Arnav learns a lesson Thread One - Page 41

Created

Last reply

Replies

719

Views

349.3k

Users

135

Likes

3.6k

Frequent Posters

..Smita.. thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 4
Posted: 13 years ago
Thanks for the likes & comments!
Note: Long update.
Part 25
When Khushi enters the bedroom,she finds Arnav busy over the phone.
To her utter surprise,she finds him talking to naniji.
Khushi(thinks): Humein toh keh rahe the Amanji se baat karni hai. (worried) Kahin ye naniji se di ki shaadi ko lekar toh kuch nahi keh rahe naa?
She goes near the window,where Arnav is standing, and gently keeps a hand on his shoulder.
Arnav turns to her and gestures her to wait.
Arnav: Ji nani.(pause)Ji,aap chinta mat kariye.Main Khushi se keh deta hoon,woh Hari Prakash ko sab kuch samjha degi. Aur agar market se kuch lana hai toh main Mohan se keh dunga,woh laakar de dega Hari Prakash ko.(pause) Nahi,hum log toh yahaan se seedhe airport aayenge,aaplogon ko lene.(pause)Main dekh leta hoon nani. Agar HP dinner ki taiyyari akele nahi kar paya toh main Khushi ko lekar pehle ghar chala jaunga aur phir wahaan se main akele aaplogon ko lene aa jaunga.
Khushi(thinks): Lagta hai Rakshitji k parivaarwale bhi aa rahe hain saath me.Hey Devi Maiyya! Hum kaunsi saree pehnenge?Humari toh ek bhi achchhi saree istri ki hui nahi hai!
Arnav ends the call and turns to Khushi,only to find her muttering to herself.
Arnav: Kya hua?Kis baat se pareshaan ho?
Khushi: Yeh hi soch rahe hain ki hum shaam ko kya pehenenge. Woh log pehli baar humare ghar aa rahe hain aur hum ghar ki badi bahu hai,toh.. kuch achchha sa pehenna chahiye na humein.. Warna Rakshitji k parivaarwale kya sochenge?
Arnav(confused): What? Woh log kyun kuch sochenge?
Khushi: Aapki.. naniji se kya baat hui?Rakshitji apne parivaar k saath shaam ko ghar aa rahe hain na?
Arnav: Nahi! Maine nani se yeh kehne k liye phone kiya tha ki woh buaji ko phone karen!
Khushi(confused): Buaji ko?Kyun?
Arnav: Kyunki main tumhare.. I mean humare saare relatives ko dinner pe invite karna chahta hoon! Mujhe laga yeh baat main kahoon toh shayad unko achchha nahi lagega,isiliye maine nani se kaha ki woh buaji ko phone kar den aur sabko invite kar den!
Khushi(relieved): Phir theek hai!Par.. waise Arnavji,aapko aisa nahi karna chahiye tha. Woh sablog safar se thake-haare aayenge aur ghar me tab hi mehmaan aa jayenge toh kaisa lagega?Un sabko aaraam bhi nahi milega!
Arnav: Khushi,pehle humlog unhe pick up karke Shantivan drop kar denge. Phir main aaunga yahaan se sabko pick up karne aur doosri gaadi me Mohan aayega.
Toh by the time yeh sablog ghar pahuchenge,wahaan sablog fresh ho gaye honge! Tum woh sab chhodo! Bas HP ko phone kar do aur use bata do ki khaane me kya-kya banana hai aur kya-kya lana hai n stuff.. Main aata hoon!
He leaves the room without telling where he was going.
Khushi calls HP and tells him about the menu and dictates a list of items to b brought from the store.
Then she calls Mohan and informs him to take the list from HP and Aakash's car and fetch all the necessary items.
*****
Khushi(coming out of the room): Amma..
Amma: Kaa hua bitiya?
Khushi: Aapne Arnavji ko kahin dekha kya?
Amma: Ha,oo tau Deepak bitwa k saath oo k kamraa maa hai.Ramaa bahuriya snan karne gayi hai tau damadji oo k paas baithe hain.
Khushi: Achchha. Aapki kuch madad kar den?
Amma: Ha,tu.. ee matar chhil de. Sumi bitiya paneer laike aayegi phir tu matar paneer ki sabzi bana dena,ha bitiya?
Khushi: Ji.
She takes the peas from her and goes to buaji's room.
Arnav is gazing so intently at a sleeping Deepak that he doesnt even notice his wife's presence in the room.
Khushi: Arnavji..?
Arnav: Tum.. kab aayi?
Khushi: Bas abhi aaye. Aap theek hain naa?
Arnav: Ya,I'm fine.
Khushi sits on the other side of the bed,near Arnav and starts peeling the peas.
Khushi: Aap.. khoye-khoye se lag rahe the isiliye humne poochha. Koi baat ho toh bataiyye naa.. Kya.. ab bhi aap di ko lekar pareshan hain?
Arnav: Nahi toh!
Khushi: Toh phir kya baat hai?
Just then Ramaa enters the room and Khushi is forced to keep quiet.
Ramaa: Dhanyavaad nandoiji! Ab aap jaakar aaraam kar lijiye,hum baithte hain Munna k paas.
Arnav nods.
As he is about to exit the room,he stops and turns to Ramaa.
Ramaa: Kaa baat hai?
Arnav: Aap.. ek favour karengi mere liye/
Ramaa: Ha,ha jaroor! Batiyaiye,kaa chahiye aapko?
Arnav: Aapko.. Jauzi halwa banana aata hai?
Ramaa: Ha bilkul aata hai! Kaa hua,oo khane ka man karat raha kaa?
Arnav: Ya. a.. Aap.. woh mere liye banayengi,plz..
Ramaa: Ha,ha,kaahe naahi banayenge? Aapne pahili baar farmaais ki hai tau oo ko pura karna tau humra farj hai! Bas aapke bhaisaab ko phone kar k aap samnak aur khoya laane k liye keh dijiye!Aur.. 2 thaili doodh!
Arnav(confused): Samnak..?
Ramaa: Gehu.. gehu ka hovat hai naa,jaun se halwa banat raha!
Arnav: O..ohk,I got it! Aur khoya toh mujhe pata hai!Main hi lekar aata hoon!
Ramaa: Areh aap kaahe taqleef lenge nandoiji. Oo log tau baajaar gaye hi huye hain,oo se kahe dijiye,laike aa jayenge!Oo.. ka hi humai kahe dete oo se,par.. aapke bhaisaab humse .. naaraaj ae hi liye oo..
Arnav: Koi baat nahi,main hi lekar aata hoon.(turns to Khushi)Khushi,yeh sab samaan kahaan milega?
Before Khushi could answer,Ramaa nearly screams.
Ramaa: Hey Ramji! Hum tau bhulaaye gaye! Nandoiji.. aapko tau meetha mana hai naa, tau aap.. kaise khaiyyega?
Khushi: Uski chinta mat kijiye bhabhi,sugarfree hai naa!Woh hi jo cheeni ki jagah dalta hai? Hum woh de denge aapko,aap uska istemaal kar lijiyega!
Arnav: Great! Toh phir main jaakar samaan lekar aata hoon. Khushi tum..?
Khushi: Lakshminagar k gate k saamne kirane ki dukaan hai,wahaan aapko samnak mil jayega aur.. aap 2 ki jagah 5 thaili doodh le aaiyyega,khoya hum ghar par bana denge!
Arnav(elated): Fantastic! Main.. lekar aata hoon!
Khushi: Ji.
*****
Ramaa: Kaa baat hai ri Khusi? Nandoiji achaanak se khus hui gaye? Laagat hai ee halwa oo ko bahutai pasand hai,kaahe?
Khushi: Nahi bhabhi.Unhe toh chaawal ki kheer pasand hai. Aur to aur,aaj se pehle humne unhe kabhi is halwe ka ziqar karte huye nahi dekha!
Ramaa(shocked): Kaa?
Khushi: Ji!Aur isse pehle humse unhone kabhi kuch banane k liye nahi kaha. Hum toh khud hi chaunk gaye halwa khane ko lekar unka utsah dekhkar!
Ramaa: Taun aaj achanaak se khaaye ka man.. (smiles)jaun bhi ho! Ab tau hum oo ki khaatir ee halwa jaroor banayenge!
Buaji(from the living room): Aye Parmeswari! Tohra mobile bajat raha..
Khushi: Hum aate hain bhabhi..
Ramaa: Ha!
******
Buaji: Ee leyo! Band hui gawa!
Khushi: Kiska phone tha buaji?
Buaji: Kaun jaane? Khudai dekh le!Aur sun,phir jaaike nahaye lena. 9 bajne wale hain aur paani ka tau tumko pata hai. 10 baje k baad boond bhar bhi naahi aayega! Oo se pahile tohko nahaana hai,Arnav babua ko nahaana hai,phir oo sab baaher se aayenge,sab nahaayenge. Taun jaldi-jaldi nahaaye lena,hain?
Khushi(dialing Anjali's no.): Ji..
*******
Anjali: Hello.. Chhoti?
Khushi: Ji di,kahiye..
Anjali: Chhotey kahan hai?Unhe phone kiya toh utha bhi nahi rahe the.Sab kuch theek hai naa?
Khushi: Ha di,sab kuch theek hai! Woh kiraane ki dukaan se samaan laane gaye hain.
Anjali(shocked): Kya?! Chhotey,aur kiraane ki dukaan tak gaye hain! Yeh toh ghazab ho gaya! Waise,(teases)kya laane gaye hain aapke liye?
Khushi: Humare liye nahi di,apne liye! Aaj pata nahi unko Jauzi halwa khaane ki soojhi! Toh.. humari mauseri bhabhi aayi hain na yahaan,unse kehne lage ki humare liye bana dijiye! Ghar me uske liye samaan nahi hain toh bas.. woh hi laane gaye hain!
Anjali: Kya.. jauzi.. halwa?
Khushi observes the change in tone of Anjali's voice,from happy to sad.
Khushi: Hhaa.. di.. kyun?Kya baat hai?
Anjali: Chhoti,jauzi halwa toh.. mamma banaya karti thi.
Khushi(surprised): Kya?
Anjali: Ji.. Unhe bahut pasand tha. Unk.. jaane k baad humare ghar me woh.. halwa kabhi nahi bana.Agar.. Chhotey ne kaha hai ki unhe woh.. khana hai toh iska matlab..
Khushi: Matlab..?
Anjali: Unhe mamma ki bahut yaad aa rahi hogi..
Khushi doesnt know what to say.
Anjali: Unhone.. mamma ki koi baat ki kya aapse?Ya.. kisine unse kuch poochha tha kya?Yeh.. halwe ki baat kahan se nikli?
Khushi: Nahi di! Na unhone khud kuch kaha naa yahaan kisine unse kuch poochha. Halwe ki farmaaish toh khud unhone ki!
Anjali: Kuch toh hua hai Chhoti.. jis se Chhotey ko mamma ki yaad aa gayi aur.. (sighs heavily) Khair,aap unka khayaal rakhna. Shayad woh aapke saamne mamma k baare me kuch bhi nahi kahenge. Par andar hi andar woh mamma ko miss karte rahenge. Aap.. unhe sambhal lena Chhoti..
Khushi: Di,aap Arnavji ki bilkul chinta mat kariye. Hum unka khayaal rakhenge.
Anjali: Theek hai.Rakhte hain..
Khushi: ji..
Khushi(thinks): Toh Arnavji maaji ki kisi baat ko yaad kar rahe the,isiliye pareshaan lag rahe the. Woh khud se kahe chahe na kahe,hum unse poochhenge ki kya baat hai?
*******
Arnav(enters the bedroom): Khushi,tumne naha liya?
Khushi: Ji nahi.
Arnav: Toh pehle tum jaogi ya main?
He comes close to her and grabs her waist.
Arnav: Ya phir dono saath me chale?
Khushi stares at him with no expressions on her face.
Arnav leaves her waist.
Arnav(cups her face): Kya hua Khushi?Tum tensed lag rahi ho..
Khushi(holding his hands): Aap.. aapko.. maaji ki yaad aa rahi hai naa?
Arnav doesnt say anything to her.
Arnav(leaving her hands): Main pehle naha leta hoon.
He goes to take out his towel from his bag,when Khushi stops him.
Khushi: Boliye naa Arnavji.. Kya hai aapke man me?Aapka dard baatiye na humare saath.. Aapko achchha lagega. Aapka man halka ho jayega!
Arnav: Nothing really important Khushi..
Khushi: Toh aapne bhabhi se halwa banane k liye kyun kaha?Di ne humein bataya ki woh maaji ko bahut pasand tha aur.. unke jaane k baad..
She stops as she notices tears in Arnav's eyes.
Khushi: Arnavji... Aap.. yahaan aaiyye.
She makes him sit on the bed and sits beside him,gently caressing his head.
Khushi: Kya baat hai?Kahiye naa..
Arnav(hesitates): Khushi maine..
Khushi: Kya?
Arnav: Maine.. bhabhiji me maa ko dekha aur.. Deepak me apneaap ko!
Khushi doesnt know what to say.
Arnav: Aaj jab bhaisaab us par gussa hokar chale gaye toh mujhe mera bachpan yaad aa gaya.Dad bhi aise hi gussa karke chale jaate the aur.. maa mujhe manaati rehti thi! Theek waise hi jaise aaj Deepak ko bhabhiji mana rahi thi!(with a sad smile) Maa bhi mujhe raja bitwa kehti thi!
Khushi hugs him,not knowing any better way of comforting him.
Arnav rests his head in the crook of her neck and shoulder and lets out all his tears.
Khushi: Hum.. hum samajh sakte hain..
Arnav: I'm missing maa,Khushi.. Aaj.. main unko bahut miss kar raha hoon! Bahut zyaada miss kar raha hoon!
Khushi comforts him by hugging him tighter and running a hand through his hair till he stops crying.
*****
Khushi: Paani laayen?
Arnav: No,thanks!
Khushi(wipes his tears): Maaji yaheen hain,humare saath! Apne Chhotey aur Anjali bitiya k saath!Aur aaj woh behad khush hain! Jaante hain kyun?
Arnav: Kyun?
Khushi: Kyunki aaj unki bitiya ki shaadi pakki ho gayi hai! Di apni zindagi ko dusra mauka de rahi hain,unhe Rakshitji jaise bhale insaan ka saath milega,achchha parivaar milega,unka sansaar dobara basega,yeh sab jaankar maaji khush toh hongi naa,bataiyye?
Arnav nods.
Khushi: Aise me aap rokar kyun unki khushi ko gham me badalna chahte hain?
She lovingly cups his face.
Khushi: Unka raja bitwa royega toh maaji khush kaise reh paayengi,sochiye?Agar aap bhi aaj khush rahenge,toh maaji k liye dugni khushi ki baat ho jayegi! Woh apne dono bachhhon ko khush dekhkar aur bhi zyada khush ho jayengi aur unki aatma ko shaanti milegi!
Arnav gives a small smile,appreciating her gesture of uplifting his mood.
Khushi: Yeh hui na baat! Chaliye,ab naha lijiye aur baad me khush hokar halwa khaiyyega,dukhi hokar nahi! Humare bade-buzurg jab chale jaate hain na toh woh yaheen chahte hain ki unke bachchhe unko khushi se yaad karen,dukh se rokar nahi! Agar aap yahan royenge toh kya maaji ki aatma khush reh paayegi? Nahi! Aap khush rahenge,toh unhe bhi khushi milegi,yeh sochkar ki unke Chhotey,unki yaad me haskar halwa kha rahe hain! Halwe ko khakar purani achchhi yaadon ko taaza kariye Arnavji! Humein bataiyye ki jab maaji halwa banaati thi toh woh kitni khush hoti thi,aapke bachpan k kisse sunaiyye humein aur achchhi tarah se unhe yaad kariye! Rokar nahi!
She heaves a sigh of relief,dramatically!
Khushi: Itna lamba bhashan diya,kuch palle pada ya nahi?
Arnav: Pad gaya!
Khushi: Toh chaliye,jaiyye nahane,varna paani chala jayega aur phir aapko handpump k paani se nahana padega!
Arnav(smiles): Not again! I better go fast!
Khushi smiles as she sees him scurrying to the bathroom.
Khushi(folds her hands): Hey Devi Maiyya! Humari maaji ki aatma ko shaanti dena! Unse kehna ki unke dono bachchhe theek hain aur khush hain.Aur un dono ki khushi ko salaamat rakhne k liye humse jo ban padega,hum hamesha karenge!
She sighs.
Khushi: Waise toh naniji aur mamiji k rehte humein kabhi unki kami mehsus nahi hoti hai,par... kabhi-kabhi humein bhi lagta hai ki kaash woh aaj hoti toh.. Khair.. Aap unka khayaal rakhna hum yahaan Arnavji aur di ka rakhenge!
She wipes her eyes and goes to the kitchen.
*****
Precap: Arnav:Ab.. main khud kaise naha paunga buaji.. Mere haathon me bandage hai toh..
Ramaa(getting the hint): Nandoiji theek ai tau kahe rahe hain! Mugga uthayenge taun haath dard karenge ook! Khusi,tu ek kaam kar,tu oo ko nehla de!
Khushi(shocked): Kya?!Nahi nahi!
Ramaa: Aur kaa?! Khila rahi hai,patti baandh rahi hai tau nehla kaahe naahi sakti? Kaahe buaji?Kaa kahti hain aap?
Buaji: Bahuriya sahi kahe rahi hai. Aye Sanka devi! Jao,Arnav babua ko nehlaaye do! Aur jaldi karna,sablog aate hi honge! Phir tumhra nahana bhi tau baaki hai Nandkisore!
Arnav: Aap uski chinta mat kijiye buaji,woh main dekh lunga! I mean,sabk aane se pehle hum.. dono ka nahana ho jayega!
Kindly ignore typos n mistakes.Translation on next page.
Edited by Smita.M - 13 years ago
chavvi16 thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail
Posted: 13 years ago
he was missing his mum oh bless
he saw his mother in khushii's bhabhi and him in deepak
well at least lkhushi managed to make him talk and get it out of his system
loved the precap he us so shaana naa
bade hi chaloo hain yeh
cheers for pm
Devilways thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail + 4
Posted: 13 years ago
😳 The precap is awww...
Nice update. Emotional. Thanks for the pm.
farheen75 thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 13 years ago
It was so nice of arnav to ask nani to invite all khushi's family for dinner...he was missing his mum so much that he asked a distant relative of Khushi to make halwa for him and that's a massive change in arnav's personality and a welcome one as well...really love this story,can't wait for the translation and thanx a lot for the pm.
arhi_maneet thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 13 years ago
VERY NICE UPDATE! LIKE ARNAV!
tmowla thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 13 years ago
lol love the flirty precap and arnav...
aww he misses his mom!
its good that he is sharing his pain with khushi...
love their bonding...

thnx 4 d pm
lovearshi01 thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 13 years ago
Superb update
Loved it
Love the precap...continue soon
Amina87 thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 13 years ago
Arnav is soo shameless,
but he is sooo romantic,
i love it!
Awww he is sooo sweet!
Missing mom!
Sooo sweet!
Update soon!
drunkiiebabe thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 13 years ago
superb update
loved it
loved the pre-cap
thanks for the pm
udaymanyata07 thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 13 years ago
👏👏thanks..fabulous...👏👏👏

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: So-So

5 months ago

Trapped Hearts - Arnav & Khushi OS - #PyaarKaTropeFest

One of my entries for Love-O-Rama Pyaar Ka Trope Fest Storyline: Enemies to Lovers Setting: Crime Character/Pairing: Arnav Khushi from IPPKND...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: minakrish

5 months ago

Brewing Confessions ~ Arnav+Geet OS #PyarkaTropefest

Graphic Credits: itsShonali This is one of my entries for the Love-O-Rama #1: Pyar ka Trope-fest Trope: Set A: Best Friend’s Sibling Set B:...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Koeli

5 years ago

Comment Migration Request Thread #1

Hey guys, This is the place where you can request for comment migration. Please know that FFEs are going to migrate your comments. Rules - You...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: heavenlybliss

5 months ago

Pyaar Ka Tropefest - My Series Of 5 Crossover Couple One-Shots

Hello everyone! I will be posting my 5 one-shots over here which I sent in for the Pyaar Ka Trope-fest contest. They are all standalones and...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: minakrish

8 years ago

One Girl. A Hundred Journeys.|Mrina's Index

Hello people, This is me, Mrinalini , aka Mrina or Mina . And here is the Index of my stories. Now it would be easier for you all to find my...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".