
mandap k pass me baitha hai... aur uski aankhon se apni di se bichhadne k aanshun hai... yeh dekh kar kripa uar
kashish k bhi anshun nikal aate hai... kyuki kisi bhi bhai ke anshun kabhi nahi nikalte sirf ek apni behen ki vidayi
ka pal hi aisa hota hai...jahan wo jee bhar kar ro sakta hai...
anjali:- sujal...
sujal:- di aap... aap abhi tak gayi nahi...
anjali:- tujhsey mile bina kabhi main jaa sakti hun kya... pagal... ek baat yad rakh teri di tabhi khush hogi... jab
uska sujal khush hoga... ab mujhey aur kitana rulayega...
sujal hugs anjali and crying:- plzzz diii mat jao, main aapke bina nahi reh sakta...
angad to priya:- dekha priya... itana bada empire chalata hai... aur apni di ki vidayi me bachho ki tarah ro raha
hai... koi kahega ki yeh the best mr sujal garewal hai...
priya:- mehek ki sadi me tu bhi aise hi royega...
angad:- no way... ( mehek hits him )
anjali:- are nahi aisa nahi kehte... aur ek kaam kar tu bhi jaldi se sadi karle... phir tujhey meri bikul bhi yaad
nahi aayegi.
sujal smiles :- chale... ( anjali hugs him and crying )
phir 3no bhai bade pyar aur armaan se anjali ko doli me bitha dete hai... aur 3no kavya k pair chhute hai...
sujal:- jiju, di ka khayal rakhna...
kavya:- tum 3no chinta mat karo wo meri zindagi hai...
agle din anjali pag phere k liye aati hai... to sab bahut khush hote hai... sujal to office hi nahi gaya... phir aise hi
kuchh din beet gaye... sabhi sinhas garewaal house me hi hai... kyuki 4 din baad angad aur kripa ki engagement
hai... abhi shimla wapas chala gaya hai kyuki use bahut important kaam tha... but engagement k din aa jayega...
kal sujal aur angad k college me 50th anniversay ki bahut hi shaan daar party hai... jiske liye sabhi students ko with
family invitations aaye hai... sabhi jane k liye bahut exited the yahan tak ki puri family... par sujal aarohi ko
lekar udaas hai... wo nahi jana chahta par angad aur priya ke samjhane par wo maan gaya... dusri taraf kashish
aur kripa sujal aur angad k college ki party me jane k liye bahut hi jyada exited thi...
sujal and angad's college party...
puri garewal, sinha aur khanna family party me pahuchte hai... party bahut hi shandaar hai... all are very happy...
aamir:- wooo... sujal, angad, priya... kya baat hai guyss...
angad:- hey aamir... kaisa hai yaar... ahh yeh humari family hai... ( sujal and priya also hugs him and introduce
aamir to every one...)
aamir:- hello every one kya main apne dosto ko le jaun...??
anjali:- ya ofcrz
sujal angad aur priya apne sabhi purane frndz se mil rahe hai... par sujal bilkul bhi achha feel nahi kar raha hai...
bcz use har jagah sirf aarohi ka ehsaas sata raha hai... aur is baat ko angad priya aur akki achhey se samajh rahe
the...
principal ( from stage ):- thankyou so muchh... thanks alot every one is jasn me shamil hone k liye... aaj humare
college ne pure 50 saal pure kiye hai isliye ab hum humare college k in 50 saalo ke 50 sabse best student of the
years ko award se smmanit kareinge... jo har cheez, har activity me no1 the... then hum pichhle kuchh saalon ki
behatreen yadon ko taza kareinge jo humare is camere me recorded hai... ( dhamake on sujal, angad and priya's
face... priya helds sujal's hand... which was totaly mistaken by kashish... and tear appears on kashish eyes...)
priya:- sujal plzzz... sambhalna ha...
sujal:- hmmm
phir principal sabhi ko award dete hai...
pricipal:- now for 2012 its going to non other than... sujal garewal... ( sabhi bahut jyada proud feel kar rahe the...
kashish aur prerna ki aankhon me khusi k aanshun aa jate hai )
sujal jakar award leta hai aur sabhi ko thanks kehta hai...
now its time for some beautiful memories
every one claping...
samne camre se projector k through kuchh old studets ke vedios aur pics dikhayi ja rahi hai... sabhi studets apne
purane vedios aur pics dekh kar bahut khush aur emotional se ho gaye the... now its time for sujal and angad's
batch...
annual fuction... 3yr batch... (vedio )...
angad aur sujal k pranks chal rahe hai... dono hi bahut cute lag rahe hai... ( kashish ke chehre pe ek smile aa jati
hai... sujal ko dekh kar aur kripa bhi apne angad ki harkato ko dekh kar smile kar rahi hai... ) phir peeche priya
aur aarohi aate hai aur angad aur sujal ko sir par priya hanth marti hai... jisse angad gir jata hai... and sujal is
laughing with aarohi and priya... ( aarohi ko dekhte hi sujal, angad aur priya ki aankho me anshun aa gaye but
3no hi apne aap ko sambhal lete hai... rishi:- woww priya yeh ladki tere sath kaun hai... she is damn beautiful...
yarrr )
priya:- sujal, angad tum dono ready ho... ?
angad:- oye hoye...
sujal:- aarohi u r looking v beautiful...
aarohi:- thanks sujal...
angad:- inka phir suru ho gaya... ( priya hits him)
priya:- oye tum dono apna romnance bad me continue karna ( dhamke on kashish's face )
then priya aarohi ka hanth pakad kar use kheech kar le jati hai... aarohi is smiling and sujal is frowning at priya...
sujal:- oye priya sunn to... ( angad has raha hai...) tujhey mujhsey problem kya hai haa...
angad:- meri problem yeh hai ki jabse tujhe aarohi se pyar hua hai... tu sirf aarohi puraan gata rehta hai , tera
mann kahin nahi lagta, sudhar ja romeo... ( dhamake on all others face sujal closed his eyes with pain... kashish ko
to aisa lag raha hai mano kisi ne uski jaan hi nikaal li ho... kripa holds her hand very tightly... bcz she can
understand ki kashish ko kya mehsoos ho raha hoga...) chal ab kaam pe lag jaa... music shmabhalna hai humein...
angad music instruments ki taraf jata hai aur sujal stage pe chad jata hai jo ( jo loge already stage pe the they all
are shocked and others too)
angad:- oye yeh kaha gaya... ohh.. nooo
priya:- oye sujal kya kar raha hai...?
sujal:-i m sorry every one par kya main aap sab ka 5 minute le sakta hun... meri zindagi ka sawaal hai... ( aarohi
aur priya sujal ko dekhe ja rahe hai.. unhe samajh nahi aa raha hai ki yeh kar kya raha hai...) aarohi... ( shocked)
i know i m not perfect...main thoda sa pagal hu... jo tum mujhe kehti hi ho... par yakeen mano main sirf tumhare
liye pagal hun... ( now aarohi is smiling )
priya:- oye hoye... sabke saamne aarohi tera kya hoga...
sujal:- i know main humesha galtiyaan karta hoon... ( now stage se utar kar aarohi k paas jata hai..) i know i m not
perfect for u... but u r perfect for me... aarohi plzzz marna mat ha... i know na jane kitane ladko ne tumhe yeh kaha
hoga... but main sachha hun... bahut pyar karta hun main tumse ( double dhamake on kashish face ) main yeh
nahin kahunga ki main tumhare bina jee nahin sakta... par tumhare bina meri zindagi... zindagi nahi hogi... plzzz
accept me... I LOVE U AAROHI... I LOVE U very muchhh ( aarohi is looking at him with tears and smile on her
lips ) naa hi keh do par bolo to sahi... chup mat raho yarr... par marna mat ha... meri izzat ka kabada ho jayega...
aarohi ( smile and tears ):- sujal... tum pure pagal ho... ( hugs him) I LOVE U TOO SUJAL... I LOVE U alot (every
one is claping with angad and priya...)
sujal ( shouted very loud ):- band karo yeh sab... ( kashish is like statue and every one is shocked and other
guest too with this action of sujal and sujal jakar wo camera patak deta hai aur hall se bahar chala jata hai... )
angad:- sujal... sujal... ruk... sujal
principal:- angad, we are sorry angad hume nahi pata tha ki sujal is tarah... humne jaan bujh kar kuchh bhi...
priya:- its ok sir... isme aap logo ki koi galti nahin hai... sujal ki galti hai...
anurag ( angry tone ):- yeh sab kya tha angad... aur sujal is tarah...
priya:- plzzz uncle aap sab ghar chaliye hum sab batate hai...
garewaal house...
sabhi bade sofe par baithe hai aur baki sabhi khade hai... sujal abhi tak nahi lauta hai... kashish ko bar bar sujal
ka arohi ko i love u kehna yaad aa raha hai... aur kripa uska hanth pakde khadi hai...
anjali:- angad kaun thi wo ladki? agar sujal use chahta hai to hum sujal ki saadi usi ladki se karayeinge ( dhamke
on kashish and kripa's face )
anurag:- aur yeh bata sujal ne is tarah kyun react kiya...?
prerna:- mujhey to samajh nahi aa raha hai ki sujal... humne use college padhne ke liye bheja aur wo yeh sab... wo
ladki kaisi hai... kis khandan se hai... mujhey abhi us ladki se milna hai...
dadi:- prerna,,,,, ek bar puri baat to sun le beta...
prerna:- angad tu us ladki ko bula hum abhi usse baat kareinge... ( angad, priya, aur akki ki aankhon se anshun
beh rahe hai...)
akki:- bas kijiye... wo ladki yahan nahi aa sakti...
prerna:- akki... matalab tujhe sab pata tha... kyun... kyun nahi aa sakti wo ladki... sabke saamne usne sujal se kaha
tha na...
angad ( shouts with anger ):- wo ladki yahan nahi aa sakti kyuki wo ladki MAR chuki hai... aur uski yaad me aaj
bhi aapka beta pal pal mar raha hai... ( sabhi ke chehro pe sirf dhamaake )
priya:- angad sambhal khud ko... agar tu aise bolega to... ( to others )main aap sabko batati hun sujal aur aarohi
ke baare mein...
FLASHBACK... 3 years ago...
3 saal pehle ki baat hai... sujal aur angad 3rd year me the aur main 1 year me... tabhi humare college me aarohi
ayi wo bhi 1st year student thi... main sujal aur angad ko school se janti thi aur hum school me bhi dost they isliye
meri ragging kisi ne nahi ki... aur sujal aur angad pure college k hero the... yeh dono jo kehte wahi hota tha... dono
humare seniors bhi the... sujal college me bahut jyada popular tha... sabhi ladkiyaan us par marti thi... but use
kabhi kisi ladki me koi interest nahi tha...
us din hum sab canteen me baithe the... aur aarohi ka first day tha... aarohi bahut hi jyada khubsurat aur masum
thi... sabhi college ke ladke us par marte the... tabhi shaam ke waqt...kuchh seniors juniors ki ragging kar rahe
the... college parking me... main aur angad bhi the unke sath... aur sujal apni bike me baitha sab dekh raha tha...
ki aarohi ki bari aayi...
angad;- nam?
aarohi:- a..aarohi sharma...
angad:- nice name... guys... miss aarohi ji se kya karaya jaye... ( aarohi bahut darr gayi... and sujal is looking
at arohi tabhi a idea strikes in angad's mind)
angad:- tumhey is pure parking lot me jo bhi ladka sabse jyada hansome, smart, dashing, aur best lage use yeh rose
dekar i love u bolkar prapose karna hai... agar usne accept kar liya to tumhari ragging khatam... aur reject kar diya
to tumhari ragging chalti rahegi... u have to do this with other boys too...
aarohi ( tears appears on her eyes ):- plzz kuchh aur kara lijiye... mujhsey yeh nahi hoga...
angad:- no way karna to tumhey yahi task padega...
aamir:- common... humien bhi to pata chale ki itane sare logo k beech aapko kaun sabse jyada pasand aaya hai...
aarohi rose ko uthati hai.. aur sabhi boys ki taraf dekh rahi hai... ki uski nazar sujal par padi jo... apni bike pe
baitha... apni books k pages palat raha hai... aarohi rose lekar darte hue sujal ki taraf badh rahi hai...
priya to angad:- oh nooo... yeh ladki kya kar rahi hai... sujal kabhi bhi accept nahi karega...
aarohi rose lekar darte hue sujal ke samne khadi hai... aur sujal use dekh raha hai...
arohi ( rose sujal ki taraf badhate hue... pleeding):- i m sorry plzzz accept kar lijiye... i love u... ( sujal is just
looking at her lips when she said... i love u ) plzzz
a boy:- oh madam... jara jor se...
aarohi:- I LOVE U... ( sujal wo rose lekar wahan se bina kuchh kahe chala jata hai... aarohi is happy and smiling...
baki sab hairaan hai specially angad and priya...)
priya to angad:- oye angad... jaadu.. sujal jo kabhi kisi ka rose accept nahi kata... isiliye tu yeh challange deta hai...
usne is ladki ka rose accept kar liya kuchh to gadbad hai...
sujal's hostel...
angad:- abe... saale tune aarohi ka rose accept kyun kiya??
sujal:- kyun geeta me likha hai kya... ki mujhey kisi ka rose accept nahi karna chahiye... meri marzi main jo chahu
wo karun... aur waise bhi i like her... wo baki sab se alag hai... kuchh baat to hai usme... ( angad holds sujal by his
hands )
angad;- kya kaha... u like her...
sujal:- yes...
angad:- oye hoye mere sher... sujal pehli baar koi ladki tujhey pasand aayi hai... wo bhi no.1...
aise hi aarohi ki dosti hum sab se ho gayi... sujal aur aarohi ek dusre ko pasand karne lage the... par kabhi kehte
nahi the... yunhi ek din angad aur sujal ki shart lagi... ki sujal ko aarohi k saamne sabhi girls ke liye special gana
gana padega wo bhi college me... wo bhi kuchh is tarah ki aarohi naraz bhi na ho... dusre din jab main aur aarohi
college pahunche tab...
----------------------------------------------------------------
----------------------------------------------------------------
aye he... lalalallallallala... ahhhaaa... lalalallallla
lal lalala oho hoho ho ho
aye meri natkhati... natkhati...
college ki... college ki... ladkiyon... ladkiyonnn
yun muhabbat se mujhko na dekha karo...
( sujal is singing on the ground looking at aarohi...)
meri chahat meri aarzoo ke liye...
apni.. masumiyat ko na ruswaa karo...
( aarohi is taken a back but she smiles )
aye meri natkhati... natkhati...
college ki... college ki... ladkiyon... ladkiyonnn
yun muhabbat se mujhko na dekha karo...
( all girls are running aarohi too... sujal driberatly collapsed with aarohi)
------------------------------------------------------------------
------------------------------------------------------------------
jo phisal jaye main wo diwaana nahin...
jo badal jaye main wo jamana nahin...
( sujal is singing looking at aarohi's eyes )
waar jayeinge khali yeh... tere sabhi...
teer nazro ka mujhpe na mara karo...
( aarohi is memrised by sujal's prersense around her )
aye meri natkhati... natkhati...
college ki... college ki... ladkiyon... ladkiyonnn
yun muhabbat se mujhko na dekha karo...
( sujal winks at arohi and helps her to get up )
-------------------------------------------------------------------
-------------------------------------------------------------------
har kisi ko yeh dildaar milta nahin...
itani ashani se pyar milta nahin...
( some girls busy in jim sujal and angad too there)
de raha hu tumhe mashwara kaam ka...
maine socha hai jo... tum bhi socha karo...
(then sujal looks at another girl and singing)
aye meri natkhati... natkhati...
college ki... college ki... ladkiyon... ladkiyonnn
yun muhabbat se mujhko na dekha karo...
( aarohi didnt liked it but she managed to smile )
-------------------------------------------------------------------
-------------------------------------------------------------------
meri chahat meri aarzoo ke liye...
apni.. masumiyat ko na ruswaa karo...
( now jim is fully vacated only sujal and arohi left )
aye meri natkhati... natkhati...
college ki... college ki... ladkiyon... ladkiyonnn
yun muhabbat se mujhko na dekha karo...
( sujal pushed aarohi with wall and looking at her )
------------------------------------------------------------------
aarohi wahan se jane lagti...
sujal;- hey aarohi i m sorry bura laga kya...
aarohi.:- mujhey kyun bura lagega... main hoti hi kaun hun...
sujal:- arohi... are arohi...
angad :- tu haar gaya use bura lag gaya... kaha tha na... girl are very sensitive...
humare college khatam hone me sirf 3 months bache the... aur arohi naraz bhi thi sujal se par sujal ne than liya
tha... isliye usne annual function me sabke saamne aarohi ko prapose kiya aur aarohi ne accept bhi kar liya... dono
apni zindagi me bahut khush the... sujal ghar me sabhi ko arohi k bare me batana chahta tha... par exam khatam
hone k baad ...
exam khatam ho chuke the aur hum sabhi ko ek break chahiye tha... hum sab ne apne frnds k sath picnic jane ka
plan banaya... main, angad sujal aur aarohi ek hi car me the aur humare baki k frnds apni dusri gadiyon me...
hum sab aagra gaye...aur bahut masti ki sab bahut khush the hum sab bone fire kar rahe the aue truth and dare
khel rahe the... sabne task kiye but last me sirf sujal aur raunak bache...raunak won... raunak ne sujal ko aarohi
ke liye ek gana gane ko kaha... as we all know ki sujal was a born singer...
suno na sangemarmar ki yeh minare...
kuchh bhi nahi hai aage tumhare...
aaj se dil pe mere raj tumhara... taj tumhara...
( sujal is just looking at aarohi and singing)
suno na sangemarmar ki yeh minare...
kuchh bhi nahi hai aage tumhare...
aaj se dil pe mere raj tumhara... taj tumhara...
( sujal gets up and frwrded his hand towards arohi she accepts)
suno na sangemarmar ki yeh minare...
( they both are dancing)
bin tere madhdham madhdham...
bhi chal rahi thi dhadkan...
jab se mile tum humein...
aanchal se tere bandhe... dil udd raha hai...
( aarohi looking around the minaars and sujal is just looking at aarohi with pure love )
suno na aashmano ke yeh sitaare...
kuchh bhi nahi hai aage tumhare...
yeh dekho sapne mere... neendo se hoke tere...
(aarohi looks at him and hugs him )
raton se kehte hai lo... hum to sawere hai wo...
sach ho gaye jo
suno na do jahano ke yeh nazaare...
kuchh bhi nahin hai aage tumhare...
( tears of happiness and love floating on aarohi's cheeks )
suno na sangemarmar ki yeh minare...
kuchh bhi nahi hai aage tumhare...
aaj se dil pe mere raj tumhara... taj tumhara...
suno na sangemarmar ki yeh minare...
( sujal and aarohi both are hugging each other )
aarohi:- sujal... promise me ki tum humesha khush rahoge... mere sath ya mere bina...
sujal:- what rubbish aarohi yeh kaise baat kar rahi ho... tum kahan ja rahi ho... hum dono humesha sath
raheinge...
aarohi:- ha wo to hai... par zindagi ka kya bharosha... sujal main bahut lucky hu ki tumne mujhe chaha... but
promise me ki tum humesha khush rahoge...
sujal:- shut up aarohi... agar tumhe yahi bakwaas karni hai na to main jaa raha hoon... ( sujal left )
aarohi;- are sujal suno to... pagal hai...
in car...
aarohi;- sujal plzz araam se chalo... itani jaldi kya hai tumhe...
sujal:- ok ok... cool...
priya:- u know what guys... mujhey in do dino me bahut maza aaya... exams ki sari tension khatam ho gayi na...
angad;- wo to hai...
aarohi:- sujal... ( sujal looks at aarohi) thanks for the lovely song...
sujal ( looking at aarohi ):- any time yaar... u know na... i m the best... ( sujal is busy in looking at aarohi's eyes)
angad;- sujalll... saaamneee... ( samne se ek truck bahut tej speed se aa raha tha aur sujal gadi me control
nahi kar paya aur gadi seedha khayi me giri...)
FLASH BACK Ends...
end of part 8
plzzz do comment...
with love chandni
********************************************************
********************************************************
324