Precap: Haider versus Asad, Zoya versus Asad, Farhaan versus Zoya, Nikhat versus Najma - Khan house becomes argument house, mercury rising. Zoya leaves Asad's house in anger and frustration. Asad misses Zoya, Zoya misses Asad. Both egoistic to accept it.
PART 44
Next day morning at Khan Villa
Morning breakfast was a silent affair because Zoya was unsually quiet. She did not recite her shayaris, neither her usual banter was there. Asad was really missing it but did show it openly. He knew he was rude last night with Zoya when she told him about Najma. And he thought to make up also. But the signs were telling that she was in no mood and was going to have hard times convincing her. Zoya served Asad his breakfast but never had any eye contact with him as usually she does. But he was trying to initiate a conversation with her but she was giving him a cold shoulder replying in mono syllables. By that Najma came and sat. Najma looked at Zoya for any signs. Zoya's looked away from her indicating that its a negative in toto. Asad asked "Tamatar, entrance exams ki tayyari kaise chal rahi hai" Najma meekly replied "jee bohot acha, Bhaijaan" Asad "very good, koi distractions tho nahi haina" Najma "jee bilkul nahi bhaijaan,main man laga kar pad rahi hoon" Asad "hmm, iss samay career par dhyan dena chahiye, studies comes first, don't let your mind wander here and there" Najma "hmm okay I will take care bhaijaan" Asad "Nikhat tumhara dance school kaisa chal raha hai" Nikhat "jee bohot acha chal raha hai, bas 10 students hain ab tak, lekin muje umeed hai aur students admission ke liye ayenge" Asad "aur tumhari padayi" Nikhat "vo bhi teek chal rahi hai" Asad "kya tum dono manage kar sakti ho, I mean agar course complete hone tak, school se zyadaa studies par concentrate karogi tho acha nahi hoga" Nikhat "vo bhaijaan, actually school ke timings maine sham ko rakha hai, tho subah college se dopahar ko school ati hoon aur phir sham tak study time milta hai muje, tho i guess manage hojayega Bhaijaan, aap fikr mat kijiye" Asad "vo sab teek hai Nikhat, lekin maine yeh dance school kholna ijazat sirf issliye diya kyunki yeh tumhara passion hai, lekin iski vajah se apnni studies ko nazar andaz mat karna" Nikhat jee Bhaijaan" All these talks were heard by Zoya from the kitchen while making juice "vaise inhe sab ki parva hai jaise main tho inki dushman hoon, muje hi pata hai, ki Nikhat ke school shuru karne ke liye maine inhe kaise manaya tha, aur Najma tho abroad main padna chahti thi, uske liye bhi main hi inhe manaya, lekin ab dekho kaise jahapanah ki tarah baitkar sabke khabar le rahe hai, hmmm" She twisted her mouth to the other side. Asad "Humera aaj kal apne kamre mein se bahar hi nahi nikal thi" Najma replied "aaj kal usse painting ka shouk chada hai" Asad "acha, achi baat hai, man behel jayega, vaise Ayan bhi yahan nahi hai, tho zahir hai thoda low feel kar rahi hogi" Asad "yeh Nuzzat kahan hai, vo dikhayi nahi de rahi hai" Nikhat "bhaijaan aaj uski na tabiyat thoda nazaaz hai, tho vo aaj school nahi jaa rahi hai" Asad "kya hua hai usse, doctor ke paas jana hai kya, muje pehle kyun nahi bataya" Nikhat "doctor ki koi zaroorat nahi hai, yeh voh nahi jo aap samaj rahe hai, yeh tho.." Zoya interfered "you know women problems" and she served everybody juice. Asad got embarrassed at Zoya's words but quickly changed the topic. "Zoya ayiye na aap bhi baitiye hamare saath nashta nahi karengi" he tried to catch her by wrist and make her sit. But Zoya slipped away saying that phoppi has gone out and she will have with her when she comes back. Finally resigning Asad stood up and announced that he was going to office. He expected Zoya to come and bid him bye but what he got was a cold stare from her. He left pissed.
Asad Office
Asad was recollecting what Zoya said about Najma and Haider. How Najma, his little tamatar has started liking him. He cancelled all the appointments and scheduled meetings for the day and proceeded to Haiders clinic.
Haiders Clinic
Asad barged into Haider's clinic and Haider was busy attending a patient at that time. Haider was surprised at Asad's visit as he had given no appointment for Asad today. "Mr.Khan aap, aise achanak, aaj to apka appointment nahi tha, phir kaise ana hua, main thoda busy hoon aaj, aap thoda wait kar sakte hai" Asad "busy main bhi hoon Mr. Haider, aur apne tho kaha tha aap patients ke ghar nahi ate phir bhi aap aye the mujse milne mere ghar pe, tho aaj main bina appointment ke apse milne nahi aasakta, main tho apka special patient hoona right" He ended with a sarcasm there. Haider asked the patient to wait outside and attended Asad now as he felt that Asad was a little bit angry. "Mr. Khan please take your seat, if you want today session we can pre pone it" Asad cut him off "main yahan session ki baat nahi meri behen Najma ki baat karne aya hoon" Haider know what was coming up "Oh yaa kal main mila tha, Najma se apke ghar par, vo Najma se aise hi jaan pehchan hogayi thi,vo ek baar library se main ek book lekar gaya tha, itefaaq se vohi book Najma ko bhi chahiye tha, she came looking for me after getting my address from the librarian, aur Najma se milne ke baad really I was very impressed, you know.." cut off by Asad. "do teen mulaqato main Najma apko pasand karne lagi, I cant believe it" Haider "Najma ne apse kaha ki main usse pasand hoon" Asad "jee nahi Najma ne aisa kuch nahi kaha hai, vo maine andaza lagaya" Asad lied to Haider. Haider "tho aap andaza laga kar mujse aaj gussa karne aye hai" Asad "Dr.Haider main chahta hoon ki aap Najma se door rahe, vo abhi apne career pe concentrate kar rahi hai, aur aap usse distract kar rahe hai" Haider got amused at Asads statement "jee nahin, main tho uski maddat kar raha hoon entrance exams dene main" Asad "usko aapki maddat ki koi zaroorat nahi, voh khud ko sambhalne ki kabil hai" Haider "of course main kab kaha ko vo kabil naih hai, actually vo bohot smart bhi hai, mere khayal se..."cut off by Asad "aap apna khayal apne paas rahkhiye, aur seedhe baat suniye, main nahin chahta ki aap meri behen se mile, is that clear?" Asad asked in a menacing tone. Haider replied cooly "maine kuch galat nahi kiya hai, tho main kyun unse milna band karoon, aur muje bhi apki Tamatar pasand hai, yes I like her too, but I am matured enough not to disturb her studies, main khud bhi tho ek doctor hoon and I understand better than you ki kitna mushkil hota hai medicine padna, ab aap tashreef le jayeye, muje mere patient ko attend karna hai" He showed the way to the door. "Pleaseee" Asad walked out angrily.
Nikhat's College
Although Asad had given Nikhat a vehicle with a driver, Nikhat after meeting Farhaan and now in a relationship with him was taking lifts from him mostly. Nikhat was persistently asking Farhaan his visit to her house to ask her hand in marriage. Farhaan promised that he will come in a day or two to her house along with his appi and jiju. Nikhat asked whether she can continue her dance school to which Farhaan replied that he will convince his appi and jiju, as they are little bit orthodox type, but they will allow her surely, after all they love us. Nikhat asked whether he had told about her to his appi and jiju. Farhaan replied that he had already given a hint to them that he has chosen his girl but hasn't revealed completely about her to them which he will do soon before he comes to her house. Nikhat was relieved hearing that.
Asad'House
Humera recently grew fond of making sketches and all the sketches she made up till now were that of Ayan and Ayan only. Zoya entered Humera's room with a tray of food. She found lots of canvass papers on the floor, spilled colours everywhere, broken brushes and mixing plates, her opened diary, the pages of which were fluttering in the breeze. Zoya just saw a page on that diary. It was all about how she was missing Ayan, how she remembered him, their past moments, altogether it was all about Ayan only. Zoya closed it. She kept the tray on the side table and she bend down to pick the canvass sheets. She saw it was a pencil sketch of Ayan. She looked over for Humera and located her in the sit out behind the white curtains. Zoya came over and removed the curtains to see a messy Humera with all paints on her face and dress, her hair tied into a messy bun with all paint brushes dug into it, she was holding a big brush with her teeth and was completing a sketch of Ayan with her hands. She was wiping some corners of the painting with her slender fingers to give a good finish. Zoya exclaimed "Mashallah Humera, yeh tho bohot khoob surat hai, lekin sirf Ayan ka kyun, mera kyun nahi?" Humera startled looked back at Zoya and then tried to smile a little and then continued with her painting. Zoya saw that Humera eyes lost the twinkle and the spark which it used to give earlier and she had dark circles around her eyes which indicated lack of sleep. Her face was dull, she was more lean and thin look thatn before. It seemed that she had not eaten anything sumptuously for days. Zoya pulled Humera back "Humera khana khalo, yeh baad main finish kar lena, aisa lagta hai tumne kuch dino se teek se kuch nahi khaya hai" Humera said "nahi aisa kuch nahi hai, vo kya haina, main jab ek sketch bana ti hoon, tho usse poora kiye baigar ek jagah par bait thi nahi hoon" Zoya "lekin tumhe dekh kar aisa nahi lagta hai" she held all those canvass papaers picked up from the floor and held in front of her eyes. "sare sketches main sirf Ayan ka portrait hi kyun" Humera "vo baas main bohot din ke baad kuch try kar rahi thi, tho Ayan ka chehra teek laga practice karne ke liye, muje to Ayan ki chotisi choti baat yaad haina, issliye, banana main asani hogi" Zoya sensed that Humera is disturbed, her voice was breaking between sentences. "Humera main jaanti hoon ki tum Ayan ko bohot zyadaa miss kar rahi ho, aur hali main jo baat khulke samne aya hai ki Ayan, Rashid uncle ka beta nahi hai, usse tum upset ho, par trust isse kiski koi fark nahi pada hai, kyunki hum sab Ayan se bohot pyar karte hai,vo aaj bhi humare ghar ka hissa hai, he is family only" Humera "main tho iss baat se pareshan hoon ki jab Ayan ko yeh baat pata chalegi tho kya hoga" Zoya "don't worry Humera hum kabhi Ayan ko iss baat ka pata lagne nahi denge" Humera shukriya baji, muje pata nahi agar aap sab nahi hote tho mera kya hota, Dilshad aunty mera itna khayal rakhti hai, jaise main unki khud ki beti hi hoon, main apka yeh karz kaise utar paungi pata nahi" Zoya "chup karo Humera, yeh ehsaan nahi hai, yeh pyar hai, humare pyar ko ehsaan ka naam mat do Humera" Humera "sorry baji, main aage se aisa bilkul nahi sochungi" Zoya "good girl, now finish this fast" Humera nodded. Zoya asked "humera tumhe yeh painting ka shouk kabse hai?" Humera "bachpan se tha" Zoya "lekin maine tumhe kabhi paint karte hue nahi dekha" Humera "vo maine chod diya tha" Zoya "kyun?" Humera "ayan ke vajah se" Zoya "ayan ki vajah se?" Humera "vo Ayan ko na bachpan main paints ka smell se allergy hoti thi, unhe phir zabardast khasi ati thi, tho mai apna shouk chod diya" She said sadly with tears dripping from her eyes. Zoya hugged her and told "don't worry Humera Ayan jaldi hi vapis ayega, tumhara intezaar khali nahi jayega Humera, samaj lo Allah tumhari mohabbat ka imtihaan le raha hai" Humera "lekin kab thak Baji, main intezaar tho kar loongi, saari zindagi intezaar kar sakti hoon, lekin ek baar vo muje bulate kyun nahi hai, kya main unke liye koi mayne nahi rakti?" Zoya "chup hojao humera, Ayan ko bohot jald tumhari ehmiyat pata chalegi, agar mohabbat sachi hai, aur dil main sachi aas hai, tho har mushkil asaan hojata hai Humera, Allah par bharosa rakho, tum kaho tho main Ayan se baat karoon" Humera cried on Zoya's shoulder limitlessly saying "main unhe disturb nahi karna chahti, vo apne recordings main busy honge, mere khayal se vo distract hojayenge, aur main yeh nahi chahti ki meri vajah se unka sapna adhoora reh jaye." Zoya said "ek baat kahoon" Humera "kahiye na" Zoya "tum phir se painting shuru kyun nahi karti, I mean tumhara man bhi behel jayega, aur tumhara talent bhi brush up hojayega, kya kehti ho, mere saath office ajao, tumhari paintings ki achi khasi advertisement ki guarantee meri, kya kehti ho? Aise Ayan ka intezaar main tho zindagi nahi guzar sakti na, tum apni khud ki pehchan banao Humera, apne sapno ko poora karo, kya pata shayad Allah ne tumhare liye kya plan kiya hai" Humera stared at zoya for sometime hearing this.
In the evening
Asad was back as usual and Zoya was too busy with household chores since Dilshad was not feeling well and hence he didnt get time even to talk to her. Asad saw Zoya over the kitchen counter alone. He saw this was the best time to approach her, she was humming a tune to herself. So Asad guessed that she is happy and cheerful and must have forgotten the incident a day ago. Zoya was cutting vegetables, he camed and snaked his arms around her waists. Due to sudden touch Zoyas got startled and she cut her finger. "Ouch" she shrieked. Asad immediately took her finger into his mouth and sucked the blood. Zoya was with drawing her finger giving glares but Asad was not letting it go. Soon their precious moment was disturbed by the door bell. Zoya took this chance and withdrew her finger and ran away to open the door. Asad "Doorbell ko bhi ab hi bajna tha" He ran his fingers inside his hair due to frustration.
Zoya went to open the door and found a tall handsome guy with an elderly couple and a smalle girl too. Zoya "jee kahiye" The guy said "main Farhaan, vo Asad bhaijaan se milne aya hoon, kya vo ghar par hai?" Zoya "jee haan ghar par hi hai ayiye andhar ayiye" She called over Asad that somebody has come to meet him. Zoya was getting wierd vives on seeing Farhaan. She mumered and went to the kitche counter "muje aisa kyun lagta hai, ki maine iss aadmi ko kahin dekha hai, shakal kuch jana pehchana sa lag raha hai, par kahan dekha hai yaad nahi araha" she cliked her toungue.
Asad was meeting Farhaan for the first time and hence Farhaan introduced everyone to him including himself. Asad was confused that why they had come to meet him. Then Farhaan's appi spoke. "jee salam, main baat ghooma ne main yakeen nahi rakti hoon, issliye seedhe mudde par ati hoon, hum yahan Farhaan ke liye apki behen Nikhat ka haath mangne aye hai" Asad was surprised "jee lekin Nikhat ne kuch bataya nahi" Farhaan said "bhaijaan Nikhat chahti thi ki main khud aakar apse baat karron iss barein main, nikhat meri appi ki college main hi padti hai, tho ek do baar maine usse dekha tha, phir achanak ek din Nikhat ke dance school main usse mulaqat hogayi, meri bhanji sanah vahan dance sikhne jati hai, thodi dino main, hum ek doosre ko pasand karne lage, humare khayalat bhi milte hai tho maine socha ki, baat age badaya jaye, Nikhat se poocha tho usko koi atiraaz nahi tha, aur meri appi aur jiju bhi raazi hai, issliyeb hum baat aage badane aye hai" Asad "lekin aise achanak se, main Nikhat se baat karna chahta hoon, iss bare main" Farhaan's jiju "haan haan kyun nahi, ladke se hum bhi milna chahte hai, vaise Shenaaz ne usse college main dekha hai, lekin koi formal introduction nahi hua hai" Asad agreed. Asad went to call Dilshad.
Asad called over Zoya to fetch Nikhat and said that they have come for seeing Nikhat and for her alliance with Farhaan. Zoya was surprised at Asad's behaviour the person whoi vehemently opposed Najma's case is now supporting Nikhat. Neverthless she went inside to get Nikhat. Asad returned with Dilshad. Asad asked "jee aap karte ho Farhaan" Farhaan replied that he was a MBA graduate and was employed in consulting firm in US and came back to India when it got dissolved but again he has been offered another job there and soon he is planning to relocate to US and before that he wants his marriage with Nikhat so that he can take her too along with him. Farhaan said his appi Shenaz was working as a Arabic lecturer in Nikhat college and his Jiju Akhtar Qasmi owned a chain of restaurants in Bhopal. Asad was impressed by his back ground. Asad asked "aap jiju ki maddat kyun nahi karte hai, since he is running his own business" Farhaan's jiju replied "main tho kitni baar keh chukka hoon, lekin yeh mane tab na, aaj kal ki ladko ko khud kuch karne ka junoon hai" Shenaaz told "vo apne balboote par kuch karna chahta hai, tho humne bhi zabardasti nahi ki" Asad was again impressed that this boy had some self respect and inviduality and wanted to do something of his own inspite of having a family business.
Nikhats room
Zoya was making Nikhat ready. Nikhat said she will be simple as she is and didnt want to show anything which she didnt posses. She wanted them to accept who she is, and how she is. Zoya also supported her and just did a hair do and asked her to wear a black and while anarkali dress. Nikhat told Zoya how she met Farhaan and then Zoya got remembered of that mall incident. She confirmed with Nikhat and concluded that she indeed saw them there. But Zoya was thinking that she knew Farhaan already before that mall incident, that's why he was able to get into Zoya's attention soon. But she couldn't remember where she had met him. She remained silent. She took Nikhat to the living room.
Farhaan's appi and jiju really liked her, even though they were orthodox, they believed in practicality, even Farhaan's jiju was a little wheatish only. Farhaan's aapi really liked her and her poised and shy behaviour. Asad was also almost convinced. But Zoya was staring at Farhaan for a long time to register where she has seen him. Asad discussed with Dilshad and she too was okay with the alliance. After a almost marriagewith Imraan, who cheated her and never stood up for her, Nikhat was finally getting her love who loves he as she is and for what she is. Farhaans' appi said "tho baat pakki karte hai, aur sagaai ki tareekh jaldi hum tay karte hai, vo Farhaan ko US vapis jana hai ek mahine main, aur Nikhat ka visa ke liye bhi apply karna padega kyunki Farhaan nikhat ko saath lekar jana chahta hai, aur humare vaise itni zyadaa rishtedaar bhi nahi hai, aur jo hai vo sab duniya ke kissi na kissi kone main hain, aur itni jaldi itni short notice pe, koi aanahi payenge, agar Farhaan ko vapis nahi jana hota , tho hum dhoon dhaam se yeh nikah karte. Lekin ab halat hi kuch aise hain ki nikah ek sada tareeke se karna pad raha hai, I hope aapko koi aitraaz nahi hai" Dilshad replied "jee nahi Shenaz bi, agar Nikhat khush hai tho hum bhi khush hai, akhir bachon ki khusi main hi, humari khushi hai haina Asad" Asad "jee ammi, main kal hi moulvi saab ko apse milne ke liye kehta hoon" Zoya was silent in all these not able to register that Asad agreed for Nikhat's marriage all of a sudden and she too was studying like Najma. She was not able to decipher the change in Asad and she thought may be he had a change of mind. If Nikhat's proposal is okay for him, then Haider is much more qualified than Farhaan, may be Asad will agree this time. She thought she will again introduce Najma's matter to him this night. Dilshad Zoya beta "sabka mooh tho meeta karvao, akhir tumhari nanad ki rishta tay hua hai."
Dilshad said she wanted to talk to Farhaan's appi and jiju alone. So she dismissed Farhaan and Nikhat telling nikhat to take him to show the house. Dilshad spoke "jee kyun ki aapne bohot khule dil se Nikhat ko apnaya hai, main apse kuch kehna chahti hoon, Nikhat meri sagi meti nahi hai, mere shouhar ki doosru biwi ki beti hai, muje laga yeh baat apko batana zaroori hai, issliye main kuch nahi chuapana chahti" Shenaz told "Dilshad bi hume ladki pasand hai, aur agar vo Farhaan ko khush rakhegi tho isse zyadaa hume aur kuch nahi chahiye, aur vaise bhi Asad ki behen hai, aur Bhopal main Asad Ahmed Khan aur apko ko koun nahi janta, hume yeh pehchan kaafi hai ki vo Asad ki behen hai aur paki beti hai sagi yah souteli se humhe koi matlab nahi hai," Dilshad "jee aap logone yeh baat sunkaar mere dil ko tassali mili, abhi muje pakka yakeen hai ki meri Nikhat apke ghar main bohot khush rahegi" Farhaan's jiju replied "aap fikr mat kijijye, Nikhat ko hum apni bahu nahi, beti samaj kar leja rahe hai". Asad and Dilshad looked at each other and Dilshad blinked at eyes at him assuring him. Dilshad said "jee khana kha kar jeyega, humhe bohot acha lagega" They agreed.
Asad's room after dinner
Zoya was still thinking about Farhaan, his face looked familiar to her, but she was not able to remember. Zoya was fidgeting with her dupatta around her fingers sitting and staring at the dressing mirror. Asad came inside the room and saw Zoya in a trance. He came behind her and whisered in her ears "kiske khayal main aise khoyi khoyi baiti hai aap" Zoya unknowingly blurted "Farhaan" Asad was taken aback at her reply. He raised his voice a little "Zoyaa." She snapped out. "jee aap kab aye" Asad "tho aap uss Farhaan ke khayal main aise khoyi thi ki mera ana apko pata nahi chala" Zoya " Asad please main bakwas ke mood main nahin hoon" Asad was trying to find a way to convince her and say sorry but she was riling up. Asad "main bakwas kar raha hoon, tho apne uss Farhaan ko yaad kyun kar rahi thi, mujse zyadaa hansome hai kya vo?" Zoya turned and looked at Asad and said "jealous Mr. Khan?" Asad "what rubbish?" Zoya "yes I m asking that are you jealous that I was thinking about Farhaan rather than you?" Asad "oh please don't start this again, main yahan sorry kehne aya tha kal raat ke liye , aur aap hai ki ek teesre aadmi ko humare beech main laa rahi hai" Zoya "yeh tho pakka jealously ki nishaani hai, varna aap ye kyun poochte ki vo apse zyadaa handsome tha?" Asad "okay, I surrender, khush, haan hoon main jealous, I don't like you seeing other men, to be frank ogling at them and that too when I m in front of you" Zoya "Mr. Khan for you kind information I was not ogling at him, I was deeply thinking where I have seen him." Asad "oh really, then, apko itni sochne ke zaroorat nahi hai, apne hi tho kaha tha ki apne uss din dono ko mall main dekha tha" Zoya "haan, lekin mall mein dekhne se pehle iss ladke ko kahin dekha hai" Asad "Zoya tum bekar main apne dimag lada rahi ho, chalo sojao raat bohot hogayi hai" Zoya "main bekar main nahi keh rahi hoon, muje yakeen hai ke maine usse kahin dekha hai, apko tho meri koi baat par yakeen nahi hoga, jab Najma ka nikah ko padayi ke bahane tal sakte hai tho Nikhat bhi tho pad rahi haina, ab kya hua, they came, they saw and everything decided, aisa bhala hota hai kya, nahi apne ladke barein main jana, nahi uske rishte daaro ke barein, unhone aakar kehdiya hume nikhat chaihiye tho aap maan gaye, aur Najma, vo bhi tho Haider ko pasand karti hai, uska kya?" Asad saw again Najma's topic is being raised by Zoya and the bitter encounter with Haider in the morning had left a bad taste also. He got irritated and said "Dekho Zoya Najma aur Nikhat ke maamle main fark hai, pehli baat Nikhat ne Farhaan ko pasand kiya, lekin usne Farhaan aur uske parivar ko mujse aakar milkar baat karne ke liye kaha, lekin Najma ne aisa nahi kiya, vo iss baat ko chupana chahti thi agar uss din aap zor nahi deti tho aaj tak hum kuch nahi chalta, aur doosri baat yeh hai ki Nikhat ka nikah ek baar toot gaya aur vo bhi meri dost Tanveer ke vajah se, issliye main nahi chahta ki iss baar bhi uska dil toote, aur teesri baat Farhaan ke jiju ke restaurant ko main bhi jaanta hoon, Bhopal main bohot famous hai, uski appi lecturer hai Nikhat bhi pehchanti hai akhir uski college main hi tho haina, tho parivar acha hai, unhone Nikhat ko khule dilse apnaya hai, tho iss rishte ke khilaf jana matlab Nikhat ko chot pohunchane ke barabaar hai, aur sabse badi baat Nikhat meri zimmedari " Zoya "tho kya Najma apki zimmedari nahi,Najma sure nahi thi, ki Haider uske barein main kya soch tha hai, issliye vo thoda hich kicha rahi thi, aur aap jaise Hilter bhai ho tho pooch hi mat, darr thi hai vo aapse" Asad had enough of this, he raised a voice little bit and said "Dekho Zoya, Najma aur Nikhat dono meri behen hai, aur unke liye kya sahi hai aur kya galat, iska faisla main karunga, aap ko iss ghar main aye huye din hi kitne huye hain aur aap dava karti hai ki mujse zyadaa apko unki fikr hai, main unka dushman hoon, hilter hoon vager, vagera," Zoya stood frozen at Asad's statement, it was then only Asad too realised that in anger he had hurt Zoya very much but it was too late. Zoya retorted in a sad tone "okay tho aap yeh keh rahe hai, mere iss ghar main aye huye sirf teen din huye hai issliye main Najma aur Nikhat ki dushman hoon, unke ache bura ke bare main sochne ka haq muje nahi hai, okay fine Mr. Khan, akhir aaj apne sabit kardiya ki main apke parivaar ki faislon main shamil nahi ho sakte, then why I m standing here, I should leave na, just right now" She walked away. Asad called desparately "Zoya I m sorry, mere kehne ka vo matlab nahi tha, I mean aap janti hai ki main gusse main kuch bhi kehta hoon,I didnt mean anything Zoya please ruk jao, mat jao" Zoya didnt give damn to his pleading, she was very much hurt at his statement and slammed the front door on his face and walked out. Soon Asad heard the sound of a car going. Asad held his face in both his hands. Unknown to them Dilshad had witnessed all these from upstairs.
Asad was pacing in his room to and fro how to get Zoya back. He knew that Zoya would have gone to her appi's house and now calling them at this wee hours asking about Zoya who had gone alone without him will further invoke doubts in them that something bad had transpired between them. So he decided to wait till morning but sleep was far awy from him. He had hurt his Zoya, he knew it but Zoya got all angry and left at the spur of the moment leaving no room for him to make up.
In the morning
Asad went to Zeenat house to get zoya back. Anwar "are Asad tum itni subah subah kaise, aao andhar aao chai pike jana, come join us" Asad said vo main jogging ke liye nikla tha tho socha aap sabse milta chaloon" Zeenat "achi baat hai, vaise bhi bohot kuch hogaya itni dino main ki sab tension main the, aur batao kya haal chaal hai" Asad looking around for Zoya spoke "jee sab teek hai, Nikhat ka rishta tay hogya hai" Zeenat "are vaah yeh bohot acha khush khabri sunaya hai, meri Zoya ke kadam bohot ache hai, dekha uske pair kya tumhare ghar par pade, tumhari behen ka nikah pakka hogaya." Asad was feeling guilty hearing that he eyes was searching for Zoya. Zeenat "kissko dekh rahe ho Asad" Asad lied "vo Aftab kahan hai" Zeenat "vo soo raha hai, andhar kamre hai" Asad thought Zoya might be with him so he asked Zeenat whether he can meet him to which she agreed easily. Asad entered the room and found Aftab sleeping sound in a cradle. He just looked at the room and then checked washroom. Zoya was not there. Where the hell Zoya had gone if she is not here? Asad thought but he can't reveal anything to them also. He went out and asked "Aftab ko akele aise chodna, matlab agar vo palne se gir gaya tho" Anwar laughed "are Asad, vo so raha hai aur Zoya ne baby monitor lagaya hai, tho no worries" "Aapi main abhi chalta hoon" Zeenat "Zoya ko mera pyar dena aur usse kehna ki aapi usse bohot miss karti hai". Asad now confirmed that Zoya was not in Appis house, he was getting more worried now.
Asad drove like a maniac searching for Zoya through the streets of Bhopal, he enquired at all places where Zoya's presence was possible, and finally he came in front of a dargah. His feet automatically took him inside dargah, he prayed for Zoya's return and her safety, he asked for apology for hurting his own soul and breath, his other half without which he cannot live. He promised never to hurt her again in his lifetime. He got up and drove to his house in hope of seeing Zoya again.
Zoya's office
Zoya had spent her whole night at her office, which she was visting probably after a month. She sat on the chair with her head rested back on the chair, with closed eyes and her fingers formed a v shape and she had rested her chin on it. She cried all the night thinking of how could Asad say such mean things to her. She still couldn't believe her ears. She didnt take her phone or i pad or anything this time. She thought to dial home and inform that she is safe. She almost dialled the number and to make it worse it was Asad who picked up at the other end. She stayed silent and then put it dow without saying anything. Asad was getting vibes that it was Zoya's call. He checked the number on the caller id and found that it was Zoya's office number. How the hell he forgot Zoya's office, he didnt seach for her there? He took the car keys and rushed to her office. But he was unlucky, he was informed by the office staff that she had spent the whole night there and just left now before he came. He was frustrated "ab kahan chali gayi, Zoya please, main koi bhi sazaa ke liye tayyar hoon, lekin mujse aisa door mat jayiye"
Farhaan's house
Zoya pressed the door bell and Farhaan opened. Zoya roared "acha hua tum ne hi darvaza khola, main tumse milne ke liye ayi hoon" Farhaan "jee ayiye bhabhi andhar ayiye" Zoya "jee nahi main yahi teek hoon, tum jabse hamare ghar main aye the, tabse mere dil main yeh baat bait gayi hai, ki main tumhe kahi dekha hai, lekin yaad nahi araha tha" Farhaan "lekin main to apko pehli baar mil raha hoon" Zoya "jhoot, tum mujse pehle bhi mil chuke ho US main, ab muje sab yaad agaya hai" Farhaan "US main, kab" Zoya "tumhe yaad hai, tum jab college mai the tumne ek baar thappad pada tha ek ladki se, usse love letter dene ke liye" Farhaan scratched his head "thappad, love letter" Zoya "ab tumhe yeh bhi yaad nahi ki tumne Wilson College main apni graduation poori ki thi" Farhaan " haan main Wilson College main MBA kiya tha, muje yaad hai lekin, uska aur apse kya lena dena hai, mai kuch samja nahi" Zoya "main samjati hoon, you were first year and I was senior to you, Zoya Farookhi remember, you came to me with a love letter and gave it to me in the library and asked for a return gift, and I gave you a slap, now do you remember me?" Farhaan "Oh aap, maine apko pehchana nahi, sorry" Zoya "pechana tho maine bhi nahi tha apko, lekin akhir main pehchan hi liya" Farhaan "vo to bas ek galat faymi thi, uss din ke baad apko college main nahi dekha," Zoya "oh really, tumhare jaise ladke se main Nikhat ka rishta nahi hone dungi, vo ek bholi bhali ladki hai, jiska dil mom ka hai, jo ek baar toot chukka hai, main dubara usse nahin tootne doongi, main yeh nikah nahi hone dungi, specially tumhare jaise awara aur batchalan ladke se, pata nahi aur kitno ko aise love letter diya hoga, aur kitno ke saath raath guzara hoga" Saying this she menacingly turned away and said "just wait and watch Mr.Farhaan, main apki kya halat karthi hoon" Farhaan was baffled at Zoya's outburst "Bhabhi lekin meri baat tho suniye, please, main sach keh raha hoon, vo main majboor tha," he was going on shouting and Zoya left in no time. Farhaan "yah Allah ab kya hoga, itne dino ke baad muje ek ladki pasanad ayi vo bhi Zoya Farookhi ki nanad nikli, muje kuch karna padega, varna mere nikah hone se raha"
Precap: Zoya returns home. Dilshad - Zoya confrontation, Zoya - Asad confrontation, Asad disagreeing for Nikhat - Farhaan marriage, Farhaan - Zoya confrontation. Najma - Asad confrontation Dislhad - Asad confrontation.
41