Thanks for the likes & comments!
Note: Long update. U may find it a bit boring,bcoz of the presence of relatives but it was necessary as a build-up to Arnav's reaction. Hope u all understand..
Part 24
Even before Arnav & Khushi could ascend the stairs which led to the terrace,they see buaji and amma coming down.
Amma: Khusi,kaa hua bitiya?Tu aur.. Arnav bitwa..?
Khushi: Ha amma,woh.. inhe chhat par sabke saath nashta karna hai toh isiliye hum oopar jaa rahe hain.
Buaji: Par sabka nasta tau hui gawa,Nandkisore! Aur oo sab tau Laksminagar ka chakkar lagaave khaatir jaaye rahe hain!
Khushi: Par buaji,Deepak toh abhi-abhi pooriyan lekar gaya rasoi se!
Buaji: Oo kaa hai ki Sumi bitiya Seema bitiya ko nasta karaye rahi ,tau oo ka nasta baaki rah gaya. Aur pooriyan khatam hui gayi. Tau humne hi Deepak babua ko neeche bheja pooriyan laaye ki khaatir!
Khushi: Achchha. Toh Arnavji,ab hum rehne dete hain.Sab neeche aa hi rahe hain toh aap yaheen nashta kar lijiye.
Amma: Kaahe?Bitwa ko chhat par jaana hai tau jao naa tumlog! Huaan achchhi hawa chal rahi hai,bitwa ko achchha lagega!
Buaji: Aur waisan bhi,Nandkisore,ee sab log baaher chale jaayenge taun tum dunno hiyaan akele baithkar hi nasta karoge! Oo se achchha ee hoga ki tum dunno huaan chatt par nasta kar lo!
Arnav: I guess ammaji and buaji sahi keh rahe hain,Khushi. Lets go.
Khushi: Theek hai,aaplog utar jaiyye aur..
Just then she sees Sumitra descending the stairs as well.
Khushi: Kya hua jiji?Aapne naashta nahi kiya?
Sumi: Naahi! Humne socha bhabhi ka nasta bhi baaki hai tau hum oo ke saath hi nasta kar lenge! Tu hiyaan kaa kar rahi hai?
Khushi: Inhe chhat par nashta karna hai.
Sumi: Tau tanik ruk jaa,hum Suchi se kahe dete hain,oo satrangi aur paani k jug ko huaan hi chhod degi! (she turns towards the terrace door and screams) Aye Suchi!
Arnav makes a face as her loud,nasal voice rings in his ears.
Sumi(screams even louder): Aye Suchitra!
Suchi(screams back): Kaa hua jiji?
Sumi(screams): Paani ka jug aur chataai,satrangi laaye ki kauno jaroorat naa hai, tu sabko laike neeche aa jaa!
Suchi(screams): Theek hai!
Arnav lets out a sigh as the screaming session comes to a halt.
Sumi: Hum utar jaaye,phir aaplog chadh jaiyye!
Arnav follows Khushi up the narrow and steep staircase.
He's shocked to see the dilapidated condition of the terrace.
Arnav: Khushi,yeh.. terrace ki haalat aisi kyun hai?
Khushi: Bahut samay se iski putaai nahi karvaayi naa,isiliye!
Arnav(confused): Putaai?
Khushi: White-wash!
Arnav nods.
Arnav(thinks): Aman ko is ghar ki repairing ki responsibilty de deta hoon. Pehle Khushi se list banane k liye keh dunga,is ghar me toh kaafi kuch repair karvaana padega!
Sukumar: Areh jijaji?Aaiyye-aaiyye!
He turns to his son.
Sukumar: Bitwa tu kuch der k liye Seemu bitiya k saath khel le. Ek baar phuphaji ka nasta ho jaay,phir humlog tehelne chalenge!
Deepak: Nahi papa,humein abhi jana hai!
Khushi: Le jaiyye na bhaiyya!
Arnav: Ha,plz aaplog meri wajah se apna program postpone mat kariye! Aur waise bhi,mujhe company dene k liye Khushi hai na!
Khushi glares at him while his brothers-in-law exchange looks.
Chetan: Jaisa aapko theek lage,saadubhai! Chaliye bhaisaab! Chalo Seemu, Deepak, Suchi! Sab seedhiyon se dhyan se utarna hain? Chot-vot na lag jaaye!
****
After the guests go downstairs Khushi starts feeding Arnav.
Arnav: Kya hua? Naraaz kyun ho gayi phir se?
Khushi(annoyed): Bhaiyya se woh sab kehne ki kya zaroorat thi? Lard governer!
Arnav: Kya galat kaha maine? Tum hi toh mujhe company de rahi ho!
Khushi: Ha,par yeh kaha kyun?Achchha nahi lagta badon k saamne!
Arnav: Ok fine,keh diya so keh diya,ab kuch nahi kar sakta! But tum toh apna mood theek kar sakti ho!
Khushi doesnt say anything.
Arnav: Tumhe bhook nahi lagi kya?Tum bhi khao?
Khushi: Jhoote haath se?
Arnav: Husband wife me chalta hai,Khushi! Khao!
He feeds her one morsel.
Khushi: Buaji se baat kyun nahi ki aapne?Bistar k baare me?
Arnav smiles.
Khushi(confused): Muskura kya rahe hain?Bataiyye,baat kyun nahi ki?
Arnav(smirks): Unbelievable! Khushi,tum ab bhi subha jo hua uske baare me soch rahi ho?
Khushi(embarassed): Na..nahi toh! Hum toh palang ki baat kar rahe hain, aap hi hain jo.. woh sab keh rahe hain!
Arnav: Ok.Matlab tum uske baare me nahi soch rahi ho?
Khushi: Bilkul nahi!
Arnav(cocks an eyebrow): Really!?
He pulls her closer with his left hand.
Khushi(shocked): Kya kar rahe hain?Koi aa gaya toh?
Arnav(removing her dupatta): Koi nahi aayega,sab baahar jaa rahe hain!
Khushi: Aap.. aapka moonh.. jhoota hai!
Arnav(nuzzling her neck): I.. dont.. care!
Khushi instinctively arches her neck.
He gives a wet kiss just below her ear.
She bites her lower lip to prevent herself from moaning.
Arnav starts a trail of kisses beginning with her earlobe an ending at the crook of her neck.And then beginning from there and ending at her ear lobe.
Khushi keeps the plate on the terrace floor,unable to balance it with her trembling hands.
He nibbles her earlobe,then grazes it with his teeth.
She keeps one of her hands on Arnav's arm,which is locked around her waist.
And she grabs his hair with her other hand.
Arnav nuzzles the back of her ear with his nose and then licks the soft spot behind her ear.
When Khushi feels he's about to give her a love bite,she stops him by digging her nails into his arm.
Arnav groans.
Khushi: Wohh.. mm.. mat..tt.. karr..rriyye..ga..
Arnav: Kya?
Khushi: Jj..jo aapp.. nne.. ssu..bbha.. ki..yya.. thh..haa..
Arnav smiles as his mission is accomplished!
He whispers in her ear.
Arnav: Toh iska matlab tum subha k baare me hi soch rahi thi,hmm?
Khushi opens her eyes and stares at him,disbelief,anger and shock written all over her face.
She smacks his head.
Arnav: Owww!
Khushi(makes a face): Lard governer! Unbelievable to aap hain! Ab chhodiye humein aur chupchaap nashta kariye! Varna hum bula rahe hain Deepak ko yahaan, phir khelte rahiyega din bhar uske saath!
Arnav leaves her waist and sits at a respectable distance from her.
Through the remaining course of breakfast,Khushi is super annoyed and Arnav has a grin plastered on his face.
****
Ramaa: Munna,bitwa taiyyar hui gaya?
Deepak: Ji amma.
Ramma: Oo.. tohre phuphaji ka phunwa baj raha tha. Ja,oo ko chhat par phone dai k aa. Aur sun,(hesitates) a.. jaaye se pahile,seedhiyan se buaji ko ya phuphaji ko aawaaj lagaa dena! Aise hi,bina batiyaye mat jaana!
Deepak: Kaahe amma?
Ramaa: Jitna kahe hai utna karo! Jaa,jaldi phunwa dai k aa,naahi toh tohre papa bina tohko liye hi sair par chale jaayenge!
Deepak: Hum abhi aate hain!
While climbing the stairs,Deepak remembers what his mother said and decides to call Khushi.
Deepak: Buaji..!
While doing so,he loses track of the steps and falls!
Deepak(screams) aaa...!Ammmaaa!
****
Sukumar is very angry on Deepak.
Sukumar(dressing the wound on his forehead): Kaa jarurat rahi itna jaldi seedhiya chadhne ki? Tanik bhi sabar naahi kar sakta tha kaa? Tohko pata tau hai ki hum sabko kal Jaipur jaana hai! Bhala hua ki kauno badi chot naahi lagi aur bahut khoon naahi baha,naahi tau Guruji ki janamtithi ka samaaroh chhoot jaata humra,tohre kaaran!
Ramaa: Kaahe gusiya rahe hain?Aise hi sehma hua hai Munna! Itna chot lag gaya hai aur aap hai ki...?
Sukumar(interrupts): Tum tau chupai rahao! Jijaji ka phone baj raha tha tau khudai bulaaye lete ooko,bitwa ko bhejne ki kaa jaroorat rahi?(turns to his son) Aur tu? Dekh k seedhiya naahi chadh sakta tha kaa?
Deepak holds his mother's hand tightly,expecting a slap from his father.
Buaji decides to intervene.
Buaji: Saant hui jao,Nandkisore! Kaahe bahuriya aur bachchhwa k daant rahe hau, babua? Sasuri,oo seedhi hi aisi hai ki kaunp bhi gir jaaye! Ee toh chhota bachchhwa hai,galti se gir gaya! Nandkisore ki kirpa se chot tau naahi lagi naa?Tau bas! Bhool jao aur babua ko aaraam karne do!
Sukumar doesnt say anything after that.
Chetan: Bhaisahab,Deepak toh ab nahi chal paayega,par aap humlogan k saath baahar chaliye.Aapka gussa bhi saant hui jaayega aur aapko achchha bhi lagega, kaahe?
Sumi: Sahi kahe rahe hai oo,chalo bhaiyya! Bhabhi hai na hiyaan,oo dekh legi Deepak ko! Chal Suchi!
During this entire exchange Khushi's eyes are on Arnav.
Khushi(thinks): Humein koi brahm ho raha hai ya sach me humne Arnavji ki aankhon me nami dekhi? Poochhna padega! Lagta hai ab bhi di ki baat ko lekar pareshan hain..
****
Deepak hugs his mother and cries once his father and the rest of the family, barring Arnav & Khushi leave.
Ramaa: Na Munna!Tu toh jaanat hai na babua,tohre baap ka gussa aisan hi hai! Gusse-gusse maa tohko daant diye! Par oo k peechhe oo ki chinta chhupi hai bitwa!
Deepak: Amma,aap hi ne humse kahi thi naa,ki jaane se pehle buaji ko aawaaj laga dena?Hum tau oo hai kar rahe the ki gir pade! Ee maa humra kaa dos hai? Papa humko kaahe daant rahe hain?
Ramaa: Na,na,ee maa humre Munna ka kauno dos naahi hai! Tohre papa ka dimaag pahile se garam tha ae hi liye jaun tu gira taun saara gussa tohre upar nikaal diya. Tu toh jaanat hai,oo tohri kitni chinta karte hain,tohse kitna parem karte hain,hain naa? Bhul jaa,tu aaram kar le,hum tohko besan k laddoo khilayenge,tohra mood theek hui jayega! (kisses his forehead) Humra raja bitwa!
****
Arnav is transported back to his past when he hears those two words from Ramaa, raja bitwa...
*Flashback*
Arnav is very annoyed and doesnt talk to his mother or do what she's asking him to do.
Maa(entering his room): Kaa hua Chhotey? Kabse bulaye rahe hain... Hiyaan aao bitwa! Hum tumhre nanaji ko phone kar rahe hain, unko tumhre result k baare me bataave k padi!
Arnav: Mujhe kisi ko kuch nahi bataana!
Maa: Kaahe naahi bataana? Tumhre nanaji kitne khush honge ee jaankar ki unke naati ko 80% marks mile rahe exam maa! Phir jaun tum chhutiyan maa nanaji k huaan jaoge naa,taun nanaji tumhe gift denge!
Arnav: Mujhe koi gift nahi chahiye! Jab dad ko hi mera result pasand nahi aaya toh kya fayda?
His mother sits next to him and puts her arms around him.
Maa: Chhotey,bitwa tumhre dad tau tumhre bhale k liye tumko daant rahe hain. Aur unki baat tau sahi hai,pichhli baar se ee baar Maths me tumhre marks kam aaye hain, aaye hain ki naahi?
Arnav: Ha aaye hai,fine,I accept it! But Maths k liye dad baaki saare subjects ko ignore kare,mere total percentage ko ignore karen yeh mujhe pasand nahi hai maa!
Maa: Dad jaun bhi karat hai,jaun kahat hai,oo ae hi liye kahat hai ki oo tumko class maa first aate huye dekhna chahte hain!
Arnav: Toh mujhe padhate kyun nahi hai? Ek bhi din aisa nahi gaya hai jab dad ne mujhse meri padhai k baare me kuch poochha ho! Woh bas result k din aa jate hain, mujhe daantne!
Maa: Oo ee liye ki unke paas samay naahi hai bitwa! Tum tau dekhat rahe hau, oo aapan kaam ko lekar kitne vyast rahte hain,theek se khane-peene ka bhi samay naahi milat raha ooko! Phir bhi tumhre aur anjali bitiya ki khaatir kitna kuch karat rahe oo! Tumhri kitaabein,khilaune,kapde,ee sab kaun laaye k det hai,dad hi laavat rahe naa?
Arnav doesnt say anything.
Maa: Ab chalo gussa chhodo aur humre saath chalo! Hum tumhri khaatir ice-cream laaye hai.Chalo,hum anjali bitiya ko bulaye lete hain aur aaj hum teeno ice-cream khaaye k tumhra achchha result celebrate karenge,theek hai?aao!
Arnav doesnt move an inch.
Maa: Chalo Chhotey,aapan maa k liye chalo! Humre liye humra bitwa itna bhi naahi karega?
Arnav: Theek hai,aap k liye chalta hoon!
Maa(kisses his forehead): Ee hui na baat! Humra raja bitwa!
*Flashback ends*
Khushi(walking up to him): Kya baat hai,Arnavji?Sab.. theek hai naa?
Arnav: Ya! a.. Khushi,mujhe ek urgent call karna hai Aman ko,so.. excuse me!
Before leaving,he turns to face Deepak.
Arnav: Deepak,take care beta.Aur.. apni maa ko zyaada pareshaan mat karna.
Deepak nods,wiping his tears.
With that Arnav leaves the room.
Ramaa: Ja Khusi,tu bhi jaakar mausiji ka haath bata le rasoi maa. Hum hain naa Munna k paas!
Khushi: Theek hai bhabhi.Aap baithiye aur Deepak,hum tumhare liye laddoo lekar aate hain,haa?
Deepak gives a small smile.
Khushi goes out of the room,determined to talk to Arnav.
****
Arnav: Maine.. bhabhiji me apni maa ko dekha aur.. Deepak me apneaap ko!
Khushi doesnt know what to say.
Arnav: Dad bhi aise hi gussa karke chale jaate the aur.. maa mujhe manaati rehti thi! (with a sad smile)Woh bhi mujhe raja bitwa kehti thi!
Khushi hugs him,not knowing any better way of comforting him.
Kindly ignore typos n mistakes.PMs later. Translation in the post below.
Edited by Smita.M - 13 years ago
10