Arnav learns a lesson Thread Two - Page 23

Created

Last reply

Replies

583

Views

80.3k

Users

97

Likes

1.6k

Frequent Posters

..Smita.. thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 4
Posted: 12 years ago

Thanks for the likes & comments! Over to..

Part 46
Arnav: Khushi ne aapko ek baat nahi bataayi nani,jo main bataana chahunga..

Khushi(thinks): Hey Devi Maiyya! Arnavji ko rokiye naa! Yeh kyun apne hi pair par kulhaadi maarne par tule huye hain!?

Arnav looked at Khushi for a brief moment. Khushi shook her head. Arnav averted his gaze.

Nani: Kaa baat thi,bataiyye?

Arnav: Jab maine Khushi ko mangalsutra pehenaya, tab maine uss se kaha..
*FLASHBACK*
Arnav: Yeh sab cheezen tumhare liye bahut maayine rakhti hai naa?Yeh mangalsutra,yeh sindoor? Toh yeh raha mangalsutra aur(fills her parting) yeh
raha sindoor..
Khushi closes her eyes.
Arnav: Ab tum meri patni ho,par sirf duniya ki nazron me! Aur sirf 6 mahino k liye!Us k baad main tumhe aazaad kar dunga! Par tab tak tum mere ghar
me, mere saath,meri patni bankar rahogi!Par yaad rakhna,yeh sindoor,yeh mangalsutra sirf ek samjhauta hai! Naa main kabhi tumhe apni biwi maanunga aur naa hi kabhi apni biwi ka darjaa dunga!
*FLASHBACK ENDS*
Khushi closes her eyes & tightly balls her fists in order to prevent her tears from rolling down her cheeks.

Nani: Aapko zara bhi sharm naahi aayi,Chhotey? Naa keval aap Chhoti bitiya se zabardasti byaah karat rahe,aap ooki maanyataaon aur bhaavnaaon ka mazaak bhi udaavat rahe! Ooko aap dunno parivaar aur oo ki aapan ki nazaron maa sharminda kiye rahe!

Arnav: I'm sorry nani! Par tab main.. yeh hi chahta tha.. Main chahta tha ki Khushi bhi waisa hi feel kare jaisa ki main kar raha tha-miserable aur helpless! Shyam ne mere aur di k bharose ka mazaak udaaya tha. Mujhe laga ki Khushi ne mere pyaar aur meri di k trust ka mazaak udaaya hai. Isiliye main uski nazron me uski maanyataa ka mazaak udaana chahta tha. Mujhe Khushi ki Devi Maiyya se waise hi bahut chid thi. Main yeh saabit kar dena chahta tha ki uski Devi Maiyya bhi use Arnav Singh Raizada k haathon barbaad hone se nahi bacha paayegi! Isiliye.. main use mandir le gaya. Varna.. sindoor toh main use ghar par hi laga sakta tha..

Nani(disgusted): Humka bahutai sharm aaye rahi hai aapk kartooton k baare maa sunkar! Humka taajjub hovat hai,aapko ee sab karte wakhat zara si bhi sharm kaisan naahi aayi? Itne patthar dil kabse huye gaye aap,Chhotey?

Anjali: Rehne dijiye,nani! In ko kuch bhi kehne ka koi matlab nahi hai! Woh humare Chhotey nahi,Arnav Singh Raizada hain,jo kuch bhi kar sakte hain! Aur yeh baat unhone saabit kar di!

Arnav: Di..

Anjali(interrupts): Humse baat karne ki koshish bhi mat kariyega!

Nani: Aap aage bataiyye,aur ka-ka karat rahe aap?

Arnav: Uss raat Khushi ne kamre me aakar mujhse kaha..
*FLASHBACK*
Khushi: Humare liye yeh jaanna bahut zaroori hai ki aapne yeh sab kyun kiya? Kyun Arnavji?
*FLASHBACK ENDS*
Arnav: Maine moonh pher liya. Jab main uthkar jaane laga tab Khushi ne kaha..
*FLASHBACK*
Khushi: 1 minute Mr. Arnav Singh Raizada! Aapke office me aapk uthk jaane se baat khatm hoti hogi. Lekin aaj baat tab tak khatm nahi hogi jab tak
humein apne sawaalon k jawaab nahi mil jaate! Aap iss tarah uthkar nahi jaa sakte hain! Tab tak nahi jab tak aap humein nahi bataate ki aapne yeh sab kyun kiya?
Arnav turns to face her.
Khushi: Ab aap chup kyun hain?Bataate kyun nahi ki aapne yeh sab kyun kiya? (holds his arms)Humein jawaab dijiye! Humari zindagi barbaad kar k
aap yoon chup nahi reh sakte!(pushes him)Kya haasil karna chahte the aap?Jawaab dijiye! Aap shaadi ka mahatva jaante bhi hain?(holds her mangalsutra)Aap samajhte bhi hain ki yeh mangalsutra sirf ek ladki k gale ki shobha nahi badhaata! Iss ka ek matlab bhi hota hai!Aur yeh sindoor,jo aapne aise hi humari maang me bhar diya,iss ka kya matlab hai?Ek ladki k liye,humare liye,yeh bahut maayine rakhta hai! Aapne apna matlab nikaalne k liye humein humari jiji ki shaadi ka vaasta diya aur humse.. (pushes him)Kyun kiya aapne aisa?Kyun?
Arnav holds her wrists,turns her & pins her to the wall.
Arnav(thru gritted teeth): Itna gussa kyun aa raha hai?Yeh kehna chahiye ki aa nahi raha hai,dikha rahi ho!
Khushi stares at him in wonderment.
Arnav: Tumhe jo kuch chahiye tha,woh toh tumhe mil gaya!Ek amir aadmi-jisse shaadi kar k tum ek jhatke me woh sab paa sako jiske aaj tak tum sirf
sapne dekhti aayi ho!Am I right,Khushi Kumari Gupta?
He turns around but Khushi places her hand firmly on his shoulder to stop him.
Khushi: Yeh toh humare sawaalon ka jawaab nahi tha!Hum aapko yahaan se tab tak nahi jaane denge jab tak aap yeh nahi bataate ki yeh sab karne k
peechhe wajah kya thi?
Arnav(moves her hand away): Main tumhare kisi bhi sawaal ka jawaab dena zaroori nahi samajhta hoon!
*FLASHBACK ENDS*
Arnav: Us k baad main wahaan se gusse me car lekar nikal gaya. Raaste me mujhe Shyam mila. Ussne mujhse kaha ki woh jaanta hai ki shaadi me
Khushi ki marzi nahi thi. Aur iss sab k peechhe main hoon. Maine usse kaha..
*FLASHBACK*
Arnav: Jijaji,tumne mujhse kaha tha ki tum Khushi se kabhi alag nahi hoge! Magar Ab Khushi meri patni hai! Uss k aas-paas bhatakne ki koshish bhi
mat karna! Dont even dare!
*FLASHBACK ENDS*
Buaji: Waah Nandkisore waah! Tumka kaa laagat raha,ki Khusi tumhri daasi hai? Tum jaun kahoge oo waisan hi karegi? Aur oo Syam kauno doodh
peeta bachchhwa hai?Jaun oo tumhre gusse se darkar Khusi se door rahega?

Paayal: Inko toh yeh hi lagta hai naa buaji ki yeh duniya k maalik hai! Bhagwan hai! Saari duniya inhi k kahe mutaabiq chalegi!

Khushi(angry): Jiji! Yeh tum kis tarah se baat kar rahi ho Arnavji se?

Buaji: Tum tau chup ahi raho,Sanka devi! Ee.. Arnav k pyaar ne tumko andhaa banaaye diya hai! Ae hi liye tumko ee ki kauno galti najar naahi aavat hai! Par hum chup naahi rahenge! Kaa samajhte kaa hai ee apneaap ko? Ee ka duniya k eklauti amir insaan hai? Duniya maa jaun garibon ki kami naahi hai taun amiron ki bhi kami naahi hai,Nandkisore! Aur humri Khusi itni sundar,itni sanskaari aur itni gunvanti hai ki oo ko amir se amir,achchhe se achchha ladka mil jaata! Par ee tumhra saubhaagya tha jaun tum ko humri Parmeswari mil gayi! Aur saayad.. ee ka aur hum sab ka durbhaagya!

Nani: Madhumatiji,aapka gussa jaayaz raha. Par ee wakhat aapko shaant hone ki zaroorat hai.

Buaji: Hum kaise sant hui jaay,naniji? Aapk naati ne tau humri bhatiji ka jeevan samjho barbaad hi kar diya tha! Tanik sochiye,jaun kuchho bhi hui raha, oo k baad Khusi ne bhaavuk hui k aatmahatya kar li hoti taun oo k liye kaun jimmedaar hota?

Nani(lowers her gaze with shame): Chhotey..

Buaji: Arnav ne humri Khusi k saath bahutai bura sulooq kiya! Bahutai bura!

Nani: Hum maanat hai,Madhumatiji. Hum bas aapse itna kahat hai ki.. Ek baar Chhotey ki baat puri hui jaay,phir aap jaun bhi kahna chaahe oo kah sakat hai. Oo ne galti ki hai tau oo ko sunna hi hoga! Aur oo sunenge bhi! Par ee bakhat shaant hui jaiyye.. Hum dobara aapse vinti karat hain..

Buaji: Theek hai. Hum bas aapk kahe se saant hui rahe hain,naniji..

Nani: Dhanyavaad! (turns to Arnav)Aage bataiyye Chhotey..

Arnav: Suhaagraat k waqt maine Khushi se kaha..
*FLASHBACK*
Arnav(thru gritted teeth): 6 mahine pata nahi kaise bardaasht karunga main? Ek hi kamre me tumhare saath! Jahaan tum saans logi waheen main
bhi.. (makes a face)Disgusting! Iss k baare me sochta bhi hoon toh..

Khushi: Phir kyun ki shaadi humare saath?Kyun kar rahe hain apne saath aisa? Kyun de rahe hain apneaap ko itni taqleef? Aur saath-saath me humein bhi! Hum 1 pal k liye naa iss ghar me rehna chahte hain aur naa aapke saath iss kamre me!
Arnav holds her arm & pulls her to the poolside.

Arnav: Ek baat achchhi tarah se samajh lo-iss kamre k baahar,hum ek happily married couple ki tarah acting karenge! Jaanta hoon ki acting karne me tum maahir ho! Par iss kamre k andar,tum mere liye kuch nahi ho! U mean nothing to me!(points to the bed)Aaj se meri jagah wahaan hai(points to the poolside)aur tumhari wahaan!
*FLASHBACK ENDS*
Arnav: Phir maine darwaaza band kar diya aur main..

Khushi suddenly gets up & walks upto him.

She holds his hand & turns to speak to the family.Khushi: Woh tab ki baat thi. Par aaj hum dono sach me ek happily married couple hain! Aur aaj hum yeh baat yaqeen se keh sakte hain ki.. hum inke liye sabse zyada maayine rakhte hain. (turns to Arnav)Hai na Arnavji?

Arnav: Ha!(squeezes her hand) U mean everything to me!

Khushi(turns towards family): Hum aap sab se ab bhi yeh hi kahenge ki pehle jo hua uss par dhyaan mat dijiye. Hum abhi apni shaadi se aur apne pati se behad khush hain! (with tears in her eyes)Ab hum 1 pal k liye bhi in se,apne kamre se aur iss ghar se door nahi rek sakte hain!

Arnav: Khushi..

He wipes her tears with his thumb.

Khushi: Arnavji ,aapne inhe woh baatein kyun nahi bataayi jo inlogon ko jaanne ki sakht zaroorat hai?

Nani: Kaunsi baat?

Khushi(turns to nani): Yeh hi ki jab-jab inhone humein taqleef di,chhot pahuchai ya hum par gussa huye tab-tab inhe humse zyaada taqleef hui! Inhe humse zyaada dard hua! Humein zara sa dard kya hota yeh tadap uthte!

She tells them how Arnav immediately got up to help her when he felt that Khushi was choking due to her necklace.

Khushi: Uss raat agar hum poolside par so nahi paaye toh yeh bhi kamre me so nahi paaye. Inhone jab dekha ki humein thand lag rahi hai,tab inhone humein kambal bhi diya. Lekin kyunki hum unse uss waqt naraaz the,humne woh kambal liya nahi.

Arnav: Khushi,maine kambal diya nahi,tumhari or phenka tha.

Khushi: Magar kyun phenka tha?Kyunki aapko humari parvaah thi. Aap nahi chahte the ki humari tabiyat kharaab ho jaay?Hai naa?

Arnav nods.

Khushi: Aap bataiyye naa inlogon ko,ki aapko bhi uss waqt taqleef hoti thi..

Arnav: Khushi sahi keh rahi hai. Shaadi toh maine kar li aur apna maksad bhi poora kar liya. Lekin jab maine Khushi ki or dono families ka ill treatment aur gussa dekha toh mujhe Khushi k liye bahut bura lag raha tha. Main iss baat ko acknowledge nahi karna chahta tha,lekin yeh baat baar-baar mere man me aa rahi thi.

Khushi: Upar se nafrat thi lekin andar se hum dono k dilon me ek doosre k liye pyaar hi tha,hamesha se!

Arnav: Agle din jab Khushi ne ammaji se baat karni chahi,toh unhone phone kaat diya. Mami Khushi ko taunt maarne ka koi chance nahi chhod rahi thi. Na Paayal Khushi se theek se baat kar rahi thi aur na di. Yeh sab dekhkar main pareshan ho gaya tha. Mujhe samajh nahi aa raha tha ki mujhe ho kya raha hai? Kyun Khushi k aansu mujhe bechain kar rahe hain? Jahaan ek taraf Khushi ka dukh mujhse bardaasht nahi ho raha tha,waheen doosri taraf Shyam aur Khushi.. ka woh hug aur Shyam ki baatein mujhe disturb kar rahi thi. Main poolside par baitha-baitha yeh hi sab soch raha tha ki itne me Khushi apna blanket aur pillow lekar wahaan aayi. Galti se usse glass gir gaya. Mujhe waise hi gussa aa raha tha,Khushi par, Shyam par,baaki sab par aur.. apneaap par bhi. Lekin uss waqt maine sara gussa Khushi par nikaal diya..
*FLASHBACK*
Arnav: What the..!? Har jagah mera peechha kyun kar rahi ho?(yells)Chali jao yahaan se! Just get outta here!

Khushi(throws blanket & pillow away): Agar aapko itni hi dikkat ho rahi hai toh humse shaadi kar k humein yahaan kyun lekar aa gaye?Aapki iss 1 galti ne raaton raat humari zindagi badal di! Aaj aap hi ki wajah se humari amma humse baat tak karne ko raazi nahi hai!Humari aawaaz sunte hi.. phone neeche rakh diye. Jis jiji k saath hum haste-khelte bade huye,woh humari taraf dekh bhi nahi paa rahi hai. Anjaliji,naniji sab humse naaraaz hain,sirf aapki wajah se! Isiliye humara jo man karega hum woh karenge! (yells)Rone ka man kiya toh royenge! Cheekhne-chillane ka man kiya toh chillayenge! Aur aap humein rok nahi sakte hain!

After a brief pause..

Khushi(softly): Khush hain naa aap?Humare saath jo bhi ho raha hai usse dekhkar aapko maza aa raha hoga na?Har woh rishta jis k sahaare hum zinda the,usse toot-te huye dekhkar aapko khushi hui hogi naa?Humein phir se anaath dekh k aap k man ko sukoon mila hoga naa?Humein iss haalat me dekh k kya paa liya aapne?Bataiyye..

She is about to hit him when he grabs hold of her wrists.

When Khushi hisses,he leaves her wrists.

Arnav: Ha,main bahut khush hoon! Tumhe itni taqleef me dekh k bahut khush hoon main! In fact maine yeh sab kiya hi isiliye taaki tumhe taqleef me dekh sakoon!Suna tumne?

He grabs hold of her shoulders.

Arnav: Jaan-na chahti ho kyun? Kyun tumhe suffer karte huye dekhna chahta hoon main?(thru gritted teeth)Kyunki mujhe tumse nafrat hai! (yells) bcoz I hate u!He leaves her shoulders.
*FLASHBACK ENDS*

Arnav: Ek pal k liye Khushi ki aankhon me aansu dekhkar mujhe dard hua.Isiliye maine apna moonh pher liya.Tab hi Khushi ne kaha..
*FLASHBACK*
Khushi: Hum bhi aapse nafrat karte hain!(yells)Jitni aap karte hain uss se kayin zyaada! Kyunki koi aapse pyaar kare aap uss k laayak hi nahi hain,
Mr. Raizada! Nafrat karte hain hum aapse,nafrat! Kyunki aap sirf nafrat k laayak hain!
*FLASHBACK ENDS*
Khushi: Phir hum wahaan se chale gaye kyunki hum unki aankhon me kuch aur hi nazar aa raha tha. Hum nahi chahte the ki humara pyaar humein
kamzor kar de isiliye hum chale gaye..

Nani: Kaa dekha aapne Chhotey ki aankhon maa?

Khushi: Unki aankhon me humein apne liye fiqr nazar aa rahi thi. Aur shaayad.. pyaar bhi. Lekin unke kathor shabdon ko sunne k baad.. humne apneaap ko samjhaya ki shaayad humein brahm ho gaya tha jab humein laga ki Arnavji humein chahte hain.. Par woh humara brahm nahi,sach tha!

Arnav: Maine uss raat Khushi se jo kuch bhi kaha woh main keh toh Khushi se raha tha,lekin main uss hi bahaane apneaap ko samjhaane ki koshish kar raha tha ki mujhe Khushi se nafrat karni hai,uss ki parvaah nahi!

Nani: Aage kaa hua?

Arnav: Moonh dikhaai wale din mujhe pata chala ki mami ne poolside par Khushi ka blanket dekh liya hai aur unhe humare rishtey par doubt ho raha hai. Main Khushi ko warn karne room me pahucha toh maine dekha ki Khushi ne.. apne lehenge k upar meri shirt pehni hui hai..

Buaji(shocked): Kaa?!Kaahe?

Khushi: Woh.. (embarassed)humare blouse ki silaai khul gayi thi aur.. humare paas ek hi jodi kapde the toh.. Kyunki pehenne k liye kuch aur nahi tha humne.. unki shirt pehen li aur hum apne blouse ki silaai karne lage. Lekin.. shirt ki baahon ko modte waqt humne.. galti se.. Arnavji ki shirt phaad di.

Arnav: Main Khushi par chillaane wala tha par tab hi maine Mami ko balcony se binoculars k thru hum par spy karte huye dekha..

Nani(angry): Manorama,ee hum kaa sun rahe hain?

Mami: Oo a.. sasuma hum..

Mamaji: Hum tumka manaa kiye rahe naa Mannu? Phir bhi tum..

Mami(interrupts): saaree!(sorry) Humse.. suspenswa handle naahi hui raha tha! Humka jaan-na hi tha ki oo kambalwa poolwa k bagal maa kaahe liye pada tha! Oo hai phind out kareki khaatir hum.. doorbeen se.. ee dono ko dekhe rahe..

Khushi: Aur mamiji ko dikhaane k liye Arnavji humse bahut pyaar se pesh aane lage. Unhone humein bithaya aur humare haath me kangan pehenaya. Jab unhone dekha ki unki shirt phat gayi hai,tab unhone gussa bhi nahi kiya! Lekin jaise hi mamiji chali gayi,woh.. phir se.. pehle jaise ho gaye.

Nani: Aage kaa hua?

Khushi: Pagphere k din hum buaji k ghar se bahaana banaakar chale gaye.

Nani: Kahaan chali gayi/

Khushi: Mandir..

Arnav: Jab Paayal ne mujhe call kiya mujhe tab pata chala ki Khushi wahaan se nikal gayi hai aur woh bhi yeh kehkar ki main usse lene aa raha hoon. Main dar gaya aur turant Khushi ko dhoondhne k liye nikla. Maine buaji k ghar k aaspaas usse bahut dhoonda,par woh nahi mili. Phir mujhe laga ki woh mandir me hogi. Jab main mandir pahucha toh Khushi mujhe dekhkar chhupne lagi. Maine usse confront kiya aur.. zabardasti godh me uthaakar lekar aaya.

Khushi: Humari phir se behes ho gayi,jis dauraan Arnavji ne kuch aisa kaha jisne.. humein achambe me daal diya.

Nani: Kaa kahat rahe Chhotey?

Khushi: Pehle toh humne unse poochha..
*FLASHBACK*
Khushi: Ab aap humse kya chahte hain?
Arnav(shows her mobile): Isse phone kehte hain,Khushi Kumari Gupta! Agli baar jab main tumhe call karoon,u better answer it! Aur khabardaar jo
mujhe bina bataaye iss ghar k baahar nikli toh! Main har baar tumhe paagalon ki tarah dhoondta hua nahi aaunga!(throws phone on bed)Did u get it?

Khushi: Humein sunaai de ya naa de,ek baat aap achchhi tarah se samajh lijiye-Agli baar aap iss tarah se humara haath nahi pakdenge aur naa hi iss tarah se humse baat karenge! Aur jahaan tak phone ka sawaal hai,Mr. Raizada,hum aapko bataa dete hain ki humne phone isiliye nahi uthaaya kyunki aap phone kar rahe the aur humein aapse koi baat nahi karni thi!
Aur naa hi iss ghar me waapis aana tha!

Arnav steps towards her & Khushi steps backwards.

Arnav: Tum kya sochti ho aur kya nahi sochti ho isse mujhe koi farq nahi padta hai!
Main chahta hoon ki humari family ko hum pe shaq naa ho,isiliye
humein yeh naatak karte rehna hoga!

Khushi: Kyun karein hum yeh naatak?Sab kuch hamesha waise hi kyun hota hai jaisa aap chahte hain? Main yeh chahta hoon,main woh chahta hoon, main,main,main! Kya aapne kabhi socha ki humein kya chahiye?Humari bhaavnaao ka kya? Aap jaante hain ki aapki baaton se aapk bartaav se humein kitni chot pahuchi hai?

Arnav charges at her & grabs her shoulders.

Arnav(thru gritted teeth): Jo chot tumhari wajah se mujhe pahuchi hai,uss ka kya?

Khushi(shocked): Kya?

Arnav realizes what he said,leaves her shoulders & turns away.

Khushi: Aisa kya kiya hai humne jisse aapko itna dukh hua hai?Kab chot pahuchai hai humne aapko?Bataaiyye humein!

Arnav tries to go but Khushi blocks his way.

Khushi: Nahi! Aap baat ko bina khatm kare nahi jaa sakte hain! Agar aapne hum par itna badaa aarop lagaya hai toh aapko humein bataana hoga ki aakhir humne kiya kya hai?Humein jawaab dijiye!
*FLASHBACK ENDS*
Khushi: Uss samay di wahaan aa gayi aur Arnavji phir humare sawaal ka jawaab diye bagair nikal gaye. Humare man me yeh khayaal aaya ki kahin
uss Shyam aur humare baare me Arnavji ko pata toh nahi chal gaya?

Nani: tau kaa aapne Chhotey se pooochha ki oo aisan kaahe kahat rahe?

Buaji: Ae Nandkisore,kahin tumne Syam se tau naahi poochh liya ki oo ki Arnav se kauno batwaa hui hai ki naahi?

Before Khushi could answer their questions the bell rang.

Nani: HPji,tanik dekhiye kaun aaya hai...!

HP: Ji naniji.

Anjali(thinks): Kahin Rakshit aur Namrata toh nahi aa gaye?Ho sakta hai.. Noida se laut-te waqt woh..

She gets up.

Anjali: HPji,aap rehne dijiye. Hum dekhte hain..

HP: Ji..
Nani: Par bitiya aap kaahe?

Anjali(excuses herself): Nani,hum abhi aaye..

She's in for a shock when she opens the door.

Anjali: Aap?

Mr. Roy: Good evening ma'm!

Anjali(thinks): Yeh yahaan kyun aaye hain?
__________________________________________________________________________
Precap: Arnav: Holi k din mujhe pata chala ki.. Khushi mujhse pyaar karti hai!

Khushi(shocked): Kaise pata chala aapko?

Arnav: Khushi,tumhe sach me kuch yaad nahi hai?

Khushi: Ji nahi!

Arnav: Shaayad tumne kuch zyaada hi bhaang pee li thi,isiliye.

Khushi: Aapne bhi toh bhaang pee thi naa. Phir aapko kaise yaad raha?

Kindly ignore typos & mistakes.PMs later. Translation page 40. Next update on 25th Feb,2013,Monday.

NOTE: Since my exams r starting next week & my cousin's prewedding ceremonies r starting in the week after next,I wont b able to update this FF for 3 weeks. I'm really sorry for that but my schedule is packed till the 24th of this month. So the next update will come on 25th. Hope u'll understand..

Edited by ..Smita.. - 12 years ago
henamani thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Networker 3 Thumbnail
Posted: 12 years ago
nice one but loads of flashbacks
in a way created a sense of dejavu
could actually remember those scenes
--MISHTEE-- thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 12 years ago
Loved d update
Thanx for pm
hope d family doesnt split arshi
Cute6 thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 12 years ago
It was such an intense part..
Each and every thng was acording 2 d episode..
Amazing
rulama thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 8
Posted: 12 years ago
Loved the update dear. Thanks for the PM

Hope you do well in your exams and have a nice time at the wedding!
Edited by rulama - 12 years ago
-Aniisha- thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 3
Posted: 12 years ago
Loved the update 😊 superb...
waiting for ur nxt update
thanks for the PM
kptl thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 12 years ago
it was like dejavu with all the flashback...:) simply awesome..nd really they should not look in the past...Arnav was diff then nd now...he cared for her nd be still cared for now...nd really payal should try to understand instead of bashing Arnav...nd so does Buaji...was t she the one to tell her that she is no one to the ..
akanksha84 thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 12 years ago
Simply Brilliant Smita... u should consider a vareer inw riting seriously!! All the best for exams and have fun at the functions... will be waiting eagerly... btw u can always surprise us... hint hint 😉
amsoni thumbnail
Posted: 12 years ago
next update on 25 feb??? so long

shafqee80 thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 12 years ago
good yar ...keep uo d good work

Related Topics

Fan Fictions thumbnail

Posted by: SilverBell · 29 days ago

Characters Ahaan Pandey As Sagar A Police Officer Saving Lives A Kind Young Man With A Strong Sense Of Justice Living In Ahmedabad Gujarat Sriti...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: So-So · 8 months ago

One of my entries for Love-O-Rama Pyaar Ka Trope Fest Storyline: Enemies to Lovers Setting: Crime Character/Pairing: Arnav Khushi from IPPKND...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: Koeli · 5 years ago

Hey guys, This is the place where you can request for comment migration. Please know that FFEs are going to migrate your comments. Rules - You...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".