PURE LOVE ~ Sujal Kashish~**Completed**Last part on page 41 - Page 2

Created

Last reply

Replies

293

Views

69.1k

Users

22

Likes

348

Frequent Posters

naujoker thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 10 years ago
#11
Interesting concept and characters.
Lovely!!
Continue soon!!!
Eagerly waiting
Thanks for the pm!!
love_sujalkash thumbnail
Posted: 10 years ago
#12
Awsmmm...my sweetu sis... 😊 plzzz keep it up...cont soon dear
Aamnakideewani thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 3
Posted: 10 years ago
#13
nice ff but a very huge character list lolz😛😛😛
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
#14


***Sk- Pure love***
part-1

aaj se kareeb 25 saal pehle ki baat hai jab anurag aur prerna shimla me hi rehte the, anurag aur mihir bahut hi achhe dost aur business partners bhi the, inke sabhi bachhe bhi apas me bahut achhe dost the par muhir ki lalach ki wajah se inke business aur rishto me kadwahat aa gayi, is wajah se anurag ne kareeb 12 saal pehle shimla chhod diya aur apne bachho, prerna aur apni maa k sath mumbai aa gaya aur yahin apna business bhi settle kiya usne, aaj bhi anurag aur mihir dost hai par wo baat nahin rahi jo 25 saal pehle hua karti thi.

Mumbai
Garewal house ( just like R&G house in KTH ), 8 am in the morning...

Prerna dining table par naste ki taiyyari kar rahi hai aur dadi bhi wahi baithi hai, tabhi anurag apne room se aata hai.

Anurag:- good morning maa.

Dadi:- good morning puttar.

Anurag:- prerna yeh bachhe abhi tak nahi aaye uthe ya phir abhi tak so rahe hai, aur sujal ko jaldi kaho karne k liye humein aaj office me bahut important kam hai, aaj sujal ki mehnat ki wajah se humein india ka sabse bada contaract mila hai.

Prerna:- ji aap dono suru kijiye main abhi sabhi bachho ko uthati hu. ( prerna left )

Dadi:- anu puttar tujhe yaad hai na ki kal kya hai.

Anurag:- ha maa , kal ka din main kaise bhul sakta hu, humara sujal kal 25 saal ka ho jayega, bachhe kitani jaldi bade ho jate hai na, abhi to lagta hai jaise kal ki baat hai jab anjali paida hui thi , par dekhiya yahan to ab rishi bhi 21 saal ka ho gaya hai, akki 23 aur sujal kal 25 saal ka ho jayega.

Dadi:- ha puttar aur tujhe yad hai 25 sal ki umra me teri sadi ho gayi thi aur anjali bhi aane wali thi ( anurag smiles ), ab waqt aa gya hai ki hum sujal ki sadi k bare me bhi soche , fir akki aur fir rishi bhi to hai, main to apne sabhi poto aur poti ke bachho ko dekh kar is duniya se jana chahti hun.

Anurag:- kya maa, aap bhi na, abhi to anjali ki sadi nahi hui wo in sabse badi hai , aur aap sujal aur yahan tak rishi tak pahuch gayi ( both laughs )

Dadi :- are ha accha yad dilaya tune mujhe aaj pandit jee si baat karni hai taki wo anjali aur kavya ki saadi ka muhurat nikal sake, mujhse to ab sabra nahi hota main jald se jald yeh sadi karwana chahti hun...

prerna sabse pehle anjali k room me jati hai to dekhti hai ki wo uth chuki hai aur wash room me hai , isliye phir wo rishi ko uthati hai, then wo akki ke kamre jati hai par akki apne kamre aur wash room me bhi nahi hota hai to wo sujal k room me jati hai hai to dekhti hai ki, akki aur sujal ek sath soye hue the, sujal ke bed ke upar hi sujal ki ek bahut hi pyrai wall size photo lagi thi, akki aur sujal ko is tarah dekh kar uske chehre par ek smile aa jati hai par wo phir ja kar akki ko bade hi pyar se uthati hai.

Prerna:- akki beta chal uth aur ready ho ja college k liye der ho jayegi , tere papa sabko neeche bula rahe hai.

Akki:- good morning mumma.

Prerna( with sweet smile ):- good morning beta , chal ab taiyyar ho ja ( tabhi prerna sujal ki taraf dekhti hai aur in a very rude tone ) aur ha ise bhi utha de .

Akki:- aap hi kyun nahi utha deti

Prerna ( gusse se ):- jitana kaha hai utna kar samjha, ( prerna wahan se neeche chali jati hai. aur akki gusse se wash room chala jata hai.)

yahan humari nazar Sujal par padti hai, jiski band aankhon se bhi aanshun gir rahe the, washroom k darwaje ki awaj sunkar wo utha aur apne aanshun pochhe, aisa nahi tha ki use pata nahi tha ki aisa kuchh hoga, ya yeh uske sath pehli baar hua hai, yeh to har roz ka hai , in 12 salon me prerna ne kabhi bhi sujal k sir pyar se hanth nahi rakha, par sujal har roz isi umeed ke sath neend khulne k baawzud khud nahi uthta ki sayad aaj uski mumma use pyar se uthayegi, par aaj bhi prerna ne sujal ki taraf pyar se nahi dekha , wo khidki k paas ja kar khada hua aur suraj ko dekh raha hai

Sujal to himself :- main kahan galat hu bhagwaan ji , jo mumma meri taraf dekhti bhi nahi, meri kya galti hai kya main unka beta nahi hu, phir kyun sirf mere sath ... is ghar me sabhi mujhse bahut pyar karte hai, sabhi ki jaan basti hai mujhme... phir kyun mumma mujhse itani nafarat karti hai,mujhe achhe se yaad hai ki bachpan me mumma mujhse bahut pyar karti thi, par jab se hum sab mumbai aaye hai... mumma mujhse naraz rehti hai, maine to aaj tak mumma ki koi baat nahi tali... phir kyun ? ( tabhi akki washroom se bahar aata hai, darwaze ki aawaz se sujal apne aanshun pochhta hai & turns to akki with fake smile )

Akki:- good morning sujal bhai.

Sujal:- morning akki , main bhi ready hokar aata hun ( left for washroom)

Akki:- yeh inhe kya hua?

par in dono ko hi nahin pata tha ki prerna kab se door k pass khadi thi aur usne sujal ki sari batien suni jo wo apne aap se keh raha tha , prerna ki aankhon me aanshun the aur phir wo dheere se neeche chali jati hai apne aanshun ko pochhte hue,, yeh roz ka tha ki prerna khud kabhi bhi sujal ko nahi jagaati thi na hi usse pyar se baat karti thi par har roz sujal ke jagne tak use door se chhip kar dekhti thi, kisi ko yeh baat nahi pata par jab tak sujal nasta na kar le prerna kabhi 1 niwara apne gale se nahi nikalti thi, jab tak sujal ghar na aa jaye, prerna ko neend nahi aati, phir kyun wo uske sath aisa bartaav karti hai yeh to aaj tak ek raj bana huaa hai.

thodi der baad sujal bhi dining room me aata hai aur ja kar anurag , dadi aur prerna ke pair chhuta hai aur good mnorning wish karta hai, prerna roz kuchh nahi kehti par uske sir par apna hath jarur rakh deti thi yahi sujal k liye kafi hota tha...
sabhi nasta kar rahe hai...

Dadi:- oye khotyo... tum log thik se kha kyun nahi rahe ho, aur sujal tu kitana dubla ho gaya hai, ek paratha aur le...

Anjali ( fake gussa dikhate hue ):- kya dadi sirf sujal ha... mera to kisi ko khyaal hi nahi hai...sayad aap sab bhul rahe ho ki kuchh dino baad meri saadi hai aur main humesha k liye is ghar ko aur aap sab ko chhod kar chali jaungi...

Rishi:- dadi koi big b se jal raha hai.

Sujal( jo ki anjali ke bagal me hi baitha tha uska hanth pakad kar kehta hai):- aisa kuchh nahi hai rishi... aur Di... aap aisa kyun keh rahi hai... jab tak aapke yeh teen bhai hai, aapka is ghar se rishta humesha bana rahega... aur ha, hum 3no se pehle aap ka is ghar pe haq tha , hai aur humeshaa rahega... kyuki aap hum sab se har lihaaz me badi hai...

Anjali ( with smile & tears ):- are sujal main mazak kar rahi thi aur ha baaton me na koi bhi tujhse nahin jeet sakta...

Rishi ( proudly ):- aakhir big b kiske hai..

Akki:- ji nahin rishi ji, wo isliye kyuki mere sujal bhai humesha sach kehte hai... aur rishi tu kitana khata hai,chal humein college k liye der ho rahi hai...

Sujal;- are tum dono ladna band karo aur jaldi jaoo, papa mera bhi ho gaya main taiyyar ho jata hun phir aap aur di bhi mere sath chalna.

Anjali:- nahin sujal aaj tu sirf papa ko leja, aaj meri ek meeting hai...

Akki ( with wide smile & winks ):- jiju k sathhh...

Anjali:- shut up akki , main teri tarah nahi hun...

Sujal:- ok di, aur chal tu bhi mere sath ( aur akki ko pakad kar apne room me le jata hai, rishi aur anjali bhi apne room me ready hone chale jate hai )

Dadi:- anu puttar aise kya dekh raha hai bachho ko ?

Anurag:-maa .. aap janti hai mujhe , anjali, rishi aur akshat ki zara bhi fikra nahi hoti kyuki ,unke liye sujal hai, humesha se, mujhey pata hai ki mera sujal is ghar ko kabhi bikharane nahi dega , wo khud toot jayega par apne bhai behno aur apne pariwaar par aanch nahi aane dega.. ( prerna is smiling kyuki use bhi pata hai ki jo anurag keh raha hai wo sab sach hai)

Dadi:- yeh baat to 100 taka sahi kahi tune...

phir anurag apne room me chala jata hai aur dadi mandir me , aur prerna ghar k kaamo me lag jati hai... aur phir thodi der baad sabhi apne apne kam par chale jate hai, anjali meeting k liye, sujal aur anurag office, aur akki aur rishi apne college...

Shimla...
Sinha house ( just like virani house frm Kyuki Saas Bhi Kabhi Bahu Thi)...
mihir dining room me baitha hai news paper padh raha hai...

Mihir:- tulsi kahan ho...mujhey late ho raha hai, mera nastaa kahan hai...( tabhi tulsi, kripa aur charu k sath kitchen se aati hai, aur sabhi dining table par baith kar nasta kar rahe hai...) are yeh kashish kahan hai?

Kripa:- wo papa use kuchh kam tha isliye subah jaldi hi college chali gayi phir aaj uska result hai na, par keh rahi thi ki pehle church jayegi phir college...

Charu:- hmmm, pass hone ki duaa mangne... hai na dii...

Kripa smiles & in her mind :- nahi charu... wo aaj tak apne liye kuchh mangti hai, jo aaj mangegi...

Tulsi:- suniye , aapko yaad hai na ki kal kya hai...

Mihir :- nahin, aisa kya hai kal ?

Tulsi:- kal 16 october hai...sujal ka birthday...to aap koi achha sa gift use bhijwa dijiyega aur use wish bhi kar dijiyega...

Mihir:- hmmm, main use wish kar dunga par tum kashish se keh do wo gift bhej degi hum sabki taraf se... achha ab main chalta hu aur kripa tum taiyyar ho to chale, aaj bahut important meeting hai...

Kripa:- Ji papa.. ( kripa aur mihir office chale jate hai...)

Charu:- ok mom main bhi college k liye nikal rahi hunnn byeee

Tulsi:- byeee beta take care ( & charu left too)

Now we can see a church...very beautiful ...hum thoda ander jaate hai hai to dekhte hai ki pura church khali hai par 1 ladki khadi hai usne light yellow colour ka salwaar kameez pehna hai... uske baal khule hai aur uski aankhien band hai aur hanth folded hai wo jesus se pray kar rahi hai, hum jab uske thoda aur kareeb jaate hai to dekhte hai ki wo koi aur nahi balki Kashish hai... phir wo apni aankhien kholti hai aur 1 pyari si muskaan k sath bas jejus ko dekhe jaa rahi hai

end of part 1
plzzz do comment...
with love chandni...
************************************************************************
Edited by rkchandni - 10 years ago
naujoker thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 10 years ago
#15
Nice update!
Sujal and family are good.
Dinning table convo was nice!
What is the mystery behind prerna's hate towards sujal, and why she pretend to be angry when she is not?
I think something happened in shimla 25 yrs ago.
naujoker thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 10 years ago
#16
Nice update!
Sujal and family are good.
Dinning table convo was nice!
What is the mystery behind prerna's hate towards sujal, and why she pretend to be angry when she is not?
I think something happened in shimla 25 yrs ago.
Thanks for the pm!
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
#17
thankx... my sweetu janu sis for ur comment u know na... how much important ur comment for me... next time biggg commment plzzz @love_sujal kash


rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
#18
thanx senstivesheela for ur comment... kya hai na i m inpired by ekta kapoor LOL isiliye long star cast rakhi hai... only to support our hero heroine thanx
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
#19

Originally posted by: naujoker

Nice update!
Sujal and family are good.
Dinning table convo was nice!
What is the mystery behind prerna's hate towards sujal, and why she pretend to be angry when she is not?
I think something happened in shimla 25 yrs ago.




thankyou so much dear u r the 1 one commenting on my ff thaks a ton... keep reading ... keep smiling...
nilusoni thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 3 Thumbnail
Posted: 10 years ago
#20
Wonderful part
Garewal family is wow sinha is also nice
Excited for next part
Thanks for pm
Plz pm me for next part
Continue soon

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: goodkashish

6 years ago

Kassir ...Sujal&Kashish...Part 28 - Pg 33

Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

25 days ago

The Unending Dream OS [Completed]

In Every Birth, Find Me The night air in Mathura was thick with monsoon rains. In her small room lit only by a flickering diya, Radhika drifted...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

26 days ago

Moh-Maya ~ MayRa OS [Completed]

Whispers of Maya The glass towers of Delhi glittered under the cold moonlight, but inside the corner office of Ruan Publications, darkness...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

2 months ago

Pyaar Ya Rebound? ~ Rumya SS [Completed]

Intro: Rudra fakes a relationship with his best friend Soumya to impress glamorous Bhavya-but ends up falling for the one girl who truly knew...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: desidillse

4 months ago

ArShi OS : Pyaar Ka Naghma {Completed} ArShi OS : Pyaar Ka Naghma {Completed}

[NOCOPY] P Y A A R. K A. N A G H M A. "Friends?" a little boy extended his hand towards a girl which she responded. They smiled and embraced...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".