PURE LOVE ~ Sujal Kashish~**Completed**Last part on page 41 - Page 6

Created

Last reply

Replies

293

Views

69.1k

Users

22

Likes

348

Frequent Posters

rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
#51
thankyou every one for reading... liking... and commenting on my fic... sorry for not able to reply on every comment but i m thank full from bottom of my heart ... thanks once again thankx alot

love chandni...

____________

Rajeev diwaani...
Edited by rkchandni - 10 years ago
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
#52

****Sk- Pure love***

part-5

tulsi:- are waah meri kashish to ab sapne bhi dekhne lagi hai... lagta hai kripa se pehle teri sadi ki baat karni hogi... ( tabhi kripa aati hai )

kripa:- ha mom... iski hi sadi pehle karwa do mujhse jyada utawali hai...

kashish:- nahi nahin... mumma aisa kuchh nahin hai... di aap bhi naa... ( aur kashish sarma kar apne kamre me wapas chali jati hai... par kripa kashish k mann ka haal achhey se samajh rahi thi )

kripa:- mom aap papa se bol do ki wo kashish k mumbai me rehne k bare me anurag uncle se kal hi bat karle...
( tulsi nods and left ... kripa also left to her room )


7:00 pm at garewaal office...

sujal apne cabin ki khidaki k paas khada aasmaan me chand ko dekkh raha tha... aur uski aankhon se aanshun gir rahe they... tabhi angad peeche se aata hai aur sujal k soulder pe hanth rakhta hai...

angad:- uski yaad aa rahi hai...?

sujal:- yaad use kiya jata hai angad jise hum kabhi bhul jaye... aur main aarohi ko kabhi nahi bhul sakta... kabhi nahi...

priya:- to kisne kaha ki tum use bhul jaao ( sujal and angad turns and found priya with tears )

angad:- priya tu kab aayi...?

priya:- bas abhi thodi der pehle hi ayi... to socha ki apne frnds se mil lu... ( sujal and angad both smils and hugs priya ) sujal main achhi tarah se janti hu ki aarohi tere liye kya thi... even tu kya hum se koi bhi use nahi bhul sakta... par sujal apni zindagi me aage badhne ki kosis to kar... tu aaj bhi wahi khada hai... jahan 2 &1/2 saal pehle tha...

sujal:- itana aasan nahi hai priya tum nahi samjhogi...

angad ( angry and concerned tone ):- tu kyun nahi samajhta... ab aarohi tujhe nahi mil sakti ( dhamake) bahut door ja chuki hai wo tujhsey... ( again dhamake ) mar chuki hai wo... ( sujal closed his eyes )

sujal ( with closed eyes ):- angad plzzz...

priya:- ha sujal angad is right... aur soch... tere ghar me akki k siwa tere aur aarohi k bare me kisi ko nahi pata... kyuki wo sab college ki baat thi aur hum sab hostel me the jab wo accident hua tha... soch abhi kuchh dino baad anjali di ki sadi hai... phir tere ghar wale teri saadi k bare me bhi socheinge... phir tu kya karega... (dhamake on sujal's face) kya saadi nahi karega... apne pariwaar apni mom ko mana kar dega... aur aarohi uske bare me soch usne to humesha teri khushi hi chahi hai... ( sujal hugs priya very tightly and crying bitterly... angad and priya too crying )

sujal:- to mujhey akela chhod kar kyun chali gayi wo... usne mere bare me ek baar bhi nahi socha...ki uske bagair main kaise jiunga...

priya:- sujal tujhey chhod kar jana aur tere paas rehne me uska bas nahi tha... kyuki maut par kisi ka bas nahi hai...

sujal:- main janta hu priya... janta hu main ... mujhey pata hai ki mere kuchh farz hai...( wiping his tears ) and i promise both of u ki main apni zindagi me aage jarur badhunga... aarohi k liye, mumma k liye, apni family k liye... ( priya and angad both smiles and wipe thier tears..)

angad:- thats like my boy... ab ghar chale... ( sujal nods with fake smile and 3 of them left for garewaal hous

in car:

sujal:- priya tum bhi aaj humare sath ghar chalo... sab sath me dinner kareinge... then phir main tumhe tumhare ghar drop kar dunga... ( priya smiles and angad winks to priya )

priya:- ohk... lets go...

3no jab ghar pahuchate hai to gate k paas pahuchte hi angad akki ko ek missed call deta hai aur akki sari lights off kar deta hai jaise hi sujal ander enter karta hai to hairan reh jata hai...

angad:- are sujal... yeh tere ghar me itana andhera kyun hai?...

sujal:- nahi pata yarr... dadi... mumma... dadi... ( tabhi lights on hoti hai aur sabhi ek sath sujal ko birthday wish karte hai... birthday song ga kar even priya and angad too... tabhi kavya aata hai ...) are jeeju aap kab aaye?

kavya:- bas abhi abhi... are bhai mere sabse fav sale ka birthday aur main naa aau... anjali se pitana hai kya mujhey... wish u very very very happy birthday sujal...

sujal:- thanks jeeju... ( they both hugs aur fir sabhi sujal ko wish karte hai... aur sujal jakar kar dadi anurag aur prerna ka ashirwaad leta hai )

rishi:- so lets cut the cake...

sujal:- to tune mujhsey jhuth bola tha...

rishi( with sute expression holds his ears with one of his hand ):- sorry big b...

sujal:- its ok...

phir sujal cake katta hai aur sabse pehle dadi aur prerna ko khilata hai hai baki sbahi members ko bhi... sujal bahut khush tha ki aaj prerna ne use kisi bhi baat k liye mana nahi kiya... party unhi chal rahi thi sabhi dance floor pe the... tabhi priya sujal k paas ati hai...

priya:- sujal chal lets dance...

sujal:- nahi priya... u go ahead...

priya:- oh common sujal plzz mere liye... aur aaj to tumhara birthday hai... tumhara dance to banta hai yarrr... (priya kheech kar dance floor par le jati hai... kuchh der baad bas sirf garewals priya aur khannas bas hai... sath kuchh v close family frnds bhi... )

kavya:- sujal... mujhey anjali ne bataya tha ki tum bahut achha gate hao... to aaj kuchh ga kar suna do yaar...

sujal( shocked ) :- are nahin - nahin jeeju... aisa kuchh bhi nahi hai... plzzz no way...

anjali:- oh sujal plzzz mere liye...

sujal:- no di...

anjali:- dekh sujal main kuchh din bad tujhsey is ghar se jaa rahi hu... plzz mere liye itana nahi kar sakta...

sujal:- par mujhey kuchh yaad hi nahi aa raha hai kaise suaa du...

kavya( to prerna):- mumma aap hi kuchh boliye na...

priya:- ha aunty plzzz

prerna:- ab sab itana keh hi rahe hai to gaa de BETA... ( sujal is just looking prerna... aaj mano use uske birthday par best gift mil gaya tha... akki bhi bahut khush tha... aur prerna sujal ki aakhon ki khushi samajh rahi thi... ki aaj uske 1 sabd ne sujal ko kitani khushi di hai...)

dadi:- ab to teri maa ne bhi keh diya hai... achha ab apni maa k liye hi kuchh ga de... sujal starts to sing )

Khusiyon ka di aaya hai... jo maanga wo paya hai...
Khusiyon ka di aaya hai... jo maanga wo paya hai...
aaj mujhey... meri maa ne... beta keh ke bulaya hai...

Khusiyon ka di aaya hai... jo maanga wo paya hai...
Khusiyon ka di aaya hai... jo maanga wo paya hai...
aaj mujhey... meri maa ne... beta keh ke bulaya hai...

ma meri maa... oh maaa oh meri maa...

puchh na mujhko... kitana rulati thi...
har ghadi pal... teri yaad aati thi...

puchh na mujhko... kitana rulati thi...
har ghadi pal... teri yaad aati thi...

seene se aake tune lagaya...sare dukho ko pal me mitaya...
tu na jane bin tere... maine kitana dard uthaya hai...

Khusiyon ka di aaya hai... jo maanga wo paya hai...
aaj mujhey... meri maa ne... beta keh ke bulaya hai...

ma meri maa... oh maaa oh meri maa...

maa mujhey tere anchal me rehna hai...
tham k ungli... tere sath chalna hai...

maa mujhey tere anchal me rehna hai...
tham k ungli... tere sath chalna hai...

pooja ka meri vardaan hai tu...
mere liye to bhagwaan hai tu...

har madir har murat me...
bas tera roop samaya hai...

Khusiyon ka di aaya hai... jo maanga wo paya hai...
aaj mujhey... meri maa ne... beta keh ke bulaya hai...

ma meri maa... oh maaa oh meri maa...

movie:- Beta

sujal ka gana sunn kar sabki ankhein bhar aayi thi... kuchh logo k liye to yeh sirf gane k alfaaz the par sujal k liye yeh sach tha... uski zindagi ka sach... aur uske apne bhi uska dard achhi tarah se samajh rahe the... par aaj bhi kisi ko prerna ka sujal ki is tarah k bartav ka karan nahi pata... thodi der bad sabhi apne ghar aur apne kamro ki taraf chale gaye...

next day... at night... mihir is talking with anurag... on phone...

mihir:- kaise ho anurag...

anurag:- main bilkul theek hu... tum batao kaise ho phone kaise karna hua... ghar sab kaise hai...

mihir:- main bhi bilkul theek hu aur ghar me bhi sab achhe hai... actually anurag tumsey 1 help chahiye thi...

anurag:- are mihir bolo na kya baat hai...?

mihir:- wo anurag... kashish agle hafte mumbai aa rahi hai 3 months k liye... actually uski waha training hai fashion desinging ki... to tu uske waha rehne ka intezaam kar dega...

anurag:- mihir... kaisi baat kar raha hai... kashish meri bhi beti hai... aur humare ghar me hoi rahegi...

mihir:- are nahi anurag... khamkha tujhey pareshani hogi... kisi flat ya ... ( anurag cuts him )

anurag:-tu pagal ho gaya hai...wo mere ghar me hi rahegi warna usey mumbai hi mart bhej... rahegi to wo mere hi ghar me warna mujhse bura koi nahi hoga... ( dono hi ghar k log dining hall me baithe hai sinha family mihir ki bat sunn rahi hai to... garewals anurag ki...)

mihir:-achha baba... theek hai... kashish tere hi ghar me hi rahegi... ( kashish is happily shocked and kripa presses her hand and winks...)

anurag:- aur ha... tu uski flight ki timing date aur no. msg kar dena sujal jakar kashish ko airport se pic kar lega... ( all garewals r smiling... sujal is too happy ki finally he is going to meet kashish after 12 years )

mihir:- achha theek hai... byeee

anurag:- byee

tulsi:- are yeh aapne kya kiya... kashish wahan unn sab ko pareshani hogi...

mihir:- tum to anurag ko janti ho... aur yakeen mano use koi pareshani nahi hogi... balki we sab bahut khush hongien...

tulsi:- itani hi achhi tarah se jante hai unhe... to 13 saal pehle jo hua wo na hota... ( mihir looks at tulsi with guilt)

kashish:- aisa kya hua tha papa...

mihir:- kuchh bhi nahi... achha jab tumhari flight ki ticket book ho jaye to no, time aur date anurag ko ya sujal ko msg kar dena... sujal tumhe airport se pic kar lega ... apni sabhi taiyaarian karlo...

kashish:- ji papa...

at garewal house...

dadi;- kashish aa rahi hai...?

anurag:- ji maa... uski koi 3 months ki training hai... isliye maine keh diya ki rahegi to wo yahi par humare sath... are bhai jab uska apna ghar hai... to phir hotel ya flat me kyun rahe... theek kiya na?

prerna:- ji ha bilkul theek kiya...

anurag;- sujal... kashish flight ki details msg karegi to use jakar pick kar lena dhyan se ha... wo first time mumbai aa rahi hai...

sujal( with smile ):- ji papa dont worry...

dadi:- achha hai ki wo aa rahi hai... maine suna hai tulsi se ki kashish bahut hi sunder hai... aur anjli ki sadia ur sagai me bhi yahin hogi to bahut help ho jayegi humari... kyun prerna...

prerna:- ji maa aapne sahi kaha...

akki:- ha dadi... aur bachapan me hum sab kitane achhey dost bhi hua karte the na

anjali:- ha akki u r right... aur the nahi hum aaj bhi dost hai... (all smiles... and after dinners retire to their respective rooms )

sinha house... kashish room...

kashish:-oh di i m so happy ... main pure 3 mahine sujal k sath rahungi

kripa:- oh... madam.. aap uske ghar me raheingi... uske kamre me nahi... isliye itna khush mat hoiye ( kashish makes a puppy face) aur waha apne kaam pe bhi dhyan dena sirf sujal pe hi nahi...

kashish:- kya di aap bhi...

kripa:- sunn... in dino me sujal ko achhi tarah se jaan lena... uske dil me tere liye kya jagah hai yeh bhi aur ahar nahi hai... to bana lena... kyuki tu uske bina nahi jee payeigi... bachpan se dekhti aa rahi hu tujhey... tu sirf uski yadon k sahare uske intezaar me jee rahi hai... samajh rahi hai na main kya keh rahi hun...

kashish:- ji di... aur ha aap k liye bhi uska koi dost dhundh lungi...

kripa:- chal hatt ( both hugs)

Aur aise hi kuchh din beet gaye... ab kashish ko kal subah ki flight se mumbai jana hai... sabhi gharwalo ne use khub sare instructions diye... par kashish ki muskaan aur nervousness dono hi badhti ja rahi hai... kyuki finally kashish bas kuchh ghanto k baad sujal se milegi... kashish ne 2 din pehle hi sujal ko apni flight ki details de di thi... par yahan humare sujal sahab ko yeh yaad hi nahi ki kal subah use kashish ko lene 11 am ko airport jana hai...

next morning...
its already 11 am aur kashish ki flight bhi bas 5 minutes pehle hi land hui hai... wo bahut besabari se sujal ka wait kar rahi hai... aur use is bat ka bhi dar hai ki wo sujal ko pehchanegi kaise kyuki usne sujal ko bachpan me dekha tha... kahin wo kisi aur ko hi sujal na samajh le...

garewaal office...

sujal apne cabin me baitha apne system me kuchh kam kar raha tha... aur angad uske samne baitha tha...

angad:- sujal apna phone de na yar... mujhey 1 msg karna hai pata nahi mere phone ko kya ho gaya hai... ( sujal gives angad sujal k phone k msg option me jata hai to use inbox me kisi ladki ka msg dikhta hai aur wo sujal ko chidane k liye wo msg zor se padhta hai... )

msg:- Reaching mumbai... as on 23 october, via flight no 056231 at 11 am- kashish...
sujal ke yeh sunn kar hosh hi udd gaye usne apni watch dekhi jo alreay 12:30 pm bata rahi thi... fir usne apne system din aur date dekha... wo shocked reh gaya...

sujal:- oh!!! know... kashish...

angad:- kya hua chilla kyun raha hai... aur yeh kashish kaun hai aur yeh msg... ( sujal snatched his phone)

sujal:- angad mujhey kashish ko recieve karne airport jana tha 11 baje aur abhi 12:30 baj chuki hai... aur main ghar pe batana bhul gaya ki kashish aaj rahi hai...

angad:- abe jab tujhey khud nahi yad to ghar pe kya batayega ha...

sujal;- chupp be... chal mere sath... bechari kitana pareshaan ho rahi hogi... chal abhi cahlte hai... wo pehli baar mumbai aayi hai... pata nahi kisi aur ko sujal na samajh le...

angad:-kya wo kisi aur sujal kaise samjhegi... wo ye tera sada thobda kaise bhul jayegi...

sujal:- humne ek dusre ko bachpan me dekha tha uske bad sirf phone baat ki hai... to kaise pehchanegi wo...

angad:- oh haa... chal phir... tu baat bahut karta hai ( sujal gives a deadly look to angad )

aur yahan kashish pichle 1 1/2 se sujal ka intezaar kar rahi thi... ab use rona aa raha tha... aur bahut darr bhi lag raha tha.. kyuki wo bilkul akeli thi... aaj pehli baar use sujal pe gussa aa raha tha... phir usne garewaal house hone kiya... to phone raghu kaka na uthaya..

kashish:- ji main kashish bol rahi hu... airport se... actually mujhey sujal recieve karne aane wale they par abhi tak nahi aaye... kya aap mujhey garewaal house ka address bata sakte hai... taki main khud aa jaun...

raghu kaka:- ji bitiya likhiye...

thodi der bad kashish apna saman lekar bahar taxi ko dhundh rahi thi... par almost sabhi taxi wale use bahut hi cheap nazaro se dekh rahe the mano aaj tak itani khubsurat ladki na dekhi ho... aur dekhte bhi kaise ... akhirkar kashish ki khubsurti shimla ki barf aur natual beauty se bahrpur jo thi... kashish ghabrate hue apna saman lekar age badhi... to wo achanak se ek car se takrate hue bachi aur zor se cheek padi... wo car sujal ki thi... sujal late ho chuka tha... use kashish ki fikra ho rahi thi... isliye use is ladki jo uski car se takrane wali thi us par bahut gussa aa raha tha... sujal aur angad dono car se bahar aaye aur...

end of part 5
plzzz do comment...
with love chandni
***********************************************************
***********************************************************
Edited by rkchandni - 10 years ago
jasminerahul thumbnail
Posted: 10 years ago
#53
SK ph conv was sweet.kashish is madly in luv with sujal.she is dancing on DDLJ song.SK will meet soon at anjali's engagement.waiting 4 that
nilusoni thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 3 Thumbnail
Posted: 10 years ago
#54
wonderful part
so finally sujal's reason to been upset is known
finally kashish is in mumbai
excited for next part
thanx for pm
plz pm me for next part
continue soon
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
#55


***Sk- Pure love***
part-6

sujal:- oh madam andhi ho kya... dhikhayi nahi deta...

kashish ne apne chehre se apna hath hataya... aur sujal ki taraf dekha... aaj pehli baar kashish ne koi itna handsome aur atractive ladka dekha tha... par us waqt use kuchh na sujha...

sujal;- ab kuchh bologi... ki andhi k sath gungi bhi ho...

kashish ( gusse me):- kya bolu ha... galti tumhari hai... meri nahin... tum sab bade baap ki bigadi aulaad ho... gadi kya aajati hai hawa me udate ho...

angad:- dekhiye aap tameez ( tabhi angad ki nazar kashish k trolly bag par padi jispar airport ka kashish sinha k naam ka tag laga tha... angad samajh gaya ki sayad yahi kashish hai jise wo pick karne aaye the.. par maze lene k liye usne sujal ko nahi bataya aur aag me ghee dalne ka kaam kiya...) se baat kijiye... aur ha humare baap pe mat jaiye to hi behtar hoga...

kashish:- aap pehle isse bolo ki tameez se baat kare... chhote seher se hu to iska matalab yeh nahi ki mujhe iske jaise ladko ki fitrat nahi pata...jab dekho filrt karte rehte hai... cheap, gatiya,, jab dekho chance mar...

sujal:- oye... break laga... tu samjhti kya hai apne aap ko ha... agar tu is duniyaan ki akhiri ladki bhi hui na dekhun... chal hatt... ( nagad man hi man bahut has raha hai... aur soch raha hai ki itane mature bad bhi bachho jaise lad rahe hai)

kashish:- youuu... khabardar jo mujhse is lihaz me baat ki to... tum apne aap ko mr india samjhte ho kya...

sujal;- bolunga... aur tu apne aap ko miss wprld samjhti hai kya... hogi kahin ki miss world par meri juti se...

kashish:- teri tooo... ( kashish holds his coller )

angad:- are- are yeh kya kar rahe ho tum dono ha ( yeh dono beech road par lad rahe the jiski wajah se pura trafic jaam ho rakha tha )

one man:- oh madam... itana hi pyar hai apne pati se to ghar pe hi dhikhaya karo... beech road pe nahi...

sujal - kashish:- what... ( kashish left his coller and sujal left her hand )

another man:- oye laila majnu... tum dono ki wajah se trafic jaam ho gaya hai chalo niklo yahan se... ( to angad ) oh saab gadi nikalo...

angad :- ha ha... ( to kashish ) dekhiye madam aap mujhe bataiye aapko kahan jana ... kashish angad ko wo chit deti hai jisme usne garewal house ka address likha hua tha angad adress dekkh kar smile karta hai aur abhi bhi SK ek dusre ko ghoor rahe the jaise 7 janam se ek dusre k jaani dusman ho) tum dono ek dusre ko ghurna band karo... tu gadi nikal tera dimaag kuchh jyada hi garam hai... main inhe taxi me bitha kar ata hu...

sujal:- oye tu iski help karega...

kashish:- oh hellow... mujhey tum logon ki help ki jarurat nahi hai...

angad:- abe yeh ladki hai... aur lagta hai nayi bhi hai... samjha kar yar... janta to hai yaha n k taxi walo ko...

sujal;- thek hai.. theek hai.. (aur sujal gusse me apni car airport k ander le jata hai )

angad:- dekhiye... chaliye plzz chaliye... main apko taxi me bitha deta hu... wo apko is address pe pahuncha dega...
plzzz

kashish:- hmmm... thankyou... waise aapka yeh dost pagal hai kya...

angad:- are nahi nahin... wo to bahut bada businessman hai...

kashish:- par mujhey to pagal laga idiot...

angad:- yeh lijiye aa gayi aapki taxi... ( to taxi wala )oye bhai sunn.. madam ko ville parle east... villa no. 116 garewal house chhodna hai... yeh le paise... anurag garewal k ghar yad rakhiyon...

taxi wala:- jee saab ho jayega...

kashish:- are yeh aap kya kar rahe hai... main paise de dungi...

angad:- are nahi... wo apko mere dost ki wajah se takleef hui... koi baat nahi... byee kashish ji...

kashish:- apko mera naam kaise pata...

angad:- wo apke bag k tag me likha tha...

kashish:- ohh... aapka naam...

angad:- ji angad khanna... waise mere us dost ka naam nahin pucheingi...

kashish ( chhid kar );- ji nahi mujhey koi interest nahi hai aise logon k naam janne me... sorry wo apke dost hai... par i really dont like him...

angad:- as ur wish... waise bahut hi pyara naam hai uska... aur wo usse kahin jyada pyara... bas use log samajh nahi pate... byeee... tc...

kashish:- byee... ( taxi left away...)

aur yahan sujal bas kashish ko dhundh raha tha... par kashish use nahi mili tabhi angad aata hai...

sujal:- abe uske sath itani der tak kar kya raha tha...

angad:- kuchh nahi... kashish mili...?

sujal:- nahin na... maine use bachpan me dekha tha... kaise pahanuga... hum board bhi nahi lekar aaye...aur dekh na almost sare passenger bahar aa chuke hai...
angad:- ho sakta hai... ki ghar chali gayi ho... cahl ek bar aur sab jagah dekhte hai... phir ghar phone karte hai... ( to him self) tab tak ghar pahuch bhi jayegi wo...

sujal:-kya kaha?

angad:- ahh kuchh nahi.. par tune usse phone pe to baat ki hai... aawaz se to prehchaan hi jayega...

sujal;- are yar tujhe pata to hai ki... phone pe awaz diff hoti hai aur real me diff hoti hai...

angad:- ha wo bhi hai... chal counter pe pata karte hai...

dono enquiry counter pe jate hai... yahan kashish garewaal house pahuch gayi.. aur ab khush bhi hai... sujal ki wajah se hi uska mood kharab tha par ab apne sujal ko raste bhar yad karte aayi jisse ab wo bahut khush hai,... aur dusri taraf sujal bahut pareshaan hai kyuki use kiashish ka kuchh bhi pata nahi chal raha tha...

garewaal house ki bell ring hoti hai aur ra ghu kaka door kholte hai...

Raghu:- ji?

kashish:- aap hi raghu kaka hai... ( kaka nods in yes) ji main kashish hu...

raghu:- are bitiya aap aa gayi main abhi dadi aur mem saab ko bulata hu...

prerna aur dadi ate hai to kashish unn dono ka ashirwaad leti hai...

dadi:- waise prerna manna padega... tulsi ki beti hai bahut khubsurat aur sanskari... ( kashish smiles )

prerna:- kashish tujhey aaj aana tha to bataya kyun nahin... akeli kyun aayi ghar tak...

kashish: wo aunty actually ( tabhi phone bajta hai aur dadi phone uthati hai...)

dadi:- hellow...

sujal:- dadi wo kashish...

dadi:- are sujal puttar ( kashish looks at dadi ) wo kashish bas 5 minute pehle hi ghar aayi hai... tu use lene kyun nahi gaya...

sujal:- wo dadi main airport se hi bol raha hu... main wo thoda late ho gaya to...

dadi:- are mera bachha koi gal nahi... yeh le kashish se baat kar... ( dadi hand overs the phone to kashish )

kashish ( like wishper ):- hellow

sujal:- ha kashish wo actually i m really sorry ... main air port par hi hu... thoda late ho gaya... actually sach kahu to main bhul gaya tha ki tum aaj aane wali ho... ( kashish ko bahut bura lagta hai ki jo sujal uski har saans me basa hai usi sujal ko uski itani chhoti baat yaad tak nahin thi... but she managed to say...)

kashish:- its ok sujal ho jaata hai... main achhey se ghar pahunch gayi mujhey koi problem nahi hui...

sujal:- oh thank god... pa tumhey nahi pata mujhey yahan ek jangali ladki mil gayi thi... chalo chhodo... ok byee tumhey ghar pe milta hu...

kashish:- byeee

AIRPORT...

angad:- kya hua...?

sujal:- thank god kashish ghar pahuch chuki hai... chal apan bhi office chalte hai... ( dono office chale jate hai...)

Garewal house...

prerna:- kya hua kashish...?

kashish:- kuchh nahi aunty... wo actually sujal bhul gaye the... ki main aaj hi aane wali hu... isliye wo airport late pahunchey... wo is waqt air port se hi baat kar rahe they...

prerna ( angry tone):- dekha maa is ladke ko apni zimmedari ka ehsaas hi nahi hai,... bechari akeli aayi aur...

dadi:- chhod na prerna... tu bhi janti hai k humara sujal aisa nahin hai... itani sari zimmedariyaan hai office ki us par bhul gaya hoga tu bhi na...

kashish:- ji aunty ho jata hai... aap plzz unhe kuchh mat kahiyega... ( dadi looks at kashish with smile and admiration )

prerna :- chalo kashish main tujhey tera kamra aur baki ka pura ghar dikhati hun... ( phir prerna kashish ko pura ghar dikhati hai...)

kashish:- aunty aapka ghar to bahut hi khubsurat aur pyara hai...

prerna:- thankyou beta... aur tumhey pata hai... is ghar k har ek sadasya ka kamra unhi ki pasand se design kiya gaya hai... aur janti ho is ghar ka sabse khubsurat kamra sujal ka hai... very simple and beautiful... ab uski pasand hi aisi hai ki kamra apne aap khubsurat ban gaya... ( kashish smiles ) yeh lo tumhara room bhi aa gaya aur yeh bagal wala room sujal ka hai... ( kashish looks at the door of sujal's room) ab tum fresh ho jaao... raghu tumhara saaman pahucha dega... main chai nasta bhejti hun... tum thak gayi hogi...

kashish:- ok aunty thanks... ( prerna places her hand on hers)

prerna:- ma ko thanks nahi kehte... kya main tulsi jaisi nahi...

kashish ( with sweet smile ) :- ji aunty...

phir kashish fresh hokar nasta kark so jati hai...

its NIght time...

kashish ne apne ghar me bat kark sab ko bata diya hai ki wo achhi tarah se pahuch gayi thi... aur parso se apne kaam pe bhi jayegi... aur jab akki, rishi, anurag aur anjali ghar aaye to sabhi kashish se milkar bahut khush they kashish bhi bahut hi khush thi sabse milkar... use bahut achha lag raha tha... par uski nazar sirf door par thi kyuki wo sujal k intezaar me thi... ab sabhi dinner table par baithe hai... par sujal abhi tak nahi aaya...

dadi:- are anu puttar yeh sujal abhi tak kyun nahi aaya... ?

anurag:- wo maa... aaj uski bahut important dinner meeting hai to wo late ho jayega... aur dinner kark hi ayega dont worry... aap log suru kijiye... kashish tum kal sujal se mil lena... ( kashish smiles sadly... use achha nahi laga ki jis chehre ko wo sabse pehle dekhna chahti thi... pura din beet gaya par usey dekh na paayi...)

prerna:- pakka wo khana kha k ayega na... ?

anurag:- ha baba...

sabhi khana kha kar sone chale jate hai... kashsih apne bed par leti hai... par uski aankhon me neend nahin wo bas sujal k hi bare me soch rahi thi... thodi der baad wo aise hi so jati hai... prerna abhi bhi hall me baithi hai... tabhi sujal aata hai...

sujal:- wo mumma... mujhey pata hai... aapne mana kiya tha deri se aane k liye... but bahut hi important meeting thi... aur papa ne kaha tha...

prerna:- koi baat nahi... khana khaya...?

sujal:- ji kha kar aaya hu...

prerna:- ja jakar so ja...

sujal:- ji GN... ( and he left and prerna too )

next morning...

sabhi dining room me baithe the tabhi kashish aati hai...

kashish :- GM every one

all:- GM...

anjali:- are sujal abhi tak nahi aaya...

prerna:- wo kal rat me late aaya tha kareeb 1 baje... late ho gaya hoga...

dadi:- oye koi nahi... kashish jaa puttar sujal ko bula de...

kashish( happily ):- ji dadi

anjali:- are kashish tum rehne do... maine use bula kar...

kashish:- its ok anjali di... main bhi to is ghar ki beti hu... ( and she left )

dadi:- badi changi kudi hai naa...

kashish sujal k kamre k bahar khadi hai... uska dil zoro se dhadak raha hai... aur ander sujal just shower lekar wash room se bahar nikla hai... wo shirt less hai usne kewal towel pehna hua tha... he is ruffling his hair an looking dead drop hot and handsome... tabhi kashish door knowk karti hai sujal ko laga akki hoga...

sujal:- come in

kashish ander jati hai... par abhi bhi uski nazare zameen par hi hai... par sujal use mirror se dekhta hai aur shocked reh jata hai...

sujal ( chhila kar ):- TUM ( now kashish also looked at him and her smile faded away... wo sujal ko upar se neeche tak dekhti hai )

kashish:- TUM ( she thinks oh god kahin yeh chor to nahi hai... aur wo chillati hui bahar chali jati hai ) chor chor... Towel wala chor... ( sujal is completely shocked wo bhi uske peechhe bhaga

sujal:- oye jangali billi RUK ...

kashish bahgti hui chhilati hui aati hai sabhi shocked ho jate hai... ki ise kya hua...

kashish:- uncle, aunty, dadi... is ghar me towel wala chor ghush gaya hai...

akki;- Towel wala chor...

sujal:- oye teri toh( sabki nazar sujal pe p[adi jo sirf towel me tha... and anjali, rishi, and akki r laughing...)

kashish:- are aap log hans kyun rahe ho... yehi hai chor... ( sujal holds her hand )

sujal:- teri to jangali billi... mere hi ghar me ghar me ghus kar mujhey hi chor kehti hai...

kashish:- you shut up

prerna( shouted ):- 1 minute... bas karo tum dono... SUJAL kya hai yeh sab ( kashish ko 440 bolt ka jhtka laga sujal ka naam sunte hi ( in her mind :- yeh mere sujal hai...) and she is just looking at him )

sujal;- mumma meri koi galti nahi hai...yeh ladki hi... kal airport k bahar bhi isi ki wajah se main...

prerna:- sujal... mind your language... kya yeh ladki yeh ladki laga rakha hai... kashish ka ek naam hai...

sujal;- ha to maine kab kashish... ( now sujal is shocked... looks at his hand from which he holds kashish hand aur jhatake se kashish ka hanth chhod deta hai.. ) tum kashish ho.? ( sujal and kashish both are embarresed...)

dadi:- oye mere lal ab bina kapdo k hi khada rahega kya... ja pure kapde pehen k aa... ( then sujal instantly looked at him self then kashish aur wahan se bahg gaya..) oye kashish puttar yahan aa...

kashish:- sorry aunty... actually mujhey nahi pata tha... ki wahi sujal hai ... mujhey laga tha ki wo koi aur hai...

anjali:- par tumhey aisa laga hi kyun ki wo sujal nahi hai...

kashish:- wo actually... then kashish narrets him what has happend at the airport yesterday...

anjali:- OMG dadi... 12 saal baad kya milan hua hai... ultimate mis understanding... ( now every one laughing prerna too)

rishi:- unke sath angad bhaiya rahe honge...

kashish:- ha ha koi angad hi they...

tabhi sujal aata hai... totaly dressed up in black suit... kashish looks qat him... he is looking damn handsome... and she is memrised by his looks

sujal:- GM every one... and sorry kashish... mujhey nahin pata tha ki tum hi kashish ho...

kashish:- its ok sujal...

dadi:- are chalo ab mitti pao... sujal puttar chal le nasta kar dekh kitana dubla hota ja raha hai...

akki:- kya dadi... ap sujal bhai ko roz ek hi dailouge marti ho... ab ek din me itane bhi kya patle ho jayeinge... kabhi itane pyar se humein bhi khila diya karo... ( hi five with anjali... kashish smiles )

sujal:- dadi koi mujhsey jal raha hai...

anjali:- sujal yeh roz ka hai... dadi sirf tujhey hi itane pyar se khilati hai... aur hum 3no ko puchhti tak nahin... humari to sirf mumma hai...

sujal( v sad ):-hmmm aap 3no ki hi to mumma hai... byee mujhey late ho raha hai...

akki:- oh no diii... ( kashish is very surprised ki sujal ko kya hua...

end of part 6
plzzz do comment...
with love chandni
*********************************************************
*********************************************************
Edited by rkchandni - 10 years ago
jasminerahul thumbnail
Posted: 10 years ago
#56
my doubt was rt.Sujal loves arohi.how will kashish react when she cums 2 know that sujal loves arohi,not kashish?but i;m sure that since arohi is no more Kashish will enter sujal's heart gradually.Kashish is going 2 stay with sujal.wow!loved the b'day party.Sujal sang 4 prerna.emotional.prerna behaved well,it was like a b'day gift 4 him
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 10 years ago
#57
well written update..keep it up..👍🏼
jasminerahul thumbnail
Posted: 10 years ago
#58
so many updates a day.thx a lot 4 quick updates.i luv it.sujal kashish fought without knowing each other's identity.Kashish calling him towel wala chor was very funny.the expression of sujal n kashish when they came to know each other was so well described.i laughed a lot.now i am wondering how angad kripa will meet
nilusoni thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 3 Thumbnail
Posted: 10 years ago
#59
Wonderful part loved it
Sujal and kashish meet is really awesome
Excited for next part
Thanks for pm
Plz pm me for next part
Continue soon
The_Imane thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
#60
I loved this update
Their 1st meeting was great
Well written

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: goodkashish

6 years ago

Kassir ...Sujal&Kashish...Part 28 - Pg 33

Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

24 days ago

The Unending Dream OS [Completed]

In Every Birth, Find Me The night air in Mathura was thick with monsoon rains. In her small room lit only by a flickering diya, Radhika drifted...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

25 days ago

Moh-Maya ~ MayRa OS [Completed]

Whispers of Maya The glass towers of Delhi glittered under the cold moonlight, but inside the corner office of Ruan Publications, darkness...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

2 months ago

Pyaar Ya Rebound? ~ Rumya SS [Completed]

Intro: Rudra fakes a relationship with his best friend Soumya to impress glamorous Bhavya-but ends up falling for the one girl who truly knew...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: desidillse

4 months ago

ArShi OS : Pyaar Ka Naghma {Completed} ArShi OS : Pyaar Ka Naghma {Completed}

[NOCOPY] P Y A A R. K A. N A G H M A. "Friends?" a little boy extended his hand towards a girl which she responded. They smiled and embraced...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".