PURE LOVE ~ Sujal Kashish~**Completed**Last part on page 41 - Page 5

Created

Last reply

Replies

293

Views

69.1k

Users

22

Likes

348

Frequent Posters

jasminerahul thumbnail
Posted: 10 years ago
#41
its proved how much prerna luvs sujal.then why is she forced 2 b cold with sujal.so sad that sujal is unaware of his mom's luv 4 him.who was sujal's luv interest from whom he got separated..Kashish or Arohi?
love_sujalkash thumbnail
Posted: 10 years ago
#42
gr8 part my janu sis...kashish k ps abhi he aya hoga ye mera idea tha.
abhi k muh se suat b nikla but kashish sun nhi pai...hope so k abhi ko koi or lrki mil jaiy...
sujal q dair rat tk kam krta h kya usy ghr aana psnd nhi jb k prerna itna pyar krti h...kuch to baat h... 😭
or ye last momnt pyyy kis ka phone aagya...wese m janti hu kis ka aya hoga...hmesha mere sujal ko tang krny wla 😡 😡 😡
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
#43
thanks every one for liking and commenting on part 3 i will post part 4 after an hour... keep smiling always...

chandni
________________

Rajeev diwaani

rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
#44


***Sk- Pure love***

part-4

Sujal was completely shocked ... aur phir gusse me aakar apna cell floor pe patak deta hai , jisse phone tut jata hai... sujal k sath aisa pichhle kuchh dino se ho raha hai, ki private no se use call aate hai...

sujal yunhi kareeb 10 minute tak bed par baitha rehta hai ki tabhi... uske kamre ka land line ring hota hai...sujal ghadi ki taraf dekhta hai to wo correct 12:00 baje ka bata rahi thi...sujal k chehre pe 1 sad si smile aa jati hai...he picks up the phone

Sujal:- hi KASHISH...

Kashish ( with wide smile ):- wish u very happy birthday sujal...

Sujal:- thankyou ...

Kashish:- aapko kaise pata chala ki main hi hun... maine to land line pe call kiya tha...

Sujal:- bcz itane saalo se sirf tum hi ho ... jo mujhey sabse pehle wish karti ho...thanks again...

Kashish ( with shyly smile ):- pleasure is mine... waise aapko mera gift mila ...

Sujal:- haan mila, kal hi mil gaya tha...& that was beautiful ... one of my favourite...sach kahun to main apna birthday hi bhul gaya tha wo to jab tumhara gift mila tab mujhey yaad aaya ki mera birthday aane wala hai...

Kashish:- hmmm... mujhey pata tha ki aapko watch jarur pasand aayegi...waise aap thik to hai naa... wo aapki aawaz kuchh bari bhari si lag rahi hai...

Sujal:- nahin- nahin ... mujhey kya hoga main bilkul theek hun... aur tumhe meri pasand na pasand ka bada pata hai... jabki mujhey to tumhare bare me kuchh bhi nahi pata ...

Kashish:- aapne kabhi janne ki kosis hi nahin ki...shimla se jane k baad shimla k dosto ko bhul gaye hai ... lagta hai

Sujal:- are nahin aisa nahin hai. but u know na... mumbai ki busy life ... waise tum batao wahan sab kaise hai... aunty , uncle, kripa, aur charu...

Kashish:- sab bilkul thik hai... mumma aapko bahut miss bhi karti hai... sab ki taraf se wish u a very happy birthday again...

Sujal:- thankx once again... chalo ok byeee, phir ab tumhare birthday pe tumse baat hogi...

Kashish:- are mere birthday pe kyun?

Sujal:- are humari baat hi saal me sirf do hi bar to hoti hai... ek mere bday pe... ek tumhare... par wo bhi last 2 salo se main to tumhara bday bhi bhul gaya tha... Sorry...

Kashish:- are its ok ... ab aap itana bada business sambhalte hai...so its ok, aur ha ab sayad hum bahut hi jald mil bhi lenge ... kyuki ab meri padhayi puri ho chuki hai...to ab sayad main mumbai aaungi... apne butique k kaam k liye to rahungi to aapke ghar me hi naaa...

Sujal:- oh!! ha haa sure , any time , par butique ... aur tumhara... final result aa gaya kya?

Kashish:- ji haan... aaj hi aaya hai, aur maine apne college me top bhi kiya hai, isliye mere college walo ne mujhey mumbai refer kiya hai, kisi achhe se designer k under kaam shikhne k liye...aur maine socha hai ki main kaam shikhne k baad apna khud ka chhota sa butique kholungi jisme kam daamo me designer kapde milenge... specially bridle

Sujal:- wowww... congrates, par bridle hi kyun?

Kashish:- pyar ki akhiri manzil kya hoti hai ?

Sujal:- Shadi...

Kashish:- to bus isiliye... bridle...

Sujal;- oh!! means tum bilkul nahi badli... tum aaj bhi wahi kashish ho jo bachapan me thi... jo pyar pe aankh band kark bharosha karti thi... ( after a pause ) par kashish meri 1 salaah hai ... pyar jaisi cheej pe had se jyada bharosha mat karna... sabse jyada tadpogi ( kashish smiles faded away )... mujhey achhe se pata hai kitana dard hota hai...( sujal ki aankhon me aanshun aa jate hai )

Kashish:- kya?...

Sujal:- nahin - nahin , kuchh nahin, chalo achha finaly good night... aaj itani lambi baat ki tumsey... sach kahun to tumhare call aane se pehele mera mood bahut jyada kharab tha... par ab i m feeling muchh better thanks for calling...

Kashish( with smile ):- any time

Sujal:- and i m very happy for u... tum jo chahti ho , tumhe jarur milega...tumhara sapna jarur pura hoga...

Kashish:- ab aapne kaha hai to , zarur pura hoga... waise yeh sab to mujhey aapko kehna chahiye , kyuki birthday to aapka hai na ?

Sujal:- to kya hua ...1 hi baat hai...

Kashish:- hmmm ... 1 hi baat hai...

Sujal:- GN...

Kashish:- GN... ( they both hangs d phone down , sujal smiles & wo so jata hai )

Sinha house...

kripa kashish k room me aati hai ... jo apne hi aap muskura rahi thi

kripa:- to ho gayi apne sujal se baat ... kar diya use bday wish...?

kashish:- ha dii... aaj na maine unse pure 27 minute aur 39 sec tak baat ki phone par, first time itani lambi baat ki hai...( kripa smiles ) oh! di i m so happy in 12 saalon, 3 mahine aur 14 dino me main pehli baar itana khush hui hun...

kripa ( shocked ):- hey bhagwaan tujhey din bhi yaad hai...tu pagal hai kashish... achha is baar kya liya uske liye dikha to sahi...

kashish ( smiling ):- haan pagal hu unke pyarr me... aur jo liya tha... wo to bhej diya na...

kripa:- oye ... kisi aur k saamne yeh natak ha... main us gift ki baat kar rahi hun... jo tu har saal uske liye apni taraf se leti hai ... par kabhi bhejti nahin... aur jo yeh tera cupboard hai in 12 salo k valentine, rose day, hugg day, kiss day, promise day, freindships day... in sabhi dino k gifts se bhara hai jo tune uske liye kharid kar rakhe par kabhi diya nahi ( kashish is smiling dreamly)...jis din teri sujal se saadi ho na tab yeh gifts use mat dena ...

Kashish ( hairaan hokar ):- kyun ?

kripa:- are puri raat lag jaayegi use yeh saare gifts kholne me , aur subah ho jayegi... phir wo kuchh aur nahi kar paayega ( winks & laughed & kashish is blussing verrryyy hard ) hey bhagwaan kashish tu sirf sunn kar itana bluss kar rahi hai... soch jab sujal sach muchh tujhey chhuegaa to tera kya haal hoga ( kashish ko aisa laga ki mano uski saans hi gale me atak gayi ho )

kashish ( shyly ):- di plzzz stopit warna main ...

kripa (with naughty smile ):- warna kya, haaa?

kashish :- warna main waqai sharm k maare marr jaungi... ( & she hugs kripa with wide smile )

kripa:- main dua karti hu ki tujhey tera sujal jarur mile... ( kashish saperates frm kripa )

kashish:- par usse pehle mujhey mere jiju to dedo... taki mera number jaldi aaye...

kripa :- to yeh baat hai...

kashish:- ha di agar aap shadi nahi karogi to meri line kaise clear hogi...

kripa;- hmmm, chal tere liye yeh bhi sahi... par dhundhna to tere sujal jaisa hi...

kashish:- no way , sujal jaisa koi aur milna impossible hai... aur sujal to sirf 1 hai... jo sirf kashish ka hai... ( proudly )

kripa :- aur tera hi rahega ... chal ab so jate hai... byee GN...

kashish:- byee di ... GN... ( phir kripa apne room me chali jati hai aur kashish bhi 1 pyari si smile k sath apne bed par late kar apne sujal k sapno me kho jaati hai)

next morning...
mihir office jaane k liye ready hokar dining room me ata hai jahan sabhi baithe hai...

mihir:- GM every one... ( baki sab use wish karte hai )

tulsi:- kashish beta, ab tune kya socha hai aage ka...

mihir:- ha.. i think tumhe bhi ab office join kar hi lena chahiye kripa ki tarah... aur waise bhi tumhe apna saukh to pura kar hi liya hai...

kashish:- papa wo main...

charu:- papa wo di apna butique kholna chahti hai... aur uske liye we mumbai me rehkar tarining karna chahti hai... kisi well known designer k under...

mihir:- kashish... kya charu sach keh rahi hai?

kashish:- ji papa... papa maine fashion designing kiya hua hai... aur main usi me apna carrier banan chahti hu... plzz papa permission de dijiye...

kripa:- ha papa de dijiye na... akhir aapke sath business me main to hu hi na...

mihir:- ha ,... thik hai... ( all r very happy...)

tulsi:- ha... par ab jyada din nahi rahegi...

kashish:- matalab?...

tulsi:- matalab yeh... ki ab humein kripa k liye ladka dhundhna suru karna hoga... uski ab sadi ki umra ho gayi hai...

kripa:- kya mom... abhi to bahut time hai...

mihir:- ha tulsi bilkul sahi keh rahi hai...

tulsi:- koi time vime nahi hai... ki tu in dono se badi hai aur tere baad kashish aur charu bhi hai ( kashish winks at kripa )

charu:- oh... mummaa...plzzz sirf kashish dii tak hi rakho... main sadi wadi nahi karne wali...

tulsi:- chup aisa nahi bolte... ( to mihir) waise suniye wo kal hi meri prerna se baat hui thi usne bataya ki anjali ki mangni ki date fix ho gayi hai... aur usne hum sabhi ko invite kiya hai... agle mahine ki 28 tarikh ko

mihir:- hmmm... yeh to bahut achhi baat hai... hum sab jayeinge...

tulsi:- ha... aur aap jante hai... maa ji to itani exited hai sabki saadi ko lekar ki we to ab jald se jald sujal ki bhi sadi kara dena chahti hai ( kashish who was drinking water... chocks...)

kripa:- kya mom... sujal ki sadi abhi se tai kar di...

tulsi:- are tai nahi ki hai... bas keh rehi thi ki anjali k sadi hote hi sujal k liye bhi achhi si ladki dhundhna suru kar deinge... aur waise isme bura hi kya hai ab sujal 25 sal ka ho gaya hai... aur 25 saal ki umra me tumhare papa aur anurag bhai saab ki bhi saadi ho gayi thi...

mihir:-chalo phir theek hai... kashish tum kiske under kaam karna chahti ho mumbai me yeh decide kark mujhe bata dena... main anurag se baat kar lunga wo tumhare rehne ka intezaam kar dega...

kashish:- ji papa... thankyou...

mihir:- kripa chale...

kripa:- byee mom... bye kash... bye charu...

kashish:- byee di

charu:- chalo di hum bhi college chalte hai... waha aap apne certificates bhi collect kar lena... aur yeh decide bhi kar lena ki aapno kiske under training karni hai... ( tabhi waha abhi aata hai )

abhi:- hii beautiful ladies...

charu:- oye! lady hoga tu...( kashish and tulsi smiles)

abhi:- aunty ise keh dijiye ki maine beautiful ladies kaha means aap aur kashish...

charu ( chhid kar ):- di aap chal rahi ho ya nahi?...

kashish:- ha baba chal rahi hu... waise abhi aaj itani subah subah...?

abhi:- wo kya hai ki aaj meri koi bhi meeting nahi thi to maine socha ki kyun na aaj aunty k hanth nasta kar lu...

tulsi:- are ha beta kyun nahi... yeh le garma garam gobi k parathe...

kashish:- achha abhi mujhe tumsey kuchh puchhna tha... ki mumbai me mujhey kiske under kaam karna chahiye...

abhi( khate hue):- hmmm... i think manish malhotra the best dress designer

charu:- par wo to bollywood ka hai...

abhi:- par dumbo... best bridle specialist bhi to hai... aur phir kashish bhi wahi banna chahti hai...

kashish:- chalo phir theek hai... main aaj hi apne principle se baat karti hu mujhey waha refer karne k liye...

abhi :- i m sure u r going to b selected... u topped yar dont worry...

kashish:- thanks abhi... chal charu...

tulsi:- are ruko... kashish aaj tune kuchh khaya hi nahi...

kashish:- wo mumma... wo mujhey aaj mandir jana hai... to main college canteen me kuchh kha lungi...

charu:- kya baat hai di... aaj kal bhagwaan ko kuchh jyada hi maska lagaya jaa raha hai... kal church aaj mandir ha...

kashish:- chup tu nahi samjhegi... chal ab...

abhi:- are ruko ruko... aunty mera ho gaya thakyou... aur chalo main tum dono ko madir le chalta hu... phir college chhod kar office chala jaunga...

kashish:- ok...

Garewaal house...

sabhi naste k table par baithe hai... par sujal bahut udaas tha... bcz kisi ne use bithrday wish nahi kya... sujal ko lag raha hai ki sab uska birthday bhul gaye hai...

anurag:- prerna mera to ho gaya... sujal... anjali tum dono ka ho gaya ho to office chale...

sujal:-papa aap di k sath chale jaiye... main in dono ko college drop karke aata hu... akki ki gadi kharab bhi hai... ( rishi and aaki looks at sujal )

rishi:- wo big b aaj main college nahi jaunga... woi meri tabiyat kuchh theek nahi hai...

sujal( ghabra jata hai ):- kya hua tujhey... chal abhi doctor k paas chalte hai...

rishi:- are nahi nahi big b... thoda sa rest karunga to theek ho jaunga...

sujal:- r u sure?...

akki:- are sujal bhai... aap kyun fikra kar rahe ho main hoon na...

sujal:- ok main bhi nikalta hu... di aap papa k sath jao main angad k sath aata hu... ( and sujal left )

anjali:- dekho hum sujal ko rat 8 baje tak ghar le kar aa jayeige... aap sab sab kuchh ready rakhna... ( anjali and anurag also left )

Shimla... kashish at mandir

kashish krishna ji k murti k samne khadi apni aankh band kark prathna kar rahi hai... charu aur abhi bhi uske sath khade hai...

kashish ( in her mind ):- hey krishna ji... aaj sujal ka janam din hai... unhe meri bhi umra de dena... aur unki har ek khawaish ko puri karna... dhanyawaad...

chalo:- di ho gaya?

kashish:- ha chal...

abhi:- chale phir...

charu:- ha ha chalo... waise bhi i m getting late for college...

abhi kashish aur charu ko college drop kark office chala jata hai...

mumbai...

yahan garewaal house me sab milkar sujal k liye surprise birthday party plan kar rahe hai... aur sari prepration bhi kar rahe hai ... dusri taraf mehek aur angad ne bhi sujal ko birthday wish nahi kiya hai... sujal angad se is baat ko lekar bahut naraz hai... par usne faiysla kiya hai ki kisi ko kuchh nahi kahega...

aur dusri taraf kashish bahut hi khush thi bcz use uske college ki taraf se manish malhotra ko refer kiya gaya hai... iska matalab kashish ab mumbai me rahegi wo bhi pure 3 mahine k liye aur ab wo apne sujal se mil sakti hai ... uski to mano khushi ka thikana hi nahi tha wo bahut hi khush thi... ab finally wo sujal ko dekh skti hai... yeh jaan sakti hai ki sujal uske bare me kya sochta hai... jab kashish ghar pahuchti hai to wo uchhal kud rahi hai... uski khushi tulsi uske chehre ki chamak se padh sakti hai... kashish dance karne lagti hai...

Mere... khwaabon me jo aayee...
aake... mujhey chhed jaaye...
usse kaho... kabhi ssamne to aayee...
( kashish jakar apne room me apne bed par girti hai aur phir gana gate hue aaine k saame dance kar ra hai )

Mere... khwaabon me jo aayee...
aake... mujhey chhed jaaye...
usse kaho... kabhi ssamne to aayee...
( kashish k dil aur dimaag me sirf aur sirf sujal hi sujal basa hai )

Mere... khwaabon me jo aayee...
aake... mujhey chhed jaaye...
usse kaho... kabhi ssamne to aayee...
( kashish apne kapde change kar k neeche jati hai aur tulsi ko peeche se hug karti hai...)

Mere... khwaabon me jo aayee...
( kashish tulsi k sath dance kar rahi hai )

kaisa hai... kaun hai... wo jaane kahan hai...
jiske liye... mere honton pe haa hai...
( kashish sofe pe late jati hai aur sujal kaisa hoga wo soch rahi hai... wo is kaha hoga kya kar raha hoga yeh bhi uske man me hai )

apna hai... ya begana hai wo...
sach hai ya... koi afsana hai... wo...
( kashish soch rahi hai kya sujal bhi uske liye kuchh feel karta hoga ... ya fir wo sirf khuli aankhon se chand ko pane ka sapna dekh rahi hai )

dekhe door door se... yunhi... ghoor ghoor ke...
usse kaho... meri neend na churayeee...
( phir kashish apne khayal se bahar nikalti hai... use poora yakeen hai ki sujal sirf uska hai...)

Mere... khwaabon me jo aayee...
aake... mujhey chhed jaaye...
usse kaho... kabhi ssamne to aayee...
( kashish ab garden jati hai jahan barish ho rahi hai... halki halki barf bhi hai...)

Mere... khwaabon me jo aayee...

jaadoo sa jaise koi chalne laga hai...
hooo jaadoo sa jaise koi chalne laga hai...
main kya karu... dil machalne laga hai...
( kashish apne bahein faila kar unn barish ki bundo me khud ko bheego rahi thi...)

tera diwaana hoon main... kehta hai wo...
phir chhup chhup k phir kyun ... rehta hai wo...

( kashish ko aisa lag raha hai yeh barish ki bunde jo uske tan ko bhigo rahi hai wo sujal ki chhuan hai...)

kar baitha bhool wo... le aaya phool wo...
usse kaho jaye chand leke aayeee...
( tabhi tulsi waha aati hai aur kashish use ishare me dance karati hai...)

Mere... khwaabon me jo aayee...
aake... mujhey chhed jaaye...
(tulsi aur prerna yunhi dance kar rahe hai... kashish bahut jyada khush hai... has rahi hai... fudak rahi hai...)

Mere... khwaabon me jo aayee...
aake... mujhey chhed jaaye...
( kahsish ko dance karta dekh ab tulsi ko ehsaash ho gaya ki ab kripa k sath sath kashish bhi badi ho gayi hai... uski bhi sadi ki ghadi ab nazdeek aa rahi hai...)

usse kaho... kabhi ssamne to aayee...
la lal alalallallalallallala lalalalllalaaa...

movie:- DDLJ

(tulsi kashish ko ghar k ander lati hai aur use towel deti hai aur kashish fir se apne bheege kapde change kark aati hai... )

tulsi:- are waah meri kashish to ab sapne bhi dekhne lagi hai... lagta hai kripa se pehle teri sadi ki baat karni hogi... ( tabhi kripa aati hai )

kripa:- ha mom... iski hi sadi pehle karwa do mujhse jyada utawali hai...

kashish:- nahi nahin... mumma aisa kuchh nahin hai... di aap bhi naa... ( aur kashish sarma kar apne kamre me wapas chali jati hai... par kripa kashish k mann ka haal achhey se samajh rahi thi )

kripa:- mom aap papa se bol do ki wo kashish k mumbai me rehne k bare me anurag uncle se kal hi bat karle...
( tulsi nods and left ... kripa also left to her room )


end of part 4
plzzz do comment...
with love chandni
***********************************************************
Edited by rkchandni - 10 years ago
RNforever thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
#45
nice part
ab sujal or kashish jaldi he milne wale h
great
ambersaleem thumbnail
Explorer Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 10 years ago
#46
👏👏👏 very nice part :)pr sujal ka pyar koi or tha frown emoticon feeling nad for sujal and happy for kashsh dekhte hen pehli mulaqat kc rehti hai cont soon smile emoticon👏
love_sujalkash thumbnail
Posted: 10 years ago
#47
😊 😊 😊 AwSMmm part dear...kashish ny sujal ko phone kiya or sath e pyar ki baat...wah kya bt h 😉
kya sujal kashish se pyar nhi krta jo chup kr gya...kXh to bolta yr...
ab kashish mumbai jaiy gi 😊 hope so k 1st meeting kafi intrsting ho 😳
👏 👏 👏 claaaping sweetu janu sis 👏 👏 👏
naujoker thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 10 years ago
#48
Hii!!! What a mindblowing update!!
Thanks for the pm.
Sorry for late commenting.
nilusoni thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 3 Thumbnail
Posted: 10 years ago
#49
Wonderful part loved it
Kashish is really amazing
Sujal is little sad with no one wishing him
Excited for next part
Thanks for pm
Plz pm me for next part
Continue soon
Sanjana4Rajeev thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
#50
Hey!! That was an amazing part dear!!
I feel bad for Sujal that no one wished him on his birthday, however Kashish has made a sweet gesture and wished him and sent him a lovely gift.
Kashish topped in her fashion institute and her main aim is the bridal wear..
She has described the reason why she wanted to chose the bridal wear for her theme..and Sujal advised her for not falling into love trap.
And this has made Kashish sad..
I'm wondering the reason why is he advising her like this?
Is it something related to Arohi?
I'm curious to know!!
Love the song sequence..she is literally drooling for Sujal!😳

Please continue soon!!

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: goodkashish

6 years ago

Kassir ...Sujal&Kashish...Part 28 - Pg 33

Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

24 days ago

The Unending Dream OS [Completed]

In Every Birth, Find Me The night air in Mathura was thick with monsoon rains. In her small room lit only by a flickering diya, Radhika drifted...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

26 days ago

Moh-Maya ~ MayRa OS [Completed]

Whispers of Maya The glass towers of Delhi glittered under the cold moonlight, but inside the corner office of Ruan Publications, darkness...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

2 months ago

Pyaar Ya Rebound? ~ Rumya SS [Completed]

Intro: Rudra fakes a relationship with his best friend Soumya to impress glamorous Bhavya-but ends up falling for the one girl who truly knew...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: desidillse

4 months ago

ArShi OS : Pyaar Ka Naghma {Completed} ArShi OS : Pyaar Ka Naghma {Completed}

[NOCOPY] P Y A A R. K A. N A G H M A. "Friends?" a little boy extended his hand towards a girl which she responded. They smiled and embraced...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".