Khwabo Ki Manzilein.. Last part on pg 57 - Page 5

Created

Last reply

Replies

411

Views

61.9k

Users

36

Likes

7

Frequent Posters

Surya.Ravi thumbnail
Posted: 18 years ago
#41
farheen , varallika the part totally rocked...i liked it very much...it was damn coolllllllll........ 👏
bechara kunal... 😆 aur ab woh students ko raj nahi chodega.. woh log tho phas gaye...😆waise dear why is rajveer behaving like Major.Nair...itna strict...hmm...
😕 please post the next part soon..me waiting for the next part eagerly... 😃
Edited by sun_423 - 18 years ago
Varallikka thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 18 years ago
#42
thx 4 liking our story we will post the next part soon
Varallikka thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 18 years ago
#43

kkm...part-9

recap: Sabhi officers ki NDA...Gulmarg mein posting ho jaati hai as

teachers... hamare cadets as usual academy time pe nahi pohochte hai. unhe

ate aate raat ho jati hai.

per tab tak academy ka gate bandh ho jata hai.per hamare cadets ke liye

yeh koi badi problem nahi thi...woh kisi tarha se academy ki peechewali

deewar se andar aate hai jaha unka saamna

major rajveer se hota hai...aur rajveer unhe late ani ki sazaa bhi deta

hai.per hamare cadets academy ke pehle din pe rajveer ko target banane

ke liye ek trap bichate hai jismein bechare captain kunal phass jate

hai...

ab aage...

kunal uss stage pe jaisa hi kadam rakhta hai pura stage toot jata hai

aur woh uss platform ke peeche ek gehri nadi mein gir jata hai…

Thik usi waqt Raj bhi waha a jata hai…. And kunal ko girta hua dekh ke

wo bhi nadi me chalang laga deta hai…

Kunal ko sar pe chot lagti hai jiski wajahse woh behosh ho jata hai.

Rajveer kisi tarha se use nadi se bahar nikalta hai aur hospital wing le

jata hai.

kunal behosh hota hai aur uske sar se kaafi khoon behta hai.Doctors

uski treatment karte hai aur use ek din ke liye wahi admit karte hai.

Rajveer kaafi gussme mein class mein jata hai...

all cadets: gudmorning sir.

Rajveer: therez nothing good about this morning.(looking towards 6

cadets)aap sabhi jante hai kyun?

(therz pin drop silence in the class.Nobody even dares to look at

rajveer knowing, major is not gonna spare them)

Rajveer: First year cadets hone ka yeh matlab nahi hai ki aap apne

teachers ke saath aisa mazaak kare jise unki jaan ko khatra ho jaye...

(therez complete silence)

main bas yeh janna chahta hu ki abhi jo bhi hua hai, yeh kiski harkat

hai?

(sabhi cadets aashi ki taraf dekhte hai)

Rajveer: fine...aap achchi tarha se jaante hai ki isleliye puri class

ko punishment ho sakti hai....i ask u for the last time..whose behind

all this?

(koi kuch nahi kehta...)

Rajveer: kitni sharm ki baat hai ..... yaha sipahi banne aaye cadets

mein itni bhi himmat nahi ki woh saamne aakar apni galati kabool

karsake...(still no answer).. thik hai koi baat nahi...i want all the cadets

out on the

ground widin next 5 mins...

(abhi rajveer ki baat sunkar khada ho jata hai)

abhi: sir,

Rajveer: yes cadet

Abhi: sir yeh sab maine kiya hai..

ashi: nahi sir, yeh sab maine kiya hai..aapko jo bhi punishment dena

hai mujhe dijiye.

yuvi: no sir, yeh dono jhoot keh rahe hai, yeh maine kiya hai..

rohan:no sir, its me who did it...

Rajveer: i'm not surprised at u,....... but i must say ki aap logo mein

kaafi unity hai... app itne hi hai yaa aur bhi koi hai...

(anu aur dhwani khade hote hai)

Rajveer: good. ..thik hai ..ab jab galati sabne milkar ki hai to

punishment bhi sabko saath hi milegi....out on the ground now.

ground pe hamare honhaar cadets ek hi pair per khade hai woh bhi tapti

dhoop mein...

ashi: iss baar to yeh hitler bach gaya, but i promise u guys agli baar

yeh nahi bachega...

abhi:wat? aap ka dimaag to thik hai na aashi?aap ab bhi ..

yuvi: dude tum aashi ko dimag hone ki umeed bhi kaise kar sakte ho?

ashi: shut up u phsyco!

dhwani: oh please! ab tum dono ladna bandh karo ek to yaha 2 ghante se

ek pair pe khade hokar halat kharaab ho rahi hai aur tum dono lad rahe

ho..

anu: aur nahi to kya........ise koi aur punishment nahi mili kya?

rohan: ha ha main uss hitler se keh dunga ki next time jab woh punishment de to Miss. Anusha Shankar se poochle

ki tumhe kaunsi punishment chahiye?....

ashi: guys guys..hitler aa raha hai...

Rajveer: [looking at his watch] filhaal to bas 2 hi ghante hue hai, aur

aapko aise shaam tak yehi khade hona hai.

anu: shaaaam????

Rajveer: yes cadet..any problem?

anu: no sir...

Rajveer: gud...hona bhi nahi chahiye.... waise ha....cadet rohan.. agli

baar aapse puchkar hi punish karunga...

(rohan bas rajveer ko surprised sa look deta hai)

(rajveer smiles and leaves)

anu: kuch bhi kaho yaar, yeh banda hai kamaal ka!

dhwani: ha sahi kaha.

ashi: hey bhaggu! yeh hitler inko kamaal ka banda lag raha hai...

mujhe

to woh uss hitler ka bhi baap lagta hai...

(aur sabhi cadets u hi major rajveer ki burayi karte, thoda mazaak

karte hue apna punishment jhelte hai, waise bhi punishment hamare cadets

ke liye

koi nayi baat nahi thi)...

inhe apna punishment jhelne dete hai dekhte hai ki hamare officers urf

NDA ke teachers kya kar rahe hai.....

in the hospital wing-

Kunal ko hosh aa jata hai..

Rajveer: kaise ho?

Kunal: hmm fine..bas yeh sar mein bahot dard hai...tum to thik ho na

raj?

Rajveer: ha main thik hu

Kunal: iss karan ko kya hua hai ?

(karan wahi room mein corner mein muh lat kaye hue khada hota hai)

Rajveer: kuch nahi .....kya hai naa..kuch der baad karan ka lecture

hai...... first year cadets ke saath..

Kunal [smiles]... ha to ismein yeh aise muh latkaye kyun baitha hai?

Karan: muh latkaye? agar tujhe woh nadi mein geera sakte hai to pata

nahi mera kya karenge…

Rajveer [smiles]..kuch nahi ....

Karan: kya matlab? tum to aise bol rahe ho jaise woh sab tumse puchkar

kuch karne wale hai..

Rajveer: are fikar mat karo karan...tumhe yaad hai woh 6 cadets jo uss

raat academy mein deewar paar karke aaye the?

Karan: ha

rajveer: in sab ke peeche wahi the.

Kunal: per yeh tumhe kaise pata chala?

Rajveer: unhone khud kabool kiya hai

Karan: wat?

Rajveer: ha, aur iss waqt woh ground pe peechle do ghante se ek pair pe

khade hai aur shaam tak wahi rahenge.

Karan: oh to tumne unhe phir punish kar diya..

Rajveer: ha...

Karan: yaar tum bhi na raj, achche khase army officer the hitler kyun

bann rahe ho?

Rajveer: nahi karan, unn cadets ko iss baat ka ehsaas dilana zaroori

hai ki yeh military academy hai unka college nahi. waise bhi unki harkat maf karne wali nahi thi… maine to sirf punish kiya hai agar ye bat colonel bikramjeet tak pahuch jati to ye sare expel bhi ho sakte the….

Karan: ha yeh baat bhi sahi hai, chal ab main chalta hu...

Kunal: hey karan, all the best, waise french mein german mat mix

kardena...

[rajveer and kunal laugh]

Kunal: raj iska khyaal rakhna kyunki lecture ke baad main phirse iska

sar phodne wala hu...

Rajveer: yes captain..

[rajveer aur kunal haste hai aur karan waha se chala jata hai]

Rajveer: achcha kunal tum thoda aaram karlo main zara staff room hokar

aata hu.

Kunal: ok

In staff room-

Suraj: hey raj..

Rajveer: hi bhaiya..

Suraj: so how was ur first day? khass kar first year cadets ke saath?

Rajveer: mera to bahot hi achcha tha per unka kaisa raha yeh aapka wahi

bataenge ya phir aap khud ground pe jakar dekh sakte ho..

Suraj:ground pe kyun? kahi tumne unhe punish to nahi kardiya? maine

suna ki first year cadets ne kuch kiya jiski wajahse ek teacher nadi mein

gir gaya..

i hope that teacher is fine now..

Rajveer: bhaiya woh teacher aur koi nahi kunal hai...

Suraj: wat? kunal? kaha hai woh? woh thik to hai na?

Rajveer: relax bhaiya, use bas sar pe thodi chot aayi hai, is waqt woh

hopital wing mein hai aur bilkul thik hai...

Suraj:thank god. yeh aaj kal ke bachche bhi na....

[Radhika and Pritha enters]

Radhika: hi raj , hi bhaiya, kya baate ho rahi hai?

Suraj: tumne to suna hoga ki first year cadets nekunal ke saath kya

kiya?

Pritha:ha bhaiya, abhi kunal se hi milkar aa rahe hai...

Suraj:humne to aisa apne teachers ke saah kabhi nahi kiya tha, yah aaj

kal ke bachche to...bas kya kehna..

Radhika: kyun bhaiya, aapki batch mein koi bhi shararti cadet nahi tha

kya?

Suraj: koi bhi? aap log manenge nahi per main apne batch mein sabse

sharatti cadet tha...

Pritha: sir aap? aur shararti... sahi kaha hum nahi maante

Suraj; are sach, achcha main tumhe bata hu ki jab hum first year mein

the to humne kiya tha?

Rajveer; hmm

Suraj: to hua u tha ki, hamare ek sir the , captain abhinash. Woh kaafi

strict the, unhe har cheez ko apne tarike se karne ke aadat thi aur

woh dusro se bhi aisi hi umeed karte the.

per mujhe aaj tak yeh samajh mein nahi aaya ki woh humesha confuse kyun

rehte the....khair..pehle din unka hi first lecture tha aur main aur

mere kuch batchmates hume class aane mein bas 5 minute ki deri hui.

Pritha: oh..phir?

Suraj [smiles] phir..... phir kya? captain abhinash lage barasne, phir

pata nahi kya hua woh chup ho gaye aur phir kaha ki mujhe lights out

hone ke thik 15min pehle aakar milo

Radhika: wat?

Suraj: bilkul isi tarha se maine maine unse sawaal kiya aur unhone

mujhe kaha ki agle ek hafte tak main unka lecture attend nahi kar sakta...

Rajveer: phir?

Suraj: phir kuch nahi hum raat mein lites out hone se pehle gaye unke

paas.....to woh hume academy ke main gate ke paas le gaye aur pata hai

phir unhone kya kiya? u wont beleive it..

Rajveer: kya kiya?

Suraj:unhone hume academy ki bondary wall banane ko kaha, woh chahte

the ki subha hone se pehle hum boundary wall bana le...jisme hume kamse

kam 6-7 ghante lagte..

Pritha: wat? yeh bhi koi punishment hui bhala?

Suraj: per hume yeh manzoor nahi tha ki hum saari raat academy ki

boundary wall banate rahe aur hamare captain sahaab araam se so jaye

Rajveer: to..kya kiya aapne?

Suraj:hum 6 cadets the..to 3 cadets to deewar banane mein lag

gaye...per baaki teen jo the woh kuch der baad pohoch gaye captain abhinash ke

room mein...

Pritha:room?

Suraj: yes dear aur phir humne kuch aisa kiya ki agli subha jab captain

abhinash ki aankh khuli to unke chaaro aor paani hi paani tha.

Rajveer: bhaiya yeh to samajh gaya ki aap un dusre teen cadets mein se

ek the per ya paani wala chakkar kuch samajh mein nahi aaya..

Suraj: jyada kuch nahi..bas hum captain abhinash ko apne room se le

gaye aur aaj jis nadi mein kunal gira hai na pehla usi nadi mein ek choti

si boat hua karti thi, humne captain abhinaash ko usme sula diya....aur

jab

agle din savere unki aankh khuli to bas paani hi paani...

Radhika:wat? i cant beleive it bhaiya...per aap captain ko room se le

kaise gaye?

Suraj: humare batch mates puri tayyari ke saath aaye the....... unke

paas thodasa choloform tha jo tha to seniors ki liye per istamaal humne

captain per kar diya.

Rajveer: oh isiliye abhi woh boat nahi hai waha...

Suraj [smiles] ho sakta hai...

Pritha: phir bhaiya, apke punishment ka kya hua?

Radhika: aur agle din kya hua?

Suraj: punishment to humne kisi tarha pura kar liya..per agle din

captain lecture ke liye to nahi aaye baad mein pata chala ki woh to hospital

wing mein admit the...

Radhika: god !.....dekha pritha hamare senior humse bhi do kadam age

the..

Pritha: ha sach kaha...

Suraj: are hum to kuch bhi nahi the...iss academy ka sabse shararti

batch kiska tha jaante ho?

Radhika: kiska?

Suraj: inn janab ja..[pointing towards rajveer]

Pritha: wat? raj sir ka?

Suraj: ha....infact raj to sabka mastermind hua karta tha...[looking

towards raj]..kyun raj..

Rajveer: [smiles]kya bhaiya aap bhi...per ha baat to aapne sahi kahi..

Suraj: dekha..pata hai teachers to teachers ye log to hum seniors ko bhi nahi chorte the..

Radhika: hamare collegues to kaafi badi hastiya hai...hai na pritha..

Pritha: hmm

[evrybody laughs]

Suraj: are dekho..main tum logo ko batana hi bhool gaya...aaj devyani ka phone aaya tha...

Rajveer: aap ab bata rahe ho... waisa kya kaha bhabhi ne?

Suraj:puch rahi thi ki mera ladla dever raj kaisa hai..

Rajveer: ah..bhabhi is such a sweet heart bhaiya..

Suraj: aakhir wife kiski hai...

Radhika: ha ha..aur kya kaha unhone..

Suraj: woh aur vaishnavi yaha aa rahe hai...

[raj is just surprised to hear that]

Rajveer: wat?

Suraj: ha..teen doctors ki posting yaha hui hai..seize-fire ke dauran wo log yaha humare sath kam karenge…

Radhika: wooo that's great…so..kab aa rahe hai woh?

Suraj: kal hi..

Pritha: wow, so bhaiya aap to bahot khush honge na..[suraj

smiles]..chaliye isi baat pe coffee ho jaye

Suraj:ok ..chalo canteen chalte hai...

Rajveer:bhaiya, bhabhi ne kaha ki teen doctors aa rahe hai?

Suraj: ha

Rajveer: ek to bhabhi, dusri vish [vaishnavi] per yeh teesri kaun hai?

Suraj: koi nayi doctor hai, kya naam bataya tha devyani ne...ha...

doctor Ipshita Oberoi..

Radhika: achcha ab chalo..

[suraj, radhika aur pritha chale jate hai per rajveer wahi baitha rehta

hai]

Rajveer [to himself] Dr.Ipshita Oberoi... naam to kaafi achcha lagta

hai..[smiles]

[suraj cumes again]

Suraj; raj..ab tak yaha kya kar rahe ho...

Rajveer:kuch nahi bas uss nayi doctor ke baare mein soch raha tha..

Suraj: kal jab woh aayegi to mil lena..ok ab chalo radhika aur kripa

hamara intezar kar rahe hai..

Rajveer [has the same cute smile on his face]..chaliye...[in the mid way] ipshita……

end of part -9

Surya.Ravi thumbnail
Posted: 18 years ago
#44
hey the part totally rocked..wow , superb , wonderful , awesome , very nice , brilliant part..
i loved it to the maximum extent...tum dono tho chah gaye totally... sach mein a very very very very very very very very very very very zabardast zabardastt zabardasttttttttttttttttttttttttttttttttttt part...rocking part...... 👍🏼 Raj aur suraj bhi shararthi the..how sweettttttt is that........... 😳
hmm..tho ab next part mein aa rahi hain humari heroine sahiba ipshita haan..coollllll...mujhe uska intezaar hain.... 😃 aur yeh kya raj ke chehre par uski heroine ka naam sunthe hi smile aa gayi.. aur woh uska naam mumble kartha hain......wah wah kya connection hain...dil se dil ka connection...tooo cute....
😉
agli part please jaldi se post karna..me will be waiting for it eagerly.. 😃
Edited by sun_423 - 18 years ago
jyothi_cool thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 18 years ago
#45
👏

hey fab part plzzzzzz continue soon
Rachu_1987 thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 3
Posted: 18 years ago
#46
👏 i jus read all of it....simply superb and funny 👏 very gd update sooon!!!
Varallikka thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 18 years ago
#47
sorry yar but me and farhu both r a bit busy these days but we promise to post the part by friday...plz bear the patience wid us
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 18 years ago
#48
varalika you don't have to be sorry..u & farheen take as how much ever time you want... we will wait.. 😃
golu_1677 thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 18 years ago
#49
hi! just read ur story. Its a wonderful story. me loved it. Pls continue soon. Mw eagerly waiting for the next part.
Varallikka thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 18 years ago
#50
KHWAABO KI MANZILEIN...PART-10

recap: cadets ki shararat ki wajahse kunal ko sar pe halki se chot aati hai...aur iss keliye captain rajveer humare pyare cadets ko saara din punish karte hai.

suraj , rajveer, radhika aur pritha ko apne academic years kekuch kisse sunate hai...usi din suraj ko devyani ka phone aata hai ki teen doctors ki posting academy mein hui hai.. jo seize-fire ke dauran baaki officers ke sath kam karenge…

> >

ab aage........

its dinner time and our officers are sitting together having dinner...

> >

karan: suraj bhaiya, raj bata raha tha ki kal bhabhi aur vish aa rahe hai...

> >

suraj: ha. Actually base se 3 doctors ki posting yaha hui hai. as u no ki ajkal dr shashank joshi bhi humare academy me hi hai to wo sare docs unke under kam karenge

> >

kunal:but u told ki 3 docs are coming so yeh teesri kaun hai?

> >

suraj:ab yeh bhi....lagta hai yeh teesri doctor se hume sabse pehle milna hoga..ane se pehle hi inhone sabko apne bare me sochne pe majbur kar diya ha….savere raj bhi unhi ke bare mein soch raha

tha aur kunal bhi...

> >

karan: kya bhaiya aap bhi? [looking towards kunal]waise bhaiya pata nahi kyun mujhe aaj chahat ki bahot yad aa rahi hai... hain na kunal..

> >

rajveer: karan….

> >

kunal [blushes] dekho na bhaiya yeh log phir shuru ho gaye..

> >

suraj [tries to contol his laugh] karan bas ho lace w:st="on"> gaya lace>.. [evrybody is silent but all are smiling looking at kunal's expressions] per ha chahat ki yaad to mujhe bhi aa rahi hai...

[evrybody laughs]

[kuch der baad sabhi apne room mein chale jate hai, per raj apne room ke bahar khada hota hai aur bas asmaan mein dekhta hai...

suraj , raj ko u dekhkar uske paas aata hai]

> >

suraj: raj..kya hua? tum ab tak soye nahi?

> >

rajveer: nahi bhaiya bas u hi...

> >

suraj: hmm.... raj kuch yado ko agar yad na hi kiya jaye to jyada acha hota hai

> >

rajveer:bhaiya apko kaise pata main vaishnavi ke baare mein soch raha tha?

> >

Suraj: bachpan se janta hu tumhe raj… aur mai tumhe apna bhai sirf zuban se nahi kehta balki matna bhi hu..

> >

Rajveer: sach to ap bhi achi tarah jante hai

> >

suraj: hmm.. main samajh sakta hu, per raj tumne vish ke liye jo bhi kiya hai mujhe uske liye tumpe naaz hai.

> >

rajveer: pata hai bhaiya uss waqt lace w:st="on"> maine lace> jo bhi kiya bas insaniyat ke nate kiya , per ab vish ke saath mera sirf insaniyat ka nahi balki usse bhi badhkar rishta ban chuka hai...

> >

suraj: ha waqt ke saath rishte aur bhi mazbut hote hai...

> >

rajveer: ha bhaiya, aur ab vish meri zimmedari hai.

> >

suraj [smiles] mera yeh chota bhai kaafi zimmedar ho lace w:st="on"> gaya lace> hai..

[raj smiles]

> >

Suraj: chalo ab raat bahot ho chuki hai so jayo, kal vish aayegi to usski daath sunne ke liye tayyar rehna..

> >

rajveer [smiles] ha.. chalo bhaiya gudnite..

> >

suraj: gudnite..

> >

next day.......

> >

classes went of quite silently there was no kind of commotion or activity there…. It looked like yesterdays incident had changed the students… teachers were very happy at this silence and peace… but one thing they were forgetting was ki har toofan se pehle sannata chata hai…. so kya ye toofan ke pehle wali khamoshi thi ya students sach me badal gaye the??? Bhai is sawal ka jawbab to sirf waqt hi de sakta hai…. so hume bhi waqt ka intezar karma hoga… chaliye tab tak hum dekhte hai ki humare faculty ke life me kya ho raha hai kyouki humare students ki life to aj kafi disciplined aur routined hai.

lets go to staff hall where teachers were spending some light relaxing moments after their hetic schedule….

> >

Samarth: kya yar kaha phas gaye… [ to suraj] sir hum yaha kab tak rehne wale hai???

> >

Suraj: term ke end tak

> >

Samarth: I hate this job

> >

Karan: ise to har chez se problem hai….

> >

Samarth: kuch kaha tumne??

> >

Karan: mai ye pooch raha tha ki is duniya me koi aisi bhi cheez hai jisse apko pyar ho??

> >

Samarth: oho so ab mujhe ap batayenge ki mujhe zindagi me kya karma chahiye kya nahi??

> >

Karan: nahi waise bhi afat gale lene ka koi shauk nahi hai mujhe….

> >

Suraj: karan…. Stop it

> >

Samarth: rehne dijiye sir waise bhi in jhuggi jhopri walo se aur expect bhi kya kar sakte hai….

> >

Rajveer: major samarth chopra how dare u????

> >

Samarth: apni awaz neeche rakho... mai karan pratap nahi hu jo tumhari behudgi karunga…. Apni ye authority apni girl friend vaishnavi pe chalana….

> >

Rajveer:[holds hi collar] maind u r language mr chopra

> >

In turn samarth also holds ho collar. Tabhi peeche se awaz ati hai

> >

"raj samarth stop it" the both turn and see vaishnavi and devyani standing on the door. Both were fuming with anger… both comes in

> >

Devyani: kya kar rahe ho tum dono??? Yaha pe teachers ban ke aye ho but harkate bachoo ki tarah karte ho….. [to suraj and all] aur ap log yaha kahre ho ke tamasha dekh rahe hai…. Ye nahi ki jake dono ko roke….[to raj and samarth] Acha swagat kiya hai tumdono ne humara…

> >

[Samarth goes out of room after saying sorry to devyani]

> >

Vaishnavi: [to raj] tum ajke bad mujhse bat mat karna

> >

Raj: but vaishnavi suno to… lace w:st="on"> maine lace> kuch nahi kiya

> >

Vaishnavi: mujhe tumse koi bat nahi karni

> >

saying this she leaves the room and raj goes running behind her. Devyani was still there fuming wid anger so radhika exaplains whole situation to her

> >

devyani: pata nahi ye dono humesha ek dusre se aisa behave kyou karte hai?

> >

Karan: are bhabhi inki dushmani to academ,y ke pehle din se hi chal rahi hai

> >

Suraj: tumhe pata hai inki problem ye hai ki… ye dono ek dusre ki fikar karte hai… but ye bat admit karne se darte hai…isiliye ye humesha ye sabit karma chahte hai ki they hate each other… but the fact remains ki dil hi dil me ye ekdusre ke bahut ache dost hai..

> >

Devyani: sach me dono bahut hi ajeeb hai…

> >

Karan: wo to pata nahi bhabhi but ye raj aur vaishnavi ki dosti bhi ajeeb hai na… raj sab ke liye to ek strict army officer hai but vaishnavi ke samne ate hi sari strictness gayab ho jati hai…

> >

Suraj: wo isliye karan ki dono ek dusre ki zindagi pe pura haq rakhte hai…

> >

Devyani: sach aisi dosti bahut kam dekhne ko milti hai…itz amazing

> >

Suraj: wo isliye devyani kyouki inki nafrat ko dosti me inhone nahi balki waqt ne badla hai…

> >

Kunal: hey guys just a sec nafrat.?? Ye kya hai???

> >

Devyani: ha kunal ek waqt tha jab rajveer aur vaishnavi ek dusre ki shakal tak se nafrat karte the…agar ek dusre ke samne bhi a jate to unka din bekar ho jata

> >

Radhika: kya?? I don't believe it…. Ye dono ek dusre se nafrat karte the??? But kyou??

> >

Suraj: is kyou ka jawabab to shayad in dono ke pas bhi nahi hai….lekin waqt ki sacchai to ye hai ki aj ye dono ek dusre ke sabse ache dost hai….

> >

Radhika: sounds interesting… bhiya aur bataiye na…

> >

Karan: ji bhiya…. Hume bhi to pata chale ki huamra hero akhir tha kaisa???

> >

Kunal,pritha, karan,radhika: ha bhiya plz bataiye na

> >

Devyani: suraj ab bat abhi do dekho ye log kitni request kar rahe hai

> >

Suraj: ye kya devyani tum bhi inki side me a gai… acha baba thik hai batata hu…suno aj se 5 sal pehle raj aisa nahi tha jaisa tum ise aj dekh rahe ho…he was very happy go lucky type… humesha har cheez me age… I no him coz mere dad and uske dad college frnds the… mere dad ko dekh ke hi raj ko army join karne ki inspiration mili thi…so Rathods and Chopras. They were the most wealthiest family of jaipur. Their children rajveer and vaishnavi were Formally introduced to each other but the fact remained that they didnt Liked each other. For vaishnavi rajveer was proud arrogant and boring on The other hand Rajveer had never bothered to think about vaishnavi.uske hisab se uske pas aise faltu logo ke liye time hi nahi tha jinke pas na jindagi jine ki koi wajah hai na koi maksad… use aise logo se nafrat thi jo so use vaishnavi se bhi nafrat thi infact do no me se kise kisse jyada nafrat thi ye to mujhe bhi nahi pata . In one simple word they both hated each other. Rajveer ke army join karne pe sabse jyada khushi vaishnavi ko hui thi pata hai kyou??

> >

Karan: kyou??

> >

Suraj: wo is liye ke ab use raj ka chehra nahi dekhna parega.

> >

Kunal: really?? I don't believe this… raj sir ne kabhi bataya nahi ke he belongs to such a rich family nahi inlogo ke behaviour se aisa lagta hai …. Aur nafrat its beyond imagination….. but agar ye dono ek dusre se itni nafrat karte the to inme dosti kaise hui??

> >

Suraj: wo kehte hai na kunal ki ye jarurai nahi ki apke dost mushkil me bhi apka sath de but jo mushkil me sath de wahi dost hota hai. Aisa hi kuch raj aur vaishnavi ke sath hua. vaishnavi was a very happy go lucky kind Of girl who never took life seriously. But one day life changes for Vaishnavi . Her parents get killed in terrorist attack. Zindagi usse uski har khushi cheen leti hai.

> >

FLASH BACK:

> >

We can see a very big house jaha charo aor sannata chaya hua tha….hall me do logo ki tasveeren rakhi hui thi jispe mala charhi hui thi… aisa lag raha tha ki abhi abhi yaha koi shradh hua hai… yes u guessed it right it was chopra house jaha subah hi mr & mrs chopra ki death ki khabar ai thi…now its evening aur waha koi bhi nahi tha… tabhi we can see few ppl entering in the house some police men and a lawyer….. they knocks the door some servant opens

> >

Police; ghar me koi hai

> >

Servant: ji sahib vaishnavi bitiya hai. Ap log baitho mai use bulata hu…

> >

After some time vaishnavi comes down use dekh ke hi pata chalta hai ki wo ander se toot chuki hai…..

> >

Police: hello mam…

> >

[Vaishnavi just stares at him and says nothing so the inspector continues]

Mam apke sath jo hua uska hume bahut afsoos hai… but hum humari duty ke hatho majbur hai

> >

Vaishnavi[rudely] apko job hi kehna hai jaldi aur saf saf kahiye…

> >

Police: okay mam… bat ye hai ki….

> >

Lawyer: mai batata hu…. Apke dad ne market se kafi loan uthaya tha… uske liye ye ghaar girwi rakhwaya tha… ab jab wo is duniya me nahi hai to hume unka ghar and factory sab seal karma hoga…

> >

Vaishnavi: matlab??

> >

Lawyer: matlab ab se ye ghar apka nahi rahega….

> >

Vaishnavi:[after 5 mins pause] thik hai mai kal hi ye ghar…

> >

Lawyer: kal nahi aj …. Humare pas court ke orders hai… sath hi ye bhi ki ap yaha se koi bhi cheez nahi le ja sakti…

> >

Vaishnavi: but mai bhi… atleat give me few days…

> >

Police: I am sorry mam but ye humare hath me nahi hai we r helpless

> >

Vaishnavi: okay

> >

[ saying this she leaves the house wo samne park me bench pe baith jati hai]

> >

Vaishnavi[ to herself]: oh god ab mai kya karu?? Kaha jau??

> >

Pata nahi wo kitni der waha baithi thi zindagi achanak hi uske liye badal gait hi kal tak vwo vaishnavi chopra thi. Most popular and rich girl of town… uske age peeche dosto ki line lagi hui rehti this are log chahte the ki ek bar vaishnavi usse bat kar le… aur aj koi bhi nahi tha uske sath…. Uski status ke sath sare dost bhi chale gaye.. aj jab use apne dosto ki sabse jyada jarurat thi to koi nahi tha uske pas …. Koi aisi jagah nahi thi jaha use panah mil sake… suraj dhal chukka tha… now it was getting cold…tabhi some one puts a coat around vaishnavi…. She turns to see the guy

> >

Guy: ghar lace w:st="on"> gaya lace> tha tumhare….kaka ne bataya….

> >

Vaishnavi: ab wo ghar near nahi raha

> >

Guy: par tum itni thand me yaha kyou baithi ho?

> >

Vaishnavi: jane ki koi jagah jo nahi bachi….. rishtedar to the hi nahi… dost one bhi sath chor diya..

> >

Guy : [smiles] ab kya karne ka socha hai???

> >

Vaishnavi: pata nahi… aisi koi jagah bachi nahi jaha mai ja saku…

> >

Guy: aisi ek jagah hai…chalo mere sath

> >

Vaishnavi: kaha???

> >

Guy: tum sawal bahut poochti ho…. Chup chap chalo mere sath….

> >

Vaishnavi: mujhe tumhare sath kahi nahi jana… coz I hate u mr rajveer rathod

> >

Rajveer :I no u hate me …. but ab yaha thand me marne se behtar hai ki tum mere sath chalo…. Subah tum jaha bologi mai tumko waha chor dunga… but abhi mere sath chalo….

> >

Saying this he stands up and apna hath vaishnavi ke age barhata hai… this time vaishnavi holds his hand without any question… and goes wid him to his house…. Rajveer use apne ghar le jata hai…chahat opens the door

> >

Chahat: Bhiya vaishnavi ap dono yaha?...sath me?? Bhiya ap to base pe the na…. yaha achanak??

> >

Rajveer: sawal bad me poochna pehle hume ander ane do

> >

Chahat: ya sure….

> >

Rajveer: chahat vaishnavi ko room me le ke jao…

> >

Chahat: ji bhiya…

> >

Chahat takes vaishnavi to her room gives her clothes and tells her to freshen up and then makes her sleep..actually chahat was in lace w:st="on"> paris lace> for last 2 weeks so she didn't no anything about vaishnavi and all happening around….she was not able to understand anything so she comes to raj…

> >

Raj: are chahat tum… vaishnavi kaisi hai

> >

Chahat: so rahi hai… but bhiya meri kuch samajh me nahi a raha vaishnavi ko hua kya hai.. bahut badli badli lag rahi hai

> >

Raj: tum yaha nahi thi isiliye tumko kuch nai pata… actually[he tell her every thing]

> >

Chahat:[tears in her eyes] in do hafto me itna sab kaise ho lace w:st="on"> gaya lace> bhiya?? Abhi to bare papa is deal ko leke itne khush the… unhone khud mujhe puri deal pe guide karke lace w:st="on"> paris lace> bheja tha… aur aj jab ye deal hume mil gai hai to wo…..

> >

Rajveer: shayad isi ko kismat kehte hai

> >

Chahat: but bhiya ap yaha kaise??

> >

Rajveer: actually ye dono news mujhe wahi base par hi mil gait hi isiliye mai 1 mahine ki leave le kar ayah u

> >

Chahat: pehli news to thik hai but chopra house ke seal hone khabar apko kaise mili???

> >

Rajveer: chaha tum bhul rahi ho tumhare pehle ye pura business mai hi chalata tha… bhale hi lace w:st="on"> maine lace> business chor diya but mere contacts abhi bhi utne hi strong hai…

> >

Chahat: I no bhaiya aur usi ki wajah se to humara business itna age barh raha hai… main use akele kabhi nahi sambhal pati.

> >

Rajveer: aisa nahi hai chahat …

> >

Chahat: bhaiya abhi muhje vaishnavi ki chinta ho rahi hai… ek hi din me uski duniya badal gai… mujhe aj bhi yad hai jab mom dad…. But tab atleast mere pas lace w:st="on"> bari lace> ma aur bare papa the… ap the… but vaishnavi ke pas to koi nahi hai…wo bilkul akeli hai

> >

Rajveer: chahat vaishnavi akeli nahi hai humlog hai na uske sath…tumho mai hu…

> >

[tabhi vaishnavi ke room se chikhne ki awaz ati hai. Both raj and chahat room ki taraf bhagte hai. Waha wo dekhte hai vaishnavi kafi dar hui chilla rahi hai.]

> >

Vaishnavi: no plz mere mom dad ko mat le jao plzzz mai nahi reh paungi unke bagair… plz

> >

Raj: vaishnavi… kya hua?

> >

Vaishnavi: raj dekho wo log mom dad ko le ja rahe hai… rook unko plz… mai unke bina nahi reh paungi… plz raj rook unko….

> >

Raj: koi nahi hai vaishnavi… dekho waha koi nahi hai…

> >

Vaishnavi: tumhe dikhai nahi deta kya?? Wo dekho wo log le ja rahe hai unko….

> >

Raj: vaishnavi hosh me ao…. Tumhare mom dad mar chuke hai….

> >

Vaishnavi: shut up kya bakwas kar rahe ho….

> >

Raj: bakwas nahi vaishnavi yahi sach hai….

> >

Vaishnavi: nahi tum bhi unlogo ke sath mile huye ho… tum bhi mere mom dad ko nahi bachana chahte…. Mat jao koi mat jao mai bachaungi unko….. mujhe kisi ki madad nahi chahiye…

> >

Raj[slaps her]: hosh me a… koi nahi hai waha…. Bare papa aur lace w:st="on"> bari lace> mom nahi hai vaishnavi… mar chuke hai…

> >

Vaishnavi[ crying bitterly] aisa kyou hua raj???[keeps her head on his shoulder] Kyou?? Zindagi ne mujhse mera sab kuch kyou chin liya…. Kya galti ki thi lace w:st="on"> maine lace>???

> >

Raj:[he keeps his arms around her and uske balo pe hath phirata hai] yahi to mushkil hai vaishnavi zindagi hume sawal karne ka mauka hi nahi deti hai….jo bhi hua use bas taqdeer ka likha maanlo…

Vaishnavi: nahi ..ab main jeena nahi chahti…

> >

Chahat: vish, yeh tum kya keh rahi ho?

> >

Vish: kiske liye jiyu? Kaun hai mera?

> >

Rajveer:main hu….

> >

[vish looks at raj with tears filled in her eyes]

> >

Rajveer: ha main hu, chahat hai,…….. kya hum tumhare koi nahi lagte? tumhare saamne puri zindagi padi hai ....tumhe isi apne liye na sahi per bade papa aur badi mama ke liye jeena hoga.

> >

Chahat [hugging her] ha vish bhaiya bilkul thik keh rahe hai…

> >

Vish: per ..main akele…

> >

Raj: phir akele? Vish tumhe zindagi mein aage badhna hoga…aur tumhare har kadam pe main tumhare saath dunga….

> >

[raj ki yeh baatein sunkar vish ekdum hairaan reh jaati hai..aur rone lagti hai]

> >

Raj: ab bas chalo…. Chalo ab tum so jao…

> >

Vish: mujhe bahut dar lag raha hai

> >

Raj: dark kis bat ka… mai yahi hu tumhare sath..

> >

Vish: tum mujhe chorke to nahi jaoge na

> >

Raj: nahi mai kahi nahi ja tum so jao..

> >

Vish: promise???

> >

Raj: pakka promise

> >

[vish kisi tarha sone ki koshish karti hai]

> >

Raj: chahat ab tum bhi so jao..tumhe kal subah lace w:st="on"> Australia lace> ke liye bhi nikalna hai…

> >

> >

Chahat: but bhaiya vish

> >

Raj: tum uski chinta mat karo…. Main hu na… tum jao and meeting ki taiyari karo coz ab tumhare kandho par chopra industries ki bhi responsibility hai…

> >

Chahat: but bhaiya mai kaise… wo to vish ki company hai

> >

Raj: ha par abhi vish ki halat nahi hai ki wo ye sab sambhal sake… ek bar wo normal ho jaye to hum sab use de denge,… but tab tak…

> >

Chahat; ok per bhaiya aap? Aap bhi thoda aaram kar lijiye…

> >

Raj: main yaha thik hu, tum jao…. Waise bhi agar vish ki ankh khul gai to yaha akele bahut dar jayegi…

> >

Chahat: thik hai per kisi chez ki zaroorat pade to mujhe utha lena…

> >

Raj: ok..

> >

[chahat apne room mein chali jati hai, per uss raat na raj so paata hai, naa hi vish aur na hi chahat]

> >

Next day……..

[chahat has left for lace w:st="on"> Australia lace>, vaishnavi wakes up and sees raj sleeping on sofa looking a bit uncomfortable]

> >

Vish to herself: [looking at raj] kya yeh wahi insaan hai jisse duniya mein main sabse jyada nafrat karti thi? Aaj jab har kisi ne mera saath chod diya to bas raj ne hi mujhe sambhala, mera sath diya…

> >

[vish apne khyaalo mein khoyi rehti hai ki raj ki aankh khul jati hai]

> >

Raj: are vish tum? Itni jaldi uth gai??

> >

[vish raj ke kareeb ati hai, bas use dekhti hai aur rone lagti hai]

> >

Raj: vish?

> >

Vish: I'm sorry raj, lace w:st="on"> maine lace> hamesha tumhe galat samjha..aaj jab sabhi ne mera saath chod diya to bas tumhi ne mera saath diya… main jaanti hu ki tum mujhse beintehaa nafrat karte ho, per aaj ke baad mere dil mein tumhare liye hamesha izzat rahega, phir bhale hi tum mujhse nafrat karo.

> >

Raj: vish tum yeh kya keh rahi ho?

> >

Vish: main sach ke rahi hu,… per ab main tumpe aur bojh nahi banna chahti, tum bahot achcha ho raj per main tumhari achchai ka aur faida nahi utha sakti, isiliye ab main yaha se jaa rahi hu…

> >

[vish turns around towards the door]

> >

Raj: ek min vish…. Main tumhari madat karke tumpe ehsaan nahi balki tumhara saath dena chahta hu.. jab mujhe aur chahat ko sahare ki zaroorat thi tab bade mama aur bade papa ne hume apnaya, hume sahara diya, aur jab tumhe hamari zaroorat hai to hum tumse muh kaise mod sakte hai..ha? aur rahi baat nafrat ki to ha main tumse kal tak nafrat karta tha per pata nahi kyun who nafrat aaj nahi hai, shayad kal aur aaj mein kaafi kuch ho lace w:st="on"> gaya lace> hai..isiliy…

> >

Vish: agar sab kuch badal chukka hai to kya humari nafrat nahi badal sakti

[vish apna haath aage badhati hai]

> >

Vish: hi I am [smiles] vaishnavi chopra, mujhse dosti karoge?

> >

Raj: [wid attitude] sochna parega … acha chalo [haath milate hue] karli…

> >

Both starts laughing and huggs each other..

> >

> >

End of flash bak………..

Suraj: so aise shuru hui inki dosti…

> >

Karan: phir……… phir kya hua bhaiya?

> >

Surajhir kya raj ke sath ki wajah se vaishnavi dheere dheere depression se bahar a gai… It was due to Rajveer that she Has been able to return back to a normal life. . It Was not that he she has forgot the incident. Aj bhi wo rato ko dar ke jag jati hai aur humesha ki tarah raj ko apne sath pati hai.par WO apna dard kisi ko batati nahi hai pure army me sirf Rajveer hi hai jise Vaishnavi ke ateet ke bare me pata hai jise pata hai ke vaishnavi ke Muskurahat uski hasi ke peeche ek dard hai. Dusro ke liye vaishnavi WO hai jo rote huye ko pal me hasa sakti hai, jo kisi ko bhi apna bana sakti hai, jiske sath koi bhi chup chap nahi baith sakta hai. Today Rajveer and vaishnavi are best friends. She is the only person who can Order him, scold him and who understands him.

So guys ye thi raj aur vaishnavi ki kahani. Ab ap khud hi sochlo ki inki dosti kya hai…

[saying this suraj leaves]

> >

Pritha: yakeen nahi hota ki raj sir kabhi aise bhi the..

> >

Karan: mujhe nahi pata tha ki mera dost itna achcha insaan hai…

> >

Kunal: achche to hai hi per unka yeh pehlu …strange… unhe dekh kar nahi lagta ki wo ….

> >

[raj and vish enters]

> >

Raj: are bhaiya kaha hai?

> >

Vish: ha..aur tum sab ko kya hua hai?

> >

Raj: itne serious kyun ho?

> >

[sumone enters the staff room, while raj is standing near the door of the staff room]

> >

Person: excuse me…

> >

Raj [turns around] yes…

> >

Person: I'm looking out for dr.devyani

> >

Raj: oh, just a minute, [towards devyani] bhabhi..zara yaha aana…

> >

Devyani: ha bolo

> >

Person: are u Dr.Devyani?

> >

Devyani: yes….but sorry lace w:st="on"> maine lace> aapko pehchaana nahi…

> >

Person [smiles] aap hume nahi jaante…[helds out her hand] hi, I'm dr.Ipshita Oberoi…{aamna shariff}

> >

raj ipshita ko dekhta hi rehta hai…bilkul hairaan ho jata hai, ya u kahe major sahaab clean bold ho gaye hai??? Wat do u think ha???

> >

End of part 10….

frnds we hope u've enjoyed reading this part...

please do comment as they are of great importance to us!!!

regardz-

varallikka & farheen

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Rizz-ington

1 years ago

⭐Back⭐ Arhi FF | Iss Darr Ko Kya Naam Doon: Chapter 3 - Part 3/3 (75%)

A N A R H I F F ---- Iss Darr Ko Kya Naam Doon Summary: Khushi is an internet famous 27 year old fashion designer from Lucknow. She has a chirpy...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: dellzcreationz

2 months ago

Aradhana & Reyaansh SS : Na Jaane Kyun (last chp + epilogue pg 3)

COVER BY AISHWARYA (Mystic_Muse) SUMMARY Suzanne Miller , an Indian Origin Canadian Citizen adopted by the Miller family, who goes on a quest to...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: goodkashish

6 years ago

Kassir ...Sujal&Kashish...Part 28 - Pg 33

Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: dellzcreationz

7 months ago

In Your Memories Book 1 (Last Chap Pg 12+ Imp Note Bk 2) In Your Memories Book 1 (Last Chap Pg 12+ Imp Note Bk 2)

Siggi by Sandhya (@sevenstreaks) (P.S this was my pitching picture to the production houses - which Sandy had done for me a couple of years...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".