jhooth ..bakwas ...fuzul |kiran ne jhunjhla kar daigest ko dur uchala ,aur paas rakhi plate se apple khane
lagi ...khairiyat to hai uski junjhlahat per manal ne use hairat dekha
jo mathe per bal dale full speed se apple khaye ja rahi thi manal ke puchne per kiran ne ghur kar manal ko dekha aur tezi se plate khali karne lagi jaise isse aham kaam aur koi na ho |
"hai rabba !khair ...khin meri bahena pagal to nhi ho gai ".
manal ne chashma utar kar dhyan se use dekha ...
'tum khud hi insaaf karo manal !!'
akhir plate saaf hui to woh kuch bolne ke qaabil hui.
manal uska farmane shahi sunne ke liye fauran sidhi ho kar baith gayi...
"main padhi likhi bhi hun .sugahd bhi hun shareef bhi hun zyada na sahi khubsoorat bhi hun .phir mujhe abhi tak kisi ne pasand kiun nhi kiya?"woh bade hi dhukhi andaaz me puch rahi thi ,,,
jabki manal ki aankhe fail kar kaano tak jane lagi .
'hai kiran !!tum kisi ko dil to nhi de baithi ?"manal ne dahal ke pucha ..
"bhad me jao tum !'kiran ne khunkhwar nazrun se use ghura..main to ye sooch rahi thi ki in daigeston me kis qadar bakwas likha hota hai ...har afsane ki heroin se ek adad hero takra jata hai ..ek hum hain 4 years se college me bhi jhak mari ...aate jaate kisi hummer ke malik ne to left dena to door ki baat nazar utha kar dekhne ki bhi takleef nahi ki...aur to aur aas pados me koi dhang ka ladka nhi ki kismat aazma lene me kya harj hai kiran ne jale dil ke fafule phode "bas maine tay kar liya hai ki age se kisi bhi daigest ko haath bhi nhi lagana ...har novel mera munh chicha raha hota hai ...woh killass ke aage boli to...manal ka chat phad kar kahkha gunja... ,,,hi frnds if u like my post i will continiue soon
Edited by shafaqsheikh - 12 years ago