Originally posted by: golu_1677
today is Sunday... any chance of an update today???????
Yes...just preparing it dear 😳
Bigg Boss 19 - Daily Discussion Topic - 5th Oct 2025 - WKV
Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread- 6th Oct 2025.
GEETUs DEATH 6.10
Truth, lies and delusions of Geetanjali - A tribute from Gen4 pankhas
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Oct 6, 2025 Episode Discussion Thread
5 MONTHS LEAP 7.10
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Oct. 7, 2025 Episode Discussion Thread
What a joke this is!
♧Bigg Boss 9 Discussion Thread♧
Kyunki Saas Bhi Kabhi Bahu Thi 2: EDT # 3
Armaan Drove G2 towards death (metaphorically)
Baby girl it is 🩷 - Sshura Khan and Arbaaz are proud parents.
Parivaar Ki Izzat!!!
Bring her in Gen 5
SO mihir wants to leave Tulsi
Was Kajol over the top in Dushman? What a ridiculous movie
Sunday Dhamaka: Who's the better dancer? Madonna, Shahid, or Hrithik?
Anupamaa 05 - 06 Oct 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Like/Dislike/Neutral Week 6
Originally posted by: golu_1677
today is Sunday... any chance of an update today???????
Riddhima: - "Tum yahan kya kar rahe ho?"
Armaan: - "Excuse me; yeh mera ghar hai aur tum mujhse pooch rahi ho ki mein yahan kya kar raha hoon...Tum yahan kya kar rahi ho...I m sure, phir se kuch dekhti dehi hamare ghar me ghoos aayi ho..."
Riddhima: - "Tum samajhte kya ho apne aap ko..mein aisi hi kisi ke ghar me nahin jati..."
Armaan: - "Toh phir yahan kaise aa gayi..."
Kashish jo ab tak inhe bas dekhe ja rahi thi, armaan ko rokte hue boli: - "Armaan, behave ur self. Yeh Riddhima hai; Mayank ki cousin."
Armaan: - "What?"
Kashish: - "Haan, ab chalo say sorry to her for ur behaviour."
Armaan: - "No way Kashish, mein isse to sorry nahin bolunga."
Riddhima: - "What do u mean by that?"
Armaan: - "Are tum Jaisi stupid ladki se mein sorry nahin bolunga."
Riddhima kuch bole, usse pehle Kashish boli: - "Armaan, mene kaha na ki behave urself...aur ab bina kuch aur bole Riddhima se sorry kaho..."
Armaan: - "I am Sorry."
Riddhima: - "Its alrite..." She said making a face.
Kashish: - "Armaan, tum jao aur khana khao, aur Riddhima tum mere saath aao."
Armaan nodded and leave; while Riddhima just smiled at her and then followed her to her room. Kashish gave her a dress to wear.
Riddhima: - "Di, mein yeh kaise?"
Kashish: - "Dont worry, it's a new one. You can wear it."
Riddhima just nodded and goes in the washroom to change her dress.
She came back in 5 mins, and then both of them left for dinning room again.
Riddhima: - "Di, aapko bura nahin laga ki Sujal bhaiya yahan nahin aaye aur wahiin par ruk gaye." Usne yeh sab ek umeed ke saath pocha.
Kashish: - "Nahin Riddhima, mujhe bura kyun lagega. Wo job hi kar raha hai apni zindagi ke liye kar raha hai. Mujhe kya problem hogi isse...Ab chalo sab wait kar rahe honge."
Riddhima bahut hi shocked hui, yeh sun kar...aur kuch pal ke liye vahiin ruk gayi.
Kashish piche aayi aur Riddhima ko bulaya.
Kashish: - "Tum yahan aise kyun ruk gayi, chalo bhi."
Riddhima ne bas halke se sar hila diya aur Kashish ke peeche peeche aa gayi.
Dosari taraf Sujal ek restaurant me bhetha hai, bahut hi gehri soch me duba hua hai.
"Sir Order..." Waiter ne poocha.
Sujal ne order diya aur phir gehri soch me doob gaya.
FLASHBACK: -
12 saal pehle ki baat hai; Sujal apne room me padhai kar raha tha ki kashish room me aayi; aur aate hi room me zor zor se music laga diya.
Sujal: - "Kashish me padh raha hoon."
Kashish: - "To kya hua...ab bhi padh lo.."
Sujal: - "Itne shor me mein kaise padh sakta hoon..."
Kashish: - "Sujal tum mujhe ek baat batao?"
Sujal: - "Haan pocho.."
Kashish: - "Tum itne boring kyun ho?"
Sujal: - "Mein boring nahin hoon Kashish..."
Kashish: - "TUm ho, khood hi dekho; tum hamesha padhte rehte ho."
Sujal: - "Is mein boring kya hai?"
Kashish: - "Pehle meri baat suno...tum hamesha padhte rehte ho, na bahar jate ho zyada; aur music se tumhe problem hai..." Us ne chilate hue kaha.
Sujal: - "Kashish dheere bolo, aur mujhe padhne do..."
Kashish: - "Dekha mene kaha tha..."
Sujal: - "Kya???" Usne irritate hote hue Kaha.
Kashish: - "Yehi ki tum boring ho..." Usne chilate hue kaha aur yehi bolte bolte wo wahan se chali gayi.
FLASHBACK ENDS.
Sujal ki aankhon me ek dard tha, apni Kashish ko us halat me dekh kar.
"Jo kashish zinagadi se bhari hui thi, aaj wo hi itni mayoos ho gayi hai, pata nahin kaise sambhal paunga usse, bas ek hi dua hai ki meri kashish bilkul pehle jaisi ban jaye."
Sujal ne apni aankhen band kar li, kuch der baad uska khana aaya aur wo khana khane laga.
Dosari taraf sab log khana kha chuke the aur chalne ke liye ready the.
Sushant: - "Aap log aur thodi der ruk kyun nahin jate beta?"
Nandini: - "Haan..thodhe time ke liye ruk jaiye..."
Riddhima: - "Aunty hum zaroor ruk jate, par bhaiya hamari wait kar rahe honge." Usne galti se bol diya; Sab log shock hue yeh sun kar.
Sushant: - "Kya matlab aapka beta?" Usne hairangi se poocha.
Samrat: - "Wo Di ka matlab hai ki ja kar Bhaiya se raat ko baat karni hai hum sab ne. Kyun Mayank bhaiya?"
Mayank: - "Wo kya hai na Uncle, bhaiya ne bola tha ki hum log unhe bataye ki aap logon ko gifts kaise lage..."
Sushant: - "Oh..that's so sweet of him. Aap unhe kahiyega ki humhe gifts bahut acha lage and Thank u very much to him."
Samrat: - "Sure Uncle, hum unhe bol denge. Ab um chalte hain..."
Sushant: - "Ok Beta.." He said with a smile.
Samrat meet everyone and stand in front of Gunjan.
Samrat: - "Just wait and watch ki ab mein tumhe tumhare sapno se kaise milwata hoon." And he winked.
Gunjan: - "Thanks Samrat...Mein tumhari wait karungi."
Samrat: - "Mein jaldi aaunga."
Dosari taraf...Mayank was just going outside, when Nupur hold his hand.
Mayank: - "Kya hai Nupur???"
Nupur: - "Bas itna bolna tha ki jaldi aana..woh kya hai na, tumhe tang kiye hue bahut din ho gaye; ab toh bas college ja kar tumhari band bajani hai.."
Mayank: - "Nupur..."
Nupur: - "Are mazak kar rahi hoon yaar..."
Mayank just shake his head and around after 5 mins, everyone left from there; but before leaving...Riddhima gave one helpless look to Kashish, which she was not able to understand.
Sab log andar aate hain; aur Kashish apne room me ja rahi hoti hai, jab Sushant usse rokta hai.
Sushant: - "Kashish ruko?"
Kashish: - "Kya hua Dad?"
Sushant: - "Mene tumhe kaha tha ki ghar time par aa jana, par tum aaj phir se late thi..pooch sakta hoon kyun?"
Kashish: - "Wo dad time ka pata nahin chala...dhyaan nahin tha mera..."
Sushant: - "Wohi to problem hai na Kashish tumhara dhyaan hi nahin hota."
Nandini: - "Rehne di jjiye na, ho jati hai der..." Usne baat ko sambhalne ki koshish ki.
Sushant: - "Tumse nahin poocha mene Nandini...me Kashish se baat kar raha hoon..."
Nandini chup kar gayi aur phir Kashish boli.
Kashish: - "Wo dad..m sorry...aage se aisa nahin hoga."
Sushant: - "Mujhe koi reason nahin chahiye Kashish, warning de raha hoon bas, ek baar phir se tumhe meri koi bhi baat ignore ki, mein tumhe Australia bheej dunga..."
Kashish: - "Dad...aap yeh kya bol rahe hain..."
Sushant: - "Theek keh raha hoon..ab jao apne room mein..."
Kashish apne room me chali gayi, aur Nupur aayi apni dad ke pass.
Nupur: - "Papa, please shant ho jaiye na...please Di aage se aisa kuch nahin karengi; par please aap aise mat boliye..please dad..."
Sushant: - "Theek hai Nupur, par mein nahin chahta ki jab wo sab log yahan aa jaye..to Kashish kuch bhi aisa kare jisse uski aur Sujal ki shaadi me koi bhi problem aaye..."
Nupur: - "Ji Dad...aisa kuch nahin hoga...I promise.."
Sushant: - "Theek hai..." Itna keh kar woh wahan se chala gaya.
Sab udaas the yeh sab sun kar aur hairaan bhi, ek baat to sab jante the ki Sushant kisi bhi tarah Kashish aur Sujal ki shaadi karwana chahta hai, par wo aise react karega, yeh kisi ne na socha tha.
On the other side, Mayank, Samrat and Riddhima reach the restaurant where Sujal was present; he has just finished his food when they all came and sat with him.
Sujal: - "So Guys, kaisa raha?"
Mayank: - "Poochiye mat bhaiya...Riddhima di ne to phasa diya hota..."
Riddhima: - "Galti se ho gaya tha Mayank..." She said making a face.
Sujal: - "Are par hua kya?"
Samrat: - "Kuch nahin bhaiya, Di ne vahan bol diya ki aap hamara wait kar rahe ho..."
Sujal: - "Kya?"
Riddhima: - "Bhai galti se ho gaya na..." She said...
Sujal: - "Its ok...ho jata hai..but baki sab kaisa raha?"
Samrat: - "Mujhe to vahan comfortable nahin lag raha tha bhaiya...I mean uncle baar baar beta beta kar rahe the; I feel so confused."
Mayank: - "Uncle aise hi behave karte hain...Is me confuse hone wali koi baat nahin hai."
Sujal: - "Haan sam, is me confuse hone wali koi baat nahin hai..."
Samrat: - "Jo bhi ho bhaiya, Mujhe acha nahin laga.."
Sujal: - "Ok..theek hai...tum batao Riddhima..tumhe kaisa laga?"
Ridddhima: - "Its a different kind of feeling Bhai...I mean Uncle ajeeb hai...aunty bahut caring hain...and Nupur-Gunjan bahut hi zyada sweet hai..."
Sujal: - "Good...chalo ab chale yan phir yahiin rukna hai..." He noticed that Riddhima didn't tell him anything about Kashish..but he thought..he will talk about it later.
Samrat: - "Chalo Bhaiya..vaise bhi I am feeling tired now...Bas jaldi se ghar pohanch jayen...phir I want to have some sleep..."
Sujal: - "Haan...Chal."
They all leave the place and around after one hour, they were leaving for Delhi.
On the other hand in Kashish's home, everyone is shocked to see Sushant behaving like this. Nandini thought to talk with him. So, she goes in the study room to talk with him.
Nandini entering the study room: - "Mujhe aapse kuch baat karni hai?"
Sushant: - "Agar tum aaj ke bare me baat karna chahti ho...to mujhe koi baat nahin karni..I am not at all interested."
Nandini: - "lekin; kyun nahin Sushant?"
Sushant: - "Me tumhe koi bhi jawab dena zarori nahin samajhta Nandini..."
Nandini: - "Jaan sakti hoon Kyun...tum hamesha hi aise behave karte ho...aaj Kashish ki galti kyat hi, thodha late hi to hui thi na..."
Sushant: - "Kashish ki to tum baat hi mat karo...usne yeh soch rakha hai ki mein jo usse kahunga wo bilkul uska opposite hi karegi...Me bas uski shaadi Sujal se karana chahta hoon..."
Nandini: - "Aur aisa kyun chahte hain aap?"
Sushant: - "Tanki mera aur Sanjeev ka buisnees mil kar is desh ka sabse badha empire ban sake...jaan liya sab, ab tum ja sakti ho..."
Nandini leaves the place with a heavy heart...and Sushant continues with his work.
On the other hand, everyone in the house is hoping best for their future.
Nupur ' wo soch rahi thi ki aaj jo usne promise apne papa se kiya hai wo usse nibha paye...kyunki wo janti hai ki agar Kashish is ghar se door ho gayi to wo un sab se bhi door chali jayegi, aur koi rasta nahin hoga jisse wo unke pass vaapis aa sake...
Gunjan ' wo pareshaan thi in sab ko le kar...usse yeh sab ladhai jhagde bilkul pasand nahin hai...wo hamesha se in sab se door rehna chahti thi, par aaj kal yehi sab hota hai us ghar mein. Wo bas chahti thi ki yeh sab ban ho jaye us ghar me...
Aur dosari taraf flight me...
Riddhima ' Wo soch rahi thi ki Sujal ko bataye na na bataye Kashish ke bare me...abhi to wo Sujal se zyada baat karna avoid kar rahi hai...par wo to janti hai ki ghar ja ke Sujal usse pochega zaroor aur tab uske pass usse answer karne ke ilava aur koi rasta nahin hoga.
Sujal ' wo bas soch raha hai sab ke bare me...jo bhi Samrat ne kaha aur jo Riddhima ne nahin kaha...abhi ke liye wo bas chup hai...kyunki wo ab karega...kuch bolega nahin...
Here, Armaan was in his room thinking about the day, when Kashish came in...
Armaan: - "Kashish...mujhe aapse baat nahin karni...aapne aaj mujhe us stupid ko sorry kehne ko bola..."
Kashish: - "Arman, galti tumhari thi...hamare ghar pe aayi thi wo..isliye tumhe aise behave nahin karna chahiye tha..."
Armaan: - "galti uski thi..."
Kashish: - "Galti jiski marjhi ho Armaan..tum mere bhai ho to mein to tumhe hi bolungi na...agar tumhe bura laga to m sorry.."
Armaan: - "Tumhe sorry bolne ki zarorat nahin hai...its ok.."
Kashish: - "Yeh hui na mere bhai wali baat..."
Armaan: - "Ab batao, yahan kaise aana hua?"
Kashish: - "Wo mein tumhe yeh dene aayi thi..." She said pointing at the packet in her hand.
Armaan: - "Yeh kya hai?" He said taking the packet in his hand.
Kashish: - "Wo aaj Mayank aur sab aaye the na, to wo sab ke liye gifts laye the...bol rahe the ki Sujal ne bheje hain..aur yeh tumhre liye hain."
Armaan: - "par mere liye kyun? Mein to unhe janta bhi nahin..." He said making a confused face.
Kashish: - "Mayank bata raha tha ki usne Sujal ko tumhare bare me bataya tha...isliye shayad usne bheej diya ho.."
Armaan: - "Interesting..."
Kashish: - "Acha, ab mein chalti hoon..thodha kaam hai.."
Armaan nodded and she left the room.
Armaan bas aise hi bed me ja kar late gaya...sochte hue sab kuch...usne gift nikala aur usse dekhne laga.. "Choice achi hai..." Yeh aaya uske dimaag mein...phir sichne laga...Sujal...Sujal...Sujal..yehi chal raha tha uske dimaag mein.
Tabhi uske dimaag mein college wala scene aaya jab Riddhima aur wo jhagda kar rahe the...
Sujal: - "Riddhima, chalo ab humhe chalna chahiye..."
Riddhima: - "Theek hai Sujal Bhaiya, Aap chliye mein aati hoon.." Usne Sujal se kaha aur phir Armaan se: - "Tumhe to mein dekh lungi."
Armaan: - "OMG...mere dimaag mein pehle kyun nahin aaya yeh...dopahar me us basketball ke court ke pass us Riddhima ne us ladke ko Sujal Bhaiya bulaya tha...phir aaj jane ke time usne kaha ki bhaiya hamara wait kar rahe honge...Kuch to gadbad hai...I am sure...Ja kar Kashish se baat karta hoon..."
Armaan apne room se bahar ja hi raha tha ki achanak ruk gaya...
"Agar Sujal ne yahan aa kar bhi Australia me rehne ki baat ki hai aur uski poori family ismein usse support kar rahi hai to I think mujhe Kashish se baat nahin karni chahiye. Mujhe wait karni chahiye bas 2 hafte hi to hai..." Usne socha aur phir araam se apne bed par aa kar so gaya is umeed ke saath ki jo hoga acha hi hoga.
Now, at Singhania's Place...dinner time
Sujal, Mayank, Samrat aur Riddhima bahut zyada thake hue the isliye aaj dinner table par koi masti nahin ho rahi thi, sab chup chap khana kha rahe the.
Sanjeev: - "Ragini, Dinner table par itni shanti ajeeb lagti thi na..."
Ragini: - "Haan, aaj sab thake hue hain na isliye shant hain.."
Samrat: - "Kya mom dad..aap kyun hamari tang khich rahe ho..."
Sanjeev: - "Are aur kare bhi to kya; tumhare hote hue itni shanty dekhne ki aadat nahin hai na.."
Samrat: - "Bhaiya..."
Ragini: - "Kya bhiay bhaiya, laga rakhi hai..wo bhi humhe yeh karne se rok nahin sakta...kyun Sujal?"
Sujal: - "Bilkul theek kaha maa aapne, par aaj rehne dijiye, bechara sach me bhut thaka hua hai..."
Sanjeev: - "Theek hai, tum sab jaldi khana khao, aur ja kar so jao.."
Samrat: - "Thanks Dad..."
Sab log shanti se dinner karte haina ur phir araam se sone chale jate hain...
Jaisa armaan ne kaha tha ki 2 hafte to bas aise hi nikal gaye; aur aaj sab log Mumbai mein aa chuke hain. Riddhima apne ghar me reh rahi hai. Mayank, Samrat aur Sujal hostel me hain. Samrat chahta tha ki wo mayanka ur Sujal ek hi room me rahe, aur Sujal en kisi vajah se dosara room liya, to ab Samrat aur Mayank ek room me hain, aur Sujal unke saath wale room me... Abhi to akela hai, uska room-mate abhi aaya nahin. Aur abhi tak wo aur Mayank Samrat ka saman settle karne me busy hai kyunki wo janab to chale gaye gunjan se milne; aur kaam karne ke liye the na Sujal aur Mayank.
Mayank: - "Bhaiya, Mujhe lagta hai ki humhe mom ki baat manani chahiye thi..."
Sujal: - "Kaun si baat Mayank?"
Mayank: - "Yehi bhaiya, ki Samrat ko yahan lana nahin chahiye tha."
Sujal has padha: - "Tumhe kya lagta hi hum kehte aur Samrat ruk jata...agar wo yahan nahin aata to wo humhe bhi yahan nahin aane deta."
Mayank: - "Yeh bhi bilkul theek kaha bhaiya..."
Sujal: - "Chalo ab almost sab ho hi gaya...ab dekhna ki yeh padhai bhi akre..bas apni chasmish ke peeche hi na bhagta rahe..."
Mayank: - "Wo dekhna ab aapka kaam hai bhaiya...samrat ko padhana bhi aur mujhe bhi...isliye ab hum dono ki responsibility aapki..."
Sujal: - "Theek hai ji, ab aap sab ki responsibility meri..." Usne haste hue kaha...
Mayank: - "Bhaiya, bhook bahut lagi hai aur dinner ka time bhi ho chukka hai...pata nahin yeh sam kahan reh gaya..."
Sujal: - "Haan baat to sahi hai, usse call karo aur pocho ki wo is waqt kahan hai...agar wo late hone wala hai to hum dinner kar lete hain..."
Sujal ne bas itna kaha hi tha ki Samrat room me aa gaya yeh kehte hue: - "Sochna bhi mat bhaiya ki hum aapko hamare bina khana khane denge..."
Mayank: - "Aa gaye aap janab...humne to laga tha ki aap kal subah hi apne darshan denge humhe."
Samrat: - "Hona to aisa hi tha. Par humhe aap logon par taras aa gaya isliye hum aapko darshan dene chale aaye..."
Mayank: - "Chal ab natak band kar...aur khana khane chal..."
Samrat: - "Kisi ko kahiin jane ki zarorat nahin hai, khana hum le kar aaye hain..."
Sujal: - "Tum kahan se le aaye.."
Samrat: - "Wo Nandini aunty ne bheja tha...hum sab logon ek liye...wo nahin chahti thi ki hum aaj mess ka khana khaye..."
Sujal: - "Thats grt.."
Mayank: - "haan bahut acha hai, par ab hum khana khaye kya...bahut bhook lagi hai..."
Sujal: - "Chalo khana kha lete hain..."
Aur sab log lag gaye khana khane...full masti ke saath...aur phir thodhi der baad sab log so gaye...
Next morning...
Sujal, Mayank aur Samrat college pohanch gaye the...Wait kar rahe the Riddhima ka...thodhi der baad wo aayi, aur sab chale gaye andar...
Riddhima: - "Bhai aaj kya karne ka irada hai?"
Sujal: - "Kuch khaas nahin, bas thodha sa pareshaan karne ka irada hai."
Mayank: - "Wo kaise bhaiya?"
Sujal: - "Bas dekhte hain; chalo pehle hum apna schedule check kar lete hain..schedule pass hoga tabhi to classes attend karenge."
Sam: - "Ok...Bhai..."
Aur sab gaye apna apna schedule lene...Sujal aur Riddhima ka 1st hour free tha aur baki Mayanka ur Samrat dono ke lecs the...isliye wo dono gaye apni classes ke liye, aur Sujal-riddhima ruk gaye vahiin...
Riddhima: - "Bhai, ab kya Karen?"
Sujal: - "Pata nahin, abhi mein ja raha hoon Garden mein...kashish se pehli mulaqatkarne...aur tum batao tum kya karne wali ho..."
Riddhima: -"Mein yahiin wait karungi...Kashish di aayengi to mein aapko bata dungi..."
Sujal: - "Theek hai..baad me milte hain..."
Riddhima nodded and Sujal left the place. While on the other side, Riddhima waited there for sometime; when she spotted Kashish coming in the college with Armaan; and she sent a message to Sujal saying that she has arrived. While Armaan came to check the schedule, Kashish just went in the direction of garden.
Armaan came to Riddhima and said: - "Hi...How r u?"
Riddhima was just shocked to see him like that: - "M good...hows u?"
Armaan: -"Hmm...just fine...Mein schedule le kar aata hoon..." and he left from there.
On the other side, Sujal was sitting on the same place where he has spotted Kashish sitting there that day...Kashish saw someone sitting at her fav place and became angry...
Kashish: - "Tum kaun ho aur yahan kya kar rahe ho?"
A N A R H I F F ---- Iss Darr Ko Kya Naam Doon Summary: Khushi is an internet famous 27 year old fashion designer from Lucknow. She has a chirpy...
Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...
41