mohabbat ke raste part 4

shafaqsheikh thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 13 years ago
#1

"kisi me nahi hai yo kya hum tum hona chahiye .
dosron ke amal ko daleel bana kar hum apni jaan nahi chuda sakte faisla to ho ke rehta hai ..chalo launj me chalo ..main bhi aa rahi .maa ko bhi bula lo "kiran ne behas ko sameta .roll woh fry kar chuki thi ..burner off karke kadhai neeche utari
"friedge se cold drink nikalo aur glass bhi le jao
kiran manal se boli ahmar apni french fries le kar phele hi nikal chuka tha . kiran ne chiken rolls ko tarteeb se dish me rakkha ahmar ke liye ketchup aur mala ke liye chilli sauce nikala .
"kiran !!meri dawat ka kya banega .."
manal ki jaan abhi tak dawat me atki hui thi ..
"dontworry tum zroor jaogi.. asfar bhai koi saara din baithe rahenge tum ahmar ke saath thora let chali jana ..main samjha lungi aur zra zra si baat per shor nhi machate khas kar ahmar ke saamne..jawan khoon hai josh me aate der nahi lagti ..asfar bhai jaise bhi hain hamare bhai hain ..main har giz nahi chahungi ki dono bhai yun ek dosre se takrayen ..maslehat kaye parda beech me latka hi rahe to behtar hai.chalo ab jaldi warna ahmar shor macha dega."
apne khas andaz me bolyi woh kahin se bhi usse 2 years badi nahi lag rahi thi .manal ne bade pyaar se dekha..kiran soorate haal ko yun hi kaaboo me kar liya karti thi jabki manal to chillana shuru kar deti thi...ahmar aur manal dono ek hi mejaz ke the. halaki ahmar kiran aur manal se bada tha .lekin jazbati bahut tha ..
"yakinan kiran ka mejaz baba per hai woh bhi itni hi shant hai ..."
manal ne hazaro dafa ki soochi hui baat ko fir dohraya aur launj ki taraf chal padi jahan ahmar waqai shor macha raha tha ..
"yeh bhi meri tarah besabr hai.."
manal ne muskuraate hur socha aur maa ko bulane chal padi ..ummed ke khelaaf is dafa afsar bhai khase lade funde ghar aye the ...khane peene ki cheezon ke ilawah manal aur kiran ke liye kapde bhi the aur is baar to maa aur baba se bade ikhlaaq se pesh aa rahe the ..
"zroor daal me kuch kala hai "
manal ne aankhe sikod kar apne liye laye gaye suit ka jayza liya fir kiran se boli ..
"tum kabhi asfar bhai ke kholus ka etbaar na karna ..."
kiran ne dhukhi nazroon se manal ko dekha ..😭
"khuloos aur asfar bhai ?tauba karo yaar !!
shabnam bhabhi ki rag rag se waqif hun unka bas chale na to humse asfar ki dekhne ki bhi keemat wasool kare ...yeh jo aaj hazaroon kharch hue hain na ...uski ek ek paie ki keemat wasool karengi woh humse .likha ke rakh lo mujhse manal ne pure dawe se kaha ...
"tum to har waqt fuzool ki galt fahmiyaan palti ho "kiran ne manal ko dapta ...

Created

Last reply

Replies

3

Views

995

Users

3

Likes

7

Frequent Posters

xxAneesahxx thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 13 years ago
#2
lovely update shafaq sheikh im impressed i didnt know you were so intrested in making a story line thanks anyways i enjoyed it i would like to read more
shafaqsheikh thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 13 years ago
#3

Originally posted by: PrincessAneesah

lovely update shafaq sheikh im impressed i didnt know you were so intrested in making a story line thanks anyways i enjoyed it i would like to read more

ok tha nx aneesah i will write soon😊
iman27 thumbnail
Explorer Thumbnail Commentator Level 1 Thumbnail
Posted: 12 years ago
#4
nice Safiq..and thanks dear for the PM...

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Rizz-ington

1 years ago

⭐Back⭐ Arhi FF | Iss Darr Ko Kya Naam Doon: Chapter 3 - Part 3/3

A N A R H I F F ---- Iss Darr Ko Kya Naam Doon Summary: Khushi is an internet famous 27 year old fashion designer from Lucknow. She has a chirpy...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: goodkashish

6 years ago

Kassir ...Sujal&Kashish...Part 28 - Pg 33

Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".