Aazma'aish FF - SK, AR, MN, SG Update Part-5 Pg-11 - Page 5

Created

Last reply

Replies

85

Views

7.5k

Users

18

Likes

204

Frequent Posters

golu_1677 thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 14 years ago
#41
pls pls pls try n cont soon...
RadhaKrishan thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 14 years ago
#42

Originally posted by: pinky901

welcum back

nice to see the story again.
the new part is all gud.luv each n evry individual and bonding b/w each of them.lov the relationship u wanna show..
thanks for pm..cont soon
thanks for giving me sum credit but i jus only request u so thanks to u becuz u heard my request n follow it too
tc



Thank u so much Priya...I am really glad that u liked the part and the bonding between the characters. and the credit goes to u for sure...U have always encouraged me...thanks a lot dear...
RadhaKrishan thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 14 years ago
#43

Originally posted by: preety88

awesome cs and updates..add me to ur pm list...cont soon



Thank u so much Dear..will add u in the list...
RadhaKrishan thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 14 years ago
#44

Originally posted by: zenia

thanks a lot for cuming back dear...

loved this ff...
i luv u for this...
plz do continue this...sweety...



Aww...u r most welcome Dear...I am really happy that u love this Fic...Thank u so very much!!! Just posting the next part now...
RadhaKrishan thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 14 years ago
#45

Originally posted by: golu_1677

dear wen wl u update...



Originally posted by: golu_1677

pls try n cont soon ...



Originally posted by: golu_1677

pls pls pls try n cont soon...



Just updating now!!!
RadhaKrishan thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 14 years ago
#46
Part - 4

The scene starts from airport where Riddhima, Samrat, Mayank and Sujal all are standing and are waiting for the announcement of their flight. As the announcement takes place, they all went for boarding the flight and almost half an hour later, they all were present in the flight...Sab saath to the lekin dimaag mein ek alag si hulchul thi. Sujal soch raha tha ki kya hoga aaj uska saath; kya wo aaj kashish ko mil payega, aur agar haan to kya kahega usse, kaise baat karega usse. Mayank..wo to kuch samajh nahin pa raha tha, khush to wo tha kyunki aaj wo Nupur se mil raha tha par yeh soch kar pareshaan tha ki uska reaction kya hoga; aur Samrat wo to bas yehi soch raha tha ki kaise kaise gunjan ko pareshaan karega. Reh gayi thi to bas Riddhima – jo yeh samajh nahin pa rahi thi ki in sab ke beech me uska kya hoga. Aisi hi kuch baatein sochte sochte sab log Mumbai pohanche.

Airport ke bhar aate hi.

Samrat: - "Ab hum College kaise jayenge..."

Sujal: - "Sam, Tumne kabhi Taxi's ka naam suna hai, hum ussi se college jayenge."

Riddhima: - "Nahin bhaiya, uski koi zarorat nahin padegi, mene subah hi ghar pe phone karke cars bhejne ke liye bol diya tha."

Mayank: - "phir to aapko bhi ghar jana padega Di."

Riddhima: - "Nahin, uski zarorat nahin padegi, mom dad yahan nahin hai...they r out of station...so, koi kuch nahin puchega.."

Samrat: - "Are, agar aisi baat hai to jaldi kijiye na, mujhe chasmish se bhi milna hai."

Sujal: - "Kabhi kabhi mujhe lagta hai ki kahiin tu apni shasmish se pyaar toh nahin karta."

Samrat: - "Bhai...kya aap bhi...agar aap kashish di se pyaar karte hain to iska matlab yeh nahin ki mein bhi Chasmish se utna hi pyaar karta hoon...kuch bhi sochte rehte hain...Riddhima Di, dekhiye ki cars aayi ya nahin..."Usne Riddhima ko khichte hue bola: - "Chaliye na DI...hum late ho jayega...chalo na..."

Mayank: - "Chori pakde jane par chor bhi kuch aise hi react karte hai na bhai..."

Sujal: - 'Haan Bilkul, aur mujhe yaad hai shopping mall me kal tum bhi aise hi behave kar rahe the." He said winking at Mayank and now, it was his turn.

Mayank: - "Kya bhai, aap bhi kya bol rahe ho...mein dekhta hoon Sam aur Di kahan reh gaye."

Jaldi jaldi me Mayank bhi vahan se bhaag gaya...Sujal ne dheere se bola: - "In dono ka kuch nahin ho sakta..."

Bahar ja kar dekhta hai ki Mayank aur Samrat dono ek ghadi me ghusne ki koshish kar rahe hain; jitni jaldi ho sake utni...Sujal ne yeh sab dekha aur aaya unke pass.

Sujal: - "TUm dono na kabhi nahin sudharne wale, aisa karo Mayank tum Riddhima ke saath jao aur Samrat tum mere saath aao..."

Mayank aur Samrat dono ek saath chike: - "Nahin.."

Mayank: - "Hum saath me challenge Bhai...aap Di ke saath aao...Theek hai na Samrat..."

Samrat: - "Ji Bhaiya, chaliye...aap pehle bhetho."

Sujal: - "R u sure Sam?"

Samrat: - "Ji Bhaiya...sure kya pakka sure...Chalo na Bhaiya.." Usne Mayank se kaha aur dono car me bheth kar chale gaye...

Udhar Sujal to has raha tha par Riddhima bas hairani se sab dekhr ahi thi...

Riddhima: - "Bhai, yeh aapne kaise kiya?"

Sujal ne haste hue kaha: - "Andar bheth, phir batata hoon."

Sujal aur Riddhima car me bhethe aur Sujal ne sab bataya Riddhima ko...Riddhima bas hase ja rahi thi.

Riddhima: - "Bhai, aap yeh sab kise kar lete hain..."

Sujal: - "Un dono ko mujhse behtar koi nahin janta Ridz, isliye to mein uska fyada utha leta hoon kabhi kabhi..." he said winking at her.

Riddhima: - "Bhai, aap na bahut shaitaan ho..."

Sujal: - "Acha???"

Riddhima: - "Aur nahin to kya, becharo ko itna pareshaan kar diya..."

Sujal: - "Issi me to zindagi ka mazza hai na, chahe job hi ho jaye, in lamho ko jee lena chahiye."

Riddhima: - "Bilkul theek kaha...par ab bataiye ki yeh sab gifts ghar tak kaise pochenge."

Sujal: - "Tum sab le kar jaoge..."

Riddhima: - "Aur wo kaise?"

Sujal: - "Abhi batata hoon..." Yeh keh kar Sujal ne apna Phone nikala; aur Mayank ko call ki aur usse kuch kaha...Phir wo Riddhima se baat karne lag gaya.

Dosari taraf: -

Samrat: - "Kya kaha bhaiya ne?"

Mayank: - "Kuch nahin, bas wo keh rahe the ki mein Nupur ko phone karke bata doon ki hum sab lunch tak unke ghar jayenge."

Samrat: - "Theek hai to bata dijiye na..."

Mayank: - "Nupur ko phone karna itna asaan hai kya? Pehle hazaar sawal pochegi aur phir ja kar meri baat sunegi."

Samrat: - "Kya bhaiya, aap Di se kitna darte ho..."

Mayank: - "Darta nahin hoon mein, wo to mein basss..."

Samrat: - "Haan haan aap darte kahan hain; chaliye ab phone kar do..."

Mayank ne phone kiya, aur jaisa usne socha tha viasa hi hua..

Nupur: - "Kya baat hai ji, aaj aapko hamari yaad kaise aa gayi..."

Mayank kuch bol pata usse pehle hi Samrat zor zor se hasne laga aur Mayank becahara usse kuch bol hi nahin paya...

Nupur: - "Are, kabhi to tum bolte hi nahin ho aur kabhi tum itna haste ho.."

Mayank: - "Wo mein nahin Samrat tha..."

Nupur: - "Ok...par meri sawal ka jawab nahin diya..."

Mayank: - "Kaunsa sawal..."

Nupur: - "yehi ki aaj aapko hamari yaad kaise aa gayi Mayank Jiii..."

Mayank: - "Nupur please..."

Nupur: - "Sorry sorry, wo kya hai na jab tum sharmate ho na to kuch zyada hi pyaare lagte ho.."

Mayank ka fce ab tak laal ho chukka tha...Mayank: - "Please.."

Nupur: - "acha theek hai, batao phone kaise kiya?"

Mayank: - "Wo mein batana chahta tha ki hum log aaj Mumbai mein hain; too..."

Nupur: - "Kya, tum yahan ho, aur stupid idiot tumne itni late bataya mujhe..."

Mayank: - "Tum mujhe kuch bolne bhi dogi kya?"

Nupur: - "Haan sorry, theek hai bolo; ab mein kuch nahin bolungi." She said making an angry face.

Mayank: - "Theek hai, ab suno – Mein Mayank aur Riddhima Di aaj Mumbai aaye hain Samrat aur Riddhima di ki admission ke liye; to abhi hum college ja rahe hain, isliye dopahar tak ghar aayenge, aur sham ko vaapis chale jayenge. Theek hai..." Par dosari taraf se koi reply nahin aaya.. "Hello Nupur, sun rahi ho na?"

Nupur: - "Are khood hi to bolte ho ki mein tumhe bolne nahin deti, aur jab mein chup rehti ho tab bhi tumhe problem hai.."

Mayank: - "Tumhara kuch nahin ho sata, Uncle Aunty ka bata dena..Byeee..."

Nupur: - "Are meri baat to ..."Par Mayank ne pehle hi phone cut kar diya.

Mayank: - "Kya pagal ladki hai...kisi din mujhe bhi pagal kar degi..." Yeh keh kar wo Samrat ki taraf dekhta hai; par Samrat us time tak I-pod se songs sun raha tha.

Nupur: - "Hayyyeee, kitni sharmata hai yeh budhu..."

Yeh keh kar bhaagi wo neeche, apne mom-dad se baat karne.

Nupur: - "Mammma...Mammma...kahan ho aap?"

Nandini (kitchen se bahar aate hue): - Kya hua Nupur? Kyun subah – subah chilla rahi hai?"

Sushant: - "Haan Nupur beta, kya hua aapko subah sibah?"

Nupur: - "Wo papa baat hai ki wo na aaj Mayank, Samrat aur apni behen ke saath yahan aa aha hai?"

Nandini: - "Kya, lekin kab?"

Nupur: - "Usne bola ki dopahar tak pohanch jayega."

Sushant: - "Par yeh achanak kyun?...Sanjeev ne bhi kuch nahin bataya?"

Nupur: - "Wo Samrat aur apni di ke saath yahan admission lene aaya hai."

Sushant: - "Di...lekhin sanjeev ki to koi beti hi nahin hai?"

Nandini: - "wo ragini ki behen ki beti hai Riddhima...Sinha's ki beti..."

Sushant: - "alrite...so r they gonna stay here tonight?"

Nupur: - "Nahin papa, wo aaj sham ko vaapis chale jayenge – bas hum logon se mile aa rahe hain."

Nandini: - "Theek hai to mein lunch ki preparation kar leti hoon."

Sushant: - "Roko, pehle mujhe sab se baat karni hai; baki sab ko bhi bulao."

Nupur Armaan, Kashish aur Gunjan ko bula kar lati hai.

Sushant: - "Aaj Samrat, Mayank aur unki cousin ghar aa rahe hain lunch par, isliye mein chahta hoon kit um sab log ghar par hi raho...aur mujeh ismein kisi ki koi baat nahin sunani."

Armaan: - "Par Uncle, meri basketball practise hai, mein 12 baje tak vaapis aa jaunga."

Sushant: - "Theek hai, par mujhe koi tamasha nahin chahiye samjhi Kashish.."

Kashish: - "Ji Dad, mein time se ghar aa jaungi.."

Sushant: - "Better...ab mein office jar aha hoon...12 baje tak ghar aa jaunga, aur mujhe sab ghar me chahiye."

Itna keh kar Sushant chala gaya; Kashish soch rahi thi ki aaj phir usse apne papa ki vajah se ek natak karna padega; Nandini soch rahi thi ki chalo ek pal ke liye hi sahi, they will pretend to be a happy family, Nupur khush thi as usual, Mayank se jo milne wali thi. Gunjan khush thi wo aaj Samrat se milegi aur Armaan, uske dimaag me to alag baatein hi chal rahi thi – wo soch raha tha ki ab woh milega Sujal ki family se and now, he will try to get his number.

Everyone started getting ready for the day, where Nupur and Nandini were fighting over the menu, and Gunjan sitting with them there. Kashish and Armaan leve for college; don't they know that what will happen there.

On the other side, Sujal aur uski gang college pohanch chuke the; everyone is looking at the campus and then, they completed all the formalities required for admission and then, were just roaming around the college.

Samrat: - "Bhaiya, mujhe bhook lagi hai..kuch kha le please?"

Mayank: - "Sam aunty ne lunch prepare kiya hoga na, toh agar tum ab yahan kuch kha loge, to unhe acha nahin lagega."

Samrat: - "Aapko unki kuch zyada hi chinta nahin hai.."

Sujal: - "I think Mayank theek keh raha hai, aunty ko bura lagega..."

Samrat: - "Sahi kaha aapne Bhaiya, par aapko pata hai Mayank bhaiya ko aunty se zyada apni chinta hai."

Sab thode confuse ho gaye yeh sun kar, isliye Riddhima ne poocha: - "Apne liye kaise Sam?"

Samrat: - "Wo kya hai na di...aapko dekhna chahiye tha jab bhai Nupur Di se baat kar rahe the; inka face tamatar se bhi zyada lal tha; aise Sharma rahe the jaise Di ne I Love you bol diya ho..."

Mayank is shocked while Sujal and Riddhima were looking at him with mischief.

Mayank: - "Tujhe kaise pata tu to songs sun raha than a."

Samrat: - "Mein to natak kar raha tha, par aap batao ki sach kya hai?"

Sujal: - "Haan Mayank batao na, ki sach kya hai?"

Riddhima: - "Haan Mayank batao, mein bhi sunana chahti hoon..."

Mayank: - "Wo to bas Nupur ki aadat hai na mazak karne ki to bass...sam to aise hi bol raha tha."

Sujal: - "R u sure?"

Mayank: - "Ji bhaiya, chal sam, tujhe canteen dikhata hoon; tu kuch khaane ke liye bhi le lena..." Itna keh kar wo Samrat ko khichta hua wahan se le gaya.

Riddhima: - "Bhai, yeh to ladkiyon se hi zyada sharmata hai."

Sujal: - "haan wo to hai, par dil ka bahut acha hai."

Riddhima: - "Jaanti hoon Bhai, ab jab wo dono ja chuke hain; to utni der hum kya kare."

Sujal: - "College ka ek chakar laga kar aate hain."

Riddhima: - "Theek hai chaliye..."

Sujal aur Riddhima college ka chakar laga rahe the, admissions chal rahe the college me isliye kuch zyada log nahin the wahan.

Riddhima: - "Chaliye Bhaiya, us side chalte hain; basketball court hai...chaliye na dekhte hain.."

Sujal: - "Riddzz tum wahan ja aao, mein garden me tumhari wait karta hoon.."

Riddhima: - "Theek hai Bhai..."

Itna keh kar woh wahan se chali gayi...aur Sujal badha garden ki taraf...usse hamesha se hi Garden me bhethna bahut pasand tha..Sujal ek bench par ja kar bheth gaya...

Sujal: - "Kitna acha lagta hai yahan...sare phool, itni greenery...its just superb..."

Wo bas aisi hi khoya hua tha, jab uski nazar padhi ek ladki par...garden ke ek corner me ek ladki bhethi hui thi. Sabse ala gaur bilkul akeli...aur kuch diary me likh rahi thi. Sujal nahin samajh pa raha tha ki wo kyun uski aur jana chahta tha aur kyun usse baat karna chahta hai.

Sujal us ladki ki aur hi ja raha tha jab usk kandhe par kisi ne hatth rakha, palt kar dekha toh woh Mayank tha.

Sujal: - "woh..." Usne us ladki ki aur ishara karte hue bataya.

Mayank: - "Woh Kashish Di hain..." Usne dheere se bola...

Sujal: - "Kashish..." Itna keh kar usne apni aankhen band kar li; phir kuch der baad apni aankhen kholi aur kaha: - "Mein Riddhima ko le kar aata hoon; phir tum sab kashish ke ghar ja aana..."

Mayank: - "Ji Bhaiya..." Aur Sujal wahan se chala gaya.

Dosari taraf Riddhima basket ball match dekhne me busy thi...jab achanak uske piche sar par aa akr ek ball lagi.

Riddhima: - "Ouuchhh..." Phir usne moodh kar dekha ki armaan uske piche khada hai... "TUmhe dekhna nahin aata..."

Armaan: - "Galti meri nahin tumhari hai..."

Riddhima: - "Meri...meri kya galti..galti tumhari hai, aankhon se dekha nahin jata kya..itni zor se maara..." She said rubbing her head.

Armaan: - "Awww...zor se laga, par galti tumhari hai. Tumhe kisne bola tha yahan aane ke liye. Pata nahin ki yahan practice chal rahi hai..."

Riddhima: - "Chal bhi rahi ho to kya, kisi ka aana mana hai kya? Aur tum bahar practice kyun kar rahe the..."

Armaan: - "Mein to break le kar vaapis aa hi raha tha; aur ball slip kar gayihaathon se..."

Riddhima: - "Dekha, dekha tumhare haathon se ball slip ki, galti tumhari hai; isliye sorry bolo."

Armaan: - "Galti meri nahin hai...aur mein sorry nahin bolunga..."

Ridddhima: - "Tumhari hai."

Armaan: - "nahin hai."

Riddhima aur Armaan ki ladhai aise hi chalti rehti agar Sujal ne Riddhima ko bulaya na hota...

Sujal: - "Riddhima, chalo ab humhe chalna chahiye..."

Riddhima: - "Theek hai Sujal Bhaiya, Aap chliye mein aati hoon.." Usne Sujal se kaha aur phir Armaan se: - "Tumhe to mein dekh lungi."

Itna keh kar wo chali gayi...

Armaan: - "Kya baat hai, yahan aa kar mujhe hi dhamki de kar chali gayi; Isse to mein dekh lunga..."

Yeh keh kar wo bhi practise mein lag gaya.

Dosari taraf cars ke pass sab khade the...

Sujal: - "Aisa karo ab tum sab jao uncle ke ghar aur mein yahan kisi restaurant me lunch kar leta hoon...Airport par milenge."

Riddhima: - "Bhaiya mein bhi aapke pass ruk jao, please..."

Sujal: - "Nahin Riddhima, tum bhi ja aao...I am perfectly fine...thodha Mumbai ghoom lunga..."

Riddhima: - "Theek hai Bhaiya..."

Is tarah Mayank, Samrat aur Riddhima ek car se gaye Kashish ke ghar aur dosari taraf Sujal nikla Mumbai ke darshan karne.

Takreban aadhe ghante baad wo ghar pohanche. Aur sab log bhethe living room me kuch baatein karne ke liye...Riddhima dekh rahi thi idhar udhar tanki dekh paye Kashish ko. Par Kashish to vahan thi hi nahin...Nandini ne yeh sab notice kiya.

Nandini: - "Kuch chahiye tumhe?" Usne poocha Riddhima se.

Riddhima: - "Nahin Aunty, wo mein Kashish di ko dhoond rahi thi, Sujal Bhaiya se bahut kuch suna hai maine, isliye unse milna chahti thi."

Nandini: - "Wo actually bahar gayi hui hai, aati ho hogi..."

Riddhima: - "Ok Aunty Ji, koi baat nahin..."

Tabhi Kashish aayi andar...

Sushant: - "Kashish Beta, Maine aapse kaha tha na ki ghar jaldi aa jana, phir aap kahan thi..."

Kashish: - "Sorry Papa, wo actually Armaan ki practice khatam hone me time lag gaya.."

Nandini: - "Theek hai kashish, par armaan hai kahan?"

Kashish: - "Wo fresh-up hone room me gaya hai...Aata hi hoga..."

Nandini: - "Theek hai tum to aao...milsabse..."

Mayank aur Samrat se formally milne ke baad Kashish aayi Riddhima ke samne. Riddhima itni excited thi Kashish ko dekh ki seedhe gale laga liya usne Kashish ko...

Riddhima: - "Hii Riddhima Di, aap janti nahin mein aapse mil kar kitni khush hoon. Sujal Bhaiya hamesha bolte the ki unki Kashish bahut khoobsurat hai, aur aap sach me bahut bahut bahut khoobsurat ho."

Kashish shocked thi phir bhi usne dheere se usse thanks bola...aur sab baatein karne me lag gaye.

Finally aadhe ghante baad, Riddhima achanak se boli: - "OMG, hum jis kaam se aaye the wo to bhool hi gaye..."

Mayank: - "Kya Di?"

Riddhima: - "Woh hum sabko gifts dena hi bhool gaye.."

Samrat: - "Oh...sach me...Mein abhi bags le kar aata hoon."

Samrat gaya car se bags lene aur 5 minute baad aaya 2 bags le kar.

Sushant: - "Beta, is sab ki kya zarorat thi..."

Samrat: - "yeh gifts humne thodhi na liye hain; yeh gifts Sujal bhaiya ne bhejhe hain aap sab ke liye."

Yeh sun kar kashish ne ek dum se uppar dekha..Hairaan hui wo yeh sun kar, par kuch bola nahin usne...

Nupur: - "Wow...Sujal Bhaiya ne...jaldi do na...mujeh dekhna hai..."

Sushant: - "Nupur...behave ur self..." He said strictly.

Nupur: - "Sorry Dad..."

Mayank: - "Koi baat nahin Uncle...sorry wali koi baat nahin hai." Itna bol kar usne sare bags khole, aur sabse pehle Sushant aur Nandini ko unke gifts diye, Phir Nupur and Gunjan ko.

Nupur: - "Yeh kitna sundar hai; mujhe badha acha laga...Sujal bhaiya ko thanks bol dena."

Gunjan shocked thi apne liye itni sari dresses dekh kar.

Gunjan: - "Itni sari dresses kis liye?"

Samrat: - "Woh actually mene bhaiya ko bola tha ki sab type ki dresses le le tumhare liye...isliye itni sari ho gayi..."

Gunjan shakes her head: - "Thanks Sam..."

Samrat: - "U r welcome Chasmish."

Gunjan: - "mujhe chasmish mat kaho..."

Samrat: - "Theek hai..." and he smiles.

Riddhima ne ek packet nikala aur diya Kashish ko: - "Yeh aapke liye..."

Kashish ne packet khola aur dekha: - "Yeh to bahut khoobsurat hai."

Riddhima: - "Bhaiya ne yeh aapke liye liya tha specially."

Kashish: - "Say Thanks to him..."

Riddhima: - "Sure..."

Mayank ne ek packet aur Kashish ko diya, kashish: - "Yeh kya hai?"

Mayank: - "Wo yeh Armaan Bhaiya ke liye."

Kashish: - "Us ke liye kaise?"

Mayank: - "Woh Bhaiya ne poocha tha ki ghar me kaun kaun hai, isliye..."

Kashish was touched with this texture of him: - "Thanks."

Mayank nodded and then Sushant said: - "Mayank beta toh is ghar mein bahut baar aaye hain, toh kyun na aap log Samrat aur Riddhima ko ghar dikho...tab tak hum lunch ki preparation bhi kar lete hain."

All nodded and left the place.

Mayank with Nupur...

Nupur: -"Aur batao Mayank, Sujal bbhaiya ke na aane se udas ho kya?"

Mayank ko bahut bura laga ki wo Nupur se jhooth bol raha hai; par yeh zarori tha: - "Bura toh lagta hai nupur, par yeh bhaiya ke future ke liye hi hai na, isliye koi problem nahin."

Nupur: - "Par mujhe laga tha ki Sujal Bhaiya aayenge aur Kashish Di aur unki shaadi ho jayegi...aur hum sab bahut khush ho jayenge; par aisa nahin hoga ab."

Mayank: - "Kyun nahin hoga Nupur; zaroor hoga. Lekin abhi nahin, bas kuch der ke baad. Aur khushiyon ke liye itna intezar to hum kar sakte hain na..."

Nupur: - "Haan, kar sakte hain...aur dekhna phir hum sab bahut khush ho jayenge..."

Mayank: - "Haan, bilkul theek kaha tumne..."

Nupur: - "Acha, ab yeh baat batao ki Sujal bhaiya ko woh gift lene ke liye tumne bola tha na..."

Mayank: - "nahin, mene nahin bola...wo actually bhaiya n sabke bare me poocha tha aur yeh bhi poocha tha ki sabki pasand kya kya hai..toh mene bas wohi bataya tha.."

Nupur: - "Hayye!!! Tum kitne pyare ho Mayank..."

Mayank: - "Nupur, tum bhi kahiin bhi shoro ho jati ho."

Nupur: - "Toh mein aur karun kya?"

Mayank: - "Tum kuch mat kaho aur kaho, mein yaahan se jata hoon."

Nupur: - "Are are ruko na baba, mein bas mayak kar rahi thi; aao tumhe tumhare forms de do...mene collect kar liye the college se."

Mayank: - "Theek hai chalo."

Samrat and Gunjan: -

Samrat: - "Hey CHasmish, tumhara room toh bahut sundar hai..."

Gunjan: - "Thanks Sam... Mene yahan is room mein har wo yaad dhali hai jo mere liye bahut important hai."

Samrat: - "Mein samajh sakta hoon gunjan..par ab tum dekhna tumhara har sapna poora hoga..."

Gunjan: -"Kaise Sam?"

Samrat: - "Dekho, mein itna to janta hoon ki uncle kabhi bhi papa aur hamari family me se kisi ko mana nahin karne wale...dosti keh lo yan jo kuch bhi...to mein bas issi baat ka fyada uthane wala hoon."

Gunjan: - "mujhe kuch samajh nahin aa raha..."

Samrat: - "Aao, idhar bhetho..." Gunjan ko apne pass bhethate hue usne bola... "Dekho jab mein yahan rahunga to mein chahe tumse singing karvao ya phir tumhe basketball khilaun...uncle mujhe mana nahin karenge..so bas ab yehi hoga."

Gunjan: - "kya papa, aisa hone denge..."

Samrat: - "Chasmish, tum chup raho, kitni baar to bol chukka hoon ki uncle maan jayenge..."

Gunjan: - "theek hai, par mujhe baar baar chasmish bolna band karo."

Samrat: - "But I love to call u chasmish..."

Gunjan: - "And I hate u whenu call me chasmish..."

Samrat: - "That was really very sweet...chalo ab isse pehle ki mujhe diabetes ho jaye...mujhe apni pics dikhao..."

Gunjan: - "theek hai..."

Now, Riddhima and Kashish: -

Kashish: - "Toh tumne bhi hamare college mein admission li hai kya?"

Riddhima: - "ji Di...Mene MBA me admission li hai..."

Kashish: - "Then, we will be in same class...Tum mujhe mere naam se bhi bula sakti ho."

Riddhima: - "Nahin Di actually, mene hamesha Sujal Bhaiya ko Bhaiya bulaya hai aur pichle 4 saal se maine aapko Di..."

Kashish: - "4 saalon se matlab?"

Riddhima: - "Wo actually 4 saal se mein Sujal bhaiya ke saath hi thi na, to Sujal Bhaiya aapki itni baatein karte the ki mujhe lagta tha ki mein aapko janti hoon..."

Kashish: - "Sujal meri kya baatein karta tha..."

Riddhima: - 'Wohi aap dono ki dosti, aapki past ki sari baatein..the way u both have grown up."

Kashish: - "Usse yaad hai kya woh sab?"

Riddhima: - "Aap yaad ki baat kar rahi ho di, mujhe to lagta hai ki wo jeete hi un palon me hain...tabhi toh unhone mujhe yahan bhejha..."

Kashish: - "What?"

Riddhima: - "I mean tabhi to unhone aapke liye wo gift bheja, unhone kaha tha ki aap ek bahut achi dost ho."

Isse pehle ki kashish Riddhima se kuch aur pooch pati...Nandini ne un dono ko aur baki sabko lunch ke liye bula liya.

Nandini at table: - "tum logon ko ghar kaisa laga?"

Riddhima: - "Its beautiful Aunty...bahut sundar hai..aapne issi decorate karne me bahut mehnat ki hai."

Nandini: - "Thanks Beta...chalo ab khana shoro karo."

Sab log lunch karne hi lage the jab Mayank ka haath lagne se pani ka glass Riddhima ke uppar gir gaya.

Mayank: - "I am so sorry Di...Galti se ho gaya..."

Riddhima: - "Its ok Mayank, mein janti hoon ki yeh galti se ho gaya."

Nandini: - "Aisa karo beta, tum change kar lo..."

Riddhima: - "Aunty panni hi hai, kuch nahin hoga."

Nandini: - "Par phir bhi, kashish jao. Help Riddhima to get something."

Kashish: - "Ji maa."

Riddhima and Kashish were going to Kashish's room when Riddhima just losses her balance when someone hold her. She just composed herself and say: - "I am sooo...tum?"

Armaan: - "Tum?"

RadhaKrishan thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 14 years ago
#47
Note: -

Ok Guys, Here is the next part...I know late hoon, par mein nahin janti ki problem kya hai. Jab bhi mujhe kuch post karna hota hai mera net kharab ho jata hai...I have to solve this problem any how..cant promise...But will try to post the next part on Sunday...hope, u all will enjoy the part. And I know the story is slow, but it will be fast as the college will start...So, thodhi si wait...

Luv Preet

gupta.aditi20 thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 14 years ago
#48

hey

finally u updated..

its awsome...

cont. soon

love

aditi

RadhaKrishan thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 14 years ago
#49

Originally posted by: gupta.aditi20

hey

finally u updated..

its awsome...

cont. soon

love

aditi



Hi Aditi...ya finally...I am quite slow at updating but this time, it was all due to my stupid net...Thanks for liking the update...Will try to post the part on Sunday...Luv Preet
dazzling_glory thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 14 years ago
#50
Update was very good
continue soon

Related Topics

Fan Fictions thumbnail

Posted by: Rizz-ington · 1 years ago

A N A R H I F F ---- Iss Darr Ko Kya Naam Doon Summary: Khushi is an internet famous 27 year old fashion designer from Lucknow. She has a chirpy...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: goodkashish · 6 years ago

Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".