PURE LOVE ~ Sujal Kashish~**Completed**Last part on page 41 - Page 11

Created

Last reply

Replies

293

Views

69.2k

Users

22

Likes

348

Frequent Posters

jasminerahul thumbnail
Posted: 10 years ago
Thats so nice that sujal agreed to marry kashish.and kashish is on cloud 9.Angad knows abt kashish's luv 4 sujal from kripa.when will sujal know that kashish luvs him madly?i'm glad that sujal will try 2 b a gud husband than giving his wife pain by thinking abt his past luv.waiting 4 their engagement
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
thanks everyone for liking and commenting... will post next part very soonnn...
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
*** sk- Pure love ***
part 11

ab aise hi din beet rahe hai... kashish hamesha sirf sujal k bare me hi sochti rehti hai ya uske liye kapde design

karti hai... ab sagai k liye sirf 2 din baki hai... kal sabhi garewals, priya aur khannas shimla aa rahe hai...

kashish church jati hai...

kashish:- thankyou god aaj apki wajah se meri zindagi me yeh din aaya hai... jiska sapna har 1 ladki dekhti hai,

par maine to sujal ka sapna har pal dekha hai... bas aapse guzaris hai ki mere sujal k upar aane wali har 1

musibat ko mujhe de dena par unhe hamesha salaamat rakhana, khush rakhna, aur apna ashirwaad humare upar

banaye rakhna...

father:- kashish...

kashish:- good morning father...

father:- kya baat hai bahut khush lag rahi ho

kashish:- ji father main bahut khush hu, kyuki meri engagement hai... 2 din baad sujal se...aap aayenge

na...

father:- sach... oh my child... i m very happy for u... god bless both of u ... but my child main kahin nahi

jata par meri blessing tum dono k sath hai... aur apne sujal ko lekar yahan jarur aana...

kashish:- i know father... aap humesha mere sath hai... aur main 1 din sujal k sath yahan jarur aaungi...

achha ab main chalti hu... byeee father...

father:- bye my child ( kashish left ) oh god plzz is bachhi k har 1 sapne ko pura karna...

next day...
sabhi shimla aa chuke hai... kripa apne ghar me hai to baki sabhi hotel me hai kyuki barat hotel se sinha house

jayegi... aur kashish ki vidaayi bhi wahin se hogi...

angad aur sujal sujal k room me hai...

angad:- sujal i m so so happy for u... tujhse 1 request hai...

sujal:- tu itana serious kyun hai...

angad:- sujal kashish ko khush rakhna wo bahut achhi hai...

sujal:- dont worry angad ... main kashish ki taraf apni har 1 zimmedari puri imaandari se nibhaunga...

mujh pe vishwaas rakh ( they both hugs)

next day ...

aaj sujal aur kashish ki sagayi hai... kashish ne sujal ko uska suit bhijwa diya hai... aur sujal ne wahi pehna

hai ( the same one which sujal bore in kth in his engagement with kashish the red & black one & kashish ne bhi

waisa hi dress pehna hai ... the brown & copper one)

sujal aur kashish ko stage me bulate hai aur dono ring exchage karte hai... all r very happy sabhi un dono ko

congatulate karte hai...

akki:- hey bhabhi plzzz kuchh achha sa ga do na...

kashish:- pagal hai kya tu ... kuchh bhi...

prerna:- are kashish sahi to keh raha hai... kuchh sa gade ... jo tere mann me ho...

kripa:- kashish aaj ga hi de... sujal tum hi kuchh bolo...

sujal:- ab sab keh rahe hai to ga do...

kashish:-
Chori Chori Chupke Se Aayega Woh, Aake Mujhe Le Jaayega Haan (Kashish jake Mehek aur anjali ke pass bethti

hai)

Yehi Jeevan Hai Apna Yehi To Woh Sapna...( kashish apni palke jhuka kar ga rahi hai )

Main Ne Dekha Tune Dekha Hum Sab Ne Dekha (kashish ko yad aa raha hai ki kaise , wo har pal sirf yahi sapna

dekhti thi)

Yeh Sapna Na Toote Na Roothe Mera Raanjhna (wo dil se dua karti hai ki sujal uske sath humesha rahe)

Chori Chori Chupke Se Aayega Woh, Aake Mujhe Le Jaayega Haan (Jab tulsi aake pyar se uske mathe ko chumti

hai)

Ang Se Ang Lag Jaaye To, Pyaar Ka Rang Lag Jaaye To ( kashish jake kripa ke gale lag jati hai )

Rang Phir Na Yeh Chute, Roothe Mera Raanjhna ( aur kripa bade pyar se use le jakar sujal k sath khada kar deti

hai)

Chori Chori Chupke Se Aayega Woh, Aake Mujhe Le Jaayega Haan (kashish sujal k pass se dur jakar priya k pass

khadi hoti hai jo use dance karne ko kehti hai par kashish ishare me mana kar deti hai)

Kitne Janmon Ka Yeh Mel Hai, Shaadi Kismat Ka Ek Khel Hai (Kashish sujal ko dekh kar ga rahi hai... aur sujal

bhi uske sabdo ka matalab achhi tarah se samajh raha tha)

Aisi Kismat Na Phoote, Na Roothe Mera Raanjhna (dadi aakar kashish ki nazar utarti hai aur balaye leti hai)

Chori Chori Chupke Se Aayega Woh, Aake Mujhe Le Jaayega Haan (kashish sab ke pair chuti hai )

Chori Chori Chupke Se Aayega Woh, Aake Mujhe Le Jaayega Haan (aur aise hi function chalta rehta hai)
movie:- chori chori

ab aise hi din beet gaye sabhi ne milkar shopping ki aur masti bhi bade dino bad wo sab aise bahar aaye the to

bahut hi maja kar rahe they sabhi yahi kosis karte ki jyada se jyada time sujal kashish akele bitaye... aur aise hi

dekhte dekhte sangeet ka din bhi aa gaya...

aaj sujal aur kashish ka sangeet hai... pura sinha house phulo aur lights se saja hai... aisa lag raha hai mano

jannat me aa gaye ho...sujal black sherwani me stage par baitha hai... tabhi kripa aur charu kashish ko le

kar aate hai... usne white colour ka lehnga pehna hai... sujal bas kashish ko dekh raha tha bcz wo bahut

khubsurat lag rahi thi...

angad:- oh sujal tune wada kark meri sadi me dance nahi kiya... par main tere jaisa nahi hun, dekh main tere

sangeet ko kaise yaad gaar banaat hun... ( sujal smiles )

angad dhol leke aata hai...

dadi:- oye angad puttar, yeh hui asli punjabiyon waali baat... chaq de phatte... pure shimla ko pata chal jaye

ki krishna garewaal ke pote sujal garewaal ka sangeet hai...

Dholak me taal hai, payal me chanchan...
ghunghat me ghori hai... shehre me saajan...
jahan bhi yeh jaayein... baharien hi chaayien...
yeh khusiyaan hi paayein... mere dil ne dua di hai
mereee yaarrr ki sadi hai...
mereee yaarrr ki sadi hai...
( angad dholak baja kar dance karne lagta hai )

Dholak me taal hai, payal me chanchan...
ghunghat me ghori hai... shehre me saajan...
jahan bhi yeh jaayein... baharien hi chaayien...
yeh khusiyaan hi paayein... mere dil ne dua di hai
mereee yaarrr ki sadi hai...
mereee yaarrr ki sadi hai...
( ab priya, rishi, akki aur angad bhi dance kar rahe hai aur angad ga raha hai)

pyar mila, preet mili, mere yaar ko...
badi pyari jeet mili, mere yar ko...
khush hai jo dilll, maine mehfill...
khush hai jo dilll, maine mehfill...
geeto se saja di hai...
mereee yaarrr ki sadi hai...
mereee yaarrr ki sadi hai...
(now abhi center me khada hai aur kashish k liye ga raha hai )

haar nahin, jeet nahin... jahan pyarr hai...
jisme haar jeet ho, wo kahan pyar hai...
haar nahin, jeet nahin... jahan pyarr hai...
jisme haar jeet ho, wo kahan pyar hai...
lag ja gale... yar mere...
lag ja gale... yar mere...
maine dil se sada di hai...
( angad sujal ke gale lag jata hai)

mere yaar ki sadi hai...
mere yaar ki sadi hai...
( now angad is dancing )

kashish( with tears in her eyes):-
ah ah ah ah aha ahaha aha
sathi... sakhiyaan... bachapan ka yeh angna...
gudiyaan... jhule...koi bhi to hoga sang na...
chhupaungi aaunshun kaise.. bhigenge kangna

sathi... sakhiyaan... bachapan ka yeh angna...
gudiyaan... jhule...koi bhi to hoga sang na...
chhupaungi aaunshun kaise.. bhigenge kangna
sathi sakhiyannn... reee...

(abhi kashish ke kareeb jata hai ):-
sathi sunley... bole jo yeh angnaaa...
yeh mann... jeevan... pyar k hi rang me rangna...
has degi teri chudi ... khankeinge kangnaa...
sathi sunley... reee...
( kashish hugs abhi & all r smiling sujal also respects their frndship )

mere yaar ki sadi hai...
mere yaar ki sadi hai...
mere yaar ki sadi hai...
mere yaar ki sadi hai...
(all r dancing like crazy aur sujal sab ko dekh kar bahut khush hai aur yeh soch raha hai ki uske sirf 1 decision ne

sabko kitani khusi di hai)
movie:- mere yaar ki sadi hai

next day...
subah ko kashish ki haldi ki rasm hoti hai jo bahut hi achhi tarah nipat jati hai aur sham ko mehndi ka fuction hai

, Aaj ka din Kashish ki zindagi ka sab sekhaas din hai...aaj sabhi ladkiyon ne bachpan se ek sapna dekha hota

hai...apne pyaar ke naam ki mehndi ka...aaj woh din Kashish ki zindagi me bhi aa gaya hai...Kehte hai ki

Dulhan ki mehndi ke rang chadte hi beti parayi ho jati hai...Betiyaan waise bhi hoti to paraya dhan hi

hai...kisi na kisi din to babul ka aangan chod ke saajan ke ghar to jana hi hota hai...aur jab saajan apna

pyaar ho to baabul ki judaai ka gumm kam ho jata hai...aur kashish ne to bachpan se hi is din ka khwaab

dekha tha aur aaj wo haqeeqat ban gaya hai... bahut hi kam naseeb wale hote hai... jinke hanthon me unke pyar k

naam ki mehndi lagti hai... aur kashish aaj bahut khush hai... sabhi use gane k liye force kar rahe hai ...

kripa:- kashish ga de... dekh yeh din teri zindagi me pehli bar aaya hai... phir aisa mauka nahi milega apne

dil ka haal bayan karne ka...

kashish:- kya di sab kya sochenge... mujhe sharm aa rahi hai...

dadi :- are puttar sirf ladies hi to hai ga de... prerna tu hi kuchh bol apni hone wali bahu nu...

prerna:- beta sab keh rahe hai to ga do...

dadi:- ab to tujhey gana hi padega...

mehek:- haan bhabhi... kyuki prerna aunty ki baat sujal bhaiya k liye patthar ki lakeer hai...

...

dhanak ka rang hai bhikhra... mere dupattey pee...
sari khusbooo meri bahonnn... me simat aayiii hai...
paaon padte nahiin...zameen pe mere...
mujhme ajeeb si masti yeh.. umad aayiii hai...
( sab kashish ko dekhe jaa rahe hai kyuki wakai aaj wo pure dil se ga rahi hai )

aaj lagta hai... main hawaao mein hu ...
aaj itani khushi mili hai...
aaj bas mein nahi hai... mann ye mera
aaj itani khushi mili hai...
aaj lagta hai... main hawaao mein hu ...
aaj itani khushi mili hai...
( kripa kashish k pass jati hai jo bade pyar se uske chehre ko chuti hai..)

ahhh ah hhh ohhh ohhh ohhh ohhh oh oh
hayaan ki shokhiyannn lipati hai... mere aanchal see...

hayaan ki shokhiyannn lipati hai... mere aanchal se...
hayaan ki shokhiyannn lipati hai... mere aanchal se...
aisa lagta hai main dulhan hun baniii...
aaj itani khushi mili hai...

aisa lagta hai main dulhan hun baniii...
aaj itani khushi mili hai...
( kashish ja kar tulsi k gale lag jati hai aur bahut hi jyada bluss kr rahi hai... ise dekh kar koi bhi keh sakta hai ki

kashish kitani khush hai)

wo ek pal ki mulakaat ... rang laayii hai...

wo ek pal ki mulakaat ... rang laayii hai...
wo ek pal ki mulakaat ... rang laayii hai...
umra bhar k liye... mehmaan bani...
aaj itani khushi mili hai...
( prerna kashish ke pass aati hai, aur uske sir par hanth rakhti hai, prerna ko kashish k dil ka haal bakhubi pata

hai, kyuki wo jaanti hai ki kashish sujal ko kitana chahti hai , kashish uska ashirwaad leti hai aur dadi ka bhi)

umra bhar k liye... mehmaan bani...
aaj itani khushi mili hai...
aaj lagta hai... main hawaao mein hu ...
aaj itani khushi mili hai...
( kashish anjali ke gale lag jati hai...)

aaj itani khushi mili hai...
aaj itani khushi mili hai...
aaj itani khushi mili hai...
aaj itani khushi mili hai...
( kripa aur charu akar kashish ko apne gale se laga lete hai )
movie:- Tumsa nahin dekha

end of part 11
plzzz do comment...
with love chandni...
**********************************************************
**********************************************************

Aamnakideewani thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 3
Posted: 10 years ago
very nice part [U][/U] plz update soon and I want more sk scenes
Edited by sensitivesheela - 10 years ago
love_sujalkash thumbnail
Posted: 10 years ago
part 9:bht sad part tha sujal ko arohi ki yaad dila di...or accident b bht bura hua😭 sujal apni ankhon k samne se apny pyar ko nhi bacha paya...arohi chali gai sujal k pas apni yaadein chor kr😭😭😭
part 10:
sujal k liye kashish ka hath manga gya ye scene mjy bht pasnd aya...or sujal maan b gya kashish k to dil ki khawaish puri hogai sb bht khush b thy...vry nyc sis😊
part 11:
so sujal kashish k shadi hone ja rhi hai👏👏👏 dekhna kashish apny pyar se sujal ko bdl he dy gi...sujal or kashish ki dressing bhi mjy bht psnd i❤️ sb kuch kashish ny dsgn kiya nA😉
great part sweetu sis...i really enjoy ur fic...
claappp 4 uHhh👏👏👏 keep it up
cont soon dear😊
ambersaleem thumbnail
Explorer Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 10 years ago
nice part 😊😊 bt shadi q nhi hui???? but engajment or sangeet dono hi bohat ache the sare songs bohat nice 😊😊 and thank god sujal khush to hua 😊😊 keep it up 👏 cont soon
nilusoni thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 3 Thumbnail
Posted: 10 years ago
Superb part loved it
Sk wedding functions were really awesome and full of masti
Thanks for pm
Plz pm me for next part
Continue soon
neetha thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 3
Posted: 10 years ago
nice update dear :) pls hav more romantic sk scenes now...we love sk romance...;)
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
thanks everyone for liking part 11... keep reading and keep smiling...
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
*** sk- Pure love ***
part 12


next day...7 february

Aaj ka din woh hota hai jo sab ke aankhoin me sapne leke aata hai...Dulhan ne bachpan se ek sapna dekha hota hai ki kab woh badi hogi aur uske ghar uska pyaar doli leke aayega...her ladki ke maa-baap ne beti ke paida hone pe ek sapna dekha hota hai apni beti ke kanyadan ka...Dulhe ne bhi ek sapna dekha hota hai apne pyaar ko dulhan ke jode me dekhne ka...her ladke ke maa-baap ka sapna hota hai ki ek din uska beta ghode pe chad ke uske ghar ki bahu leke aayega...Shaadi ke is do ghante ki rasam me bahot se naye rishtey janam lete hai...in rasmo me sabse jyada parivartan aata hai to woh hai ladki ki zindagi me...apna ghar, apne maa-baap, apna parivar yaha tak apni pehchaan ko bhi piche chod ke paraye ghar chali jati hai...ek anjaan aadmi ka haath tham ke use apna pati bana leti hai...kya janti hai woh us anjanabee ke bare me kuch bhi to nahi...lekin ek umeed ke saath woh uski zindagi me aati hai kahi na kahi woh apne pati ke dil me ek choti si jagah bana le to uska jeevan safal ho jaye...shaadi ka matlab do jismo ka milna to nahi hota...shaadi ka asli matlab to do aatma ka do dilo ka milan hota hai...

aaj kashish ka wo sapna pura hone jaa raha tha jo usne 8 ya 9 saal ki umra me dekh liya tha... sujal ki dulhan banne ka khwaab ... aur yahan anurag aur dadi ki khusiyon ka thikana nahi tha kyuki aaj unka beta ghodi chadega aur apni dulhan ko le kekar aayega... aur prerna wo kisi ko jata nahi rahi par sayad kashish k baad wo pehli insaan hai jo sabse jyada khush hai... aur ab use pura yakeen hai ki ab sujal ki sari balaaye kat jayeingi... ab uska beta surakshit rahega... aur use itana pyar karne wali patni mil rahi hai... uska beta bahut naseeb wala hai...

kripa aur charu kashish ko uske kamre me taiyaar kar rahe hote hai...

charu: Haye subanallah...kya lag rahi hai aap...aaj to aapko dekh kar jiju behosh ho hi jayenge...

kripa: uff yeh ladki bhi...agar tere jiju hi behosh ho jayenge to kashish se shaadi kaun karega...

charu: main hoon naa...main karungi itni soni kudi se shaadi...

tulsi: dekh rahi hoon...meri betiyaan kitni badi ho gayi hai ki aaj main apni dusri rani ko bhi vida kar dungi...

Kashish: mama...main thik to lag rahi hoon na...

tulsi: Meri beti to aaj bahot hi khubsurat lag rahi hai...kisi ki nazar na lage...shaadi se pehle ek maa apni beti se kuch baatein karti hai... yehi sab maine kripa ko bhi kaha tha ...aaj main tujhe bhi kuch baatein batane aayi hoon...ek aise hi din pe meri maa ne mujse jo kuch kaha tha woh aaj main tumhe kehne ja rahi hoon...shaadi ke bad ek ladki ka sabse pehla rishta apne pati se hota hai...pati ki khushiyaan me hi patni ki khushiyaan hoti hai...apne pati ke sukh dukh me saath dena tumhara farz hai...apne pati ko zindagi ki her musibat se bachana tumhara jeevan ka lakshay hai...kabhi bhi kisi ko sikayat ka moka mat dena...apne dil se apne pyaar se us ghar me tumhe apne liye ek jagah banani hai...aaj tum apna ek ghar basane ja rahi ho lekin hum ghar basate nahi hum to khud us ghar ke her ek khone me bas jate hai...ghar ke chote chote khone se tumhe khushiyaan dhundh ke sabke saath mil batni hai...aaj se Sujal hi tumhare liye sab kuch hai...

Kashish: Mama...main aapse vaada karti hoon ki meri ore se kabhi aapko sikayat ka moka nahi milega... main apni orr se puri koshish karungi Sujal ko khush rakhne me...mujhe aap sab ki bahot yaad aayegi...

mihir: yaad to hum sabko bhi bahot aayegi...main to batana hi bhool gaya...abhi abhi anurag ka phone aaya tha ki woh log barat ko leke nikal rahe hai,,,,,,,,,,,

tulsi: chalo chalo...jaldi se sab taiyaar ho jao...

Sab log taiyaar hone lagte hai...

Chalo chal ke dekhte hai ki Hotel me kya ho raha hai...yaha par to puri chahel pahel machi huyi hai...sab log Sujal ka ghode pe chadne ka intzaar kar rahe hai... sujal ne cream coloure ki sherwaani pehni hai... aur usme red brown colour ka stoll hai...

Prerna: Sujal...kise dhundh raha hai...ghode pe chath hume dair ho rahi hai...

Sujal; Mumma...yeh Rishi, akki, jiju aur di kahi dikhai nahi dete...

Prerna: kamal hai...abhi to yahi the maine sabhi ko dekha tha ek saath...pata nahi kaha chale gaye... anuraag aap zara dekhiye na unhe...

Jab kahi se dhol aur shehnai ki aawaz aati hai...

Chhote Chhote Bhaiyon Ke Bade Bhaiya, (rishi, akki, kavya aur anjali dhol ke saath aate hai)

Aaj Banenge Kise Ke Saiyan, (anjali sir pe dupatta dal ke Sujal ke pass sharmake aa rahi hoti hai)

Dhol Nagade Baje Shehnaiyan, (Beech me angad zor se shehnai bajata hai)

Jhoom Ke Aai Mangal Ghadiyan...(sab log zor se hasne lagte hai)

Bhabhi Ke Sung Holi Mein, (anjali thal me gulal lati hai)

Rang Gulaal Udayenge, (Rishi hawa me gulal udata hai)

Aayegi Jab Jab Diwali, (angad akki ke piche fatake rakhta hai)

Milkar Deep Jalayenge, (fatake futne ki aawaz se akki darr jata hai)

Chunri Ki Kar Degi Chhaiyan, (akki waha se jane lagta hai jab Rishi aur angad ladkiyon ki tarah dupatta dal ke aate hai)

Aayegi Banke Purwaiyan, (Sujal aise hi sharma jata hai aur hairaan bhi )

Chhote Chhote Bhaiyon Ke Bade Bhaiya, (anjali Sujal ki nazar utarti hai)

Aaj Banenge Kise Ke Saiyan...(Anurag hawa me paise uda raha hota hai)

Jhilmil Ho Gayi Hain Ankhiyan, (Sujal ko aise khush dekh ke akki ki aankh bhar jati hai)

Yaad Aayi Bachpan Ki Ghadiyan, (rishi aur anjali akki ke aanshu pochte hai)

Naye Safar Mein Lag Jayegi, ( akki rishi aur angad Sujal se gale lagte hai)

Pyar Ki Inko Hathkadiyan, (Sujal akki aur rishi ke haath pe pair rakh ke ghode pe chadta hai)

Jachte Hain Dekho Kaise Bade Bhaiya, (akki ghode ko aage - aage chala raha hota hai)

Ramji Bihane Chale Sita Maiya, (rishi dusri aur se Sujal ke sir pe woh chata rakhta hai)

Chhote Chhote Bhaiyon Ke Bade Bhaiya, (anjali jake prerna , dadi aur kavya ko lekar aati hai)

Aaj Banenge Kise Ke Saiyan, (sab log nachna shuru karte hai)

Dhol Nagade Baje Shehnaiyan, (anurag aake sab ke sir se paise udata hai)

Jhoom Ke Aai Mangal Ghadiyan...(aur aise hi barat nikalti hai)

barat sinha's ki cahukhat par aati hai mihir sabhi ka swagat karta hai aur tulsi aake sujal ki aarti karti hai aur tabhi kavya kehta hai...

kavya :- sambhal kar sujal...

sujal:- kyun ?( tabhi tulsi joro se sujal ki naak khichati hai , sujal ko samajh nahi aaya ki kya hua )

angad:- abe aise kya dekh raha hai, meri bhi khichi thi, har saas ka haq hota hai...

sujal:- oh!! ok

phir sab ander jate hai aur sujal mandap par baithta hai... aur pandit ji sadi ki rasm suru karte hai aur thodi der bad kashish ko bulaya jata hai

ek pal ke liye Sujal ke dil ki dhadkan tham si jati hai... kashish ne dark red colour ka lehnga pehna hai... Kashish Sujal ke samne aake khadi hoti hai...sharam ki waje se Kashish ki aankhein num hoti hai...anjali dono ke haath me varmala deti hai...Kashish Sujal ko pehnane jati hai ki rishi aur akki aake sujal ko upar utha lete hai...

charu:- are yeh kya sujal jiju ko neeche utaro warna humari di warmala kaise dalegi...

akki:- ji nahi agar aapki di ko varmala dalna hai to sujal bhai tak pahuchna hoga, humare sujal bhai nahi jhukenge...

kripa:- angad ... abhiii... ( aur angad aur abhi ja kar kashish ko upar utha dete hai aur kashish varmala dal deti hai then sujal bhi kashish ko varmala dal deta hai)

rishi:- yeh kya angad bhaiya cheating ha... aap ne party badal li...

angad:- are nahin nahin , yar biwi ka order aur kashish meri sali bad me behen pehle hai...

Ab Shaadi ki sari rasme shuru hoti hai,... mihir aur tulsi Kashish ka kanyadan karte hai... mihir Kashish ka haath Sujal ke haath me deta hai...

Pandit jee: aaj se aap vachan le rahe hai ki aap apni patni ka haath shukh dukh me thame rahenge...

Sujal: main vachan leta hoon ki zindagi ke her kadam pe main Kashish ka haath thame rahunga,,,,,,,,

kripa aake Sujal aur Kashish ka gath-bandhan karti hai...

Pandit jee: ab aap sab phero ke liye khade ho jaye...

Sujal aur Kashish phero ke liye khade hote hai,,,,,,Sujal abhi bhi Kashish ka haath thame huye hota hai,,,,,,dono phero lena shuru karte hai...sab unpe phool barsa rahe hote hai...aakhir main phere pure ho jane pe Pandit jee Sujal ko mangalsutra dete hai...

Pandit jee: ab aap apni patni ko mangalsutra pehna dijiye...yeh mangalsutra ke kale moti aapke shaadi ke bandhan ko buri nazar se bachayenge...

Sujal Kashish ko mangalsutra pehna deta hai...

Pandit jee: ab is sindoor se apni patni ki mang bhar dijiye...yeh sindoor ek patni ke liye shaadi ka pratik hota hai,,,,,,,

Sujal Kashish ki mang me sindoor bhar deta hai...

Pandit jee: Beti...yeh aaj se tumhare gehne hai...iski izzat karna tumhara kartavaya hai...sindoor aur mangalsutra me bahot taqat hoti hai,,,,,,,kisi bhi musibat ka samna kar sakte hai...

Kashish: main vachan leti hoon ki pure dil se is sindoor aur mangalsutra ki izzat karungi...

Panditjee: aaj se aap dono pati-patni hai...aaj se aap dono ek nayi zindagi ki shuruaat karonge...jake bado ka aashirwad le lo...

Sujal aur Kashish sabhi bado ke pair chute hai...

thodi der baad Sujal apne joote dhundh raha hota hai...

charu:- kya hua jiju...kahi aap ise to nahi dhundh rahe,,,,,,,

Sujal: haa ise hi to...lekin tumhare pass kaise aaye...

charu: uffo...jiju aap ko to kuch nahi pata...inpe to her sali ka hakk banta hai,,,,,,,

akki: ek minute Bhai...mere hote huye yeh kabhi nahi ho sakta... charu joote wapas karo...

charu: pehle nek phir joote...

rishi : nek kaisa nek...hum koi nek vek nahi denewale...

charu: nek to aaplog zaroor donge aur woh bhi 10000... awarna meri kashish di yahan se nahi jayegi.

kripa:- aur main bhi nahin...

angad:- kya

kripa:- angad nek nikalo

rishi:- oye kripa bhabhi aap big b ki sali nahi ho, aap kashish bhabhi se bade ho, aapko koi nek nahi milega

kripa:- to mujhe kon sa chahiye main to charu k liye bol rahi hu

Sujal paise nikal ke kripa ko deta hai...lekin kripa sirf 100 rupee leti hai...

Sujal:- kripa yeh kya...

kripa: hume paise nahi... sujal hume kashish ki khushiyaan chahiye...hum chahte hai ki tum kashish ko woh sari khushiyaan do jo maine kashish ki aankhoin me dekhi hai...aur ho sake to kashish ki aankhoin me kabhi aanshu na aaye...

Sujal: main Kashish ko sari khushiyaan dene ki puri kosis karunga...

charu: thank you ...

ab kashish ki baidaayii ka waqt ho gaya hai... kashish k aanshun rukhne ka naam nahi le rahe the aur mihir aur tulsi bhi bahut ro rahe the

babul jo tumne shikhaya... jo tumse paya
sajan ghar le chali...
sajan ghar main chali...sajan ghar le chali...
yadon ke lekar saaye... chali ghar paraye...
tumahri laadli...

kaise bhul paungi main babaaa... suni jo tumse kahaniyaan...
( kashish mihir k gale lag kar ro rahi hai aur mihir bhi)

chhod cahli aangan me maiya... bachapan ki nishaniyaan...
( kashish tulsi ke gale lagi hui hai aur betahasha ro rahi hai )

sunn meri pyari behnaa... sajayeee rehna... ki babul ki galiii...
( charu kashish k gale lag kar ro rahi aur kripa dono ko sambhalti hai)

ban gaya pardesh... ghar janam ka... mili hai duniyaan mujhe nayiii
naam jo piya se , maine joda... naye rishto se judd gayiii...
( kashish sujal ke bagal me khadi hai aur apne pariwaar ko dekh rahi hai)

mere sasur ji pita hai...
pati devta hai...
dever chhavi krishna ki
( ab kashish ka sab kuchh sujal aur uska pariwaar hi hai)

sajan ghar main chali...
sajan ghar main chali...

sajan ghar main chali...
sajan ghar main chali...

movie:- hum aapke hain kaun

ab kashish sujal ki car me hi baith kar airport tak aati hai angad ne sara saman chek in karwa diya hai aur ab sabki flight ka time ho gaya hai aur kashish ab sujal ki patni k roop me pehli baar mumbai apne ghar aati hai...
kashish aur sujal darwaje me khade hai... anjali aarti ki thal lati hai, kripa chawal wala kalash aur mehek kumkum wala thal... prerna dono ki aarti kark , tilak karti hai aur phir kashish us chawal wale kalash ko gira kar kumkum wale thal me kadam rakhkar sujal k sath grah pravesh karti hai... kashish apne ghar ko bade pyar se dekh rahi hai... ab se yahi uski duniyan hai...

sujal aur kashish sabhi bado ka ashirwaad lete hai, aur kavya unhe switzer land ki tickets deta hai... unke honey moon ke liye sujal aur kashish jaa kar kavya aur anjali ke pair chhute hai... aur phir rishi sujal aur kashish k pair chuta hai...

anjali:- chal akki jake bhabhi k pair chhu

rishi:- 1 minute, big b ka to samajh me aaya par akki bahiya to bahbhi se umra me bade hai, to bahbhi k pair kaise chhu sakte hai...

dadi:- oye khote... akki sujal se umra me chhota hai... isliye rishtey ab kashish akki se badi hui kyuki wo sujal ki ardhangini hai ab...

akki jakar sujal aur kashish dono ke pair chhuta hai aur unhe gifts bhi deta hai

anurag :- sujal ab kashish ko apne room me le jaa

sujal;- ji papa ... chalo kashish

sujal aur kashish jane lagte hai

angad:- are re re kya sujal tu bhi na , apni patni ko aise le jate hai kya, apne kamre tak ...

sujal:- to kaise le jate hai...

angad:- jaise main aur kavya bhai lekar gaye the...

sujal:- ab mujhey kya pata ki tu aur jiju kaise lekar gaye the , main thodi na wahan tha...

angad :- tu na ullu hi rahega...

sujal:- oyeee

kavya:- are bas kar... sujal aaj k din tumhe kashish ko apni baahon me utha kar apne kamre tak le jana hoga...

sujal:- kya... yeh kahan likha hai...

angad:- oyee... likha nahi hai... karna padta hai...utha warna mumma ko bulau...

sujal:- are nahi... uthata hun...

sujal kashish ko uthta hai kashish ki to mano saans hi gale mein atak gayi thi aaj pehli baar wo sujal k itane kareeb thi... wo sujal ki khushboo mehsoosh kar paa rahi thi... jab sujal apne kamre k door k pass pahunchta hai to dekhta hai ki... anjali aur mehek uska wait kar rahe they... darwaaje ko block kark...

sujal:- ab kya hua hato mujhey andar jana hai...

anjali:-itani jaldi hai... pehle mera nek , warna yunhi kashish ko liye khade raho...

sujal:- ab kaheka nek... ajeeb ho yaar sab...

anjali:- ye dwaar chhekaaii ka nek hai ... har 1 behen ka haq hota hai...

mehek:-sujal bhaiya jaldi nikalo

sujal:- okkk, di mere left pocket mein hai nikal lo, baki bad me de dunga...

anjali sujal ki jeb me hanth daal kar paise nikal leti hai ,,,,,,,, aur dono wahan se chale jate hai... sujal kashish ko room me lata hai... room bahut hi khubsurat saja hua tha... jaise kisi sahjade ka ho ... aur floating cented candles atmosphere ko aur bhi romantic bana rahi thi... jahan kashish ko sab sapna sa lag raha tha ... wahin sujal bahut hi uncomfortable feel kar raha tha...

sujal ja kar darwaja lock karta hai aur kashish k pass aata hai... wo cupboard me jakar 1 box lata hai aur kashish ko deta hai...

kashish:- yeh kya hai...

sujal:- wo di ne diya tha kaha tha ki tumhe aaj dedu...

kashish:- ohhh

sujal:- main change kark aata hu ... tum bhi kar lo...

aur sujal wahan se chala jata hai kashish wo box kholti hai usme bahut hi khubsurat daimond neckless hota hai kashish ja kar use dressing table pe rakhti hai aur apni jwelleries utarne lagti hai... tabhi sujal wash room se bahar aat hai aur kashish apne kapde lekar wash room chali jati hai... thodi der bad jab kashish bahar aati hai to dekhti hai ki sujal khidki k pass khada asmaan ko dekh raha tha... kashish k chehre pe smile aa gayi wo sujal k pass gayi aur uske kandhe pe hanth rakha...

sujal:- kashish wo...

kashish:- mujhey pata hai sujal aap kya kehna chahte hai... aapko jitana samay chahiye aap le sakte hai... main apni zindagi ke akhiri din se 1 din pehle tak aapka intezaar karungi... ( sujal ko samjh nahi aaya ) kyuki us akhiri din aap sirf mere honge ... ab chaliye so jaiye...

sujal jakar apna pillow uthata hai aur sofe ki taraf jane lagta hai...

kashish:- are yeh aap kya kar rahe hai...

sujal:- sone ja raha hu ... sofe par...

kashish:- sujal aap bed pe so sakte hai...

sujal:- nahi kashish... its ok...

kashish:- sujal mujhey koi prblm nahi hai bed share karne me...

sujal( with smile ):- kashish main wo kaam hargiz nahi karta... jise karne k liye mera dil gawaahi na de... meri maryada abhi yahin tak hai... good night...( aur aankh band kar k sofe pe late jata hai )

kashish to herself :- aapki inhi baaton par mujhey aur jyada pyar aata hai sujal... aap sabse alag hai... (kashish cupboard khol kar ek blancket laakar sujal ko udha deti hai... aur khud ja kar bed pe so jati hai...)

next morning...
kashish apni aankh kholti hai aur use sujal saamne sofe pe sota hua dikhayi deta hai...

kashish to herslf:- itani achhi subah aaj pehli baar hui hai... hey bhagwaan bas yahin dua hai ki... aaj ke baad mere har 1 din ki suruaat isi chehre ko dekh kar ho aur meri har din ka ant bhi... ( she smiles and left to wash room)

thodi der bad jab kashish aati hai to dekhti hai ki sujal abhi bhi so raha hai... kashish dressing table me baith kar ready hone lagti hai jab wo apni mang me sindoor bharti hai to mirror se sujal ka chehra dekh kar bharti hai... aur phir puri tarah se ready hone k baad wo sujal k kareeb aati hai...

kashish:- sujal...sujal...

sujal:- hmmm

kashish:- sujal uth jaiye subah k 8 baj gaye hai...

sujal:- hmmm... ( aur again so jata hai & kashish smile...)

kashish:- sujal uthiye na... mumma bula rahi hai... ( sujal turant uth jata hai...)

sujal:- kahan hai mummaa...

kashish:- mumma kahin nahin hai,,,,,,,, but ab aap uth jao... sab neeche humara wait kar rahe honge aap taiyaar ho jayieye main neeche jati hun...

sujal:- hmmm... main bas 10 minute me aaya ... ( sujal apne kapde nikalne cupbord ki taraf jata hai )

kashish:- sujal wo maine aapke kapde nikal diye hai... bed pe rakhe hai...( sujal looks at bed & smile) aur gisher bhi on hai... main neeche hun... ( kashish left down stairs & sujal to wash room )

kashish neeche jaakar sabhi ka aashirwaad leti hai... aur kitchen me jati hai jahan prerna aur anjali hai... kashish kaam karne ko kehti hai par prerna mana kar deti hai... aur use bahar bhej deti hai... thodi der baad sujal aata hai... wo bhi sabhi bado ka ashirwaad leta hai aur sabko morning wish karta hai... then sabhi breakfast kar rahe hai...

akki:- sujal bhai aapne kya socha hai...

sujal:- kis bare me akki...

akki:- are switzer land k bare me... kal jiju ne aapko tickets diye the na...

sujal:- han... par wo free tickets hai... is week kam bahut hai office me sadi ke kaaran 9 din se office me koi nahi gaya ... pehle office kam khatam ho jaye fir sochunga...

dadi:- are tu na... budhdhu hi rahega... sadi k dusre din koi office jata hai kya?...chal ab kal hi kashish ko lekar ghumne ja ...

sujal:- par dadi wakai kaam hai...

dadi :- mujhe kuchh nahi pata... kashish k bhi to kuchh armaan honge...

kashish:- are nahin dadi... aisa kuchh nahi hai... agar inhe kaam hai to hum baad me chale jayeinge... plzz rehne dijiye...

dadi:- yeh kya ... tu to isi ka sath degi...

anurag:-ma ab keh raha hai to rehne dijiye hagle hafte chale jayeinge dono... tab tak hum bhi apni bahu k sath kuchh time spend kar lenge... waise sujal aaj sham ko jaldi aa jana ab shadi to shimla me thi isliye aaj reception rakha hai... aur mihir tulsi bhi aa rahe hai...

sujal:- ok papa...

sujal apne kamre me hai... kashish aakar uska rumal aur watch deti hai... aur uska bag bhi...

sujal:- kashish... i m sorry par wakai kaam hai... hum next week jarur jayeinge...

kashish:- its ok sujal aap mujhey sorry mat kahiye... humare rishtey me iski koi jagah nahi... aur ha... mujhey pata hai... agar kaam na hota to aap kabhi mana na karte... ( sujal smiles & left )

aise hi pura din beet jata hai... dopahar ko kripa kashish ko phone bhi karti hai... puchhne k liye ki sab theek to hai na... to kashish use sab batati hai... kripa kashish k liye khush hai... ab sham ka waqt ho chuka hai party k liye bas adha ghanta reh gaya hai tabhi sujal aata hai...to dekhta hai ki kashish... dressing table par baith kar taiyaar ho rahi thi , usne red saari pehni thi aur wahi neckless pehna tha jo kal sujal ne use diya tha... kashish ki nazar sujal par padi...

kashish:- are aap aa gaye... aap bhi taiyaar ho jaiye main aapke liye chai lati hun... ( aur wo uth k jane lagti hai )

sujal:- nahi... its ok ... mujhey nahin chahiye... tum ready ho jao main bhi taiyar ho kar aata hu...

kashish ne sujal k liye already kapde nikal kar rakhe they sujal wo uthata hai aur wash room me chala jata hai...

jab sujal wash room se bahar aata hai to kashish use mirror se dekhti reh jati hai... kyuki sujal us black armani suit me bahut hi jyada hand some lag raha tha...

sujal:- kashish... tum ready ho sab humara wait kar rahe hai...

kashish:- ji... ji bas wo... ( wo apni palke jhuka leti hai)

sujal:- kya hua kashish... any problem...

kashish:- wo meri dori bandh denge... mujhse nahi ho raha... ( sujal ko samajh nahi aa raha ... but hi nods in yes )

kashish sujal ki taraf apna back kark khadi ho jati hai...aur uski palke jhuki hui hai... sujal mirror se kashish ko dekhta hai phir aahista se kashish ke khule hue baal hatata hai... aur uski dori bandhne lagta hai... jaise hi sujal ki fingers kashish ki skin ko touch karte hai... kashish ki body me 1 current sa daud uthta hai... uske aankhien apne aap band ho jati hai... aur sujal ye notice bhi karta hai... wo dori bandh deta hai...

sujal:- kashish... ( kashish opens her eyes) ab chale... ( kashish nods in yes ) kashish tum aaj bahut khubsurat lag rahi ho

kashish:- thankyou ... aap bhi bahut achhe lag rahe hai...

end of part 12
plzzz do comment...
with love chandni...
************************************************************
************************************************************

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: goodkashish

6 years ago

Kassir ...Sujal&Kashish...Part 28 - Pg 33

Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

28 days ago

The Unending Dream OS [Completed]

In Every Birth, Find Me The night air in Mathura was thick with monsoon rains. In her small room lit only by a flickering diya, Radhika drifted...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

29 days ago

Moh-Maya ~ MayRa OS [Completed]

Whispers of Maya The glass towers of Delhi glittered under the cold moonlight, but inside the corner office of Ruan Publications, darkness...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

2 months ago

Pyaar Ya Rebound? ~ Rumya SS [Completed]

Intro: Rudra fakes a relationship with his best friend Soumya to impress glamorous Bhavya-but ends up falling for the one girl who truly knew...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: desidillse

4 months ago

ArShi OS : Pyaar Ka Naghma {Completed} ArShi OS : Pyaar Ka Naghma {Completed}

[NOCOPY] P Y A A R. K A. N A G H M A. "Friends?" a little boy extended his hand towards a girl which she responded. They smiled and embraced...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".