Thanks for the likes and comments!Over to..
Part 23
Khushi: Kya hua Arnavji? Aap.. ro.. kyun rahe hain?Bataiyye na?
Arnav pulls her into a hug.
Khushi(scared n shocked): Bataiyye naa..hua kya?
Arnav: I dont want di to go! Khushi,main nahi chahta ki di mujhe chhod kar jaayen!
For a moment Khushi wondered if the man in her arms was indeed Arnav Singh Raizada!
It appeared to be more there was a little boy in her arms,who was crying 'coz he didnt want his sister to go anywhere without him,leaving him alone!
Khushi had an awww..! moment as she kissed her husband's hair.
Khushi(sighs): Toh yeh baat hai! Aapne toh humein daraa hi diya tha!
She wipes his tears.
Arnav(annoyed): Tum smile kyun kar rahi ho?This is serious,dammit!
Khushi: Achcha theek hai,hum nahi muskuraayenge,shaant ho jaiyye!
Arnav looked away.
Khushi: Suniye.. yahaan dekhiye. Hum samaj sakte hain ki aapko kaisa lag raha hoga. Itne saalon tak di aapke saath,humare ghar me rahi hain aur ab.. itni jaldi unka rishta tay ho gaya,sagaai ki tareekh bhi nikal gayi toh.. zaahir si baat hai ki aapko dhakka hai is baat se!Aap shayad iske liye taiyyar nahi the,lekin..
Arnav: Main ab bhi iske liye taiyyar nahi hoon!What non-sense is this?Woh log aise kaise koi bhi date fix kar sakte hain? Engagement ki date fix karne se pehle di ki family ko poochhna toh chahiye tha!
Khushi: Toh unhone poochha hi hoga Arnavji! Aap kyun yeh bhool rahe hain ki naniji,humare parivaar ki sabse badi sadasyaa waheen hain! Unhone naniji se poochha,di se poochha,dono ne ha kar di toh tareekh nikalvaa di!
Arnav: Impossible! Di se unhone poochha hi nahi hoga?! Di itni jaldi is sab k liye prepared kaise ho sakti hain?
Khushi: Haan,ho sakti hain,balki woh taiyyar ho gayi hain,Arnavji! Aap kyun nahi samajh rahe baat ko? Di ne ek baar apna man Rakshitji se jod liya toh woh unke saath apni zindagi bitaane k liye raazi ho gayi! Aur shaadi toh khushi ka mauka hai! Jitni jaldi aa jaay utna achchha!
Arnav tries to say something but Khushi stops him.
Khushi: Di is rishte se bahut khush hain! Aapko di ki khushi me khush hona hoga! Di ne hamesha aapki khushiyon me aapka saath diya hai,aapko badhaai di hain,hain naa?
Arnav nods.
Khushi: Aur unhone aapke gam me bhi aapka saath diya hai. Kal jab aap pareshaan the toh kisne sambhala aapko,di ne hi sambhala naa?Unhone ne hi aapko sahi rasta dikhaya.
She holds his hand.
Khushi: Ab bhai hone k naate yeh aapka farz hai ki aap unki khushi me shaamil rahe! Sochiye toh,di ko pata laga ki aap shaadi ki baat se khush nahi hain toh unhe kitna bura lagega? Unki khushi aadhi ho jayegi agar unke Chhotey unki khushiyon me shaamil na huye..
Arnav: Khushi.. main.. Its not like main unko dobara settle hote huye nahi dekhna chahta. Main toh yeh chahta hoon ki di ki life me phir se khushiyaan aaye!
Khushi: Hum jaante hain. Tab hi toh aapne unke liye sabse achche 4 rishte khud jaanch-parakh kar chune. Ab yeh kismat ki baat hai ki pehle rishtey me hi baat ban gayi!
She gently runs a hand through his hair.
Khushi: Aapko jo.. jaisa mehsus ho raha hai na,woh sirf aapke dar ki wajah se hai.
Arnav: Dar?
Khushi: Ji,dar. Aapko dar hai ki di chali jayengi aapko chhodkar aur aap akele ho jayenge. Par aisa nahi hoga Arnavji! Di aapse phone par sampark me rahengi, teej- tyohaaron par mulaaqat hoti rahegi aapse unki. Aur chahe woh kaheen bhi chali jaay,aap dono ka ek doosre k liye pyaar kam thode hi na ho jayega?
Arnav: Tyohaar pe kyun? Main har Sunday wahan chala jaunga di se milne k liye! Aur di ko bhi bula liya karunga!She can always visit us once in a fortnight!
Khushi: Nahi Arnavji,yeh sahi nahi hoga.Shaadi ho jaane k baad,ladki k maaykewaalon ka itna milna-julna achchha nahi maana jaata! Aur shaayad Rakshitji k parivaar waalon ko achcha naa lage! Aisa karne se aap di ki musibatein badha denge! Aur aap baar-baar jayenge toh di ka sasural me man kaise lagega?
Arnav(shocked): Iska matlab.. main jab mera dil kare tab di se.. mil bhi nahi paaunga?
Now Khushi feels sorry for him.
Khushi: Aisa kyun keh rahe hain? Jab dil kare aap unse phone par baat toh kar paayenge naa?Aur..
Arnav(interrupts): Phone par baat karna is not enough,Khushi! Main.. di ko wedding me laptop gift kar dunga! Taaki main Skype k zariye unko roz dekh paunga aur unse baat bhi ho jayegi.
Khushi(reluctantly): haa.. aap aisa kar sakte hain.. par..
Arnav: Main aisa hi karunga!
Khushi: Theek hai.Toh,ab toh theek lag raha hain naa aapko? ab toh khush hain na aap?
Arnav: I really dont know,Khushi. Ab bhi thoda ajeeb lag raha hai.
Khushi: Koi baat nahi. Woh toh shaadi k thode dino baad tak lagne hi wala hai. Aadat ho jayegi..
Arnav: I guess. Main.. month me ek baar toh di se milne jaa hi sakta hoon na Khushi?
Khushi gives a sad smile as she nods.
Arnav: great!!
She hugs him.
Khushi: Chaliye,ab aap di se baat kar lijiye.Woh aapke phone ka intezaar kar rahi hongi.
Arnav: Ya.. ok.
Khushi(breaking the hug): Aur zara dhyaan rakhiyega,di k saamne roiyyega mat. Apne jazbaaton par qaaboo rakhiyega,hmm?
Arnav nods.
Khushi: Hum yeh lep aur katori rakh kar aate hain,aap kurta pehen lijiye..
Arnav: Kyun?Lep nahi lagaaogi?
Khushi: Humein pata hai aapko yeh pasand nahi hai.Aur.. aapka safed kurta kharab ho jayega. Haldi k nishaan pad jaayenge usme!
As she gets down the bed,Arnav holds her hand.
Khushi: Kya hua?
Arnav shakes his head.
Khushi(confused): Toh roka kyun?
Arnav comes towards her and gives her a quick peck on her lips.
Khushi(blushes): Bas! Baaki sab.. jab Shantivan jaayenge tab kariyega!
Arnav: Hum Shantivan shaam ko jayenge,Khushi. Abhi ghar par guests aaye huye hain,humara jaana sahi nahi lagega.
Khushi: haa,aap keh toh sahi rahe hain.
Arnav(pulling her close): Aur waise bhi,Shantivan jaakar humein jo karna tha woh toh humne kar hi liya!
Khushi: Hatiye!
Arnav kisses her forehead and then leaves her.
Khushi takes her dupatta and drapes it round her neck,covering the lovebite.
Arnav(smirks): Waise yeh dupatta odhne ka naya style kaafi achchha laga mujhe!
Khushi(blushes): Aapko toh achcha lagna hi tha!
Arnav: Shantivan me bhi aise hi odha karo,achchha lagta hai!
Khushi: Yeh sab chhodiye aur di ko phone lagaiyye,hum chale!
She goes out of the room while Arnav calls Anjali from Khushi's mobile.
****
Anjali: Chhotey! Hum aap hi k phone ka intezaar kar rahe the!
Arnav: Good morning,di!
Anjali: Good morning! Aapko.. Chhoti ne bataaya?
Arnav: Ha.. bataaya. Congratulations!
Anjali: Thank u!
Arnav: Aap khush hain naa?
Anjali: Bahut! Aapko pata hai,abhi thodi der baad hum.. Rakshitji k yahaan pooja me jaa rahe hain?
Arnav: Wow.. thats nice! Aap.. Mr. Rakshit ko meri or se hi kehna!
Anjali: Chhotey,ab woh tumhare honewale jijaji hain,unhe Mr. Rakshit kehna band kar do!
Arnav: Ya..
Anjali: Kya baat hai?Tum busy ho kya?
Arnav: Ya di a.. thoda office ka kaam tha. Main.. aapse baad me baat karoon?
Anjali: Theek hai. Apna dhyaan rakhna Chhotey.
Arnav: Aap bhi,di. Aur wahaan jaane k baad mujhe phone kariyega. Main.. Rakshitji se.. unko congratulate karna chahta hoon.
Anjali: Theek hai,hum aapki baat karva denge unse!Ab rakhte hain,bye!
Arnav: bye.
He sighs as he ends the call.
He was still not sure about the wedding,or like Khushi put it,he had still not recovered from the shock.
Arnav(thinks): Mujhe Mr. Roy ko phone kar dena chahiye. Ab toh papers taiyyar karvaane honge.
He realizes his phone is in the living room.
So he wears the kurta and goes to fetch his phone.
****
Arnav is surprised to find no-one in the living room.
He could see Ramaa frying puris in the kitchen and Khushi helping her.
Arnav(thinks): Baaki sab kahaan gaye?Khushi se poochhta hoon.
He is about to go when he stops hearing Ramaa say..
Ramaa: Nandoiji k baare maa ek baat kahe?
Khushi: Haan,kahiye naa bhabhi?
Ramaa: Oo bahut ai.. sundar hain!
Arnav,who was clearly not expecting that compliment,rolls his eyes in response.
Khushi(blushes): So toh hai bhabhi!Aur jitna sundar unka tan hai naa,utna hi sundar unka man bhi hai! Aur utna hi achchha unka svabhaav hai!
Arnav smiles.
Khushi turns to take something,so he hides behind the door.
Ramaa: Svabhaav toh humau ko bahutai pasand aaya ooka! Hum pahile baar oose mile rahe,par kitna jaldi sabse ghul-mil gaye! Bade ghar se hone ka kauno guroor naahi hai!Hum sabk saath aapan paribaar jaise rahe,batiyaye.. Humko bahut achcha laga!
Khushi: Ek waqt tha jab unme bahut guroor tha,par ab woh waqt gaya! Ab unme apne ameer hone ka zara sa bhi ghamand nahi hai!
Ramaa: Hum oo hai sochte the ki itne bade ghar se hai,itna bada kaarobaar hai oo ka,taun ghamandi honge? Ka jaane humri mausiji aur sabke saath kaise pes aate honge?Par mausiji aur buaji se oo ki tareef sunkar tau hum chakit rah gaye! Hum kabhao naahi soche the ki oo itne achchhe,itne saral byakti honge! Aaj oo se milkar man aure prasanna hui gava!
Khushi smiles.
Ramaa: Ek baatwa tau bata,Khusi.Nandoiji tohra dhyaan toh rakhte hain naa?Ki sara bakhat aapan kaarobaar ko hi det hain?
Khushi: Aisa nahi hai,bhabhi. Woh humara bahut khayal rakhte hain!Aur humein kabhi,kisi cheez ki kami nahi hone dete!
Arnav,who is hiding behind the door,smiles as he hears that.
Ramaa: Tohri kismat bahutai achchi hai,Khusi.
She sighs heavily.
Khushi(concerned): Kya hua bhabhi? Bhaiyya aur.. aapke beechh.. sab theek toh hai?
Ramaa: Ha.. theek hi samjho..
Khushi: Bataiyye na bhabhi! Koi baat hai kya?Aap humse keh sakti hain,hum.. amma,bhaiyya,kisise nahi kahenge!
Arnav(thinks): Khushi ko unke private maamlon me padne ki kya zaroorat hai?
Ramaa: Areh Khusi,toh ko ee sab kahe ki kauno jaroorat naahi hai! Ab dekh, jaisan humre liye Sumi aur Suchi hai,waisan hi tu aur Payalia ho! Aur hum aapan nanadiyaan ko saadi k bakhat se hi aapan chhoti bahin k jaisan samjhe hain!
Khushi: Humare liye bhi aap bhabhi kam,jiji zyada hain! Isiliye khulkar bataiyye..
Ramaa: Tohre bhaiyya aapan jyaadatar bakhat dukaan aur dukaan k kaam-kaajan ko det rahe. Saam ko ghar lautne k baad Munna ko padhaavat rahe. Raat k khaane k baad tv dekhat rahe. Aur phir sui jaat hain! Humre liye oo k paas... bakhat hi naahi hai! Waise tau oo aapan jimmedaari badhiya tarah se sambhaale rahe hain,ee sochkar hum khus hain,par.. ee lagta hai ki humri bhaavnao ka kaa?
Khushi keeps a hand on her shoulder.
Ramaa: Humre prati aapan jimmedaari tau oo nibhaaye rahe par.. prem ka kaa? Prem..
She stops when hears Deepak's voice.
Deepak(entering the kitchen): amma..
Ramaa: Kaa baat hai Munna?
Deepak: Aur poori chahiye..
Khushi: Yahaan aao,hum dete hain!
DeepaK: Buaji,phuphaji kaa kar rahe hain?
Khushi: Phuphaji aaram kar rahe hain beta.
Deepak: Kab tak aaram karenge. Humein unse batiyana hai,unke saath khelna hai!
Ramaa: Aye Munna,phuphaji ko paresaan na karo! Oo ki tabiyat theek naahi hai, oo ka aaram karne do. Tum jao na chhat par,sabke saath baitho,nasta karo aur Seemu k saath khela khelo! Oo.. ka kahat hai?Jaun laaye ho saath me?
Deepak: Oo puzzle tau train maa hi banaye liye,amma. Kitna baar ek hi cheez se khele?
Ramaa: Ek kaam karo,aapan papa se kaho,naasta kare k baad tumko kaheen aas-paas ghuma laaye,hain?
Deepak: Theek hai.
Khushi: Jao,yeh pooriyan le jao.Hum rasoi ka kaam kar le,phir hum tumhare aur Seema k saath khelenge,theek hai?
Deepak: Aur phuphaji?
Khushi: Unse bhi kahenge.Agar unki tabiyat achchhi rahi,toh woh bhi khelenge. Ab jao,varna pooriyan thandi ho jayengi!
Deepak: Theek hai!
He leaves.
Arnav(thinks):Ab jab main yahaan hoon toh mujhe Khushi ki family k saath time spend karna chahiye.
He decides to go to the kitchen.
****
Arnav: Khushi..?
Khushi: Di se baat ho gayi?
Arnav: Ha,ho gayi. a.. breakfast?
Ramaa: Khane k table par baithiye hum paros det hain!
Arnav: Nahi bhabhi,main sab k saath breakfast karunga.Sab.. kahaan hain?
Ramaa n Khushi r pleasantly surprised to hear that.
Khushi: woh log toh.. chhat par gaye hain.
Arnav: Fine.Toh tum bhi chhat par chalo. Hum.. waheen breakfast kar lenge, sab k saath.
Khushi:Ji,theek hai,chaliye.Bhabhi hum..?
Ramaa: Ha,ha tu ja.Hum rasoi ka kaam dekh lenge! Mausiji ko neeche bhej dena, oose poochhna hai ki dopeher k bhojan maa kaa banega,hain?
Khushi: Ji,bhejte hain.Aur.. humari baat abhi baaki hai,hum baad me karenge.
Ramaa: Ha,ha.Abhai nandoiji raah dekhat rahe hain,tu oo k saath ja.Le.. nasta. a.. nandoiji,kauno cheej ki jaroorat hau tau bataiyyega..
Arnav: Sure bhabhiji,thank u! Excuse us.. Chalo Khushi.
She holds the plate full of food and takes Arnav to the terrace.
****
Kindly ignore typos n mistakes.PMs later.Translation will b up by tonight.
NOTE: I will b updating only on Saturdays now,due to personal commitments. Hope u all understand.
10