thanQ so much for PMIng buddy😃
Bigg Boss 19 - Daily Discussion Topic - 25th Oct 2025 - WKV
Bigg Boss 19 - Daily Discussion Topic - 26th Oct 2025 - WKV
PLAN CHANGED 25.10
🏏India tour of Australia, 2025: Australia vs India, 3rd ODI, Sydney🏏
PICHLE JANM KA PUNYA 26.10
Actor Satish Shah Passes Away
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Oct 26, 2025 Episode Discussion Thread
Clip of Deepika justifying infidelity and cheating is going viral
5000 Episodes..
Settle all 3 in Virani's family
The Girlfriend - Rashmika - trailer out now.
Pakistan Puts Salman Khan On Watch List
Alia's agenda behind friendship with Katrina
I'm disgusted
Ram Aur Shyam By Anees Bazmi
Sooooo Happy with This Weeks Elimination
Kyunki forums beats yrkkh forum
Finally watching the Bill Gates epi. Live updates: pics attached
24 years of Asoka
Male r*pe yuckkkk ??????
Originally posted by: girlz-rule
@..Smita..: Nyc story!!!!😊
Suprise update! Its been a year since I started writing this FF. Here's a small part to mark the anniversary. Sorry,due to time constraints and exams, of course,couldnt write a full-fledged part!
Thanks for the likes & comments!Over to..
Part 46(B)
Anjali's in for a shock when she opens the door.
Anjali: Aap?
Mr. Roy: Good evening ma'm!
Anjali(thinks): Yeh yahaan kyun aaye hain?
Mr. Roy: Ma'm..?
Anjali: Ji.. Good evening! Aaiyye..
The families are equally shocked to see mr. Roy.
Arnav walks upto him & greets him.
Mr. Roy: Saare documents lekar aaya hoon.
Arnav: Thank u so much!
He takes the briefcase from Mr. Roy's hands.
Mr. Roy turns to leave.
Anjali: Areh,aap.. aise kaise jaa sakte hain? Kuch toh lijiye.. Chay,coffee..?(looks towards the kitchen)HPji,paani lekar aaiyye..!
Mr. Roy: No thanks,ma'm! Phir kabhi. Main chalta hoon..
He turns to look at Arnav,who nods.Thereafter he leaves.
If his entry left them shocked,Mr. Roy's exit puzzled the families.
Nani: Ee kaa sirf briefcase deve khaatir aaye rahe?
Arnav: Ji nani. Yeh bahut hi important documents hain. Main inhe kisi aur k haathon mangvaane ka risk nahi le sakta tha. Isiliye maine hi Mr. Roy se kaha tha ki woh khud inhe lekar aaye.
Nani: Par ee hai kaa?
Arnav: Main aapko baad me bataaunga. Filhaal..(turns to Khushi)Tum kuch keh rahi thi naa?
Khushi: Ji.. Buaji,humne Shyam se iss k baare me koi baat nahi ki. Uss ne jitni baar bhi humse baat karne ki koshish ki,hum usse utni baar taal diya karte the..
Buaji: Nandkisore ka sukar hai!
Khushi: Aur naniji,humne Arnavji baat karne ki koshish ki thi. Humein di ne kheer nikaal kar di aur kaha Arnavji ko dene k liye. Jab unhe kheer dene aur unse baat karne gaye tab galti se humse kheer unki coat par gir gayi. Dobara Arnavji humse achchha bartaav karne lage..
*FLASHBACK*
Khushi: Aap iss tarah, bina baat khatm kiye,baar-baar nahi jaa sakte hain! Aapko humein bataana hoga ki humne kab aapko dukh..?
Arnav holds her arm,interrupting & shocking her at the same time.
Arnav(casually): Tumhe bilkul andaaza nahi hai?
Khushi: Nahi..
Arnav(smiles): Ki tum gusse me kitni sundar lagti ho!
Khushi(shocked): Kya!?!
Arnav: Par isska matlab yeh toh nahi ki tum mujhse hamesha gussa raho!
He pauses to enjoy the look of confusion on Khushi's face.
Arnav: Come..
He takes her to the sofa & makes her sit on it.
Arnav: Baitho..
Then he sits in front of her on the centre table.
Khushi opens her mouth to say something when Arnav shakes his head.
Khushi(averts her gaze): Hum.. keh rahe the ki.. aapko humein bataana hoga ki.. humein..
Arnav silences her by feeding her a spoonful of kheer.
Khushi,who was anyways half shocked-half dazed is completely flustered when Arnav extends his thumb towards her lips to wipe off kheer from the corner of her lips.
To add to her shock & horror,Arnav holds her hand & makes her feed him kheer.
Then he smiles lovingly at her.
Arnav: Tumhare haathon se khaakar bina cheeni ki kheer bhi meethi lag rahi hai!
*FLASHBACK ENDS*
Khushi:Humein kuch samajh nahi aa raha thi unhe achaanak se kya ho gaya?Tab hi humare halaq me kheer atak gayi. Khaaste waqt humari nazar di par padi,jo upar se humein dekh rahi thi.Humne jab unki or dekha toh di apne kamre me chali gayi. Hum samajh gaye ki Arnavji dobara dikhaava kar rahe hain. Arnavji ne humari or pani ka glass badhaaya. Tab..
*FLASHBACK*
Arnav(holds her arm): Khushi,r u alright?Yeh lo,paani..
Khushi(moving his hand away): Anjaliji jaa chuki hain.Aapko yeh naatak karne ki koi zaroorat nahi hai!
Arnav stares at the place where Anjali was standing.Then he turns back to look at Khushi.
Khushi: Aapne yeh sab sirf Anjaliji k liye kiya naa?
In response,Arnav gives her a loaded look,which she is too confused to decipher.
Then he places the glass on the table & heads up the stairs.
*FLASHBACK ENDS*
Arnav: Woh dikhaava nahi tha. (turns to Khushi)Main genuinely concerned tha..
Khushi: Hum yeh baat kahin na kahin jaante the. Isiliye hum aapse poochh rahe the,ki aapne kya yeh sirf di k liye kiya ya.. humare liye fiqrmand hokar kiya? Hum aapk moonh se yeh sunna chahte the ki aapne yeh isiliye kiya kyunki aap humari fiqr karte hain! Magar..
Her voice trails off.
Arnav: Main shocked tha,yeh sochkar ki tumne mere genuine concern ko fake samjha.. Tum sahi soch rahi thi,mujhe sach me tumhari fiqr thi lekin main.. tumhare poochhne par kuch keh nahi paya. Kyunki.. maine hi tumse kaha tha naa,ki main yeh sara drama sirf di k liye kar raha hoon? Toh main apni hi kahi hui baat ko.. jhutlana nahi chahta tha. Isiliye main wahaan se chalaa gaya.
Khushi(turns to nani): Kuch der baad hum kamre me gaye. Humne dekha ki Arnavji poolside par the.Humne darwaze ko band kar kundi lagaa di,kyunki hum nahi chahte ki woh,bina humare sawaalon ka jawaab diye,wahaan se chale jaayein. Hum poolside par gaye aur humne phir se unse sach ugalvaane ki koshish ki..
*FLASHBACK*
Khushi:Humein aapse baat karni hai!
Arnav turns around with the garden scissors in his hands,which scares Khushi.
Nevertheless,she folds her arms across her chest & tries to act normal.
Khushi: Bataiyye..
Arnav: Kya?
Khushi: Ki humne aapko kaisi chot pahuchaai?Kaunsa dukh diya?
Arnav turns around & resumes his work.
Khushi: Ya toh aap humein saari baat sach-sach bataa dijiye ya phir apni baat waapis le lijiye!
Arnav turns around in anger,again scaring Khushi.
Arnav: Dhamki de rahi ho mujhe?
Khushi: a.. haa..! Kuch aisa hi samajh lijiye!Aap k paas do raaste hain!
Arnav: Main teesra raasta le raha hoon.Mujhe tumhe kuch bhi bataane ki koi zaroorat nahi hai!
He turns to go when Khushi stops him.
Khushi: Nahi! Aap aise nahi jaa sakte! Aapko humein bataana hoga ki humne kya kiya hai?Kya aapne yeh sab isiliye kiya kyunki aap sochte hain ki..
She stops abruptly.
Arnav turns around & stares at her
Arnav: Kya?Kya sochta hoon main?
Khushi: Aap.. yeh sochte hain ki.. hum aapse darte hain? (in a confident tone)Nahi darte hum aapse! Aap humara ya humari jiji ka kuch nahi bigaad sakte hain!Humari jiji iss ghar ki bahu hain! Unki shaadi ho chuki hai!
Arnav charges at her & Khushi steps back.
Arnav: Tumhe kya lagta hai,mami tumhari jiji se bahut pyaar karti hain?
Khushi averts her gaze.
Arnav: Main tumhari jiji ka kuch nahi bigaad sakta?!(smugly) Mere liye tumhari jiji ko iss ghar se nikaalna bahut easy hai!Aur main..
*FLASHBACK ENDS*
Khushi: Uss hi waqt mamiji ki aawaaz aayi. Woh jiji ko daant rahi thi. Arnavji ne muskuraate huye humse kaha..
*FLASHBACK*
Arnav: Lagta hai mujhe kuch karna hi nahi padega! Mamiji toh aaj hi tumhari jiji ko iss ghar se nikaalne k mood me hain!Jao,jaakar dekho!
*FLASHBACK ENDS*
Khushi: Hum neeche pahuche toh humne dekha ki mamiji jali hui kheer ko lekar jiji ko daant rahi thi. Woh jiji ko ghar se nikaalne par tuli thi ki tabhi wahaan jijaji aa gaye. Humein yeh dekhkar bahut khushi hui ki jijaji ne humari jiji ka saath diya! Humein unpar garv ho raha tha! Aur khushi bhi hui kyuki Arnavji ki baat galat saabit ho gayi! Hum yeh hi baat unse kehne k liye kamre me pahuche..
*FLASHBACK*
Khushi enters the room to find Arnav busy with his laptop.
She shuts Arnav's laptop.
Arnav(shocked): What the..!?
Khushi: Ek-do aur baar what the..! keh dijiye! Lekin uss k baad aapko humari baat sunni padegi!
Arnav(stands up): How dare u? Tumhari himmat kaise hui mera laptop band karne ki?!
Khushi: Hum aapse darne nahi waale,Mr. Raizada! Humare saath jo kuch bhi bura ho raha hai woh sirf aapki wajah se ho raha hai! Aur ab humse yeh sab bardaasht nahi hota! Bahut sun liya humne! Bahut dekh liya yeh shaadi ka tamaashaa! Bahut bardaasht kar li, iss ghar me rehkar, ek-ek pal ki be-izzati! Ab hum jaa rahe hain!
Arnav: Hum kuch der pehle hi iss baat par discussion kar chuke hain! Tum kaheen nahi jaa rahi ho! 6 mahino tak,iss hi ghar me,aise hi rehnewali ho! So,stop the nonsense!
Khushi: Aapko humein bataana hoga ki kaise chot pahuchaai hai humne aapko?Kaunsa dukh diya hai jo aap humare saath aisa bartaav kar rahe hain?
Arnav turns away.
Khushi: Humein nahi,kamsekam apne gharwaalon ko toh bataa dijiye! Bataa dijiye unhe ki aapne humein majboor kar k,zabardasti humse shaadi ki!
Aur uss ki wajah bhi bataa dijiye!
Arnav doesnt say anything.
Khushi: Theek hai!Toh aap sach baahar nahi aane denge?Yeh hi faisla hai naa aapka?(determined)Agar aapko humari baat manzoor nahi hai toh hum yeh ghar chhodkar jaa rahe hain!Aur jab hum chale jayenge naa,toh jawaab dete rehna sabko! Jo man me aaye,woh kahaani banaa k suna dena sabko!
Khushi turns to leave when arnav grabs her wrist.
Arnav: Khushi,1 kadam bhi aage mat badhaana! Varna tum jaanti ho ki tumhari behen Paayal k saath kya ho sakta hai!
Khushi frees her wrist from his hold.
Khushi: Hum jaante the ki humein chup karvaane k liye aap humein yeh hi dhamki denge! Lekin hum aapki dhamki se darne nahi waale,Mr. Raizada!
Agar aap neeche jaate toh aap Akashji ko humari jiji ko sambhaalte huye dekhte!
Khushi notices a change in Arnav's expression.
Khushi(proudly): Aaj Akashji, jiji k liye,mamiji se lad pade!Unhone saath diya humari jiji ka! Bahut pyaar karte hain woh humari jiji se!(challenges him)Isiliye aapko jo karna hai,kar lijiye! Aapki inn khokhli dhamkiyon se unki shaadi par koi asar nahi padne wala! Aaj hum aapko dhamki de rahe hain,Mr. Raizada! Hum yeh shaadi tod kar jaa rahe hain! Iss ghar ko chhodkar jaa rahe hain!(points a finger at him)Aur aap humein rok nahi sakte hain!
Arnav(smirks): Tum nahi jaogi! Tum me itni himmat nahi hai!
Khushi: Theek hai. Toh dekh lena ki hum me kitni himmat hai, yaa nahi hai!
Khushi turns to go but stops.
She turns back looks at him thru narrowed eyes only to find that his smirk had turned into a lopsided grin.
She turns around to leave when her arm hits the door.
She halts momentarily,rubs her arm & leaves.
*FLASHBACK ENDS*
Arnav: Mujhe yeh jaankar bahut khushi hui ki Akash ne Paayal ka bachaav kiya tha! Lekin maine yeh baat Khushi se nahi kahi kyunki..
Paayal(interrupts): Kyunki aap isse humari shaadi k naam par blackmail karte rehna chahte the!
Arnav gives a small nod.
Khushi: Aap iss baat ko lekar muskuraa rahe the aur humein aisa lagaa ki aap humara mazaak udaa rahe hain!
Arnav: Main tumhari daring dekhkar.. amazed tha! Tumhare alaava kisi me itni himmat nahi thi ki woh mere,Arnav Singh Raizada,k saamne apna moonh tak khole! Aur tumne?Tumne mujhe hi challenge kar diya!?(smiles)I was amazed & amused,both! Lekin jab.. tum baahar nikalte waqt darwaaze se taqraayi toh mujhe laga ki yeh toh woh hi clumsy Khushi Kumari Gupta hai! Challenge ki baat toh kar k chali gayi lekin.. kuch kar nahi paayegi! Mere paas waapis aane k alaava iss k paas koi choice nahi hai! Lekin.. tumne mujhe galat saabit kar diya!
Khushi beams proudly.
Arnav: Agle din jab main utha toh maine dekha ki poolside par iss ka blanket aur pillow hai par Khushi kaheen nahi hai! Jab woh mujhe neeche bhi nazar nahi aayi toh maine HP se poochha. Uss ne bhi mujhse yeh hi kaha ki ussne Khushi ko nahi dekha. Iss se pehle ki main kuch kar paata,aapne(nani),mami ne aur di ne mujhe gher liya. Aur mujhe pata chala ki Khushi sach me ghar chhodkar chali gayi hai,woh bhi yeh kehkar ki maine usse jaane k liye kaha hai! Maine ghar par toh baat ko sambhaal liya lekin mujhe yeh dar tha ki unless main Khushi ko daraaunga,woh mere paas waapis nahi aayegi! Main kisi bhi keemat par usse ghar waapis laana chahta tha! Aur mujhe pata tha usk liye mujhe Khushi ko yaqeen dilaana hoga ki agar main chahoon,toh main Paayal aur Akash ki shaadi tod sakta hoon! Aur.. phir maine kuch aisa kiya jisse.. Khushi ko ghar lautkar aana pada.
Nani: Kaa karat rahe aap?
Anjali: 1 minute nani.. (turns to Arnav)Aap aage ki baat bataaye usse pehle hum kuch poochhna chahte hain,Chhoti se. Hum yeh baat pehle hi poochh lete lekin mr. Roy aa gaye aur humein poochhne ka mauka nahi mila.
Khushi: Poochhiye di..
Anjali: Aapne sirf kangan ka ziqar kiya,Chhoti. Aapko Chhotey ne kangan toh pehnaa diye par.. chitthi di yaa nahi?
Khushi(confused): chitthi? Nahi di,unhone humein koi chitthi nahi di!
Anjali(shocked): Kya?
Khushi(turns to Arnav): Kis chitthi ki baat kar rahi hain di?
Arnav: Maa ki chitthi.
Khushi(shocked): Maaji ki?
Arnav nods.
Anjali(shocked): Toh aapko chitthi k baare me pataa bhi nahi hai?!
Khushi shakes her head.
Anjali: Aapko yeh toh pataa hoga naa ki aapne jo abhi pehen rakhe hain,jo inhone aapko moonhdikhaayi k din pehnaaye the,yeh humari maa k kangan hain?
Khushi(nods): Ji,woh toh inhone baad me bataaya tha humein! (turns to Arnav)Aapne humein yeh chitthi wali baat bataayi kyun nahi?
Arnav: Kyunki tab mujhe aisa lagta tha ki.. tum meri maa ki bahu banna deserve nahi karti ho! Yeh kangan aur letter maa ne apni bahu k liye rakhe the. Kangan toh mujhe pehnaane pade,varna di ko shaq ho jaata. Lekin main tumhe woh letter nahi dena chahta tha,kyunki mujhe pata tha ki humari shaadi sirf 6 mahinon k hai aur tum.. uss k baad meri maa ki bahu nahi hogi.
Anjali: Chaliye,maan liya. Par jab aap dono k beechh sab kuch theek ho gaya aur aapne dobara,khushi-khushi,ek doosre se shaadi kar li,us k baad bhi aapne yeh baat Chhoti se kyun chhupaaye rakhi?Bataiyye..
Khushi looks at Arnav,waiting eagerly for the answer.
_________________________________________________________________
Precap: Arnav: Holi k din mujhe pata chala ki.. Khushi mujhse pyaar karti hai!
Khushi(shocked): Kaise pata chala aapko?
Arnav: Khushi,tumhe sach me kuch yaad nahi hai?
Khushi: Nahi!
Arnav: Shaayad tumne kuch zyaada hi bhaang pee li thi,isiliye.
Khushi: Aapne bhi toh bhaang pee thi naa? Phir aapko kaise yaad raha?
Kindly ignore typos & mistakes. Translation page 48.Next update on 25th Feb,2013,Monday
One of my entries for Love-O-Rama Pyaar Ka Trope Fest Storyline: Enemies to Lovers Setting: Crime Character/Pairing: Arnav Khushi from IPPKND...
Graphic Credits: itsShonali This is one of my entries for the Love-O-Rama #1: Pyar ka Trope-fest Trope: Set A: Best Friend’s Sibling Set B:...
Hey guys, This is the place where you can request for comment migration. Please know that FFEs are going to migrate your comments. Rules - You...
10